• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 1


Hello bro…Mujhe Ajith se milna hai…Kya aap bata sakte hai wo kaha hai.


Ye sawaal tha Dhruva ka…Ajith ka best friend.


Dhruva aaj apna girlfriend Richa ke saath Ajith se milne aaya tha…Sirf milne hi nahi apna shaadi ka first invitation card dene bhi.


Ladka:- Kaun Ajith?


Dhruva:- Dr. Ajith…Internship student.


Dhruva ki ye baat sunte hi wo ladka munh bigaad kar chala gaya.


Dhruva ko ajeeb aur bura dono hi laga…Lekin wo ignore kar ke aage badh gaya.


Fir saamne ek ladki dikhi.


Dhruva:- Mujhe Ajith se milna hai…Kya aap bata sakti hai wo kaha milega?


Ladki:- Ajith? Who?


Dhruva:- Internship student.


Ladki:- Wo kameena.


Itna keh kar wo ladki bhi waha se chali gayi.


Abb Dhruva ko bahut ajeeb lag raha tha…Ek najar usne Richa ki taraf dekha…Wo bhi kuch soch rahi thi.


Dhruva fir aage badh kar baaki ki students se pucch teach karta hai…Lekin same result…Kisi se jawaab nahi mila aur sabhi Ajith ka naam sun kar gussa ho gaye…Ek do baar to fight hote hote bacha.


Aakhir me Dhruva ek jagah jaa kar baith gaya…Abb uske chehre me gussa saaf dikh raha tha.


Richa:- Itna gussa kyu ho rahe ho…Kuch der intejaar karte hai Ajith aa jaayega.


Dhruva:- Suna nahi tumne…Kitna bakwaas kar rahe thhe Ajith ke baare me…Mai uske khilaaf kuch sunn nahi sakta…Mujhe to khud par gussa aa raha hai do chaar ko unki aukaat bata dena chaahiye tha.


Richa:- Tum to bahut gussa ho gaye…Cool down…Tum jaante ho na Ajith kaisa hai…To dusro ki baat se hame kya lena dena.


Richa apne pyaari baaton se Dhruva ko shaant kar rahi thi.


Tabhi ek ladka dono ke paas aata hai.


Ladka:- Aap Ajith ko dhund rahe hai?


Dhruva:- Ha…Please bataaiye wo kaha mil sakta hai abhi.


Ladka:- Wo abhi hospital me nahi hai…Lekin kya mai aapke baare me jaan sakta hu?


Dhruva:- Mai Dhruva hu…Ajith ka dost…2 saal baad yaha aaya hu aur usse milna chaahta hu.


Ladka:- I am Dr. Vijay…One and only friend of Ajith in college…Aap ke baare me suna tha Ajith se…Nice to meet you.


Itna keh kar Vijay apna haath aage badha deta hai.


After handshake.


Dhruva:- Sorry Vijay…Lekin mai abhi Ajith se milna chaahta hu…Agar aap ko pata hai to please bata dijiye wo kaha hai…Aapse baad me baat karunga…Hope you don't mind.


Vijay:- Ok no problem…Kuch der pehle bar ki taraf nikla tha wo…Shaayad abhi bhi wohi hai wo.


Fir Vijay bar ka location aur name bata deta hai.


Dhruva:- Bar me?


Dhruva ko ek aur jhatka laga.


Vijay:- Ha…Usne peena suru kar diya hai.


Abb iske baad Dhruva se aur nahi raha gaya…Wo teji se nikal gaya…Richa bhi uske saath saath chali gayi.


Vijay picche se dekhta reh gaya…Aaj uske chehra me thoda hi sahi ek muskaan aa gaya…Ek ummeed bhi mila ki shaayad Dhruva Ajith ko sudhaar de.



At Bar



Dhruva:- Richa tum yahi ruko…Mai Ajith se mil kar aata hu.


Richa:- Nahi mai bhi chalungi.


Dhruva ke paas sochne aur samjhaane ka time nahi tha…Richa ke saath wo Bar ke andar chala gaya.


Kuch der dhundne ke baad Ajith Bar ke last table me baitha tha.


Table me 2 vodka ki bottle…Ek glass aur haath me cigaretthe.


Baal aur daadhi bhi normal se bada tha…Aankho me ek chasma aur najar bottle ki taraf.


Ye sab dekhna Dhruva ke liye koi jhatka se kam nahi tha.


Wo teji se Ajith ke saamne ke chair me baith gaya.


Ajith:- Dhruva…Kaisa hai mera yaar.


Nashe me Ajith ne kaha.


Dhruva:- Ye kya haal banaya hai tune apna…Kab se peene lag gaya tu aur itna udaas kyu hai? Kya pareshaani hai? Bol yaar.


Ek hi saans me Dhruva ne ye sab pucch liya…Dhruva se Ajith ka ye haalat nahi dekha jaa raha tha.


Ajith:- Khud ko badal liya yaar.


Ajith ne hanste hue kaha.


Dhruva bas Ajith ko hi dekhta raha aur saath me samajhne ki koshish.


Ajith:- Tu hi sahi tha yaar…Pyar…Aisi shabd bakwaas hai…Jindagi sirf ek baar hi milta hai…Jitna ho sake utna aiyaasi karna chaahiye aur jindagi ka maja lutna chaahiye.


Dhruva:- Ye kya keh raha hai tu…


Dhruva sirf itna hi bola tha tabhi Ajith ne usse bich me rokte hue kaha.


Ajith:- Tu sahi tha yaar…Mujh par hi pyar karne ka bhoot sawar tha…Lekin koi baat nahi…Aage ki jindagi aiyaashi me bitaaunga.


Dhruva:- Ye kya bol raha hai…Hosh me to hai? Kya baat hai…Kajal ne dhokha diya kya?


Ajith:- Uska kya aukaat mujhe dhokha dene ka…Maine hi chhod diya usse…Ye pyar ka acting aur nahi kar sakta mai.


Itna keh kar Ajith fir se bottle bharne lagta hai.


Dhruva usse rokte hue.


Dhruva:- Abb nahi…Pehle hi itna nasha me hai…Abb aur nahi.


Abb Richa bhi Dhruva ke paas aa kar baith jaati hai.


Dhruva:- Ajith ye hai…


Ajith:- Tera girlfriend.


Ajith ki iss baat se Dhruva ne raahat ka saans liya…Ye dekh kar Ajith ne muskura kar kaha.


Ajith:- Fikar mat kar…Kuch ulta sidha nahi kahunga…Tera aankho me hi iske liye pyar dikhta hai…Aur ye tere saath aane wali baaki ladkiyo se bhi alag hai.


Aur kabhi mai bhi ek aashiq tha…Tera pyar ko nahi samjhunga kya?


Ajith ne ye to keh diya lekin uske dil me ek dard sa utha.


Dhruva:- Sahi kaha…She is Richa…My fiancée.


Ajith:- Hi


Richa:- Hello


Ajith:- Dhruva…Kisi ne sach hi kaha tha…Vakt badalte der nahi lagta…Ham dono hi badal gaye…Tu mai ban gaya aur mai tu…Tu pyar karna sikh gaya aur mai aiyaashi karna.


Ajith ne ek muskaan ke saath kaha.


Richa Ajith ki baat aur waha ka maahaul dekh kar bahut uncomfortable feel kar rahi thi…Kabhi wo Dhruva ko dekhti to kabhi Ajith ko.


Dhruva Ajith ko acche se dekh raha tha…Khaas kar uska chehra aur baatein…Ajith iss tarah se badal jaayega ye usne apna bura sapna me bhi nahi socha tha.


"Aakhir kaise wo badal sakta hai…Jisne usse pyar ka sahi matlab bataya tha…Jo kabhi Kajal ke liye deewana hua karta tha…Jo apne pyar paane ke liye kitna lada tha…Khud se…Haalat se aur sabhi se…Ajith aur Kajal ka pyar ko bahut karib se dekha tha usne…Aaj Ajith iss tarah kyu badal gaya? Aisa kya ho gaya ye 2 saal me?"


Yahi sab soch raha tha Dhruva…Jawaab to abhi uske paas nahi tha…Lekin itna wo jarur jaanta tha "Ajith khud ko jaisa dikhaana chaahta hai waisa wo nahi hai."
Shaandaar aagaj ke sang chal padi ek aur rachna apne safar per, Bemishaal update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 2


Fir ek lambi khaamoshi chha gaya…Koi bolne ki haalat me nahi tha…Dhruva Ajith ke badla hua harkatein dekh raha tha…Ajith Dhruva ko ignore karne ki koshish kar raha tha aur Richa shaant baithi thi…Usse kuch samajh hi nahi aa raha tha.


Iss khaamoshi ko tod kar Ajith ne kaha.


Ajith:- Chalta hu yaar…Shaam me milunga…Abhi sar dard hone laga hai.


Itna keh kar Ajith khada ho gaya.


Dhruva:- Chal mai chhod kar aata hu.


Dhruva bhi Ajith ke paas chala gaya.


Ajith:- Nahi…Mai khud chala jaaunga.


Dhruva:- Nahi…Mai le chalunga.


Ajith:- Samajh me nahi aata tujhe…Keh diya na ek baar…Mai khud jaaunga.


Iss baar Ajith ne bahut tej aawaj me kaha…Itna tej ki Bar me maujud sabhi aadmi unhe ghurne lage…Dhruva bas hairaani se Ajith ko dekhta hi reh gaya…Wo iss tarah se pesh aayega Dhruva ne sapne me bhi nahi socha tha…Sirf yahi baat kyu, jo bhi aaj dekh raha tha wo kisi sapne se kam nahi tha…Ek bura sapna.


Fir Ajith chala gaya aur Dhruva usse sirf dekhta hi reh gaya.


Tabhi ek waiter Dhruva ke paas aa gaya.


Waiter:- Jab bahut pee lete hai to aise hi behave karte hai…Lekin dil ka bahut accha insaan hai.


Dhruva:- Aap jaante hai usse? Bataaiye na wo aisa kyu ban gaya?


Dhruva ko Waiter me Ajith ki ateet ka gawah dikh raha tha.


Waiter:- Sirf itna hi jaanta hu ki wo hamaara costumer hai 3 months se…Apne baare me kuch nahi bataya unhone…Shaant hi rehte hai…Aate hai, Payment karte hai aur Pee kar chale jaate hai…Yahi schedule hai unka…Kabhi kabhi jyada pee lete hai to apne college ke dosto se ladaayi bhi ho jaata hai.


Lekin itna jarur kahunga ki wo galat nahi ho sakte…Kuch majburi jarur hoga unka ya fir life me koi problem.


Waiter se bhi jada kuch pata nahi chala…Niraasha me wo Richa ke saath bar se baahar nikal aaya…Ajith ko dekh kar usse bahut bura lag raha tha aur saath hi kuch unhoni ka dar.


Idhar Ajith bhi hostel me apne room me aa gaya.



Room me aate hi wo bed me gir gaya…Aur aankho se aansu behne laga…Aansu aaj rukne ka naam nahi le raha tha…Ateet ke wo suhaane din ki yaadein aur Bhavisya me jald aane wali wo sacchaai…Yahi sab sochte hue usse aur bhi rona aa raha tha.


