• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
Update:-30


Sawalker…. Main bhi na kitna baḍa duffer huṅ. Asal mudde se bhaṭak kar bas apne temper me aa gaya. Nischal tum wahan gaye kyoṅ the aur ye kidnapping ka kya chakkar hai. Wo ladka aise behosh kyon para tha?


Nischal… Mujhe pata nahi sir uske sath kya hua tha. Main jab pahuncha tab wo kafi ghabraya hua tha. Aisa laga jaise kisi ne usse daraya ho.


Sawalker:- Maf kar de yar main thoda temper mein aa gaya tha, lekin bhai tera temper to bahut jyada hi ho jata hai. Chal ghar chhod dun. Dekhte hain subah wo kya bayan deta hai, fir dekhenge…


Nischal:- it's okey bade bhaiya, hum colony se thoda pichhe utar dijiyega, ek walk lenge…


Sawalker dono ko pichhe chhodkar wahan se nikal gaya.… "Kya hua kuch jaroori baat karni thi kya"..


Nischal:- Haan, Chirag ka dar dekhkar ek baat to samjh me aa gayi hai ki usne kuch bhayanak manjar dekha hai wo bhi kafi karib se…


Nandni:- Kis tarah ka manjar Nischal aur ye kitna bhayank ho sakta hai.


Nischal:- Main jyada thik se to nahi bata sakta lekin yun samjh lo ki koi tunhare aankh se samne kisi jinda insan ya janwar ko chir kar kha raha ho… jaise koi sher apne shikar ko jhapat raha ho aur ye sab tum apne aakhon se dekhte ho. Paun kapne lage ho aur ander se bhay satane laga ho ki ab uske sath bhi yahi hoga…


Nandni:- Bus bhi karo Nischal sunkar hi ajib lag raha hai, pata nahi uss bache ne kaise dekha hoga.. aur kitna dara hoga..


Nischal:- Haan wo bahut dara tha. Yadi usse behosh nahi karta to dimag ki nason me itna jod parta ki wo apna mansik santulan kho sakta tha.. Haan lekin ek baat aur, Chirag mansik roop se bahut majboot hai, tabhi tumhe phone laga paya.. .


Nandni:- lekin uske sath ye sab kiya kisne hoga…


Nischal:- jahan tak mujhe lag raha hai ye Kasak ke bahrupiye ka kaam hoga. Lagta hai yah alian koi narbhakchhiyon ka samuh hai, jinhe jinda mans aur garam khun pine me jyada maza aata hai.


Nandni, chaunkte huyi…. "Kya baat kar rahe ho, matlab film me sahi dikhaya gaya tha sabhi alian ke bare me".


Nischal:- Haan kuch kuch aisa kah sakti ho… filhaal doctor sahab ka socho.. mujhe lagta hai humra itna close hona, aur unhe chhod kar bahar nikal jana, unhe acha nahi lagta hoga…


Nandni:- Nahi acha lagega to wapas jayega.. jise jo sochna hai sochne de.. mujhe fark nahi parta... Bhagwan ne mujhe 2 best gift diye hain ek tu aur dusri Jivisha…


Nischal:- wahi dost jisne tujh se aaj muh mod liya..


Nandni:- Bura to mujhe bhi laga tha, lekin uski bhi apni majbooriya hogi. Chehra dekha uska, hansi chali gayi Jisa ki. Mujhe uski khamoshi achi nahi lag rahi..


Nischal:- Jyada filmy hoge na to yahi sab hona hai. Acha hua uske sath.. isi bahane kam se kam akal to aayegi.


Nandni:- Mere Jisa ke case me itna he kahungi ki kuch logon ko bhagwan ek jaisa hi banaye rakhe.. Ab chalo jara main apne doctor se mil lun.. tum kaminey, main bahut dino baad .. I feel love .. lekin tum kutte ki dum rang me bhang dal hi diya uspar se uska sir bhi tudwa diya..


Nandni ki baat sunkar Nischal hanste huye chal diya. Doctor sahab pattiyan laga chuke the aur Nandni uske pass pahunchte hi Chirag ki ghatna ko bata di. Uske baad kaise kaise kahani faste chali gayi sab kuch.


