UPDATE 28
Kiran wahan kuch aur aashram k bachho ke sath khel rahi thi, surya wahi khada ho unhe dekhne lagta hai, jaise hi kiran use dekhti hai wo ishare se use apne paas bulati hai to surya un logo k paas chala jata hai.
Kiran – aao surya , hamare sath kheloge. Ye mamta hai aur ye virat (apne dono dosto ka parichay dete hue boli) aur dosto ye hai surya ye ab yahi aashram me rahega aur hamare sath khelega bhi
Aur surya ki dosti mamta aur virat se bhi ho gayi aur sabhi sath khelne lage. Samay k sath virat aur kiran k sath surya ki dosti pragaadh hoti chali gayi. (hui to mamta k sath bhi par uska koi adhik role nahi hai story me.)
Isi tarah kayi varsh vahi beete, is beech 10th aur 12th ki pareekshaye surya ne home education k thru di jisme apni vilakshan pratibha k karan usne top kiya tha. sath hi yog aur dhyaan me bhi wo parangat ho chuka tha. ek din swamiji ne surya ko apne paas bulaya.
Surya – pranaam swamiji
Swamiji (SJ) – aayushmaan bhav putra, aao virajo.
Suraya – aapne mujhe yaad kiya
SJ – haa putra, jis uddeshya k liye hum tumhe itne samay se dhyaan aur yog ka kathin prashikshan de rahe they wo aaj purn hua.
S – mai samjha nahi swamiji
SJ – putra, tumhara janm ek vishesh karya k liye hua hai. Us karyasidhi hetu devo ne tumhe divyashaktiya bhi di hain, jo abhi supt awastha me hain kyoki samanya manav sharir unhe dharan nahi kar sakta. Ab chunki tumhari dhyaan ki shiksha purn hui aur tum us yogya ho ki un shaktiyo ko dharan kar sako to ab mai tumhe wo gyan dene ja raha hu jisse tum un shaktiyo ka aawahan karna hai.
S – yeh sunne me kuch ajeeb sa lag raha hai par yadi aap keh rahe hain to satya hi hoga. Parantu mujhe in shaktiyo se karna kya hai ?
SJ – putra bhale hi ishwar ne hume bhavishya me jhaankne ki kshamta di ho par niyati k karya me hum hastakshep nahi karte. Tumhe bhi tumhara prarabdh tumhari manjil tak khud le jayega. Isliye ab ye aawahan vidhi seekh kar tum apne ghar apne pita k paas laut sakte ho.
S – jo aagya swamiji. Parantu ek nivedan hai aapse.
SJ – kaho putra
S – maine apne jiwan ka ek bada hissa yahan isi aashram me gujara hai to abhi bhi mai yahan se door nahi reh sakta isliye pratidin yahan aakar kuch samay aapki aura ashram ki seva karne ki aapse anumati chahta hu.
SJ – muskarate hue – awashya putra, vaise bhi is aashram k dwar to sabhi k liye har waqt khule hain.
Fir surya unhe pranaam kar apni kutiya me aa jata hai. Jahan virat uska intjaar kar raha tha.
Virat – aao surya , kaise bulaya tha swamiji ne
S – kuch nahi mitra wo bas ye smaran karwa rahe the ki aashram ki shiksha purn hui.
V – to ab aage kya karna hai.
S – abhi kuch khaas socha nahi vaise aage ki padhai k liye ab college me dakhila lena chahta hu.
V – sahi hai yaar, mai bhi college me jaunga, vaise bhi aashram me reh kar school ke maje to le nahi paaye kam se kam college life ko to enjoy karenge.
Mere bina… peeche se ek aawaj aayi
Hum palte to pichhe darwaje par kiran khadi thi.
Kiran - Sochna bhi mat mere bina kahin dakhila lene ka, aur kal hi jaakar mera bhi admission form le aana, samjhe.
Virat use chhedte hue – kyo tum itni sundar ho kya
Kiran – wo to mai hu hi aur agar jyada chu chapad kin a to tera dimaag thikaane lagana aata hai mujhe.
V – achha meri maa, kal hi hum sabhi k liye admission form le aaunga.