Ko To Rok Lo {Update - 132}
____________________________
Aman bola “lekin us ladki ko ye sab baten kaise pata chal gayi.”
Nisha boli “wo ladki jab blood lene waha pahuchi to, use blood nahi milne par usne waha hangama khada kar diya tha. Bad me use waha kaam karne wale ladke ne bata diya ki, uske bhai ko diya jaane wala blood kisi amir aadami ne apne paiso ke bal par kharid liya hai.”
Aman bola “lekin is se ye kaha sabit hota hai ki, ye sab karne wala ajji hi hai.”
Nisha boli “sabit to kuch nahi hota. Lekin is hadse ke bad us ladki ke man me amir logon ke liye sirf nafrat hai aur jis amir aadmi ne apni daulat ke bal par uske bhai ki jaan bachane wala blood kharida tha. Wo use apne bhai ka katil manti hai.”
Abhi nisha apni baat puri bhi nahi kar payi thi ki, tabhi use kapkapati huyi aawaj me sunayi diya. “mere bhaiya katil nahi hai.”
Ab aage ki kahani punnu ki jubani….
Mai ajay ki baton ko sunne me aur ajay apni baat ko batane me khoya hua tha. Is se pahle ki ajay ye bata pata ki, use katil na manne wali aawaj kiski thi. Hum dono ke hi kaano me ek aawaj goonj gayi. “tum ek katil ho.”
Aawaj sunte hi hum dono apni apni jagah par khade ho gaye aur pichhe palat kar dekha to, pichhe shikha aur nikki khadi thi. Wo Dono shayad humare liye coffee lekar aayi thi.
Nikki ke hath me 2 coffee thi aur shikha ke hathon ki 2 coffee jamin par bikhri padi thi. Ye sab itna achanak hua tha ki, mujhe kuch bhi samajh nahi aa raha tha ki, ye sab kya ho raha hai.
Lekin shayad ajji ki samajh me sab kuch aa chuka tha. Isliye shikha par najar padte hi usne, kisi gunahgaar ki tarah apna sar jhuka liya. Wahi shilkha ki aankhon se aansu bahe ja rahe the.
Wo ajji ko aisi najron se dekh rahi thi, jaise ajji ne uska sab kuch loot liya ho. Wo rote huye kuch bolne ki koshish kar rahi thi. Lekin uske muh se bol hi nahi nikal rahe the. Uske chehre par dard saaf najar aa raha tha.
Jab us se kuch bolte nahi bana to, wo bebas si hokar, wapas jaane ke liye palat gayi. Nikki aawak aur sharminda si dikh rahi thi. Jaise is sab ke liye wo khud ko doshi maan rahi ho. Lekin jab usne shikha ko aise jate dekha to, usne shikha ko rokte huye kaha.
Nikki boli “didi plz, ruk jaiye. Ajji bhaiya ki puri baat to sun lijiye.”
Nikki ki is baat se shikha ke sabar ka bandh toot gaya aur usne bina pichhe dekhe, rote huye kaha.
Shikha boli “kya sunu, kiski baat sunu. Jis insan se mai duniya me sabse jyada nafrat karti hu, uski baat sunu ya jis insan se mai duniya me sabse jyada…..”
Magar shayad apni puri baat kahne ki takat shikha me nahi thi. Wo apni baat ko adhura hi chhod kar, rote huye andar bhag gayi. Sab use jate huye dekhne ke siwa kuch na kar sake. Thodi der ke liye waha sannata chha gaya. Fir nikki ne is sannate ko todte huye ajay se kaha.
Nikki boli “sorry bhaiya, ye sab meri vajah se hua. Na mai aap logon ko coffee dene ki baat karti aur na hi hum log yaha aaye hote.”
Nikki ki baat sunkar, ajay ne ek thandi si saans li aur fir ek feeki si muskan apne chehre par late huye nikki se kaha.
