• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kanch ki haveli

Kaun sa kirdaar aapke Dil Ko chhu gaya

  • Kanchan

    Votes: 10 66.7%
  • Nikki

    Votes: 4 26.7%
  • Ravi

    Votes: 3 20.0%
  • Thakur Jagat singh

    Votes: 2 13.3%
  • Radha devi

    Votes: 1 6.7%
  • Nishchal

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    15

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 27


Kanchan apne geele vastaron mein chipki punah usi patther par baith gayi. Sar ko ghutnon par rakha aur sisak Padi. Use is waqt aisa lag raha tha jaise kisi ne uska sab kuchh chheen liya ho.......jaise wo puri tarah se loot chuki ho.......use aisa mehsus ho raha tha jaise wo beech saagar mein akeli kisi naaw mein baithi dub rahi ho par Koi use bachane wala nahi. Kanchan patthar par baithi thand se kaanpti sisakti rahi.


Kuchh pal aur beeta. Ab baaris ka shor khatm ho gaya tha. Pankshi apne ghoslon se nikalkar khushi se idhar udhar chahakne lage the. Baaris ke baad har vastu saaf suthri aur dhuli hui dikhai de rahi thi. Hawaon mein khusbu fail chuki thi. maahau aisal khusnuma ho gaya tha ki koi bhi thaka haara insaan yahan aa jaye to yahan ka manohari drishya dekhkar uski saari thakaan utar jaaye.


Kintu kanchan ko in cheejon se tanik bhi raahat na thi. Prakriti mein bikhra sara saundarya use is waqt feeka feeka sa lag raha tha. Pankshiyon ka kalrav uske kaano mein jaise zehar ghol rahe the. Yahan ka har vastu use uski ichhaon ke viprit jaan padta tha.


kanchan abhi apni unhi dasha mein gum thi ki use apne pichhe kisi ke kadmon ki aahat sunai di. wah jhatke se khadi hui. Palat kar dekha to use ravi aata hua dikhai diya.


Ravi apni patloon upar uthaye geele mitti mein sambhal sambhalkar kadam rakhta hua uski aur badha chala aa raha tha. Use dekhte hi kanchan ke aansu aur bhi tez ho gaye. Par is baar ye khushi se baras rahe the.


Kanchan ravi ko dekhkar uski aur aisi lapki jaise wo koi nanhi bachi ho. Aur kisi ne use akela kisi ghane jungle mein chhod diya ho. Jahan wo ghanto tak dari sahmi akeli bahatkti rahi ho. Aur ab ravi ko dekhkar uske shran mein aane ke liye daud padi ho.


Ravi ne use apni aur be-tahasa aate dekha to usne bhi apni baahein faila di. Kanchan uski baahon mein simat'ti chali gayi. Use yah bhi dhyaan nahi raha ki uske kapde geele hain. jo is waqt ravi ke kapdon se milkar use bhi geela karte ja rahe hain.


kintu ravi ko uske geele hone ka ehsaas ho gaya tha. Usne aashcharya se kanchan ko dekha. Wah uski chhati mein muh chhipaye subak rahi thi. Use rota dekh ravi ghabra gaya. Wah kanchan ko rota nahi dekh sakta tha. Usne kanchan ko kaskar apni baahon mein bhich liya. Wah dari sehmi si lag rahi thi. Ravi use kuchh der rone deta raha. aur ye sochta raha ki kanchan ro kyon rahi hai? Wah geeli kaise ho gayi?


Usne ek hath se kanchan ko apni chhati se bhiche rakha aur dusre hath se uska chehra upar uthaya. Tatpashchat uske gaalo ko sehlate hue puchha - "kya hua kanchan? Kyon ro rahi ho? Tum bheeg kaise gayi?"


"main aapki raah dekh rahi thi saheb......lekin jab aap samay par nahi aaye, tab main bahut ghabra gayi thi." kanchan bharraye swar mein boli.


"main haveli se nikla hi tha kanchan...ki usi waqt baaris shuru ho gayi. Aur main wahin ruk gaya." ravi uski aankhon se aansu pochte hue bola - "lekin tum bheeg kaise gayi? Kya tumhe baaris mein bhigna achha lagta hai?"


Kanchan ne geele aankhon se ravi ko dekhte hue inkaar mein gardan hilai.


"to phir bhigi kyon? Kisi ped ke niche kyon nahi gayi?" ravi ne phir se puchha.


"aapki khatir...."


"meri khaatir....? Matlab?" ravi ne na samajhne wale bhav se kanchan ko dekha.


