• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kanch ki haveli

Kaun sa kirdaar aapke Dil Ko chhu gaya

  • Kanchan

    Votes: 10 66.7%
  • Nikki

    Votes: 4 26.7%
  • Ravi

    Votes: 3 20.0%
  • Thakur Jagat singh

    Votes: 2 13.3%
  • Radha devi

    Votes: 1 6.7%
  • Nishchal

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    15

Prem pyasa

Member
283
980
94
Update 28

Raipur ke Aas-paas ke jitne bhi gaon they, aaj un sabhi gaonwon se log Raipur ki aur Safar karte dikh rahe they. Safar karne walon mein Bachne , budhe, jawan aur mahilayen….sabhi tarah ke log Shamil they. Wajah thi har saal lagne wala Raipur ka wo khash mela jiska intezaar Keval Raipur ke vaai hi nahi varan Aas-paas ke dusre gaonwon ke log bhi badi besabri se Kiya karte they. Aaj ka yah din Raipur ke vasiyon ke liye kisi tyovhaar se Kam nahi hota tha.

Aaj bhi usi dhoom-dhaam se wahi mela Laga tha. Tarah tarah ki mithaiyon aur Khel-khilauno ki dukano se pura mela bhara pada tha. Kahin par Bachon ke Mann behlaav ke liye tarah tarah ke jhule tange the to kahin striyon ke shringaar ki saamane bik Rahi thi. Lekin is mele ka aakarshan mahaj ye dukane nahi thi. Is mele ka khash aakarshan mele ke beecho beech Bana hua wo akhada tha jis par kuchh der Baad hi kusti ke daav-pech hone wale the. Alag-alag pratidvandiyon dwara zor aajmaish hone wali thi. Akhade ko charon taraf se baans ka ghera dekar band kar diya Gaya tha, taaki dekhne wale darshak andar na aane paaye. Tatha ek taraf ganmanya logon ke baithne ke liye Manch banaya Gaya tha. Manch ke ek taraf hi pratidvandiyon ke akhade mein Parvesh hetu rasta chhoda Gaya tha Manch par mukhya atithi ke taur par Thakur sahab baithe hue the. Sath mein thana prabhari Dev Narayan Dubey, unke bagal mein mukhiya dhanpat Rai tatha sarpanch ki kursi thi. Wahin Thakur sahab ke baayin aur Nikki aur Dr Ravi baithe hue the.unke alawa kuchh aur log bhi they jinka charcha aavashyak nahi.

Kuchh aaupcharik baaton aur kaamo ke Baad dwand pratiyogita shuru kar di gayi. Ek ek karke pratiyogi aate rahe aur muqabla hota Raha. Jo haarta wo akhade se bahar ho jata aur jeetne wala kisi dusre pratiyogi Ko chunauti deta.

Lagbhag 20 pehalwano ke dwand ke Baad Birju akahde mein utra. Uske muqable mein jo pehalwan tha wo do logon Ko dhul chata Chuka tha. Kuchh der ke vishraam ke Baad punah muqabla shuru hua. Birju us pratiyogi se bhid Gaya. Dono apne Apne bahu-bal ka pradarshan karne Lage.

Charon taraf se dono ke liye naare-baazi hone lagi.

Dono mein se koi bhi Kam nahi tha, lagbhag 30 minutes ke Sangharsh-purn muqable ke Baad antatah Birju ne use chit kar diya. Kuchh der vishraam ke Baad phir naye pratiyogi ne akahde mein Birju ke muqable mein utra. Lekin wo adhik der tik nahi paaya. 5 minutes ke andar hi Birju use akahde se bahar chalta Kiya. Phir teesra aaya usne kuchh samay liya Lekin wo bhi dhul chaat Gaya. Ab har taraf Birju ka hi shor tha, usi ke Naam ke charche they.

Kuchh der ke liye Birju Ko vishraam ka mauqa diya gaya. Tab tak Referee ne bhid Ko sambhodhit karte hue kaha -"aap mein se koi hain jo Birju se mqabla karna chahte hon. Agar hain to wo akhade ke andar aa jayen."

Lekin bhid mein Sannata pasta Raha.

Referee ne dobara pukara. Lekin natija wahi nikla. Kisme majaal thi jo Birju se apni haddiya tudwata.

Birju ne apni muchhon par taav Dena shuru Kar diya. Phir usne palat kar Nikki Ko dekha jo stage par Thakur sahab ke bagal mein baithi thi. Birju ne khilli udane wali Nazar se Nikki Ko dekha, use dekhte hue hi usne dobara Apne muchhon par taav diya

"Lagta hai iss varsh ka muqabla bhi Birju hi jeetega." Thakur sahab Nikki Ko sambhodhit karte hue dheere se bole

"Aap thik kahte hain papa. Yahan ek bhi Aisa jawan Mard nahi jo Birju Ko hara sake. Birju Ko harane ke liye faulaad jaisa sharir aur sher ka jiger chahiye. Lekin yahan to mujhe sabhi gidad hi Nazar aate Hain. Kyon Ravi thik Kah Rahi hoon Na." Nikki ne vyang se muskurate hue Ravi Ko dekha.

