- 5,451
- 7,235
- 189
Update ... Wednesday night / Sunday morning or night...
Last edited:
Nice updates( KALYUG... Part 2 )
( Dark Side of Society / Samaaj )
At Home Time 11:23AM...
...Kamlaaaa.. ooo... Kamlaaa.... Dekh toh teri ladli ne kya gul khilaya hai... ek adedh umer ki aurat gate khat khtate hue Keh rahi hai jiske peeche peeche moholle ki kuch aurtain bhi jama ho chuki hain... Jo ghar ka kaam chod kar tamasha dekhne ke liye jama ho chuki thi... Aur aapas mai khusur pusur ki baatein bhi chal rahi thi...
Tabhi kamla gate kholti hai... kya hua Padma kyun chilla rahi hai... ( tabhi woh saamne khadi aurton ki itni saari bheed ko dekh chonk jaati hai... ) Tum sab yaha kyun jama hue ho kya hua...
( Tabhi uski nazar bheedh mai khadi apni beti par padti hai jise dekh use bhi jor ka dhakka lagta hai use samjh nahi aa raha tha ki kya chal raha hai... )
Kamla... Yashu.. yeh sab kya hai... Yeh baacha tumhare hath mai kiska hai aur yeh itni bheedh kyun ikkatha kar rahi hai...
Yashoda apni maa ko safayi de hi Rahi thi ki Tabhi Padma beech mai hi uski baat kaat deti hai...
Padma... Are usse kya puch rahi hai mujhse puch karmjali pta nahi kaha se muh kala karwa kar aayi hai... Chii tumhari ladki aisa kaam karti hai mujhe pata nahi tha maine toh ise sati Savitri samjh rakha tha... aacha hua Aaj hi mujhe iske baare mai pta chal gaya warna mere bete ki zindagi mai khud barbaad kar deti...
Kamla... ( hosh hi udh gaye the yeh sunkar ) Yeh sab kya keh rahi hai Padma aisa kuch nahi hai... Mai janti hun meri beti ko woh aisa kabhi nahi kar sakti... Hum ander chal kar baat karte hai iss baare mai... Aise sabke saamne tamasha toh na banao.....
Padma... Aahhh haa toh main jhooth bol rahi hun.... Aur yeh teri beti pta nahi kiska paap liye ghar aayi hai kuch jawab hai tumhare paas iss baat ka... Kiska baacha hai iski goad mai bata... Aur kya gharme kya baat karni hai.. yahi bol jawaab de hai tere paas jawaab kiska baccha hai yeh aakhir baaki sabko bhi toh pata chale teri beti kitni badi ran*..
Kamala aur kuch sun na saki aur ghar ke ander chali gayi... Abhi aage Padma kuch kehti usse pehle ek tezz awaaz goonjhti hai..
Basss bhut ho gaya tum sab ka kab se bole jaa rahe ho tum log... Ek baar meri beti se toh puch lo ki sacchai kya hai... Bina poori baat sune baat ka batangadh banaye jaa rahi ho... Mujhe poora bhorsha hai meri beti aisa koi kaam nahi kar sakti jaisa tum keh rahi ho... Agar tumhari baat sahi sabit hui toh main tumhare pairon mai girkar maafi maangunga aur nahi toh tumhe meri beti se sabke saamne maafi maangni hogi... ( Yeh awaaz kisi aur ki nahi balki yashoda ke pita Tej Singh ki hai )
Yashoda jo itni der se sab kuch sun rahi thi sehh nahi paati aur apne pita ke gale lag fut fut kar rone lagti hai... TejSingh bhi apni beti ko dulaar kar shant krne ki koshish kar raha tha...
Yashoda bhi apne pita ke seene se lag kuch had tak himmat bator leti hai... Aage poori kahani sabke saamne suna deti hai... Jise sun kar sabke muhh khule ke khule reh jate hai.. kisi se kuch bolte nahi ban raha tha... Sab jaha yashoda ko pehle galat nazron se dekh rahe wanhi ab hairan the jo usne kal raat se le kar ab tak kiya hai... Padma ke toh muhh par tamacha pada aisa haal ho gya tha... Usne kitna kuch nahi keh diya tha yashoda ko... uske charitr ke baare mai ab woh kis muh se maafi maange yehi soch rahi tabhi woh dekhti hai sabka dhyan yashoda par hai... Jo abhi bhi bacche ko hath me liye apne pita keseene se lag roye jaa rahi aur sabka dhyan bhi un dono ki taraf dekh woh chupke se ghar se nikal jati hai bina kisi ki nazron mai aaye...
Kuch der baad TejSingh jab Padma ko wanha nahi dekhta toh baaki sab bheed ko. Bhi bhaga deta hai... Tamasha laga rakha hai kya yaha jao sab apna apna kaam karo majak bana rakha hai sabne meri masoom bacchi ka jao sab... ( Yeh sabd sunte hi sab aise bhaage apne ghar ko jaise snaap dekh liya ho kuch hi der mai poora angan Khali ho jata hai aur TejSingh apni beti ko le ander chal padta hai.. )
Ander ghar mai ek chota sa kamra tha jisse lag kar charpai thi ek pankha latka hua jo ghoom raha hai... Ek choti si kitchen aur bathroom aur chota sa aangan yeh hai yashoda ka ghar jisme woh apne maa papa ke saath rehti hai... Dekhne se lag raha hai Jane kab se colour tak nahi hua ghar mai paint ki papdi har taraf se utar chuki hai... aur chath par seelen bhi dekh sakte hai jo raat mai shayad paani se pad gayi ho...
Kher TejSingh apni beti yashoda ko charpayi par bithata hai... Jo abhi tak aasun Baha rahi uski aankhein saaf darsha rahi aakhir uski kya galti thi jo yeh sab uske saath hua... Woh bas iss masoom ko bachana chaah rahi thi magar samaj ki yeh halat dekh use Rona aa raha tha... Jo Padma uske maa saman thi woh aaj usper itna bada iljaam sabke saamne daal di thi... Kyun kisliye sirf samaaj mai apna naam bada karne ke liye... Unhone ek baar mere baare mai nahi socha mai toh unki beti thi na... Yehi soch uske man mai rukne ka naam nahi le rahi thi...
Jaise taise woh khud ko shant karti hai apne pita ko tab se usko sambhal rahe the unko ek baar fir bahon Mai bhar chup ho jati hai... TejSingh bhi apni beti ko pyaar de rahethe woh samjh rahe the beti kya shithi se gujar rahi hogi... Woh bhi samaaj mai rehte hai har dusre din aise batain unhe sunne ko milti hai... Kisi ki ladki bhaag gayi kisi ki bahu ka dusre ke saath sambhadh yeh toh roz ki kahani thi iss samaaj ki jo aaj use apne ghar tak phunch gayi thi magar use apni beti par poora yakeen hi in sabme himmat de raha tha jisse usne datkar saamna kar samaaj ke muh par rakh kar tamacha diya hai... Jo shayad abhi ke liye kaafi tha sab kuch shant rakhne ke liye...
Kher kuch der mai Yashoda shant ho jati hai lekin shayad uski kismat mai aaj Rona likha hua tha.... TejSingh apni beti ko chup Kara apni dharampatni Kamla ko awaaz deta jo kaafi der se use dikh nahi Rahi thi jab se drama shuru hua usne kamla ko dekha nahi tha... Woh idher udher Kamla ko na Parker kitchen mai jaaker dekhta hai toh dhaak se neeche gir padta hai... Jane kitni hi takleefo mai TejSingh himaat se datkar lada tha kabhi uski aakhon ne uska saath nahi choda tha magar aaj uski aankhein bhi uska saath chod deti hai woh phut phut kar rone jagta hai...
Apne pita ki awaaz sun Yashoda bhi baache ko khaat par chod kar kitchen mai jaaker dekhti hai toh uska bhi haal apne pita se bura ho jata hai... Uski maa kitchen ke fash par giri hui hai jiske muh se jhaag nikal raha hai... Jo pata nahi kab se jhagda ke beech mein yaha punch kar yeh kadam utha li thi... Dono baap beti ek baar fir bahon mein rone lagte hai... Unki pukaar khokle samaaj tak nahi jaa rahi thi... Jo kuch der pehle uske ghar mai mojoud tha... Yashoda kuch der baad age badh maa ko check karti hai magar uski maa duniya chod jaa chuki thi...
Shayad Kamla samaaj ke samne beti ka iss tarah dutkaar dena Seh nahi paayi... Gereeb ghar mai ek ijjat hi hoti hai jiske sahare woh ab tak khadi hui thi... Paristhiti kaise bhi thi apni beti aur pati ke saath usne har cheez ka datkar saamna kiya... Magar shayad uska wishwas kamjor pad gaya ya yeh keh sakte hai ki jo samaaj uske saamne nahi peeth peeche auron par baat karta... wohi aaj usse uska saamna hua toh woh jhel nahi paayi... Kaise apni jaan se pyaari beti ko sablog gher kar doshi thera rahe the... Kaise ek maa apni baachi jise nazo se paala usne kaise yeh dard seh paati... Samaaj ke jhoothe iljaam ne usse uski saanse tak cheen li... Aur usko woh kadam uthane par majboor kar diya...
Time 2:39...
TejSingh apne kuch Doston ka sahara lekar apni patni jise woh behad pyaar karta uski Chita ke saamne khada hua hai... Uske hath mai jal rahi lakdi use kaise woh apni patni ko aag ke hawale kar de.. jise kabhi chot tak na phunchayi ho usne... Aaj usi kamla ki Chita ko aag dene ke samay uske haath kaamp rahe hai.. reh reh kar use kamla ki baatain yaad aa rahi ki... Jo kabhi majaak mai usse kha karti thi ki woh suhagan marna chahti thi... TejSingh ek nazar Kamla ke chehre par daalta hai use kamla ki maang mai sindoor haath mai chudi payal dekh khud ko rok nahi pata aur lakdi Chita par daal kar rone lagta hai... Jise uska dost sahara deta hai...
Kaafi samay tak sab khade kamla ki Chita ko jalte hue dekhte rehta hai... Fir ek ek kar sab TejSingh ko santavana ke aakhiri sabd keh apne apne ghar nikal jate hai... Magar ek shaks abhi wohi ruka hua tha woh usse kuch kehna chahta magar shayad yeh jagah sahi na lagi use... Ya sabke saamne kehne se Katra raha tha... Woh TejSingh ko sahara de kar khada karta hai..aur saath lekar ghar ki aur chal deta hai...
Ghar par auraton ka jumawada ek baar fir laga hua tha.. magar iss baar sabki aankhon Mai jhoothi sahanubhuti thi... Jo TejSingh samjh chuka aur kuch na kehte hua ghar ke ander phunch jata hai..wanha uski beti abhi tak roye jaa rahi thi... Kya hua uske saath ek hi din Mai sab kuch ujad gya... Har koi usse sambhalne ki koshish kar rahe the magar uska dukh koi nahi samjh sakta jispe bitti hai wohi jaanta hai...
Kher Kaafi samay tak jamawaada bana raha fir sab ek ek kar apne apne ghar ko chal diye... ab wanha sirf TejSingh aur uski beti reh gayi thi woh ek nazar apne beti ko dekhta aur dewaar se peeth tika kar baith jata uski beti bhi kuch shaant si ho gayi thi... Aankh se aansun sookh gye the woh khaat par baithi kal raat se abhi tak hui ghatanao ke baare mai soch rahi thi...
Kaafi samay tak kamre mai sannata pasra hua tha tabhi... Baccha ki rone ki awaaz se baap beti dono ka dhyan Tut jata hai... Yashoda jo soch mai gum thi bahar nikal kar baache ko ek Nazar dekhti hai toh use yaad aata hai subh se usne kuch bhi nahi khaya hai jabki paida hota hi sabse pehle use maa ka doodh ki zaroorat hoti hai... Yashoda use utha kar check karti hai toh uska badan bhi garam ho raha hota hai... Woh bhaag kar baache ko le kitchen mai jaati hai aur uske liye doodh garam karti hai... Jo woh saath mai layi thi magar itna sab ho gaya jisse uska dhyaan hi nahi gaya...
Garam doodh karne baad use paani mai daal thada kar rahi ho hai.. tabhi use yaad aata hai woh kaha par hai jiss jagah thodi der pehle uski maa use chod kar chali gayi thi... Yeh yaad aate hi uski aankhein bheeg jaati hai jisse tapak kar kuch boond doodh mai bhi gir rahi hoti hai magar uska dhyaan kahi aur hi tha... Tabhi baacha ek baar fir kilkaari maar rota hai jisse uska dhyaan tutta hai aur woh apne aansun ponch ek nazar use dekhti hai wahi baith katori aur chammach ki madat se use doodh pilati h...
Baacha bhi chup chaap dhoodh peene lagta lgta subh se bhookha hone ke karan woh doodh Peeta rehta hai kab woh so jata hai pta nahi rehta... Yashoda bhi jab dekhti hai baacha so Gaya hai toh use le wapas kamre mai dakhil hoti hai jaha uske pita use dekh rahe the.. jaise puchna chaah rahe the kya hua...