"main yahan bahut pehle aa gayi thi. Mere aane ke kuchh hi der baad baarish shuru ho gayi. mera mann hua ki main patther ki ot mein chali jaun. Phir main sochi ki jo main chali gayi....aur usi waqt aap aa gaye to kahin aisa na ho ki aap mujhe na paakar laut jaayein. Isliye main usi unche patther par baithi rahi. Aur phir bheeg gayi." ye kehkar kanchan ravi ko dekhne lagi.


kanchan ki baatein sunkar ravi ka dil bhar aaya. Use kanchan par be-tahasha pyar aaya. Usne kaske kanchan ko apni baahon mein samet liya aur phir uske seer ko chumte hue bola -"tumhe aisa kyon laga ki main tumse mile bagair chala jaunga? tum kya samajhti ho main tumse pyar nahi karta? Main tumse bahut pyar karta hoon. Isliye ab ek baat ka dhyan rakhna. Meri khatir ab kabhi Apne aap ko kasht mat dena. Ab tumhari jaan sirf tumhari nahi hai. Ise kasht dogi to main tumse naaraz ho jaunga." ravi bola aur dheele hathon se uske ek gaal ko noch diya.


Kanchan muskura uthi.


"saheb..." kanchan apne hath mein pakde dabbe ko kholte hue boli - "main aapke liye kheer laayi hoon. Ise aapke liye maine apne hathon se banayi hai. Ye abhi bhi garam hai saheb. Maine kheer ke dabbe ko bhigne nahi diya."


Usne kheer ka dabba kholkar ravi ko dikhaya.


Ravi aashcharya se kabhi kanchan ko, to kabhi kheer ke dabbe ko dekhta raha. Use taazub hua ki mazaak mein kahi gayi baat ko kanchan ne kitna dil se liya. Aur wo uske liye kheer bana laayi. Uspar tez baaris mein wo khud bheeg gayi par kheer ko bhigne nahi diya. Wo sochne laga - "kitna pyar karti hai kanchan mujhe. Meri chhoti chhoti khushi ko kitna del se samman deti hai. Mujhe koi kasht na ho iske liye khud kasht utha leti hai."


Is ehsaas se ravi ka dil uske prati shradha se bhar gaya. Use khud par garv mehsus hua ki use kanchan jaisi saaf dil ki be-intehan pyar karne wali ladki mili.


"kya hua saheb?" ravi ko khamosh dekh kanchan boli. Uska dil anayas hi kisi anjaani aashanka se dhadak utha tha. - "khakar dekho na saheb....maine khud banayi hai."


Ravi muskuraya. Phir kanchan ke hath se dabba lete hue bola -"jarur khaunga. Kheer to mera favourite hai. Aur phir tum banayi ho to iska swaad bhi behtar hoga."


Kanchan dheere se muskurate hue apna seer hilai. Par andar hi andar ye sochkar ghabra rahi thi ki jaane ravi ko uski kheer kasi lagegi? Wah vyakulta se bhari ravi ko dekhe ja rahi thi. Ravi ne kheer ke dabbe mein ungli ghusaya phir kheer ko apne muh mein bhar liya. Kanchan ki utsukta badh gayi. Wah tak-taki lagaye dekhti rahi. Uska dil aise dhadak raha tha jaise abhi uski pasliyan todkar bahar aa jayega.


"ummm......waahhh....!" ravi ne chatkara liya. - "meri to kismat khul gayi kanchan, tum kitna swadist kheer banati ho. Aha.....ab to vivaah ke baad roz tumhare hath ki bani kheer khaunga."


Kanchan ka chehra khushi se khil gaya. Uske murjhaye hue chehre ki raunak laut aayi. Apne saheb ke muh se apni prasansa paakar uska rom rom mehak utha.


Halaanki kheer utni swadist nahi thi. Ravi ne bas kanchan ko khush karne ke liye......badhakar taarif ki thi. Wo nahi chahta tha ki kanchan ke dil ko jara bhi thes pahunche. Ichha na hote hue bhi ravi sara kheer chat kar gaya. Kanchan balihari ho jane wali nazron se use kheer khate hue dekhti rahi. Jo mann abhi kuchh der pehle tarah tarah ki shankaon se peeda grast tha ab wo khushi ke jhule mein swaar aakash ki bulandiyon mein sair kar raha tha. Ab use kisi cheej ki chinta nahi thi. Mahaul phir se suhana ho utha tha. Pankshiyon ka kalrav ab use ache lagne lage the. Prakruti mein bikhra saundarya ab uski aankhon ko bhi bhane laga tha.


"peene ke liye paani kahan hai?" achanak ravi ki awaaz se kanchan chaunki. Sath hi hadbadayi.


