akashx11
Maximusx11
- 5,467
- 16,622
- 174
Toh asli kahani aur flashback suru ho he gaya Aab mukhya kirdar ko apne asliyat kai baare mai gyan ho gayega aayaa. Aur aakhir main hero ko shrap kisne dia aur kyu yea bhi dekhne janne wali baath hai or yea rocky ka kya huya kaha gaya kis bhes bhusa mai ghum raha hai ? Yea bhi sawal uuth raha hai ..UPDATE 27
Mahendra pratap ne surya ka lalan palan apne putra saman kiya. Surya bachpan se hi bahut medhavi tha, nateeja jab uski umara k bachhe chauthi panchvi kaksha me they, surya unse 3 -4 varsh aage ki padhai bhi kar chukka tha.
Surya k daswe janmdin ki raat mahendra pratap k swapn me suryadev aaye aur bole, mahendra ab tumhe surya ko swami Visheshanand k aashram me bhejna hoga. Jahan ise dhyaan aur divya shaktiyo k prayog ko seekhna hai taaki ye apne janm ka uddeshya purn kar sake.
To agle din hi wo mujhe rishikesh k sameep hi ganga kinare sthit swamiji k aashram me le gaye. Jahan meri yog dhyaan aur baaki shiksha shuru honi thi. Sath hi meri mulakaat aur dosti honi thi Kiran se jo ki swami ji ki putri thi.
MP – swamiji se- swamiji, ye mera putra hai surya. Mai chahta hu aap ise yog aur dhyaan ki shiksha de.
Swamiji – surya ki aur dekh kar- “idhar aao putra” aur snehwash uske sir par hath rakh diya tabhi achanak unh eek halka sa jhatka sa laga. Swamiji ne uske sir par hth rakhkar apni aankhe band kar li aur dhyaan me doob gaye. Kuch der baad jab unhone aankhe kholi to wo ahobhaav se chalak rahi thi.
Swamiji – mahendra, is balak ko shiksha dena to mera saubhagya hoga, kintu ise jo shiksha deni hai uske liye iska yahi is aashram me rehna jaruri hai. Tumhe ise kam se kam 7-8 varsh yahi sadhna karni hogi.
MP – jaisa aap kahen, par mai isse milne to aa sakta hu na.
Swamiji muskarate hue – awashya, par prayas karna kam se kam, taaki ye apne uddeshya se bhatke nahi.
Apne ek shishya ko bulakar wo surya k theharne ki vyawastha karne ka aadesh dete hain.
Agle din subah suryoday k samay surya jaakar ganga ji me snaan karke jab aashram laut raha tha (ye aadat use mahendra ji ne dalwayi thi pratidin ganga snan aur suryavandana ki) to aashram me pravesh k samay uske saamne apni hi humumra ek badi hi cuten si ladki aayi. Koi aur nahi ye swamiji ki putri kiran thi.
Kiran – surya se – suno, yahan aao.
Surya – kahiye
Kiran – kaun ho tum, tumhe pehle to yahan nahi dekha.
Surya – main kal hi yahan aaya hu.
Kiran – tum mere dost banoge
Surya – haa kyo nahi, vaise bhi yahan mai kisi ko nahi janta.
Kiran - theek hai to fir aaj bhojan k baad wahan us taraf jo maidan hai wahan khelne aa jana. Aashram k sabhi bachhe wahi khelte hain.
Surya – theek hai mai aa jaunga
Kiran muskarati hui wahan se chali jati hai, aur apna surya to uski cuteness aur us muskaan par flat ho jata hai.
Fir shuru hoti hai surya ki class matlab dhyaan aur yog ki deeksha jo kayi varsh isi tarah chalni thi (chunki surya pehle hi is shiksha ko le chuka tha isliye yaadasht jaane k baad jab dobara dhyaan shuru kiya to adhik parishram nahi karna pada.)
Jis acharya ne surya ki shiksha prarambh ki wo bhi bina usse prabhavit hue nahi reh sake. Aur pehle din k pehle satra k baad wo pahuch gaye swamiji k paas.
A – pranaam swami ji
S – shubham bhawtu
A – swami ji mai aapse surya k sambandh me kuch batana chahta hu.
S – muskrate hue – kaho vats
A – swami ji aaj k satra me mujhe ehsaas ho rha tha us balak me vilakshan pratibha k sath sath koi adbhut urja bhi hai. Ye kaise arthaat kaun hai wo.
S – adheer na hon acharya, abhi to shuruaat hai. Ye balak baaki sab se alag hai, iske bheetar jo urja jo shakti hain unhe skriya karne k liye use dhyaan ki wo unchaiyaa wo shikhar chhune padenge jahan tak aam manav k liye pahuchna sambhav nahi. Isse adhik hum abhi aapko kuch nahi bata sakte, Aasha hai aap isme purn sehyog denge.
A – jaisi aapki ichha swamiji , mai prastut hu.
Aur punah pranaam kar wo bahar aa gaye, udhar surya bhojan kar ke Kiran ki batayi jagah pahunch gaya.
gOlDy bhai apne bahut he khubsurat plot soch kar kahani likhi hai.. bahut badhia