Khair kuch der baad kisi tarah usne khud par kaabu kar liya jaise wo picche 4 months se karta aaya hai…Aankho me aansu aur hontho me muskaan…Wo kisi tarah muskaan se apne aansu ko haraana chaahta tha…Sacchai to bahut pehle hi usne maan liya tha…Wo bhavisya se jeet nahi paayega…Khair aage job hi hoga dekha jaaega…Issi soch se usse khud par kaabu karne ki himmat mil gaya.




Dhruva aur Richa bhi ek park me aa gaye.


Dono ke bich abhi bhi bahut shaanti tha…Ajith ki haalat dekhne ke baad Dhruva ne Richa se acche se baat bhi nahi kiya tha.


Richa:- Itne chup kyu ho?


Dhruva:- Kuch samajh me nahi aa raha hai yaar…Dar lag raha hai agle pal kya ho jaayega? Mujh se Ajith ka ye haalat nahi dekha jaa raha hai…Aisa lag raha hai wo koi bahut badi pareshaani me hai…Usse meri jarurat hai.


Richa:- Bura mat maana Dhruva…Lekin mujhe lagta hai Ajith badal gaya hai…Ek vakt aata hi hai insaan ki jindagi me jab wo dhire dhire kar ke puri tarah se badal jaata hai…Ajith ke saath bhi aisa hi hua hai.


Dhruva:- Ye kya bakwaas kar rahi ho…Ajith badalne walo me se nahi hai…Uska nas nas se waakif hu…Wo kab kya karta hai aur kyu karta hai sab jaanta hu...Agar ek line me uske baare me kuch kahu to usse jyada mahan insaan maine aaj tak dekha bhi nahi hai…Dost hai wo mera.


Richa:- Tum baat ko maana hi nahi chaahte…Kyu ki wo tumhaara dost hai…Dusri najar se dekho tab pata chalega insaan ko badalne me jyada time nahi lagta…Aaj kal ke ladke kab girgit ki tarah rang badal le pata bhi nahi chalta.


Khud ko hi dekh lo…Mujhse pyar karne se pehle ek playboy thhe tum…Lekin abb kitna badal gaye ho…Abb ye mat kehna ki tum badle nahi ho aur sirf pyar karne ki acting kar rahe ho.


Dhruva:- Shut up…Bahut hua…Jo man me aa raha hai wo hi bak rahi ho…Aur baat aise kar rahi ho jaise pura duniya dekh liya hai tumne…Maanta hu mai badal gaya hu…Mera badlaaw acchaayi ki taraf hua hai.


Itna keh kar Dhruva chup ho gaya…Aankho me Richa ke liye gussa saaf dikh raha tha…Abb usse kuch bola bhi nahi jaa raha tha.


Richa bhi dusri taraf chup hi rahi…Abb usse Ajith par aur bhi gussa aa raha tha.


Kuch der khaamoshi me hi beeta…Iss khaamoshi ko tod kar Dhruva ne kaha.


Dhruva:- Richa…Please samajhne ki koshish karo…Mai aisi chhoti chhoti baaton me jhagada karna nahi chaahta…Aur mai Ajith ke baare me uch sun bhi nahi sakta.


Maine tumhe sirf itna bataya tha ki Ajith mera dost hai…Ye nahi ki wo kaisa hai…Please ek baar sunn lo.


Richa chup hi rahi.


Dhruva:- Please.


Iss baar Richa ne na chaahte hue bhi haa me sir hila diya.


Dhruva:- MBBS Entrance Result ka wo din…Orphanage (Anath aashram) ki wo yaadein.



FLASHBACK



Knock knock.


Ajith:- Kaun hai?


Dhruva:- Mai hu.


Aawaj pehchaan kar Ajith ne door khol diya.


Dhruva apne bed me baith kar padhne ki koshish karne laga…Lekin Ajith ka bechaini aur mobile ko dekhte hue room me idhar udhar tahalne se usse raha nahi gaya.


Dhruva:- Kyu Bandar ki tarah ucchal raha hai…Acche se nahi baith sakta hai kya ek jagah.


Ajith ki haalat se Dhruva bhi waakif tha…Lekin Ajith ko pareshaan karne me usse alag hi maja aata tha.


Ajith:- Chup kar yaar…Abhi kuch mat bol…Bahut ghabraahat ho raha hi.


Dhruva:- Kaisa ghabraahat? Kisi ladki ne propose kar diya kya?


Itna keh kar Dhruva hasne laga.


Ajith:- Nahi yaar…Entrance ka result aane wala hai kuch der me.


Dhruva:- To isme kaisa ghabraahat?


Ajith:- Ghabraahat ki hi to baat hai…Mera jindagi ka sawaal hai.


Ajith ye kehte hue thoda serious ho gaya…Dhruva ne bhi abb majaak karna band kar diya.


Kuch der baad


Ajith:- Result publish ho gaya.


Ajith ne khushi aur ghabraahat ke saath kaha…Dhruva bhi Ajith ke paas aa gaya.


Dhruva:- To apna name search kar na…Dekh kya raha hai.


Ajith:- Nahi yaar…Mujhse nahi dekha jaa raha hai…Dar lag raha hai.


Dhruva:- Kuch nahi hoga…Dekh yaar…I am sure tujhe iss baar scholarship jarur milega.


Ajith:- Nahi yaar…Himmat nahi ho raha hai.


Dhruva abb Ajith ki haath se mobile dekhne lagta hai…Aur result dekhne lagta hai.


Ajith:- Kya hua yaar…Result me kya hai? Aur tu itna chup kyu hai?


Ajith ne darte hue puccha.


Dhruva:- Sorry yaar…Iss baar bhi scholarship nahi mila tujhe.


Dhruva itna keh kar apna bed ki taraf chala gaya.


Ajith fir se udaas ho kar apne bed me baith gaya.


Ajith:- Koi baat nahi yaar…Shaayad iss baar bhi preparation me kami reh gaya…Agli baar fir entrance dunga aur scholarship haasil karke hi rahunga.


Itna keh kar Ajith ne ek book utha liya.


Dhruva bhi teji se Ajith ke paas aa gaya aur uske gaal par pinch karke kaha.


Dhruva:- Congrats yaar…Tujhe sirf scholarship hi nahi mila tu top 10 me hai.


Aur usne Ajith ko gale laga liya.


Ajith ko vishwaashi nahi ho raha tha…Alag hone ke baad mobile check kiya…Dhruva sahi keh raha tha.


Abb Ajith ki aankho se aansu nikal raha tha.


Dhruva:- Kyu ro raha hai? Ye to khushi ka maahaul hai.


Ajith:- Ye khushi ka aansu hai…Aakhir 2 saal ka mehnat rang le aaya…Tu nahi jaanta ye scholarship mera kitna bada sapna hai.


Ajith khushi se paagal ho raha tha.


Dhruva ne Ajith ko uske haal me chhod diya…Jab wo normal hua tab,


Dhruva:- Bhai ek baat puccha chaahta hu…Tu MBBS ke liye itna paagal kyu hai? Baaki subject bhi to hai…Paisa kamaane ki aur tarika bhi to hai…Jindagi jeene ki aur hansi khushi bitaane ki bhi bahut tarika hai.


MBBS ki chakkar me tune 1 year loss kiya aur iss baar bhi loss karne jaa raha tha…Aakhir itna paagalpan kyu?


Ajith ne bhi muskura kar jawaab diya.



Ajith:- Paagalpan hi hai…Aur ye paagalpan aaj se nahi jab se hosh sambhaala tha tab se hi hai...Khwahish hai mera Doctor banna.


Mai jaanta hu anaath hone ka dard…Tera dard bhi mehsus kiya hai…Anaath Aashram ki sabhi bachho ka aur har wo garib baccha ka…Sabhi ka tadap mehsus kiya hai jab wo beemar padte hai aur paiso ki kami ki vajah se ilaaj nahi kara paate hai.


Beemari ko seh kar tadapte rehte hai aur kabhi kabhi apna jaan gawaa tak gawaa dete hai…Aakhir kyu? Paisa ki kami ki vajah se.


Yaad kar yaar…Jab hame bukhaar lagta tha tab kitna mushkil se ek paracetamol milta tha…Bhagwan ka shukriya jo hame Cancer, Tb jaisa beemari nahi hua.


Bhai yahi sab dekhte hue maine faisla kiya bada ho kar Doctor hi banunga…Jitna ho sake logo ki sewa karunga…Khaas kar garib aur majbur logo ka…Paisa kamaane se jyada mera ye lakshya hai ki mai sewa karu…Insaan hu issi liye insaan ka kaam aana chaahta hu.


Mai apne saamne kisi ko paise ki kami ki vajah se marne nahi dunga…Jaanta hu isse desh aur duniya me shaayad jyada badlaaw nahi aaye lekin mai khud me wo badlaaw jarur laaunga ki paisa hi sab kuch nahi hota.


Ek aur baat…Badkismati se mai anaath paida hua aur jindagi se tabhi se lad raha hu jab se hosh sambhala hai…Agar mere Maa aur Papa hote to mere liye bahut kuch karte…Aur wohi mai apne baccho ke saath karna chaahta hu…Mai nahi chhahunga ki jo dukh maine saha hai wo mere baccho ko bhi sehna pade…Ek accha jindagi dunga unhe…Khushi aur pyar bhara pariwar…Iske liye kuch to banna padega na.



Ajith ne aankho me aansu aur hontho me muskan ke saath kaha.


Dhruva ne fir Ajith ko kas kar gale laga liya.


Dhruva:- Bahut mahan soch hai yaar tera…Anaath hona sach me badkismati hai lekin tu mujhe dost ke roop me mila ye mera khuskismati hai…Yaar kabhi mat badalna tu…Hamesha aage badhte rehna aur acchaayi ki kadam par chalte rehna.


Itna kehne ke baad Dhruva ki aankho me bhi aansu ke kuch bund tapak gaye.


Aisa hi tha Dhruva aur Ajith ka dosti…Dono saath hanste aur saath rote...Hosh sambhaalne ke baad se dono hi ek dusre ke khushi aur gum ke dost thhe.
Nice update mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 3

Dhruva:- Yaar tu sabke liye itna sochta hai...Mai bhi tere liye kuch karna chaahta hu.

Ajith:- Kya?

Dhruva:- Jab tu apna ghar banane ki sochega...To mujhe batana...Ek accha sa design banaunga...Aakhir ye engineering kis din kaam aayega.

Ajith:- Jarur yaar...Jindagi ke itne mushkil pal me tune saath diya aur aage badhne ka hausla diya...Ek tu hi to hai mera one and only dost...To fir khushi ke pal me kaise bhulunga.



Itna keh kar Dhruva chup ho gaya aur Richa ki taraf dekhne laga.


Dhruva:- Aisa tha mera dost...20 saal ki umra me bhi maasum aur sab ka bhala chaahne wala...Apne se jyada dusro ke liye sochta tha.

Aur sabse badi baat...Wo mujhe apna dost maanta tha aur bahut accha dosti nibhaata tha...Ussi se sikha maine dosti kya hota hai.

Bacchpan me paise ki kami ki vajah se chori mai karta tha, saja wo apne sir leta tha...Mujhe koi khilauna ya kuch pasand aata tha, wo apna jama kiya hua paisa se bin bataaye kharid laata tha...Bukhaar mujhe aata tha, raat bhar wo jaagta tha...Exam mera aata, aur bhagwan se dua wo maangta.

Aisa dost tha wo...Jisne mera har haal me saath diya chaahe mai sahi tha ya galat.

Agar aaj mai kisi laayak hu to ussi ki dosti ki vajah se.



