Lovely updateKon kya bhabhi mai hi chala rahi thi .. mai mere scooty kisi ko chalane dete hu kya .. aap to janati hi ho
Idhar chotu ko jab heena ghur ke dekh rahi thi tab chotu shochata hai ..
Ye muje ghur ke kyon dekh rahi hai.. isko kya muj pai shaq ho gaya hai kya.. isne kuch dekh to nahi liya .. waha us gaanv mai maya ne aur uske bete ne mera game fail kiya aur yaha ye .. ya allah Mera nasib aisa kaisa hai.. suru hone se pahle khatam ho jata hai..
Idhar heena is se pahle kuch aage bole Sonu kahti hai
Bhabhi aap iss dress mai kafi achhi lag rahi hai
Achha
Tab nazma kahti hai Haa bhabhi
Tum dono na meri nanad nahi dushman ho
Tab sonu haske kahte hai
Aisa kyon lag raha hai aap ko bhabhi
Achha .. aapna hi promise bhul gayi
tab mansur waha aake kahta hai
Begum Kyon mere bahno se jagda kar rahi ho
Jagda karu nahi to kya karu ..
M - kyon kya hua
Aap ke inn dono bahno ne promise Kiya tha .. bahut bade bade baate ki thi .. bhabhi hum itne baje nikalenge .. utane baje nikalenge .. aap ko aise taiyaar karunge .. waise karunge .. iss sonu ki bachhi ne to kaha tha bhabhi aap ko mai aise saree choice kar ke dunge ki chote bhai ke shadi mai log chote bhabhi ke bajai sab log aap ko hi dekhenge
Tab heena aur sonu hasane lage aur haste hui sonu kahti hai
Bhabhi aap bhul rahi ho
Tab heena aasharya se kahati hai
Kya
Hum mansur bhai ke hi bahne hai
Matlab jhute promise karana aapne bhai se hi Sikh liya tum longo ne
Aisa heena ne kahte hi teeno hasane lagi
Tab mansur kahta hai
Aab tum nanand bhabhi ke jagde mai muje kyon le rahe ho
Kyon na le
Aise heena ne kahte hi mansur kahta hai
Waise begum tum iss dress mai kafi khubsurat lag rahi ho
Tab nazma kahti hai
Bhabhi aab aapko aapke aapne shohar ne iss dress mai khubsurat lag rahi ho kaha hai to aab shopping ki kya jarurat
Tab sonu kahti hai
Haa koi jarurat nahi hai .. chacha ke paise Bach Gaye
Bilkul nahi..mai to abbu jaan ke paise to udaungi
Kyon bhabhi.. kahi aisa to nahi na ki aap shohar ke liye nahi kisi aur ke liye shopping karana chahati ho
Sonu ki bachhi .. tum kya mere shadi tudvana chahathi ho kya ..
Nazma - bhabhi kuch bhi ho jai bhai aap ko chorege nahi
Tab heena kahte hai
Wo to hai
Tab waha nazma ke aabu aur aami aa jate hai
Aab kya yahi khade rah ke gappe ladane hai ya shopping bhi karani hai
Tab heena kahte hai
Aabbu iss baar mere galti nahi hai .. aap ki dono ladli ki galti hai
Haa ye to hai
Ammi ne kahte hi sonu kahte hai
Haa mere galti hai chacha .. i am sorry ..
Aare tere galti nahi hai .. wo road hi kharab hai usmai tu kya kar sakati hai
Tab aami kahte hai
Kuch bhi ho jai ye sonu beti ko kuch nahi bolenge ..
Kaise bol sakata hu begum .. mere dost ki ladki jo hai .. usne videsh jate time kaha tah .. iska khayal rakhana
Ammi - Haa wo to hai.. bhaisahab aap ke sonu aur malti ke jawabdari dal ke hi nishit hoke chale gaye .. warna wo nahi jate
sonu - Chachi aap hamesha emotional kar deti ho
Aabu - chale aab begum
Tab sonu kahti hai
Chacha aab bhi aur bhai jaan bhi begum kahte ho..hum confuse ho jata hai konse se begum ko bulana hai..
itane der shant rahe chotu kahta hai
Ismai kya ..inko badi begum ko aur inko chote begum kaho
Tab heena chotu ko dekhane lagi
Chotu bhi use hi dekhata hai
Tab aami kahte hai
Aur jo aane wali hai .. hamare chote bete ki begum usko kya kahe
Tab sab hasane lage .. phir abbu kahta hai ye kaun
Tab nazma kahti hai
Chotu ..
Ammi - chotu .. ye kaisa naam
Tab sonu kahti hai.. jara sharmate hui
Ali naam hai iska par sab log pyar se chotu bulate hai ise
Tab nazma kahti hai
Pyar se
Tab sonu nazma ke shoulder ko marte hui dheere se kahti hai
Tu chup kar
Abbu - par hai kon ye
Nazma - ye sonu ke yaha kaam karta hai
Ammi - malti kah rahi thi wo ladka.. tu aur tere bahan kaam karte hai
Ji
Kah ke ali salam kahata hai
Abbu - tu inn dono ko leke aaya kya
Haa malik
Abbu - tu rahta kaha hai
Chotu - yahi.. memsaab ke ghar
Abbu - achha .. tuje aaj yahi rukana hai hamare yaha .. mai bhabhi ko bata dunga .. matlab tere Memsaab ko
Chotu - ji
Tab mansur kahta hai
Chalo abbu let ho raha hai
Haa chalo
Tab chotu kahta hai Sonu se
Memsaab mai yahi khada rahata hu bahar
Tab nazma dhire se kahti hai
Tum bahar khade rahoge to tumare memsaab ka aandar dil kaise lagega ..
Tab sonu nazma ko marane lagi
Nazma ki bachhi
Ye heena ne sun liya par clear nahi suna tah par wo sochane lagi ..
inn teeno ka kuch to chal raha hai
Tab mansur kahta hai
Chalo begum
Tab heena kahti hai
Aap chalo mai aami ko leke aati hu .. unse steps chada nahi jati
Abu - haa heena usko pakad ke Lana padega
Phir wo chotu ki aur dekhate hui kahta hai
Ye ladke kya naam hai tumra
Tab ek saath heena aur chotu kahte hai
Heena - chotu
Chotu - ali
Haa ali tum hamre begum ko leke aao .. usko ek side se pakad ke steps chadana padega aur ek side se heena beti ko pakadana padega
Par lift hogi na
Tab pahli baar heena kahte hai usko dekhte hui
Lift hai par kahi jagah steps bhi hoti hai
JI
Tab abbu kahte hai
Sonu aur nazma tum idhar aao
Wo dono abbu ke saath chale aur idhar heena aur chotu ammi ke saath chalane lage .. aab jaise hi steps aaye tab heena chotu ki aur dekhate hui kahte hai
YE ladke
Tab chotu kahta hai
Ali
Haa ali .. thik se ammi ko pakado nahi gira doge
Nahi giraunga aap tension na lo
Aisa bol ke ammi ko thik se pakad ke wo dono steps chadate hai