UPDATE 30
Ajith:- Aap yaha?
Bahut der ki khaamoshi ke baad Ajith ne hi baat suru kiya.
Ajith ne abb fir se khud ko majbut kar liya...Kisi bhi tarah apne jhut ko sach dikhana tha...Wo jaanta tha ye itna aashan nahi hoga fir bhi usse ye karna hi tha.
Abb uska chehra bilkul bhaawheen (emotionless) ho gaya.
K. Dad:- Tumse baat karni hai.
Ajith ne bas sir ko haa me hilaaya.
K. Dad:- Tumhare aur Kajal ke bich koi problem hua hai?
Ajith:- Kajal ne nahi bataya iss baare me aapko?
K. Dad:- Bataya to hai...Lekin mai tumse bhi baat karna chahta hu.
Ajith:- Yahi kahunga Kajal ne jo bhi kaha hai sach kaha hai.
K. Dad:- Lekin kyu? Aakhir aisa kya ho gaya ki tum iss tarah se badal gaye?
Ajith:- Baat simple hai...Abb mujhe Kajal me koi interest nahi hai.
K. Dad:- Lekin kyu? Kajal to abhi bhi tumse bahut pyar karti hai.
Ajith:- Lekin abb mai sirf paiso se hi pyar karta hu.
Ajith ka ye jawaab Kajal ke Papa ko bahut hairaan kar raha tha...Aaj wo uss Ajith ko yaad kar rahe the jisse pehli baar mile the...Kitna badlaaw aa gaya tha Ajith me...Uske soch me...Uske character me.
K. Dad:- Abb pyar se jyada tumhaare liye paisa ho gaya?
Ajith ne sir ko haa me hilaa diya ek muskaan ke saath...Kajal ke Papa ko Ajith ki iss muskaan par bahut hi gussa aa raha tha.
K. Dad:- Agar baat paiso ka hi hota to tumhara koi aukaat hi nahi Kajal ke saamne...Maine to iss rishta ko iss liye manjuri diya tha kyu ki mujhe tumhaara character aur soch accha laga...Lekin tum bahut hi ghatiya nikle...Bahut hi ghatiya tha Kajal ka choice.
Kajal ke Papa ka gussa badhta hi jaa raha tha.
Ajith:- Bechari ko kyu dosh de rahe hai...Galti to aapne bhi kam nahi kiya hai...Aapka bhi choice ghatiya hai jo mujhe damad banane jaa rahe thhe.
Ajith ne hanste hue kaha...Kajal ke Papa Ajith ko gussa se dekhte rahe.
K. Dad:- Accha hi hua tumhaara asliyat pata chal gaya...Yaad rakhna ek din bahut pacchtaaoge tum aur uss din tumhe mai ye ehsas karaunga tumhaara aukaat Kajal ke saamne kuch nahi hai.
Ajith:- Kabhi aisa vakt nahi aayega...Fikar mat kijiye...Kajal se bhi jyada paise wali ladki pataunga.
Kajal ke Papa se abb raha nahi jaa raha tha.
K. Dad:- Kuch ethics aur moral bhi nahi hai tum me? Bahut hi ghatiya doctor aur insaan ho tum.
Ajith:- Wo to hu.
Ajith ne muskura kar kaha jaise ye bahut hi garv ki baat hai...Aur yahi muskaan Kajal ke Papa ke jakhm me namak ka kaam kar raha tha.
K. Dad:- Dil kar raha hai tumhe jaan se maar du.
Ajith:- Aap bhi ghatiya doctor ke list me mujhse kam nahi hai...Doctor ka kaam hota hai unsaan ko bachana aur aap mujhe maarne ki baat kar rahe hai.
Bahut ghatiya soch, ethics aur moral hai aap ka bhi...Aap bhi doctor kehalwane ke laayak nahi hai.
Ajith ne hanste hue kaha jaise wo Kajal ki Papa ka majaak bana raha hai.
K. Dad:- You.
Itna keh kar Kajal ke Papa ne Ajith ka collar pakad liya...Gussa abb unke kaabu me nahi tha.
Ajith ki taraf dekha unhone...Ajith apna daant dikha raha tha unhe.
Fir unhone Ajith ka collar chhod diya.