Abb tum hi kaho...Kya mai uss dost ki fikar na karu jisne mere liye itna kuch kiya.

Richa chup rahi...Lekin Ajith ke liye nafrat abb gaayab ho chuka tha.

Dhruva:- Maine abhi kaha tha na uske liye ek ghar banana hai...Uske liye pehle usse to sahi kar du...Usse fir se puraana Ajith banana hai...Jo mera dost tha aur sab ka bhala chaahne wala ek Doctor.

Richa:- Tumhe kya lagta hai Ajith ka iss tarah achanak se badalne ki vajah?

Dhruva:- Yahi to nahi pata...Aur wo bewkuf batata bhi nahi...Uski ek hi buri aadat hai...Chahe kitni bhi badi mushibat me kyu na ho kisi ko kuch batata bhi nahi.

Richa:- Kya karne ka socha hai?

Dhruva:- Abhi to kuch nahi...Lekin kuch to karunga jarur...Jaise bhi ho uska pareshaani ko usse dur jarur karunga...Chahe mujhe kuch bhi karna pare.

Dhruva ki baato me alag hi confidence tha.

Richa:- Ajith ka kisi ke saath dushmani tha? And maybe koi usse blackmail ya pareshaan kar raha ho?

Dhruva:- Nahi...Wo sirf 3 logo ke saath hi close tha...Kajal...Uska pyar...Mai...Uska bachpan se abhi tak ka dost...Aur Vijay...College ka dost...Baaki logo se wo itna close kabhi nahi ho paaya.

Baaki ke log ya to Ajith ko pasand nahi karte ya to Ajith unhe pasand nahi karta.

Usne na hi kabhi kisi ka kuch bigaada aur naa hi galat socha...To fir dushmani kaisa?

Agar koi hai to chhodunga nahi usse...Har wo pal ka hisaab lunga jitna pal mera dost tadpa hai...Jindagi nark se bhi bura bana dunga.

Ye kehte vakt Dhruva ki aankh gussa se laal ho gaya.



Dusri taraf Ajith khud ko normal karne ki koshish kar raha tha.

Achanak usse kuch yaad aaya...Aur apne purse se ek photo nikaal liya.

Wo photo ek ladki ki thi.


Ajith:- I am sorry Kajal...Nahi nahi mujhe maaf mat karna...Mai maafi maangne ki laayak bhi nahi hu...Itna ghatiya hu mai.

Bahut bura lag raha hai...Jis pyar ko paane ke liye itna tapasya kiya tha aaj ussi pyar ka khoon kar raha hu apne hi haatho se.

Mera jindagi ka sabse bada bhool tha tumhaari jindagi me aana...Tumhaari hansti khelti jindagi ko tabaah karna...Tumhaara armaano ko iss tarah kuchalna...Sab ke saamne tumhaara majaak udaana... Achanak se tumse munh modna.

Kitni khwahishein thi tumhare saath jindagi jeena...Jindagi ke har mod me ek dusre ka saath dena...Ek dusre ke liye jeena ek dusre ke saath jeena.

Lekin kya kar sakte hai...Ye bhi hamaara ek adhura khwaab aur adhuri khwahish ban kar reh gaya...Kabhi pura na hone wali khwahish.

Bas itna kahunga...Tumhaari jindagi me aane ki bahut bada bhool kar diya maine...Aur tumne bhi bahut galat insaan se pyar kiya...Kaash tumne mera pyar ko kabhi apnaya hi nahi hota.
Behtreen update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 4


1st Day of College



Dhruva:- Kitna time aur lagega? Aadha ghanta se ready ho raha hai…Agar aisa hi speed rahega to aaj nahi kal tak hi pahunch paayega college…Ready hone me tu ladkiyo se bhi jyada late karta hai.


Ajith:- 1st day hai yaar…Samajh me nahi aa raha hai kaun sa dress select karu? Aaj accha to dikhna padega na…Warna pata nahi kya kya sochenge mere baare me?


Aur tujhe kaise pata chala ladkiyo ki ready hone ki timing?


Dhruva:- Bhul mat 5 girlfriends hai mera…Kisko kitna time lagta hai ready hone me sab pata hai.


Ajith:- Kal tak to 4 hi thi.


Dhruva:- Internet ka jamaana hai yaar…Kal ek aur pataya facebook se.


Dhruva ne hanste hue kaha.


Ajith:- Tu kabhi nahi sudhrega.


Dhruva:- Wo to hai…Mai bigda hua hi accha hu…Kyu ki issi me jindagi ka maja hai…No compromise, no tension aur jindagi me masti hi masti.


Ajith:- Ek baat bata…Tu kaise ek saath 5 ko manage karta hai…Tera sabhi gf ko pata hai ye baat ya dhokha me rakh raha hai?


Dhruva:- Sabhi ko pata hai.


Ajith:- Fir bhi tu relationship me hai…Ajeeb love story hai.


Dhruva:- College ke liye late ho jaayega…Jyada mat soch…Baad me bataaunga.


Fir Ajith ek dress select karke pehen leta hai.


Dhruva:- Mast…Hero lag raha hai…2-4 ladki jarur pategi.


Ajith:- Majaak mat kar…Koi majaak to nahi udaayega na.


Dhruva:- Majaak sirf wo hi log udaayenge jisse khud par bahut ghamand hoga unka lifestyle par…Warna kisi bhi angle se tujhme koi kami nahi dikh raha hai.


Ajith:- Accha yaar…Chalta hu abb.


Dhruva:- All the best…Khub man laga kar padhna…Aur ha kisi se naa hi jyada dosti rakhna aur naa hi kam…Medical field me dekha hai maine kuch students aise hote hai jo sirf paise ke dum par aate hai…Talent to kuch hota nahi…Khud to bigadte hai aur dusro ko bhi bigaad dete hai.


Unse jyada dosti mat rakhna…Tu padhne jaa raha hai aur sirf padhaai me hi dhyan dena.


Ajith:- Hmm…Ok…Tera baat ka dhyan rakhunga.


Dhruva:- Aur gf jarur bana lena.


Dhruva ne hanste hue kaha.


Ajith:- Padhne jaa raha hu.


Ajith ne aankh dikhaa kar kaha.


Dhruva:- Jaisa tera marji…Free ka suggestion ka to value hi nahi.




Fir Ajith bhi college ke liye nikal gaya.


Karib 20 minute baad auto college ki gate tak le aaya.


Auto se utarne ke baad Ajith college ki gate ka board hi dekhta reh gaya kuch der ke liye.


Fir gate se andar aaya to ek alag hi sukoon mila.


Hospital ki badi badi building aur usme MBBS padhne jaa raha tha wo…Ye sab ek sapna hi tha uska…Aur aaj agar ye sapna pura hua hai to sirf uska mehnat aur talent ki vajah se.


Ghadi me time dekha…15 minute baaki tha abhi bhi…Wo hospital aur aas paas ka najaara hi dekhta raha.


Aaj aisa din tha uske jindagi me jab usse khud par hi garv mehsus ho raha tha…Ye uska jindagi ka aisa vakt tha jaha se abb usne aage ki sapna dekhna suru kar diya tha.


Aise hi dekte dekhte uska najar hospital gate se baahar pada.


Ek baccha haath me plate le kar sabhi se paisa maang raha tha…Koi usse ignore kar raha tha aur koi usse daant kar bhaga raha tha.


Tabhi ek scooty ruka uss bacche ke saamne…Scooty se ek ladki utar kar uss bacche ki paas pahunch gayi aur kuch paise diye.


Ye dekh Ajith ke hontho me ek muskaan aa gaya…Usne Ladki ki taraf dekha…Ladki ussi ki umar ki thi…Gora rang, Slim and well maintained body, Hontho me muskaan aur decent dress up.


Ajith ko pata nahi kyu wo ladki ko dekhna bahut accha lag raha tha…Pehle kabhi uska najar kisi ladki par gaya hi nahi tha…Lekin aaj pehli baar kisi ladki ko palak jhapkaye bina hi dekh raha tha.


Wo tab tak dekhta raha jab tak wo ladki scooty se hospital me enter karke gaayab nahi ho gayi.


Ajith:- (In his mind) Kuch jyada hi sapna dekh raha hu…Ye mera range se bahut upar ki hai.


Ye kehte vakt Ajith ko khud ki haalat par bahut niraasha ho raha tha…Lekin khud par kaabu karna sikh liya tha usne.



Yahi wo vakt tha jab Ajith ne Kajal ko dekha tha…Pehli hi najar me Kajal ne Ajith ka dil chura liya wo bhi bin bataaye.


Fir Ajith muskuraata hua uss baccha ke paas gaya aur usko paisa diya.


Baccha:- Bhaiya…Ye to 50 rupaiya hai.


Ajith:- Rakh le…Jo man me aaye kharid kar khaa lena.


Bachha kuch nahi bola…Bas Ajith ko dekhta raha.


Ajith:- Kya hua? Aur chaahiye kya?


Baccha:- Nahi bhaiya…Mai bahut khush hu…Aaj tak kabhi 20 rupaiya se jyada nahi mila…Lekin aapne to…


Ajith:- Koi baat nahi…Rakh le.


Itna keh kar Ajith ne ek aur 50 rupaiya de diya.


Aaj Ajith ko uss bacche ko paisa de kar bahut accha feel ho raha tha.


Iss baat se usse khud ka bachpan yaad aa gaya…Aaj bhi wo nahi bhula paaya tha bachpan me kabhi 50 ya 100 rupaiya milne ki khushi.


Yahi sab baat sochte hue wo class me baith gaya.


Wo late to hua nahi tha lekin baaki student usse pehle aa gaye the.


Ajith ko last me hi baithna pada.


Lecture suru hone ke baad Ajith ka dhyan sirf padhaai me hi tha…Padhna to usse hamesha se pasand tha…Ek padhaai aur dusra Dhruva yahi do hi to the Ajith ka tanha jindagi ka saccha dost…Lekin aaj Ajith ko padhne me bahut majaa aa raha tha.


Usse aisa sukoon mil raha tha jaise ek pyaasa ko pani mil gaya hai aur ek bhatakta hua musaafir ko uska manjil.


Issi tarah pura din beet gaya…Pura din Ajith ka dhyan sirf padhaai me hi tha.


Class khatam hone ke baad as expected kuch seniors class me aa gaye ragging lene ke liye.


5 boys and 5 girls.


Unke aate hi sabhi khade ho gaye aur ek dam se chup.


Ragging ka kuch overview and warning dene ke baad…


Senior 1:- Chalo…Ek murga ko yaha laate hai aur kuch tasks karwaayenge.


Senior 2:- Tu hi select kar.


Fir Senior 1 ne sabhi ki taraf dekha…Sabhi chup thhe aur sar jhukaaye thhe…Lekin sabse jyada alag Ajith hi dikh raha tha…Wo kuch jyada hi dara hua aur akele khada tha.


Senior 1:- Hey you…Boy at last row…Come here.


Ajith bhi samajh gaya aur wo bhi chup chaap aage chala aaya.


Senior 1:- What is your name?


Dar ki vajah se Ajith se bola bhi nahi jaa raha tha…Usne suna tha ragging ki vakt seniors kuch jyada hi khatarnaak hote hai.


Senior 1:- Suna nahi tune? Tera naam kya hai?


Ajith:- A…jj…iii


Senior 2:- Gunga hai kya? Dhang se bolna bhi nahi aata.