Yashoda kuch na keh bacche ko khaat par litane ko hoti hai ki tabhi uska dhyaan apne hath ki ungli par jata hai jise baache ne kass kar padke hue tha... Jise dekh Yashoda ke chehre par ek baar fir muskaan tair jaati hai woh ungli chudane ki koshish krti hai magar baacha use chodne ko raazi nahi hota... Woh ek tak use niharti hai fir ek kiss use maathe par kar ' natkhat nand kishore ' kehti hai... Jise bolte waqt uske chehre par muskaan thi...
TejSingh kaafi samay se dono ko dekh raha tha usko apni beti ko dekh thoda khush hua magar aage aane waale samay bhi uski chinta badhaye jaa raha tha... Ab uske paas na ghar hai na naukri na gehene sab kuch usne apni beti ko nurse banne ke liye daav par laga diya tha... Yaha tak ki apni patni ki antim kriya ke liye bhi usne paise apne dost se udhar liye the jo woh kaise dega soch raha tha... Qyuki usse yeh baat pata hai udhaar dene wala lene waale ke saath kaisa salook karta yeh sab usne mai samaaj rehkar dekha hai... Abhi woh sab chup hai qyuki woh khud bure nahi Banna chahte lekin aaj nahi toh kal woh firse yaha aayenge jaroor...
Yahi sab baatain soch hi Raha tha saath uski nazar beti par tiki hui thi... Jise thodi der pehle dekh lag raha tha iske shareer mai Jaan nahi hai... Abhi ek pyaari si muskan tair rahi hai.....
Aise hi baithe kaafi samay beet jata hai baacha jo so raha tha use fir se bhookh lag uthtati hai woh rone lagta hai.. jisse Yashoda ki aankh bhi khul jati hai jo uske sir par hath fer baithe baithe hi so gayi thi... Yashoda dekhti hai baacha fir se rone laga hai toh laad pyaar use chup karne ki koshish karti hai... Magar bacha jab chup nahi hota toh doad kar kitchen mai jaakr dekhti hai toh doodh khtam ho chuka tha... Woh turant wapas kamre mai aake apni chunni doodnti hai use daal chappal pehen bahar jaane ko hoti hai ya hi uske pita use aawaj dete hai...
TejSingh... Tum rehne do beti doodh mai le aata hun...
Shayad woh bina kahe samjh gaye the beti kya karne jaa rahi hai... Abhi mamla garam hi tha isliye woh apni beti ko ghar se bahar nahi jaane dena chahte the... Qki bhookhe bhediye aise hi moke ki talash mai rehte hai... Unhe fark nahi padta samne waala kya mehsoos kar raha hai... Bas akele paakar raat ke andhere mai apni hawas kisi na kisi se mita kar unhe chod dete hai... Fir dusre din dusre shikaar ki talaash mai baith jaate hai... Pta nahi kitni zindagi inlogo ne barbaad kar chuke honge... Magar koi inke khilaaf kuch nahi kar sakta ameeron ko kaha fark padta hai police tak khareed lete hai...
Kher itna keh TejSingh dukaan ki taraf chal deta hai.. aur doodh ka packet le ghar ko chal deta hai... Ghar mai ghuste samay ek baar woh apne ghar ko bahar se dekh kuch soch raha hota hai... Shayad yeh ghar bhi ab uska saath chod dega jald hi apne aapne waale zindagi ke baare mai soch raha tha tabhi use Yashoda ki awaaz sunayi deti hai jo kab se apne pita ka intezar kar rahi thi... Jab bahar nikal usne pita ko gate par khade sochte dekh toh usne hosh mai lane ke liye une jhakjhor diya... TejSingh bhi soch se bahar nikal jald hi ghar ke ander chal deta hai.. doodh ka packet bina kuch kahe Yashoda ko pakada deta hai... Jise Yashoda bhi bina kuch soche jaldi se lekar kitchen ki taraf bhaagti hai...
Yashoda ek baar fir doodh garam kar use thanda karke bacche ko pilane lagti hai.. thodi der jab baacha so jata hai toh use le kamre mai khaat par lita deti hai aur uske baaju mai khud let use niharti rehti hai... Ek haath sir par ferte kab uski neend lag jaati pata nahi chalta... Raat bhi bhut ho chuki poora din jo kuch bhi hua sab uske dimag mai chal raha tha... Wahi TejSingh bhi paas mai padi kursi par baith apni beti ko dekh raha tha... Fir aane waale kal kebaare mai ek baar fir sochte sochte kab uski neend laggayi pta hi nahi chala...
( Update post kar raha hoon is baar like aim 20 likes ka hai... Batana kaisa laga mistakes btaoge toh aur aacha lagega but batana jarur... )
Keep supporting...
keep loving....
Coaching me busy ho raha shaam tak bhai... Isliye Raat tak Post karunga....Apne update dene ke vaado ko bhul gaye kya? update dene
( KALYUG... Part 3 )
( Friends and relatives / Dosti aur Ristedaar )
Morning... 7:34AM...
Thhhkkk thkkk thkkkk... TejSingh... TejSingh... Ander ho yaa bhaag gye... Darwaza kholo mai kehta hoon... Thkkkk thkkkk... TejSingh.
TejSingh jo kursi par baithe baithe hi so gya tha uska dhyaan darwaje par jata toh uth kar use khol deta hai... Khat khat se Yashoda ki neend bhi khul gayi thi... Woh bhi uth kar baith jaati hai tabhi kamre mai do log ander aate hai... Jimse se ek ko woh pehchanti thi... Yeh wohi ladka tha jo aaye din usse chedta rehta tha... Uske sath uska baap tha shayad... Jisse woh pehchanne ki koshish karti hai.. tabhi ek kadak awaaz use sunayi deti hai jo woh shakhs kehta hai...
Aadmi... TejSingh... Mujhe dukh hai jo kuch bhi kal hua uske baare mai sunkar magar uska mai kuch nahi kar sakta... Mai jaha yeh jaane aaya hoon ki mere paise ka kya hua... Jise tumne 2 maheene pehle dene ka wada kiya ab jo kal hua usme meri toh koi galti nahi hai na... Tum keh rahe the meri beti naukri kar Paisa chuka degi ab use bhi wanha se nikaal diya gaya hai... Ab Mera Paisa kon dega yeh batao... kal ko agar tum bhaag Gaye toh mere paise toh latke reh jayenge na batao kon dega Mera Paisa tum yaa tumhari beti....
TejSingh... ( Jo kaafi der tak sab baatain sun raha tha use pta tha yeh sab hoga lekin itni jaldi hoga usne yeh ummeed nahi ki thi... Kal hi toh patni ki Chita ko aag ke hawale kiya hai usne... Aaj apne saamne khade shaks ko dekh woh kya bole kuch samajh nahi aa raha yeh wahi dost tha uska jo saath dene ka dawa karta tha aaj muskill time mai yeh bhi uske saath bartaav dekh uski aankhein jawaab de gayi... ) Shersing mujhe thoda samay aur dedo... tum jante hi ho kal kya hua tha mujhe thoda samay dedo.. mai dost hun tumhara tum mujhe bachpan se jaante hai mai tumhari paayi paayi chuka dunga...
Shersing... Dost mera hai paise ka toh nahi na... Woh kisi ka dost nahi hota na... Kal ko tu na de paya aur tune bhi kuch kar liya toh apna paisa kisse manunga yeh bata... teri beti se jo ab naukri bhi nahi karti toh Mera Paisa kon dega... Hai kuch jawab tumhare paas...
TejSingh... ( Gidgidate hue ) Nahi nahi.. tum mujhpar bharosa rakho mai kahi nahi jaunga mai jubaan deta hun mujhe 1 maheene ki mohlat dedo mai tumhara saara karza chuka dunga...
Shersing... Mere maathe par chutiya likha hai kya.. yaa mujhe banane chale itne dino se paisa nahi chuka paye toh ek mahine mai kaha se doge batao mujhe... Hai koi jawaab tumhare pass... Mai yaha apna paisa lene aaya hun aur Paisa leke jaunga warna tum aache se jaante ho mujhe mai kya karsakta hun...
Yeh kehte waqt ek kameeni muskaan uske chehre par utar aate hai jise TejSingh samjh jata hai... Woh uske bete ko dekhta jo hawas ki najron se uski beti ko dekh raha hota hai... Woh samjh jata hai baap bete Jaan kar yaha jhagda karne aaye hai jiska woh fayda utha sake.. abhi woh kuch bolta uske pehle woh dekhta hai shersing ka beta uske kaan mai kuch kehta jise sun..ek kameeni muskaan se ek nazar woh Yashoda ko dekhta hai neeche nazron kiye aakh se aasun Baha rahi thi...
Shersing... Theek hai mai tujhe ek mahine ka time aur deta hun agar paise ka intzaam nahi hua toh yaad rakhna agli baar yaha se khali haath nahi jaunga.. ( ek nazar yashoda par daal dono baap bete nikal jaate hai... Aane wale kal ki planning karne unko pta tha TejSingh kabhi ek mahine mai unka Paisa nahi de sakta fir woh jo karenge uske baare mai soch dono khushi se ek tahaaka maar dete hai aur apne ghar ki taraf nikal padte hai... )
TejSingh bhi unki baatain unke haav bhaav se samjh chuka tha ki woh aage kya karne waale hai.... Usne apni zindagi jee li thi use apni beti ki fikar hoti hai woh kaise bachayega apni beti ko un haiwaano se.... Qyuki aaj nahi toh kal woh yaha fir se aayenge... Aur ek mahine mai itni badi rakam ka intjaam karna bhi muskill hai... Ek nazar woh apni beti ko dekhta hai... Abhi tak nazrein zameen par gadaye hue thi.. dar se hath kaamp rahe the uske... Usko bhi andaja tha ki woh log kya karne ka keh gaye hai...
Aane wale pal ka soch uski ruhhh tak kaamp chuki thi... Usko apna kal dikh raha tha kya hoga uske saath woh abhi se dekh paa rahi thi... Tabhi ek haath uske kapte hathon par use mehsus hota hai... Woh nazar utha kar dekhti hai toh uske pita use sab theek hone ka aasvasan de rahe the... Woh dikha rahe the main tumhare saath hoon tumhe kuch nahi hone dunga... Jisse Yashoda bhi thodi bhut sambhal gayi thi... Uske pita uske saath hai yeh dekha usme thodi himmat aayi magar ek mahine mai itna paisa dena sambhav nahi yeh khyaal bhi uske dimag Mai ghoom raha tha...
Aage aane pal ne ek baar fir use soch mai gum kar diya tabhi.. baacha ek baar fir roone laga jisse Yashoda ka dhyaan bhi uspar jata hai woh aage badh use goad me utha leti hai ek nazar apne pita ko dekhti hai... Jise dekh TejSingh samjh jaata hai aur ghar se bahar nikal chal deta hai...
Poore Raaste Tej Singh ka dimaag chalta rehta hai... Kal hi beti ka rista tuta hai aur shayad woh log bhi uski madat na kare na shaadi ke liye maane... Usko bas apni beti ko kaise bhi kar surakshit karna tha ... Jo iss sheher mai rehkar toh hona sambhav hi nahi tha... Ek khyaal uske man mai yeh bhi aa raha tha ki use khud se door karke sahi kar raha hai ki nahi.... Kya uski beti Jo abhi ** saal ki hai bhale hi badi hai magar bin maa baap ke kaise surakshit reh sakti hai... pita se saaye se jayada kya surakshit ho sakta hai bacchon ke liye... Magar wo haalat ko bhi andekha nahi kar sakta tha abhi ke haalat mai uska saath rehne se jayada door rehna behtar lag raha tha...
Tabhi dukaan aa jati hai aur woh doodh ka packet le ghar ki taraf chal deta hai... Wohi lautate waqt woh doodh ke packet ko dekh sochta hai... Ab akeli toh nahi hai beti meri ek zimmedari bhi aa gayi hai uske upar... Yehi uske akele mai uska saath degi... Aur jeene ki wajah bhi.... Soch kar uske chehre par muskaan aa jati hai aur woh ghar mai kadam rakh deta hai... Beti toh uski gate par hi moujood thi ki kab uske pita aaye kab woh unse paket le doodh garam kare baacha bhookha hai subh se... Woh yeh bhool gayi thi ki usne aur uske pita ne bhi kal se kuch nahi khaya tha... Magar use khud ki bhookh na dikh baache ke liye vyakul hote dekh TejSingh ki aankhe bhi nam ho gayi... Fir man hi man TejSingh kuch faisla karta hai...
Apne pita ko soch mai gum dekh Yashoda kuch nahi kehti bas hath se doodh ka Packet le kitchen mai chali jaati hai... TejSingh bhi Yashoda ko jaata dekh kuch sochte hue ghar se bahar nikal jata hai...
Late night... 11:27 PM...
