Update no. 32
Recap -
Mahaguru- iske Baad bhi tum log uspar najar rkho khi vo kisi ko nuksaan na pahunchye
Ab aage
Ye payal ke liye bahot lambi ho gya thi, usne kabhi kisi raat ke guzarnae is trah intezaar nhi kiya tha, vo baar baar khidki ki traf jati or or mehtaab(moon)ko dekhti. Or us se kheti
Ritika- kab se khe rhi hu tujhse shup ja, or aftaab(sun) ko numaya(nikal ne) hone de. Magar tu bhi mere sabar ki inteha jannah chtha hai.
Isi trah aapne aapse baate krti vo raat guzarne ka intezaar kr rhi thi.
Akhir upar wale vo bhi us par trah aa gya or aftaab ki roshni ne sare jha ko chamka diya (suraj nikal aaya)
Ritika to isi lamhe ke intezaar mai bechain ho rhi thi, vo raat bhar nhi soyi thi, vo to bas ye soch rhi thi ke ab vo karan ke ruh b ruh (aamne samne ) kaise hogi.
Badi muddat(der) se vo bhi intezaar kar rhi thi is subha ka
Vo tyaar hone ke liye nikal gyi, subah 5 baje hi jabke usne jana 10 bje tha, aam tor par ladkiya kuch jyada hi wakat lgati hain tyaar hone mai, par aaj to is ladki ne hadh hi kar di usne tyaar hote hote hi 9 Bja diye.
Are beti Uth gyi ya nhi (niche se ritika ke papa ki awaz aayi)
Ha papa bas 10 min or (ritika ne kha )
R Papa- beta Pehle hi tumne 10 min krte krte 1 ghanta nikal diya, ab or nhi dekho 9:30 ho gye hain, abhi hame sara ko bhi lene jana hai, jaldi tyaar ho jao
Ritika- are aayi papa, thoda time to lgta hi hai ladkio ko tyaar hone mai.
Ye shabad bol kar ritika ne aapne aap ko aaine mai dekha, 1 pal ke liye jaise aaina bhi bol pdha,
“Ab ja meri Maa kab tak yha mujhe aapna thobda dikhaye gi ja kisi or par bijli gira„
Ritika aapne aap ko dekh kar, niche aapne papa ke paas chal di.
Niche uske papa khana kahne ke liye bethe the, par abhi tak khana shuru nhi kiya tha shayad vo ritika ka wait kar rhe the.
Are aapne aabhi tak khana khaya nhi (ritika ne pucha)
Tera intezaar kar rha tha (r papa bole)
Ritika- sorry papa vo aapko to pta hai ladkio ko time lgta hai.
Ritika ke papa bhi smjhte the ritika ki feeling ko is liye vo bhi kuch nhi bole,
Isi trah dono ne aapne khana khatam kiya.
Ritika ki mummy ritika ke jane se khush nhi LG rhi thi, shayad uski ritika ka karan ki zindagi mai jana Acha nhi lag rha tha, fir bhi vo Aapni galti sudharna chathi thi, isi liye vo ritika ke jane par kuch bol nhi rhi thi.
Isi trah dono Baap beti car mai sara ko pick karne ke liye nikal jate hain,
Kuch hi der mai vo log aryan famil ki haweli ke samne the, abhi vo car se bahar nikle hi the ke puri aryan family aapne ghar ke darbaje par aa gyi.
Kaira- or fir didi aaj to badi katil LG rhi ho kiska Sikar karna hai.
Ritika- chal noutanki
Sara- are chalo na didi ham late ho rhe hain.
Maa- are aise kaise kuch khana to kha ke jao
R papa- are nhi behan ji, ham log sachmai late ho rhe hain. Fir kisi or din aaye tab khana kha kar jayen ge.
Fir tino nikal jata hai Aapni manzil ki traf, ritika ke papa un dono ko ek khass place tak chhod kar vapas aa jate hain or vha se vo dono nikal akeli chal padti hain.
Dusri traf
Karan aaj subha kasrat karne ke Baad sab ko le kar college nikal gya tha, aaj to usne soch hi liya tha ke, vo us ladki se baat krke hi rhe ga, chahe kuch v ho jaye