Ko To Rok Lo {Update - 148}
____________________________
Priya boli “is se achi to mai hospital me thi. Kam se kam raat ko tumko dekh to pati thi. Yaha to mujhe tumhari shakal tak dekhna nashib nahi ho raha hai.”
Mai bola “ab isme mai kya kar sakta hu. Mai to ghar par kitni der raha. Lekin tum upar se niche hi nahi aayi.”
Priya boli “yadi mai niche nahi aa sakti to kya hua. Tum to upar aa sakte the na.”
Mai bola “maine sab se puchha tha ki, priya kaisi hai. Sab ne kaha ki, achi hai. Apne kamre me aaram kar rahi hai. Kisi ne ye nahi kaha ki, upar jakar dekh lo. Fir bhala mai upar kaise aa jata.”
Priya boli “mujhe kuch nahi sunna. Tum abhi mujhse milne upar aao. Nahi to mai tumse milne niche aati hu.”
Mai bola “priya, ab raat jyada ho gayi hai. Aise me mera upar aana thik nahi hoga. Mai vada karta hu ki, subah jarur tumse milne upar aauga.”
Magar priya ab meri koi bhi baat sunne ko taiyar nahi thi. Wo jid kiye baithi thi ki, ya to mai upar aau ya fir wo khud niche aa jayegi. Jab meri uski jid ke aage ek na chali to, maine uski baat mante huye, us se kaha ki, mai us se milne upar aa raha hu.
Kahne ko to maine priya se kah diya tha ki, mai us se milne aa raha hu. Lekin abhi raat ke samay, mujhe apna aisa karna thik nahi lag raha tha. Fir bhi priya ki tabiyat ka khayal karke, maine apne dil ko majbut kiya aur priya se milne jaane ke liye apne kamre se bahar nikal aaya.
Mai apne kamre se nikal kar jab hall me pahucha to, waha dada ji baithe akhbar pad rahe the. Unko itni raat ko akhbar padte dekh kar, mujhe kuch hairani huyi aur maine uske pas aakar, un par apni hairani jahir karte huye kaha.
Mai bola “dadu, ye kya hai.? Aap itni raat ko akhbar pad rahe hai.”
Meri baat sunkar dada ji ne muskura kar mujhe dekha aur fir akhbar ko ek kinare rakhte huye kaha.
Dada ji bole “beta, aaj aakash abhi tak ghar nahi aaya hai. Bas isiliye jaag raha tha. Akela baitha bore hone laga to, akhbar padne laga. Lekin tum batao, tum abhi tak kyo jag rahe ho.”
Mai bola “dadu, mai to sone hi ja raha tha. Lekin aaj priya ke hospital se aane ke bad se, mai us se mila nahi tha. Priya ko dekhne ka bahut man kar raha tha. Isliye socha ki riya ya nikki ke sath priya se mil aau. Lekin aaj to yaha dono me se koi bhi nahi dikh raha hai.”
Meri baat sunkar, dada ji ne kaha.
Dada ji bole “beta aaj nikki bahut thaki huyi thi. Isliye wo khana khane ke bad hi sone chali gayi. Priya to hospital se aane ke bad niche aayi hi nahi hai. Uske sath sath riya bhi usi ke kamre me hai. Tum aisa karo ki, riya ko bula lo. Wo hi tumko priya ke pas le jayegi.”
Mai bola “thik hai dadu. Mai riya ko hi niche bula leta hu.”
Ye kahte huye mai wapas apne kamre me jaane laga. Mujhe apne kamre me wapas jate dekh kar dada ji ne kaha.
Dada ji bole “kya hua, tum wapas kyo ja rahe ho.”
Mai bola “dadu, mera mobile kamre me hi rakha hai. Mai riya ko call laga kar bula leta hu.”
Dada ji bole “ruko, mai tumko priya ka kamra bata deta hu. Tum khud hi unke pas chale jao.”
Ye kah kar dada ji ne, upar sidiyon ke bilkul samne bane kamre ki taraf ishara karte huye kaha.
Dada ji bole “wo kamra dekh rahe ho na. Uske baju ka kamra raj ka hai. Fir raj ke kamre ke bad riya ka kamra hai. Riya ke kamre ke bad, nikki ka kamra hai aur nikki ke kamre ke bad priya ka kamra hai.”