Nandni ki baat sunkar doctor sahab thode khush dikhe, lekin unhe bhi ab wapas lab jana tha… lab mein janwar ke humle ka ek aur case aaya tha, jiski janch aur salah ke liye Ansh ko bhi bulaya ja raha tha… Ansh dono ko wahin se bye bolkar nikal gaya…


Idhar Jivisha ka gahr….


Priya ke tane aur apne dost ke liye unke dwara kahe gaye shabd, Jivisha ko rah-rah kar rula raha tha, lekin kuch hi pal baad usse khyal aaya ki Chirag behosh para tha. Wo jabtak apne dard ko darkinar kar Chirag ka khyal layi tabtak sab log usse hospital le ja chuke the.


Jivisha se raha nahi gaya aur wo bhi hospital ke liye nikal gayi. Idhar Jivisha ke nikalte hi Kasak bhi uthi aur sidha Shresh ke ghar nikal gayi… jahan unki puri team baith kar kuch baten kar rahi thi.…


Tanisha (Bahrupiye Kasak ka naam).... Kya baten ho rahi thi, Apini..


Apini:- Bahut si baten hai jo tumhe janni hai, lekin abhi ye batao ki wahan ki kya khabar hai…


Tanisha:- Malkia (Jivisha) ki ikchha shakti bahut majboot hai. Main jyada uke pass rahi to mai pakdi ja sakti hun. Aaj jab tum unhe ghumane le gaye the, wahan kuch baat bani..


Apini:- Baat to ban jati lekin wo ladka bich mein aa gaya.


Tanisha:- Kaun wo Nischal..


Apini:- Tumhe uske bare me kya pata hai…


Kasak:- Aaj ek gadbad ho gayi. Main sher ka roop lekar, ek kutte ka bhakshan kar rahi thi aur uska bhakshan karne ke baad main Kasak bani, lekin ye sari ghatna us chhote ladke Chirag ne dekh liya.. main uska kuch kar pati usse pahle hi wo Nischal palak jhapkte hi wahan aa gaya aur fir wo ladka Chirag mere hath se nikal gaya.


Apini:- Hmmmm !!!! Matlab wo tumhare bich bhi aaya tha... Aur aaj din me mere aur Jivisha ke bich wo aaya tha... Wo koi insan nahi hai balki ek alian hai…


Tanisha, thoda chaunkti hui… "tumhe kaise pata"..


Apini:- Jis din Adirishi janwar ne usse chira aur wo humle ke baad jis tarah se uthkar baitha tha. Uske baad jitni jaldi wo recover hua tha, mujhe shak hua.. maine yeh baat Rijo ko batayi aur Rijo uska pata lagakar uske grah par gaye the…


Tanisha:- kaun se grah ka hai wo…


Apini:- Aizem grah ka prani hai wo..


Tanisha:- wahi jabajon ka grah jinki sharirik kshmata aur urja kamal ki hoti hai aur wo kisi bhi jakhm se jald hi ubar aate hain.


Apini:- Haan ussi ghrah se hai wo..


Tanisha:- Fir to humare Malkia ke bich me wo khada hai. Pahle usse khatam karo fir Malkia ke bare me sochenge, kyonki wo raha to pakka kaam kharab karega. Upar se Malkia bhi uss se kafi aakarshit hai. Abhi to khair unke dil me kuch nahi hai, lekin jis tarah ka judaw dikhta hai.. koi bhadosa nahi..


Josefer jo ab tak shant baitha tha…. "Hume Rijo ne bataya ki uspar abhi hath nahi dalne.. usse marne me madad karne ke liye Aizem grah ke 2 sabse shatir marak aa rahe hain… ha ha ha ha ha..


Uski baat sunkar sab log aatahas laga kar hasne lage…. "Kuch jyada nahi in Aizem walon ko khud par bhadosa hai".... Apini hanste huye kahne laga..


Josefer:- Kal raat ko hi dekh lenge ki wo apne Adirishi janwar ke aage kitne der tak tikta hai. Lekin uss se pahle Kasak ke dimag me sari yaden dalo, taki 1-2 din mein hum usse chhod sake.