Wah to jaldbaaji mein paani laana hi bhul gayi thi. kanchan daayein baayein dekhne lagi. Uska chehra phir se udaas hota chala gaya. Ravi ko samajhte der nahi lagai. Wah tapaak se bola - "koi baat nahi, achha hua tum paani nahi laayi. Paani peene ke baad mere muh se kheer ka swaad chala jata. Jo ki mujhe achha nahi lagta." ye kehkar ravi ek gaddhe mein jame baaris ke paani se hath dhone laga.


"saheb, main aapke liye kal phir se kheer banakar laungi sath mein paani bhi." kanchan ravi ke paas jate hue boli.


"nahi....bilkul nahi." ravi khada hokar rumaal se apna muh saaf karte hue bola - "ab tumhe kheer laane ki jarurat nahi hai. aaj ke baad tum mere liye koi bhi pareshani nahi uthaogi. Ab jo bhi khilana pilana ho vivaah ke baad mere ghar aakar khilaana. Ab tum sirf ek hi kaam karo. Mujhse prem karo. Mere paas aao. Mere sath baitho aur baatein karo." ravi ye kehte hue uske chehre ko dono hathon se bhar leta hai. Aur uski aankhon mein jhankne lagta hai.


Kanchan ki nigaahein bhi ravi par thehar jaati hai. Wah bhi apni aankhon mein sharm liye apni uthi girti palkon ke sath ravi ko dekhne lagti hai.


Tabhi ! Door kahin jordaar bijli kadkati hai aur kanchan chihunkar ravi se lipat jaati hai. Ravi bhi use apni majboot baahon mein bhich leta hai.


Mausam ek baar phir se karwat leta hai. Par is baar bhayankar garjana ke sath. Aakash mein baadal phir se mandrane lagte hain. Aur kuchh hi palon mein phir se boonda baandi shuru ho jati hai.


ravi kanchan ko lekar tezi se us patther ki aur badha, jo jharne ke bilkul nikat tha aur jismein baarish se bachne ke liye khohnuma sthan tha. wahan tak pahuchne mein unhe muskil se do minute lage. par itni hi der mein baarish ki tez boonde unhe bhiga chuki thi. kanchan to pehle hi bhigi hui thi kintu ab ravi bhi lagbhag bhig chuka tha.


Patther ke shran mein aate hi ravi aur kanchan apne apne kapdon se paani jhadne lage. Dono bilkul paas paas khade the. Sahsa ravi ki nazar kanchan ki aur uthi. Uspar nazar padte hi uska sharir haule se kaanp utha. Kanchan ke geele kapdon ke andar se Jhankte uske uroj saaf dikhayi pad rahe the.


Kanchan ka dhyan us aur nahi tha, wo gardan ko jhukaye apne baalon se paani jhaadne mein vyast thi. baalon se paani nikalne ke liye wo baar-baar apne sar ko jhatak rahi thi. uske aisa karne se uske unnat uroj lehra uthte the. Ravi vismit sa uske saundarya parvaton ko dekhta raha. Uske badan mein tez sansanhat si hone lagi. Usne kanchan par se nazarein hatakar baarish ke girte boondon par tika di. Phir wahin patther se tek lagakar zameen par baith gaya.


kanchan bhi thodi der mein uske paas aakar usse satkar baith gayi. kanchan kaafi thand ka anubhav kar rahi thi. Wah baar baar thand se jhurjhuri le rahi thi.


Ravi ne use dhyan se dekha wo is waqt bahut khubsurat lag rahi thi. uske chehre par ek do geele baal chipake hue the jisse uske chehre ki sundarta aur bhi badh gayi thi. Wah aplak kanchan ko dekhta raha.


"aise kya dekh raho ho saheb?" kanchan ravi ko apni aur dekhte paakar shramate hue usse puchi.


"kanchan." ravi uske khubsurat chehre ko nihaarta hua bola. - "kya tumhe kisi ne bataya hai ki tum kitni sundar ho?"


Kanchan ravi ke is sawal se sharma gayi. waise to uski sundarta ki prasansa sabhi hi karte they. Par ravi ke muh se apni khubsurti ki taarif sunkar kanchan ka dil jhoom utha. Wah ravi ke muh se aur adhik prasansa sunna chahti thi. - "saheb aap bahut achhe ho, aap bahut achhi baatein karte ho. Aapke muh se apne bare mein sunna mujhe bahut achha lagta hai. Dil karta hai aap bas bolte jaayein aur main baithi sunti rahun."


