• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Karmyudh ( Completed )

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,009
173
UPDATE 24

Mahendra pratap us balak ko ghar le aaye aur bête ki tarah use paalne lage. Apne pariwar ko kho dene k baad unhone apni jaidaad ka ek bada hissa daan kar chuke they fir bhi chunki unka pariwaar purane raeeso me aata tha isliye abhi bhi unke paas paise wagerah ki koi kami nahi thi. Us balak ko unhone naam diya suraj pratap urf surya. Surya bada hi medhavi aur honhaar bachha tha, uski seekhne ki kshamta bachpan se hi adbhut thi.

……….Flashback ends……………

Swami ji – ye thi surya yaani tumhare janm ki sachhayi aur tumhare janm ka uddeshya…

Me – k… k… kya ye sab… sab sach hai…….. par ye kaise ho sakta hai.

Swami ji – haan putra… ye sab satya hai.

Me – to…. To mera ye haal kaise hua …. Main wahan kaise pahuncha …. Aur agar mai itna hi shaktishaali hu to me aise kyo……

S – ye tumhe swayam janna padega putra… waise bhi ab waqt aa gya hai ki tum apni smritiyo ke sath sath apni supt shaktiyo ko bhi punah jagrat karo…. Iske liye tumhe apni kundalini shakti ko jagrat kar use shestrasaar chakra tak le jana hoga…. Jiska marg hai dhyaan. Tum pehle bhi ye kayi baar kar chuke ho to mujhe nahi lagta k isme tumhe samay lagega. Thode bahut prayas se hi tum sehaj hi is awastha ko prapt kar sakte ho.

Me – jaisa aap kahe swami ji

S – putra ab jakar tum bhojan kar k vishraam karo fir mai tumhe dhyaan karwaunga jiska abhyaas tum kal se pratidin karoge

Me- swamiji mai kuch poochna chahta hu

S – kaho putra

Me – yadi yeh satya hai ki mai hi surya hu aur yahi rishikesh me pala badha hu to mera ghar baar mere pita wo sab kahan hai… kaise hain….

S – hame khed hai putra surya par wo apna jivankaal samapt kar apne isht k charno me sthan pa chuke hain… shesh tum swayam jaan jaaoge sahi samay par. Ab jaao putra.

Me – jo agya swami ji.

Mai wahan se bahar niklne k liye muda to dekha dwar k sath kutiya k bahar koi khada tha…. tha kya thi, wahan kiran khadi thi jiski dono aankho se aansuo ki dharaye beh rahi thi.

Kiran (rote hue)– “s….s…. surya …..”

Maine palat kar swamiji ki aur dekha…. Wo bhi kiran ki aur dekh rahe they.

Swami ji “haa putri ye Surya hi hai…. Par abhi ye apni sabhi smritiya kho chuka hai…. Prabhu ki kirpa hui to sheegra hi ise sab yaad aa jayega….”

Fir wo mujhe bole putra tum jao main Kiran se kuch baat karna chahta hu.


Mai bina kuch bole unhe punah pranaam karke apni kutiya me aa gaya…
Super update bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,009
173
UPDATE 25

Kutiya me baitha hua mai soch raha tha kya ye sab sach hai jo swami ji ne bataya, kyan wakayi mai hi surya hu, lekin mera to chehra bhi badal gaya hai kahi aisa to nahi ki swamiji ne pehchanne me koi bhool ki ho kyoki agar mujhme itni shaktiya hoti to mujhe awashya pta hota.

Fir mujhe dhyaan aaya ki swamiji ne kaha tha ki shaktiyo ko bhi supt awastha se jagana hai. Kya jamela hai yaar. Fir mera dhyaan Kiran ki aur gaya uska chehra , wo aansu par wo aansu mujhe kisi dukh ya peeda k to nahi they, kya wo bhi mere ateet se judi hai.

Tabhi bahar ek khatka sa hua, mujhe laga koi shishya bhojan k liye bulane aaya hai to maine uth k dwar khola, bahar Kiran khadi thi. Uska chehra kisi khushi se jagmaga raha tha. palke abhi bhi namm thi.