Iss baat par puri class hasne lagta hai…Ajith bahut hi humiliated feel kar raha tha.


Senior 3:- Tum sab ko kisne bola hasne ke liye…Abb jo hasega uski baari aayega abb.


Senior 3 ne bahut hi gusse me kaha…Aur fir sabhi chup ho gaye…Ajith isse aur bhi dar gaya.


Senior 1:- Abhi tak tune apna naam nahi bataya?


Ajith:- Ji Ajith.


Iss baar himmat karke Ajith ne keh hi diya apna naam,


Senio 4:- Kitna darta hai yaar tu? Lekin yaad rakh…Ham unka hi jyada ragging lete hai jo jyada darta hai ya fir darta hi nahi hai.


Senior 5:- Yaar mujhe ek doubt hai.


Senior 1 :- Kya?


Senior 5:- Iska koi gf bhi hoga ya nahi?


Achanak iss baat se Ajith darn eke saath saath chaunk gaya.


Senior 2:- Aisa kyu pucch raha hai?


Senior 5:- Itna darta hai to kisi ko kaise pataya hoga isne?


Senior 3:- Baat to sahi hai…( To Ajith) Bol koi gf hai tera?


Ajith:- Nnnaahi.


Darte hue jawaab diya Ajith ne.


Senior 5:- Propose kiya hai kis ko?


Seniors ko bhi Ajith ki haalat par maja aa raha tha.


Ajith:- Nnahi.


Senior 4:- Iske liye task mil gaya…(To Ajith) Tu aaj kisi ladki ko propose karega.


Ye baat sun kar Ajith aur bhi jyada dar gaya.


Senior 1:- Tu hi select kar kisko propose karna hai.


Ajith niche dekhte hue chup hi raha.


Senior 2:- Suna nahi tune.


Iss aawaj se darte hue Ajith ne aankhe utha kar sabhi ko dekha…Khaas kar Ladkiyo ko…Aise dar me bhi usko khushi tab mila jab usse Kajal dikhi…Lekin agle hi pal usne Kajal se najar hata li.


Wo kisi ko select nahi kar paaya.


Senior 6:- Ae ladki…Tu aa.


Ek ladki senior ne ek ladki ko bulaaya.


Wo ladki bhi aa gayi…Uske chehra me naa hi jyada dart ha aur naa hi wo jyada serious thi…Lekin wo chup chaap aa gayi aage.


Senior 2:- Isko propose kar.


Ajith chup hi raha.


Senior 1:- Behra to nahi hai…Jo bola hai wo kar.


Ajith:- I..


Senior 2:- Isse aage.


Ajith:- I lovvv…


Senior 3:- Niche dekh kar propose karega? Ladki ki aankho me aankhein daal kar propose kar.


Ajith ne bhi socha…Itna darne se accha propose hi kar dena chahaiye…Shaayad aage aur ragging hone se bach jaaye.


Ajith:- I love you.


Ajith ne ladki ki chehra dekha…Chehra se to khusbsurat hi thi lekin chehre se hi uska ghamand dikh raha tha.


Senior 6:- Isne to propose kar diya…Tera kya jawaab hai?


Lady senior ne puccha.


Ladki:- Isme sochna kya hai…Iska to aukaat hi nahi hai mujhe propose karne ka…Aur mera accept karne ka to sawaal hi nahi hai…Getup to dekho…Bilkul bhikhari lag raha hai.


Ladki ki iss baat se sabhi shock ho gaye…Ajith ko jis baat ka dart ha wo hi hua…College ki pehle din hi uska beijjati wo bhi uski haisiyat ki vajah se…Khair ye sab to usne bahut seh liya tha…Iss baar bhi seh liya.


Lekin uss lady senior se raha nahi gaya.


Senior 6:- Juniors…Tum sab ghar jaao…Ajith tum bhi…Sirf ye ladki yaha rahegi. (To Senior Boys) Tum sab bhi…Iss ladki ka ham sab ragging lenge wo bhi acche se.


Senior 1:- Lekin?


Senior 6:- Kya lekin?


Senior 1:- Thodi der baad lo iska ragging…Abhi hame Ajith ka ragging lene do…Bahut maja aa raha hai.


Senior 6:- Maja lena ek level tak hi rahe to accha hai…Abb level cross ho raha hai…Ye ragging ka matlab hai kuch jyada ghamandi aur attitude wale student ko sahi track me laana.


Aur hame iss ladki ko pehle sidha karna hoga…Jo kuch jyada hi ghamandi hai…Ajith bechara to bahut hi sharif lag raha hai…Abb isse jyada nahi.


Fir sabhi ghar chale gaye…Jab Ajith bhi foor se nikalne laga to ek najar usne uss ladki ko dekha.


Wo ladki nafrat se Ajith ko hi dekh rahi thi…Lekin Ajith bhi fikar kiye bina hi college se baahar nikal aaya.



[Note:- Friends sirf iss update ko thoda detail me likha hai…Thoda important tha iss liye…Aane wale updates pehle ki updates ki tarah hi likhunga.]
Shaandaar update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 5

Dhruva:- Kaisa raha aaj pehla din?

Ajith ne apna first day ka experience sunaya...Sirf ragging ki baatein chhod kar.

Dhruva:- Kitna boring hai tu?

Ajith:- Kya?

Dhruva:-College ka first day hai...Tu masti aur ladkiyo ko dekhne ki jagah din bhar padhta hi raha.

Ajith:- College padhne ke liye hi jaate hai.

Dhruva:- Wo sab sirf ideal students ke liye hai.

Ajith:- Tu kya hai fir?

Dhruva:- Aashiq...Aur college mera dating spot hai.

College join kiya hi tha ye soch kar ki larkiya bhi waha aayegi...Aur kismat bhi accha hai engineering college me bhi kuch ladkiya hai.

Ajith:- Tu aur tera aashiqui...Aisa lag raha hai koi flop story ka plot sun raha hu.

Ajith ki baat sun kar Dhruva hansne laga...Achanak Ajith ko kuch yaad aaya.

Ajith:- Subah tu bataane wala tha na...Ek saath 5 girlfriends kaise manage karta hai?

Dhruva:- Tera dost ka personality hi aisa hai yaar...Kaun ladki mujh jaise handsome boyfriend ko chhodne ki bhul kar sakti hai?

Dhruva ne apne baal ko sehlaate hue style me kaha.

Iss baar Ajith ne kuch reply nahi kiya...Dhruva ko bhi samajhte der nahi laga ki Ajith ko ye baat bilkul bhi pasand nahi aaya.

Dhruva:- Mai majaak kar raha tha.

Ajith:- Pata hai...Lekin aisa majaak bhi mujhe pasand nahi.

Dhruva:- Chal sach bata hi deta hu.

5 girlfriends hai...Lekin kisi se bhi pyar nahi hai mujhe...Aur naa hi unhe bhi...Give and take wala relation hai.

Aaj ki duniya me saccha pyar milna bahut mushkil hai...Aur ham jaiso ke liye to aur bhi jyada mushkil...Bahut saari ladkiya paise wale aur handsome ladke par marti hai.

Ham chaahe jitna bhi sharif kyu na ho jaaye ya fir kitna hi saccha pyar kyu na kare...Wo hame koi bhaaw nahi degi.

Iss liye maine socha...Jindagi sirf ek baar milta hai...Kaise jeena hai ye apna faisla hai...Aaj tak jindagi me bahut mushkilein aaya, aage kaisa pal aayega ye bhi pata nahi...Iss liye jindagi se jitna maja lena chaahiye utna le raha hu.

Aaj ke duniya me jyadatar log pyar se jyada hawas ko maante hai...Maine bhi duniya ke liye khud ko badal diya.

Lekin kisi ke saath galat nahi kiya hai...Jo karta hu sabhi ko pata hai aur naa hi kisi ko dhokha diya.

Abb mera life ka ek hi formula hai...Kabhi galat mat karo aur jitna ho sake khul kar jindagi ko jiyo.


Ajith:- Abhi tune kaha jyadatar insaan...Lekin kuch ko bhul gaya...Kuch insaan chaahe ladka ho ya ladki abhi bhi sacche pyar ko maante hai...Unme se mai bhi ek hu .

Aur ek baat yaad rakhna...Sacha pyar me paisa, haisiyat, jaat aur dharm kuch maaine nahi rakhta...Agar kuch maaine rakhta hai to saamne wala ka dil.

Dhruva:- To fir saalo tak intejaar karna padega sacche pyar ka...Aur fir bhi sure nahi ki wo milega ya nahi.

Ajith:- Iss intejaar ka alag hi maja hota hai...Kehte hai na sabra ka fal mitha hota hai.

Jab saccha pyar ho jaayega na to aisi baat bilkul bhi nahi sochega ki kitna intejaar karna padega aur kab tak?

Jis cheej ka intejaar me vishwas, mehnat aur sacchai hota hai na to wo cheej haasil karne ke baad jo maja milta hai uska koi jawaab nahi.

For eg...Mai tujhe bata bhi nahi sakta mai kitna khus hu MBBS padh kar...Iske liye entrance preparation ke vakt din raat ek kar diya tha...Hamesha vishwas tha ki mai kar paaunga aur mujhe kar ke dikhaana hi hoga...Pehli baar haar gaya...1 saal intejaar kiya lekin vishwas kabhi kam nahi hua...Aur aaj dekh mujhe safalta mil hi gaya.


Dhruva:- Mai maanta hu...Baat tera sahi hai...Lekin ye bhi sach hai ki har insaan alag hota hai...Tu apni jagah bilkul sahi hai aur shaayad mai apni jagah...Mujhse ye intejaar nahi hota aur naa hi mai itna optimist hu.

Ajith:- Tu bhi apni jagah sahi hai...Bas itna kahunga ki itna khayal rakhna ki aaj ka present se kal tera furure me koi mushibat na aa paaye.

Dhruva:- Nahi aayega yaar.

Dhruva ne confident ke saath kaha.

Ajith ne bhi socha abb iss topic par baat karne se koi faaidaa nahi...Behtar yahi hai ki Dhruva ko uski tarah hi jeene ko mile...Waise bhi wo apna faisla lene ke liye khud kaabil tha.


Fir Ajith apna book nikaal kar class me jo padhaai hua tha uska revision karne laga...Revision karne ke baad wo sone ke liye bed par lait gaya.

Lekin aaj usse neend nahi lag raha tha...Aur vajah thi Kajal.

Ajith ke dimaag me baar baar hospital wala scene hi yaad aa raha tha.

Ajith :- (In his mind) Bahut acchi ladki hai...Dekh kar to lag raha hai ki bade ghar se hai...Lekin fir bhi kitni simple aur acchi thi...Aur helping nature bhi...Aaj kal to jaise sabhi ke dil se insaaniyat khatm hi ho chuka hai...Lekin usne khud hi scooty rok kar uss bacche ko paisa diya...Bahut bada dil hai uska.


Aur saath hi jab Ajith ne Kajal ko class me dekha tab uska khushi ka koi thikaana hi nahi raha.

Ajith:- (In his mind) Socha tha wo apne ilaaj ke liye hospital aayi hai...Lekin wo to mere hi class me padhti hai...Kal kisi tarah uske saath dosti kar lunga...Ha dosti to karna hi padega.

Kya wo mujhse dosti karegi? Kaha wo aur kaha mai? Aur usse mujhse dosti karke kya milega?

