Kajol Mommy
Active Member
- 547
- 387
- 63
ekdom super excellent story writings!oohh my god!!! tum mard log bhi na kitane swarti hote ho..
Us larki jaisa aawaaz karte hui kahte hai..
Aare Nawaz tum kaha ho itne dino se.. Kabhi milate nahi ho.. na call karte ho.. pahle to mere piche kitane pade the.. din mai das baar call karte the.. aab to Lagbhag muje bhul hi gaye ho…
phir Nawaz ki aur dekhte hui kahte hai..
bhul gaye muje.. pahle to din raat mere piche pade rahte the.. 2 mahina tak mera picha kiya tha tumane yaad hai na.. mai ghaas dalti nahi thi tabhi bhi mere piche pade rahe.. oohh my god!!! tum mard log bhi na kitane swarti hote ho.. to selfish na!!! disguesting..
Aur hasane lagi..
Nawaz ko laga memsaab bahut jada mazak kar rahi hai.. bahut jada has rahi hai.. topic change karana hoga..
Memsaab yaha chai bahut achhi milate hai aap pioge mera to mann kar raha hai chai pine ka
Haan piunge na
Hasana rukake kahti hai tab nawaz chai leta hai us chaiwale se aur ek chai aarti ko deta hai aur ek khud pine lagta hai ..
Tab aarti kahti hai
Waise ye kon thi
Kirti
Aapne gaanv ki
Nahi baju wale gaanv ki jaha hum ja rahe hai market mai rashan lane
Achha . .
Tab nawaz sochata hai memsaab ko kush karana padega
Memsaab aap ke kaam ki ek chiz batau
Haan bolo
Yaha kapde ke market mai ek nayi dukan khuli hai.. waha gajab ki sadiya milati hai ..
Tab nawaz ki taraf dekhte hui kahte hai
mai jitana samjate thi usse jada smart ho tum
Tab nawaz haste hui kahata hai
Maine smart wala konsa kaam kar diya hai
Tume achhe se pata hai shopping ladies longo ka weak point hai aur sari lena usse jada weak point hai.. tume pata hai sari kharidne ki baat mai kabhi taal hi nahi sakati
Tab nawaz mann mai kahta hai.. lomdi bahut chalu hai.. haste hui nawaz kahta hai
To chale shopping ke liye
Aab mai mana thodi hi kar sakati hu aur waise bhi aab barish rukh gayi hai
Phir Nawaz aapni bike shopping ke liye kapdo ke market ke taraf lete hai .. raste mai use 2-3 jagah khali auto dikh jate hai jo customer ke liye wait kar rahe the.. une dekhkar aarti nawaz ko kahte hai..
Mai to tume sirf chalu samajati thi par muje pata nahi tha chalu ke saath tum jhuth bhi bolate ho
Tab ek auto wale ki taraf aarti dekh leti hai to nawaz samaz jata hai
Memsaab ye to iss gaan ke autowale hai.. maine to aapne gaanv ke autowale dekhe the.. aur hamara bharosa karo mai juth kaise bol sakata hu
Tab aarti hasate hui kahte hai
Aab bhi wahi dialogue bol rahe ho.. jo tumare mashuka ne tumara popat kiya
Tab nawaz thoda bura moo karte hui kahta hai
Usko bhi usi samay aana tha
Ye aarti ne suna tab usne kaha
Bhagwaan ke gahr der..
Memsaab aap mere taang jada mut khincho
Phir juth kyon kaha
Muje kya pata tha wo usi waqt waha aayege aur aap ke samne hamara pura kachha chitta khol dege..
Duniya bahut choti hai nawaz .. kon kab kaha mil jaye kisko pata nahi
Tab wo dukkan aa jata hai.. iss wajah se nawaz aapni bike rok deta hai.. jaise hi wo bike se niche utar jati hai waise hi ek aurat aarti ko kahte hai..
Hello aarti
Hi didi
tab wo aurat nawaz ki taraf dekhte hui kahte hai
achchha to ... tumhare '' wo '' hai ye ??? "
us aurat ne shararat se aankh nachate huye kaha.. ye sun ke nawaz chounk jata hai aur aarti bhi.. dono ek dusate ko dekhane lage..tab wo aurat kahti hai..
aab bhi ek dusare ko dekh rahe ho.. ek hi gahr mai rahte ho aab kya ek dusare ke aankho mai bas jaoge
phir aarti us aurat ki taraf dekhte hui kahti hai
Nahi nahi didi
Kya nahi nahi ..
Hum husband wife nahi hai
to kon wo.. achha mai samjee.. love marriage hai tumara.. isliye
kya didi aap bhi …
aarti sharma jati hai
achchha achchha jane de ... shadi kar li aur bataya bhi nhi...kya karte hai tumhare wo ....aur yaha kyon ??? achha shopping ke liye kya
Haan
Matlab shadi ki hai
nhi di shadi
wo aage kuch bolati usse pahle ki use koi aawaaz deta hai
Chalo na..Hame lait ho raha hai
Aa rahi hu
aisa kah ke aarti ko kahte hai
aarti mai nikalati hu
aisa kah ke wo aurat waha se chali jati hai.. uske jate hi nawaz kahta hai..
Hamara itana nasib kaha
Aisa nawaz kahte hi nawaz ke pit ko pyar se chapat lagate hui nakhare se kahti hai..
Nawaz..
Tab nawaz kahta hai..
aapne sahi kaha memsaab
Tab nawaz ki taraf dekhte hui kahte hai
Kya
tab nawaz iski nakkal karte hui kahta hai
Duniya bahut choti hai nawaz .. kon kab kaha mil jaye kisko pata nahi ..
nawaz ke aise kahne se aarti usko marane lagi tab nawaz bhagte hui dukan ke aandar bhag gaya..