Dada ji ke priya ka kamra bata dene ke bad, mai upar chala gaya. Dada ji ne jaise kamre bataye the. Usi hisab se un kamro ke samne se hote huye, mai priya ke kamre ke samne jakar khada ho gaya.
Uske kamre se Tv chalne ki aawaj aa rahi thi. Abhi mai priya ke kamre ka darwaja khatkhatane ki baat soch hi raha tha ki, tabhi andar se priya ki aawaj sunayi di.
Priya boli “andar aa jao. Darwaja khula hua hai.”
Priya ki aawaj sunte hi, maine darwaja khola aur andar aa gaya. Priya ek pink nighty me, bed par baithi Tv dekh rahi thi. Mujhe apne samne dekhte hi, priya ke chehre par ek chamak aa gayi.
Uske chehre ki ye chamak, us khushi ki thi. Jo use mere waha aane se ho rahi thi. Usne bade hi pyar se, mujhe pas rakhi chair par baithne ka ishara kiya. Maine chair ko priya ke bad ke pas khicha aur fir us par baith kar kabhi priya ko to, kabhi uske kamre ko dekhne laga.
Priya ki Tv abhi bhi chal raha thi. Usne mujhe is tarah se hairan hote dekha to, muskura kar, Tv ko band karte huye kaha.
Priya boli “aise hairani se kya dekh rahe ho. Kya mera kamra sach me itna ganda hai.”
Mai bola “nahi, tumhara kamra to bahut acha hai. Mai to bas ye soch raha tha ki, jab tumhare kamre me Tv chal raha tha to, fir tumko ye kaise pata chala ki, bahar mai aa gaya hu.”
Meri baat sunkar priya ke chehre par, bahut hi pyari si muskurahat aa gayi aur usne muskura kar meri baat ka jabab dete huye kaha.
Priya boli “Bahut Pahle Se Tere Kadmo Ki Aahat Jaan Lete Hai.
Tujhe Ae Jindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hai.”
Priya ki is shayari ko sunte hi mujhe, uski hospital me kahi gayi shayari ki yaad aa gayi.
Priya ki shayari “Zakhm Muskurate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.
Dard Bhool Jate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.
Umar Kaat Di Lekin Bachpana Nahi Jata.
Chauk Chauk Jate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.
Teri Aahat Aaye To Neend Udh Jati Hai.
Hum Khushi Manate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.”
Priya ki is shayari ke yaad aate hi, mai uski shayariyon me mere liye chhupe pyar ko, achi tarah se samajh sakta tha. Bhala jo ladki jindgi aur maut se ladte samay bhi meri aahat par jaag sakti hai to, uske liye abhi ache bhale hone par meri aahat ko pehchan pana koi badi baat nahi thi.
Lekin priya ki is shayari ka matlab samajhte huye bhi, maine anjan banne ka natak karte huye priya se kaha.
Mai bola “dekho yaar, mujhe is sher-o-shayari ke lafde se door hi rakho. Mai apne dimag par kitna bhi jor dalu. Magar ye sab, mere bheje me kabhi nahi ghusti. Tumhe mujhse jo bhi bolna ho, sidhe sidhe hi bol diya karo.”
Maine ye baat isliye boli thi. Taki priya is baat ko badal kar, koi aur baat karne lage. Lekin priya ne meri ye baat sunte hi tapak se mujhse kaha.
Priya boli “I love you.”
Priya ke muh se ye baat sunte hi mujhe ek jhatka sa laga. Mai jis baat se bachne ke liye uski shayari se anjan banne ka natak kar raha tha. Usne wo hi baat khule shabdon me mere muh par kah di thi.
Priya ko meri hakikat pata thi aur wo bhi usko kabul kar chuki thi. Mai priya ke dil ka haal bhi ache se janta tha. Yadi aaj keerti meri jindgi me nahi hoti to, is baat me bhi koi shaq nahi tha ki, priya hi wo ladki hoti, jiske liye mai apni jaan bhi de sakta tha.