Paagal hu mai bhi...Kya kya soch raha hu...Dosti ko haisiyat aur faaidaa ke saath compare kar raha hu ye jaante hue bhi ki wo ladki aisi nahi hai...Ha wo meri dost jarur banegi.

Kal pakka...Uske saath dosti jarur karunga.

Ajith yahi sab soch me gumm tha...Aaj Kajal ke baare me sochte hue usse neend bhi nahi lag raha tha.

Dhruva:- Abhi bhi padhai ke baare me hi soch raha hai?

Ajith:- Nahi to?

Ajith ne achanak se hadbada kar kaha.

Dhruva:- To fir kaha khoya hua tha?

Ajith:- Kahi bhi to nahi.

Dhruva iss baar kuch bola nahi sirf muskuraata raha Ajith ki dekh kar.

Ajith:- Aise kyu muskura raha hai?

Dhruva:- Mai sab samajhta hu.

Ajith:- Kya samjha?

Ajith bhi soch me pad gaya ki kahi Dhruva ne sach to nahi samajh liya.

Dhruva:- Rehne de...Tu nahi maanega agar maine keh bhi diya to.

Ajith:- Agar sach kaha to kyu nahi maanunga...Abb bata.

Dhruva:- Kuch nahi.

Itna keh kar Dhruva dusri taraf dekhne laga.
Behtreen update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 6

Next Day

Agli din Ajith aadha ghanta pehle hi college pahunch gaya...Vajah sirf ek hi thi...Kajal.

Jab tak Kajal nahi aayi Ajith baaki ki students se introduction aur friendship karta raha...Koi bhi uski aankho ko dekh kar keh sakta tha ki usko kisi ka intejaar hai.

Ajith tab tak door ko dekhta raha jab tak Kajal nahi aayi.

Kajal ki class me aate hi Ajith ki aankhein khushi se fail gaya, hotho me muskaan chhaa gaya aur aaj apne dil ko kuch alag tarah se dhadakta hua mehsus kiya.

Ajith kal ki tarah aaj bhi last row me hi baitha tha...Vajah ye tha ki wo jyada bolna aur baatein karna pasand nahi karta tha...College aane ki bhi makshad sirf ek hi tha...Acche se padhna aur doctor ban kar nikalna.

Kajal dhire dhire uske taraf hi badhti rahi...Jitna paas Kajal aati rahi Ajith ki dil ki dhadkan aur tej dhadakne laga.

Dil se ek khwahish nikla...Kaash Kajal uske paas aa kar baith jaaye...Lekin ye nahi ho paaya...Kajal apne kuch dosto ke saath middle ki row me hi baith gayi.

Ajith dil thaam kar reh gaya...Lekin aaj khush bhi bahut tha wo...Ek najar Kajal ka mil gaya wo bhi subah subah.

Wo muskuraata hua Kajal ko dekhta raha picche se.

Lekin Kajal ki side ke hi ladki ghum kar Ajith ko gusse se dekhne lagi...(Wo kal ki ragging wali ladki hi thi.)

Uski aankho me Ajith ke liye alag hi nafrat dikh raha tha...Ajith ne iss baat ko ignore karke dusri taraf dekhne laga.

Kuch der baad lecture suru ho gaya...Ajith aaj bhi puri man laga kar padhai me dhyan laga raha tha...Usne pehle hi soch liya tha chaahe jaise bhi haalath kyu na ho wo padhai me kabhi laaparwahi nahi karega.

Lekin padhai ke bich me bhi Kajal ko kabhi kabhi ek najar dekh leta tha...Isme bhi ek alag hi maja tha.

Abb usse bhi lagne laga ki usse pyar ho gaya hai.

Ajith:- (In his mind) Shaayad isse hi pyar kehte hai.

Ye sochte hi Ajith ka muskaan aur bhi jyada ho gaya.


During lunch break.

Lunch time aate hi sabhi students canteen ki taraf chale gaye.

Jab Kajal bhi jaane lagi tab Ajith usse pichhe se deewana ki tarah dekhne laga...Aur tab tak dekhta raha jab tak Kajal door se baahar uski aankho se ojhal na ho gayi.

Kajal ke jaane ke baad hi usse kuch yaad aaya.

Ajith:- (To himself) Sirf dekhta hi rahega ya baat bhi karega...Bhul mat...Kal dosti karne ka vaada kiya tha khud se...Abb himmat kar aur dosti ke liye kadam aage badha.

Itna kehne ke baad Ajith canteen chala gaya aur apna naasta le kar Kajal se 2-3 table dur side ka hi ek table me baith gaya.

Yaha bhi uska dhyan khaane me kam aur Kajal ki kuch adaa aur jhalak paane me jyada tha.

Kajal ki har ek adaa usse bhaa raha tha jaise ki Kajal ka ungliyo se apne baal ko sawaarna aur hanste hue apne dosto se baat karna.

Jab bhi Kajal hans kar baatein karti Ajith ke hontho me bhi apne aap muskaan aa jaata...Hansti hui Kajal usse bahut cute lag raha tha.

Achanak usse kuch yaad aaya aur apna lunch jaldi se khaa kar wo class ki taraf chala gaya.

Door ki baahar hi khada raha wo...Aur fir se Kajal ka intejaar karne laga...Iss baar usne soch liya wo Kajal se baat karke hi rahega jab wo door se andar jaayegi.

Iss baar jyada intejaar karna nahi pada...Kuch hi der me Kajal apne dosto ke saath class ki taraf aa gayi.

Jo himmat Ajith ne jutaaya tha kuch der pehle wo achanak hi gaayab ho gaya...Haalat ye gaya tha ki wo Kajal se aankhein tak nahi mila paa raha tha.

Abb usse samajh aa raha tha pyar karna jitna aashaan hai utna hi mushkil hai pyar ko jaahir karna aur izahaar karna.

Kajal uske side se nikal gayi aur Ajith dekhta hi reh gaya...Ek shabd aawaj nahi nikaal paaya.

Iss baar bhi Ajith ko wo hi ladki nafrat se dekh rahi thi aur Ajith ne iss baar bhi ignore kar diya.

Fir baaki ka lecture suru hua...Iss baar bhi Ajith ka time sirf padhaai aur Kajal ki jhalak paane me nikal gaya.

Jab bhi Kajal ki jhalak milta usse ek alag hi sukoon milta.

Aise hi lecture ke vakt professor ne ek question Kajal ko pucha.

Kajal answer dene lagi...Ajith ka dhyan Kajal ki answer me kam uski koyal jaisi pyari aur surili aawaj me jyada tha.

Issi tarah Ajith ka saara din Kajal me hi beet gaya.

Abb wo dil se dua maangne laga...Kaash Kajal ka ye jhalak usse har roj issi tarah milta rahe.


College se aane ke baad wo apna room me chala gaya...Dhruva abhi room me nahi tha.

Usne apna ek khaali dairy uthaya aur Kajal ki yaado me likhna suru kar diya.


Title tha "My Dream Girl, My First Love And My Wishes."
Bemishaal update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 7

Agli din bhi Ajith ka wohi haal tha...Aaj bhi padhaai aur Kajal ki jhalak dekhne me hi nikal gaya...Lekin aaj usne kuch soch rakha tha.

Chhuti hote hi wo Kajal ke piche chala gaya.

Ajith:- Excuse me.

Ajith ne himmat kar ke kaha.

Kajal aur uski do dost picche mud gayi.

Ajith aage ki baat kehne hi wala tha ki ragging wali ladki ne kehna suru kar diya.

Ladki:- Kya hua?

Uski aawaj me Ajith ke liye bahut gussa aur nafrat tha.

Ajith:- Ji mera naam Ajith hai.

Ajith ne Kajal ki taraf dekh kar kaha.

Ladki:- Funny name...Wo to ragging ke vakt hi pata chal gaya tha.

Itna keh kar wo ladki hasne lagi.

Kajal:- Chup kar Preeti...Ye kis tarah se baat kar rahi hai tu.

(To Ajith) Hello...I am Kajal...Kuch kaam tha aapko mujhse?

Kajal ne bahut hi politely aur pyar se kaha Ajith ko...Fir se Kajal ki surili aur pyari baatein sun kar Ajith ka din ban gaya...Wo andar se bahut khus ho gaya.

Ajith:- Kajal...Very sweet name.

Ajith ki munh se apne aap nikal gaya ye baat...Abhi 2 din baad jaa kar usse Kajal ka naam pata chala tha.

Preeti:- Issi vajah se iss stupid ke saath aise baat kar rahi thi...Dekha tune...Tune apna naam kya bataya ye flirting karne lag gaya...(To Ajith) Aukaat dekh kar baat karna agli baar.

Ajith:- Excuse me...Mai koi flirt nahi kar raha hu...Jo laga wo keh diya...Kuch galat to nahi kaha.

(To Kajal) Mujhe aap ki help chaahiye tha.

Ajith ne bahut jyada gussa me kaha Preeti se...Abb usse aur bardast nahi ho raha tha.

Kajal:- Kaisa help?

Ajith:- Kal aapko Pathology ke lecture me sir ke question ka answer dete hue dekha tha...Issi se pata chal gaya aap bahut talented hai...Ek confusion tha necrosis topic par...Kya aap help kar dengi?

Ajith ne politely request kiya...Aur yahi tha uska Kajal se baat karne ka idea.

Preeti:- Pehle to socha tha tu sirf loafer hai lekin abhi pata chala tu gawar bhi hai...Lecture ke vakt dhyan padhai par hona chaahiye naa ki ladkiyo ko ghurne par.

Just go and study book...We dont have time for stupids like you.

Preeti Ajith ko nicha dikhaane ki har mauka ka acxhe se istemaal kar rahi thi.

Kajal:- Ye tu kaisi baatein kar rahi hai.

Kajal ne gusse me kaha lekin usko bich me hi rok kar Priya ne kaha.

Preeti:- Mujhe aise loafer se acche se deal karna aata hai.

(To Ajith) Now what are you looking for? Get lost.

Ajith:- Abb jyada ho raha hai...Kaisi baatein kar rahi hai aap?

Ajith ne gusse me kaha.

Preeti:- Jaanti thi...Tujhe English samajh me nahi aayega...Mai ye baatein kar rahi thi ki tu abb yaha se chala jaa aur hamara time waste mat kar...Samajh gaya ya aur samjhau?

Ajith:- So you want me to talk in English...Ok fine?

Talking about study...Yesterday I had full concentration in my study...In fact I am always attentive.

In addition to lecture, I have gone through each and every detail content of necrosis...I understood every thing except picture of microscopic findings in necrosis.

Itna keh kar Ajith chup ho gaya...Aur Preeti ko dekhne laga...Preeti shocked thi...Usne socha bhi nahi tha ki Ajith iss tarah se English bol paayega.

Preeti:- Paagal hai tu bhi...Itna detail me kaun padhta hai...Just surfacely padh aur kaam chala...Aur ye necrosis important topic bhi nahi hai...Aage aise bahut sii tough topics aayega...Aur itna detail me padhega to paagal ho jaayega.

Ajith:- Who said necrosis is not important topic...Infact Necrosis and Inflammation are the most important topics in Pathology...Maanta hu aage aur bhi hard topics aayega...Lekin agar yahi samajh me nahi aaya to aage padhne ka koi matlab hi nahi.

Preeti:- Pathology subject hi important nahi hai...To Necrosis topic ki kya importance?

Iss baat par Ajith ko hansi aa gaya...Preeti ko dekhte hue hansne ke baad usne kaha.