"tum bahut achhi ho kanchan." ravi uske chehre par bikhre baalon ko hatate hue kaha. Phir ek lambi saans chhodte hue aage bola - "kabhi kabhi sochta hoon kanchan, Agar tum mujhe na milti to mera kya hota? Kahan jaata main? kaisa hota mera jeevan? Tumne jo pyar ka nazraana mujhe diya hai, main use kabhi nahi bhula sakta. tumhara upkaar hai mujhpar....ki tumne mujhe apne qaabil samjha."


"ye kya keh rahe ho saheb? Main is laayak nahi ki aap par upkaar kar sakun. Dhanya to main hui jo mujhe aap jaisa sathi mila."


"tum nahi jaanti kanchan, tumhe paakar maine kya paaya hai. Meri suni zindagi tumhare aane se aabad hui hai Kanchan. Tumse pehle meri zindagi veeran registan jaisi thi." ravi bhavukta se bhar kar bola.


"saheb......!" kanchan ravi ke kandhe par apna sar rakhte hue boli - "main pyar, mohabbat, nazrana inke baare mein zyada nahi jaanti, bas itna jaanti hoon ki aap hi meri duniya ho, aapke bagair main nahi jee sakti. Mujhse kabhi koi bhool ho jaye to jo jee chahe saza de dena, par kabhi mujhse rooth mat jaana. Nahi to main mar jaungi."


Ravi ne kanchan ko apni baahon mein samet liya. kanchan bhi bina lok laaj ke uski baahon mein simat gayi. ravi ke baahon mein aakar kanchan khud ko har tarah se surakshit mehsus karti thi. Uske majboot baahon ke ghere mein aakar use kisi cheej ka bhay nahi rehta tha. Wo har bhay se mukt ho jaya karti thi.


Kanchan apni aankhon ko band kiye uske garm baahon mein padi rahi. un dono ke liye wo pal jaise tham sa gaya tha. Wey khamosh the kintu unki dhadkane aapas mein baatein kar rahi thi. dono aankhein band kiye ek dusre se lipte pade rahe. Unhe kisi cheej ka hosh nahi tha. Na unhe samay ka gyan tha. na hi mausam ka.


Lagbhag 1 ghanta beet chuka tha. Baarish ka shor bhi tham chuka tha. Andhera ujaale ko nigalta ja raha tha.


Kuchh der baad ravi ki aankh khuli. Usne bahar nazar daudaya. mausam saaf dekhkar usne dheere se kanchan ko pukara. - "kanchan utho, dekho bahar baarish tham chuki hai. Aur saanjh bhi dhal chuki hai. tum ghar nahi jaogi?"


Ravi ki awaaz se kanchan sachet hui. Wah ravi se alag hote hue bahar nazar daudayi. - "haay ram ! kitni der ho gayi. Bua to meri jaan le legi." ye kehte hue kanchan apne kheer ke dabbe ko hath mein lekar khadi ho gayi. Phir ravi ko dekhkar boli. - "saheb ab mujhe jaana hoga. Nahi to sach mein baba aur bua bahut pareshaan honge."


"theek hai. Aao chalein." ravi bola aur kanchan ka hath pakadkar bahar nikal gaya.


Sadak tak aane ke baad kanchan ravi se veeda lekar ghar ke raaste badh gayi. Ravi bhi bike par baithkar haveli ki aur badh gaya.
Jabardast Updateee
 

Prem pyasa

Member
283
980
94
lovely update ..kanchan raah dekhte rahi aur aakhir uski ichcha puri ho hi gayi aur ravi aa gaya .
dil me jitna dard leke baithi thi wo chhu mantar ho gaya aur uski jagah khushi ne le li .
kanchan sidha lapakkar gale lag gayi ravi ke 😍..
kheer ki taarif karke sahi kiya ravi ne warna dil toot jata kanchan ka .
dono baarish se bachne ke liye patthar ki ot me chale gaye aur khushi bhare pal saath me bitane ka aanand liya 😍..
Shukriya Leon
Isi tarah sath dete rahen. Aap logon ki support ki bahut jarurat hai mujhe. Thanks again
 

Prem pyasa

Member
283
980
94
कंचन की मासुमियत उसके मीठे-मीठे शब्दों से झलकती है । उसका रवि के लिए मोहब्बत उसकी एक्टिविटी से साफ जाहिर होता है । बहुत ही भोली और मासूम लड़की है कंचन ।

रवि को देखकर उसके चेहरे पर ही मुस्कान नहीं आई बल्कि सभी सच्चे प्रेमियों के चेहरे पर भी आ गई होगी जो ये अपडेट पढ़ रहे हैं ‌‌‌‌। मिलन की बेला सदैव ही सुखद होता है ।