Ravi ne ek jalti hui Drishti Nikki par daala phir khamoshi se Birju Ko dekhne Laga

Use Nikki ki baat par gussa to bahut aaya tha. parantu Thakur sahab ki maujudgi ka ehsaas karke chup hi raha.

"Are…..re….re, aapko gussa as Raha hai." Nikki punah us par kayaksh karte hue sargosi ki. - "Apne gusse Ko daba kar rakho mr ravi. Gusse mein aa kar birju se bhidne ki galti mat kar baithna. Kahin Birju bhi gusse mein Aakar aapko zor se patak diya na to hum par musibat aa jayegi."

Nikki ye kehte hue dheere se Hans padi.

Ravi jhatke ke sath uth khada hua Wah Apne apmaan se tilmila utha. Use itna krodh aaya ki uski mutthiyan tan gayi. Uska ji chaha Nikki ke iss uddandta ke badle uske Gaal par ek zordaar thappad maar de. Lekin iss Baar bhi wah Thakur sahab ka lihaaj karke rah Gaya.

Usne Thakur sahab ki taraf dekha, Thakur sahab thana prabhari mr Dubey se baat karne mein vyast they.

"Tum aakhir chahti kya ho?" Ravi ne gusse se Nikki ki aur dekhte hue puchha.

"Main chahti hoon ki aapki haddiyan salamat rahe. Isliye aap chup-chaap Apne sthan par baith jaiye." Nikki atyant masumiyat ke sath boli.

Ravi ka khoon khaul utha. Usne thaan liya ki Nikki ka muh band kiye Bina Wah yahan se nahi jayega. Aur uska muh band karne ka bas ek hi Tareeka tha….."Birju se muqabla"

Usne ek Nazar bheed mein us taraf daala jidhar mahilayen khadi iss muqable Ko dekh rahin thi. Usne ladkiyon ke beech mein khadi Kanchan Ko dekha jo usi ki aur dekh Rahi thi.ravi Ko pareshan dekh uske chehre par bhi pareshani ke bhav aa Gaye they.

Ravi kuchh der Kanchan Ko dekhta raha. Phir usne apni Drishti Nikki ki taraf ghumaya. Wah kuchh kehne hi wala tha ki tabhi referee ki awaaz uske kaano se takrayi.

Wah Mike mein Kah Raha tha. -"Sathiyon Aisa lagta hai ab ye pratiyogita Apne akhiri muqaam tak pahunch gayi hai. Main antim Baar Kah Raha hoon....Agar aap mein se koi bhi vyakti yadi Birju se muqabla karna chahta hai to saamne as jayen. Main sirf teen tak ginunga, uske upraant Birju Ko Vijeta ghoshit kar diya jaayega."

" Ek….!" Iske sath hi Referee ne ginti shuru kar di..

"main muqable karunga." Achanak bhid mein se ek garajti hui awaaz ubhri.

Sab ki nazren awaaz ki Disha mein ghum gayi.

Ek majboot kad-kathi ka naujawan bhid mein se Nikal kar akhade ke samne prakat hua. Phir dekhte hi dekhte wah 6 foota naujawan akhade ke andar Parvesh kar Gaya. Vesh-bhusha se sahri malum padta tha. Chehre-mohre aur sharirik banawat se maloom padta tha koi filmi kalakaar ho Jaise.. Khubsurti aisi ki kunwari ladkiyan use dekhte hi àahein bhar le.

Wah aaraam se chalta hua referee ke paas Gaya. Uski ankhon par mahanga goggles aur kalai mein kimti ghadi thi jise nikaal kar usne referee ke hath mein thama diya. Phir Birju ke samne jaakar khada ho Gaya.

Ravi ki Nazar jyohi uspar padi Wah chaunk utha. Nikki bhi hairaan pareshan si use hi dekh Rahi thi. Kintu Birju ke chehre par sakhti thi. Us naujawan ke aate hi samast bheed ka Dhyan usse hatkar us naujawan par kendrit ho Gaya tha. Birju Ko ye bada hi naa-gwaar lag Raha tha. Usne palat kar Nikki Ko dekha. Use yakeen tha iss sahri naujawan Ko yahan laane wali Nikki hi hogi. Kintu jab uski Nazar Nikki par padi, use behad taazzub hua. Nikki khud us naujawan Ko dekh kar hairan Pareshan lag rahi thi.