Tanisha:- Haan main bhi yahi kahne aayi thi.. main jyada dino tak Malkia sath rah gayi to, ho sakta hai Malkia ki ikchha shakti kuch jagrit ho jaye…


Apini:- thik hai tum jakar Kasak ke dimag me wo sab yaden dalo, jo uske na hone par tumne kiya hai. Idhar main aur Josefer Adirishi ko kal ke liye taiyar karte hain.. taki Aizem se pahunchnewale logon ko kal hi hum unhe tohfe me uss Nischal ki lash gift kar sake…


Idhar Chirag hospital me admit ho chuka tha aur ghar ka ye chhota sadasya itna pyara tha ki har kisi ne apni raat aakhon me kat liya… raat bhar Priya aur Hismanshu Jivisha ke sath-sath Nischal aur Nandni ki buraiyan karte rahe.


Jivisha ki bhabhi Nandita abhi iss haalat me nahi thi ki apne saas-sasur se koi bahas kar sake, lekin lagatar diye tano ko sunkar uska bhi dimag kharab ho raha tha. Jab Nandita se bardast nahi hua tab wo Jivisha ko hospital ke dusre hisse me le aayi. Wahin uske sath baithkar intzar bhi karti rahi aur sath me Jivisha ko bhi shant rakhe hui thi.


Sab log jahan baithe the, wahin pade-pade kab unki aankh lagi kisi ko pata bhi nahi chala, lekin Jivisha lagatar jaag kar bus apne betu ke jagne ka intzar kar rahi thi.


Subah ke 8 baje ke karib Chirag ko hosh aa gaya tha... Uske hosh mein aate hi doctor ne sabse pahle thane me suchna di aur baad me aakar unke pariwar jano ko iktala kiya..


Chirag ke jagte hi pura pariwar ander gaya. Chirag shant hokar bus sabko dekh raha tha... Jaise hi uski najar Jivisha par gayi wo didi kahte huye jor se chillaya..


Jivisha uske pass pahunch kar uske sar ko apne gode me leli aur uske baal par hath ferne lagi… "mera bahadur beta itna ghabraya kyon hai. Shant.. bilkul shant aur ghabrane ki koi jaroorat nahi.. thik hai betu"..


Chirag thoda shant hokar kuch der tak sabko dekhta raha… issi bich sawalker bhi wahan pahuncha… "kuch bataya kya, kaise behosh hua tha"..


Ravi:- aap kaisi baat kar rahe hain sir, abhi to hosh aaya hai usse…


Sawalker:- Oh sorry, kya abhi baat karne ke layak hai ya nahi…


Ravi:- Nahi ab bhi sadme mein hai.. pata nahi us Nichal ne mere bache ke sath kya kiya.. sab iski (Jivisha) bewakoofyon ki wajah se hua hai..


Sawalker:- Aap ka family matter hai ji, main kuch nahi kah sakta. Waise kya jab wo (Nischal) ghar par tha tab koi chori ki thi kya. Kimti saman ya gahne waigrah ki chori..


Ravi:- Nahi, kyon kya hua so..


Sawalker:- Bus yun hi pucha... Kal uss ladke aur ladki se meri baat hui… Nandni ye aap ki bahan ki kafi achi dost hai aur Nischal, Nandni ka kafi close friend hai.. ab bina chori kiye aap usse froud kah rahe to socha koi bahut badi wajah rahi hogi…


Sawalker ki baat sunkar sabhi kamosh ho gaye tabhi uski baat sunkar Chirag kahne laga… "Fufa ji ne kuch nahi kiya. Wo to maine ajib chij dekha to dar ke mare chhip gaya tha. Maine hi Nandni di ko phone kiya, fir fufa ji mere pass aaye the… main .. sans nahi le pa raha tha... Unhone apne muh se sans diya mujhe.. fir yun gale ke niche kuch kiya aur main so gaya"..


Piche se doctor bhi wahan pahunchte… "Aap logon ko thanks kahna chahiye usse, jisne bhi yah kiya hai… ye wakai me baut deep shock me tha. Itna bada shock iska chhota dimag jhel nahi pata".
waise sukar hai inlogo ne baat ko jyada na chheda ki akhir chirag kis wajah se behosh ho gaya tha.....
hmm... jivu ki bhi apni hi problems hai... upor se joh hua pichle dino uski wajah se jivu kuch na bol paayi us samay sab priya nandu aur jivu pe ilzaam laga rahi thi... is baat ko bhali bhanti jaanti hai nandu isliye usne baat ko dil pe na li ki kyun us time jivu chup rahi...
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
Update:-31



Sawalker:- Mujhe nahi lagta ki ab koi FIR bhi honi chahiye. Main chalta hun sir, yadi kal raat FIR kiya hota to aaj aap sabko afsos karna parta....