Location... Bus Service Station...
TejSingh.... Kamalnath.. bhut ehsaan hai tera mujhpar Pata nahi iss janam mai main tera karz chuka paunga yaa nahi... Bas iss zanam mere upper ek aakhri upkar aur karde... Meri beti ko sahi salamat yaha se door le jaa warna woh bhediye meri beti ko noch dalenge... Main jaanta hun un kameeno ko aache se aaj nahi toh kal woh meri gair mojudgi mai Agar mere ghar aa gye toh mai kaise apni baachi ki raksha kar paunga... Pasion se woh kuch bhi kar sakte hai main unka saamna nahi kar paunga... Meri aakhiri umeed lekar mai tumhare paas aaya hun... Yeh madat karde mere bhai mai tera zindagi bhar ehsaan mand rahunga...
Yashoda jo kaafi der se apne pita ki baat sun Rahi thi... Hairaan thi ki akhir yeh sab ho kya raha hai... Woh raat mai baache ko doodh pila so rahi thi tabhi uske pita usko yaha le aaye... Woh pita se puchti rahi ki hum kaha Jaa rahe hai itni raat ko pitaji.. magar TejSingh ne use kuch na bataya aur yashoda ka kuch samaan ek puraane se bakse mai rakh ghar se nikal yaha uske chachere bhai kamalnath ke paas aa phuncha.... Jaha yashoda hairan sab kuch samjhne ki koshish kar rahi thi wohi TejSingh Kamalnath ko sabkuch bta deta hai jo kuch woh kal aur aaj hua...
Asal me Kamalnath bus service mai kaam krta tha aur apni patni ke saath dusre sheher mai rehta hai... Kabhi kabhi jab sheher ka chakkar lgta tha toh yaha apne bhai se milne aa jaya karta tha... Kamalnath ne apne bhai TejSingh ki kayi baar paiso se madat bhi ki thi... Waise toh woh bhi middle class family se hai do baache uske dono beti Yashoda ke Umr ke lagbhag hi hongi... paison ki jarurat use bhi rehti thi magar uska gujar basar chal jata tha... Bus se aachi khaasi kamayi ho jaati thi uski... jo ghar chalane ke liye paryapt thi...
Yashoda apne pitaji ko dekhti toh kabhi apne chacha ko... Woh soch hi Rahi thi abhi kuch bolne ki himmat nahi ho rahi thi usme...
Wahi Kamalnath TejSingh ki baatain sun jaha hairan hua bhabhi ka sun use dukh bhi hua ki itna sab kuch ho gya.. woh aaj iss sheher mai bhut samay baad aaya tha... Uski biwi ko uska yaha aana aur TejSingh se milna pasand nahi tha... Karan yehi tha ka kahi na kahi use lagta tha TejSingh uske pati ka fayda utha raha hai.. Meethe meethe baaton Mai fasa use loot leta hai... woh bhi gareeb ghar se aayi thi shaadi ke bhut din usne aise bhi dekhe jab ghar mai khane ko kuch nahi tha... Magar uska pati uske saath khada raha aur apni mehnat se aaj uske sir par chath aur aachi naukri hai... Aise mai woh nahi chahti thi ki TejSingh ki wajah se use fir se woh din dekhne pade... TejSingh uski nazar mai berojgar kisi kaam ka nahi tha... Na uske saath rista rakhne ke liye uske paas paise the...
Ji haan is kalyug mai riste bhi paise dekh kar rakhe jaate hai... Jitna jayada paise waale utne Jayda cahhne waale uske...
Kher Kamalnath abhi soch hi Raha tha ki kaise woh apni Yashoda ko ghar leke jayega... Aur jab uski biwi ko pta chalega toh woh kya bakheda karegi woh yahi soch raha tha... Pichli baar bhi jab woh TejSingh se mila tha aur uski kuch madat ki thi paise de kar... Yeh baat uski biwi ko pta chal gayi uss din dono mai kaafi kaha suni Hui thi.. kafi din tak biwi ne usse baat bhi nahi ki thi... Ab firse woh yeh sab nahi chahta tha apne ghar mai... Magar halaat ko madde Nazar rakhte hue use TejSingh se Na karna bhi sahi nahi laga...
Kamalnath... Kya Yashodha sirf teri beti hai meri kuch nahi lagti kya... Chinta Mat kar mere do nahi teen beti hai... Tu bas apna khayal rakhna.. iska mujhspar chod de...
Thodi himmat jama kar kamalnath itna hi bol pata hai jise sun TejSingh jo chinta bhare nazron se kamalnath ke bolne ka intzaar thodi Rahat hoti hai... Wahi isse palat Yashoda ki haalat ek baar fir kharab ho gayi apne pita ko akela chod kar jana use pasand nhi aa raha tha... jab use pta tha uske jaane ke baad yaha kya hona hai...
Yashoda... ( Aankh seaansun bahate hue apne pita ki kalayi pakad leti hai himmat krke ) Nahi pita ji mai aapko chodd kar kahi nahi jaungi... Agar Jana hi hai toh aap bhi humare saath chalo warna mai kahi nahi jaungi...
TejSingh... ( Apni beti ka pyaar dekh aakhen nam ho jaati hai beti ke sir par ek haath ferte hue kehta hai ) beti tujhe yaha ke halat pata hi hai kaise hai agar mai bhi tere saath chal dunga toh sabko pata chal jayega hum kaha gaye hai... Paison ki madat se woh hume dhoondh nikalenge.. fir mai chah kar bhi tumhari madat nahi kar paunga... Mera yakeen maan beti mai jo kar raha hun hum teeno ki bhalayi ke liye kar raha hoon.. ( ek ishara baache ki taraf kar deta jisse woh apni family ka sadasya maan liya tha.. ) aur jaise hi halat theek honge mai waha tumhe lene wapas aa jaunga bas kuch din intjaar kar lo Mai wada karta hun tumse jald hi mai waha tumhe lene aa jaunga...
Yashoda... ( Ki chinta abhi bhi khtam nahi hui thi ) lekin pita ji yaha woh.....
TejSingh... ( Hath ko majboot pakad bana kar ) Bharosa rakh sab theek ho jayega... Tu chinta mat kar mai bhi yaha se jaldi door chala jaunga... Waada kiya hai na jald hi tujhse milne aaunga....
Yashoda abhi kuch aur kehti ki bus driver Kamalnath ko awaaz de chalne ko bolta hai... TejSingh bhi apni beti ke kandhe ko pakad bus ki taraf chal padta hai... Aur apni beti ko bus Mai baitha pyaar se uske sir par hath fir jhuk kar maathe par ek kiss karta hai aur baache par bhi ek kiss kar deta hai... Baacha neend mai uski ungli jor se pakad leta hai.. jaise use jane se rok raha ho.. jise dekh TejSingh ke chehre par bhi ek muskurahat aa jati hai... Aur woh apna haath baache se chuda bus se neeche utar jata hai...
Yashoda apne pitaji ko khidki se dekh rahi thi... uske pita ne wada kiya tha woh jald hi usekene aayenge.. par pta nhi Uska man vyakul ho raha woh uthkar bahar aane ko hoti hai ki bus chal deti hai... Yashoda ek baar fir aasun bahate hue pitaji ko dekhti hai pukarti hai magar bus jaate hi TejSingh palat jata hai shayad apne aansun chipa raha ho...
TejSingh... Mujhe maaf kar dena beti shayad humhara saath yahi tak likha tha... Shayad mai aacha pita aacha pati na ban saka... Magar pyaar kabhi kam nahi hua tumhare liye... Yaad hai mujhe jab tumhe pehli baar goad mai uthya tha aur woh pal bhi jab pehli baar tumhare muh se maa ki jagah papa nikal tha... ( Aankhon se aasun bhahate hue wahi paas ki dewaar se sir tika baith jata hai ) mai tumhe kuch nahi de saka beti meri itni haisiyat hi nahi ki mai tujhe kuch de sakun.. bass pyaar mai koi kami nahi hone di.. jo kuch tha sab daav par laga tujhe doctor banana chahta tha... Magar dene ko ghuus nahi thi toh nurse hi sahi.... Mujhe maaf kar dena maine tujhse jhooth bola ab shayad hi tu apne baap ko kabhi dekh sake... Agr mai aisa nahi karta toh woh bhookhe bhediye tum tak phunch jaate aur mai apni phool si beti ke saath aisa kaise hone de sakta hun... Mujhe maaf kar dena...
Kaafi der baithe rehne ke baad uthkar chal deta hai apne ghar ki taraf... Jo poora Khali pada tha kamre mai ander jaa woh gate ko band kar leta hai...
Next Day Morning... 6:35 AM
Location... ****** Kamalnath house...
Kamalnath apni biwi Manju ke saamne baitha tha paas mai hi Yashodha khadi dono ko dekh rahi thi... Manju subh apne pati ko wapas aaya dekh khush hoti hai aur ander bula chai banane ko chali jati hai bina peeche mude... Kamalnath bhi Yashodha ke saath ghar mai ande chal deta hai... Tabhi Manju bhi kitchen se chai lekar aa jati hai.... Aur apne pati ko ek ladki ke saath aaya dekh hairaan hoti hai.. saath mai pareshan bhi qki ladki ke hath mai baccha tha... Use dekh pta nahi kitne khyaal aa rahe the uske man jise woh rok nahi paa rahi thi aur chalti hui apne pati ke saamne baith jati hai...
Manju... Mujhe btaoge yeh kon hai... Aur yaha kyun hai...
Kamalnath ko samjh nahi aa raha tha woh kya bole... Qki use pta tha abhi kya hone wala hai... Tabhi woh Manju ko kamre mai chalne ka ishara karta hai... Jise dekh Manju kuch soch uthkar apne kamre mai chali jati hai... Yashoda ek nazar dono ko dekh rahi thi... Kamalnath bhi uske peeche phunch gate band karta hai... Aur use shuru se laker ab tak jo kuch bhi hua sab bta deta hai... Jaise hi Manju yeh sunti hai ki Yeh TejSingh ki beti hai gusse mai aag babola ho jati hai... Aur bhar bhar kar TejSingh ko galiya dene lagti hai... jiski awaaz bahar baithi Yashoda ko bhi sunayi padti hai...
Manju... Are paal nahi sakte toh paida kyu kiya tha apni beti ko... Aur beti bhi aisi ki chi chi... Pta nahi kiska paap goad mai liye ghoom rahi hai... aur tum itne Mahan banne ki koi jarurat nahi hai... Yeh yha nahi rahegi abhi ke abhi ise bahar nikaal do warna tum jaante ho mai kya kar dungi pichli baar maaf kardiya uska natija yeh nahi ki aaj tum uski ladki ko ghar le aao... Are kam kam se kam yeh toh dekho uska charitr kaisa hai... Ab agar isne yaha bhi yeh sab kaam shuru kar diya jiski wajah se iske baap ne ise bhaga diya hai tou kya hoga jawaab hai tumhare paas tumhari bhi 2 betiya hai... Kal ko koi iska aashiq yaha tak phunch gya usne meri beti ko bhi iske jaise samjh kuch harkat karne ki koshish ki toh tum kya karoge jawaab do jab iska koi aashiq ki nazar meri beti par padi tou tum kaise apni beti ko bachaoge....
Kamalnath... Manju tum faltu mai baat ko badha Chadha kar bol rahi ho aisa kuch nahi woh baacha toh....
Manju... haan haan pta hai... Mai tumhe thoda bhut akalmand samjhthi thi but tum poore morkh ho TejSingh ne kaha aur tumne maan liya... aisa hi tha toh apni beti ke saath kyun nahi aaya kyun use akela chod diya shayad woh bhi apni beti ke gande kaam ke baare mai Jaan gya hoga...
Kamalnath... ( Gusse mai tez awaaz mai ) Manju.... kuch bolne se pehle soch liya karo kya keh rahi kiske baare mai keh rahi ho... Bhaiya ko mai aache se jaanta hoon aur yashoda bitiya ko bhi... Woh aisa kuch nahi ki hai sab man gadant kahani banaye jaa rahi hai tu...
Manju... Tumhare chillane se sacchai nahi badal jayegi woh ek raa** hai jo dhanda..... Aahhh..
Ek thappad ki goonj kamre mai sunayi padti hai...
Kamalnath.. chup ek dum chup kab se jo man mai aaya bole jaa rahi hai rukne ka naam nahi le rahi... yeh yahi rahegi kaan khol kar sun le...
Manju... ( Rote hue ) haan haan maaro mujhe.. mai pagal kutiya hun na Jo bhonke jaa rahi hoon... anpad hoon iska matlab yeh nahi mujhe kuch pta nahi kya chal raha samaaj mai.. kal ko baaki sab ko yeh baat pata chalegi... Toh kiss kiss kam muh band karoge aap, sab log gandi gandi baatain banayenge... aap kiss kiss ka muh band karenge, iske saath saath woh meri beti ke baare mai bhi ulta seedha bolenge... Mai ek maa ho kar kaise apni beti ke baare mai bura sun sakti hoon... Ek izzat hi hai humare paas aur yeh jo badi mehnat se kamaya hai... Kya hoga jab koi beti ke baare mai hume ganda bole bolo... Isse aacha ek kaam karo mujhe aur meri betiyon ko zeher de kar maar do fir bhale hi apni ek aur beti ke saath reh Lena... Mai apni betiyon ke baare mai samaaj se kuch nahi sun sakti...