Lekin aaj ki hakikat kuch aur thi. Aaj ki hakikat ye thi ki, meri jindgi sirf aur sirf keerti ke naam thi. Uski jagah priya to kya, duniya ki koi bhi ladki nahi le sakti thi. Isliye maine priya ki is baat par narajgi jatate huye kaha.
Mai bola “priya, ye kaisa majak hai. Sab kuch jante huye bhi tum aisa karogi. Mujhe tumse is baat ki jara bhi ummid nahi thi.”
Meri is baat se priya ko meri narajgi ka aehsas ho gaya aur shayad uske dil ko is se kahi chot bhi lagi ho. Isliye uske chehre ki hansi uske chehre se gayab ho gayi. Fir bhi usne feeki si muskurahat ke sath, baat ko badalte huye kaha.
Priya boli “are isme naraj hone wali kya baat hai. Kya ek dost dusre dost ko I love you bhi nahi bol sakta. Ok, yadi tumko acha nahi lagta hai to, mai aisa dobara nahi karugi. Ab ye faltu ki baat chhodo aur ye batao ki, achanak ye tumhari didi kaha se aa gayi.”
Ye kahte huye priya ne baat ka rukh shikha ki taraf mod diya. Mai bhi uske dil ko koi chot pahuchana nahi chahta tha. Isliye maine bhi shikha ki baat ko hi aage badate huye kaha.
Mai bola “kyo, kya nikki ne tumhe is baare me kuch nahi bataya.”
Priya boli “nahi, usne bas itna kaha tha ki, tum mere kahne par yaha aa gaye ho. Lekin tumhari didi chahti hai ki, tum unke sath khana khao. Maine bhi kah diya ki mujhe isme koi pareshani nahi hai.”
Mai bola “kal raat ko hospital me, jinke liye tumne bimar hone ka natak kiya tha. Wo hi meri didi hai.”
Meri is baat ke jabab me priya ne chaukte huye kaha.
Priya boli “tum shikha didi ki baat kar rahe ho.”
Mai bola “haan, unki hi baat kar raha hu. Kal unka ajay se jhagda ho gaya tha aur wo bahut ro rahi thi. Jis vajah se unko chup karane ke liye hume tumhe nind se jaga kar ye bimari ka natak karana pada tha. Sorry meri vajah se kal tumko pareshan hona pada.”
Priya boli “kaun kahta hai ki, mujhe is baat se koi pareshani huyi. Mujhe to is baat ki khushi huyi ki, isi bahane sahi, par mai tumhare koi kaam to aa saki. Lekin ajay to tumhara dost hai. Fir unka us se jhagra kis baat ko lekar ho gaya.”
Mai bola “ajay doctor aman ka bhi dost hai. Wo shikha didi ko pyar karta tha. Lekin didi ko paise wale log pasand nahi the. Jis vajah se ajay ek taxi driver ban kar unki taxi chalata tha. Kal ye sab baten wo mujhe bata raha tha. Tabhi didi waha coffee dene aayi aur un ne ye sab sun liya. Jis vajah se wo us se naraj ho gayi thi.”
Priya boli “fir kya hua. Kya unka gussa shant hua ya nahi.”
Mai bola “gussa bhi shant ho gaya aur unki shadi bhi pakki ho gayi. Ab 2 din bad aman aur nisha ke sath sath ajay aur shikha didi ki bhi shadi rahi hai.”
Meri baat sunte hi priya ne romanchit hote huye kaha.
Priya boli “wow, ye to ek super hit love story hai. Mujhe us din ajay ko apne ghar me dekh kar lag hi raha tha ki, ise maine kahi dekha hai. Magar us din tumhari vajah se, mai is par jyada dhyan nahi de payi thi. Lekin meri ek baat samajh me nahi aa rahi hai ki, jab ajay tumhara dost hai to, aise me shikha tumhari bhabhi lagi. Fir tum use didi kyo kah rahe ho.”
Mai bola “kyoki, mere dil se unke liye pahli baar me didi hi nikla tha aur fir un ne bhi mujhe apna bhai maan liya. Unki shadi to iske bad pakki huyi. Isliye ab mai unko didi hi bolta hu.”
Meri ye sab baten sunkar, priya ke chehre par ek baar fir se muskurahat aa gayi. Wo apne bed se niche utri aur aaj ki shopping ka saara saman lakar bed par rakhne lagi.
