UPDATE 41 (FINAL)
Kiran besabri se surya ka hi intjaar kar rahi thi, surya ki halat dekhkar jaise uski aankhe bhi nam ho gayi. Usne daudkar surya ko banho me bhar liya.
Surya ko aaram chahiye tha to use lejakar kutiya me sula diya. Agle din tadke hi jab surya utha to kaafi behtar mehsoos kar raha thaw o fresh hokar dhyaan me baith gaya. Dhyaan me gehre utarte hi use suryadev ki awaz aayi
Sd – kaise ho putra
S – mai theek hu prabhu
Sd – putra jis prakar tumne us shaitan ka ant kiya hai usse hum bahut prasann hain, aur tumhe manchaha var maangne ka avsar dete hain.
S – prabhu mujhe kuch nahi chahiye, bas itna aashirwad de ki mai yu hi hamesha dharm aur satya ke path par chalta rahu.
Sd – sadhu putra, tum dhanya ho. Jo tumme sabhi devtao ke ansh they we wapis unhi me samahit ho gaye hain, tumhe mai apni shakti se purn swasth kar deta hu aur ab tum apna jiwan jine ke liye swatantra ho. Mai tumhe ek sukhi aur khushhaal jiwan ka var deta hu
S – dhanyawad prabhu, jab bhi mere layak koi sewa ho mujhe awashya yaad rakhiyega, mai hamesha sajj hu.
Sd – kalyaan ho.
Udhar kiran aayi to usne dekha surya dhyaan me baitha hai to weh wahi baith kar intjar karne lagi. jab wo dhyan se bahar aaya, dekhne me pehle jaisa hi tejomay aur aakarshak lag raha tha.
S - kaisi ho kiran
K – mai to theek hu, tum kaise ho
S – ab bilkul theek hu.
S – kiran kal mai poochna hi bhool gya, mere papa kaise hain.
K – tumhare viyog me bimar pad gaye they, mai roj unse milne jaati thi, jab se maine unhe bataya hai ki tum laut aaye ho unki halat behtar ho rahi hai, wo to pitaji ne tumhari yaadasht ka kehkar mana kiya hai isliye wo ruke hue they warna wo kabse tumse milne chale aate.
S – mai unse abhi milne jaaunga.
K – muskarakar – chalo mai bhi chalti hu.
S – chalo lekin usse pehle mujhe tumhe kuch batana hai.
K – kaho
Maine use pichhle ek saal ka sab keh sunaya, sush aur mehak ke baare me bhi sab bata diya. Ye jaankar ki mai unka pyaar accept kar chukka hu kiran ko dhakka sa laga.
K – mai unki sada hrini rahungi ki unhone tumhara itna khyaal rakha aur tum ho hi itne pyaare ki kisi ke bhi dil me utar jao. Mai tum logo ke beech nahi aaungi.
S – nahi kiran , mere batane ka ye aashay nahi tha. mera pehla pyaar hamesha se tum hi to thi. Pta hai bhale hi mai sab bhool gya tha par tumhara ehsaas kabhi mujhse juda nahi hua tha. maine sush aur mehak ko bhi keh diya tha ki yadi past me meri jindgi me koi aur hua to unhe use accept karna hoga.
Kiran ki aankho se jhar jhar aansu beh rhe they, wo boli – mai pehle un dono se baat karna chahungi.
Maine sush ko phone milaya aur use apni yaaddasht wapasi aur kiran ke baare me sab bta diya. Wo mehak ke sath hi thi, un dono ne kiran se kaafi der baat ki. Aur finaly teeno ne ek dusre ko accept kar liya.
Fir mai acharya ji se aashirwad leke papa se milne gaya. Wo bistar par lete hue they. Jab kiran ne unhe bataya ki mai hi surya hu, wo mujhe dekhkar ro pade.
MP – beta tu aa gya , mujhe yakeen tha beta tu aayega, aur mujhse bhi jyada is bachhi ko. Ab mujhe ishwar se koyi shikayat nahi hai chahe wo mujhe aaj hi bula le.
S – aisa kyo kehte ho papa, mai sirf apne karmyudh me uljha raha aapki sewa to kar hi nahi paya. Ab aap hamesha mere sath rahenge.
MP – jisme teri khushi beta mai usme khush hu.
Tabhi thakur sahab ka phone aaya aur unhe bhi maine sab bata diya. Wo bhi sunkar bahut khush hue. Unhone mujhe sabhi ko lekar jald se jald wahan aane ko kaha.
Papa ki tabiyat theek hote hi mai , papa , kiran aur acharya ji sabhi gaanv gaye. Jahan sab bado ke beech kiran aur sushmita se meri shaadi ki baat chali to maine khud aage badhkar mehak ke baare me sabko bta diya, ek baar to sab stabdh reh gye fir teeno ladkiyo ko bulakar aur saari baat unke samne ki gayi. Aur sabki marji se meri teen shadiya tay hui.
Kuch din baad teeno se shaadi kar ke mai wahi sattle ho gya . papa (MP) acharya ji ke sath aashram chale gaye , wo bole tum sab raji khushi ho mujhe aur kuch nahi chahiye, mai milne aata rahunga par ab aashram me hi rehna chahta hu.
Aur is tarah meri jindgi gujarne lagi.
THE END