Aur bilakh bilakh kar rone lagti hai... Kamalnath bhi maju ki baatain sun kar sunya ho jata hai... Wanhi bahar Yashoda dono ki baatain sun rahi thi....
{ Likes complete nahi ho rahe yaar aap sab se kaise kaam chalega iss hisaab se toh bas 12 log hi meri story padhte hai tou kyun na unko message mai bhej diya krun.... Isse engagement pta chalti hai kitne log aapke story ko pasnd kar rahe hai.... Views aa rahe hai 2k likes 20 nahi ho rahe... Hhhh ek baar firse 20 likes ka Target hai please thoda.. samay nikal kr de jara... Comment mai bataye update kaise laga I know late hai thoda... )
keep loving...
keep supporting...
nice..........( KALYUG... Part 3 )

awesome ..........( KALYUG... Part 4 )
( Matlab ki duniya... / Pita ka waada )
1 Hour later....
Location kamalnath house....
Kamalnath ko kamre mai kaafi samay ho gaya tha... Woh bhut der tak apni biwi se behes krne ke baad jab room mai baitha hua tha... Toh soch raha aakhir kya karna chahiye... Usne TejSingh ko wada bhi kiya tha aur yashoda ko aise chod bhi nahi sakta tha... Aise anjaan seher mai akeli Yashoda jaha woh kisi ko jaanti bhi nahi thi... TejSingh ko bharosa tha uska bhai yashoda ka khyaal rakhega magar kamalnath apne ghar mai jhagda bhi nahi chahta tha... Woh bhi jab uski do betiyan ghar mai hi Hain...
Kya kare soch uska sir dard Krna laga... ant mai usne Yashoda se baat kar iss samasya ka hal dhoondne ke liye jab room se nikal hall mai aaya toh dekhta hai Yashoda waha hai hi nahi na hi uska samaan...
Kamalnath chehre ka rang udd jata hai Yashoda ko waha na dekh kar... Use samjhte der nahi lagti ki usne jo baatain biwi k saath hui thi sun li thi... Dil tez tez dhadak raha tha yeh soch kar ki woh Tej Singh ko kya jawaab dega jisne yashoda ki jimmedari use di thi ek anjaan seher mai uspe bharosa kar bhej diya tha...
Bhale hi TejSingh ne apne fayde ke liye Yashoda ko khud se door kiya tha... Lekin fir bhi kamalnath ki zimmedari thi usko surakshit rakhna... Chahe kaise bhi halat ho.. kamalnath jaldi se ghar se bahar nikal road par idher udher yashoda ko dhoondne nikal padta hai lekin Yashoda kahi nahi dikh rahi thi...
Ghanta bhar beet gya tha yashoda ko dhoondte hue.. paseene se bheeg chuka tha kamalnath pair dard karne lage the usne moholle mai har aadmi har bacche har dukaan par pucha lekin Yashoda kahi nahi mili.. thak haar kar kaamfi time beetne ke baad jab uski himmat Tut gayi toh ek mandir ki ssedhiyon par baith gaya... Bhagwan se yashoda sahi salamat surakshit ho yahi kamna kar raha tha... Sath hi aage kya kare iss baare mai bhi soch raha tha...
Wohi iske opposite mandir ke dusre gate ki ssedhiyon par yashoda ek bag aur hath mai bacche ko liye apne aane waali zindagi ke baare mai soch rahi thi... Iss naye sheher mai ab woh kya kare... Jo kuch bhi usne apne chacha ke Ghar suna uska dil gawahi nahi de raha ki uski wajah se uske chacha jinke kitne ehsaan the uske pita par unko takleef phunche... Iss liye woh waha aur ruk na saki aur saman le bahar nikal gayi... Magar samasya abhi bhi wohi thi ki woh jaye kaha kare toh kya kare...
.
Woh wapis apne seher bhi nahi jaa sakti thi qki usko ab tak samjh aa gaya tha ki unlog ko uske baare mai pata chal gaya hoga aur woh use waha dhoondh rahe honge... Aur iss naye sheher mai bhi woh kisi ko nahi jaanti thi aur wapas jaane ke liye bhi uske paas paise bhi nhi the... Thak haar kar woh bhi mandir ke bahar bas bhagwan se prathana kar rahi thi uski madat ki guhaar laga rahi thi...
Evening time... 7:45 pm...
Dheere dheere yeh din bhi dhal Gaya aur subh se raat ho gayi kamalnath bhi dukhi man se apne ghar ko wapas lout gaya... subh se bhookhe pet woh poore sheher mai Yashoda ko dhoond raha tha jab Suraj dalne laga toh woh bhi himmat Tut gayi aur apne ghar laut gaya... bas ek hi prathana kar raha tha ki Yashoda jaha kahi bhi ho theek ho... Ghar pahunchte hi uski biwi baache bhi pareshan the woh bina kuch bataye ghar se nikal gaya tha... Manju ko Yashoda ka pta tha magar uski beti uske yun jane se darr gayi thi...
Ghuste hi sawaal jawaab chalu ho gye sabke kamalnath shaant bas sabki baatain sun raha tha... Usko apni biwi Manju par bhut gussa aa raha tha aur apni betiyon par bhut pyaar bhi uski fikar karte dekh kar... Kaafi time laga sab kuch shant hua sab usth kar apne apne kamre mai chal diye... Kamalnath ki Biwi manju bhi uske peeche phunch gayi... Usko dekh kamalnath ko gussa aaya usne kheech kar ek chanta uske gaal mai diya... Jisse woh bed se gir padi...
Aankhon mai aansun bhar woh kamalnath ko dekh rahi thi jaise puchna chaah rahi thi q... Magar kamalnath ne uske q ka koi jawaab nahi diya aur chup chap bed ke dusre side let gaya... Woh nahi chahta tha ki koi baat kahe jisse uski betiyon par bhi uska galat asar pade... maa baap ke ghagde ka bacchon par bhi asar padta hai society mai reh kaafi dekh raha tha woh...
Bina kuch bole kamalnath bed par let gaya tha... Aankhon mai neend uske kahi nahi thi bas chinta thi Yashoda ki woh kaisi hogi raat ka samay hai woh bhi anjaan sheher... Manju bhi thappad padne ke baad samjh gayi thi ki yeh kyun hai... Woh kuch kehna chaah rahi thi magar kamalnath ka gussa dekh uski himmat nahi ho rahi thi... Magar woh abhi bhi khud ko galat nahi maan paa rahi thi usne jo kiya apni bacchiyon ke liye kiya... Woh kamalnath ko samjhana chahati thi magar yeh samay use theek nahi laga baat krne ke liye.. uth kar woh bed ke ek taraf let gayi neend uski bhi gayab ho gayi thi ek tak kamalnath ko dekh rahi thi jo sach mai gum tha...
Kamalnath ne bhi ek baar Manju ki taraf dekha aur bed ke baad mai light waala button daba kar lights off kar di... Poore kamre mai shanti chaa gayi... Dono mai se koi kuch nahi keh raha tha halaki dono jaag rahe the... Manju ko lag raha tha kamalnath abhi keval gussa hai thode time baad unko apni baat samjha kar mana legi... Yehi soch kar usne apne aansun ponch aankhen band kar li kuch der mai neend bhi aa gayi... Ab yeh upar waala hi janta tha kamalnath ki narazgi Manju se kab tak rahegi...
Location Temple... Time 9:38 pm...
Dusri taraf madiir mai... Subh se shaam aur shaam se raat hone chali thi. Yashoda wahi seedhiyon par baithi thi tek lagakar ki syad koi uski madat kar de.. subh se shaam tak pta nahi kitne hi logo ko usne madat ke liye kaha... Lekin har koi apni samasya ko dekh dusro ki madat nahi karta... Yehi kalyug ki sacchai hai...
Raat tak Kai logo ko madat se inkaar kar dene ke baad ab uski bachi khuchi himmat bhi jawaab de rahi thi.... Sabse jayada Rona use iss baat par aa raha tha subh se baacha bhookha hai Jo abhi 3 din ka hua hai... Dhoodh khreedne liye bhi uske pass paise nahi hai... baccha bhi subh se rote rote so gya tabiyat bhi theek nhi uski woh kya kare kuch samjh nahi aa raha tha... Kismat par rone ki sivay woh kar bhi kya sakti thi...
Mandir ke gate bhi band ho gye the saamne dhoondh ki dukaan bhi kuch hi pal mai band hone waali thi... Yashoda ek baar fir bachi khuchi himmat bator kar dukan ke paas jati hai aur usse apne bete ke liye thoda dhoondh maangti hai... Magar dukaan waala dhoondh dene se saaf inkaar kar deta hai... Yashoda uske haath jod leti hai... Magar woh Tass se mass na hua...
Aay din roz woh kisi na kisi ko dekhta rehta hai... Madat ke liye guhaar lagate hue kuch sach mai madat maanngte hai kuch madat ke naam par bhi apna Ghar chalate hai... Ek do ki madat woh kar bhi deta hai magar din bhar kisi ki madat karta raha toh ghar dukaan band krne padegi aisa uska sochna tha... Yashoda haar nahi maanti aur viniti karti hai... bhale hi usne baache ko janam nahi diya magar uske ander Mamta baache ke liye jaag gayi thi... Jisne use baache ko uska beta thehra diya tha...
Time bhi kaafi ho gaya tha dukaandar ko bhi dukaan band krni magar yashoda ko na hatte dekh woh bhi tang aa jata hai... Aur ek dhakka lga deta hai jisse yashoda dukaan se thoda bahar ko girti hai.. aur ek chota patthar jo paas mai hi pada tha uske sir mai jaa lagta hai... Dukaan waala palat kar yashoda ko dekhe bagair dukaan band kar nikal jata hai... Yashoda bhi patthar ke lagne se behosh ho jaati hai... Kamjori use pehle se thi 3 din se usne kuch khaya bhi nahi tha...
... Late night 3:15 AM...
Hhhhh hhhh Padko pakdo dekho woh kaha gya hhhh hhhh... Bachkar nahi jana chahiye...
Ek aadmi galiyon mai bhaag Raha tha sakal se hi chor dikhayi pad raha tha... Uske peeche 4,5 police waale bhaag rahe the .. jinhe pta nahi kitne dino se uski talaash aur aaj woh patte waalo par jab chapa maarne gye toh unhe woh mil gya jiske baad sab jugadi logo ko chod iske peeche pad gaye... Aadmi bhi bhaagne mai tez tha lagatar woh police waalon ko chaka raha tha... Chauraha par phunch kar jab use laga ki police uske peeche nahi hai tabhi use fir se unki awaaj sunayi deti hai jise sun woh ek dewaar se tek laga baith jata hai...
Hhhh hhhh yahi kahi chupa hoga patil tum do logo ke saath uss taraf jao... Dhoondo use iss baar bachkar nahi jana chahiye.... Naak mai dum kar rakha hai isne... bach kar jana nahi chahiye warna tumhari khaal alag kar dunga...
Aadmi sab kuch baith kar sun raha tha... Thodi hi der mai police waale waha se right aur left nikal gye... Tabhi usko thodi tasalli hui...
Aadmi... Hhhhhh Bach gya Aaj toh uss behen ke lode nazim ke chakkar mai yeh saala daroga meri gaand hi maar leta... Saala pta nahi kyun meri gand ke peeche pada hai kutta behen ka loda... Saale ki biwi deti nahi hogi isliye meri lene par pada hai... Ab kuch din chup kar lund pakad kar baithna hoga nahi yeh agar pakad liya toh mera lund Muth maarne ke layak bhi nahi chodega gaand ka gufa alag bana dega.. Iss nazim ki gaand bhi baad mai hi marunga abhi woh wapis aaye isse pehle mereko cut lena chahiye....
Yehi sab soch woh uthkar ek baar road par idher udher dekh hi Raha tha tabhi use kahi se bacche ki rone ki awaaz sunayi deti hai... Woh idher udher dekhta hai tabhi use paas waali dukaan ke paas aurat dikhayi padti hai.. jiske paas mai hi baacha ro raha tha... Ek pal toh woh bhi dar jata hai kahi uske rone ki awaaz sun police wapis na aa jaye... Woh aage badh hi Raha tha ki use man mai uske papa ki awaaz sunayi deti hai... Jo Marne se pehle uske pita ne usko kaha tha...
Short flashback...
Beta... Beta Tony... Mujhe tumse kuch kehna hai beta...
Tony... Haan pita ji.. dariye nahi aapko kuch nahi hoga...