Fir saara saman rakhne bad, wapas aakar bed par baith gayi aur ek ek saman khol kar mujhe dikhane lagi. Aakhiri me bacha ek saman usne mujhe khol kar nahi dikhaya to, maine us se kaha.
Mai bola “kya ye packet khol kar nahi dikhaogi.”
Priya boli “nahi, ye meri shadi me pahanne wali dress hai. Ye to mai usi din pahan kar dikhaugi.”
Maine us se wo dress dikhane ko bahut kaha. Magar wo shadi ke din dekh lene ki jid lagayi rahi. Aakhir me mujhe bhi uski jid ke aage jhukna pad gaya. Fir maine kamre me uske akele hone ki vajah janne ke liye us se puchha.
Mai bola “dada ji to kah rahe the ki, riya tumhare sath hai. Lekin tum to yaha akeli ho.”
Priya boli “riya didi ko nind aa rahi thi. Maine hi unko sone ke liye bhej diya. Un ne hi mujhe bataya tha ki, tum ghar aa gaye ho.”
Mai bola “to kya tum raat bhar yaha akeli hi rahogi.”
Meri baat sunkar, priya ko fir se shararat sujhi aur usne muskurate huye kaha.
Priya boli “nahi to, mai bhala kyo akeli rahugi. Mere sath raat bhar ab tum rahoge na.”
Priya ki is baat ke jabab me, na to mujhse, na bolte ban raha tha aur na hi haan bolte ban raha tha. Mai muskura kar rah jaane ke siwa kuch na kar saka. Lekin priya meri is muskurahat ka matlab samajh gayi thi. Usne meri halat par thahake lagate huye kaha.
Priya boli “daro mat, mai itni bhi pagal nahi hu. Jo tumko yaha raat bhar rukne ko bolu. Mai to bas majak kar rahi thi. Din bhar se tumko dekha nahi tha. Jis vajah se tumko dekhne ka bahut man kar raha tha. Isliye maine tumko call karke bula liya. Ab tumko dekh liya hai to, mai bhi aaram se so jaugi. Ab mere pas kisi ko bhi raat rukne ki jarurat nahi hai.”
Priya ke is bholepan ko dekh kar, na chahte huye bhi mujhe us par bahut pyar aa raha tha. Isliye ab maine bhi use pareshan karte huye kaha.
Mai bola “tum to sach me bahut samajhdar ho gayi ho. Bahut badi badi baten karne lagi ho. Ok, ab to tumne mujhe dekh hi liya hai. Ab mai chalta hu.”
Ye kahte huye mai apni jagah par khada ho gaya. Mujhe yu khada hote dekh kar, priya ki muskurahat gayab ho gayi. Usne shayad mere itni jaldi jaane ki baat nahi sochi thi. Isliye mujhe jate dekh kar, uska chehra murjha sa gaya. Uska aisa chehra dekh kar meri hansi chhut gayi aur maine us se kaha.
Mai bola “ab jara apna chehra dekho, kaisa ho gaya hai. Mai bhi to tumse majak hi kar raha hu.”
Ye kahte huye mai wapas apni jagah par baith gaya. Meri is harkat se, priya ke chehre par fir se muskurahat wapas aa gayi. Iske bad wo mujhse shikha aur ajji ke baare me baten karti rahi.
Fir 12 baje mai priya ko good night kah kar niche aa gaya. Dada ji abhi bhi wahi baithe akash uncle ke aane ka intejar kar rahe the. Unse kuch der baat karne ke bad, mai wapas apne kamre me aa gaya.
Kamre me aane ke bad maine mobile dekha to, mere dono mobile par keerti ke dher saare call the. Mai jaise hi keerti ko call lagane ko hua. Waise hi fir se uska call aane laga. Maine uska call uthaya to, mere call uthate hi, usne gusse me mere upar baraste huye kaha.
Keerti boli “mai dekh rahi hu, tumhe aaj kal, meri jara bhi fikar nahi hai. Mai kab se call laga laga kar, mare ja rahi hu. Lekin tum itni raat tak apne aap me hi busy ho. Tumse ye tak nahi hota ki, ek baar call utha kar kah do ki, mai thodi der bad call lagau.”