Ajay bola “tujhe kisi baat ke liye sorry bolne ki jarurat nahi hai. Shayad mai kabhi shikha se ye baat kahne ki himmat nahi kar pata. Magar aaj isi bahane kam se kam shikha ko ye sachchai to pata chal gayi ki, wo jis insan se duniya me sabse jyada nafrat karti hai, wo insan mai hi hu.”
Ajay ki is baat me ek kadwi sachchai thi aur uski muskan me ek dard chhupa tha. Lekin us se bhi jyada dard is samay mujhe shikha ki bebasi me najar aa raha tha. Jise mehsus karte hi meri aankhon me nami chha gayi.
Ab ye baat to puri tarah se saaf ho chuki thi ki, ajay jis ladki se pyar karta hai, wo koi aur nahi shikha hi hai. Lekin shikha ki adhuri rah gayi baat se ye bhi samajh me aa raha tha ki, wo bhi ajay ko pyar karti hai. Maine apni aankhon me aayi nami ko pochhte huye ajay se kaha.
Mai bola “kaun sahi hai aur kaun galat hai. Iska faisla kar pana bahut mushkil hai. Ye bhi sach hai ki shikha didi jis se nafrat karti hain, wo tum ho. Lekin unki adhuri baat yakinan ye hi thi ki, wo duniya me sabse jyada pyar bhi tumse hi karti hai. Shayad yahi vajah thi ki, aaj tumhari sachchai janne ke bad, wo pyar aur nafrat ke bich fasi, bebasi ke aansu bahane ke siwa kuch na kar saki.”
Meri baat sunkar, ajay ne meri taraf dekha aur muskurane laga. Aise haalat me uska is tarah se muskurana mujhe kuch ajib laga aur mai usko hairani se dekhne laga. Mujhe hairani me pada dekh ajay ne kaha.
Ajay bola “tum thik kah rahe ho. Uske mujh par koi gussa na kar pane ki vajah ye hi thi. Lekin mujhe ek baat batao. Tumne usko didi kyo kaha. Wo to tumhari bhabhi lagi na.”
Ajay ki is baat se mujhe uske muskurane ki vajah samajh me aa gayi aur maine uski is baat ka jabab dete huye kaha.
Mai bola “tum jante ho, mai unko kitna pasand karta hu aur ab jab unke baare me itna kuch jana to, mere muh se khud hi unke liye didi nikal gaya.”
Ajay bola “tum dono hi ek se ho. Usko bhi jab maine tumhare aur raj ke bich huyi baton ka bataya to, wo bhi ye hi bol rahi thi ki, tum uske liye chhote bhai jaise ho. Yahi vajah thi ki aaj jab usne tumhare ghar aakar khana khane ki baat suni to, bade pyar se tumhare liye khana banaya tha aur raat ko bhi tumhe khane par bulane ke liye bol rahi thi.”
Ajay ki baat ko sunkar mujhe hairani huyi. Lekin uski is baat se ye baat bhi saaf ho chuki thi ki ajay, shikha ke ghar me hi rahta hai. Ajay ke baare me itna sab kuch janne ke bad bhi, mujhe ye hi lag raha tha ki, abhi uske baare me janne ke liye bahut kuch baki hai. Lekin abhi ye sab sochne ka samay nahi tha. Isliye maine ajay se kaha.
Mai bola “wo bahut jyada naraj hai. Ye sab jankar unhe bahut dukh hua hai. Hume unko manane ki koshish karna chahiye.”
Meri baat sunkar, ajay ne kuch sochte huye kaha.
Ajay bola “tumhara kahna sahi hai. Magar mujhe nahi lagta ki, ab wo meri koi baat sunegi. Abhi behtar ye hi hoga ki tum dono uske pas jakar uska dard kuch kam karo. Bad me dekhte hai ki, us se kaise baat ki jaye.”
Mujhe aur nikki ko bhi ajay ki ye baat sahi lagi. Nikki ne mujhe andar chalne ka ishara kiya aur mai uske sath hospital ke andar aa gaya. Hum andar aakar shikha ke cabin me pahuche to, wo apna chehra chhupa kar abhi bhi ro rahi thi.