Pitaji.. Har ghar mai ek khota sikka hota hai humare ghar mai hum dono hi nikle.... Apne ghar mai bhi Ek hi hona chaiye Aur woh mai rhunga aur mere baad koi nahi hoga....
.
Tony.. bas kijiye pita ji....
Pitaji.. hospital mai aate aate meri zindagi ki poori reel mere saamne se gujar gayi... Saari zindagi mai maine khud par garv karne waala koi kaam kiya ho mujhe yaad nahi aaya bete.. Maine aaj tak jo bhi kaam kiye uska aant aaj mere saath hi ho jayega beta marne ke baad koi mujhe yaad kare aisa koi bhi kaam maine nahi kiya... Kisi ka bhala kiye bagair jaa raha iss baat ka bhut afsos ho raha hai... Maine tujhe apne jaisa banaya iss baat ka mujhe koi dukh nahi magar meri tarah zero bankar nahi marega tu... HaR insaan ki shuruaat zero se hi hoti hai magar life sabko hero banne ka chance deti hai bhut se log mauka kho dete hai maine bhi kho diya beta... Life tujhe bhi hero banne ka ek mauka zaroor degi use mat khona... mauka khud chal kar tumhare paas aayega use pakad kar rakhna... Fir dekhna woh aacha kaam dekh kar tumhe khud par garv mehsoos hoga... Aisa kaam kiye bagair agar mere paas aaye toh Tony tujhe maaf nahi karunga...
Tony... Pitaji mai aapko kuch nahi hone dunga sab theek kar dunga...
Pitaji... Tujhe chod kar jaunga bhi kaha beta... Marne ke baad bhi tera peecha nahi chodunga.... Aahh kabhi terreaa saaathh nahiii chodunga.... Aahh kaaabbhi nahhiii....
Flashback end...
Ek baar fir Tony Yashoda ki taraf dekhata hai... Sir par chot lagne se khoon nikal raha tha uske... Paas mai baacha bhi ro raha tha... Jise woh yashoda ke haatoh se apne hath mai le leta hai... Ek nazar baache ko aur yashoda ko dekh kuch sochte hue nirnay leta hai... Aur idher udher dekhta hai tabhi use kuch nazar aa jata hai jise dekh uski aankhein thodi chamak aa jati hai....
( Mai dil se chahta hoon yeh story likhna aur complete karna please story padhne ke saath thodi help bhi kar do aap par nahi mujh par yeh like kar diya karo update kam se kam mujhe pta toh rehna chahiye meri story koi padh raha hai ki nahi... Agr aise hi raha toh jald hi mai story band kar dunga.... Please padne ke saath story par 20 likes bhi kar dena... )
Keep supporting...
keep loving...
nice...( KALYUG... Part 5 )
( Zero To Hero... Intro..)
Early morning... 5:15 AM...
Hhhh... Hhhh... Hhhh... Bas pahunch hi gaya... Thoda sa aur Tony bas
Khud se hi baat kar Tony kaafi der se thele ko chalaye jaa raha tha... Jispe usne yashoda aur baacha dono ko lita diya tha... baccha abhi bhi ro raha tha wohi yashoda behosh thi
......
Tony ko samjh nahi aa raha woh uski madat kaisekare pehle socha yaha se chalana chahiye ghar baaki wohi sochega aage kya karsakte hai... Usne Jaise taise karke Yashoda ko utha kar thele per lita diya... Maathe se bhut khoon abhi bhi nikal raha tha usne apni shirt ki aasteen fad kar uske sir par bandh di... Aur bacche ko uske paas lita kar thela le ghar ki taraf chal diya... Abhi uske dimag se police kar darr nikal chuka tha aur kismat bhi uske saath thi ki police waha se chali gayi thi...
Kaafi mehnat masakkat karne ke baad Tony thele ko lekar apni basti mai phunch gaya... Jaha usko maasi mill gayi raaste mai jo paani bhar rahi thi... Subh 6 baj gye the pahunchte pahunchte iss samay basti ki saari auratain paani bharne nal par phunch jati hai... Tony ka poora bachpan yaha gujara tha pehle maa thi uske jaane ke baad papa hi uske sab kuch the... Woh bhi kuch samay pehle hi chal base... Ristedaar ke naam par ek mausi hi thi Tony ki jo madat kar deti thi... Tony ko do time ka khana mausi ke Ghar hi hota tha... Aur pita ke jaane ke baad toh woh uske saath hi rehta tha... Khud ke ghar mai ghutan hoti thi use...
Aeee... Tonyyyy.. kidher se aa raha hai aur yeh ladki kon hai tere saath... Kya hua ise...
Mausi Tony ko dekh puchti hai... jo kaafi der se nal ki line mai apna number aane ka intezar kar rahi thi... Woh Tony ko apne bete ke jaise hi maanti thi... Tony ki maa ki badi behen thi dono behno mai bhut pyaar tha tabhi choti behen ke jaane ke baad usne Tony ki poori dekhbhal ki maa ki kami nahi hone di use... Woh Tony ke pita se kaafi gussa rehti thi... Pita Tony ke choRi , lootmaari, gundagardi... Yehi kaam tha unka aur unke saath reh rehkar Tony bhi waisa hi ban gaya tha...
Woh Tony ko bhut samjhati thi magar Tony kha kisi ki sunta 2 no. Ka kaam jitna gairkanoni hai... Utna hi Paisa usme hota hai... Tony ne padhai likhayi bhi nahi ki thi muskill se apna naam likh pata tha... Aise mai woh apne pita ke nakse kadam par chalta raha aur bada Gunda ban raha tha... Kaafi naam tha Tony ka basti mai... basti mai lagbhag 1 lakh se jayada log rehte the... Tony ko lagbhag har koi jaanta tha... Uske saath reh kar uska beta Nazim bhi bigad gaya tha... Maar Peet , jua khelna , satta lagana , ladkiyon chedna yeh kaam mai Nazim expert ban gaya tha Tony ke saath reh kar... Jiske karan roz Nazim ko maar padti thi apni maa se... magar maar se kaha asar hota dusre din fir wohi kaam...
Kher back to story... Mausi jinka naam Vimala tha pareshan aur hairaan ho gayi thi Tony ko subh kisi ko saath mai dekh kar jab paas jaake unhone dekha toh ladki ke saath baacha bhi tha... Jo abhi filhaal toh so raha tha shayad rote rote thak gaya hoga...
Vimala.... Kya re... Ab yeh kaam bhi karne laga tu... Neech kon hai yeh ladki aur yeh baacha kiska hai bata mujhe warna Aaj tu jute khayega merese.. ghysne nahi dungi ghar mai na roti dungi tereko khane ke liya... Bta kon hai yeh...
Tony jo thela chala kar thak gaya tha... Thodi saans le raha tha itne mai vimala maasi ki baat sun thoda ghabra bhi gya fir bola...
Tony... subh subh kya chik chik kar rahi hai Tai... Chal baju hat isko ander lekar chal tereko sab btata hai mai...
Tab tak basti ke bhi kuch log ikhtta ho gye the Tony sabko side kar Yashoda ko hatho mai utha leta hai aur maasi ko bacche ko lekar aane ka bol maasi ke ghar chal deta hai... Maasi bhi Tony ke peeche peeche bacche ko le chal deti saath hi basti ki ek do auratain bhi ghar mai aa gayi thi... Tony Yashoda ko bistar par leta deta hai aur palat kar maasi ko dekta hai toh woh sawaliyan nazron se use dekh rahi thi... Saathhi basti ki kuch auratain bhi apas mai khusur pusur kar rahi thi...
Tony pehle toh ghabra jaata hai fir kal jo kuch bhi hua woh mausi ko bta deta hai...
Vimala Tony ki baat sun shock ho jaati hai... Jitna use Tony ko kisi ke saath dekh laga tha usse jayada shock use laga Tony ko kisi anjaan ki madat karte dekh kar... qki Tony ne aaj tak Gunda gardi chori chakari ke alawa kuch nahi kiya... Kher woh khush bhi thi Tony ki baat sunkar shayad uska yeh beta shudhar jaye... Fir ek nazar yashoda ko dekhatoh uske sir par Patti dekh chonk gayi aur jaldi se kitchen mai garam pani rakh kar apna first aid ka dibba lekar aa gayi...
Yashoda ki tarah Vimala bhi pese se nurse thi... Lekin private hospital mai jisme use kaam bhut paise Kam milte the... Jaise taise karke uske ghar ka kharcha chalta tha... Ghar mai Nazim uski biwi Kanta aur haal mai ek beti Hui thi... pati kaafi samay pehle daaru peekar truck se kuchal gaya tha...
Vimala Yashoda ke sir ki patti hata kar dekhti hai toh khoon ab ruk chuka tha... Ghaav kaafi gehra tha woh kitchen mai jaa ek bartan mai gun guna paani le aati hai aur rui ki madat se zakham saaf karti hai... Use sir mai choti gitti dikhti jise nikaal woh Dettol se use saaf karti hai fir cream aur patti laga Tony ko kehti hai...
Vimala... Ghaav kaafi gehra hai khoon bhi kaafi beh Gaya hai... Ise aspataal lekar Jana padega... Khoon ki battle bhi chadhani padegi... Isse dekh kar lagta hai private hospital hi lekar Jana padega... magar...
Tony... Magar itne paise kaha hai apne paas Tai tu kuch kar na tu bhi toh dacter hai...
Vimala... dacter nahi nurse hoon mai aur bina hospital yeh theek nahi hogi khoon kaafi beh Gaya hai... Battle toh chadhani padegi...
Tony... Private hospital pta hai na kitna paisa leta hai , hai tere pass itna paisa yaa mere paas... Tu kuch kar Tai bacha le ise...
Vimala... Mai kya Karun bhagwan thodi hoon khoon chadhana hi padega na ise... aacha sun ek kaam kar mai iske khoon ka sample tujhe de deti hoon isse lab mai le jaa waha se tu iska milta julta khoon le aana saath mai kuch saman likh kar de deti hoon theek hai...
Tony... Haan theek hai yeh kar lete hai bas kaise bhi bacha le ise...
Fir Vimala Tony ko khoon ka sample de deti hai... Aur saath mai samaan ki parchi bhi...
Vimala.. paise hai na tere pass...
Tony... Haan kuch paise hai...
Vimala kuch paise Tony ke haath mai rakh deti hai.. inko bhi leta jaa kam pade jaane par kaam aayenge...
Tony bhi furti mai waha se nikal jata hai... lab phunch woh sample lab waale ko deta hai jise lab waala jama kar 2ghante baad Tony ko bulata hai tab tak woh wanha se nikal chai cigarette jala leta hai... Aur sochne lagata hai woh anjaan ke liye kyun dukhi ho raha hai jisko woh janta tak nahi... aisa pehle kabhi nahi hua uske saath...
Kareeb 2 ghante intjaar karne ke baad lab phunch woh report leta hai aur maasi ke kahi anusaar blood bank phunch jata hai blood lene... Jaha use pta chalta hai khoon paise ke saath saath donate krne par milta hai... Ab woh kya kare kuch soch hi Raha tha ki uth kar doctor ke cabin mai jaa usse baat krta hai...
Morning... 11:05 Am...
Location Basti...
Ale le le... Baacha kya hua chup ho ja Munna... Bhook lagi hai tereko... Ruk abhi teri Tai tereko duddu pilwayegi... Aeee kanta idher aa...
Kanta... Ha maa aapne bulaya...
( Kanta... Maasi ki bahu Nazim se 2 saal pehle baag kar shaadi kar chuki hai... Dedh saal ki ladki hai ise darasal... Bhaag kar saadi bhi isi chakkar mai ki thi usne Nazim se warna usko nazim mai koi intrest nahi tha... Jawani ke Josh mai do baar Nazim se jismani sambadh ban gye the uske... magar kam jankari hone ke karan baccha theher gaya... Girwane ke liye bhi paise lagte hai jo uske paas the nahi aur yeh paap uske haatho hone se bach Gaya... Kam Umar mai maa banne ke dar se bhaag kar Nazim se shaadi Karli...
Nazim toh kanta ki jawani dekh laar lapakata tha kaise mana karta bass fir... Usne bhi ise hi apni kismat maan liya aur basti mai aa gayi rehne... Kuch hi din Mai Nazim ki sacchai use pta chal gayi woh kaisa hai kya kaam karta hai... Jisse use bhut dukh hua magar ab kar. Bhi kya sakte the...
Vimala shaadi se nakhush thi usne kaafi din tak Nazim se baat nahi ki.. magar use apani bahu kaafi pasand aayi isliye usne Nazim ko maaf kar diya... Magar uske kaam ko leker abhi bhi maarti thi... Nazim kaha kisi ki sunta maar kha kar woh wohi kaam karta jo Tony kehta... kher kuch din Mai Vimala ko Kanta ki sacchai bhi pta chal gayi usne Nazim ko bhut mara aur ghar se nikaal diya kanta se use koi sikhayt nahi thi... Kuch time baad Nazim ko baachi hui jiske karan usne Nazim ko maaf kar diya jisse baachi ko pita ki kami na ho... )
Vimala... Kaha thi tu tab se awaaz de rahi hun mai... yeh le bacche ko bhookh lagi hai jara ise doodh pila de...
