johnsamuri
Active Member
- 1,304
- 3,090
- 158
Ko To Rok Lo {Update - 140}
____________________________
Aman ki is baat me bhi kadwi sachai thi. Mera dimag to aman ki baat ko samajh raha tha. Magar mera dil aman ki is baat ko manne se inkar kar raha tha. Thodi der aman se is baare me baat karne ke bad, maine call rakh diya.
Lekin ab bhi mere dimag me aman ki kahi baten goonj rahi thi. Jinka koi bhi jabab mere pas nahi tha. Mai samjh nahi pa rahi thi ki, ab aisi sitithi me mujhe kya karna chahiye. Ye sab soch soch kar mera dimag hi kaam karna band kar diya tha.
Lekin fir achanak hi mujhe aman ki kahi ek baat yaad aayi ki, jab apna dimag kaam na kare to, uske dimag ka istemal karo. Jiske dimag par aapko sabse jyada viswas ho. Iske sath hi meri aankhon ke samne ek chehra ghumne laga.
Us chehre ko dekhte hi, mera chehra khushi se khil utha aur maine apne aap se kaha ki, yadi wo sita hai to, use uske ram se milne se koi nahi rok sakta. Ye baat khud se kahkar, maine muskurate huye apna mobile uthaya aur call lagane lagi. Mera call jate hi ajji ne call uthate huye kaha.
Ajay bola “haan, bolo nisha. Aru kaisi hai.”
Maine ajji ki is baat ka muskura kar jabab dete huye kaha.
Mai boli “mai bhi achi hu aur aru bhi achi hai. Lekin mai abhi hospital se nahi, ghar se call kar rahi hu.”
Ajay bola “kyo kya hua. Koi khas kaam tha kya.”
Mai boli “haan, kaam to tumse bahut khas hai. Magar pata nahi ki, mai tumhare liye khas hu bhi ya nahi.”
Meri baat sunkar, ajji kuch asmanjas me pad gaya. Use samajh me nahi aa raha tha ki, mai aaj ye kaisi baat kar rahi hu. Usne mujhse kaha.
Ajay bola “ye aaj tumko achanak kya ho gaya aur ye tum kaisi bahki bahki baten kar rahi ho. Mere liye to tum utni hi khas ho, jitna ki aman hai.”
Ajji ki baat sunkar, maine hanste huye us se kaha.
Mai boli “ye sab bolne ki baten hai. Ye to wakt khud hi bata deta hai ki, kaun kiske liye kitna khas hai.”
Meri in baton se pareshan hokar ajji ne mujhse kaha.
Ajay bola “ab mai tumhe kaise yakin dilau ki tum mere liye sirf khas hi nahi, balki mere parivar ka ek aisa hissa ho, jiske bina mera parivar pura hi nahi ho sakta.”
Ajji ki is baat ko sunne ke bad, mujhe usko aur pareshan karna thik nahi laga. Maine uske samne apni baat rakhte huye kaha.
Mai boli “ok, mai tumhari is baat ka yakin kar leti hu aur yadi is baat me kuch jhuth nahi hai to, fir tumhe meri ek baat manna hogi.”
Meri baat ke jabab me, ajji ne bina kuch soche samjhe aur bina koi der kiye mujhse kaha.
Ajay bola “haan bolo, mai tumhari har baat manne ko taiyar hu.”
Mai boli “ok, mai raat ko dinner ke bad tumko aru ke pas milti hu. Wahi tumhe apni baat bata dugi.”
Itna kah kar, maine call rakh diya. Ajji ka call rakhne ke bad maine seerat se baat ki aur usko sab kuch samjha diya. Seerat meri baat ko sunkar bahut khush huyi aur usne yakin dilaya ki, wo sab meri is baat me mera pura sath degi.
Raat ko dinner ke bad, mai 10 baje hospital pahuchi. Uske pahle maine aman se call karke bol diya tha ki, mai raat ko aru ke pas aaugi. Isliye wo selu ko uske pas hi rahne de. Mai ghar lautte wakt use bhi ghar chhor dugi.
Meri baat sunkar, aman ne selu ko hospital me hi chhod diya tha. Mai jab hospital pahuchi to, aru ke pas ajji tha. Selu aur seeru mujhe bahar hi tahalti mil gayi. Maine unse thodi bahut baat ki aur fir hum aru ke pas aa gaye.
Maine aru ka haal chal puchha aur fir wahi sab ke sath baith gayi. Ajji ke chehre par ab bhi meri baat ka asar najar aa raha tha. Usne mujhe baithe dekh kar, ek feeki si muskan di aur fir sab se baat karne laga.
Sab se baat karte huye bhi ajji ki najar baar baar mujh par hi ja rahi thi. Kuch der tak wo mere kuch bolne ka intejar karta raha. Lekin jab maine us se kuch nahi kaha to, usne khud hi mujhse kaha.
Ajay bola “tum mujhse kya bolna chahti thi.”
Ajji ki baat sunkar maine muskurate huye us se kaha.
Mai boli “sirf mai hi nahi, hum sab tumse kuch bolna chahte hai.”
Meri baat sunkar, ajji ne hairani se ek ek karke hum sab ki taraf dekha aur fir kaha.
Ajay bola “lekin tum sabko kya bolna hai.”
Ajji ki is baat ka jabab seerat ne dete huye kaha.
Seerat boli “bhaiya, hum sab chahte hai ki, ab aap shadi kar lijiye aur humare liye ek pyari si bhabhi le aaiye.”
Seerat ki baat sunkar, ajji ne rahat ki saans li aur mujhse kaha.
Ajay bola “kya sach me tumhe ye hi baat karna thi.”
Mai boli “haan, meri baat ye hi thi. Ab ye tay to tumko karna hai ki, tum meri baat manoge ya nahi.”
Ajji ne meri baat sunkar, pahli baar muskurate huye kaha.
Ajay bola “ye tumko achanak kya ho gaya. Bhala ye bhi shadi ki baat karne ka koi samay hai. Abhi to hume srif aru ke baare me hi sochna chahiye. Uske bad hi is baare me koi baat karna thik rahega.”
Ajji sidhe sidhe to nahi magar aru ki tabiyat ki aad lekar is baat ko talna chahta tha. Lekin seeru ne ajji ki is koshish par pani ferte huye kaha.
Seerat boli “bhaiya baat ko talne ki koshish mat kijiye. Bhabhi jo bhi bol rahi hai, wo hi hum sab bhi chahte hai. Ab yadi aap hum logon ki baat nahi manna chahte hai to, koi baat nahi.”
Seeru ki baat sunkar, ajji ne use samjhate huye kaha.
Ajay bola “mai kab tum logon ki baat ko manne se mana kar raha hu. Lekin shadi ke liye koi ladki bhi to hona chahiye na. Tum log pahle koi ladki to pasand kar lo. Fir mai shadi bhi kar luga.”
Ajji apni baat bol kar sabka chehra dekhne laga. Use laga ki is baat se shayad sabka shadi ki jid karna band ho jayega. Lekin uski is baat ka jabab selu ne dete huye kaha.
Selina boli “bhaiya hum logon ko koi ladki dudne ki jarurat nahi hai. Humne jo ladki apni bhabhi banne ke liye pasand ki thi. Hum chahte hai ki, wo hi humari bhabhi bane.”
Selu ki is baat ne ajji ko pareshani me daal diya. Usne selu ko samjhate huye kaha.
Ajay bola “ye tumhare chahne ya na chahne ki baat nahi hai. Tum sabko bhi ye baat pata hai ki, wo tumhari bhabhi nahi ban sakti. Fir tum logon ka aisi jid karna achi baat nahi hai.”
Ajji ki is baat ka jabab maine dete huye kaha.
Mai boli “ajji wo inki bhabhi ban sakti. Yadi hum sab us se baat kare aur apni galti ki maafi mange to, mujhe ummid hai ki, aisa ho sakta hai.”
Lekin ajji ne meri baat ko sunkar, mere saare mansubon par pani ferte huye kaha.
Ajay bola “galti.? kaisi galti.? Maine koi galti nahi ki hai. Apni bahan ki jaan bachane ki koshish karke maine koi galat kaam nahi kiya hai. Ab duniya is baare me kya sochti hai, mujhe iski koi parwah nahi hai.”
Ajji ne do took apna jabab suna diya tha. Ajji ki baat sunkar, ek pal ke liye mujhe laga ki ab kuch nahi ho sakta. Lekin agle hi pal mujhe aru ka khayal aaya. Usne bhi is baat me mera sath dene ki baat kahi thi. Isliye maine aru ki taraf ishara karte huye ajji se kaha.
Mai boli “ye thik hai ki, tumhe is baat ki parwah nahi hai ki, duniya is baare me kya sochti hai. Lekin kya tumne kabhi ye janne ki koshish ki hai ki, tumhari wo bahan is baare me kya sochti hai. Jiske liye tumne ye sab kiya hai.”
Itna bol kar mai ajji ki taraf sawaliya najron se dekhne lagi. Meri baat sunkar, ajji ne meri taraf dekha aur fir aru ke sar par hath rakhte huye kaha.
Ajay bola “yadi aru manti hai ki, mai galat hu to, mai iske sar ki kasam khakar kahta hu ki, mai sirf shikha se hi nahi, balki uske saare khandan se maafi mangne aur unki di huyi har saza kabul karne ko taiyar hu.”
Itna bol kar, ajji aru ke jabab ka intejar karne laga. Us wakt ajji hi nahi, hum sabki najar bhi aru ki taraf hi thi. Sab aru ka jabab sunne ko bechain the. Lekin aru sabko dekh kar muskura rahi thi.
Fir usne ajji ke hath ko apne sar se alag karke apne hathon me thama aur uske hath ko chumte huye kaha.
Archna boli “mere bhaiya, mere liye bhagwan hai aur bhagwan kabhi koi galti nahi karte.”
Aru ke jabab ko sunkar jaha, ajji ki aankhen bhig gayi thi aur wo use laad kar raha tha. Wahi aru ke jabab ko sunkar, mujhe us par bahut gussa aa raha tha. Usne aakhiri samay par mujhe dhokha de diya tha.
Mai kasmasa kar rah jane ke siwa kuch na kar saki. Mere man ki baat ko shayad seeru samajh gayi thi. Usne mere pas aakar mere kandhe par hath rakhte huye dhire se mere kaan me kaha.
Seerat boli “bhabhi, aru humara sath dene se pichhe nahi hati hai. Lekin aapne use bhaiya ke khilaf istemal karne ki koshish karke galti kar di. Aapne ye soch bhi kaise liya ki, aru kabhi bhaiya ke khilaf ja sakti hai.”
“Aru bhaiya ki sirf kamjori hi nahi, unki takat bhi hai. Aru ke liye bhaiya kuch bhi kar sakte hai aur aru ke naam se bhaiya se kuch bhi karwaya ja sakta hai. Ab aap dekhiye aapki bigdi baat ko mai kaise sidha karti hu.”