K. Dad:- Kicchad par patthar fenkne se khud par hi ucchalta hai.
Ajith:- Bahut jaldi samajh gaye.
Iss baar unhone koi reaction nahi diya...Wo acche se samajh gaye thhe Ajith ko...Pata chal gaya tha unhe Ajith se baat karne ka aur koi faaidaa nahi hai.
Sach me bahut badi bhool ho gaya tha unse aur Kajal se Ajith ko chunne me.
Gussa to bahut aa raha tha unhe Ajith par lekin unhone kuch nahi diya...Jaante the wo aise ghatiya logo ko...Unka soch hi unka dushman hai...Kabhi na kabhi jindagi me itne buri tarah haarenge ki tab unhe apni galti ka ehsas hoga...Aur unka uss vakt jo bebsi hoga wohi unka sabse bada saja hoga.
Unhone Ajith ko uske haal par chhod diya...Abb sirf ek hi dar tha...Kajal.
Abb unhe apne laadli ko samhaalna tha...Jaante the itni aasan bhi nahi hoga ye...Lekin unhe yakin tha wo kisi tarah apne Kajal ko sambhaal lenge...Fir se usse apne hansti khelti pari beti ke roop me jarur dekhenge.
Unhone Ajith ko nafrat bhari nighaawo se dekha aur waha se chale gaye.
Unke jaane ke baad Ajith se raha nahi gaya...Sirf wo hi jaanta tha aankho me aansu ko chhupa kar kaise hansa aur muskura jaata hai...Thak gaya tha wo har baar naatak karte karte.
Kajal ke Papa ke jaane ke baad ek baar fir dil khol kar roya...Jab rone ke liye aansu nahi bacha tab muskura kar khud se hi kaha.
Ajith:- Insaan aur Doctor bhale hi ghatiya hu lekin actor abhi bhi bahut accha hu.
After 2 days
Internship complete hone ke baad sabhi students ne ek party rakha tha...Ajith aur Kajal dono hi jaana nahi chaahte the...Lekin Vijay aur Preeti dono ko jabardasti le gaye.
Ajith bhi chala gaya ye soch kar ki abb ye din uske jindagi me kabhi aayega ya nahi...Kajal ko aakhri baar dekh lega...Aur ussi yaad me apna saara jindagi jee lega.
Jab dono ka aankhein ek dusre se mila tab Kajal ki aankho me nafrat tha aur Ajith ki hontho me muskaan. (Baahar se chhidhaane wala aur andar se saccha.)
Party me sabhi dost khub naach rahe thhe aur gaa rahe the...Mastiyan kar rahe the...Apna padhaai ka experience share kar rahe the...Sabhi khul kar jee rahe the iss din ko.
Aakhir jeeye bhi kyu na...6 saal ki mehnat ke baad doctor bane thhe...6 saal ki kadi mehnat, tapasya, lagan, tyag aur balidaan ke baad aaj ek doctor bane thhe...Inn 6 saalon me sabhi ka ek dusre ke saath ek alag hi bandhan band chuka tha...Dosti ka bandhan...Sukh dukh, hansi, narajgi, gussa, pareshaani, fun, frustration jaise sabhi emotions ek dusre ke saath share kiya tha.
Aaj bahut hi khaas din tha sabhi ki jindagi me...Aaj sabhi apna dil se padhaai ka bhadaas nikaal kar jee rahe the aaj ka duniya...Lekin saath me ek dukh bhi tha...Aaj ke baad sab bicchad jaayenge ek dusre se.
Khair, iss baat ko kuch der ke liye side me rakh kar sabhi iss vakt ko jee rahe the.
4 log ko chhod kar...Ajith...Uska apna hi vajah tha.
Vijay...Bechara Ajith se keh nahi paa raha tha aur naa hi dikha paa raha tha...Lekin Ajith ke liye wo bhi bahut pareshaan tha aur dar raha tha agle hi pal kuch galat na ho jaaye.
Kajal...Toota hua dil itni jaldi nahi sambhalta...Ajith se dhokha milne ke baad jaise uski saari khushiyan ne bhi usse dhokha de diya.
Preeti:- Apne dono dost ki iss haalat par wo bhi bahut pareshaan thi.