Kanta.... Maa yeh kon hai kiska baccha hai...
Vimala... Woh sab baad mai pehle Jo boli tereko woh kar... Baacha bhuka hai syad kal se kuch nahi khaya isne... Iski maa bhi hosh mai nahi hai yeh le jaldi kar...
Kanta Vimala ke haath se bacche ko leti hai... Baacha uske goad mai aa Rona band kar deta hai aur muhh bana kar doodh pilana ka ishara karta hai... Kanta bhi baache ko dekhti hai.. bhut hi masoom sa rang bilkull Saaf gora Kanta ko bhi bete ki chahat thi magar woh ab nazim ko paas bhi nahi aane Dena chahti thi... Roz daaru peekar nazim hath bhi utha deta tha fir subh maa se maar khata.. ab uske dil mai Nazim ke liye koi pyaar nahi tha na izzat pati waali.. kher Kanta bacche ko ek tak dekhti hai fir achanak hi maathe par ek pappi de deti hai... Aur apne blause ka hook khol ek side se doodh nikal use pilane lagti hai... Baacha bhi ghat ghat doodh peene lagta hai kuch der mai shant hokar so jata hai...
Vimala kaafi der se apne bete ka intezar kar rahi jo kal se gayab tha... Aur Tony bhi ab tak nahi aaya... Usne apne paas mai rakhi ek glucose ki bottle Yashoda ko laga di ab woh bhi khatam hone ko aayi thi saath mai Yashoda ki halat bhi bigadti jaa rahi thi haath pair Peele pad rahe the khoon ki kami ki wajah se...
Kaafi waqt gujar jaane ke baad Tony ghar aa gaya magar saath mai Nazim bhi tha jo Tony ko Sahara deker laya tha... Vimala Tony ki aise dekh ghabra gayi aur uski taraf aage badhti ki usse pehle Tony ne khoon ki bottle Vimala ki taraf badha di jise dekh Vimala pehle to hairaan hui fir Tony ko dekh sab kuch samjh aa gaya... Blood bank mai Tony ne khud ka blood de kar exchange mai blood laya hai... Use hairat bhi ho rahi thi Tony aisa kar sakta magar fir jaldi seusne Tony ko paas hi padi dusri charpayi par baitha diya.. aur kanta ko awaaz de Tony ko kuch bana kar dene ko kaha... Fir usne apne globes pehne aur Lag gayi Yashoda ki marham patti karne fir khoon ki bottle laga di saath mai kuch dawaiyan bhi yashoda ko di...
Evening time... 7:35 PM...
Subh se shaam ho gayi thi... sab log abhi bhi wanhi ke wanhi the khoon ki bottle bhi khatam ho gayi ab bas sabko intejaar tha Yashoda ke hosh mai aane ka jo sayad thoda lamba chalne wala tha...
Kanta ne samjhdaari dikhate hue sabke liye khana banaya... Jise Nazim ne bhar pet thoos kar khaya magar Tony ko bhookh nahi thi... Vimala ne kaha bhi use magar woh chup raha aur khana hone ke baad Nazim ke saath bahar chala gaya... Vimala subh se Tony ko harkat notice kar rahi thi... ek anjaan ladki ke liye usko itna fikar dekh woh ander hi ander khush bhi bhut thi...
Kanta Sabko khana khila Dene ke baad kaafi der tak bacche ke saath khelti rahi saath mai apni beti ko bhi sambhal rahi thi... Fir baad mai dono ko baari baari doodh pila kar uska di...
Tony ko khud samjh nahi aa raha tha woh aaj se pehle kisi ke liye itna dukhi nahi hua tha... Uske pita ke jaane ke baad toh usne galat kaam krne mai koi kasar nahi chodi thi.. har waqt maarpet Krna yehi pasand tha use... Mager pata nahi q use aaj Yashoda ko dekh dukh bhi ho raha tha aur khushi bhi ki woh uske liye kuch kar raha hai... Shayad uske pita sahi kehte the... Kisi ki madat karne par Khud ko garv mehsoos hoga... Shayad uske pita ke yeh antim sabd uski zindagi ka naya aarambh tha.... Aur zero se Hero banne ki shuruaat bhi par kiski nazron mai Yashoda ki... Jise woh janta tak nahi...
5 days later...
Location.. Basti...
Yashoda... Bhaisahab mera baacha bhookha hai please thoda sa doodh de dijiye.... mai aapke haath jodti hoon usne kal se kuch nahi khaya hai...
Introduction....
Yashoda... Age 21...
Tony.... Age 28...
Vimala... ( Maasi / Tai ) age 52
Nazim... ( Vimala's Son ) Age 26...
Kanta... ( Nazim wife ) age 22 one daughter... Age **
( Thanks so much guys... Purana update pasand aaya sabko... Bas aise hi pyaar dikhate raheye... Jald hi story plot samne aa jayega... Abhi Khulna shuru ho gya hai iss update se... Tab tak like this update... 25 likes please... )
keep supporting...
keep loving....
( KALYUG... PART 6 )
( Maa... Mamta aur sacchai... )
5 days later...
Location.. Basti
Yashoda... Bhaisahab mera baacha bhookha hai please thoda sa doodh de dijiye.... mai aapke haath jodti hoon usne kal se kuch nahi khaya hai...
continue...
Vimala... Kya hua beti... Sab theek hai... kuch nahi hua dekho theek ho tum............
Yashoda sir mai dard ho raha tha... Ek anjaan mahila ki awaaz sun aakhen kholti hai apne chaaro taraf dekhti hai toh khud ko ek chote se kamre mai paati hai... Jiske ek taraf ek khtiya laga hua tha ek par woh leti thi... Aur ek anzaan chehre ko saamne dekh sochne lagti hai ki woh yaha kaise... Tabhi use raat ki baatain yaad aane lagti hai jo kuch uske saath hua tha... Woh yaad karte waqt woh fir se rone lagti hai tabhi woh aas paas kuch dhoondne lagti hai... Aur uthne lagti hai magar shareer kaafi kamjor ho gaya tha 5 din behosh thi sir mai bhi chot lagi thi aakhen bhi mushkil se khul rahi thi koshish karte hi woh wapis bed par gir padti hai... Aakhir mai aurat ko dekh kar uske muh se do sabd hi nikalte hai..
Yashoda... Mera baccha...
Vimala bhi ab tak paristhiti samjh chuki thi... Woh aage badh Yashoda ko sirhane aache se leta deti fir Kanta ko awaaz laga bulati hai...
Vimala... Sab theek hai baache ko bhi kuch nahi hua... Abhi doodh pee kar so raha hai roko mai bulati hun.... Bahuuu.. jara baache ko leke aana...
Tabhi kamre mai Kanta bahar aati hai jiske haath mai baache ko dekh Yashoda apne hath faila deti hai... Jaise bacche ko maang Rahi ho.. Kanta bhi bacche ko Yashoda ke ek side Sula deti hai aur Yashoda bhi haath fer kar check karti hai woh theek toh hai na... Jab use tasalli ho jaati hai ki baccha theek hai tab kahi jaake use chain aata hai woh maathe par ek kiss karke use apne side se chipka leti hai...
Dono saas bahu bhi yeh sab dekh rahi thi... lekin dono khamosh thi... Yashoda abhi poori theek nahi hui thi kuch hi der mai use fir se neend aa jati hai aur woh bister par so jaati hai... Ek side se baache ko kass kar padke hui thi Yashoda ki koi le kar na bhaag Jaye... Kanta ko lagta hai Bacche ko takleef na phunche isliye woh aage badh use door karne ko hoti hai ki Vimala use mana kar deti hai aur ek tak nihaar kar dono kaamo mai lag jaati hai...
Evening... Time 6:34 PM...
Vimala... Ab kaisa lag raha hai tumhe beti...
Yashoda... Jee theek hoon... lekin aap kon ho aur mai yaha kaise... kaha hun mai...
Vimala... tum abhi mere ghar par ho aur mangalwar raat tum mere bete ko ***** jagah par mili thi... ( Aur fir use poori baat batati hai )
Yashoda... Jee aapka bhut bhut shukriya aapne itni madat ki... Mai aapki jindagi bhar ehsaan mand rahungi... Aapne mere bete ka khayal rakha... Mai marte dum Tak aapka karz nahi bhulungi...
Vimala... Are isme ehsaan waali kya hai beti maine jo kiya insaniyat ke naate kiya... Kisi ki madat karna toh punya ka kaam hota hai... Yeh toh farz tha humhara...
Yashoda... Kaash aapke jaise har koi soch rakhta toh mai...
Bolte bolte chupp ho gayi fir achanak hi aankhon se aansun behne lage... Jo kuch bhi kuch hi din usne dekha kahi bhi use insaniyat toh chodo kisi ne usper Daya bhi nahi dikhayi thi... Pehle hospital fir ghar fir maa aur baad mai uski Chachi ek ek kar uske saamne se ghumne lage jo baatain usne suni thi jo kahi thi usse...
Vimala bhi Yashoda ko dekh rahi thi shayad koi baat hogi... Usne aage badh Yashoda ke ek side aake hath par apna hath rakh diya aur dusre haath se uske aansun ponch diye... Yashoda bhi Vimala ke hath ko kass kar pakad li aur apne seene se laga kar fur fur kar rone lagi... Use sab kuch yaad aa raha tha jo kuch bhi inn dino hua woh bolna chaah rahi apna dard batna magar uske muh se sabd nhi nikl rahe the... Bas aansun beh rahe the... Vimala bhi shithti ko samjh apne hath use pakde rehne Diya aur dusre se uske sir ko sehlane lagi... Kanta bhi khana bana kar kamre mai aa gayi thi... Woh bhi dekh rahi rahi Yashoda ko rote magar abhi usne bhi kuch nahi kaha...
Kaafi time rone ke baad jab kamre mai shaanti hoti hai toh Vimala Kanta ko paani laane ka kehti hai... Fir ek taraf se madat karke Yashoda ko baitha deti hai aur Kanta ke haath se gilaas le Yashoda ko paani pilati hai... paani peene ke baad....
Vimala... Koi baat nahi beti jo hua so bhul Jaa sab theek hai... Yaha tumhe na baache ko koi pareshan nahi karega....
Thode time mai Yashoda bhi nischint ho jati hai aur Vimala use apne baare mai baatain karne lagti Jisse Yashoda ka mann bhi halka ho jata aur chinta bhi kam ki abhi woh shurakshit hai... dhere dhere Kamla ka bhi parichay karati woh bhi apne baare Yashoda ko batane lgati hai tabhi bacche ki neend khul jaati hai aur woh rone lagta hai... Yashoda bhi use goad mai utha chup karane lagti hai tabhi....
Vimala... Kaafi samay se so raha hai beti yeh badmash aise chup nahi hoga doodh pila de ise tab chup hoga... Kamla ko bhi roz pareshan karta hai uthte hi doodh na do toh rota hi rehta hai...
Vimala ki baat sun khamosh ho jati hai aur nazrein neeche kar use ab Darr lagne lagta hai... Ki kahi unhe yeh baat pata chali ki woh iski maa nahi hai toh yeh kya sochenge kahi mujhe galat samjh baache se alag toh nahi kar denge...
Aise hi kafi saare khayal uske Mann mai aa rahe the chinta ek baar fir uske maathe par ubhar aayi thi... Vimala do teen baar bol chuki thi Yashoda ko magar Yashoda uski baat par kuch react hi nahi kar rahi thi... Bas neeche sir rakhte hue bacche ko kass leti hai kahi usse woh cheen na le... Vimala bhi Yashoda ko hairan dekh rahi thi doodh pilane ka kehte hi kya ho gaya ise sunn kyun nahi rahi... Woh do teen awaaz deti hai Yashoda ko itne mai bahar se Tony bhi aa jata hai saath hi Nazim jo laar lapakata hua Yashoda ko dekh raha tha... Kanta bhi aa jati hai... Jab Yashoda nahi sunti toh Vimala aage jakar use jhakjhor deti hai...
Vimala... Beti kya hua theek hai na... Kab se awaaz de rahi hoon baacha ro raha hai doodh pila de use...
Yashoda jo kab se sun rahi thi ab use jawaab dena tha uska dil bhi ghabra Raha tha sablog use galat na samjhe... Wanhi Nazim ke chehre par muskaan thi man hi man kuch chal raha tha... Tony aur Kanta dono yashoda ko dekh rahe the samjhne ki koshish kar rahe the ki yaha kya chal raha hai... Yashoda kaafi koshish karti hai kehne ki magar uski jubaan uska saath nhi deti aansun fir aa jate h uske Darr se yeh bhi galat na samjh le use bacche ko dur na kar de...