Sawalker wahan se chala gaya aur idhar har koi khud me afsos karte huye rah gaye… kuch der baad doctor ne bhi Chirag ko hospital se chutti de di, sablog usse lekar ghar nikal gaye…


Idhar Sawalker ne apni aur apne logon ke raat ki hui bejjati ka badla bade pyar se lete huye, wo sidha apne thane pahuncha. Uske aaj khush hone ke kayi wajah thi aur har wajah ka karan Nischal hi tha…



Nandni ke flat.. subah 8.30 baje..


Dono hi ghode bechkar so rahe the… Ansh darbaja kholkar dakhil hua aur dono ko ek-ek baar awaj lagaya.. dono me se kisi ne jawab nahi diya. Ansh, Nandni ke kamre me jakar usse ek bar dekha aur aakar kitchen me sabke liye nasta banane laga..


Ansh apne kaam me laga hua tha, tabhi Nandni ki bhi nind khul gayi. Wo Ansh ko piche se gale lagati hui uske kano ke niche kiss karne lagi… Ansh apne hath me uthaye bartan ko wahin kitchen slab par rakhkar Nandni ke ore muda…


Nandni ek labmi shirt pahne thi, jisme niche usne kuch nahi dala tha… Nandni ko aise roop mein dekhkar Ansh ke hosh udd gaye… "Nandu wo tum"..


Nandni samne se bilkul Ansh se chipak gayi… Ansh ki aur haalat kharab ho gayi… uska gala sukhne laga... Isi bich Nandni apne aeriyon par khadi hokar uske hont ke karib apne hont le aayi…


Dono ki shwans ek dusre ke chehre par takrane lagi. Aakhen madhoshi me dub gayi aur hont karib aate huye.. ek dusre me sama gaye… abhi dubna shuru hi hua tha.. tabhi Ansh ko raat ki ghatna yaad aa gayi aur wo kiss ko todte huye… "Nischal"..


"darwaja band hai uske kamre ka".. itna kahkar Nandni fir se uske honth ko apne honth se lagati chumne lagi… Ansh bhi pura dubte huye kiss karne laga... Besabri se dono ek dusre ko chum rahe the aur ek dusre ke badan par hath fer rahe the... Isi bich cooker ki siti bajii aur dono hanste huye ek dusre se alag huye…


Nandni ne Ansh ko fresh hone bhej di aur subah ka nasta taiyar karne lagi… kuch der baad Ansh fresh hokar hall me aa gaya aur dianing table par baithte huye puchne laga… "Nandu ek baat puchhu"..


Nandni:- haan baba puchho na, itni formality kyon?


Ansh:- tum aise hi kapdon me nischal ke samne bhi khana pakati ho kya?


Ansh ka aisa puchna tha ki kitchen se uddti hui belan, Ansh ko lagte-lagte bachi… aur piche se gusse me tamtamayi Nandni bhi uske pass pahunch chuki thi…


Nandni, Ansh ko gusse mein ghurti hui kahne lagi…. "Doctor tumhe hum dono par shak hai kya? Ya fir jab bahar hote ho to dimag me chalte rahta ki hum dono yahan akele hote hain to kahin koi physical attechment to nahi"..


Ansh:- nahi Nandu tum bilkul galat soch rahi ho.. chhi chhi tum meri hone wali biwi ho aur main aisa nahi soch sakta.. lekin..


Nandni:- lekin kya doctor, puri baat bolo..


Ansh:- Lekin aise attrective look me dekh kar koi bhi ladka..


Nandni, gahri shwans leti Ansh ke pass baith gayi… "Main hum dono ka rishta shayad duniya ko nahi samjha sakti par tumhe to samjha hi sakti hun. Tumne kaha na wo mere aise bold look par attrect ho jayega… suno meri baat Ansh.. aaj raat tum isse kisi call girl ke pass lekar jao aur usse offer karna ki yadi Nischal uske sath sex karta hai. Sex ki baat chhodo agar uske roop ya adaa par ek percent ka bhi rujhan dikhata hai fir main usse aaj raat ko hi yahan se bahar nikal dungi…


Ansh:- Sorry Nandu, please jane bhi do iss baat ko..