बस डर यही लग रहा है बारिश के भिगे हुए आशिकाना मौसम में दोनों कहीं बहक न जाएं ! कहीं रवि की गंगा मैली न हो जाए !
( नैना जी शायद जनवरी से आना शुरू करेगी । तब तक उनका रेभो शायद न ही आए । )

बहुत ही प्यारा और खुबसूरत अपडेट था प्रेम भाई ।
एक बार फिर से जगमग जगमग अपडेट ।
Bahut bahut dhanyavaad Sanju ji. Isi prakaar apni pratikriyaon ki Prem varsha se meri pyas bujhate rahen. Main bhi Prem pyasa hoon.
Naina ji se meri baat Hui hai. Unka accident hua hai. Meri duayen hain wo jaldi thik ho jayen. Unki kami to waqi mehsus ho Rahi hai mujhe. Wo meri kahani Ko forward Karti thi.
Anyway mujhe iss baat ka zyada afsos hai ki unke chahite character "nischal" ki entry hote wo shayad na padh payengi.
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Update 27


Kanchan apne geele vastaron mein chipki punah usi patther par baith gayi. Sar ko ghutnon par rakha aur sisak Padi. Use is waqt aisa lag raha tha jaise kisi ne uska sab kuchh chheen liya ho.......jaise wo puri tarah se loot chuki ho.......use aisa mehsus ho raha tha jaise wo beech saagar mein akeli kisi naaw mein baithi dub rahi ho par Koi use bachane wala nahi. Kanchan patthar par baithi thand se kaanpti sisakti rahi.


Kuchh pal aur beeta. Ab baaris ka shor khatm ho gaya tha. Pankshi apne ghoslon se nikalkar khushi se idhar udhar chahakne lage the. Baaris ke baad har vastu saaf suthri aur dhuli hui dikhai de rahi thi. Hawaon mein khusbu fail chuki thi. maahau aisal khusnuma ho gaya tha ki koi bhi thaka haara insaan yahan aa jaye to yahan ka manohari drishya dekhkar uski saari thakaan utar jaaye.


Kintu kanchan ko in cheejon se tanik bhi raahat na thi. Prakriti mein bikhra sara saundarya use is waqt feeka feeka sa lag raha tha. Pankshiyon ka kalrav uske kaano mein jaise zehar ghol rahe the. Yahan ka har vastu use uski ichhaon ke viprit jaan padta tha.


kanchan abhi apni unhi dasha mein gum thi ki use apne pichhe kisi ke kadmon ki aahat sunai di. wah jhatke se khadi hui. Palat kar dekha to use ravi aata hua dikhai diya.


Ravi apni patloon upar uthaye geele mitti mein sambhal sambhalkar kadam rakhta hua uski aur badha chala aa raha tha. Use dekhte hi kanchan ke aansu aur bhi tez ho gaye. Par is baar ye khushi se baras rahe the.


Kanchan ravi ko dekhkar uski aur aisi lapki jaise wo koi nanhi bachi ho. Aur kisi ne use akela kisi ghane jungle mein chhod diya ho. Jahan wo ghanto tak dari sahmi akeli bahatkti rahi ho. Aur ab ravi ko dekhkar uske shran mein aane ke liye daud padi ho.


Ravi ne use apni aur be-tahasa aate dekha to usne bhi apni baahein faila di. Kanchan uski baahon mein simat'ti chali gayi. Use yah bhi dhyaan nahi raha ki uske kapde geele hain. jo is waqt ravi ke kapdon se milkar use bhi geela karte ja rahe hain.


kintu ravi ko uske geele hone ka ehsaas ho gaya tha. Usne aashcharya se kanchan ko dekha. Wah uski chhati mein muh chhipaye subak rahi thi. Use rota dekh ravi ghabra gaya. Wah kanchan ko rota nahi dekh sakta tha. Usne kanchan ko kaskar apni baahon mein bhich liya. Wah dari sehmi si lag rahi thi. Ravi use kuchh der rone deta raha. aur ye sochta raha ki kanchan ro kyon rahi hai? Wah geeli kaise ho gayi?


Usne ek hath se kanchan ko apni chhati se bhiche rakha aur dusre hath se uska chehra upar uthaya. Tatpashchat uske gaalo ko sehlate hue puchha - "kya hua kanchan? Kyon ro rahi ho? Tum bheeg kaise gayi?"


"main aapki raah dekh rahi thi saheb......lekin jab aap samay par nahi aaye, tab main bahut ghabra gayi thi." kanchan bharraye swar mein boli.