Vimala bhi Yashoda ko dekh pareshan ho gayi akhiri abhi sab theek tha achanak kya ho gaya.. woh Yashoda ko pass baith jati hai uske sir par hath fer shaant karti hai aur paani pilati hai...
Vimala... Kya hua beti bata mujhe... chinta mat kar beti kaha hai na maa hun maa samjh kar bata kya baat hai jo tujhe pareshan kar rahi hai...
Yashoda ek baar fir nischint ho gayi thi magar abhi bhi soch rahi thi ki kaise bole...
Yashoda... Ji.. woo mujhe doodh nahi aata...
Itna bol chup ho jaati hai...
Vimala... Are toh isme ghabrane waali kya baat hai beti hota hai kabhi kabhi aise isme itna kya darna... Mai Khud yeh aspataal hai na... ******* Usme nurse hoon mai jaanti hun kabhi kabhi aisa hota hai dhoodh nahi aata waise ek baat btao...
Yashoda uski baat sun thoda nischint ho jati hai... Bina kahe hi uska kaam ban gya tha...
Vimala... Tum dekhne se iss sheher ki lagti nahi ho... Ho kha se tum , aur tum akele kaise woh bhi iss halat mai... Jabki Baache ko dekh kar lagta hai haal mai tumne ise janam diya hai... Tumhe toh abhi aaram ki jarurat honi chahiye tum wanha kaise phunchi...
Yashoda ek baar fir sochne lagi kaise bataye tabhi woh dekhti hai sab log uske bolne kawait kar rahe hai woh aur ghabra jati hai... Tabhi Vimala ek baar fir sir sehlane lagti hai ab tak woh samjh gayi jarur koi badi baat hai jiske liye yashoda khod ko taiyar kar rahi hai... Aur usko poora wishwas dilati hai apni baaton se hum sab tumhare saath hai... Yashoda kaafi der sochti hai fir...
Yashoda... Ji sach kaha aapne... mai yaha ki nahi hoon... ***** Sheher se hu... Aur mere maa baap... Meri maa ab iss duniya mai nahi hai...
Woh sab yaad karte ek bar fir ankhen nam ho gayi uski... Baaki sab usko dekh rahe the tabhi woh ek baar fir bolna chalu karti hai...
Yashoda... Mai ******* hospital mai nurse ka kaam karti thi wanha... ( Jo kuch hua sab ek ek kar batati hai )
Jise sun sab shocked ho jaate hai... Vimala hairaan thi wanhi Tony ki aankhon mai gussa aa gaya tha usne kass ke apni mutthi band kar li...
Vimala... Matlab... Yeh baccha... ( Bolte bolte ruk gayi )
Yashoda... Ji... Isko maine janam nahi diya hai... ( Kuch soch kar ) lekin mai iski maa hoon...
Bolkar chup ho jati hai aur baacha jo ro raha tha uske maathe par chum leti hai... Baacha bhi uski ungli pakad leta hai aur uhhaaa karta hua kuch der mai chup ho jata hai...
Thodi der kamre me shanti chaa jaati hai fir ek baar aur Yashoda bolna shuru karti itne din se jo kuch ho raha woh apna man halka karna chaah rahi thi...
Yashoda.... Fir jab hospital se mai ghar pahunchi uske baad... ( Poori baat btati hai jise sab sun hairan ho rahe the sabka muh khula reh gya tha Tony gusse ko daba raha tha )
Fir jab hum ander gaye Toh mAa... ( Ek baar fir woh rone lagi aur jo kuch bhi hua sabko batane lagi... Jisesun sabke aankhon mai aansun aa gaye... Tony aur Nazim ko chod kar... Nazim ko jayada fark nahi pada Wanhi Tony ka gussa ab thoda shant ho humdardi mai badal gaya tha... )
Fir uske baad jab subh... ( Yashoda bolti rahi baaki sab hakke bakke reh sunte rahe... Sabko hairaani ho rahi thi itna kuch ho gaya woh bhi itni Kam samay mai... Yashoda ne kaise itna kuch Saha... Vimala aur Kanta lagatar aansun Baha rahi thi wanhi Tony ki aankhon mai bhi paani aa gaya jab usne uss din raat waala waqkya Yashoda ke muhh se suna... Sath mai gussa bhi aa raha tha woh mutthi kaste hue room se bahar nikal jata hai... Uski peeche peeche Nazim bhi chal deta hai... )
Vimala sab kuch sunti hai aage badh Yashoda ko apne gale laga leti hai... aasun dono ke beh rahe the Kanta bhi sab kuch sun aansun Baha rahi thi... In sabka Rona sun baacha bhi rone lagta hai .. jise dekh sabka dhyan ek baar fir uss taraf jata hai... Aur Vimala Yashoda ke haath se bacche ko pakad Kanta ko awaaz de paas bulati hai... Yashoda hairan dekh rahi thi tabhi...
Vimala... Are bahu dekh nahi rahi mumma ro raha hai jaa ander ise doodh pila de...
Kanta bhi aage badh bacche ko goad mai le leti hai...
Yashoda... Didi iski koi jarurat nahi hai aapko bhi...
Kanta... Are jarurat kaise nahi hai Munna bukha hai aur waise bhi abhi tak tu hosh mai nahi thi mai hi ise apna doodh pila Rahi thi... Aur tere akele ka nhi mera bhi baccha hai aaj se nahi abhi se mera ek beti aur ek beta hai...
Yashoda... Lekin didi...
Kanta... Chup kar badi hun tujhse aache se jaanti hun sahi galat munne ko bhookh lagi hai mai abhi aati hun...
Keh bina koi baat kiye baace ko le dusre kamre mai chali jaati hai... Yashoda ko bas uski peeth dikhti hai woh hairan ho jati hai Kanta ke muhh se baatain sun wanhi Vimala ke chehre par muskaan aa jati hai...
Night... Time... 9 : 32 PM...
location... Temple...
Aadmi... Haan janeman aa gaya bass... Haan band kar di phunch hi raha hoon... Aaj dekh chinaal kaise teri leta hoon... Haan haan le li hai goli tu bhi kapde utar kar nangi hoja aaj bhut man raha teri peeche se lunga... Pyar se lunga na janeman kuch nahi hoga tujhe... Haan theek hai bas aa raha hun... Haan mera toh abhi se khada ho gaya tu phone rakh mai aata hun.. haan chal bye...
Aadmi phone par baat kar raha tha... Tabhi woh dukan se bhar aata aur shutter girane lagta hai ki uske Peeth par ek laat padti hai jisse woh aage gir jata hai uska muh shutter ko lagta hai... woh dard se karahte hue mudkar dekhta hai tabhi do aadmi kahe dikhayi dete hai...
....haath kaise lgaya madarchod...
{ Toh dosto update late ke liye shama chahta hoon kal poora din thriller gujra life Mai bhi ghatna hoti rehti hai isliye update late ho gya... Kher ek baat kehna aap abhi story ko flashback samjh na padhiye aisa sochiye ki current timeline chal rahi hai... Qyuki bhut se logo ke man mai sawaal hai woh lagta jo first update mai maa ko lekar bhaag Raha kon hai... Etc etc... Woh story ka main character hai magar abhi uspe time jump lene se pehle yaha ki kahani poori karna jisse dubara koi flashback na dena pade aur baad mai sab boor ho jaye... Abhi kuch update aur hai time jump mai story aise chalegi aapn bas saath banaye rakhiye enjoy karte raheye... Like aim complete nahi hua pichla yeh waala complete kar dena aur pehla waala bhi... 25 likes please }
Keep supporting...
keep loving...
bahut badia..........
Nice update( KALYUG... Part 7 )
( KARMA... Jaisi Karni Waisi Bharni... )
Night... Time... 9 : 32 PM...
Aadmi... Haan janeman aa gaya bass... Haan band kar di phunch hi raha hoon... Aaj dekh chinaal kaise teri leta hoon... Haan haan le li hai goli tu bhi kapde utar kar nangi hoja aaj bhut man raha teri peeche se lunga... Pyar se lunga na janeman kuch nahi hoga tujhe... Haan theek hai bas aa raha hun... Haan mera toh abhi se khada ho gaya tu phone rakh mai aata hun.. haan chal bye...
Aadmi phone par baat kar raha tha... Tabhi woh dukan se bhar aata aur shutter girane lagta hai ki uske Peeth par ek laat padti hai jisse woh aage gir jata hai uska muh shutter ko lagta hai... woh dard se karahte hue mudkar dekhta hai tabhi do aadmi kahe dikhayi dete hai...
....haath kaise lgaya madarchod........
Continue....
Aadmi... Aaahhhh hhhh konnn ho tum... Mujhe kyun maar rahe ho...
Saaya 1... Suna hai Aurton par bhut hath chalte hai tere... Bas wohi dekhne aaya tha...
Thuuddd...
....chala ab hath mai bhi toh dekhon kaise tere hath chalte hai...
Thudddd...
...chala kya hua gareebon se nafrat hai tujhe woh aache nahi lagte...
Thuddd...
...agar koi paise waali mahila hoti toh uske saath bhi yehi karta...
Thudddd...
....bol madarchod.... Haath kaise lagaya tune use....
Aadmi.... Aahhh choddd doo mujhe... Mujhse galti ho gayi mai haath jodta hun... Dard ho raha hai mujhe Jane do tumhe jo chahiye le lo... Mere biwi baache hai bhagwan ke liye rehm karo...
Thudddd....
...madarchod uss waqt tujhe apne biwi bacche ki yaad nahi aayi jab use Marta hua chod gaya tha...
Thudddd....
...bhosdike yeh bhi yaad nahi raha ki uske saath koi tha...
Thudddd...
...aaj tujhe aisa sabak milega ki sapne Mai bhi kabhi kisi ke sath aisa nahi....
Uska hath pakad marod deta hai...
Aaadmi... Aaahhhh maaf kar do... Bhaiya galti ho gayi mujhe chod... Aaahhhh maa bhut darddd ho raha hai...
Thudddd...
...aise kaise abhi tera ek hath baaki hai ise bhi thikane laga dun fir tujhe chod dunga...
Woh aage kuch karta usse pehle police ki siren ki awaaz sunayi deti jisse sun dono chup ho jate hai... Aadmi bhi apne bachaav ke liye awaaz lagaane lgata hai woh muh kholta uske phele saya 1 uska muhh band kar deta hai....
Saya 2... bhosdike chal yaha se mamu aa gye hathhe lag gaye inke dono ki gand laal kar denge pehchan bhi nahi payenge bander ki kon hai teri kon si... Chal iss chakke ko baad mai dekh lenge abhi yaha se nikalte hai...
Saya 1 ko bhi uski baat theek lagti magar jaate jaate woh ek baar fir...
Thudddd....
...tujhe pta hai woh ab se meri zimmedari hai... Toh kan khol kar sun le woh jab bhi mile pairon me gir kar maafi maang lena aur aaj ke baad agar kabhi aise kuch sunne mai aaya toh aaj chod raha aage tere game bajane mai mujhe koi pareshani nahi hogi... ( Gaal thapthapate hue ) samjh gaya na meri baat ab Tera muh chod raha hun agar chillaya toh wapas Tera gala daba dunga...
Aaadmi jor jor se saans lene lagta hai kaafi der se uski saans ruki hui thi... Saaya 1 usko usi haal mai chod Jane lagta hai fir pta nahi kya hua wapas laut kar aata hai...
Thudddd...
...harami sala... Sochna bhi mat...
Night Time... 11:15 PM...
Location... Basti...
Vimala... Bahuuu ghar ka dhyan rakhna mai jara basti mai dekh kar aati hoon... Dono karamjale kaha gye... Roz ka ho gaya hai kuch dino se Tony kam se kam ghar pe tha lekin aaj fir gayab hai... Pta nahi kab sudhrega yeh uske saath reh Nazim usse bhi aage nikal gaya hai roz basti se koi na koi shikayat aati rehti hai... Itna mara hai fir bhi nahi sudhrega... Kutte ke saath saath dum bhi tedi ho gayi hai...
Kanta... maaji aapko jaane ki koi jarurat nahi hai aapko waise bhi subh jaldi nikalna hota hai... Kahi nahi gaye honge dono awara jab bhookh lagegi toh ghar aa jayenge... Aur Inka toh aaj kal roz ka ho gya hai roz pee kar aate hai... Aap inki fikr mat karo jab unka man hoga aa jayenge...
Itna keh Kanta chup ho jati hai... Waise aacha hi tha Nazim ghar mai nahi hai... Usko ab Nazim se koi pyaar nahi tha aaye din basti mai kisi na kisi se chedkhaani karta rehta tha... Aur use pta bhi tha ki Nazim ke bahar bhi kisi se jismani sambadh hai... Dono me is baat ko lekar kaafi behes bhi hui thi aur fir Nazim ne haath utha kar use shaant kar diya tab se dono ke beech sharirik shambandh nahi hai... Fir bhi jab Nazim pee kar aata hai toh roz kanta par haath utha deta hai... Kanta ko bhi ab uske hona na hone se koi fark nahi padta woh bas apni baachi ke sahare jee rahi thi...