Uski baton se mujhe samajh me aa raha tha ki, wo mujh par bahut jyada gussa hai. Uska ye gussa karna bhi jayaj hi tha. Kyoki pichhle 2 din se humare bich koi baat nahi huyi thi. Wo 2 din se mujhse baat karne ke liye tadap rahi thi aur aaj jab use mujhse baat karne ka mauka mila to, mai hi uske pas nahi tha.
Wo bhi aakhir kitna sabar karti. Aakhir me uske sabar ka bandh to tutna hi tha. Mujhe meri galti ka aehsas tha aur isi vajah se maine uske samne apni koi safai na dete huye kaha.
Mai bola “sorry jaan, mujhse galti huyi. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Tu mere liye kitna kuch karti rahti aur ek mai hu, jo tujhe dukh dene ke siwa kuch nahi karta.”
Keerti ko shayad is baat ka aehsas nahi tha ki, mai itni jaldi uske samne haar maan jauga. Use mera uske samne yun haar maan lena acha nahi laga aur usne mujhse shikayat karte huye kaha.
Keerti boli “jaan, tum pagal ho kya hai. Ye kya kya bole ja rahe ho. Maine tumhare liye kuch nahi kiya. Jo bhi maine kiya sirf apni khushi ke liye kiya hai. Mai to sirf isliye gussa kar rahi thi ki, tum mujhe manaoge.”
“Magar tum to aise sorry bol rahe ho, jaise tumne bahut badi galti kar di ho. Galti meri hi hai, mai tumse baat karne ke liye itna bechain thi ki, mujhse tumhare bina ek pal bhi raha nahi ja raha tha.”
Keerti ki baat sunkar, mujhe thodi rahat mehsus huyi ki, wo mujhse gussa nahi hai. Maine use uske call rakhne ke bad ki saari baten batate huye, us se kaha.
Mai bola “ab tu hi bata, kya aisi haalat me, priya ke pas jakar, maine kuch galat kiya hai.”
Keerti boli “nahi jaan, tumne kuch galat nahi kiya hai. Lekin ab tum priya se saaf saaf kah do ki, tumhara 11 baje ke bad ka samay, mujhse baat karne ka rahta hai aur us samay tum kisi se baat karna pasand nahi karte.”
Mujhe keerti ki ye baat achi to nahi lagi. Fir bhi uska dil rakhne ke liye maine uski baat mante huye, us se kaha.
Mai bola “thik hai, mai kal hi priya se ye baat bol deta hu.”
Lekin thodi der baat na jaane kya soch kar keerti ne mujhse kaha.
Keerti boli “jaan, rahne do. Tumhe us se kuch bhi kahne ki jarurat nahi hai. Kuch bhi ho, wo tumse pyar karti hai. Ye baat sunkar, bechari ka dil toot jayega. Fir 2-4 din ki hi to baat hai. Tumhare waha se wapas aate hi, wo khud hi in sab baton ko samajhne lagegi.”
Keerti ki ye baat sunkar, mujhe is baat ka aehsas hua ki, chhoti maa thik hi kahti thi ki, jo hume hasil hai, hume uski kadar karna chahiye. Keerti ki itni badi soch ke aage, dil hi dil me, mera sar uske samne jhuk gaya aur mujhe khud par naz sa mehsus hone laga.
Mai keerti ki baat sunkar, uske is badappan me kho sa gaya tha aur keerti mujhe khamosh dekh kar samajh rahi thi ki, usne shayad kuch galat kah diya hai. Usne mujhe tokte huye kaha.
Keerti boli “kya hua, kya maine kuch galat baat kah di hai.”
Ab mera mood thik tha. Isliye maine keerti ko chhedte huye kaha.
Mai bola “tu kabhi koi galat baat kah hi nahi sakti. Tu to galiyan bhi bahut achi achi deti hai.”
Meri baat se keerti ko apni gaali dene wali baat yaad aa gayi. Lekin usne apni gaali dene wali baat se saaf mukarte huye kaha.
Keerti boli “jhuth mat bolo. Mai kabhi kabhi thoda bahut gussa jarur kar leti hu. Lekin gaali kabhi nahi deti.”
Keerti ko gaali dene ki baat se aisa saaf muakrta dekh kar, maine use priya wali baat ki yaad dilate huye kaha.