Ajith:- Ek baat pucchu?

Ajith ne hanste hue kaha...Preeti ne kuch reply nahi diya bas Ajith ko gusse se dekhti rahi...Ajith ka hasna usse apna insult lag raha tha.

Ajith:- Aap MBBS padhne yaha talent ki vajah se aayi hai ya paise ki dum par?

Iss sawal ne Preeti ka gussa aur badha diya.

Preeti:- Its none of your business.

Ajith:- True...Its not my business...Infact its our business...Business of each and every hardworking, honest and skillfull doctor.

Aap ye baat jaanti hai...Aap jaisi doctor ki vajah se hi doctor badnaam hote hai aur ye news aata hai ji doctor ki laaparwahi ki vajah se patient ki maut.

Aapko Pathology ka meaning hi nahi pata to aap kaisa doctor banengi...Pathology means study of disease...Agar aap ko disease ke baare me hi nahi pata to kya ilaaj karengi aap...Aur kya dawaa dengi.

Aap jo baatein kar rahi hai na isse doctor ka badnaam hoga patient ke saamne aur puri duniya ke saamne.

Aap kaisa padhti hai ya fir aap padhe ya naa padhe ye mera sardard nahi hai...Mujhe koi matlab bhi nahi...Lekin aap ye mat bhuliye ki aap sirf apne career ke saath hi nahi patient ki life ke saath bhi khel rahi hai.

Free ka suggestion deta hu...Pathology, Pharmacology aur Anatomy ko kabhi mat ignore karna...At least average doctor to ban hi jaayengi aur baaki doctor ka naam bhi kharab nahi hoga.

Aur perfect doctor banne ke liye sabhi subject me accha student banna padega aapko aur saath hi ek best human...Technical study ke saath hi behavioral quality bhi utna hi jaruri hai.

Ummeed karta hu aap ko samajh me aa gaya hoga...Agar nahi bhi to its not my business.

Ajith ne muskuraate hue kaha...Lekin Ajith ki har ek lafz Preeti ki dil me khanjar ki tarah chubhne laga...Ajith ne na sirf usko reply diya balki uski soch aur charecter tak ko galat keh diya wo bhi muskuraate hue.

Abb Preeti se aur raha nahi gaya...Wo waha se jaane lagi...Kajal ko wohi ruka dekh usne gusse me kaha.

Preeti:- Abb kya tujhe alag se invitation dena padega?

Kajal:- Tu ja...Mai Ajith ka problem dekh kar aati hu.

Kajal ki iss baat se Preeti aur gussa ho gayi...Iss baar kuch kahe bina hi wo chali gayi.

Ye dekhne ke baad Ajith ka khushi ka koi thikaana hi nahi raha...Usne sapne me bhi nahi socha tha ki Kajal apna dost ke khilaaf jaa kar uska help karegi.

Preeti ko reply dene ke baad usne to socha tha ki Kajal ke saath dosti karne ka mauka usne gawa diya hai...Lekin apna self respect aur profession ka majaak banne par wo chup nahi reh saka.

Preeti ke jaane ke baad...

Kajal:- Chalo.

Kajal ne class ke andar kadam rakhte hue kaha.

College chhuti ho gaya tha iss liye class me sirf abhi dono akele hu baaki thhe.

Ajith ne apna Pathology book nikala.

Ajith:- Sorry...Meri vajah se aap dono me problem aa gaya.

Kajal:- Tum sorry kyu keh rahe ho...Preeti meri dost hai...Lekin iss baat se inkaar nahi karungi ki aaj uski hi galti thi...Aur mai andhi ho kar uska saath kabhi nahi dungi.

Wo galat ladki to nahi hai...Lekin aaj kal kuch jyada hi ghamandi ho gayi hai...Tumne sahi jawaab diya...Kabhi kabhi aisi jawaab ki sakht jarurat hoti hai bhatke hue ko sahi raaste me laane ki.

Wo meri dost hai...Usse baad me mana lungi lekin tumne abhi jo kiya wo bilkul sahi tha.

Kajal ki ye jawaab Ajith ke liye unexpexted tha lekin jaisa bhi tha Ajith ko ye sab sunne me bahut accha lag raha tha.

Ajith Kajal ko dekhte hue hi book ka page open kar raha tha.

Usse apna kismat par yakin hi nahi ho raha tha...Wo aur Kajal class room me bilkul akele...Wo aaj pehli baar Kajal se baat bhi kar paaya tha aur Kajal ne uska help karne ke liye apna dost ka saath bhi nahi diya.

Aaj uska khushi ka thikaana hi nahi tha.

Kajal:- Aaj tumhe dekh kar laga ki tumhe gussa bahut jaldi aata hai.

Ajith:- Nahi...Gussa to bahut kam hota hu...Aur jitna ho sake utna sehne ki koshish karta hu...Lekin sehne ki bhi ek hadd hota hai...Aur aaj wo hadd paar ho gaya.

Kajal:- I must appreciate that...Tumhaara baat karne ka tarika bahut accha hai...Aaj Preeti na jaane kya kya kehti jaa rahi thi...Lekin tumne bahut pyar se thappad maara...Kuch galat shabd ka istemaal nahi kiya lekin fir bhi bahut kuch keh diya jo Preeti ko sochne par majbur kar de.

Ajith:- Mujhe Preeti se bhi koi problem nahi hai...Aur naa hi aisa kuch kehna chaahta tha...Lekin wo itna insult kar rahi thi ki bole bina nahi reh paaya.

Kajal:- Abhi jyada maturity nahi aaya hai usme...Jo man me aaye keh deti hai...Lekin dil se galat nahi hai wo.

Iss baar Ajith ne koi reply nahi diya.

Ajith book ka page turn karne laga...Iss baar Kajal usko dekhne lagi.

Kajal:- (In her mind) Kuch alag sa hai...Baat karne aur request karne ki tarika...Abhi tak to gentleman hi lag raha hai.

Kajal:- Tumhara padhaai me bahut lagaaw hai na?

Ajith:- Ha...Sach kaha aapne...Lekin aapko kaise pata?

Kajal:- Ye kya abhi bhi aap keh rahe ho...Mai tum keh rahi hu na to tum bhi tum kaho.

Ajith:- Aadat ho gaya hai.

Muskura kar kaha Ajith ne.

Kajal:- To fir tum kehne ki aadat daal lo.

Ajith:- Koshish karunga.

Itne der me Ajith ne page turn kar liya.

Ajith:- Aapne bataya hi nahi...Kaise pata chala aapko mujhe padhaai me interest hai.

Kajal:- Pehle tum.

Ajith:- Ohh accha sorry.

Ttum ne bataya hi nahi ki ttumhe kaise pata chala mujhe padhaai me itna interest hai.

Ajith ne haklaate hue tum kaha...Aur uaki iss tarah se bolne par Kajal ko thoda hasi aa gaya...Ajith bhi uske saath hi hasne laga.

Kajal:- Kal se sabhi students ko observe kar rahi hu...Lecture ke time kitne students attentive hote hai...Tum aur kuch students hi aise mile.

Aur jab aaj tum mere paas study related confusion clear karne aaye to confirm ho gaya.

Jawaab me Ajith ne sirf ek smile pass kiya.

Kajal:- Aakhir kaise itna focused ho kar padh sakte ho...Mujhe bhi padhna accha lagta hai lekin itna jyada man laga kar nahi padh paati.

Ajith:- Mera to sab kuch padhaai par hi dependent hai...Warna jindagi me kab kya ho jaaye kuch pata nahi.

Ye baat Ajith ke munh se apne aap nikal gaya...Aur iss baar aawaj bhi dhire hi tha.

Kajal:- Sorry...Mai kuch nahi samjhi.

Ajith:- Kuch khaas nahi.

Ajith ne baat taalne ki koshish kiya.

Kajal:- Kuch to kaha tha.

Ajith:- Baad me kabhi fursat se bataunga.

Kajal:- (In her mind) Interesting character.

Kajal ne muskuraate hue socha.

Fir dono apna padhaai related discussion me lag gaye.
Atisunder update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 8


Ajith:- Hello.

Kajal:- Hi Ajith...Mai hu Kajal.

Ajith apne room me aane ke kuch hi der baad uske mobile me phone aaya.

Ek baar to Ajith ko viswaas hi nahi hua ki Kajal ka phone aa jaayega...Lekin jo bhi ho usse iss baat ka bahut khushi tha ki kuch der aur Kajal ki pyari baatein wo sun paayega.

Ajith:- Ji kahiye.

Kajal:- Fir aap?

Ajith:- Ohh sorry...Kaho kaise yaad kiya.

Ajith ne apne hi galti par muskuraate hue kaha.

Kajal:- Baatein bahut jaldi bhul jaate ho.

Ajith:- Shaayad.

Achanak Ajith ko kuch yaad aaya.

Ajith:- Mera phone number kaise mila tumhe.

Kajal:- Ye bhi bhul gaye...Aaj class me hi to ham ne share kiya tha ek dusre ka number.

Abb Ajith ko ye baat yaad aaya.

Ajith:- (In his mind) Sach me bhullakad ban gaya hu abb.

Kajal:- Hello...Ajith? Are you there?

Ajith ko reply na deta dekh Kajal ne pucha.

Ajith:- Yes yes...I am here...Yahi soch raha tha phone number wali baat kaise dimaag se nikal gaya.

Kajal:- Wo to niklega hi...Tum study me hi itne busy the ki tumhe ye bhi pata nahi hoga ki maine kab tumhaara number liya aur tumne kab diya.

Kajal ki baat sunne ke baad Ajith ne apna haatho se aankhein ko malne laga aur hontho me fir muskaan aa gaya.

Ajith:- (In his mind) Ye study me busy hone ki vajah se nahi hai...Sach to ye hai ki tumhaari inn khubsurat aankhon aur pyari baaton ki jaadu ne mujhe apne vash me kar liya hai.

Kajal:- Hello.

Ajith:- Hmm.

Ajith ne hadbadaa kar kaha.

Kajal:- Kaha kho jaate ho tum baar baar?

Ajith:- Kahi bhi nahi.

Kajal:- Jhuth bhi dhang se nahi bol paate ho.

Apne jhuth pakde jaane par Ajith ko khid par hi hassi aa raha tha...Iss baar Ajith ka saath Kajal ne bhi diya hasne me.

Kajal:- Accha abb bataao ki tum baar baar kaha kho jaate ho? Please ye mat bataana ki study me kho jaate ho.

Ajith:- Nahi nahi...Itna bhi padhaaku nahi hu mai.

Kajal:- To fir?

Iss baar Ajith sochta hi raha...Usse koi dhang ka jawaab nahi mil raha tha.

Kajal ko bhi jab laga ki Ajith jawaab nahi de paa raha hai to usne baat ko badal diya.

Kajal:- Ye nahi pucchoge ki maine phone kyu kiya?

Ajith:- Are haa...Ye to pucchna hi bhul gaya bekaar ki baato me ulajh kar.

Kajal:- Hamne jo baatein kiya wo bekaar hai?

Kajal ne voice ka tone change karke kaha.

Ajith:- Nahi nahi...Mera wo matlab nahi tha...Inn baato me hi ham ulajh gaye ki kaam ki baatein hi nahi kar paaye.

Ajith ne jaise taise baat ko sambhala...Ajith ka haalath ka andaaza laga kar Kajal dusri taraf hasne lagi.

