- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 15
Next Day at College
Atul aaj akele hi college apne time me gaya…Class ke andar jaane ke baad usne dekha ki kuch hi students abhi aaye the…Close friends me Kajal hi aayi thi.
Kajal bhi front seat me hi baithi thi…Atul uske paas jaa kar bola.
Atul:- Hi…May I sit here?
Kajal ne kuch nahi kaha…Bas Atul ko ghurti rahi.
Atul:- Kya hua? Aise kyu ghur rahi ho?
Kajal:- Tum aise permission kyu maang rahe ho baithne ke liye jaise ham dost nahi koi ajnabi hai?
Kajal ne thoda gussa me puccha.
Jawaab me Atul ne thoda muskura kar kaha.
Atul:- Iss liye gussa ho…Maine socha aaj kuch extra respect ke saath baat karu.
Kajal:- Abhi tak khade ho…Baitho.
Atul ke baithne ke baad.
Kajal:- Aur ye extra respect kya hai?
Atul:- Mai jab bhi kisi ke saath baat karta hu respect ke saath baat karta hu…Socha aaj apna level badha kar kuch jyada hi respect se baat karu.
Atul ki hontho me abhi bhi muskaan tha.
Kajal:- Kisi aur ko ye extra respect dena…Mujhe nahi chaahiye…Mujhse ussi tarah se baat karo jaise normally karte ho.
Atul:- Thik hai…Lekin abhi bhi tumse waise hi baat kar raha hu jaise normally karta hu.
Kajal:- Normally to tum kisi ko extra respect nahi dete ho?
Atul:- Ha nahi deta hu…Lekin dosto se majaak to karta hu…Abhi face expression change kar ke baat kiya tumse…Aur tum ne isse sach maan liya.
Itna keh kar Atul thoda hansne laga.
Kajal kuch soch paati usse pehle Atul ne kaha.
Atul:- Abhi kuch der me padhaai suru hoga to kuch bolne ka fursat bhi nahi milega…Issi liye socha masti majaak ke liye isse accha vakt nahi milega…Aur fir dikha diya tumhe apna acting skill.
Atul ne hanste hue hi kaha aur Atul ki iss baat par Kajal bhi hasne lagi.
Tabhi class ke andar Nisha aur Anjali bhi aa gayi.
Hi hello karne ke baad dono 2-3 row picche jaa kar baith gayi.
Kajal:- Sach me tumhaara ye majaak samajh nahi paayi...Aur saath me tumhe bhi samajh nahi paa rahi hu…Kabhi ek dam serious rehte ho to kabhi achanak se masti.
Atul:- Dhire dhire samajh jaaogi…Abhi ke liye itna samajh lo ki mai serious hi rehta hu jyaadatar lekin dosto ke saath kabhi kabhi masti majaak bhi karta hu…Khair ye baatein chhodo…Ye bataao kal college kyu nahi aayi?
Kajal:- Kal thoda bukhaar tha mujhe.
Atul:- Abb kaisa hai tabiyat? Dawaai khaya ya nahi?
Kajal:- Jyada bukhaar nahi tha…Bed rest lene ke baad thik ho gayi.
Atul:- Accha hai…Jald hi thik ho gayi.
Dusri taraf Nisha aaj bhi Atul ko notice kar rahi thi…Jab wo class me aayi thi tab usne dekha ki Atul aur Kajal hanste hue ek dusre se baat kar rahe the…Aur abb bhi baat kar rahe hai…Lekin iss baat ka wo yahi matlab nikaal paayi ki dono ke bich bahut jaldi gehra dosti ho gaya hai.
Fir class me entry hua Ajay ka…Usne sabhi students aur seat ki taraf dekha…Pehle Atul ko dekha aur saath me Kajal ko baitha dekh thoda khus ho gaya…Fir uska najar pada Anjali par aur fir saath baithi Nisha par…Ye dekhte hi uska chehra ekdam se latak gaya…Aur fir maayus ho kar last row ki taraf chala gaya.
Atul Ajay ka face expression dekh kar muskuraaye bina nahi reh saka…Aur apne man me hi kaha. "Unlucky fellow".
Fir issi tarah kuch der baad sir bhi class me aa gaye…Aur padhaai suru hua.
Hamesha ki tarah Atul padhte vakt shaant tha aur padhaai me dhyan de raha tha…Lekin kabhi kabhi Kajal se baat bhi kar leta tha…Aur luckily ya unluckily jab bhi wo Kajal se baat karta Nisha ki bhi najar Atul par ussi vakt pad jaata.
Wo apne man me sochne lagti hai…"Atul to padhte vakt kisi se baat nahi karta…Fir aaj Kajal ke saath?"
Issi tarah padhaai khatam hone ke baad lunch break start hota hai.
Baaki sab canteen me chale jaate hai Atul ke alawa…Atul apna note complete karne ke liye thodi der class me hi rukta hai.