Mai bola “tu gaali nahi deti to, fir us din priya ko itna ganda ganda kaun bol raha tha. Tu chahe bhi to is baat se nahi mukar sakti. Kyoki tujhe gaali dete huye ghar me bhi kisi ne sun liya hai.”
Meri is baat ko sunkar, keerti kuch pareshan si ho gayi. Usne ghabrate huye kaha.
Keerti boli “kisne aur kaise sun liya. Mai to tumhare kamre me akeli hi thi aur maine kisi ke upar aane ki aahat bhi nahi suni thi.”
Mai bola “upar koi nahi aaya tha. Lekin jo upar the, unhi me se kisi ne tujhe gaali dete suna hai.”
Meri baat sunkar, keerti ko samajh me aa gaya ki, mai ami nimi me se kisi ki baat kar raha hu. Usne badi hi bechaini se kaha.
Keerti boli “yaha meri jaan nikli ja rahi hai aur tumko paheliyan bujhane ki padi hai. Sidhe sidhe batao ki, kisne us din ki baat suni aur kya suna hai.”
Mujhe bhi ab keerti ko jyada pareshan karna thik nahi laga aur maine use ami ki baat batate huye kaha.
Mai bola “us din ami ne tujhe gaali dete suna tha aur usne ye baat mujhe kisi ko bhi batane se mana kiya tha.”
Ye kahte huye maine keerti se, us din meri ami se huyi saari baten bata di. Jise sunne ke bad keerti ne kaha.
Keerti boli “ye itni si ladki meri jasusi karti hai.”
Keerti ki baat sunkar, mujhe hansi aa gayi. Maine use samjhate huye kaha.
Mai bola “us din tu khud itni gusse me thi ki, tujhe kisi baat ka hosh hi nahi tha. Us bechari ki to us din nind khul gayi thi aur usne jab apne kamre ka darwaja khula dekha to, wo darwaja band karne uthi thi. Fir use mere kamre ki light jalti dikhi to, wo samajh gayi ki, tu waha hai aur wo tujhe waha dekhne chali gayi.”
“Lekin jab usne tujhe kisi ko phone par gaali dete suna to, wo khud dar gayi aur jakar chup chap so gayi. Usne to mujhe bhi ye baat isi shart par batayi thi ki, mai kisi ko kuch nahi batauga aur tujhe kuch nahi boluga.”
Meri baat ke jabab me keerti ne mujh par gussa karte huye kaha.
Keerti boli “usne kaha aur tumne uski baat maan kar, ye baat mujhe bhi batane ki jarurat nahi samjhi. Kya ab mai bhi kisi me aa gayi hu.”
Mai bola “tere sar par to seeng lage hai. Pahle tune priya ko gaali di aur uske bad mujhse bhi ladai le li. Ab tu hi bata ki, mai ye baat tujhe kaise aur kab bata deta.”
Meri baat sunkar, keerti ko apni galti ka aehsas ho gaya aur usne mujhse maafi mangte huye kaha
Keerti boli “sorry, mujhse galti huyi. Lekin ab hume is ami ki bachchi se bach kar rahna hoga. Ye iske pahle bhi humari chori pakad chuki hai.”
Keerti ki is baat par maine muskurate huye kaha.
Mai bola “hume nahi, sirf tumhe bachna hoga. Kyoki usne meri to koi chori nahi pakdi hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne mujhe dhamkate huye kaha.
Keerti boli “jyada sharif banne ki koshish mat karo. Dono baar mai tumhari vajah se hi, uske chakkar me fasi hu. Ab yadi usne kabhi mujhe, kisi baat me pakda to, mai apne sath sath tumhe bhi ghasit…….”
Abhi keerti apni baat puri bhi nahi kar payi thi ki, achanak hi wo baat karte karte bich me ruk gayi. Mujhe uske yu baat karte karte chup ho jaane ki koi vajah samajh me nahi aayi aur mai usko hello hello bolne laga.
Magar abhi bhi uski taraf se koi jabab nahi aa raha tha. Uske yu achanak chup ho jaane wali baat ne mujhe pareshani me daal diya tha aur ab mujhe uski chinta satane lagi thi.
______________________________