Ajith:- Bataao na...Kyu phone kiya?

Kajal:- Aaj tumhaare saath padhne me bahut maja aaya...Mera bhi kuch confusion tha wo clear ho gaya...Kuch additional points bhi pata chal gaya tumhaara concepts se aur saath hi galat concept bhi dur ho gaya.

Agar issi tarah padhte rahe to knowledge bahut accha ho jaayega ham dono ka hi.

To mai yahi pucchna chaahti hu ki kya kal se ham issi tarah padh sakte hai? Agar tumhe koi problem nahi hai to.

Ajith:- Nahi...Mujhe kya problem ho sakta hai...Jarur...Balki mai hi tumse ye baat pucchna chaahta tha? Lekin ye soch kar nahi puccha ki kahi tumhe bura to nahi lagega.

Kajal:- Mujhe kyu bura lagega...Study related subject me mera full support hai.

Accha to kal milte hai class me.

Ajith:- Ok.

Khushi ke saath kaha Ajith ne.

Kajal:- Nice to talk and study with you...Bye.

Ajith:- Same herw and bye.

Fir Kajal ne phone cut kar diya.

Kajal:- (In her mind) Aaj hi baat karna suru kiya...Aur aaj hi itni gehri dosti...Kamaal hai...Kuch to speciality hai Ajith me...Jo usse baat karne me itna accha lag raha hai.

Idhar Ajith Kajal se baat karne ke baad khushi se jhum raha tha...Usse khud yakin nahi ho raha tha ki jis Kajal se dosti karne ke liye wo itna tadap raha hai wo hi dosti kuch hi ghanto me itni gehri ho gaya.

Abb usse kal ka intejaar karna bhi bahut mushkil lag raha tha.

Padhaai to hamesha se uska taaqat tha...Aur aaj to issi padhai ne usko Kajal ke bahut kareeb laa diya tha...Aur issi padhaai ki vajah se wo Kajal ke saath na jaane kitna vakt saath bitaane wala tha.

Kajal ka dosti...Pehla pyaar ka ehsas aur saath hi apne mehnat se MBBS padh paane ki khushi...Inn sabhi vajah se Ajith ka khushi ka koi thikaana nahi tha aur naa hi isse jyada khushi ka usne kabhi ummeed bhi kiya tha.

Jindagi ka sabse behatreen pal jee raha tha wo jaha se jindagi me har tarf usse khushiya hi khushiya dikh raha tha.

Itni khushiyan ek saath milne ke baad Ajirh ne bhagwaan ka shukriya adaa kiya...Ye bhi ek khaasiyat tha Ajith ka...Wo sirf dukh bharw pal me hi nahi khushiyon ke pal me bhi bhagwaan ko yaad karta tha...Iss baar usne dua bhi maanga...Iss khushiyon se bhare pal ko abb uske jindagi se alag na kare. :pray:
Aafreen update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 9

Phone rakhne ke baad Ajith ko khayal aaya room me Dhruva bhi hai.

Dhruva Ajith ko hi dekhe jaa raha tha.

Dhruva:- (Thoda hairaani ke saath) Ye sab kya hai yaar?

Ajith:- Kya ye sab? Phone tha dost ka.

Ajith ne normal rehne ki koshish kiya.

Dhruva:- Ladkiya kab se tera dost banne lagi?

Dhruva ne hanste hue pucha.

Ajith:- Kisne kaha ye ladki ka phone tha?

Dhruva:- Idhar dekh meri taraf.

Dhruva Ajith ke paas aa kar bola.

Ajith:- Abb kya hua.

Ajith ne Dhruva ki aankho me dekha.

Dhruva:- Jaanta hai kiss ke saamne baat kar raha hai.

Ladkiyo se kaise baat karte hai aur kaun insaan kaise baat karta hai sab jaanta hu mai...Aur tu mujhse hi hoshiyaari kar raha hai?

Ajith:- Bhul gaya tha.

Ajith ne hanste hua kaha.

Dhruva:- Kahi pyar wyar me to nahi pad gaya?

Dhruva ne aise hi majaak me pucha.

Ajith:- Abb tujhse kya chhupaana.

Dhruva:- Matlab tu...

Isse jyada Dhruva kuch nahi bola...Bas Ajith ko dekhne laga.

Ajith ne haa me sar hilaa diya.

Dhruva:- Waah mera dost ko bhi pyar ho gaya.

Dhruva ne excitement me kaha aur Ajith ko gale laga liya.

Alag hone ke baad.

Dhruva:- Kab aur kaise?

Dhruva ki baato me alag hi excitement tha...Aisa lag raha tha Ajith se jyada wo khus tha Ajith ke pyaar par.

Fir Ajith ne bhi 2 din ki love story detail me suna diya.

Puri baat sunne ke baad.

Dhruva:- Uss ladki ka naam kya hai?

Ajith:- Kajal...Bataya to tha.

Dhruva:- Are uska nahi...Kajal ke dost ka.

Ajith:- Preeti...Lekin kyu.

Dhruva:- Lagta hai usse 6th girl friend banane ka time aa gaya hai...Bahut attitude hai usme.

Itna keh kar Dhruva hasne lagta hai.

Ajith:- Bahut ghatiya jokes tha.

Dhruva:- Ha pata hai...Tujhe meri jokes pasand hi kab aaya hai.

Ajith:- Tune accha jokes sunaya hi kab hai.

Dhruva:- Ye sab baatein chhod...Abhi tera love story one-sided hai...Agar koi help chaahiye to be jhijhak mujh se help maang lena...Ladki patane me expert hu.

Ajith:- Kuch din ke liye girl friend banana nahi hai...Saccha pyar hai wo bhi jindagi bhar ke liye.

Dhruva:- Maar diya na taana.

Dhruva ne naaraj hone ki acting kiya lekin andar se wo bhi khush tha Ajith ko pyar hone ki baat par.

Wo aage kuch baat karte tabhi door par knock hua.

Ajith ne door khola...Door par orphanage ke manager thhe.

Ajith:- Uncle aap...Aaiye na andar.

Manager:- Kaise ho beta?

Ajith:- Thik hu Uncle...Aap kaise hai aur kab aaye?

Manager:- Mai bhi thik hu...Abhi abhi aaya to socha tumse mil lu...Maaf karna beta jyada busy tha issi vajah se tumhara college ka 1st day me tumhe wish nahi kar paaya.

Ajith:- Aap maafi kyu maang rahe hai Uncle...Kaam bahut jaruri hai warna aapka aashirwad to hamesha mera saath hai aur aage bhi rahega.

Manager:- MBBS entrance me naam nikalna wo bhi full scholarship me bahut badi baat hai...Aage bhiaise hi man laga kar padhaai karna.

Manager ne Ajith ki sir par haath ferte hue kaha.

Ajith:- Jarur Uncle.

Ajith ne confidence ke saath kaha.

Manager fir kuch der tak Ajith ko dekhte rahe jaise unhe Ajith ki iss kaamyaabi par bahut garv mehsus ho raha tha.

Ajith:- Kya dekh rahe hai Uncle?

Manager:- Yahi ki mehnat aur laganshilta se naamumkin bhi mumkin hota hai.

Aaj mai tumhe nahi tumhaara bachpan dekh raha hu...Jab bhi pucchta tha ki tum bada ho kar kya banoge? Hamesha tumhaara jawaab milta tha...Doctor.

Bachpan se hi tumhaara padhai, mehnat aur sapna dekh kar chaahta tha tumhe ek doctor banane ka.

Lekin kya kar sakta tha...Paisa hi sab kuch hai aaj kal...Aur mere paas itna paisa bhi nahi tha ki tumhe doctor bana paata.

Lekin tumne saabit kar diya saccha mehnat aur laganshilta ki kabhi haar nahi hota.

Aaj mai ye yakin ke saath keh sakta hu ki aaj agar tumhaara parents hote to tumhaara haal aaj kuch aur hi hota.

Khair, aage bhi issi tarah dila laga kar padhna aur aage badhte rehna.

Ajith:- Uncle ek baat suna tha maine.

Garib paida hona bhale hi hamaara galti nahi hai lekin issi haalat me marna hamaara khud ka galti hai.

Maa aur Papa ne to mujhe janm diya...Abb aage ki jindagi mujhe khud jeena hai...Khud ladna hai aur khud sangharsh karna hai.

Agar aapne iss haalat ke liye bhagwaan ki kosta raha to jindagi me kabhi aage nahi badh paaunga...Isse behtar to ye hai ki future ko kaise khushiyon se bharna hai iss baare me socha jaaye.

Jo mushkilein ka maine saamna kiya hai wo hi mushkilein ka mere baccho ko saamna na karna pade...Aur mere Maa aur Papa ko bhi ummeed hoga ki mai kisi laayak banu...Bas issi koshish me jee raha hu.

Manager:- Bilkul bhi nahi badle tum...Wo hi soch aaj bhi hai aur naa hi kabhi badalna.

Fir issi tarah kuch der baat karne ke baad Manager Ajith ke room se chale gaye.


Next Day

College chhuti hone ke baad aaj fir Ajith aur Kajal saath padh rahe the...Aaj dono Anatomy padh rahe the.

Kajal:- Itna depth...Aisa lag raha hai padhte padhte paagal ho jaaungi.

Kajal ne book aur content dekh kar kaha.

Ajith:- Sab padhna jaruri bhi nahi hai...Aur thoda time de kar padhna padega dheere dheere sab aasan ho jaayega.

Kajal:- Sab padhna nahi padega...Kya matlab?

Ajith:- Sirf wo hi padho jo clinically important ho...For eg Muscles ka Nerve supply aur functions padho...Origin and Insertion utna important nahi hai..

Kajal:- Aisa lagta hai bahut accha knowledge hai tumhaare paas.

Ajith:- Thoda thoda hai...1 year loss kiya tha aur iss beech issi me research kiya tha kya kya padhna padega aur kaise?

Fir dono saath me aage padhne lagte hai.

Kajal:- 1 year loss?

Ajith:- Hmm...Scholarship ki intejaar ke liye.


After an hour

Kajal:- Aaj ke liye bas itna hi.

Ajith:- Hmm ok...Aaj ke liye itna kaafi hai.

Fir dono books apne apne bag me rakhte hai.

Ajith:- Agar tum bura na maano to kya ham chai peene chale?

Ajith ne himmat karke pucha.

Kajal:- Jarur...Aur isme bura maane ki kya baat hai?

Ajith:- Nahi...Koi koi maan jaate hai...Issi liye puch liya...Prevention is better than cure.

Itna keh kar Ajith ne ek smile diya.

Kajal:- Tum bhi na...Aise baat kar rahe ho jaise ham abhi bhi anjaan hai...Now we are friends...Itni chhoti baat par naarajgi kaisa?

Kajal ki baat sun kar Ajith ka khushi aur bhi badh gaya...Kajal ne usse apna dost kaha...Pyar ki safar me ek seedhi aur upar chaddh paane me wo kaamyaab ho gaya.

Ajith:- Ek faaidaa to hua...Ye baat to pata chala ki tumhe aage inn chhoti baaton par naarajgi nahi hoga.

Fir dono college ke saamne hi ek tea shop me chale gaye.
Majedaar update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
UPDATE 10

Dono college ke samne wale tea shop me to chale gaye...Lekin waha ka bheed dekh kar dono ko yakin ho gaya aaj shaayad hi wo yaha chaai pee paaye.