K – t…. tum…. Tum mmm mere….. I mean tum…. Tum sachmuch surya ho……. Kya tumhe…. Tumhe sachmuch kuch bhi yaad nahi….

S – relax Kiran …. Aap aao yahan baitho….

K – nn nahi…. mai theek hu…. Lekin agar tum hi surya ho to tumhara chehra kaise badal gaya. Aur ab tak they kahan tum.

S – look mujhe sachmuch kuch yaad nahi apne past ka aur mai behoshi aur ghayal awastha me kuch logo ko mila tha jinhone mera na sirf meri plastic surgery karwayi balki coma k dauraan mera dhyan rakha, sath hi theek hone k baad apne mare hue bete ki jagah aur naam bhi diya.

K – m… mai… mai aaj bahut khush hu ki ishwar ne meri sun li aur tumhe wapas bhej diya.

S – kya tum mere baare me sab janti ho, tum mujhe mera ateet bta sakti ho ?

K – haan mai…… nahi…. Mai abhi kuch nahi bta sakti, pitaji ne kaha hai ki wo sab tumhe khud yaad aana chahiye aur jald hi aayega bhi. Mujhe bhi besabri se us waqt ka intzaar rahega.

S – hmmm… achha mai jara bhojan kar aaun..

K – tum ruko yahi mai swayam tumhare liye bhojan lekar aati hu.

Kehkar wo bhagkar chali gayi. Thodi der baad woe k thaal me bhojan le kar aa gayi. Main baithkar bhojan karna shuru karne laga tabhi maine poocha – tumne bhojan kiya

K – aaj to meri bhookh pyaas sab khushi k mare ud hi gayi h, fir bhi mai baad me bhojan kar loongi abhi tum shuru karo surya

Mai chupchap bhojan karne laga, wo baar baar mujhe aise ‘vaari jau’ wale andaaz me dekh rahi thi k bas…. Uski najaro se mai baicheni se feel kar raha tha par kuch bola nahi. Mere bhojan karne k baad wo juthe bartan aadi le kar chali gayi.

Bhojan karne k kuch der baad mai swami ji se milne gaya. Unhone mujhe dhyan aur kundalini jagran k Vishay me kaafi kuch bataya. Aur agle din prathkaal se pratidin dhyaan karne ko kaha.


Mai unhe pranaam karke apni kutiya me aa gaya aur aane wale kal k baare me sochta hua so gaya taaki subah jaldi uthkar dhyaan kar saku.
Mast update bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,009
173
UPDATE 26

Raat bhar mere dimaag me kayi swaal uthal puthal machete rahe, ki aakhir aisa kya hua hoga jo itni shaktiya hote hue bhi mera ye haal hua. Mere papa thakur mahendra pratap ko kya hua. Aur Kiran ka meri jindgi me kya role hai. Rakesh ka kya hua, kya wo apne maqsad me kamyab hua ya maine use rok diya. Aise kayi swaal mere dimag ko math rahe they. Ant me maine sab bhawishya par chhor dene ka faisla kiya jab tak ki meri yaadasht laut nahi aati.

Agle din subah early morning me uth kar naha dhokar mai dhyaan karne baith gaya. Lekin baar baar kisi na kisi karan dhyaan bhang ho jata. Mai kaafi der prayaas karta rha. Kaafi prayaaso se bhi jab mujhe safalta nahi mili to mai swami ji k paas gya aur unhe sab haal keh sunaya.

Swamiji muskaraye aur bole , putra dhyaan lagana koi karya nahi hai jo karna pade, tumhe bas apne bheeter sakshi bhaav lana hai. Jo ho rha , ghat rha hai use sirf dekho, apne dimaag ko shithil chhor do. Jitna prayaas karoge utna door ho jaoge.