Humhare aane ki aahat pate hi usne apna sar utha kar dekha aur hume dekhte hi apne aansu pochhne lagi. Nikki ne us se ajay ke baare me baat karne ki koshish ki to, usne nikki ki baat ko bich me hi katte huye kaha.
Shikha boli “dekho nikki, mai us insan ke baare me kisi se koi baat karna nahi chahti. Jis insan se mai duniya me sabse jyada nafrat karti hu.”
Shikha ki ye baat sunkar, mujhe us se kuch kahne me dar bhi lag raha tha aur kabhi koi baat na karne ki vajah se kuch atpata bhi lag raha tha. Lekin usko lekar mere dil me jo apnepan ki bhavna thi. Us bhavna ki vajah se maine himmat karte huye us se kaha.
Mai bola “didi, mera naam punit hai. Mai priya ka friend hu.”
Meri is baat ka shikha par koi asar nahi hua aur usne bina meri taraf dekhe hi, chidte huye kaha.
Shikha boli “to mai kya karu. Priya ke friend ho to, priya ke pas jao. Mujhe kyo bata rahe ho.”
Mujhe shikha se aisi baat ki ummid nahi thi aur na hi ye baat shikha ke swabhav se mel khati thi. Isliye ek pal ke liye uski is baat ne jaha meri bolti band kar di. Wahi nikki ka chehra bhi utar gaya.
Wo shikha se kuch bolne hi wali thi ki, maine use chup rahne ka ishara kiya. Mai shikha ke dil ka haal janta tha. Isliye uski baat ka bura maane bina, fir us se baat karne ki koshish karte huye kaha.
Mai bola “didi, maine kya kiya. Mujhse aapka rona nahi dekha gaya tha. Bas isliye aapke pas aa gaya tha. Lekin yadi aapko mera aana bura laga hai to, mai abhi yaha se chala jata hu.”
Itna kah kar, mai wapas jaane ke liye mud gaya. Lekin shayad shikha ko mera is tarah uske pas se udas jana acha nahi laga. Usne rote rote apna sar utha kar mujhe dekhte huye kaha.
Shikha boli “tumako meri itni fikar isliye ho rahi hai na. Kyoki tum unke friend ho.”
Shikha ki is baat ko sunkar, mujhe aehsas hua ki, itna sab kuch hone ke bad bhi, shikha ab bhi ajay ko ijjat dekar hi baat kar rahi hai. Jiska matlab saaf tha ki, uske dil me ajay ke liye nafrat se jyada pyar hai.
Shikha ne mujhse ye sawal karke, mujhe baat karne ka ek mauka de diya tha. Ab ye mere upar tha ki, mai us se kitni der baat kar sakta hu. Maine usko uski is baat ka jabab dete huye kaha.
Mai bola “didi, aapka aisa sochna sahi nahi hai. Mujhe abhi aapko rote dekh kar ye baat pata chali ki, ajji jis ladki ko pyar karta hai, wo ladki aap ho. Jabki aapke liye mere dil me ijjat to suru se hi hai aur isi vajah se mujhe aapki fikar hai.”
Shikha ko shayad meri is baat ka viswas ho gaya tha ya fir is samay wo mujhse koi bahas nahi karna chahti thi. Isliye iske bad usne mujhse is baat ke liye koi safai nahi mangi aur rote huye hi kaha.
Shikha boli “meri fikar mat karo aur mujhe mere haal par chhod do. Tum log yaha se jao aur apne dost se bhi kah do ki, ab mere ghar, meri jindgi se hamesha hamesha ke liye chala jaye.”
Itna bol kar wo, sar jhuka kar fir se rone lagi. Shikha ki aakhiri baat sunkar, mai bhi dar gaya. Lekin abhi sabse jaruri shikha ko sambhalna tha. Mai use shant karane ke liye kuch sochne laga.
Tabhi mujhe shikha ka rona rokne ka ek tarika samajh me aaya. Maine nikki se kaan me apni baat kahi aur wo priya ke pas jaane ki bol kar chali gayi. Nikki ke jaane ke bad maine shikha se kaha.
