- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 58
Lekin piche koi nahi tha...Atul aas paas chal kar Nisha ko dhundne lagta hai lekin Nisha nahi milti.
Tab Atul ko andhera ka ehsas hota hai...Ghadi me dekha to 1:00 am baj raha tha.
Atul:- Itni raat ko wo kaise yaha aa sakti hai Pata nahi mai hi kuch bhi dekh leta hu aur kuch bhi sunne lag jaata hu...Abhi nahi sounga to pata nahi aur kya kya dekhna padega.
Next Morning
Nisha:- Ham kaha jaa rahe hai?
Atul:- Cake order karne...Aaj Ajay ka birthday hai.
Nisha:- Surprise birthday
Atul:- Haa aur Naa...Ajay ko bataya to nahi hai lekin usse pata hoga ki usse surprise milega...Experienced ho chuka hai wo surprise se bhi unsurprise hone ka.
Nisha:- Kya reaction tha Ajay ka hamaara surprise planning ka?
Atul:- Puccho mat.
Atul ne munh bigaadte hue kaha.
Nisha:- Kya hua?
Atul:- Kya hoga jab ek cricket player ko wrestling khelne bhejoge to? Wahi hua.
Atul ki iss baat par Nisha buri tarah se hasne lagi.
Atul:- Abhi bhi pure body me pain hai...Aage se aise surprise khud ko bhi nahi dunga.
Atul ne munh aur bigaadte hue kaha to Nisha aur bhi hasne lagi.
Atul:- Ouch...
Iss baar thoda jor se cheekha Atul...Aur achanak se gussa me dikhne laga...Nisha bhi serious ho gayi.
Idhar udhar dekhne par ek football mila...Samajhte der nahi laga ki ball uske chehre par laga hai.
Fir Atul idhar udhar players ko dekhne lagta hai...Lekin uska gussa ek hi pal me shaant ho jaate hai.
"Sorry bhaiya", Kuch bacche lagh bhag 2 ya 3 class ke students honge wo Atul ke paas aa kar bolte hai...Unki maasumiyat dekh Atul apna saara gussa thuk deta hai.
"Koi baat nahi" keh kar Atul unhe ball de deta hai.
"Bhaiya aap bhi kheliye na...Hamaare paas goal keeper hi nahi hai aur haar rahe hai."
"Are nahi beta...Mujhe football khelna nahi aata."
Nisha:- Beta
Nisha chaunk kar kehti hai.
Atul:- (In Nisha's ear) Agar abhi shaadi karunga to 3, 4 saal me itne bade bacche ho hi jaayenge.
Ye sunte hi Nisha Atul ko maarna lagti hai.
Nisha:- Kuch bhi...Bahut bakwaas jokes tha.
"Please Bhaiya"
Nisha:- Thik hai...Bhaiya jarur khelenge.
Atul:- Lekin mujhe practice nahi hai football khelne ki.
Nisha:- Kya fark hai...Cricket me Wicket keeper aur Football me Goal keeper.
Atul:- Lekin mai Wicket keeper nahi batting all rounder hu.
Nisha:- (Aankhe dikhaate hue) Chup chaap khelo.
Atul bhi abb mana nahi kar paata hai.
Nisha:- Aur practice ki kya jarurat...Koi bada league thodi khel rahe ho...Baccho ke saath masti hi to hai.
Nisha:- Kya mai bhi khel sakti hu?
Bacche maan jaate hai aur Atul hairaani se Nisha ko dekhne lagta hai.
Nisha:- Aankhe itni badi kyu kar rahe ho...School me girl's team ka best football player thi...Abb khelna chhod diya.
Aur match start ho jaata hai...Atul aur Nisha ek dusre ka opponents the...Atul goal keeper aur Nisha striker.
Game suru hone ke kuch der baad Atul ko bhi maja aane lagta hai.
Suru me to uska focus sirf game par hi tha...Lekin dhire dhire kab wo Nisha ki taraf khinchte hue chala gaya usse khud hi pata nahi chala.
Daudte vakt hawaon me lehraati Nisha ki khuli baal...Aur jab bhi wo baal Nisha ke chehre ko dhakta aur Nisha badi adaaon se usse hataati ye dekh Atul apna pura hosh hi kho baitha tha...Aaj usse pata chal raha tha Nisha kitni khubsurat hai...Passene se bheega hua chehra aur bhi jyada chamak raha tha.
Haalat aisa ho gaya tha Atul ka ki wo game me kam Nisha par jyada dhyan de raha tha.
Uss par se Nisha ki skills...Bahut acche se khel rahi thi wo...Ye dekh kar to Atul bhi uska fan banne se khud ko rok nahi paaya.
Aur thakaan ke vakt jab Nisha lambi lambi saansein le rahi thi tab Atul ne sirf do pal hi usko dekh paaya ki,
Atul:- (In his mind) Nahi nahi ye bahut galat hai...Itna bhi niche nahi gir sakta mai.