Ye kahte huye, seeru mere pas se ajji aur aru ke pas jakar khadi ho gayi. Ajji hamesha kahta tha ki, seeru ka shaitani dimag hai aur kuch na kuch khurapat uske dimag me palti rahti hai.
Magar aaj mai dua kar rahi thi ki, seeru ka dimag kuch kamal dikha de. Meri najar seeru par tiki huyi thi ki, wo ab kya karne wali hai. Udhar seeru ne ajji ke pas jakar, us se kaha.
Seerat boli “bhaiya, mai bhi yahi manti hu ki, aapne kuch galat nahi kiya hai. Lekin is sab ke bad bhi, mai ye hi chahti hu ki, shikha hi meri bhabhi bane. Mai to shikha ke siwa kisi aur ko apni bhabhi ke roop me dekhna hi nahi chahti. Ab selu aur aru kya chahti hai, ye to wo hi janti hai.”
Seeru ki baat ke jabab me selu ne bhi is baat me apni sahmati de di. Wahi seeru aur selu ki baat sunkar, aru ne ajji se kaha.
Archna boli “bhaiya, mai bhi yahi chahti hu ki shikha hi meri bhabhi bane. Yadi shikha meri bhabhi nahi ban payi to, mere dil par jindagi bhar ye hi bojh rahega ki, wo meri vajah se hi meri bhabhi nahi ban payi hai.”
Itna bol kar, aru ki aankhon se tap tap karke aansu girne lage. Uske aansu dekh kar, ajji ka man bhi badal gaya. Usne aru ke aansu pochhte huye us se kaha.
Ajay bola “tu roti kyo hai pagli. Tu chahti hai ki shikha teri bhabhi bane to, ab chahe jo bhi ho jaye, wo hi teri bhabhi banegi. Tera ye bhai tere dil par koi bhi bojh nahi rahne dega.”
Ajji ki baat sunkar sabke chehre khushi se khil uthe. Ab shikha ke liye jo bhi karna tha, ajji ko karna tha. Kya karna hai aur kaise karna hai. Ye sab sochna ab mera nahi, ajji ka kaam tha aur ye sab sochte huye maine ek shukun ki saans li.
Ab raat jyada ho rahi thi. Isliye maine selu ko ghar chalne ko kaha aur fir hum dono ghar ke liye nikal gaye. Ghar ke liye nikalte samay meri shikha se bhi mulakat huyi. Us se thodi bahut baat karne ke bad maine selu ko ghar chhoda aur fir mai bhi ghar aa gayi.
Is ghatna ke bad se ajji ne shikha se doori badane ka irada chhod diya aur fir dono ki hospital me roj mulakat hone lagi. Shikha ne ajji se nikki ke baare me puchha to, ajji ne bataya ki, wo aru ki saheli hai aur aru ke sath hi padti hai. Nikki ke hostel me hone ki vajah se shikha ko laga tha ki, aru bhi uske sath hostel me hi rahti hai. Lekin usne ye baat kabhi ajji se puchhi nahi thi. Shikha baar baar ajji se apni taxi chalane ke baare me puchhti rahti thi aur ek din ajji ne iske liye haan kar diya.
Lekin ajji ne kaha ki, wo taxi aru ke hospital se chhuti hone ke bad hi chalayega aur taxi ko apne pas hi rakhega. Jiske liye shikha taiyar ho gayi. Ajji ke aisa kahne ki vajah ye thi ki, aru ke hospital se ghar lautte hi ajji ko bhi wapas surat chale jana tha.
Aise me uska shikha se roj samna ho pana mumkin nahi tha. Jabki taxi uske pas rahne se wo taxi apne ghar me rakh deta aur shikha ye hi samajhti rahti ki, wo uski taxi chala raha hai.
Sab kuch thik chalne laga tha. Ek din hospital me aru ke pas baith kar shikha aur seeru aapas me baten kar rahe the. Tabhi shikha ne seeru se ajji ke ghar parivar ke baare me puchh liya.
Seeru ne shikha ko bataya ki, ajji ka parivar aru hi hai aur wo ek kiraye ke makan me rahta hai. Tab shikha ne kaha ki, aru to hostel chali jati hogi. Aise me ajji ka khane pine ka khayal kaun rakhta hoga.
Shikha ki is baat se seeru samajh gayi ki, shikha ye samajhti hai ki, aru hostel me rahti hai. Usne bhi shikha ki is soch ko nahi jhuthlaya aur us se kah diya ki, ajji apna khana pina ghar ke bahar hi karta hai.
Seeru ne shikha se huyi ye baten ajji ko bata di. Taki ajji ko shikha ki kisi baat ka jabab dene me koi pareshani na ho. Magar shikha ke dimag me to koi aur hi baat chal rahi thi. Jise samajh pana seeru to kya, kisi ke bhi bas ki baat nahi thi.
______________________________
Ko To Rok Lo {Update - 141}
____________________________
Aise me uska shikha se roj samna ho pana mumkin nahi tha. Jabki taxi uske pas rahne se wo taxi apne ghar me rakh deta aur shikha ye hi samajhti rahti ki, wo uski taxi chala raha hai.
Sab kuch thik chalne laga tha. Ek din hospital me aru ke pas baith kar shikha aur seeru aapas me baten kar rahe the. Tabhi shikha ne seeru se ajji ke ghar parivar ke baare me puchh liya.
Seeru ne shikha ko bataya ki, ajji ka parivar aru hi hai aur wo ek kiraye ke makan me rahta hai. Tab shikha ne kaha ki, aru to hostel chali jati hogi. Aise me ajji ka khane pine ka khayal kaun rakhta hoga.
Shikha ki is baat se seeru samajh gayi ki, shikha ye samajhti hai ki, aru hostel me rahti hai. Usne bhi shikha ki is soch ko nahi jhuthlaya aur us se kah diya ki, ajji apna khana pina ghar ke bahar hi karta hai.
Seeru ne shikha se huyi ye baten ajji ko bata di. Taki ajji ko shikha ki kisi baat ka jabab dene me koi pareshani na ho. Magar shikha ke dimag me to koi aur hi baat chal rahi thi. Jise samajh pana seeru to kya, kisi ke bhi bas ki baat nahi thi.
Is baat ke agle din, shikha raat ko mere hospital aane ka intejar karti rahi. Lekin raat ko mera hospital jana hamesha nahi hota tha. Isliye shikha ko mujhse milne ke liye 2-3 din intejar karna pad gaya.
Is baat ke teesre din jab mai ek marij ko dekhne hospital pahuchi to, aru ke pas meri mulakat shikha se bhi ho gayi. Waha se lautti samay shikha ne mujhse kaha.
Shikha boli “didi, aru ke bhaiya kiraye ke makan me akele rahte hai aur aise me unko khane pine ki pareshani hoti hai. Yadi wo chahe to, mere ghar me paying guest bankar rah sakte hai.”
Shikha ki is baat ne mujhe chauka kar diya aur mujhe ye dekh kar khushi bhi ho rahi thi ki, un dono ko pas lane ki humari koshish rang la rahi thi. Lekin ajji ke liye aisa kar pana mumkin nahi tha. Isliye maine shikha ko samjhate huye kaha.
Mai boli “ajji apni marji se hi kiraye ke makan me rahta hai. Warna use aman ke ghar rukne me bhi koi rok nahi hai. Aman ka ek makan yaha khali pada hua hai. Aman ne ajji ko waha rukne ko bhi bola hai. Lekin ajji rahne ko taiyar hi nahi hai. Mujhe nahi lagta ki wo is baat ke liye taiyar hoga.”
Meri ye baat sunkar shikha ko nirasha huyi. Usne mujhe apni pareshani batate huye kaha.
Shikha boli “didi, mere ghar me koi mard nahi hai. Aise me chah kar bhi kisi anjan ko apne ghar me kirayedar nahi rakh sakte hai. Lekin aru ke bhaiya ke aa jaane se, humare ghar me ek kirayedar bhi aa jayega aur ghar me ek mard ka saya bhi ho jayega.”
Shikha ki is baat me mujhe ek sachchai najar aayi. Maine na chahte huye bhi us se kah diya ki, mai ajji se is baare me baat karugi. Mai is baare me ajji ka jabab pahle se hi janti thi. Magar fir bhi maine us se is baare me baat ki aur usne aisa karne se saaf mana kar diya.
Abhi is baat ko huye 2 din hi beete the ki, aru ki dusri surgery ke agle hi din ajji kisi kaam se wapas surat chala gaya. Waha se aane ke bad wo kuch pareshan sa lag raha tha. Lekin usne koi pareshani hone se saaf mana kar diya.
Magar fir usne mujhe ye kah kar chauka diya ki, wo shikha ke ghar me paying guest ban kar rahne ko taiyar hai. Mujhe ajji ka achanak se ye badlaw samajh me nahi aaya. Fir bhi maine is baat ki khabar shikha ko de di.
Shikha ko meri ye baat sunkar bahut khushi huyi. Usne kaha ki, wo jab chahe mere ghar aakar rah sakte hai. Iske bad ajji ne apni teeno bahno se kaha ki, ab wo jaldi se jaldi unki bhabhi ko lana chahta hai. Isliye ab wo shikha ke ghar me paying guest bankar rahega.
Ajji ki ye baat sunkar, sabko bahut khushi huyi. Usi din se ajji ne shikha ke ghar me paying guest ban kar rahna suru kar diya. Ajji raat bhar aru ke pas rahta aur din bhar shikha ke ghar me rahta.
Magar ab ajji bahut thaka thaka sa aur pareshan sa lagta tha. Seeru ajji ke sath hospital me rahti thi. Isliye ye baat us se chhupi na rah saki. Uske man me is sab ko lekar bahut se sawal uth rahe the.
Agle din ajji ne seeru ko ghar chhoda aur fir shikha ke ghar chala gaya. Ajji ke jaane ke bad seeru taiyar huyi aur fir shikha ke ghar chali gayi. Waha shikha se uski mulakat huyi to, usne kaha ki, wo bhaiya ka naya ghar dekhne aayi hai.
Shikha ne bataya ki, ajji to taxi lekar chala gaya hai. Fir wo seeru ke liye chay pani lene chali gayi. Magar shikha ki is baat ne seeru ke dimag me ek dhamaka sa kar diya tha.
Seeru ne ajji ko call lagaya to, ajji ne us se kaha ki, wo apne naye ghar me aaram kar raha hai. Ajji ki is baat ne seeru ke man ke shaq ko aur bhi pakka kar diya. Shikha ke ghar chay pani karne ke bad, seeru sidhe mere pas aayi.
Usne ye saari baten mujhe batayi to, maine us se kaha ki, ajji jab se surat se wapas aaya hai, tabhi se wo kuch pareshan pareshan sa najar aa raha hai. Meri is baat ka samarthan seeru ne bhi kiya.
Maine bhi ajji ko call kiya to, usne mujhe bhi wo hi jabab diya jo, usne seeru ko diya tha. Ab ek baat to humare samajh me aa chuki thi ki, ajji humse kuch chhupana chahta tha.