Birju soch mein pad Gaya agar ise Nikki ne nahi Bulaya hai to phir ye hai kaun?

"Aapka Parichay….?" Referee ne aagantuk naujawan se puchha. Phir Mike uske Kareeb kar diya.

"Mera naam nishchal hai." Aagantuk naujawan ne mike meinUttar diya.

"To agla muqabla Birju aur nishchal ke beech hoga. Taaliyaan." Referees ne bheed Ko sambhodhit karte hue kaha.

Pura akhada taaliyon ki gadgadahat se gunj utha.

"Kya aap taiyar hain?" Referee ne Birju se puchha.

Birju ne sahmati mein sir hila diya.

"Aur aap, kya aap bhi taiyar hain mr nishchal….?"

Nischal ne bhi haami bhar di.

Dono aamne samne aa Gaye.

Dono ke panje mile aur phir zor aajmaish shuru ho gayi.

Birju ne nishchhal ke harhon Ko modkar uske kamar ke pichhe karne ka prayas Kiya. Wah chahta tha nishchal ke hathon Ko pichhe lejaakar use kamar se thaan le aur phir use apni bahon mein bhar kar Zameen par patak de. Isi prayas mein Birju ne apni puri Shakti Laga di, Kintu nishchhal saavdhan tha. Wo pura zor bhi nahi Laga Raha tha. Wo Birju ki zor se dheere dheere pichhe khisakta ja Raha tha.

Achanak hi nishchal ne ek jhatke ke sath Birju Ko mod kar Apne peeth par laad liya aur dusre hi kshan use bheed ki taraf uchhaal diya.

Birju kala-baajiyan khata hua baans ke ghere se ja takraya.

Akhaada taaliyon ki gadgadahat se gunj utha.

Birju Ko apni bhul ka ehsaas hua. Usne iss shahri naujawan Ko nav-sikhiya aur kamzor samajhne ki bahut badi bhul ki thi. Nishchhal ke ek hi paitre ne Birju Ko ye ehsaas Kara diya tha ki wo na sirf bahadur hai, Balki use kushti ke daav-pech bhi aata hai.

Birju jhatke ke sath khada hua aur ek Baar phir uske panje se apna panja Lada diya. Usne phir se nishchhal Ko zor Laga kar pichhe dhakelna shuru kiya. Kintu iss Baar wo pehli wali galti nahi dohrana chahta tha. Usne achanak se Apne hath dheele karte hue nishchhal Ko apni aur khincha aur phir apni chhati se uske kandhe par ek zor ka dhakkq diya sath hi apna ek paon bhi uske paon se fasa diya. Jisse nishchhal ka santulan bigada aur Wah ladkhadata hua pith ke Bal dhamm se Zameen par jaa gira.

Birju ne mauqe ki najakat Ko Jaana aur ek chhalaang maar kar us par chadhne ka prayas Kiya.

Kintu, usse bhi tivra furti ka pradarshan karte hue nishchhal golatiyan maarta hua Apne sthan se hat Gaya.

Birju muh ke Bal Zameen par gira. Use muh ke Bal pgirte dekh logon ke thahake chhut pade.

Wah baukhla kar utha. Uska chehra mitti se sann Gaya tha. Uski Surat dekh logon ki Hansi nahi Ruk Rahi thi. Bheed Ko hansta dekh Wah gusse se bhar utha.

Usne nishchhal ki taraf nigaah daudaya. Wo door khada mand mand muskura Raha tha. Birju ka khoon ubal Gaya. Wo daant pista hua uski taraf badha aur phir kisi Ghayal sher ki tarah uspar lapka. Lekin nishchhal iss Baar bhi pura saavdhan tha. Wo chhalaang maar kar ek aur hat Gaya.

Birju khud Ko Sambhal nahi paya aur lbaans ka ghera todta hua aurton ki bheed mein ghus Gaya.

Pura akhada thahakon ki shor se gunj utha.

Aurton ne bal-purvak use pichhe dhakel diya.

Birju bhanna Gaya. Uske saare daav ulte pad rahe they. Wah ek Baar phir nishchhal ki taraf badha. Lekin iss Baar nishchhal Apne sthan se nahi hata. Usne apna panja Birju ke panje se jod diya. Aur usse zor aajmaish karne laga. Lekin yah kshan bhar ke liye tha agle hi pal usne ek jhatke ke sath Apne hath chhudakar use apni bahon ke ghere mein jakad liya. Phir puri Shakti lagakar use upar liya. Phir dheere dheere apna shikanja majboot karta chala Gaya.

Birju Ko apni haddiyan chatkhti mehsus hui. Uske chehre par peeda ke bhav saaf dikhai dene Lage they.

