Jab Nandni aur Nischal dono bahar chale gaye, tab Kasak ne Jivisha ko chhor diya aur apni kalai ko dabane lagi…
Kasak…. Teri to jivi, tu khati kya hai, kalai ki haḍḍi chaṭka di. Tujh par kahin bhut to sawar nahi tha….
Jivisha… Haaṅ bhut he sawar tha !!! kasak, jaan se maar duṅgi usse… Kaminey ki himmat kaise hui, mujh se aise baat karne ki…
Kasak…. Jivi tumhe nahi lagta ki tum kuch jyada he over-react kar rahi ho… uss ne kya ġalat kaha… tum station par kisi anjaane ko chum sakti ho, fir jo tumhari madad kar raha usse kyoṅ nahi. Jab tum ne he usse rasta dikhaya hai, to ab ussi baat par aisa react kyoṅ kar rahi….
Jivisha…. Lekin Kasak, wo situation kuch aur he thi….
Kasak…. Kaun si situation jivi… kahin wahi situation to nahi, jisme tumhe apna swarth sadhna tha. Wahan tum ne ek aise ladkey ko kiss kiya, jisse tum ne na to pahle kabhi dekha, aur na he uss ke bare me janti thi. Kya ladkey kaise hote haiṅ tumhe pata nahi, uss ki jagah koi aur hota na tab samjh me aata….
Jivisha…. Par uss ki jagah koi aur kyoṅ hota….
Kasak…. Kyoṅ, tumhe to jaan bachani thi, isliye tum kisi ko bhi kiss kar sakti thi, fir chahe wo Nischal ho ya uss ki jagah koi aur….
Jivisha…. Tum bhi na gadheri…. Najar uṭha kar maine survey kiya tha…. Mujhe Nischal kafi masoom aur innocent dikha, aur haaṅ sath me thoḍa lallu bhi. Usse dekh kar man kiya ki isse kiss karuṅ so kar liya… mujhe kya pata tha meri kismat aise rang layegi aur wo ghar tak pahunch jayega….
Kasak…. Hunnn hunnnn … hunnn… hunnnnn, matlab Nischal tumhare man ko bhaya tha isliye mukhiya ji se bachne ke liye filmy kiss ka sahara liya… warna koi aur upay ḍhuṅḍhti….
Jivisha…. Not exactly darling… mujhe pata hai ki tumhare ishare kis taraf hai, par main tumhare batoṅ ke jaal me nahi fsungi…. Nischal hota ya uss ki jagah koi aur, par koi na koi hota jaroor…
Kasak…. Tu man ko kitna bhi bahla le, pahli mulakat ka kuch na kuch asar to tha he… mujhe to, gup-chup, gup-chup, gup song gane ka dil kar raha hai… lagta hai abhi ga dun… do dil mil rahe haiṅ magar chupke-chupke.
Jivisha… Aisa hai, aisa hai to abhi dekh…. Mammi… papa… mammi… ummmmmmmiiieee… chup kyoṅ kara rahi hai mujhe….
Kasak…. Tere dimaġ me chal kya raha tha pagal… tu chilla-chilla kar kya nautanki karne wali hai…
Jivisha… Sab sach-sach bata kar usse ghar se bahar karwauṅgi, bas itna he…
Kasak…. Pagal aise me to tu he fasegi…
Jivisha…. Fasti huṅ to fasne de, kam se uss pagal ke blackmailing aur tumhare iss faltu ke samiksha se chain to milega.
Kasak…. Ye jyada naṭak ho gaya haaṅ…. ab chup kar.
Jivisha…. Na na main to hamesha he natak he karti huṅ na. Tum logoṅ ne mujhe serious liya he kab hai… ab to main sab ko bata kar he rahuṅgi….
Aahhhh, kya adaa thi Jivisha ki… Kasak ne jaise he Jivisha ko shant rahne ki liye kaha, Jivisha ko mauka mil gaya apni bhaḍas nikalne ka… par tab tak Jivisha ka chillana sun kar Nandni aur Nischal bhi lauṭ aaye, aur unke pichhe-pichhe Priya aur Himanshu aur pura pariwar bhi pahunch chuke the.
“Kya batana hai, Jivisha aise chillayi kyoṅ” … dono baat me itne leen the ki unhe kisi ka aana pata bhi nahi chala. Aur jab Priya ki baat sun kar dono ne pass ka najara dekha to pura pariwar wahan jama tha…. Jivisha ki najar aise jaise bhutoṅ ka basera pass me khada ho gaya ho…
Kasak, isharo me hath dikhati, dhime se apne hont hilayi…. “Le sab aa gaye, ab kah de”
Jivisha dime se apni gardan hilati, Kasak ko na me ishara ki…. “Ye tum dono ke ishare fir shuru ho gaye, waise he mera dimaġ ghuma hai upar se tum dono. Kya kiya hai tum dono ne” dono ke isharon me chal rahi baat par Priya chidti hui kahne lagi…
Kasak….. Main batati huṅ…
Jivisha…. Kuch nahi mamma, maine cockroach dekha tha… kasak tu bhi na… heee heee heee
Kasak… Koi coacroach nahi tha yahaṅ… ye to bas ye batane ke liye chillayi ki, iss ki shadi nakli hai, aur bhare ka pati ye ghar lekar aayi hai….
Kasak bina ruke ek sans me apni baat kah gayi….. Shocked, shocked, shocked…. Sab ke sab shocked ho gaye…. Jaise abhi-abhi kisi ne pure khanḍan ko “statue” kah diya ho… jo jis mudra me the, muh khole ussi mudra me khaḍe, bas apne-apne gardan ghuma kar ek dusre ko dekh rahe the