Tabhi wo shikha ke ghar par paying guest ban kar rahne ko taiyar hua tha. Ye baat samajh me aate hi seeru ki aankhe aansuon se bhig gayi. Usne nam aankhon se kaha.
Seerat boli “bhabhi, lagta hai ki bhaiya kisi badi pareshani me fas gaye hai. Warna wo humse itna bada jhuth kabhi nahi kahte. Wo humse kuch chhupa rahe hai.”
Seeru ki is baat me mujhe bhi sachchai najar aa rahi thi. Lekin maine use samjhate huye kaha.
Mai boli “jis bhai ke pas tere jaisi bahan ho. Us bhai ka koi bhi pareshani kuch nahi bigad sakti. Tu fikar mat kar, mai abhi aman se is baare me baat karti hu.”
Ye kah kar, maine seeru ko apne sath liya aur sidhe aman ke pas aa gayi. Maine saari baten aman ko bata di. Jise sunne ke bad aman ne fauran hi surat ajji ke manager ko call lagaya aur waha ke haalat janne laga.
Jaise jaise aman ko waha ke haalat pata chal rahe the. Waise waise uske chehre ka rang badalta ja raha tha. Waha ke haalat jaan kar aman bhi kuch pareshan sa ho gaya aur usne humse kaha.
Aman bola “mujhe abhi hi surat jana hoga. Ajji abhi surat me hi hai.”
Aman is samay bahut pareshan lag raha tha. Seeru ne use itna pareshan dekh kar us se kaha.
Seerat boli “lekin bhaiya aisa kya hua hai, jiski vajah se ajji bhaiya jhuth bol kar surat gaye hai aur jise sunne ke bad, aap bhi surat jaane ki baat kar rahe hai.”
Seeru ki baat sunkar, aman ne usko ajji ke haalat batate huye kaha.
Aman bola “ajji iske pahle jab kaam ka bol kar surat gaya tha. Us samay uski ek mill me aag lag gayi thi. Jis se use carodon ka nuksan hua hai. Aise samay me ajji ka surat me rahna bahut jaruri tha. Lekin wo aru ko akela chhodna nahi chahta tha.”
“Wo ye baat bata kar, humko bhi pareshan karna nahi chahta hoga. Isliye wo shikha ke ghar me paying guest ban kar rahne ko taiyar ho gaya. Taki is baat ke baare me hume kuch pata na chal sake.”
Aman ki ye baat sunne ke bad bhi seeru ko tasalli nahi huyi. Usne apni chinta jahir karte huye kaha.
Seerat boli “lekin ye itni badi baat to nahi hai ki, bhaiya itne jyada pareshan ho jaye. Mujhe lagta hai ki, baat kuch aur hai.”
Seeru ki baat sunkar, pahle mujhe hairani huyi ki, wo ek mill ke jal jaane ko bhi badi baat nahi kah rahi hai. Lekin fir mujhe is baat ka aehsas hua ki, wo ajji ke pas paison ki koi kami na hone ki vajah se aisi baat kah rahi hai. Wahi aman ne seeru ki baat suni to, usne seeru ko samajhate huye kaha.
Aman bola “ajji ke pareshan hone ki vajah ye bhi ho sakti hai ki, ye mill usne apni mehnat ke bal par khadi ki thi. Ab jo bhi baat ho, ye baat waha jaane par hi pata lagegi. Isliye mai waha fauran jana chahta hu.”
Itna kah kar, aman surat jaane ki taiyari karne laga aur kuch hi der bad wo surat ke liye nikal gaya. Aman ke jaane ke bad maine seeru ko badi mushkil se samjha kar aur ye baat kisi ko bhi batane ka mana karke ghar bhej diya.
Surat pahuch kar, aman ne mujhe waha ke saare haalat bataye. Jise sunkar mujhe ajji ke itna jyada pareshan hone ki vajah samajh me aa gayi thi. Maine aman ko viswas dilate huye kaha ki, mai ajji ki har madad karne ke liye taiyar hu. Fir aman ne kuch jaruri baten bata kar call rakh diya.
Raat ko jab aman ajji ke sath wapas aaya to, usne ye baat call karke mujhe bata di. Unke aane ki baat sunte hi mai ajji se milne hospital pahuch gayi. Ajji mere pahuchne ke bad, seeru ke sath hospital pahucha.
Seeru gusse me lag rahi thi aur aate hi sidhe aru ke pas chali gayi. Uske jaane ke bad, mai ajji ke sath apne room me aa gayi aur us se surat ke haalat puchhne lagi. Ajji ne mujhe saare haalat bataye aur fir jab hum aru ke pas jaane ke liye uthe to, seeru darwaje par khadi ro rahi thi.
Ajji ne aakar, uske sar par hath fera aur uske aansu ponchh kar, use apne seene se lagate huye kaha.
Ajay bola “tu mujhse is baat ko lekar naraj thi na ki, maine tujhse ye baat kyo chhupayi. Ab tu hi dekh, jab tujhe ye baat pata chali to, tu kya kar rahi hai. Ye jo teri aankhon ke moti hai. Ye hi meri asli daulat hai aur inhe mai ek nakli daulat ke liye khona nahi chahta tha. Tera bhai ek businessman hai. Fir bhala wo apne hath se, khud apna nuksan kaise kar sakta tha.”
Ajji ki baat sunkar, meri aankhe bhi chhalak gayi. Wahi seeru us par jhutha gussa dikha kar use mukka marne lagi. Abhi bhai bahan ki ye takrar chal hi rahi thi ki, tabhi ajji ko dudte huye shikha waha aa gayi. Us ne kaha ki, aru bahut der se aapka rasta dekh rahi hai. Shikha ki baat sunkar, sab aru ke pas aa gaye.
Iske bad se ajji raat ko aru ke pas rahta tha aur subah surat jakar apni mill ka kaam dekhta. Shikha ko yahi lagta ki ajji taxi chala raha hai. Jabki baki logon ko aman ne bol diya tha ki, ajji ko kaam ki vajah se, uska roj surat jana jaruri hai. Jis vajah se ajji ke ghar me na rahne se koi sawal nahi utha.
Aru ko bas ye bataya gaya tha ki, ajji shikha ke ghar me paying guest ban kar rahne laga hai. Jise sunkar wo bhi bahut khush thi. Mere, aman aur seeru ke siwa kisi ko bhi ajji ke raat din ke is sangharsh ke baare me pata nahi tha.
Din yu hi beette gaye aur fir aru hospital se chhutti hokar ghar aa gayi. Aru ka aman ke ghar jana shikha ko ajib na lage. Isliye us se kaha gaya ki, aru ke puri tarah thik hone tak, wo aman ki nigrani me seeru aur selu ke sath rahegi.
Aru ki hospital se chhutti ho chuki thi. Isliye maine shikha ki duty wapas din me karwa di. Lekin aru ki hospital se chhutti hone ke bad bhi, ajji ka roj surat aane jaane ka silsila nahi thama.
Pahle use aru ki vajah se roj surat aana jana pad raha tha to, ab use shikha ke ghar me paying guest ban kar rahne ki vajah se roj surat aana jana pad raha tha. Is bich aru ka bhi shikha ke ghar aana jana suru ho gaya.
Pahle wo seeru ke sath shikha ke ghar gayi aur uske bad aksar nikki ke sath uska shikha ke ghar aana jana hone laga tha. Kuch hi samay me ajji ki wo mill fir se suru ho gayi aur ajji ke kaam ka bojh kam ho gaya.
Ab wo hafte me 2-3 din hi surat jaya karta tha. Dhire dhire ajji aur shikha ke bich ki najdikiyan badti ja rahi thi. Lekin dono me se koi bhi apne pyar ka ijhar nahi kar pa raha tha.
Ajji shikha se apne pyar ke ijhar ke sath sath, use apni sachchai bhi batana chah raha tha. Lekin iske liye use ek khas samay ka intejar tha aur wo khas samay ab kuch din bad aane hi wala tha ki, uske pahle hi shikha ke samne ye sachchai khud hi is tarah aa gayi.
Ab aage ki kahani punnu ki jubani….
Apni itni baat kah kar nisha chup ho gayi aur sab ki taraf dekhne lagi. Jaha barkha ke chehre par gussa najar aa raha tha. Wahi shikha ke chehre par dukh najar aa raha tha. Ab ye baat to shikha ki janti thi ki, uska ye dukh ajji ki kahani ko sunkar tha ya apne bhai ki maut ki vajah se tha.
Lekin unty ke chehre ke bhav sabki samajh ke bahar the. Wo kisi gahri soch me lag rahi thi. Jab thodi der tak koi kuch nahi bola to, nisha ne fir baat ko aage badate huye kaha.
Dr. nisha boli “aap log shayad ab bhi ajji ko galat mante hai aur aapko is baat ka viswas nahi hai ki, ajji bahut hi jaldi aap sabke samne ye sachchai batane wala tha. Wo bas sahi samay ka intejar kar raha tha.”
Nisha apni baat bolkar, ek baar fir sabki taraf dekhne lagi. Shayad use kisi ke kuch bolne ki ummid thi aur unki ye ummid bekar nahi gayi. Nisha ki ye baat sunkar aunty ne kaha.
Aunty boli “mai ajji ko galat nahi manti aur mai janti hu ki, wo apni baat kahne ke liye sahi samay ka intejar kar raha tha.”
Aunty ki is baat ne shikha aur barkha ko hi nahi, balki hum sabko bhi hairani me daal diya tha. Jaha shikha aur barkha unko fati fati aankhon se dekh rahi thi. Wahi hum sab unko hairani se dekh rahe the.
Kisi ke samajh me nahi aaya ki, aunty aisa kyo kah rahi hai. Lekin aunty ne humari hairani ko aur bhi badate huye hetal se kaha.
Aunty boli “tum shayad ajji ke manager dhiru shah ki beti ho. Jisne ek ladke ke pyar me pad kar khud ko aag laga li thi.”
Aunty ki is baat ne hetal ko bhi hairani me daal diya tha. Usne aunty ki baat ki haami bharte huye kaha.
Hetal boli “ji aunty, mai unhi ki beti hu. Lekin aap ye sab kaise janti hai.”
Aunty boli “maine tumhare papa aur ajji ke bich huyi saari baten sun li thi. Jab uski mill me aag lagne ke bad wo yaha rahne aaya to, uske rahan sahan se wo kabhi bhi mujhe ek taxi driver nahi lagta tha.”
“Lekin jab shikha ne ajji aur doctor aman ke bich ke parivarik rishton ke baare me mujhe bataya to, mujhe laga ki shayad doctor aman ke sath rahne ki vajah se hi ajji ka rahan sahan aisa hai.”
“Magar kuch samay bad ek aadmi humare yaha ajji se milne aaya. Us samay shikha duty par aur barkha college gayi huyi thi. Isliye mai unke liye chay lekar gayi thi. Tab mujhe ek aisi sachai ka pata chala ki, meri najron me ajji ki ijjat aur bad gayi. Magar maine is baat ka aehsas ajji ko nahi hone diya ki, mai unke bich ki baat sun chuki hu.”