Tabhi nishchhal ne bharpur Shakti ka pradarshan karte hue Birju Ko Zameen par zor se patak diya. Uske muh se cheekha Nikal gayi. Birju ne uthne ka prayas Kiya. Kintu nishchhal furti ka muzahira karte hue uchhal kar uski chhati par baith Gaya.

Birju hat-prabh sa use dekhta rah Gaya.

Taaliyon ki shor se pura akhaada gunj utha referee ne bhi Jeet ka vigul baja diya. Nishchhal uth kar khada ho Gaya. Birju apmanit chehra liye akhaada se Bashar chala Gaya. Usne jaate jaate ek Nazar Nikki Ko dekha use dekh kar Nikki vyang bhav se muskura di.

Referee ne punah bheed Ko sambhodhit karte hue chunauti-purn dhang se nishchhal se dwand ke liye bheed Ko aamantran diya. Kintu bheed mein maujood ek bhi vyakti nishchhal se muqabla karne ka saahas nahi kar paaya. Antatah nischal Ko Vijeta ghoshit kar diya Gaya.

Thana prabhari mr Dubey ke kuchh der ke sambhashan ke Baad, Thakur sahab ke hathon nishchhal Ko Uphaar Swaroop sammanit Kiya Gaya.

Nishchhal purushkaar lekar jyon hi Manch se niche utra. Ravi bhi tezi ke sath Manch se niche utar Gaya. Uski tiverta dekh kar Nikki bhi uske pichhe chal padi.
 
Sauravb

Victory 💯
8,104
14,285
174

Wow nischal ki entry.Nikki ka plan fail ho gaya Ravi ko birju se ladhane ka.Nischal ne birju ko hara k story me twist la diya.Amazing update...
 
Prem pyasa

Member
283
980
94
Doston samay ki kami ke kaaran Bina correction kiye iss update Ko pst kar diya hai. Likhne mein hui bhul chuk ke liye kshama Karen. Ek aur baat kehna tha mujhe, wo ye ki iss tarah ka update Maine Jeevan mein pehli Baar likha hai. Action sequences likhna ya narration karna mere liye bahut durlabh tha kintu naye character nischal ki entry main isi roop mein karna chahta tha. Issliye iss bhaag mein Maine yadi kuchh utt-patqang likh diya ho to kshama karein aur kahani ke mul-bhav Ko samjhein.

Dhanyavaad
 
Last edited:
15,627
32,150
259
romanchak update .. birju se koi takkar nahi le paaya par ye nikky kuch jyada hi bol rahi thi ravi ko aur ravi bhi josh me aakar bhidne jaa raha tha birju se par tabhi entry huyi nischal ki jisne apne style se hara diya birju ko .
lagta hai ravi ki jaan pehchan hai nischal ke saath .
 
Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,129
244

Superbbb Updatee

Ravi ko Nikki ko jawaab dena hi chahiye. Warna woh thakur ki izzat karte reh jaayega aur Nikki usko kisi ke aage muh dikhane ke layak nhi choregi.

Idher Nischal ki entry hogyi aur aate hi usne Birju ko achha sabak dikhaya. Maza aagaya. Jabardast
 
Prem pyasa

Member
283
980
94
romanchak update .. birju se koi takkar nahi le paaya par ye nikky kuch jyada hi bol rahi thi ravi ko aur ravi bhi josh me aakar bhidne jaa raha tha birju se par tabhi entry huyi nischal ki jisne apne style se hara diya birju ko .
lagta hai ravi ki jaan pehchan hai nischal ke saath .
Thanks for liking this update
 
10,274
43,153
258
इसमें कोई संदेह नहीं है कि यह अपडेट भी आप के पहले अपडेट्स की तरह " वाह वाह " था । लेकिन निश्छल की एंट्री ने रीडर्स के मन में सवाल जरूर खड़ा कर दिया होगा ।

कौन है निश्छल ? इस अपडेट के अनुसार लगता तो शहरी ही है पर उसकी असल पहचान क्या है ?

कहीं लव ट्राएंगल का तीसरा कोण तो नहीं है वो ? कहीं रवि और कंचन के बीच में तो नहीं आने वाला है ?

या कहीं निक्की के लिए उसका रोल तो नहीं जोड़ा गया है ? कहीं वो निक्की का हमसफर तो नहीं बनने वाला है ?

लड़कियों के दिल में उसने एक प्यारा सा स्थान तो शर्तिया बना लिया होगा । पर उसका हमसफर कौन होगा ! निक्की या कंचन ?

बहुत ही खूबसूरत अपडेट था प्रेम भाई । हमेशा की तरह ।
यह अपडेट कुछ सवाल खड़ा कर गया ।
जगमग जगमग अपडेट ।
 
Shukriya Sanju ji update pasand karne ke liye. Nishchal ki apni ek kahani hai jo bahut jald readers ke saamne aa jayegi. Kahani ke Sath Jude rahen
 
Top