"main haveli se nikla hi tha kanchan...ki usi waqt baaris shuru ho gayi. Aur main wahin ruk gaya." ravi uski aankhon se aansu pochte hue bola - "lekin tum bheeg kaise gayi? Kya tumhe baaris mein bhigna achha lagta hai?"


Kanchan ne geele aankhon se ravi ko dekhte hue inkaar mein gardan hilai.


"to phir bhigi kyon? Kisi ped ke niche kyon nahi gayi?" ravi ne phir se puchha.


"aapki khatir...."


"meri khaatir....? Matlab?" ravi ne na samajhne wale bhav se kanchan ko dekha.


"main yahan bahut pehle aa gayi thi. Mere aane ke kuchh hi der baad baarish shuru ho gayi. mera mann hua ki main patther ki ot mein chali jaun. Phir main sochi ki jo main chali gayi....aur usi waqt aap aa gaye to kahin aisa na ho ki aap mujhe na paakar laut jaayein. Isliye main usi unche patther par baithi rahi. Aur phir bheeg gayi." ye kehkar kanchan ravi ko dekhne lagi.


kanchan ki baatein sunkar ravi ka dil bhar aaya. Use kanchan par be-tahasha pyar aaya. Usne kaske kanchan ko apni baahon mein samet liya aur phir uske seer ko chumte hue bola -"tumhe aisa kyon laga ki main tumse mile bagair chala jaunga? tum kya samajhti ho main tumse pyar nahi karta? Main tumse bahut pyar karta hoon. Isliye ab ek baat ka dhyan rakhna. Meri khatir ab kabhi Apne aap ko kasht mat dena. Ab tumhari jaan sirf tumhari nahi hai. Ise kasht dogi to main tumse naaraz ho jaunga." ravi bola aur dheele hathon se uske ek gaal ko noch diya.


Kanchan muskura uthi.


"saheb..." kanchan apne hath mein pakde dabbe ko kholte hue boli - "main aapke liye kheer laayi hoon. Ise aapke liye maine apne hathon se banayi hai. Ye abhi bhi garam hai saheb. Maine kheer ke dabbe ko bhigne nahi diya."


Usne kheer ka dabba kholkar ravi ko dikhaya.


Ravi aashcharya se kabhi kanchan ko, to kabhi kheer ke dabbe ko dekhta raha. Use taazub hua ki mazaak mein kahi gayi baat ko kanchan ne kitna dil se liya. Aur wo uske liye kheer bana laayi. Uspar tez baaris mein wo khud bheeg gayi par kheer ko bhigne nahi diya. Wo sochne laga - "kitna pyar karti hai kanchan mujhe. Meri chhoti chhoti khushi ko kitna del se samman deti hai. Mujhe koi kasht na ho iske liye khud kasht utha leti hai."


Is ehsaas se ravi ka dil uske prati shradha se bhar gaya. Use khud par garv mehsus hua ki use kanchan jaisi saaf dil ki be-intehan pyar karne wali ladki mili.


"kya hua saheb?" ravi ko khamosh dekh kanchan boli. Uska dil anayas hi kisi anjaani aashanka se dhadak utha tha. - "khakar dekho na saheb....maine khud banayi hai."


Ravi muskuraya. Phir kanchan ke hath se dabba lete hue bola -"jarur khaunga. Kheer to mera favourite hai. Aur phir tum banayi ho to iska swaad bhi behtar hoga."


Kanchan dheere se muskurate hue apna seer hilai. Par andar hi andar ye sochkar ghabra rahi thi ki jaane ravi ko uski kheer kasi lagegi? Wah vyakulta se bhari ravi ko dekhe ja rahi thi. Ravi ne kheer ke dabbe mein ungli ghusaya phir kheer ko apne muh mein bhar liya. Kanchan ki utsukta badh gayi. Wah tak-taki lagaye dekhti rahi. Uska dil aise dhadak raha tha jaise abhi uski pasliyan todkar bahar aa jayega.


"ummm......waahhh....!" ravi ne chatkara liya. - "meri to kismat khul gayi kanchan, tum kitna swadist kheer banati ho. Aha.....ab to vivaah ke baad roz tumhare hath ki bani kheer khaunga."


Kanchan ka chehra khushi se khil gaya. Uske murjhaye hue chehre ki raunak laut aayi. Apne saheb ke muh se apni prasansa paakar uska rom rom mehak utha.