Nandni:- nahi Ansh aise nahi jane de sakti iss baat ko. Jab humare riste me viswas bana hoga tabhi mithas aayegi.. warna tumhare mann ke kisi kone me, shak kahin na kahin rah hi jayega.. samjho ki ye tum apne sawal ke liye nahi balki humare riste ke liye kar rahe ho…


Ansh:- aur yadi kahin main attract ho gaya to…


Nandni:- wo ja raha hai na tumhare sath… wahin tumhara opration kar dega... Wo kewal dost nahi hai Ansh, usse kahin badhkar hai aur aaj raat tum bhi iss baat ko maan loge.. filhal uske room ka darwaja kholkar utho.. bhukkad.. kewal khana aur sona janta hai.. aaj hume admission ke liye bhi jana hoga…


Nandni, Ansh ki khushi ke liye filhaal to change karke chali aayi.. lekin usse viswas tha ki Ansh wo ladka nahi jo usse samjh na sake… Idhar Ansh, Nischal ko uthane ke liye, jaise hi uske upar se chadar hatane laga, wo chadar jor se pakad kar kahne laga… "Nandu, sone de, nahi to acha nahi hoga..."


Ansh:- uth jao sir Nandu nahi main hun ansh…


Nischal uthkar baithte huye…. "Kya doctor sahab-subah jaga diya"..


Abhi wo jaga hi tha ki tabhi uske mobile par Sawalker ka call aaya…. "Kya kar raha tha chhote"..


Nischal:- Soya hua tha bade bhaiya… Chirag se baat hui..


Sawalker:- Haan baat hui… wo bus kisi bhayanak chij ko dekh kar sadme me aa gaya tha. Clean chit tum dono ko.. jao aaj admission karwa lena..


Sawalker se baat karne ke baad Nischal ye khabar dono ko diya aur sabhi baith gaye khana khane… "Oye bhukkad aaram se kha na"..


Nischal:- doctor sahab apni honewali ko sambhalo, warna main iska khun kar dunga… waise kal kisi case ko dekhne gaye the na aap doctor sahab.. kya hua fir..


Ansh:- Bahut hi bhayanak case tha mat hi pucho uske bare me to acha hai.. koi khana nahi kha payega..


Nischal:- fir to acha hai aaj aadha pet nahi kahana parega…


Nandni:- jyada bakwas na kar aur jo mil raha hai chup chap kha le. Ansh koi jaroori nahi hai kuch bhi batane ki…


Sabhi ke bich tikhi nok jhonk chalti rahi. Ansh kha kar sone chala gaya aur dono taiyar hokar Vidhyapith admission ke liye nikal gaye… Nischal jab wahan pahuncha tab wahan ke mahol ko dekhte huye kahne laga.... "Ye to mast jagah hai yaar… yahan aakar to dil khush ho gaya"..


Nandni:- bus bhi karo Nischal abhi 2 sal hain aaram se baithkar ladkiyon ko tarte rahna .. pahle admission karwa de tumhara..


Nischal:- haan haan jaroor…


Seat na khali hone ki wajah se Nandni ko management kota se Nischal ka admission karwana para. Kafi paise ki unki demand thi. Nandni, Ansh se madad mangti hui usse sari baat batayi.. Ansh ne bina kisi sawal ke college account me 2lacks jama karwa diye..


Raat ke 8 baj rahe honge….. Jab Nischal ke kamre me Ansh pahuncha aur usse taiyar hokar apne sath chalne ke liye kahne laga… lekin Nichal mana karte huye usse aur Nandni ko bola chale jane… thodi si jid aur nischal taiyar tha..


Dono chal diye. Ansh nischal ko ek pub me le gaya jahan ka rangin mahol dekhkar Nischal khush hote huye kahne laga… "kya doctor babu, yahan lekar aa gaye.. kafi hari bhari jagah hai.…"


Ansh:- kuch apni masti bhi to banti hai Nischal, kuch piyoge kya?


Nischal ki pichhli yaden jaise taja ho gayi ho, Kasak aur Jivisha ki disco wali aur wo ansh ko mana karte huye bus apne hi dhun me nachne laga… tabhi wahan 2-3 ladkiyon ne use gher liya… Nischal jab apne dhun se bahar nikla tab usne paya ki kuch ladkiya usse chhu rahi hain ..