Mai bola “didi, plz rona band kijiye.”
Shikha boli “maine kaha na, tum jao yaha se, mujhe akela chhod do.”
Abhi shikha itna hi bol payi thi ki, tabhi nikki bhagti huyi aayi aur shikha se kaha.
Nikki boli “didi, priya ki tabiyat sahi nahi lag rahi. Use ghabrahat si ho rahi hai.”
Nikki ki baat sunte hi shikha ne jaldi se apne chehre par hath fera aur uth kar priya ke kamre ki taraf bad gayi. Uske pichhe pichhe hum dono bhi chalne lage. Hum priya ke kamre me pahuche aur shikha uske rakt ka dabaw (Blood pressure) dekhne lagi.
Udhar priya ne mujhe dekh kar aankh maari aur fir apna blood pressure dekh rahi shikha se kaha.
Priya boli “didi, mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai.”
Priya ko ghabrate dekh kar, shikha ne use samjhate huye kaha.
Shikha boli “ghabrao mat priya. Tumhe kuch nahi hua hai. Tumhara blood pressure bhi sahi hai.”
Priya boli “didi mujhe bahut dar lag raha hai. Aap kahi mat jaiye, mere pas hi rahiye.”
Shikha boli “daro mat, mai kahi nahi ja rahi. Mai tumhare pas hi hu.”
Ye kah kar shikha priya ke pas hi baith gayi aur priya ka dil bahlane ki koshish karne lagi. Meri shikha ka dhyan batane ki chaal to kamyab ho gayi thi. Maine nikki ko unke sath hi rahne ko kaha aur fir mai bahar ajay ke pas aa gaya.
Ajay bahar ab bhi pareshani ki haalat me yaha waha tahal raha tha. Maine use andar ki saari baten batayi to, usne rahat ki saans li. Lekin shikha ki ghar chhodne wali baat sunkar wo kuch soch me pad gaya.
Mujhe bhi samajh me nahi aa raha tha ki, ab aisi haalat me use kya karna chahiye. Jab meri kuch samajh me nahi aaya to, maine us se hi pucha.
Mai bola “ab tumne aage kya karne ka socha hai.”
Meri baat ka ajay ne sidha sa jabab dete huye kaha.
Ajay bola “isme sochna kya hai. Ghar uska hai, jindagi uski hai. Wo yadi chahti hai ki, mai uske ghar se chala jau to, mai chala jauga.”
Ajay ka ye faisla kisi bhi tarah se galat nahi tha. Lekin ajay ke is faisle se mujhe bahut dukh ho raha tha. Shayad ajay ko bhi meri is haalat ka aehsas ho gaya tha aur usne mujhse kaha.
Ajay bola “tum is baat ko lekar dukhi kyo hote ho. Maine uske ghar se chale jaane ka faisla kiya hai. Lekin abhi haar nahi maani hai. Usko manane ka koi na koi rasta to mil hi jayega.”
Ajay ki is baat se mujhe kuch tasalli huyi. Maine us se uncle ke pas se hokar aane ki baat ki aur fir mai upar chala gaya. Uncle ke pas se aane ke bad maine keerti se so jaane ko kaha to, usne kal ajay ke ghar jaane par call karne ko kah kar call rakh diya.
Iske bad mai ajay ke sath hi raha. Bich bich me mai uncle ke pas jakar unhe dekh aata tha. Is bich mai do teen baar priya ke pas bhi gaya. Wo shikha ko apni baton me tab tak ulajhaye rakhi, jab tak ki subah ka 6 nahi baj gaya aur shikha ka marijon ko dekhne ka samay nahi ho gaya.
Subah 6 baje ke pahle hi maine mehul ko call laga kar utha diya tha aur use 7 baje ke pahle hospital aane ka kah diya tha. Aisa maine isliye kiya tha, taki mai bhi ajay ke sath shikha ke ghar ja saku.