Halaanki kheer utni swadist nahi thi. Ravi ne bas kanchan ko khush karne ke liye......badhakar taarif ki thi. Wo nahi chahta tha ki kanchan ke dil ko jara bhi thes pahunche. Ichha na hote hue bhi ravi sara kheer chat kar gaya. Kanchan balihari ho jane wali nazron se use kheer khate hue dekhti rahi. Jo mann abhi kuchh der pehle tarah tarah ki shankaon se peeda grast tha ab wo khushi ke jhule mein swaar aakash ki bulandiyon mein sair kar raha tha. Ab use kisi cheej ki chinta nahi thi. Mahaul phir se suhana ho utha tha. Pankshiyon ka kalrav ab use ache lagne lage the. Prakruti mein bikhra saundarya ab uski aankhon ko bhi bhane laga tha.


"peene ke liye paani kahan hai?" achanak ravi ki awaaz se kanchan chaunki. Sath hi hadbadayi.


Wah to jaldbaaji mein paani laana hi bhul gayi thi. kanchan daayein baayein dekhne lagi. Uska chehra phir se udaas hota chala gaya. Ravi ko samajhte der nahi lagai. Wah tapaak se bola - "koi baat nahi, achha hua tum paani nahi laayi. Paani peene ke baad mere muh se kheer ka swaad chala jata. Jo ki mujhe achha nahi lagta." ye kehkar ravi ek gaddhe mein jame baaris ke paani se hath dhone laga.


"saheb, main aapke liye kal phir se kheer banakar laungi sath mein paani bhi." kanchan ravi ke paas jate hue boli.


"nahi....bilkul nahi." ravi khada hokar rumaal se apna muh saaf karte hue bola - "ab tumhe kheer laane ki jarurat nahi hai. aaj ke baad tum mere liye koi bhi pareshani nahi uthaogi. Ab jo bhi khilana pilana ho vivaah ke baad mere ghar aakar khilaana. Ab tum sirf ek hi kaam karo. Mujhse prem karo. Mere paas aao. Mere sath baitho aur baatein karo." ravi ye kehte hue uske chehre ko dono hathon se bhar leta hai. Aur uski aankhon mein jhankne lagta hai.


Kanchan ki nigaahein bhi ravi par thehar jaati hai. Wah bhi apni aankhon mein sharm liye apni uthi girti palkon ke sath ravi ko dekhne lagti hai.


Tabhi ! Door kahin jordaar bijli kadkati hai aur kanchan chihunkar ravi se lipat jaati hai. Ravi bhi use apni majboot baahon mein bhich leta hai.


Mausam ek baar phir se karwat leta hai. Par is baar bhayankar garjana ke sath. Aakash mein baadal phir se mandrane lagte hain. Aur kuchh hi palon mein phir se boonda baandi shuru ho jati hai.


ravi kanchan ko lekar tezi se us patther ki aur badha, jo jharne ke bilkul nikat tha aur jismein baarish se bachne ke liye khohnuma sthan tha. wahan tak pahuchne mein unhe muskil se do minute lage. par itni hi der mein baarish ki tez boonde unhe bhiga chuki thi. kanchan to pehle hi bhigi hui thi kintu ab ravi bhi lagbhag bhig chuka tha.


Patther ke shran mein aate hi ravi aur kanchan apne apne kapdon se paani jhadne lage. Dono bilkul paas paas khade the. Sahsa ravi ki nazar kanchan ki aur uthi. Uspar nazar padte hi uska sharir haule se kaanp utha. Kanchan ke geele kapdon ke andar se Jhankte uske uroj saaf dikhayi pad rahe the.


Kanchan ka dhyan us aur nahi tha, wo gardan ko jhukaye apne baalon se paani jhaadne mein vyast thi. baalon se paani nikalne ke liye wo baar-baar apne sar ko jhatak rahi thi. uske aisa karne se uske unnat uroj lehra uthte the. Ravi vismit sa uske saundarya parvaton ko dekhta raha. Uske badan mein tez sansanhat si hone lagi. Usne kanchan par se nazarein hatakar baarish ke girte boondon par tika di. Phir wahin patther se tek lagakar zameen par baith gaya.


kanchan bhi thodi der mein uske paas aakar usse satkar baith gayi. kanchan kaafi thand ka anubhav kar rahi thi. Wah baar baar thand se jhurjhuri le rahi thi.


Ravi ne use dhyan se dekha wo is waqt bahut khubsurat lag rahi thi. uske chehre par ek do geele baal chipake hue the jisse uske chehre ki sundarta aur bhi badh gayi thi. Wah aplak kanchan ko dekhta raha.


"aise kya dekh raho ho saheb?" kanchan ravi ko apni aur dekhte paakar shramate hue usse puchi.


"kanchan." ravi uske khubsurat chehre ko nihaarta hua bola. - "kya tumhe kisi ne bataya hai ki tum kitni sundar ho?"