Khair, ye party to chalti rahi.
Aur party ke bich me hi kuch dosto ne Ajith ko request kiya ek gaana gaane ke liye.
Ajith ne mana to bahut kiya par kar nahi paaya...Aaj ka din dosto ke saamne uska kuch nahi chala.
Haar kar Ajith ko stage par jaana hi pada.
Haath me mic liya...Najar naa chaahte hue bhi Kajal par chala gaya aur honth apne aap chalne laga.
Main rahoon ya na rahoon
Tum mujh mein kahin baaki rehna
Ajith ke munh se itna hi nikla tha ki Kajal ka najar bhi Ajith par pad gaya...Ajith ko apne taraf dekhta dekh Kajal ko bahut gussa aa raha tha.
Lekin wo kuch na boli.
Mujhe neend aaye jo aakhiri
Tum khwabon mein aate rehna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Main rahoon ya na rahoon
Tum mujhme kahin baaki rehna
Kisi roz baarish jo aaye
Samajh lena boondon mein main hoon
Subah dhoop tumko sataaye
Samajh lena kirno mein main hoon
Kisi roz baarish jo aaye
Samajh lena boondon mein main hoon
Subah dhoop tumko sataaye
Samajh lena kirno mein main hoon
Kuch kahun ya na kahun
Tum mujhko sata sunte rehna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Hawaaon mein lipta hua main
Guzar jaaunga tumko chhu ke
Agar mann ho to rok lena
Thehar jaaunga in labon pe
Hawaaon mein lipta hua main
Guzar jaaunga tumko chhu ke
Agar mann ho to rok lena
Thehar jaaunga in labon pe
Main dikhu ya na dikhu
Tum mujhko mehsoos karna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Hmm.
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Bas itna hai tumse kehna
Main rahun ya na rahun
Tum mujh mein kahin baaki rehna.
Ajith ne pura gaana bina ruke Kajal ki aankho me dekh kar gaaya...Gaane ki har pal ko usne jiya...Aakhir Kajal ko aakhiri baar dekh raha tha wo...Ye mauka kaise apne haath se jaane deta.
Gaate vakt hontho me muskaan tha...Bas ek hi gaana me Ajith ko Kajal ke saath bitaaye har lamha yaad aa gaya.
Kajal bhi dusri taraf Ajith ka iss gaana sun kar tadap uthi...Pehle hamesha wo Ajith ko iss gaane ke liye chhidhaya karti thi ki wo dhang se gaa nahi paata.
Lekin aaj baat kuch aur hi tha...Ajith ki gaana me uska dard tha...Aaj dil se gaya tha usne...Aur gaata bhi kyu na...Uska haal hi aisa tha...Aaj Ajith ki aawaj me ek haara hua aashiq najar aa raha tha...Ajith ka dard dekh Kajal bhi tadap uthi.
Lekin agle pal usse yaad aaya fir se apne dil ko wo tutne nahi de sakti...Abhi bhi Ajith ka dhokha usse rula rahi thi aur aise me fir se Ajith ke paas jaana.
Iss baar himmat nahi kar paayi...Usne bhi iss kadhwa sach ko maan liya ki Ajith aur wo alag ho gaye...Ajith ne usse dhokha diya hai.
Jab Ajith ne gaana khatm kiya bahut taaliyan baja...Lekin taali me itna dam nahi tha uska muskaan wapas lauta sake...Bhale hi kuch dosto ka taarif jeeta tha usne iss gaane se lekin jindagi haar chuka tha wo.
Khair, Ajith ne jee bhar ke Kajal ko dekha...Shaayad fir kabhi mauka mile ya na mile...Aaj iss aakhiri baar wo Kajal ka har haseen yaad apne saath le jaana chahta tha.
Lag Ja Gale Ki Phir Ye Hasin Raat Ho Na Ho
Shaayad Phir Is Janam Men Mulaaqaat Ho Na Ho
Lag Jaa Gale ...
Ham Ko Mili Hain Aaj, Ye Ghadiyaan Nasib Se
Ji Bhar Ke Dekh Lijiye Ham Ko Karib Se
Phir Aap Ke Nasib Men Ye Baat Ho Na Ho
Shaayad Phir Is Janam Men Mulaaqaat Ho Na Ho
Lag Jaa Gale ...