Kajal:- Bahut bheed hai yaha to.

Ajith:- Hmm...Thanda bhi kaafi badh gaya hai...Aur shaam ka vakt bhi hai...Kisi aur din pee lenge.

Ajith ne maayus ho kar kaha...Kajal ke saath keemti vakt miss karne wala tha wo.

Kajal:- Kisi aur din kyu? Chalo kisi aur dukaan par.

Kajal ki ye baat sunte hi Ajith ka udd chuka chehre ka rang fir se laut aaya.

Ajith:- Lekin kaha?

Kajal:- Wo to mujhe bhi nahi pata...Tumne bhi dekha nahi hai aas paas chaai ki dukaan?

Ajith:- Ek dekha to hai...Lekin thoda dur hai.

Kajal:- Kitna time lagega?

Ajith:- Auto se 15 minutes.

Kajal:- Ok thik hai...Aao mere saath.

Kajal ne college ki taraf ishaara kar ke kaha.

Ajith:- Kaha?

Kajal:- College...Scooty nikaalna hai...Paidal to bahut hai.

Dono parking tak chale jaate hai...Kajal scooty me baith jaati hai aur Ajith ko bhi baithne ke liye bolti hai.

Ajith khada ho kar hi kuch soch raha tha...Scooty me baithna bhi usse thoda ajeeb lag raha tha.

Kajal:- Kya soch rahe ho...Baitho na?

Ajith bhi abb baith jaata hai.

Abb dono scooty me sawaar ho kar chal padte hai apne manjil chaai ki dukaan par.

Kajal ka dhyan to sirf scooty chalaane me hi tha...Lekin Ajith.

Wo to iss pal aur iss safar ko khul kar mehsus kar raha tha...Baar baar wo saamne mirror se Kajal ka khubsurat chehra ko dekhne ki koshish karta...Kayi baar wo kaamyaab ho jaata to kayi baar hawa se udd rahe Kajal ki ghane aur lambe baal uss ki aankho ko dhak leta...Lekin isme bhi Kajal ki baalo ki khusbu usse aur madhosh karte jaa raha tha.

Wo puri tarah se Kajal me kho chuka tha...Raasta bhi sub-conscious mind se hi bata raha tha...Kajal ke saath ye safar usse bahut accha lag raha tha aur beeta hua har ek pal Kajal uske dil ke gehraai me samaati jaa rahi thi.

Usse aisa lag raha tha jaise ye safar khatm hi naa ho...Lekin afsos...15 minute me hi dono pahunch gaye chaai ki dukaan par.

Kajal:- Aa gaye.

Lekin Ajith ko sunaayi hi nahi diya.

Ajith abhi bhi madhoshi me hi gumm tha.

Kajal:- So gaye kya?

Ajith ki band aankho ko dekh Kajal ne pucha...Iss baar Ajith ne bhi aankhein khola...Aankh kholte hi uske saamne Kajal ka muskuraata hua pyaari si chehra dikh gaya.

Kajal:- Kamaal hai...Scooty me hi soo jaate ho.

Kajal ne hairaani se kaha.

Ajith ne bhi muskuraate hue sir ko haa me hilaa diya...Wo Kajal se ye to keh nahi sakta tha ki wo uske pyar me kho gaya hai...Isme usse ye hi sahi jawaab mila.

Kajal:- Chalo...Garma garam chhai peete hai...Dekhna fir tum kaise fresh ho jaaoge.

Fir dono hi saamne ke chaai ki dukaan me chale jaate hai.

Dono ek table me baith jaate hai...Unke paas waiter ki jagah khud dukaan ki maalik aate hai aur kehte hai.

"Kya baat hai Dr. Sahab...Lagta hai abb yaha ka raasta hi bhul gaye hai?"

Ajith:- Nahi chacha...Abhi abhi college join kiya hai...Iss vajah se thoda busy tha...Abb aage se aata rahunga.

Chacha:- Shukr hai...Warna hame to laga tha ki abb mera ye dukaan kahi aapke haisiyat ke saamne chhota to nahi ho gaya.

Chacha ne muskuraate hue kaha.

Ajith:- Sabse pehle to aap mujhe aap kehna band kijiye...Aur ye kya haisiyat ki baat kar rahe hai aap...Aap ko bas aise hi chacha nahi bulaata hu...Dil se maanta hu iss vajah se...Aur chahe baad me kitna hi bada kyu na ban jaau aap sabhi ke liye chhota hi rahunga.

Aur rahi baat chhai peene ki to ye baat yaad rakhna...Chahe aap ki marji ho ya na ho mai to hamesha aata rahunga chaai peene...Bachpan ki yaadein hai ye sab mera.

Chacha:- Abhi bhi nahi badla tu.

Chacha ne fir se muskura kar kaha...

Ajith:- Aur badlunga bhi nahi.

Chacha:- Jaanta hu...Mai to bas aise hi majaak kar raha tha...Ye bata ye saath me kaun hai.

Chacha ne Kajal ki taraf ishaara kar ke kaha.

Ajith:- Kajal...Mera dost...Aaj saath me chaai peene aaye hai.

Kajal ne Chacha ko namaste kiya aur apna chhota sa intro diya.

Fir...

Chacha:- Bas kuch der aur intejaar karo...Ek garma garam special chhai bana kar laata hu tum dono ke liye.

Kajal:- Bahut acchi jaan pehchaan hai?

Ajith:- Ha bachpan se hi yaha aata hu chhai peene...Bagal me hi rehta hu.

Ajith ne last ke sentence bahut mushkil se kaha...Usse apna pehchaan bataane me thoda dar sa lag raha tha.

Kajal:- Yahi bagal me...Lets go...Tumhaara ghar bhi dekh leti hu aur tumhaare parents se mil bhi lungi.

Kajal ne thoda excited ho kar kaha.

Ajith ko jis baat ka dar tha wo hi hua...Itna jaldi usse apna asli pehchaan batana padega ye usne socha nahi tha.

Ajith:- Pehle chhai pee lete hai uske baad.

Ajith ne baat ko taalne ki koshish kiya.

Fir kuch hi der me chhai bhi aa gaya.

Kajal:- Wow...Bahut hi lajawaab hai.

Kajal ki chehre me jo khushi dikh raha tha wo bata raha tha usse chhai kitna pasand aaya hai.

Aur Ajith Kajal ka issi adaa me hi to fidaa tha...Chhoti si baato par khush ho jaana...Uska muskaan jab bhi dekhta wo bhi muskuraaye bina nahi reh paata.

Ajith ne bhi ek chuski liya chhai ka.

Ajith:- Chacha.

Chacha:- Kya hua beta?

Chacha jaldi se apna kaam chhod kar aa gaye.

Ajith:- Ye sab kya hai chacha...Itna kam sakkhar (sugar)...Aap to jaante hai na mujhe chhai me sakkhar kitna pasand hai.

Chacha:- Sambhal jaa abb...Kahi Doctor banne se pehle hi Diabetes ka marij na ban jaaye tu...Doctor banne jaa raha hai...Apna sharir ka to kuch khayal kar.

Ajith:- Kuch nahi hoga Chacha...Aadat ho gaya hai abb to...Aur Chacha maine pehle bhi keh diya hai mai khud ko nahi badalna chaahta.

Jaisa tha waisa hi rehna chaahta hu...Agar chhoti chhoti baato me badalne lag gaya to pata nahi kya se kya ban jaaunga aur dar hai ki mai khud ko hi na kho du.

Mai apne liye nahi apno ke liye jeena chaahta hu jinki vajah se aaj mai yaha hu.

Ajith ki baat sun kar Chacha to kuch kahe bina hi muskuraate hue chale gaye...Wo to pehle se hi jaante thhe ki Ajith kaisa hai aur issi me khush thhe ki Ajith me aaj bhi koi barlaaw nahi aaya.

Lekin dusri taraf Kajal bhi Ajith ke baare me nayi nayi baatein jaan rahi thi...Kuch hi din me wo bhi Ajith se bahut impressed ho gayi thi.

At counter

Ajith:- Kitna hua Chacha?

Chacha:- Aaj tum se koi paisa nahi lunga.

Ajith:- Kyu? Abb achanak se aap ko kya hua?

Chacha:- Aaj meri taraf se party samajh le.

Ajith:- Kaisa party?

Chacha:- Itni mehnat se tune college me admission karwaya...Tera mehnat aur safalta ke liye hai ye party.

Ajith:- Lekin chacha paisa to...

Ajith ne sirf itna hi kaha tha ki...

Chacha:- Ek baar keh diya na aaj koi paisa nahi lunga...Aur abb mai kuch nahi sununga.

Isa baar Ajith ne bhi kuch nahi kaha.

Chacha:- Maan jaa...Mujhe khushi hoga.

Iss baar Chacha ne bahut pyar se kaha...Aur Ajith bhi maan gaya.


Chaai ki dukaan se nikalne ke baad.

Kajal:- Sach me bahut laajawah chhai pilaaya tumne.

Kajal abhi bhi chhai ki duniya se baahar nahi nikal paayi thi.

Ajith:- Ye to Chacha ki haath ka jaadu hai.

Kajal:- Ha sach me...Kya ham kabhi kabhi yaha aa sakte hai chhai peene.

Ajith:- Jarur.

Ajith bhi khus tha ki Kajal ko chhai pasand aaya aur baad me yaha aur saath vakt bitaane ko milega.

Kajal:- So now...Lets go.

Ajith:- Kaha?

Kajal:- Tumhaara ghar.

Ajith ko jis baat ka dar tha wo hi hua...Wo ummeed kar raha tha ki kaash Kajal ghar wali baat bhul jaaye lekin aisa nahi hua.

Kajal:- Chalo na...Kya soch rahe ho?

Kajal ne dosti ke hak ke saath kaha.

Ajith:- Aaj nahi...Fir kabhi.

Kajal:- Kyu?

Ajith:- Aaj mujhe baahar jaana hai abhi.

Kajal:- To thik hai...Ghar dikhaa fo...Mai khud chali jaaungi.

Abb Ajith buri tarah se fass gaya...Usse kuch bhi samajh me nahi aa raha tha.

Ajith:- Wo kya hai ki...Wo...

Ajith bas haklaata hi reh gaya.

Kajal ko bhi kuch samajh me nahi aa raha tha ki achanak Ajith ko kya ho gaya.

Kajal:- Are you fine?

Ajith:- Yyes yes...I i am ffine.

Ajith ne bhi socha...Ek na ek din to sab bataana hi hoga...To fir aaj hi kyu nahi...Aur apna asli pehchaan bataane me bhi kaisa dar?

Aur wo khud bhi to yahi chaahta tha ki koi ladki usse pyar kare aur naa ki usme uska haisiyat dekhe.

Usne socha...Agar Kajal usse pyar karegi to usko uska asli haal me apnana hoga.

Iss baar himmat kar ke Ajith ne apne ungli se saamne Anaath Aashram ki aur ishaara kar diya...Wo nahi chaahta tha ki uska pyar ka suruwaat jhuth se ho.

Jab Kajal ne Ajith ki ungliyo ka peecha kiya aur building ke board ko padha tab wo bilkul hi hairaan ho gayi...Usse na hi kuch samajh me aa raha tha aur naa hi apne aankho me viswaas ho raha tha.

Abb wo Ajith ki taraf dekhne lagi...Ajith ka jhuka hua chehra uska shak ko yakin me badal raha tha.
Jaandaar update hai mitr.
 
Top