Gareeb ghar ki ladki ko bachpan se shikhaya jata hai sasural hi uska ghar hai... Shaadi ke baad woh doli mai jaati hai aur aarthi par hi ghar chod sakti hai... Nazim na sahi pyaar karne waali saas aur ek baachi ke sahare woh apna jeevan gujar degi aisa usne soch liya tha... Haan ek bete ki chahat usko thi jo uska Sahara ban jata magar woh poora nahi ho sakta tha... Isliye jab Yashoda ke bacche ko doodh pilaya toh uski bete ki chahat jaag chuki thi... Woh usko khoob Sara pyaar degi aisa soch liya tha usne apna Sahara banayegi...
Vimala bhi soch mai gum thi use laga Tony kam se kam sudhar raha hai Yashoda ke jariye... Aur Tony ke saath Nazim bhi sudhar jayega magar aaj fir dono ghar se bahar the...
Wanhi Yashoda chup chap dono ki baatain sun rahi thi aur apne bacche ke sath khel rahi thi... Ab tak woh itna toh samjh gayi thi ki dono bigad gaye hai aache kaam nahi krte... Isliye dono unse pareshan hai... tabhi baccha kilkaari maarta hai jor se jisse teeno ka dhyan uspe jaata hai... Teeno ek saath jab use dekhti hai toh chinta ki jagah chehre par muskaan aa jati hai... Qki baacha bhi hass raha hota hai aur ajeeb sa muhh bana kuch kehne ki koshish karta hai...
Yashoda... Ale le mera Raja beta...
( Aur bacche ko khilane lagti hai teeno... )
Vimala... ( Baache ke maathe par ek kiss kar deti hai jisse ek baar baacha kilkari maar har deta hai aur teeno ka dil dekh kar bhut khush ho raha tha ) beti... Waise munne ka naam kya hai...
Yashoda... Ji woh... haan... Natkhat Nandkishor... ( Aur ek tak bacche ko dekhne lagti hai jaise puchna chahti use naam pasand aaya ya nahi )
Kanta... Yeh kaisa naam hai... Aisa naam thodi hota hai...
Yashoda... kyun Didi aacha nahi hai kya.. iski maa ne ise yehi kaha tha dekho yeh bhi hass raha hai naam sunkar... hai na Natkhat Nandkishor...
Kanta... Are Tera upari maala Khali hai kya... woh use naam se bula nahi rahi thi... Balki dulaar rahi thi...
Yashoda... Nahi didi iska naam Natakhat Nandkishor hi rahega... Kitne pyaar se iski maa ne naam rakha tha... Aur fir Munna bhi dekho kaise khush raha hai... Nahi nahi mai iska naam nahi badlungi...
Kanta... Tu sahi mai buddu hai pta nahi kaise padhayi kar nurse ban gayi...
Vimala... Are chup Karo tum dono... Kyun jhagad rahe ho...
Kanta... Dekho na maaji yeh sun nahi Rahi hai bacche ka aisa naam hota hai kya...
Yashoda... Lekin didi...
Vimala... Aacha aacha ruko tumhe iske naam se problem hai tumhe bhi naam nahi badalna... Toh aisa karte hai iska naam Nandkishor rakhte hai Natkhat toh iska swabhaav hai theek hai isse koi dikkat nahi hone chahiye tumhe... aur tum pyaar se Nandu bula lena tumko bhi aacha lagega...
Yashoda... Ji theek hai jaisa aap kahe...
Kanta... Haan Maaji yeh theek hai Nandu... Warna pta nahi sablog isko naam ko lekar chidate... isko toh akal hi nahi hai... ( Bacche ko Yashoda ke haath se lekar ) hai na Nandu... Ale le.. baccha bhookh lagi hai aaja mai duddu pilati hun...
( Aur Kanta bacche ko lekar dusre room mai chali jaati hai jise jaate Yashoda aur Vimala dekh muskurate hai... Tabhi Yashoda kehti hai )
Yashoda... Maaji aap mere liye kitna kar rahi hai mai kaise iss janam mai aapka ehsaan chukaungi... Mera koi nahi hai bass pitaji woh bhi pta nahi kab aayenge itne din Mai aap par bhojh nahi Banna chahti mai kal hi yaha se chali jaungi....
Tony... Aur kaha jaogi btao jara kise jaanti ho iss seher mai... Tere chacha chachi unke pass jinhone itna kuch kaha tumhare baare mai jise sunne se aacha mar jana chahiye... Yaa apne seher waapas jana chahti ho jaha tumhare papa toh rahenge magar tumhara kuch pta nahi... Khud ke nahi kam se kam bacche ke baare mai socho... Tumhe kuch ho gaya toh tumhare baad uska kya hoga socha hai... Tum kaise palogi use... kaise maa banogi uski kya khilaogi use bheekh maang kar jaise uss din maang Rahi thi... Sharam nahi aati tumhe aise maa banogi...
( Tony ghar aata hai toh dono ki baat cheet sunta hai pehle muskaan rehti hai chehre par wanhi baad mai Yashoda ke jaane ki baat sun gusse mai use sunane lagta hai... Vimala , Nazim hairan Tony ko dekh rahe the Aaj Tak khud usne kisi ki parvaah nahi ki thi aur Yashoda ki liye pta nahi kyun kar raha hai... Vimala khush thi wanhi Nazim hairan tha... Yashoda bhi sir jhuka kar sab sunti rehti hai aakhir ki baat sun uske aansun behne lagte hai magar woh sir utha Tony ko dekhne ki himmat nahi juta pati Kanta bhi shor sun bahar aa jati hai... )
Tony... Yeh teri maa nahi hai ( Vimala ko point karte hue ) toh kiss hak se ise maaji bolti ho... ( Kanta ko dikhate hue ) yeh teri bahan nahi hai toh kyun Didi Didi karti firti ho... Hum koi nahi hai tere hann tere bas pitaji hai aao chalo tumhe unke paas chodd kar aata hoon... Kanta do isko iska baccha koi jarurat nahi hai doodh pilane ki tum Mamta lutao baad Yeh kahegi tum iske bacche par ehsaan kar rahi ho... Aur aai tumhe bhi zaroorat nhi h iska khayal rakhne ki yeh bhojh samjhe khudko... Isko iske seher chod kar aata hoon wanha iske pitaji iska khayal rakhenge hum toh koi hai nahi iske... Iske saath hi meri zimmedari bhi khatam ho jayegi iske saath hi...
Tony ki baatein sunne ke baad har kisi ka muh khula ka khula reh gaya tha... Vimala , Kanta statue ban gye the wanhi Yashoda ki zor se rulayi phut padti hai woh apne seher nahi jaa sakti thi yaha bhi kisi ko nahi jaanti thi... Aise mai baache ka kaise khayal rakhegi kaise ek aachi maa ban payegi... Kaise uski parvarish karegi... Use iss baat par bhi Rona aa raha tha ki sabne use galat samjh liya woh aisa nahi kehna chahti thi magar ab use apne kahe par afsos ho raha tha...
Tony... Kya hua ab ro kar kise dikha rahi ho... Ehsaan kar rahe na tujhpar uth abhi chal tujhe ghar chod kar aata hoon...
Vimala... Bas kar Tony chodd use woh kahi nahi jayegi.... Maine keh diya na... Yeh Mera ghar hai jab tak uska man hoga woh yaha rahegi...
Tony... Nahi aai jaane do ise yeh humare pyaar ko ehsaan keh rahi hai...
Vimala... Are ho gayi galti usse chod woh kahi nahi jayegi...
Yashoda... ( Subukte hue ) Nahii... Maaji.. maii.. yaha nahiii... Reh sakti...
Tony... Dekha aai maine kha tha na hum ispar ehsaan kar rahe hai... Isko yaha nahi rehna...
Vimala... Yashoda beti Tu yeh kya keh rahi hai...
Yashoda... Woo maaji woo...
Tony... Tum chalo bahar aai tujhe meri kasam tu beech mai mat aa...
Tony Kanta ke haath se baache ko le Yashoda ko ghar se bahar ke aata hai... Jaha Kanta aur Vimala usko samjha Rahi hoti hai magar Tony kisi ki nahi sunta... Tony Yashoda ko bhar le jaane lagta hai Yashoda apne ghar nahi jana chahti thi rone lagti hai aur ant mai Tony ke pair pakad leti hai...
Yashoda... Please mai apne ghar nahi jana chahti... wanha mere saath munne ko bhi...
Tony... Toh akhir kya chahti ho tum batao... Yha bhi nahi rehna ghar bhi nahi jana...
Yashoda kuch nahi kehti bas pair pakad roti rehti hai... Vimala Kanta bhi Tony ko samjhate hai magat Tony kasam de kar dono ko chup kar deta hai... Aur Yashoda ko uthane lgata hai lekin woh pair nahi chodti... Tony zor laga kar Yashoda ko uthata hai... Yashoda Tony ki aankhon mai dekh use hath jod ghar chodne ke liye mana karti hai...
Tony... Aacha theek hai tumhe yaha nahi rehna aur ghar bhi nahi jana hai na...
Yashoda haan mai sir hilati hai...
Tony... Toh fir tumhe meri har baat manni padegi warna mai ek nahi sununga aur tumhe ghar chod kar hi aunga...
Yashoda kuch nhi kehti aur Tony uska hath pakad khenchte hue ghar ki taraf le aata hai... Aur hath chod Jeb mai se chabi nikalta hai aur ghar ka tala kholta hai aur chabi wapas Yashoda ke haath mai rakh deta hai... Aur use ander le aata hai... Yashoda hairaan thi waanhi peeche peeche baaki sab bhi...
Yashoda... Yeh kiska Ghar hai...
Tony... Mera... Aur bakwas nahi ab se tum yaha rahogi jab tumhare baba aaye chali Jana unke saath magar tab tak tumhaari zimmedari mere haath mai hai... aur mai kuch nahi sununga...
Yashoda... Magar mai kaise... Tum...
Tony... darne ki koi baat nahi hai mai yaha nahi rehta din bhar bahar rehta hoon aur raat aai ke ghar sota hoon... tum din bhar aai ke ghar reh lena raat mai yaha aa jana... Aur koi pareshani hai kya tumhe...
Yashoda... Ji lekin...
Tony... Maine kaha na tumse... Tum yahi rahogi warna abhi tumhe tumhare ghar chod kar aata hun...
Yashoda uske baad kuch nahi kehti chup ho jati hai... Vimala Kanta aur Nazim kabhi Tony toh kabhi Yashoda ko dekh rahe the... Aakhir dono ke Mann mai kya chal raha hai Yashoda kyun wanha nahi rehna chahti thi... Aur Tony ka bartaav toh sabse jayada hairan krne waala tha pehle toh jo bhi kuch usne bola fir baad mai kitne saalo baad usne ghar me kadam rakha tha... Warna dilwali ki safayi ke liye bhi usne Vimala ko mana kar diya tha... Aur aaj Yashoda ko ghar mai le aaya hai... Aur chabi use de di ghar ki...
Tony ko ghar bhut pyaara uske maa papa ki yaadein thi ghar me ek khusboo jise woh nahi jaane dena chahta tha isliye ghar ko band kar rakha tha lekin aaj aisa kyun... yahi sawal sabko tha lekin kisi ki himmat nahi thi puchne ki Tony Yashoda ko chod ghar se bahar nikal jata hai... Peeche peeche Nazim bhi... Ab ghar mai Yashoda Vimala Kanta the Tabhi Kanta bhi bacche ko Vimala ko pakda ghar chali jaati hai qki ghar uski beti akeli thi...
Vimala aur Yashoda kaafi der tak khamosh jo kuch bhi hua sochne lagte hai... Aur baad mai Vimala Yashoda ki madat ghar mai samaan rakhne aur thodi bhut saaf safai kar sone ke liye jagah bana deti hai... Baaki sab kal karne ka bol ghar se nikal jaati hai...
Iss sab mai kaafi samay gujar jata hai... Vimala bahar aake dekhti hai toh ghar ke dware ek khatiya lagi hoti hai jispe Tony aankhein band kar leta hua hota hai... Vimala ke aankhon se aansun ki ek bund gir jaati hai jise woh jaldi se ponch Tony ke paas jaate hai aur uske sir par hath fir deti hai...
Tony bhi aankhein khol apni aai ko dekhta hai fir dubara aankhein band kar leta hai... Yeh sab Yashoda bhi gate par khadi ho dekhti hai... Aur gate lga kar ander chal deti hai...
Raat gehri hoti hai dheere dheere sab so jate hai Do logo ki aankhon mai neend nahi thi... ( Any guesses )
( Koshish kar raha hoon regularly update dene ki hopefully aapko pasand aayega... Likes kar dena.. 25 likes nahi ho rahe )
keep supporting....
keep loving....
bhai 3 raate bit chuki haiCoaching me busy ho raha shaam tak bhai... Isliye Raat tak Post karunga....
Maafi chahunga... Kya krun...