Paas Aaiye Ki Ham Nahin Aaenge Baar-Baar
Baahen Gale Men Daal Ke Ham Ro Le Zaar-Zaar
Aankhon Se Phir Ye Pyaar Ki Barasaat Ho Na Ho
Shaayad Phir Is Janam Men Mulaaqaat Ho Na Ho
Aise me Ajith ko yahi gaana yaad aa raha tha...Lekin apni bebsi par usse fir hansi aa raha tha...Kajal ko gale lagaane ka hak to bahut pehle kho chuka tha wo.
Kajal bhi party me Ajith se dur jaane ka har koshish karti rahi.
Vijay:- Tune piya hai?
Ajith:- Ha thoda.
Ajith ne muskuraate hue kaha...Ek dard bhari muskaan.
Vijay:- Yaar tu bhi na...Aakhir kyu kar raha hai aisa?
Ajith:- Mat pucch yaar...Mai bata nahi sakta aur tu sunn nahi sakta.
Ajith ki aankho se aansu aa gaya...Aaj wo apna sab kuch haar chuka tha...Vijay aansu dekh paata usse pehle hi Ajith ne ponch liya.
Vijay:- Ye kya kar raha hai?
Ajith:- Packing.
Vijay:- Kyu?
Ajith:- Jaa raha hu.
Vijay:- Kaha?
Ajith:- Bahut dur...Itna dur ki mai apna astitwa hi bhul jaau...Itna dur ki mai khud ko hi na dhund paau.
Ajith ki har baat Vijay ko hairaan kar raha tha.
Vijay:- Lekin itna raat me aur achanak?
Ajith:- Jindagi me bahut kuch achanak hi hota hai...Aur kayi baar jindagi hi badal jaata hai.
Vijay:- Mere samajh me kuch nahi aa raha hai.
Ajith:- Samajhna bhi mat.
Vijay:- Kuch hua hai kya? aisi achanak jaane ki vajah?
Ajith:- Intenship complete...Doctor bhi ban gaya...Abb mera yaha kya kaam...Jaa raha hu apni duniya me.
Vijay:- Tera duniya?
Ajith:- Hmm...Mera duniya...Jaha sirf mai hi rahu...Aur koi nahi.
Vijay:- Koi dost?
Ajith:- Nahi...Waha koi dost nahi.
Ajith ki baat sunte hi Vijay ko yakin ho gaya jarur kuch badi vajah hai.
Har baar ki tarah iss baar bhi usne Ajith ka jakhm na khodne ka faisla liya.
Vijay:- Teri bahut yaad aayega yaar.
Vijay ki iss baat par Ajith ki hontho me muskaan aa gaya.
Vijay:- Agar kabhi meri jarurat pade to be jhijhak yaad kar lena...Har vakt teri sewa me haajir ho jaaunga.
Ajith:- Jarur...Aur mujhe bhi tera bahut yaad aayega...Tu aur Dhruva hi to hai mere jindagi ke kuch dost.
Itna keh kar dono dost gale lag gaye.
Koi alag hona nahi chaahta tha...Lekin na chaahte hue bhi Ajith ko alag hona hi pada...Aakhir jaane ka vakt jo aa gaya tha.
Aur fir Ajith waha se chala gaya...Ek baar bhi pucche mud kar nahi dekha...Bahut mushkil se apne iraada ko majbut banaya tha...Tootne ki himmat nahi tha.
Vijay ke roop me Ajith ne apna aakhiri dost aur shubh chintak bhi kho diya.
Aur nikal gaya wo iss seher se apni jindagi ka bachpan se le kar abb tak ka sabhi haseen aur kadhwi yaadein apne saath le kar...Kuch aisi yaadein bhi tha iss seher me jo wo kabhi bhulna nahi chaahta tha aur alag hona bhi nahi chaahta tha...Lekin majburi tha...Usse alag hona hi pada.
Aur wo nikal pada aisi safar par jiska koi manjil nahi tha...Naa hi kuch ummeed aur naa hi kuch himmat.
After 7 months
Kajal's Wedding
...
...
...