Nischal unhe bade aaram se samjhate huye kahne laga… "dekho koi mujhe hath lagaye mujhe acha nahi lagta.. isliye tum apna enjoy karo aur main apna kar raha hun"..


Unke bich ki ek ladki kahne lagi… "hey handsome, hum tumhe chhu kar dekh rahe hain to tum bhi hume chhu kar dekh lo"..


Ajib hi mahol tha aur Nischal ko wakai kisi ka chhuna jara bhi bha nahi raha tha.. usse aisa lag raha tha jaise koi jabardasti usse koi kaam karne kah raha hai… wah samjh chuka tha ki kuch der yadi wo aur ruka, to yahan kisi se jhagra hona nischit hai, fir chahe wo koi ladki hi kyon na ho.


Nischal mahol ko bhaanpte huye, wahan se nikalne mein hi apni bhalai samjha aur wahan se nikal gaya. Ek ladki ke viswas ki kahani jo sach ho rahi thi. Halanki nischal ne na to college me apni bhawana ko chhipaya tha aur na hi pub me… wo bhi wahan ke mahol ko dekhkar khush tha.. lekin un ladkiyo ko dekhne matr ki bhawna thi bus..


Khair jab nischal bahar nikal raha tha thik ussi ke piche Anah bhi nikala aur Nischal ko chhedte huye kahne laga… "kya hua itni ladkiyan tumpar attrect thi aur tum wahan se bhag aaye"..


Nischal:- Doctor sahab wo attrect thi lekin main nahi… kuch baten aap nahi samjh sakte..


Ansh:- Samjhaoge to kyon nahi samajh sakta.. ek baar bolkar to dekho..


Nischal:- Upar kya main koi alian bhasa bola ki main kisi se attract nahi hota.. aur yahi baat aap nahi samjh rahe.. ab kya 5 baar explain karun…


Ansh:- oh aisi baat thi kya… mujhe laga kisi ke sath pyar ho gaya hai, fir aisa kah rahe ho..


Nischal:- doctor sach hi Nandu kahti hai..


Ansh:- kya?


Nischal:- ek number ke gadhe ho aap.. chalo ab yahan se.


Nischal aur Ansh dono hi wapas laut rahe the.. raste se hi Ansh ne isharon-isharon me Nandni ko bata diya ki wo bilkul sahi thi aur ab koi second thought nahi aane wala… is mauke par thoda pyar batne Ansh, Nischal ko lekar wahain pahunch gaya jahan Nandni gol gappe kha rahi thi.


Teeno jab mile tab Ansh aur Nandni ke chehre par ajib hi khushi thi. Dono ko dekhkar wo samjha to nahi, ki dono kis baat se khush hain, lekin unko itne pyar se muskurate dekh wo bhi khush ho gaya…


Teeno thele se golgappe kha hi rahe the .. isi bich Nischal ko jani pahchani si badbu aane lagi. Wo apne aas pass dekha.. kafi bhid bhad thi wahan. Kayi sare log jinhe pata tak nahi tha ki wahan kya aa chuka hai. Un logon me Nandni aur ansh bhi tha jo pyar se ek dusre ko gol gappe khila rahe the..


Nischal ke najron ke samne wo bhayanak sa khoonkhar janwar, piche nirdosh logon ki bhid jisme uski sabse karibi bhi thi. Ladai karna yahan to sambhaw nahi tha kyonki collateral damage me kayi sare log mare jate. Yahan se bhaga bhi nahi ja sakta tha, kyonki wo janwar picha karte waqt apne raste me aane wale har kisi ko marta chala jayega… aur yadi Nahi lade to wo nischal ko bicho bich chir kar nikal jayega aur sabko lagega ki yahan koi jadu hua tha… waqt jyada nahi tha aur kuch hi palon me nischal ko faisla lena tha.
shayad ek action scene dekhne ko milegi....
Btw kahani jis or bhi rukh kare ya koi bhi mod aaye lekin ek dosti... haan ek joh dosti hai inlogo ke bich yeh kabhi nahi tuti...
Actually ek tarike se ye kahani ki mul niv dosti, tyaag hai... joh har ek pehlu dekhne ko milti hai.. . isliye yeh kahani meri favorite hai...
Khair.....
aise likhte rahiye aur readers ki manoranjan karte rahiye :bow:
 
Top