“Ye sach hai ki, mai ye baat nahi janti thi ki, mere bete ki maut ki vajah ajji hai. Lekin aaj jab mujhe is sachchai ka pata chala to, meri aankhon me ajji ki us din ki baten goonj gayi aur maine usi pal ajji ko is sab ke liye maaf kar diya.”
Aunty ki is baat ko sunkar, hume kuch samajh me nahi aa raha tha ki, wo aisi kis baat ke baare me baat kar rahi hai. Jise soch kar un ne ajji ki galti ko maaf kar diya. Hum sab hairan the. Tab seeru ne aunty se ye baat janne ke liye kaha.
Seerat boli “aunty, aapne ajji bhaiya aur us aadmi ke bich aisa kya sun liya tha ki, aaj saari sachchai samne aane ke bad bhi, aapne ek pal me hi ajji bhaiya ki itni badi galti ko maaf kar diya.”
Magar aunty ne seeru ki is baat ka jabab dene se inkar karte huye kaha.
Aunty boli “sorry beta, mere andar itni himmat nahi hai ki, mai ye baat hetal aur ajji ki bahno ke samne kah saku. Lekin ye baat tum apni bhabhi se bhi jaan sakti ho. Jin ne mill me aag lagne ki baat to sabko bata di. Magar ajji ki pareshani ki asali vajah kisi ke samne nahi aane di.”
Aunty ki is baat se waha khade har ek ko ek jhatka sa laga. Sab ek baar fir hairat me pade, nisha ki taraf dekhne rahe the. Wahi nisha ne sabki najre apni taraf uthti dekh kar, apna sar jhuka liya. Shayad use is tarah se is sachchai ke samne aa jane ki ummid nahi thi.
______________________________
Ko To Rok Lo {Update - 142}
____________________________
Aunty ki is baat ko sunkar, hume kuch samajh me nahi aa raha tha ki, wo aisi kis baat ke baare me baat kar rahi hai. Jise soch kar un ne ajji ki galti ko maaf kar diya. Hum sab hairan the. Tab seeru ne aunty se ye baat janne ke liye kaha.
Seerat boli “aunty, aapne ajji bhaiya aur us aadmi ke bich aisa kya sun liya tha ki, aaj saari sachchai samne aane ke bad bhi, aapne ek pal me hi ajji bhaiya ki itni badi galti ko maaf kar diya.”
Magar aunty ne seeru ki is baat ka jabab dene se inkar karte huye kaha.
Aunty boli “sorry beta, mere andar itni himmat nahi hai ki, mai ye baat hetal aur ajji ki bahno ke samne kah saku. Lekin ye baat tum apni bhabhi se bhi jaan sakti ho. Jin ne mill me aag lagne ki baat to sabko bata di. Magar ajji ki pareshani ki asali vajah kisi ke samne nahi aane di.”
Aunty ki is baat se waha khade har ek ko ek jhatka sa laga. Sab ek baar fir hairat me pade, nisha ki taraf dekhne rahe the. Wahi nisha ne sabki najre apni taraf uthti dekh kar, apna sar jhuka liya. Shayad use is tarah se is sachchai ke samne aa jane ki ummid nahi thi.
Aunty ki baat ko sunkar, nisha ko is tarah sar jhukate dekh kar, sabko yakin ho gaya tha ki, nisha kuch chhupa rahi hai. Is baat par seeru ne us se sawal karte huye kaha.
Seerat boli “bhabhi, aunty ye kis baat ke baare me, baat kar rahi hai. Aapne ajji bhaiya ke baare me hum sab se kya baat chhupa kar rakhi hai.”
Seeru ki is baat ka nisha ko koi jabab nahi sujh raha tha. Usne seeru ko samjhate huye kaha.
Nisha boli “us baat ka is sab se koi matlab nahi hai. Mai wo baat tumhe fir kabhi bata dugi.”
Lekin nisha ki baat sunkar, aru ne bhadakte huye kaha.
Archna boli “kaise matlab nahi hai. Jis baat ko sunkar, aunty ne apne bete ki maut ka jara sa gam tak nahi kiya. Us baat ko aap kaise kah sakti hai ki, us baat ka is sab se koi matlab nahi hai. Yadi is sab ke bad bhi aap wo baat humko nahi batati hai to, hum ye hi samjhege ki aapki najron me humari koi aehmiyat nahi hai.”
Lekin aru ki baat sunne ke bad bhi nisha ne baat ko talte huye kaha.
Nisha boli “maine kaha na ki, us baat ka is sab se koi matlab nahi hai to, matlab nahi hai. Ab iske bad mai is baare me koi baat nahi karna chahti. Tum logon ko jo samjhna ho, samajh sakti ho.”
Jis ajji ke liye abhi sab mil kar shikha ke ghar aaye the. Ab usi ki kisi ek baat ke liye sab aapas me bahas kar rahe the. Mujhe kuch samajh nahi aa raha tha ki, ye sab achanak kya hone laga hai.
Aakhir aisi kya baat hai, jise nisha itna sab hone par bhi kisi ko batana nahi chahti hai. Ek taraf nisha ne kuch bhi batane se inkar kar diya tha. Wahi nisha ka ye jabab sunkar aru ne aur bhi jyada bhadakte huye kaha.
Archna boli “aap kya sochti hai. Yadi aap humko nahi batayegi to, ye baat hume pata nahi chalegi. Yadi aap aisa sochti hai to, aap galat sochti hai. Mai abhi jakar bhaiya se puchhti hu.”
Ye kah kar archna bahar jaane ke liye mud gayi. Lekin tabhi nisha ne uska hath pakad kar use rokte huye kaha.
Nisha boli “tumhe ajji se kuch puchhne ki jarurat nahi hai. Mai nahi chahti ki, uske jakhm fir se taja ho jaye. Mai tumko batati hu ki, wo baat kya hai.”
Ye kah kar nisha ek baar fir kisi gahri soch me dub gayi. Sab besabri se nisha ke bolne ka intejar karne lage. Thodi der bad nisha ne apni baat bolna suru kiya.
Ab aage ki kahani nisha ki jubani….
Jis din aru ki dusri surgery thi, usi raat ko ajji ki mill me aag lag gayi. Aise me ajji ko fauran surat ke liye niklna chahiye tha. Lekin ye aru ki badi surgery thi. Jis vajah se use dard bhi mehsus ho raha tha. Isliye ajji ne apne manager se kaha ki, wo kal ke pahle nahi aa sakta hai.
Magar wo waha ke S.P. ko call kar deta hai. Wo sab sambhal lege. Waha ka S.P. ajji ka dost tha. Isliye ajji ne use call karke apni stithi batayi aur waha ka mahaul sambhal lene ko kah diya. S.P. ne mauke par pahuch kar sab kuch sambhal liya.
Lekin usne shaq ke aadhar par 5 logon ko hirasat me bhi le liya. Jab un 5 logon se sakhti ke sath puchh tachh ki gayi to, un ne kabul kiya ki, ye aag lagi nahi, balki lagayi gayi thi aur isme ajji ki mills ke general manager dhiru shah ka hath tha. S.P. ne unko bhi hirasat me le liya.
Dhiru shah ajji ke pita ji ke samay se unki mills ke general manager the. Lekin ajji ke pita uko apna dost mante the aur un par pura viswas karte the. Isliye ajji ke ghar unka roj ka aana jana tha aur ajji ke parivar ka bhi unke ghar aana jana tha. Dono parivaron ke bich ek dostana mahaul tha.
Ajji unko uncle aunty kah kar pukarta tha aur hetal ajji ko bhaiya kahti thi. Ye silsila ajji ke mata pita ki maut ke bad bhi jaari raha aur ajji ne bhi unko wo hi samman diya, jo ajji ke pita ke samay par unka tha.
Yahi vajah thi ki, aru ke sath huye hadse ke bad bhi, ajji ko apne business ki koi jyada fikar nahi thi. Isi bich ek din hetal ne ajji se ek ladke ko naukri par rakhne ki sifarish ki to, ajji ne us ladke ko apne papa se mila dene ki baat kahi.
Magar hetal ne gusse me ajji se kaha ki, kya aapke liye meri koi aehmiyat nahi hai. Yadi mujhe papa se hi ye baat karna hoti to, mai aap se ye baat kyo kahti. Ab ajji hetal ko apni bahan hi manta tha.
Isliye usne hetal ki baat rakhte huye us ladke ki kabliyat ko dekhte huye, use apni nayi mill me sales manager ki job de di. Wo ladka mehanti honhar hone ke sath sath imandar bhi tha.
Kuch hi din kaam karne ke bad us lakdke ko aehsas hua ki, dhiru shah mill ke maal me bahut gadbadi kar raha hai. Ladke ne ajji ko aagah kiya ki, aapki gair-maujudgi me mill me lakhon ka her fer kiya jata hai.
Lekin ajji is baare me koi kadam utha pata ki, us se pahle hi is baat ki bhanak dhiru shah ko bhi lag gayi. Usne apni chori pakde jaane se bachne ke liye mill me aag laga di. Jab mill me aag lagi to, ajji fauran waha nahi pahuch saka tha.
Dusre din jab ajji waha pahucha to, hetal aur uski mummy rote huye ajji ke pas aayi. Un ne bataya ki, hetal ke papa ko raat ko police pakad kar le gayi. Ajji ne unhe dilasa diya aur apne dost se milne pahuch gaya.
Ajji jab apne S.P. dost se mila to, usne bataya ki, ye log tumhari mill me hera feri karte the aur apni usi hera feri ko chhupane ke liye ab ye mill me aag laga kar use hadse ka roop dena chahte the.
Ye sab baten sun lene ke bad bhi, ajji hetal aur uski maa ki vajah se, dhiru shah par koi mamla darj nahi hone dena chahta tha. Jiski vajah se wo sab log police ki hirasat se chhut gaye.
Magar iske sath hi ajji ne un sabko naukri se nikal diya aur dhiru shah ki jagah us naye ladke ko general manager bana diya. Lekin ye sab to bas ajji ki jindgi me aane wale tufan ki ek jhalak thi.
Asli baat to, ab ajji ke samne aane wali thi. Agle din jab ajji wapas surat pahucha to, un 5 logon me se ek aadmi ajji ke office me aaya. Ajji un par bahut jyada gussa tha. Isliye us ne us aadmi se milne se mana kar diya.
Lekin wo aadmi bahut musibat me tha aur ajji se mile bina jaane ko taiyar nahi tha. Tab ajji ne apne naye manager ko us se milne bheja. Wo jakar us aadmi se mila aur fir aakar, ajji ko bataya ki, kal uski beti ki shadi hai aur dhiru shah ne use paison ka lalach dekar ye kaam karwaya tha.
Magar ab pakde jaane ke bad, dhiru shah ne use paise dene se mana kar diya hai. Isliye wo madad ke liye aapke pas aaya hai. Apne manager ki baat sunkar, ajji ne apne manager se kaha ki, wo jitne paise maang raha hai, use de do. Uske karmo ka fal uski beti ko nahi milna chahiye.