Kanchan ravi ke is sawal se sharma gayi. waise to uski sundarta ki prasansa sabhi hi karte they. Par ravi ke muh se apni khubsurti ki taarif sunkar kanchan ka dil jhoom utha. Wah ravi ke muh se aur adhik prasansa sunna chahti thi. - "saheb aap bahut achhe ho, aap bahut achhi baatein karte ho. Aapke muh se apne bare mein sunna mujhe bahut achha lagta hai. Dil karta hai aap bas bolte jaayein aur main baithi sunti rahun."


"tum bahut achhi ho kanchan." ravi uske chehre par bikhre baalon ko hatate hue kaha. Phir ek lambi saans chhodte hue aage bola - "kabhi kabhi sochta hoon kanchan, Agar tum mujhe na milti to mera kya hota? Kahan jaata main? kaisa hota mera jeevan? Tumne jo pyar ka nazraana mujhe diya hai, main use kabhi nahi bhula sakta. tumhara upkaar hai mujhpar....ki tumne mujhe apne qaabil samjha."


"ye kya keh rahe ho saheb? Main is laayak nahi ki aap par upkaar kar sakun. Dhanya to main hui jo mujhe aap jaisa sathi mila."


"tum nahi jaanti kanchan, tumhe paakar maine kya paaya hai. Meri suni zindagi tumhare aane se aabad hui hai Kanchan. Tumse pehle meri zindagi veeran registan jaisi thi." ravi bhavukta se bhar kar bola.


"saheb......!" kanchan ravi ke kandhe par apna sar rakhte hue boli - "main pyar, mohabbat, nazrana inke baare mein zyada nahi jaanti, bas itna jaanti hoon ki aap hi meri duniya ho, aapke bagair main nahi jee sakti. Mujhse kabhi koi bhool ho jaye to jo jee chahe saza de dena, par kabhi mujhse rooth mat jaana. Nahi to main mar jaungi."


Ravi ne kanchan ko apni baahon mein samet liya. kanchan bhi bina lok laaj ke uski baahon mein simat gayi. ravi ke baahon mein aakar kanchan khud ko har tarah se surakshit mehsus karti thi. Uske majboot baahon ke ghere mein aakar use kisi cheej ka bhay nahi rehta tha. Wo har bhay se mukt ho jaya karti thi.


Kanchan apni aankhon ko band kiye uske garm baahon mein padi rahi. un dono ke liye wo pal jaise tham sa gaya tha. Wey khamosh the kintu unki dhadkane aapas mein baatein kar rahi thi. dono aankhein band kiye ek dusre se lipte pade rahe. Unhe kisi cheej ka hosh nahi tha. Na unhe samay ka gyan tha. na hi mausam ka.


Lagbhag 1 ghanta beet chuka tha. Baarish ka shor bhi tham chuka tha. Andhera ujaale ko nigalta ja raha tha.


Kuchh der baad ravi ki aankh khuli. Usne bahar nazar daudaya. mausam saaf dekhkar usne dheere se kanchan ko pukara. - "kanchan utho, dekho bahar baarish tham chuki hai. Aur saanjh bhi dhal chuki hai. tum ghar nahi jaogi?"


Ravi ki awaaz se kanchan sachet hui. Wah ravi se alag hote hue bahar nazar daudayi. - "haay ram ! kitni der ho gayi. Bua to meri jaan le legi." ye kehte hue kanchan apne kheer ke dabbe ko hath mein lekar khadi ho gayi. Phir ravi ko dekhkar boli. - "saheb ab mujhe jaana hoga. Nahi to sach mein baba aur bua bahut pareshaan honge."


"theek hai. Aao chalein." ravi bola aur kanchan ka hath pakadkar bahar nikal gaya.


Sadak tak aane ke baad kanchan ravi se veeda lekar ghar ke raaste badh gayi. Ravi bhi bike par baithkar haveli ki aur badh gaya.
Such a beautiful old fashioned romance it is :love: bohot khub :applause:
 

DaringAkki

New Member
3
4
3
Pehli Baar iss thread par waiting word dekh Raha hoon.
Main sochta tha shayad mere updates ka kisi Ko intezaar nahi rahta.
Waise writing jaari hai dost .....wait karne ke liye shukriya.
Saari Story Meri Padi Huyi Hai..
Bas Dekhna Ye Hai Ki..
Aap Isme Kya Badlaw Karne Wale Hai..
Is Baar Bhi Nikki Ke Sath Nainsafi Mat Kijiyega..
Story Me Kuch Naya Mod Dijiyega..
 
Top