Me – ji swami ji

Aise hi do chaar din lagataar subah mai dhyaan me baithta raha, din bhar aashram k chhote mote karyo me sehyog deta, shaam ko swami ji k paas baithkar unhe aaj ka dhyaan ka anubhav bta kar aage k liye diha nirdesh leta, is beech koi lagataar mujhe watch kar raha tha , I mean thi , kiran… kiran na sirf meri dincharya par najar banaye hue thi balki mere chhote mote karya bhi mere pichhe ya samne kar diya karti thi, pehle ki bajay ab uska chehra aur sondarya alag hi aabha bikher raha tha. par mai abhi bhi usse sidhe sidhe baat karne me hichak raha tha.

Aaj chhathe din jab mai dhyaan me baitha to achanak mujhe kuch drishya dikhayi dene lage. Pehle to rakesh ka chehra ubhara to mujhe bechaini hone lagi.

Maine khud ki chetna ko samhalne ka prayas kiya aur fir se dhyaan me aur gehre doob gaya, ab mujhe jangal k beech wahi jharna dikha jo mai pehle bhi sapno me dekh chukka tha, whan ghoomte mai aur kiran dikhe. fir achanak ek krodh me bhara kisi aghori ka chehra saamne aaya. Wo kuch keh rahe they.

aghori – JA… mai tujhe shraap deta hu ki tu apni ye shaktiya kho baithega, aur wo bhi tab jab baat teri jindgi aur maut ki hogi.

Iske sath hi mera dhyaan bhang ho gya. Mera poora sharir pasine me bheega hua thar thar kaamp raha tha. kaun they ye aghori. Kise shraap de rahe they, kya mai… kahi yehi to meri shaktiya jaane ka karan nahi par aisa maine kya kiya hoga.

Thoda paani piker mai fir se dhyaan me baith gaya par ab dhyaan nahi laga paya to main uthkar dainik karyo me lag gaya. Rojan ki bhaanti ghar par sabhi se baat karta tha sath hi sush se bhi. Muskaan mere bina bahut udaas ho gayi thi par maine use wada kiya ki jald hi wapas aa jaunga.

Kuch dino me mai aasani se dhyaan lagane lag gaya is tarah k kuch drishya baar baar mere saamne aate rahe par ab mai ye sab sakshi bhaaw se dekhne me Samarth ho chukka tha.

Shaam ko swamiji k sath baithe hue…

Swami ji – putra ab tum dhyaan lagane me safal ho gaye ho, ab tumhe apni kundalini ko jagrat karna hai. Jaise ki tumhe pehle bhi bataya gaya hai ki har insaan me do urja yan shaktiya hoti hai, sharirik shakti jo sab jaante hai aur ek aatmik jise hum kundalini bhi kehte hain.

Kundalini isliye ki yeh urja reedh ki haddi k theek niche naabhi aur ling k beech kundli mare sarp k samaan vaas karti hai, sukshm sharer k saato chakra isi urja se chalte hain, yaha tak ki job hi karya hum karte hain usme hamesha dono urjao ka sammishran istemaal hota hai. Jiski kundalini jagrat nahi hai wo bas iska bahut mamuli sa ansh hi istemaal kar sakte hain par jo ise jagrat kar lete hain unki kshamtaye atulniya ho hjaati hain. Haan kuch log gehan dhyaan k bhaanti gehan krodh aur gehan prem k madhyam se bhi ise trigger kar lete hain , jaise ki gusse me insaan wo kar gujarta hai jo uske sharirik shakti se bahar hota hai baad me use bhi hairaani hoti hai, darasal us waqt uske sharir me kundalini shakti todi bahut der k liye kuch adhik matra me jaag jaati hai. Aur jo ise purtaya jaga le to fir tum andaja bhi nahi laga sakte.

Ise jagane ka ekmaatra marg hai dhyaan. Baari baari sabhi sato chakro par dhayaan lagao aur unhe active karo.