Ajji ki baat maankar, manager ne usko paise de diye. Ajay ki wapsi ki flight ka samay ho raha tha. Isliye wo airport jaane ke liye apne office se bahar aa gaya. Ajji apni car me baithne hi wala tha ki, tabhi us aadmi ne aakar uske pair pakad liye. Wo pair pakad kar ajji se maafi mangne laga.
Lekin ajji us se bahut jyada naraj tha aur uski shakal tak dekhna pasand nahi kar raha tha. Ajji ne gusse me us par bhadakte huye kaha.
Ajay bola “maine tumhara kya bura kiya tha. Jo tumne mujhse badla lene ke liye, hajaron majduron ki roji roti ko jala diya. Ek mill ke jal jaane se mera kuch nahi bigad jayega. Lekin un majduron ka kya. Jinki roji roti ka sahara sirf ye mill hi thi. Mai tumhe is sabke liye kabhi maaf nahi karuga.”
Ajji ko gusse me dekh kar bhi, wo aadami ajji ke pair chhodne ko taiyar nahi tha aur us se apne kiye ki maafi mange ja raha tha. Magar jab ajji ne use maaf nahi kiya to, usne jo paise apni beti ki shadi ke waste liye the. Un paison ko ajji ke pairon ke pas rakhte huye kaha.
Aadmi bola “sahab jab aap mujhe maaf karna nahi chahte hai to, mujh par ye upkar kis liye kar rahe hai. Mujhe mere kiye karmo ki saza milni hi chahiye aur meri saza ye hi hai ki, meri beti ki doli hi na uthe.”
Ye kah kar, wo aadmi rota hua waha se jaane laga. Lekin us aadmi ke aansu dekh aur uski baten sunkar, ajji ka dil pighal gaya. Usne us aadmi ko rokte huye kaha.
Ajay bola “ae ruko, ek to galti karte ho aur apni us galti ki saza apni beti ko dena chahte ho. Wo tumhari beti hi nahi, meri bahan bhi hai aur meri bahan ki doli mere hote koi uthne se nahi rok sakta. Ye paise lo aur khushi khushi uski shadi karke mujhse aakar milo.”
Ye kah kar ajji ne jamin se paise uthaye aur us aadmi ko dene laga. Magar ajji ka ye roop dekh kar wo aur bhi jyada rone laga. Ajji ko ab jaane me der ho rahi thi. Isliye usne us aadmi ko samjhate huye kaha.
Ajay bola “dekho, meri bahan mumbai ke hospital me bharti hai. Mai yadi uske pas nahi pahucha to, wo saara hospital sar par utha legi. Mai ab aur jyada der yaha nahi ruk sakta. Mera abhi hi nikalna jaruri hai.”
Magar us aadmi ne ajji se uski ek baat sunne ko kaha. Apni baat sune bina wo ajji se kisi bhi halat me paise lene ko taiyar nahi tha. Aakhir me ajji ne us se apni gaadi me baithne ko kaha aur fir airport ke liye nikal gaya.
Raste me wo aadmi ajji ko apni baat batane laga. Jise sunkar, ajji ki aankhon se aansu chhalak gaye aur uska chehra gusse se laal ho gaya. Kabhi uski aankhon me apne maa bap ka chehra ghum raha tha to, kabhi uske dimag me us aadmi ki kahi baten ghum rahi thi.
Us ke liye kuch bhi soch pana mushkil ho raha tha. Wo samajh nahi pa raha tha ki, wo kya kare aur kya na kare. Lekin tabhi ajji ke samne aru ka chehra aa gaya aur usne apne aapko sambhalte huye us aadmi ko paise diye aur mumbai aa gaya.
Lekin mumbai aane ke bad bhi, us aadmi ki baton ne ajji ka pichha nahi chhoda tha aur wo us baat ki vajah se bahut bechain tha. Uski is bechaini ko seeru ne bhi mehsus kar liya tha aur isliye usne iski vajah janne ka faisla kiya tha.
Agle din jab meri aur seeru ki baat sunkar, aman surat pahucha to, ajji ghar me hi chahal kadmi karta mil gaya. Wo shayad kisi ke aane ka intejar kar raha tha. Achanak se aman ko apne samne pakar, wo chauke bina na rah saka.
Aman ne use apne aane ki saari baten bata di. Aman ki baat sunte, hi ajji ke dil me daba dard bahar nikal aaya. Wo apne aansuon ko bahne se rok na saka aur aman se lipat kar fut fut kar rone laga.
Ajji ko is tarah tutta hua dekh kar, aman ko samajhte der nahi lagi ki, ajji ko koi bahut badi baat pareshan kar rahi hai. Usne ajji ko dilasa hote huye kaha.
Aman bola “rota kyo hai. Tera bhai tere sath hai na. Mujhe bata kya baat tujhe pareshan kar rahi hai.”
Aman ka sahara pakar, ajji ne apne dil ka gubar nikalte huye use saari baten batayi aur us se kaha.
Ajay bola “mere mata pita ki maut koi road accident nahi thi. Wo ek sochi samjhi sazish thi. Wo ek katl tha.”
Uska chehra gusse se laal ho gaya. Usne ajji ko pakad kar hilate huye kaha.
Aman bola “tu ye kya kah raha hai. Kaun hai wo jisne ye sazish rachi thi.”
Ajay bola “wo koi aur nahi. Humara manager aur papa ka karibi dost dhiru shah hai.”
Ajji ki ye baat sunkar, aman ke dimag me ek aur dhamaka hua. Aman dhiru shah ko ache se janta tha aur use ek bahut acha insan samjhta tha. Ajji ke parivar se dhiru shah ke rishte ko bhi aman janta tha. Isliye use ab bhi apne kaano par viswas nahi ho raha tha.
______________________________
Ko To Rok Lo {Update - 143}
____________________________
Ajji ko is tarah tutta hua dekh kar, aman ko samajhte der nahi lagi ki, ajji ko koi bahut badi baat pareshan kar rahi hai. Usne ajji ko dilasa hote huye kaha.
Aman bola “rota kyo hai. Tera bhai tere sath hai na. Mujhe bata kya baat tujhe pareshan kar rahi hai.”
Aman ka sahara pakar, ajji ne apne dil ka gubar nikalte huye use saari baten batayi aur us se kaha.
Ajay bola “mere mata pita ki maut koi road accident nahi thi. Wo ek sochi samjhi sazish thi. Wo ek katl tha.”
Uska chehra gusse se laal ho gaya. Usne ajji ko pakad kar hilate huye kaha.
Aman bola “tu ye kya kah raha hai. Kaun hai wo jisne ye sazish rachi thi.”
Ajay bola “wo koi aur nahi. Humara manager aur papa ka karibi dost dhiru shah hai.”
Ajji ki ye baat sunkar, aman ke dimag me ek aur dhamaka hua. Aman dhiru shah ko ache se janta tha aur use ek bahut acha insan samjhta tha. Ajji ke parivar se dhiru shah ke rishte ko bhi aman janta tha.
Isliye use ab bhi apne kaano par viswas nahi ho raha tha. Aman ko samajh me nahi aa raha tha ki, dhiru shah jaisa insan aisa kaise kar sakta hai. Aman ne ajji se sawal karte huye kaha.
Aman bola “ye tu kya bol raha hai. Dhiru uncle aisa kyo karege.”
Ajay bola “papa ka ek hospital banane ka sapna tha. Us hospital ke liye un ne ek jamin dekhi thi. Jise wo muh mangi keemat dekar bhi kharidne ko taiyar the. Wo jamin shahar ke bich me thi aur kayi bade log us jamin ko hasil karna chahte the. Magar us jamin ka sauda papa ke sath pakka ho gaya tha.”
“Papa ko us jamin kharidne se rokne ke liye, kisi businessman ne dhiru uncle ko badi rakam di thi. Lekin papa ne unki baat manne se inkar kar diya tha. Jis vajah se dhiru uncle ne unka road accident karwa diya. Mere jis bap ne un par ek sage bhai ki tarah viswas kiya tha. Un ne usi ke sath sirf jara se paise ke liye viswas ghat karke unki jaan le li.”
Ajji ki baat sunkar, aman ki aankhe bhi bhig gayi. Lekin usne ajji ko sambhalte huye kaha.
Aman bola “tu fikar mat kar, use uske kiye ki saza jarur milegi. Mai abhi abhay (S.P.) se baat karta hu. Saale ab jindagi bhar jail ki chakki pisega.”
Ye kah kar aman ne S.P. ko call lagane ke liye apna mobile nikala aur call lagane laga. Lekin ajji ne use call lagane se rokte huye kaha.
Ajay bola “aisa mat kar, jara hetal aur aunty ke baare me bhi soch, ye sab wo log kaise sah payegi.”
Ajji ki baat sunkar, aman ne bhadakte huye kaha.
Aman bola “tu pagal ho gaya ha kya. Jisne tere parivar ko khatam kar diya. Tu usi ke parivar ke baare me soch raha hai.”
Ajay bola “nahi, mai uske parivar ke baare me nahi soch raha hu. Mai apni us bahan ke baare me soch raha hu. Jisne aru ke jaane ke bad, mere akelepan ko mehsus karke, mujhe hasane ki koshish ki thi. Mai apni us bahan ke baare me soch raha hu, jisne dhiru shah ki harkat pata lagne par, apne dost se unhe chhupane ki jagah sab kuch mujhe bata dene ko kaha tha.”
“Mai apni us bahan ke baare me soch raha hu, jise apne pita ke meri mill me aag lagane ki baat pata chali to, usne apne papa ke kaam se nikale jaane par ek baar bhi nakhushi jahir nahi ki aur sharam se usne mera samna karna hi band kar diya. Mai chah kar bhi in sab baton ko andekha kar, use duniya ke samne ek katil ki beti kahlane ki saja nahi de sakta.”
Ajji ki is baat ne aman ko soch me daal diya. Use lag raha tha ki, ajji ne dhiru shah ko maaf kar diya hai. Is baat ki hakikat janne ke liye usne ajji se kaha.
Aman bola “to kya tune is sab ke liye dhiru shah ko maaf kar diya hai.”
Ajay bola “nahi, maine use maaf nahi kiya. Lekin usko saza dena mere bas ki baat nahi hai. Uske is gunah ki saza use upar wala hi dega.”
Abhi ajji aur aman baat kar hi rahe the ki, tabhi ajji ka naya manager uske pas bhagta hua aaya aur usne ajji se kaha.
Manager bola “sir, ek buri khabar hai. Hetal ne apne aapko aag laga li hai aur use hospital le jaya gaya hai.”
Manager bahut jyada ghabraya hua tha aur uski baat sunkar, ajji bhi ghabra gaya. Lekin aman ne manager ki ye haalat dekh kar, us se kaha.
Aman bola “tumhe ye baat kaise pata lagi aur tum itna ghabra kyo rahe ho.”
Aman ki baat sunkar, manager ne haklate huye kaha.
Manager bola “sir, mai hi wo ladka hu, jiske liye hetal ne aisa kadam uthaya hai. Hum dono ek dusre ko bahut pyar karte hai. Ye baat jab uske pita ko pata chali to, wo uski shadi kahi aur pakki karne ki koshish karne lage. Jiski vajah se usne aisa kadam utha liya.”
