Update no.33
Recap-
Karan aaj Subha kasrat krne ke Baad college Nikal gya , aaj to usne soch hi liya the ke ,aaj vo us ladki se baat krke hi reha ga.
Ab aage
Kuch hi der Mai ye sab college pahunch jate hain.
Vivek - are teji se chal na Karan, ye kachue ki tarah kyu chal rha hai
Mai- mujhe Subha Subha teri trah Savita ma'am ki dekh kar ankhe garm nhi krni ,tu ja teji se
Vidhya-(gusse se) Vivek
Vivek- are kuch nhi, mazak krne ki aadat hai is kamine ki
Mai-hahahaha
Vivek- (mere kaan main) tu mujhe akela mil
Vidhya- ye Kaan Mai kya khusrfusar ke rhe ho
Mai- are kuch nhi bas Vivek mujhe ye khe rha tha ke jaldi chal khi savita ma'am ka lecture miss na ho jaye.
Vidhya- ruk ise mai abhi btati hu.
Vivek (bhagte hue) - agar mai bach gya to to nhi bachega kamine.
Mai- hahahahah chal nikal
Iske Baad vivek mere paas se bhag gya or vidhya uske piche chali gyi.
Or Mai us ladki ke bareme sochte hue canteen ki traf chal diya, ke shayad vo mujhe vha canteen mai mil jaye.
Jab mai canteen pahucha to vha vo ladki to nhi thi, par payal Vohi mojud thi
Payal- kaise ho aap karan ji?
Mai- mai to bachpan se hi shreef hu.
Payal-hahahaha
Mai- aaj kya baat hai aap lecture ke liye nhi gyi.
Payal- (ab kaise kho ke aap vha nhi the is liye nhi gyi lecture lgane) wo bas aaj mood nhi tha.
Mai-(idhar udhar dekhte hue ) ha yr aaj to mera bhi mood nhi tha. Chalo bahar khi ghumte hain.
Payal- hanji chalo
Fir ham dono nikal gya canteen ke bahar, or chalte-chalte pahunch gye ham college ke sab se piche ke garden main.
Aam tor students mai isse lovers garden bhi kha jata hai kyuki yha jyada tar couples hi hote hain.
Ham aise hi aapas mai baate krte hue chal rhe the ke Vohi ek jgha hame vivek or vidhya dikh gye, unke chahra dusri traf tha.
Ham unke paas pahunch gye, vo gale mai bahe dale baate kar rhe the.
Vidhya- tumhari pehle koi girlfriend thi
Vivek- ek baar aryabhatt meri girlfriends ki ginti kar rha tha and us din usne shunye(zero) ki khoj ki.
Mai-(payal se) are chalo yha se khi ye kotlya ki aulad akbar ko aapne dada hi na bna de.
Isi ke sath mai or payal aage chal diye, meri ankhe bas ussi ladki ko dhond rhi thi
Payal- mujhe to abhi andaza hua ke vivek itna chalu hai.
Payal ye bol kar meri traf dekhne lgi, par mera Dhyaan khi or tha.
Payal- karan ji kha kho gye
Mai-(payal ki baat sun kar) are khi nhi aap btao
Payal kuch bol hi rhi thi ke tabhi meri najar college ke main gate par gye,
vha par vohi ladki thi jisse mai itne dino se baat krna chatha hu, vo is samhe college ke bahar ja rhi thi akeli.
Mai- Payal tum class mai jao mujhe kuch kaam hai, is liye mujhe jana hoga.
Payal- are achanak kya hua
Mai-(ladki ki taraf dekhte hue) kuch nhi bas mujhe kuch kaam hai
Ye bol kar Mai Payal ke paas se us ladki ki taraf chal diya,
Jab Mai bahar pahunch a to dekha ke Abhi vha koi nhi hai, Maine idhar usdhar dedkha to pata chala ke vo ladki ek riksha Mai Bethne wali hai.
Ye dekh kar Mai uski traf bhaga, par mere us tak pahuchne se pehle hi vo ladki us riksha Mai Beth kar khi Nikal gyi thi.
Lekin aaj Mai usse milna hi chatha tha , isliye Maine pass se hi ek texi li or us riksha ka picha krne LGA.
Kuch der vo riksha chalta rha , par kuch samhe Mai hi vo kisi ek Ghar ke samne ruk gya
Vo ghar shayad 2 ya 3 kamro ka hoga or uski halat bhi thik nhi thi,
Vo ladki riksha Mai se utar kar sidhe us ghar Mai Chali gyi, Maine pehle hi texi kuch piche rukhwa li thi, iske Baad Mai bhi texi se Nikal kar us ladki ke ghar ki traf chal diya
Tabhi
Dusri traf
Sara or ritika aapne ghar pahunch jati hain , ghar ke nokro ko phele hi bta diya gya gya tha in ke aane ka is liye ghar Pehle se hi saaf krwa diya gya tha.