Wo saat chakra hai muladhaar, swadhishtan, Manipur, anahat, vishushdha, ajna aur sahasrar. Har chakra k active hone k sath uski shaktiya bhi active ho jayengi. Aur sahasrar k active hone par tum apni yaadasht aur supt shaktiya bhi jagrat kar sakte ho.

chakra

dheere dheere mai unke bataye tareeke se ek ek karke sabhi chakro ko active karne laga aur wo din bhi bhi aaya jab maine apne saatve aur antim chakra ko bhi jagrat kar liya.


how to measure my screen size
Khubsurat update bhai
 

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
15,903
39,802
258
Waiting for next update
 

gOlDy

Active Member
1,263
6,739
159
Dear readers, samay k aabhav k karan kahani thodi short off karne par majboor hu… so kuch scenes cut kar diye hain, jaise hero ko dhyaan k sabhi charno me kya kya anubhav hue kaise uski sabhi shaktiyaan jagrat hui aur antim sahasrar chakra k jaagne par jo paralokik anubhav hue wo hata kar story ko halka sa jump de diya hai ki jab hero ki kundalini jaag gayi to usne apni past life ko dekha jo agle update se flashback me aap dekhenge. Ye flashback bhi poori tarah se fast forward mode me hoga par aapko pasand aayega. Is flashback me surya ka aashram me jana dhyaan seekhna, kiran se milna, college life, rocky se college me jhadap, rocky ki powers ki jhalak, main war, aur kayi mast scene dimaag me hain par….
Vaise sach kahu to mujhe bhi lag raha hai ki jaise mai is story ko likhna chahta tha vaise nahi likh pa raha hu aur na samay se update de pa rha hu, to agar koi mitra ise poora karna chahe to most welcome…
Btw aaj shaam tak agla update dene ka prayaas karunga. Thanks…
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,009
173
Dear readers, samay k aabhav k karan kahani thodi short off karne par majboor hu… so kuch scenes cut kar diye hain, jaise hero ko dhyaan k sabhi charno me kya kya anubhav hue kaise uski sabhi shaktiyaan jagrat hui aur antim sahasrar chakra k jaagne par jo paralokik anubhav hue wo hata kar story ko halka sa jump de diya hai ki jab hero ki kundalini jaag gayi to usne apni past life ko dekha jo agle update se flashback me aap dekhenge. Ye flashback bhi poori tarah se fast forward mode me hoga par aapko pasand aayega. Is flashback me surya ka aashram me jana dhyaan seekhna, kiran se milna, college life, rocky se college me jhadap, rocky ki powers ki jhalak, main war, aur kayi mast scene dimaag me hain par….
Vaise sach kahu to mujhe bhi lag raha hai ki jaise mai is story ko likhna chahta tha vaise nahi likh pa raha hu aur na samay se update de pa rha hu, to agar koi mitra ise poora karna chahe to most welcome…
Btw aaj shaam tak agla update dene ka prayaas karunga. Thanks…
Ok bhai

Intjaar rahega

Mitr jish kalpnashakti se aap ish rachna ko shilpkaar ki bhanti nirman kar rahe ho aisha dusra vaykti nahi kar sakta

Kyoki har Insaan ki soach bhinn hoti hai bhai

Update chahe late aaye per aap hi ishe pura karne ki koshish karna yahi ish kahani ke liye nayay sangat hoga

Baaki aap behter jaane
Saadhowaad
 

The king

Well-Known Member
4,239
15,468
158
Ok bhai

Intjaar rahega

Mitr jish kalpnashakti se aap ish rachna ko shilpkaar ki bhanti nirman kar rahe ho aisha dusra vaykti nahi kar sakta

Kyoki har Insaan ki soach bhinn hoti hai bhai

Update chahe late aaye per aap hi ishe pura karne ki koshish karna yahi ish kahani ke liye nayay sangat hoga

Baaki aap behter jaane
Saadhowaad
Me bhi sehamat hu nevil singh ki bat se gOlDy bhai
 
Last edited:

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,879
188
Ok bhai

Intjaar rahega

Mitr jish kalpnashakti se aap ish rachna ko shilpkaar ki bhanti nirman kar rahe ho aisha dusra vaykti nahi kar sakta

Kyoki har Insaan ki soach bhinn hoti hai bhai

Update chahe late aaye per aap hi ishe pura karne ki koshish karna yahi ish kahani ke liye nayay sangat hoga

Baaki aap behter jaane
Saadhowaad
you are right brother
 
Top