Uski baat sunkar, ajji ne fauran hospital jaane ki baat ki aur wo teeno hospital pahuch gaye. Hospital me hetal ka jala hua chehra aur use tadapta dekh kar ajji ke aansu nikal gaye. Wahi aman ne hetal ki haalat dekhi to, waha ke doctor se baat ki aur fir usne apni chinta jahir karte huye ajji se kaha.
Aman bola “hetal ne apne aapko marne ki koshish ki hai. Isliye aag lagne ke bad bhi usne apne aapko jara bhi bachane ki koshish nahi ki thi. Jis vajah se wo bahut jyada jal gayi hai. Yaha ke doctor kahte hai ki, uska bachna mushkil hai. Lekin mere khayal se yadi ise jaldi hi mumbai le jaya jaye to, iske bachne ki kuch ummid ki ja sakti hai.”
Aman ki baat sunkar, ajji ne us se kaha.
Ajay bola “hum iska mumbai ke ache se ache hospital me ilaj karwayege. Tum abhi nisha ko yaha ka saara haal batao. Mai tab tak ise mumbai le jaane ka intejam karta hu.”
Ajji ki baat sunkar, aman ne mujhe call laga kar, saari baten batayi. Maine aman se kaha ki, mai har mumkin madad karne ko taiyar hu. Tum ajji se kaho ki, wo jald se jald hetal ko mumbai le aaye. Tab tak mai hetal ke baare me doctor se baat karke rakhti hu.
Aman ki mujhse baat hone ke bad, ajji ne bahar aakar, aunty se kaha ki, hetal ko ilaj ke liye mumbai le jana jaruri hai. Hum hetal ko mumbai le jana chahte hai. Ajji ki baat par aunty ne to apni sahmati de di.
Lekin dhiru shah ne hetal ko kahi bhi le jaane se mana kar diya. Is par ajji ko us par gussa aa gaya aur usne gusse me dhiru shah ka gireban pakad kar, use dhamkate huye kaha.
Ajay bola “tu mere maa bap ka katil hai. Ye jante huye bhi yadi maine tujhe kuch nahi kaha hai to, uski vajah sirf hetal hai. Lekin yadi hetal ko kuch hua to, tu itna samajh kar rakh le ki, tujhe mujhse koi nahi bacha sakta. Teri boti boti karke yadi kutto ko na khila diya to, mai bhi apne bap ki aulad nahi.”
Us wakt ajji ki aankhon se shole baras rahe the. Jiske samne dhiru shah ki bolti band ho gayi aur sath hi uski najron se ye parda bhi uth gaya ki, uski kaali kartoot ke baare me koi kuch nahi janta.
Wahi aunty bhi ajji ki ye baat sunkar, sann rah gayi thi. Unhe samajh me nahi aaya ki, ajji ye kya kah raha hai. Wo ajji se is baare me janna chahti thi. Lekin ajji ne abhi hetal ko dekhne ki baat kah kar baat ko taal diya.
Uske bad ajji hetal ko mumbai lane ke intejam me lag gaya. Dhiru shah ki himmat nahi huyi ki, wo ajji ko aisa karne se rok sake. Kuch hi der me hetal ko mumbai le aaya gaya aur use mumbai ke ek bade se hospital me bharti kara diya gaya.
Ajji ke sath aunty aur wo manager bhi aaya tha. Wo manager hetal ko dekh kar, rota hi ja raha tha. Aman ne use dilasa dete huye kaha.
Aman bola “fikar mat karo. Mujhe ummid hai ki hetal bach jayegi. Lekin ab wo pahle ki tarah sundar nahi ho sakti. Kya aise me bhi tum uska sath de sakoge.”
Aman ki baat sunkar, us manager ne kaha.
Manager bola “sir, wo bach bas jaye aur mujhe kuch nahi chahiye. Aag se uska sharir jarur jal gaya hai. Lekin uske dil me mere liye jo pyar basa hua hai. Wo pyar to nahi jala na.”
“Mai hetal se ab bhi pyar karta hu aur mai aapko yakin dilata hu ki, mai har haal me hetal ka sath nibhuga. Mere liye wo hamesha hi wo hi hetal rahegi, jo jalne se pahle thi. Bas aap use bacha lijiye.”
Manager ki baat sunkar, ajji ne use dilasa dete huye kaha.
Ajay bola “hetal ko kuch nahi hoga. Wo bilkul thik ho jayegi. Mujhe khushi hai ki, meri bahan ne tum jaise ladke ko apne liya chuna hai. Lekin sath hi is baat ka dukh bhi hai ki, usne aisa kadam uthane se pahle ek baar to apne is bhai ko aajma kar dekh liya hota. Mai itna bura to nahi tha ki, uski shadi tumse nahi karwata.”
Ye kahte kahte ajji ki aankhen chhalak gayi. Wahi us manager ne hetal ki taraf se safai dete huye kaha.
Manager bola “nahi, sir aisa nahi hai. Usne mujhe aapke pas job par hi isliye rakhwaya tha ki, yadi aap mujhe pasand kar lete hai to, fir uske papa ko manana mushkil nahi hoga.”
“Lekin wo pahle se hi apne papa ki mill me hera feri karne ki harkat ki vajah se sharminda thi. Us par uske papa ne mill me aag laga kar, use aur bhi sharminda kar diya. Jiski vajah se wo aapka samna karne ki himmat nahi kar pa rahi thi.”
“Is baat ko lekar uska apne papa se bahut jhagra hua. Usne usi din ghar chhodne ke faisla kar liya aur mere samne shadi karne ki baat rakh di. Magar ye saari baten uske papa ko pata chal gayi aur wo use ghar me band kar, uski shadi kahi dusri jagah pakki karne lage.”
“Aap pahle hi mill aur apni bahan ko lekar pareshan the. Aise me wo aap par koi naya bojh nahi dalna chahti thi. Jab use kuch samajh me nahi aaya to, usne gusse me aisa kadam utha liya.”
Manager ki baat sunkar, ajji ke aansu thamne ki jagah aur bhi bahne lage. Usne apne man ka gubar nikalte huye kaha.
Ajay bola “pata nahi upar wala mujhe kis gunah ki saza dena chahta hai. Yaha ek bahan ke chehre ke daag mitane aaya to, waha dusri bahan ne apne chehre ko jakhmi kar liya. Usne ye tak nahi socha ki, bahne kabhi bhaiyon par bojh nahi hoti. Wo to bhaiyon ke sar ka taj hoti hai, bhaiyon ke dil ka shukun hoti hai.”
Ajji ka ye roop dekh kar aman ka dil bhi bhar aaya. Aaj use ye baat samajh me aa rahi thi ki, ajji ke liye sabse jyada aehmiyat aru ki hone ke bad bhi, seeru aur selu, ajji se itna jyada pyar kyo karti hai.
Kyoki bhale hi ajji ke dil me aru ke liye jo pyar tha uski barabari koi nahi kar sakta tha. Lekin iske bad bhi uske dil me apni har ek bahan ke liye itna pyar tha ki, har ek bahan uske liye jaan dene ko taiyar rahti thi.
Ajji ne dhiru shah wali baat kisi ko bhi batane se mana kar diya tha. Jiski vajah se hetal ke hospital me rahne ki baat ko bhi abhi raz rakhna jaruri ho gaya tha. Ab ajji ki jindgi do hospital ke bich simat ka rah gayi thi.
Din me wo hetal ki hospital me rahta to, raat ko aru ke sath hospital me rahta aur bich ke 2-4 ghante ke liye apne business ko bhi dekh leta. Ajji ka business ab ram bharose chal raha tha.
Kyoki uska wo manager jis par wo sabse jyada viswas karne laga tha. Wo bhi ab uske sath mumbai me hi dera daale huye tha. Kuch din bad, hetal ki tabiyat me sudhar hone laga aur doctor ko uske bachne ki ummid najar aane lagi to, hetal ki mummy ne dhiru shah ko phone par bahut khari khoti sunayi.
Jiske bad dhiru shah mumbai aaya. Lekin hetal ne use dekh kar, muh fer liya. Jise dekh kar use laga ki, hetal ko uski saari sachchai ka pata lag gaya hai. Magar aunty ne use dutkar lagate huye bataya ki, ajji ne wo baat hetal to kya, kisi se bhi kahne se mana kiya hai.
Is sab ko dekh sun kar dhiru shah ko apne kiye par bahut pachhtawa hua aur wo ajji ke ghar ka pata hasil kar, us se milne shikha ke ghar pahuch gaya. Apne samne dhiru shah ko dekh kar, ajji ko gussa to bahut aaya. Lekin wo shikha ke ghar me kisi tarah ka koi hangama khada karna nahi chahta tha.
Dhiru shah us se apni galti ki maafi mangta raha aur ajji use kisi bhi haalat me maaf karne se mana karta raha. Jab dhiru shah ne dekha ki, ajji use kisi bhi haalat me maaf karne ko taiyar nahi hai. Tab wo khud ko kanun ke hawale karne ki baat kah kar udhar se jaane laga.
Ajji ko ab bhi uski baat me sachchai najar nahi aa rahi thi. Lekin wo yadi sach me apne aapko kanun ke hawale kar deta hai to, shayad ye hetal ke liye acha na ho. Bas ye hi soch kar ajji ne usko rokte huye, us se puchha ki, usne aisa kyo kiya. Usne uske pita ke sath itna bada viswas ghat kyo kiya.
Iske jabab me dhiru shah ajji ke samne apni saari sachai khol kar rakh deta hai. Jise sunne ke bad, ajji ko mehsus hota hai ki, wo jhuth nahi bol raha hai. Lekin fir bhi ajji ka dil dhiru shah ko maaf karne ke liye taiyar nahi ho raha tha. Aise halat me ajji ne us se sawal karte huye kaha.
Ajay bola “jab aapko apni galti ka aehsas ho hi gaya tha to, aap mere pas kyo aaye. Aapne apne aapko sidhe kanun ke hawale kyo nahi kar diya. Aakhir aapke is jurm ki saza to aapko sirf kanun hi de sakta hai.”
Ajay ki baat sunkar, dhiru shah ne sharminda hote huye kaha.
Dhiru shah bola “mai apne aapko kanun ke hawale hi karne ja raha tha. Lekin tumhari aunty ne kaha ki, kanun se pahle mai tumhara mumjrim hu. Isliye mujhe maaf karne ya saza dene ka pahla adhikar tumhara hai. Isliye un se tumhara pata lekar mai yaha aa gaya.”
Dhiru shah ki baat sunkar, ajji ko lag raha tha ki, wo sach me apne kiye par sharminda hai. Isliye ajji ne use maaf karte huye kaha.
Ajay bola “yadi aapko sach me apni galti ka aehsas hai to, bhool jaiye in sab baton ko aur hetal ko uska aisa bap de dijiye. Jiski vajah se use mere to, kya kisi ke samne bhi sarminda na hona pade.”