Mai ajay ke sath baitha mehul ke aane ka intejar kar raha tha aur fir 6:45 par mehul aa gaya. Mujhse thodi bahut baat karke, wo upar uncle ke pas chala gaya. Uske jaane ke bad maine ajay se kaha.
Mai bola “mujhe lagta hai ki, aaj shikha didi tumhare sath ghar nahi jayegi.”
Ajay bola “mujhe bhi yahi lag raha hai. Lekin mujhe uska intejar to karna hi padega.”
Ajay ki baat sunkar, hum shikha ke aane ka intejar karne lage. Thodi hi der me shikha nikki ke sath bahar aati dikhayi di. Lekin bahar aane ke bad, wo yaha waha taxi dekhne lagi.
Mai taxi se utar kar, uske pas gaya aur us se ajay ki taxi me chalne ko kaha to usne saaf mana kar diya. Maine use bahut manane ki koshish ki, lekin wo nahi mani aur dusri taxi lekar chali gayi.
Uske jaane ke bad nikki ne ajay se bataya ki, shikha uska ghar aaj ke aaj hi khali karne ki baat bol kar gayi hai. Ye baat bolte bolte nikki ki aankhe bhar aayi. Ajay ne use dilasa diya ki, wo sab thik kar lega.
Iske bad ajay ne aman ko call karke, uska saman le jaane ke liye gaadi bhejne ko kaha aur fir hum shikha ke ghar ke jaane liye nikale. Karib 8 baje hum shikha ke ghar pahuche.
Waha pahuch kar ajay apna saman pack karne laga. Usne mujhse kaha ki, aman saman ke liye gaadi bhejne wala hai. Isliye mai bahar khada hokar gaadi dekhta rahu. Mai bahar chhat par khada hokar gaadi aane ka wait karne laga.
Isi bich maine keerti ko call kiya aur use bataya ki, ajay shikha ka ghar chhod kar ja raha hai. Abhi mai keerti ko itna hi bol paya tha ki, tabhi mujhe shikha ke ghar ke bahar ek car rukti dikhi.
Mujhe laga ki, aman ne saman ke liye car bheji hai aur itne saare saman ke liye car bhejna mujhe kuch ajib sa laga. Isliye maine ajay ko aawaj dete huye kaha.
Mai bola “ghar ke samne ek car aakar ruki hai.”
Ajay bola “maine car ka nahi bola tha. Tum jakar dekho ki, car me kaun hai.”
Abhi ajay ne itni hi baat boli thi ki, mujhe car se ek ladki utarti dikhi. Ladki ne niche utarte hi ek baar meri taraf dekha. Us par najar padte hi mujhe ek jordar jhatka sa laga.
Kyoki ladki ki shakal itni bhayanak lag rahi thi ki, yadi koi kamjor dil wala use raat me dekh le to, usko dil ka daura pad jaye. Kuch der ke liye to mai bhi uski shakal dekh kar dahshat me aa gaya tha. Ajay ne mujhe ab bhi apni hi jagah par khada dekha to, mujhe tokte huye kaha.
Ajay bola “kya hua, tum pata karne nahi gaye.”
Mai bola “car me koi ladki hai.”
Ye baat sunte hi ajay mere pas aaya aur niche dekhne laga. Ladki niche darwaje par khadi sadak ki taraf aise dekh rahi thi. Jaise kisi ke aane ka intejar kar rahi ho. Us ladki par ajay ki najar padte hi us ne kaha.
Ajay bola “ye yaha kaise aa gayi. Lagta aaj ka din hi kharab hai. Chalo jaldi niche chalo. Ise andar aane se rokna hoga.”
Ye kahte huye ajay niche jaane ke liye bad gaya. Us ladki ki shakal dekh kar, mai pahle se hi ek gahre se sadme me tha. Us par ajay ka is tarah se us ladki se darne ki baat ne mujhe aur bhi uljhan me daal diya tha. Mai kisi but ki tarah ajay ke pichhe pichhe niche aane laga.
______________________________