Sara(car se uttarte hue)- wow didi ghar to bahot bada or khubsurat hai.
Ritika- are to kya ham kisi aaise waise ghar mai rehte kya.
Sara- chalo aage bhadho, mujhe andar se ghar dekhna hai
Ritika- chalo maine kha roka hai.
Fir ritika or sara dono chal padhte hain andar, aadar ka najara to bahar se bhi sundar tha
Sara- wah didi Sach mai aapki choice kya kehne
Ritika- are nhi, ye ghar to Maa or papa ki psnd ka hai
Abhi ye dono baat hi kr rhe the ke tabhi, ritika ko call aati hai. Ritika phone uthati hai
Ritika- hello!!
Online-********
Ritika- ji ha papa, ham dono pahunch gye hain, or raste mai hame koi preshani nhi hui.
Online-************
Ritika- sachmai papa!! Oh thank you papa aap best ho love youu
Itna kehne ke baad Ritika phone cut kr deti hai
Sara- itni kya khush hone wali baat hai didi, khi aap behan to nhi bnne wali
Ritika- chal pagal kuch bhi bolti hai
Baat ye hai ke papa ne ham dono ki admission krwa di hai. Meri to mere purane ussi college mai or tumhari ussi ********* school Main Jha tum chathi thi.
Sara- thanks didi, vaise school Kab se jana hai.
Ritika- are Kal se hi
Sara- kyaaa, are abhi to exam khatam hoke result aaya tha, ab fir se school
Ritika- to kya hua, vaise bhi tujhe to school Jana tha na
Sara- ha didi Jana to tha, par Mai pehle thode din yha ghumna chathi thi.
Ritika- to usmai kya hai, aaj jitna chaho ghum lena
Sara- sach didi
Ritika- ha saaru aaj chalna mere saath , aaj tujhe pura shahar dikhaongi (or shayad mujhe bhi khi Karan dikh jaye)
Ritika- chalo fir Sara Mai tumhe tumhara Kamra dikhati hu, tum fresh ho Jana, uske Baad ham tyaar ho kar ghumne chale ge
Sara- thik hai didi
Fir Ritika Sara Ko uska Kamra dikhane Chali jati hai.
Dusri traf
Mai us ladki ke ghar ki traf chal padta hu, tabhi mujhe andar se ek awaz aayi hai.
Maa kha ho AAP
Ye us ladki ki awaz thi,
Tabhi andar se ek or awaz aati hai
Mai yhi hu Aakriti beta
Aakriti- kya maa bhi, Mai kabse aapko phone kar rhi thi, AAP phone kyu nhi utha rhe the.
Maa- sorry beta, Mai kaam kar rhi thi, liye mujhe phone call sunai nhi di
Aakriti- maa aaj bhi professor ne mujhe fees ke liye kha tha.
Maa- beta Mai ek ya do din Mai intzaam ke dungi , tum tension mat lo
Aakriti- maa mujhe pata hai AAP ke doge, bas Mai to puch rhi thi, mujhe pta hai papa ke jaane ke Baad aapne mujhe kaise pala hai.
Mai ye sab baate ghar ke bahar se ek Khidki se Sun rha tha
In maa beti ki baate sun kar Mai smjh gya tha ke in ki halat Abhi thik nhi hai,
Itne Mai vo ladki aapni maa ke paas se Nikal kar ek room Mai Chali gyi Mai teji se koi dusri Khidki dhundne LGA Jha se mujhe Aakriti dikh ske.
Dhondte hue jaldi mujhe ek Khidki mil gyi.
Aakrit aapne kamre Main ek photo ke aage khadi thi, vo photo kisi aadmi ki thi. Mai smjh gya ye jror Aakriti ke papa honge.
Aakriti- papa Mai aapko bahot miss leti hu, par papa aapke Jane ke Baad bhi maa ne mujhe kabhi koi kami nhi hone di. Aaj bhi mere liye vo kitni mehnat leti hain.
Bas papa zindagi se ek sikayat hai(itna khene paar Aakriti ke aankho Mai Pani aa gya) bas jis Ko dekhte hi mujhe usse pyaar Ho gya, vo mujhe nhi mil skka. Ab to bas roj college Mai dekh kar hi aapne dil Ko dilasa deti hun.
Mai is se aage Aakriti ki baate nhi sun skka, kyuki mujhe uske liye Bura Mehsos ho rha tha, isliye aaj us se baat krna thik nhi smjha or vapas college as gya.
Jha Payal pta nhi kitne sawal liye mera intzaar kr rhi thi