Ajji ki baat ke jabab me dhiru shah ne kaha.
Dhiru shah bola “in sab baton ko mai itne saal tak bhoola tha. Magar ab in baton ko bhulana mere bas me nahi hai. Mai sirf tumhara ya apni beti bas ka gunahgar nahi hu. Balki un hajaron logon ka bhi gunahgar hu. Jinke ilaj ke liye ek hospital kholne ka sapna tumhare pita dekh rahe the. Itne logon ka gunahgar hone ke bad, mai maafi nahi sirf saza hi chahta hu. Tumne mujhe maaf kar diya hai to, ab mai kanun ki saza bhi khushi khushi kabul kar luga.”
Dhiru shah ki baat sunkar, ajji ki aankhon me apne pita ka chehra ghumne laga. Ajji ne apne pita ke sapne ke baare me sochte huye dhiru shah se kaha.
Ajay bola “mere pita ka wo sapna jarur pura hoga aur wo sapna mai pura karuga. Mai india ka sabse bada hospital banauga. Jisme aane wale har insan ka ilaj uski bimari ko dekh kar kiya jayega. Uski amiri garibi dekh kar nahi.”
Ajji ki is baat ko sunkar, dhiru shah ke chehre par chamak aa gayi. Usne ajji ke samne hath jod kar kaha.
Dhiru shah bola “beta yadi ye sach hai to, mujhe bhi us hospital ke kaam me shamil kar lo. Mai waha eit patthar hi dho luga. Shayad is kaam se hi meri aatma ka bojh kam ho jaye.”
Dhiru shah ki is baat ke jabab me ajji ne us se kaha.
Ajay bola “aur us jali huyi mill ka kya hoga. Jise aapne apne fayde ke liye jala diya tha.”
Ajji ki ye baat sunkar, dhiru shah ka sar sharam se jhuk gaya. Lekin ajji ne apni baat ko aage badate huye kaha.
Ajay bola “aapko eit patthar dhone ki jarurat nahi hai. Hume itne bade hospital ko banane ke liye bahut paiso ki jarurat padegi. Aap surat jaiye aur us jali mill ko jaldi se suru karne ki koshish kijiye. Kyoki ab jab tak wo hospital nahi ban jata. Tab tak mai mumbai me hi rahna chahta hu.”
Ajji ki puri baat sunkar dhiru shah ne kaha.
Dhiru shah bola “lekin beta, ab mai tumhari mills me kaam karne ke kabil nahi raha. Mai ab ye kaam nahi kar sakta.”
Dhiru shah ki baat ke jabab me ajji ne use samjhate huye kaha.
Ajay bola “kaun kabil hai aur kaun kabil nahi hai. Iska faisla aap mujh par chhod dijiye. Aap mera sath dena chahte hai ya nahi, iska faisla mai aap par chhod deta hu. Aapko jo thik lage aap faisla le sakte hai.”
Ajji ki is baat ke bad, dhiru shah ke pas kuch bhi kahne ko nahi bacha tha. Usne ajji ka sath dene ka vada kiya aur fir aunty ko saari baat bata kar, wo wapas surat jakar, ajji ka business dekhne laga.
Wo sachche man se apni galti ka prashchit kar raha tha. Jis baat ka sabut wo jali huyi mill thi. Jiske baare me ajji ka anuman tha ki wo teen mahine se pahle chalu nahi ho sakti.
Lekin dhiru shah ne us mill ko din rat mehnat karke ek mahine ke andar hi chalu kar diya tha. Idhar hetal ki haalat me bhi dino din sudhar aa raha tha. Jis vajah se hetal ka boyfriend bhi apne kaam par wapas chala gaya tha.
Ajji ko ab business ki taraf se jyada chinta nahi thi. Isliye ab wo apne pita ke sapne ko pura karna chahta tha. Aru ke ghar wapas aate hi ajji ne, mere aur aman ke samne hospital banane ki baat rakh di.
Iske bad humne ek badi si jamin kharid kar, waha hospital ki imarat khade karne ka kaam laga diya. Jiska kaam ab samapti ki taraf hai. Ajji ne is hospital ke liye 7 trustees banaye hai. Ye trustees Mai, Aman, Shikha, Barkha, Seerat, Selu aur Hetal hai.
Ajji ko dar tha ki, sachchai pata chalne ke bad shayad shikha uski shakal bhi dekhna pasand na kare. Isliye usne is hospital me kahi bhi apna ya aru ka naam shamil nahi kiya hai.
Ye hospital ajji ke pita ka sapna tha. Lekin aakhiri samay me usne isme se apne pita ka naam alag kar ise shikha ke bhai ke naam par kar diya. Ajji hospital ke pure hone tak mumbai me hi rahna chahta tha.
Lekin shikha ko sachchai batane ke bad, yadi shikha ka man uski taraf se nahi badalta to, aise me uska mumbai me rah pana mushkil ho jata. Bas isi vajah se ajji apni sachchai ko batane ke liye hospital ke pure hone ka intejar kar raha tha.
Taki uski sachchai janne ke bad, yadi shikha ka dil, uski taraf se nahi badalta hai to, wo shikha ki jindgi se, hamesha hamesha ke liye chala jaye.
Ab aage ki kahani punnu ki jubani….
Itna kah kar nisha chup ho gayi. Ajji ki kahani batate huye uski aankhen bhig chuki thi. Lekin ye haal us akeli ka nahi tha. Waha khade har ek ki aankhon me nami chha gayi thi. Nisha ki baat sunne ke bad, hetal ne rote huye shikha se kaha.
Hetal boli “bhabhi, kya bhaiya ke baare me itna sab janne ke bad bhi, aapke dil se nafrat khatam nahi huyi.”
Pahli baar kisi ne shikha ko bhabhi kah kar pukarne ki himmat dikhayi thi. Hetal ki baat sunte hi, sab ki najar shikha ki taraf uth gayi. Lekin shikha ab bhi apne sar ko jhukaye, aansu baha rahi thi. Shikha ko khamosh dekh, kar selu ne baat ko aage badate huye kaha.
Selina boli “aap yadi naraj hai to gussa hi kar lijiye. Lekin kuch to boliye.”
Hetal aur selu ki baat sunkar, nikki se bhi chup nahi raha gaya. Usne bhi apni baat samne rakhte huye kaha.
Nikki boli “aapki khamoshi yahi bata rahi hai ki, aap bhi bhaiya ko bahut pyar karti hai. Fir ye jhuthi narajgi kis liye dikha rahi hai.”
Nikki ka ye kahna tha ki, shikha bhadak uthi. Usne nikki ki baat ka gusse me jabab dete huye kaha.
Shikha boli “mera gussa jhutha hai. Sachche to, sirf tum log aur tumhare bhaiya hai. Tumhare bhaiya tumhare liye devta hai to, kya mera bhai mere liye kuch nahi tha. Tumhare bhaiya devta ho sakte hai. Magar meri najar me wo mere bhaiya ke katil hai aur katil hi rahege.”
Shikha ke jabab se sabhi ke chehre par nirasha ke badal chha gaye. Lekin seeru ne shikha ke samne haar na mante huye kaha.
Seerat boli “aapka kahna sahi hai. Lekin aapke bhaiya aunty ke bete bhi the. Aunty ne to unko is baat ke liye maaf kar diya hai. Aapke bhaiya barkha ke bhi bhaiya the. Ab jara barkha se bhi puchh kar dekh lijiye ki, wo mere bhaiya ko katil manti hai ya nahi.”
Magar shikha ne seeru ki chaal me na faste huye taka sa jabab dete huye kaha.
Shikha boli “meri maa aur bahan unko kya samajhti hai. Is se mujhe koi matlab nahi hai. Mere dil me unke liye nafrat thi, nafrat hai aur hamesha nafrat rahegi. Mai unko kya samajhti hu. Ye ab maine tumko bata diya. Ab iske bad mai kuch sunna nahi chahti.”
Shikha ke is jabab ko sunkar, seeru ki bhi bolti band ho gayi. Sab ki shikha ko samjhane ki saari koshish bekar ho chuki thi. Magar ab tak khamoshi se sab kuch sun rahi aru ke dil me, shikha ki apne bhaiya ke baare me kahi gayi, ye baten chubh gayi.
Itna sab kuch sunne ke bad, uske liye ab apna gussa rok kar rakh pana mushkil ho gaya tha. Usne bhadakte huye shikha se kaha.
Archna boli “ye aapne unko unko kya laga rakha hai. Yadi aapko unse itni hi nafrat hai to, unko itni ijjat dene ki jarurat kya hai. Sidhe unka naam lekar kyo nahi bulati. Apne bhai ke katil ko itni ijjat dete huye aapko sharam nahi aati.”
Aru ki jali kati baten sunkar, shikha harani se uske is badle huye roop ko dekhne lagi. Wahi nikki aru ko bolne se rokne ki koshish karne lagi. Lekin aru ne usko apne pas se door dhakelte huye shikha ke samne aate huye kaha.
Archna boli “aapki nafrat sirf us ek bottel khoon ki vajah se hai na. Jiski vajah se aapke bhai ki jaan gayi aur jo abhi meri ragon me bah raha hai. Aaj mai ye jhagra hi khatam kar deti hu.”
Ye kah kar aru ne samne table par rakha hua, chaku (knife) ek jhatke me utha liya aur apna hath shikha ke samne kar, bijli ki gati se khach khach do baar chaku ghuma diya.
Ye sab kuch itna achanak hua tha ki, kisi ko bhi kuch najar nahi aaya aur jab tak najar me aaya, tab tak khoon se sana hua chaku, aru ke hath se chhut kar jamin par aa gira tha.
______________________________
Ko To Rok Lo {Update - 144}
____________________________
Itna sab kuch sunne ke bad, uske liye ab apna gussa rok kar rakh pana mushkil ho gaya tha. Usne bhadakte huye shikha se kaha.
Archna boli “ye aapne unko unko kya laga rakha hai. Yadi aapko unse itni hi nafrat hai to, unko itni ijjat dene ki jarurat kya hai. Sidhe unka naam lekar kyo nahi bulati. Apne bhai ke katil ko itni ijjat dete huye aapko sharam nahi aati.”
Aru ki jali kati baten sunkar, shikha harani se uske is badle huye roop ko dekhne lagi. Wahi nikki aru ko bolne se rokne ki koshish karne lagi. Lekin aru ne usko apne pas se door dhakelte huye shikha ke samne aate huye kaha.
Archna boli “aapki nafrat sirf us ek bottel khoon ki vajah se hai na. Jiski vajah se aapke bhai ki jaan gayi aur jo abhi meri ragon me bah raha hai. Aaj mai ye jhagra hi khatam kar deti hu.”
Ye kah kar aru ne samne table par rakha hua, chaku (knife) ek jhatke me utha liya aur apna hath shikha ke samne kar, bijli ki gati se khach khach do baar chaku ghuma diya.
Ye sab kuch itna achanak hua tha ki, kisi ko bhi kuch najar nahi aaya aur jab tak najar me aaya, tab tak khoon se sana hua chaku, aru ke hath se chhut kar jamin par aa gira tha.