Jab wo canteen me jaata hai to dekhta hai ki Ajay, Anjali, Nisha aur Kajal saath me hi baithe the…Wo bhi unke paas chala jaata hai.
Sabhi ek saath lunch karne lagte hai…Tabhi Kajal kehti hai.
Kajal:- Kal mai college nahi aa paayi…Atul please tum apna note mujhe do aaj ke liye…Kal waapas kar dungi.
Ajay:- Agar tum iska copy le jaaogi to ye bechara ka bahut hi bura haal ho jaayega 1 din ke liye…Iske liye padhaai oxygen ki tarah hai…1 din to kya agar 1 ghante bhi ye book aur copy se alag hua to isko aisa ghutan mehsus hota hai jaise 1 minute tak saans nahi le paaya hai.
Padhaai iski jaan hai.
Ajay ne Atul ka majaak udaate hue kaha…Uski iss baat par sabhi hansne lage…College ka suruwat hua kuch hafte ho gaye the…Itne vakt me sabhi ka ek dusre se accha jaan pehchaan ho gaya tha aur aisi masti majaak bhi common tha.
Atul:- Kuch jyada hi taarif kar diya tune.
Atul ne Ajay ko ghur kar kaha jaise wo naraaj ho gaya hai Ajay ki baat se…Lekin sabhi jaante the ki ye Atul ka acting hai aur wo Ajay se itni chhoti chhoti baaton par kabhi naraaj nahi hota hai.
Ajay:- Kajal tum mera copy le jaao…Waise bhi mai ghar jaa kar bag kholta bhi nahi hu…Aur Atul ko uski jaan se koi judaa bhi nahi kar paayega.
Ajay bhi abb majaak ke mood me aa gaya...Aur bahut accha target mila usse Atul ke roop me.
Kuch der hansne ke baad Kajal ne kaha.
Kajal:- Nahi…Mujhe Atul ka copy hi chaahiye.
Anjali:- Aisa kyu…Ham sab to taiyaar hai tujhe apne copy dene ke liye…Fir bhi tu Atul ko uski jaan se judaa kar rahi hai.
Anjali ne last line Atul ko dekh kar kaha aur hansne lagi…Iss baar bhi sabhi ne uska saath diya…Maahaul aisa ho gaya tha ki Nisha bhi khul kar hasne lagi.
Kajal:- Atul ke alawa tum sabhi ki hand writing typical doctor jaisi hai…Mai kuch samajh nahi paaungi…Sirf Atul ka writing hi clear hai aur bechara bahut mehnat se note banata hai.
Ajay:- Pyar cheej hai hi aisa…Atul apne jaan ko bahut hi sajaa kar rakhta hai…Acchi hand writing koi nayi baat nahi hai.
Atul:- Sach me yaar…Kaha ki baat ko kha laa kar jod diya…Critical aur Innovative thinking bahut accha hai tum sab ka…Keep it up…Aur rahi baat note dene ka to mujhe nahi lagta iski koi jarurat hai.
Atul ne bhi muskura kar hi kaha...Usse bhi dosto ka majaak accha lag raha tha.
Ajay:- Kaha tha na Atul apne jaan se 1 ghanta bhi dur nahi reh sakta…1 din to bahut jyada hai.
Ajay ki majaak par sabhi has rahe the sir Kajal ko chhod kar.
Kajal:- Koi problem hai kya Atul? Agar aaj nahi de sakte to kisi sur din de dena vakt mila kar.
Kajal ne socha Atul padhne me busy hoga.
Atul:- Mobile hai tumhaare paas?
Kajal:- Ha hai.
Kajal confuse ho kar boli…Atul ki baat ki matlab wo samajh nahi paayi thi.
Atul:- To fir class me chalne ke baad sabhi pages ka photo khinch lena…Note copy ka extra weight bhi tumhe uthaana nahi padega…Aur mujhe bhi koi wait karna nahi padega.
Ajay:- Waah…Kya idea hai bhai…Superb…Mujhe yakin tha tu apne jaan ko khud se alag nahi hone dega.
Ajay ki iss baat par Atul apne sar me ek haath maarta hai aur kehta hai.
Atul:- Tu abhi tak wohi atka hai.
Fir sabhi aise hi masti majaak karte hue apna lunch karte hai.
Aaj Nisha kuch bol nahi rahi thi…Wo bas Atul ko hi notice kar rahi thi…Hansta aur khul kar bolta hua Atul usse bahut accha lag raha tha…Canteen me abhi ho raha ye masti majaak bhi usse bahut accha lag raha tha.
Lekin Atul aur Kajal ka dosti jo aur bhi gehra ho raha tha ye dekh Nisha jyada accha feel nahi karti…Usse bhi samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai…Pehle to usne aisa feel nahi kiya Kajal aur Atul ka dosti aur hanste hue baat karte dekh kar…Kuch chhubhta sa mehsus ho raha tha usse par vajah se abhi bhi anjaan thi.