Fir Atul Nisha ki khubsurat chehra ko hi dekhne lagta hai...Aur ek baar fir usme kho gaya.
Goal.
Bahut tej aawaj se bacche chillane lage tab jaa kar Atul hosh me aaya...Dekha to sach me goal tha...Baccho aur Nisha ki celebration...Baccho ki tarah Nisha khush ho gayi jause wo bhi bacchi hai...Nisha ko itna khush dekh Atul bhi muskuraaye bina nahi reh paaya.
2 goal...3 goal...4 goal.
Nisha:- Aise to haar jaaoge.
Nisha ne Atul ko chidhaate hue kaha.
Atul:- (In his mind) Tumhari ek hansi ke liye ek match to kya hazaar match kurbaan kar du.
Aur fir Atul Nisha par hi khone lag gaya.
5 goal...6 goal...aur 7 goal.
Final score 7-2.
Nisha aur opponent ke bacche bahut khushiyan mana rahe the.
Atul ka team ka wo baccha jisne Atul ko khelne ke liye bulaya tha.
"Kya bhaiya...Aapne to hara diya?"
Baccha bahut dukhi tha...Atul usko apne kandhe me utha kar muskuraate hue kehta hai.
Atul:- Kabhi kabhi haarna bhi padta hai...Haar ka bhi alag hi majaa hai.
Bacche ko kuch samajh me nahi aaya lekin wo bola bhi kuch nahi.
Fir Atul sabhi baccho ko aur Nisha ko bula kar saath le chalta hai aur sabhi baccho ko kuch chocolates kharid kar deta hai...Bacche khus ho kar chale jaate hai.
Fir Atul apne liye aur Nisha ke liye kuch chocolates leta hai.
Nisha:- Abhi bhi khaate ho chocolates?
Atul:- Haa khata hu...Abhi bhi ka kya matlab? Abhi bhi khaata hu aur hamesha khaata rahunga...Bahut accha lagta hai.
Nisha:- Abhi bhi bacche hi ho.
Atul:- Agar aisa hai to ha baccha hi hu...Aur hamesha rahunga.
Atul ne bhi muskura kar jawaab diya.
Nisha:- Kaisa laga aaj ka match.
Atul:- Bahut maja aaya...Baccho ke saath ham bhi bacche ban gaye thhe.
Nisha:- Ha...Kitna maja aa raha tha...Abhi bhi bacche ban ne me...11th ke baad responsibility ki vajah se kab samajhdaar ban gaye pata hi nahi chala...Bacchpana to kab bhul gaye wo bhi pata nahi chala...Lekin aaj sach me bahut accha laga ek baar fir bachpan ki yaadein taaja ho gayi.
Atul:- Hmm...Abb utna vakt nahi milta...Aur mile bhi to ye sab sochne ki fursat hi nahi...Lekin aaj ka to kuch bata hi nahi sakta...Childhood is the best moment of our life.
Atul ki iss baat par Nisha sirf muskuraati hai.
Nisha:- Kya dekh rahe ho?
Atul:- Kuch nahi.
Nisha:- Are bolo na?
Atul:- Yahi ki kitni jaldi tumhaare saath itna close ho gaya hu...Friends to bahut saare hai jinse hi hello karta hu...Lekin close friends bahut hi kam...Jinke saath vakt bitaana pasand karta hu, special feel karta hu aur hamesha saath rehne ki khwahish hota hai...Tum, Ajay aur Kajal hi ho aise friends...Sach me bahut lucky hu tum sab ko apna dost ke roop me paa kar.
Nisha bhi Atul ki baat par bahut khush ho jaati hai...Sach me bahut badlaaw aa gaya tha Atul me...Aur ye baat wo abhi nahi football match ke vakt se hi notice kar rahi thi.
Nisha:- Dosti cheej hi aisi hai Mr. Atul.
Atul:- Hmm sahi kaha...Aur dosto ke saath vakt bitaana wo bhi aisi jagah me aur bhi khaas...Naa life ki koi tension aur naa hi future ke liye planning...Sirf dosti aur masti.
Nisha:- Kitna jaldi khatm ho gaya na ye tour...Aaj last day hi hai hamaara yaha...Aur sabhi destinations bhi khatm ho gaye...Bahut maja aaya iss tour me aur bahut hi accha experience tha.
Atul:-Hmm...Accha to bilkul bhi nahi lag raha hai itni jaldi yaha se nikalne wale hai...Kaas kuch din aur....
Nisha:- Arre itna senti kyu ho rahe ho? Fir baad me bhi aayenge...Waise bhi ham sab dost to saath hi hai...College me bhi masti karenge.
Nisha ki iss baat par Atul uski taraf muskuraate hue dekhta hai...Nisha bhi muskura rahi thi...Atul ek baar fir Nisha ki issi muskaan me kho gaya.