Lekin jaisa sab soch rahe the, waisa kuch bhi nahi hua tha. Hua wo tha, jiske hone ki koi kalpna bhi nahi kar sakta tha. Aru ne furti se chaku utha kar, bijli ki gati se chaku apne hath par chala to diya tha.
Magar us se bhi jyada teji shikha ne dikhayi thi. Shikha ne aru ke chaku uthate hi, use rokne ke liye furti se apne hath aage failaye the. Jiska natija ye hua ki wo chaku aru ke hath par na chal kar, shikha ke faile huye hathon par chal gaya.
Jis se shikha ke hath lahu luhan ho gaye the. Shikha ke lahu luhan hathon ko dekhte hi aru ke hath se chaku chhut kar jamin par ja gira aur uski aankhon se aansu bahne lage.
Wahi nisha ye sab dekh kar, fauran shikha ke pas aa gayi. Usne aru se shikha ke dono hathon ko pakadne ka bola aur fir barkha se first-aid box lane ko kaha. Iske bad nikki ko apni car ki chabi dekar usse apna medical bag mangwaya.
Udhar aru ko ye samajh me nahi aa raha tha ki, uske hath se ye sab kaise ho gaya. Wo khamoshi se shikha ke dono hath pakad kar ghutno ke bal jamin par baithi huyi thi.
Shikha ke hath se bahte khoon ko dekh dekh kar, aru ke aansu bhi rukne ka naam nahi le rahe the. Idhar first-aid box ke aate hi, nisha ne shikha ki dressing (marham-patti) karna suru kar diya.
Tab tak nikki bhi uska medical bag lekar aa gayi thi. Dono hathon ki dressing ho jaane ke bad, nisha ne apne bag se ek injection nikal kar, shikha ko laga diya aur fir chain ki saans lete huye wapas apni jagah par aakar baith gayi.
Shikha ke dono hathon me ab pattiyan bandhi huyi thi aur aru ab bhi shikha ke pas jamin par baithi, uske hathon ko hi dekh rahi thi. Aru ko rote dekh kar, shikha ne apne hath bada kar, uske aansu pochhna chaha.
Lekin aru ne bich me hi uske hathon ko pakad kar, apne hathon me tham liya aur fir unhe dekh kar, bilakh kar rote huye kaha.
Archna boli “aapne aisa kyo kiya. Kya hum bhai bahan ki kismat me, bas aapko dard dena hi likha hai.”
Aru ka rona is tarah ka tha ki, patthar ka bhi kaleja chhalni kar deta. Fir wo to shikha thi, jiske dil me aru ke liye beshumar pyar chhupa tha. Us se ab apne dil ka haal aur chhupate na bana. Usne aru ki is baat ka jabab dete huye kaha.
Shikha boli “tumne mujhe koi dard nahi diya hai. Aaj yadi tumhare khoon ki ek boond bhi is ghar me gir jati to, mai kabhi tumhare bhaiya se najar nahi mila pati. Maine jo kiya, apni khushi ke liye kiya. Is sab me tumhara koi dosh nahi hai.”
Shikha ki in baton me aru ko ek ummid ki kiran najar aayi. Usne fir se apni baat ko shikha ke samne rakhte huye kaha.
Archna boli “jab aap bhaiya ko itna chahti hai to, fir aap khud is baat ko kyo nahi samajhti ki, mere bhaiya aapke bina nahi rah payege. Plz unhe maaf kar dijiye.”
Lekin aru ki is baat par shikha ne, use apni safai dete huye kaha.
Shikha boli “maaf to use kiya jata hai, jab koi apni galti ki maafi mang raha ho. Jo apni galti hi na manta ho, use kaun maaf kar sakta hai. Yaha itna sab kuch ghat gaya. Lekin un ne ek baar andar aakar, ye dekhne tak ki jarurat nahi samjhi ki, anadar kise kya ho gaya.”
Shikha abhi apni baat puri bhi nahi kar payi thi ki, tabhi nikki ne uski baat ko katte huye kaha.
Nikki boli “abhi jab mai bahar gayi thi. Tab bhaiya bahar nahi the. Unka saman bahar khadi gaadi me chadaya ja raha hai. Wo shayad upar apne kamre me the.”
Nikki ki baat sunte hi sabko ek jhatka sa laga. Seeru aur selu bahar jaane ke liye huyi thi ki, maine unko rokte huye kaha.
Mai bola “didi aap log ek min rukiye. Kya aap logon ko aisa lagta hai ki, aapke bhaiya gusse me koi galat kadam utha sakte hai. Yadi aap manti hai ki, wo galat kadam utha sakte hai to, aap beshak unke pas jakar, unhe aisa karne se rokiye. Lekin yadi aapko aisa nahi lagta hai to, aapko kahi bhi jaane ki jarurat nahi hai.”
Meri baat sunkar, wo dono bahar jate jate ruk gayi. Magar ajji ke jaane ki baat soch soch kar, sabki dhadkane badi huyi thi. Tabhi shikha gusse me uthi aur uth kar bahar chali gayi. Uske pichhe pichhe barkha jaane ko huyi to, maine use bhi rokte huye kaha.
Mai bola “didi, ab kya aapko bhi alag se yahi rukne ke liye bolna hoga. Humara unko samjhane ka kaam ho gaya hai. Ab un dono ko apne gile sikwe mitane ka mauka dijiye. Dekhna jab wo niche aayege to, sab kuch thik ho jayega. Kyoki humse jyada wo dono ek dusre ko samajhte hai.
Meri baat sunkar, barkha bhi wapas apni jagah par jakar khadi ho gayi. Lekin nisha ne mujhe nishana banate huye kaha.
Nisha boli “ae hero, shikha aur barkha bhi teri didi. Seeru aur selu bhi teri didi. Aakhir tu dono me se kiski taraf se hai.”
Nisha ki is baat ka jabab maine bhi usi ke andaj me dete huye kaha.
Mai bola “bhabhi, mai to aapki aur aapki bahan ki taraf se hu.”
Mera jabab shayad kisi ki samajh me nahi aaya tha. Isliye sab sochte rah gaye the. Lekin nisha ne mere jabab ka matlab samajh liya tha. Usne fauran haste huye kaha.
Nisha boli “tu baat ko ghuma fira kar wahi le aaya. Mujhe bhabhi bol kar, aru logon ka bhai ban gaya aur meri bahan ka sath dekar, shikha ka bhai bhi ban gaya. Tu bahut chalak hai.”
Nisha ki baat samajh me aate hi sab hasne lage. Sabko haste dekh kar nisha bhi baat ko badati ja rahi thi. Mai uske aisa karne ke matlab samajh gaya tha. Wo sabko baton me uljha kar, sabka dhyan shikha aur ajji ki taraf se bhatkana chahti thi aur wo apni is koshish me kamyab bhi ho rahi thi.
Aru ko chhod kar, sabka dhyan nisha ki baton ki taraf hi tha. Aru bhi sabki baten sunkar, muskura rahi thi. Magar uska chehra is baat ki gawahi de raha tha ki, uska dhyan abhi bhi apne bhaiya aur bhabhi ki taraf hi laga hai.
Abhi hum logon ki baton ka silsila chal hi raha tha ki, tabhi mera mobile bajne laga. Maine dekha to, shikha ka call aa raha tha. Maine call uthaya to, shikha ne upar aane ko kaha.
Maine sab se bataya ki, didi mujhe bula rahi hai. Itna bol kar mai upar chala gaya. Mai upar pahucha to shikha ka chehra khila hua tha. Maine shikha ke pas pahuch kar, apne dono kaan pakad kar us se kaha.
Mai bola “sorry didi, mai aapki hi taraf tha. Bas aapko gussa dila kar, yaha bhejne ke liye mujhe ajji ki taraf hone ka natak karna pada.”
Meri baat sunkar, shikha ne chaukte huye kaha.
Shikha boli “lekin aapko kaise pata ki, inke jaane ki baat sunkar, mai gusse me idhar aaugi.”
Mai bola “ye sab baten hum bad me bhi kar lege. Abhi sab besabri se niche aap logon ka intejar kar rahe hai. Aap pahle ye bataiye ki, aapne mujhe yaha kisliye bulaya hai. Fir aap dono niche chaliye.”
Meri baat sunkar, shikha ne apni pareshani batate huye kaha.
Shikha boli “sabko humare ghar aaye bahut der ho gayi hai. Ab khane ka time bhi ho raha hai. Kya sabko khana khaye bina jaane dena thik rahega.”
Mai bola “bilkul nahi, humko kisi ko bhi bina khana khaye nahi jaane dena hai.”
Shikha boli “mai ye hi baat inse bol rahi thi. Lekin ye kahte hai ki, kuch nahi hota. Sab ghar ke hi log hai.”
Mai bola “inko kahne dijiye. Sab humare ghar aaye hai. Sab ki khatir karna humara farz hai. Aap sirf ye bataiye ki, sabko khilana kya hai. Baki sab aap mujh par chhod dijiye.”
Shikha boli “jo aapko thik lage, le aaiye. Lekin jara jaldi. Kyoki ab sab thik hote hi, sabko bhagne ki jaldi padegi.”
Ye kah kar, shikha mujhe paise dene lagi. Magar maine paise lene se mana karte huye kaha.
Mai bola “didi, mere pas itna paisa to hai ki, mai ghar aaye huye mehmano ki khatirdari kar saku.”
Meri baat sunkar, ajji ne bhi shikha ko paise dene se rok diya. Iske bad mai aur ajji niche aa gaye. Lekin shikha niche aane se sharma rahi thi. Niche sabki najre darwaje par hi tiki huyi thi.
Humare niche aate hi seeru, selu, barkha, hetal, nikki aur aru daud kar humare pas aa gayi. Is se pahle ki, koi kuch bol pata, uske pahle hi maine sab se kaha.
Mai bola “ab aap log meri didi ko apne ghar le jaane ki tarikh pakki kar lo.”
Meri baat sunte hi sabhi ne upar ki taraf daud laga di. Lekin maine nikki ko rokte huye kaha.
Mai bola “aap apni bhabhi se kuch der bad mil lena. Abhi to aap meri didi ke kaam se mere sath chaliye.”
Meri baat sunkar, nikki ka chehra murjha gaya. Shayad is samay usko mere sath jana acha nahi lag raha tha. Maine uska utara hua chehra dekha to, us se kaha.
Mai bola “koi baat nahi, aap bhi jakar apni bhabhi se mil lo. Mai akela hi chala jata hu.”
Lekin meri baat sunte hi nikki ka chehra wapas khil utha. Usne mujhse jaldi se kaha.
Nikki boli “aap bas 2 min ruko, mai 10 min me aati hu.”
Itna kah kar wo bina mera jabab sune hi upar bhag gayi. Nikki ki baat ko jab maine samjha to, mai bhi hase bina na rah saka. Nisha andar aunty ke sath baithi thi to, maine ajji ko andar jaane ko kaha aur mai nikki ke wapas aane ka intejar karne laga.
______________________________