• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 151}
____________________________

Nikki ke jaane ka dukh to mujhe bhi ho raha tha. Magar uski itni beijjati hone ke bad mera dil nahi chahta tha ki, wo yaha par rahe. Shayad priya ne bhi ye hi baat mehsus ki thi.

Isliye usne khud hi nikki se seeru didi logon ke sath chale jaane ko kaha tha. Jis ladki ne khud ki galti hone par, mujhe apne ghar se, jaane se rokne ke liye apni puri takat laga di thi.

Aaj usi ladki ne, apni chachi ki galti par, khud hi apni jaan se pyari saheli ke, apne ghar se chale jaane ki baat par, hanste hanste muhar laga di thi. Mai man hi man priya ke is insaf ki tarif kiye bina na rah saka.

Mai is samay usko hone wale dard ko, khud bhi mehsus kar pa raha tha aur uska ye dard mehsus karke, mai bhi apni aankhon me aansu aane se na rok saka tha. Aaj pahli baar mujhe mehsus ho raha tha ki, priya kitni aasani se apne haste huye chehre ke pichhe, apne saare gam chhupa kar rakh leti hai.

Usne nikki ko ek pal ke liye bhi ye mehsus nahi hone diya tha ki, use nikki ke jaane ka koi gam hai. Jabki nikki ke jate hi wo ab foot foot kar ro rahi thi. Aaj pahli baar priya mujhe kisi baat me keerti se bhi upar najar aa rahi thi.

Nikki ke jaane ka dukh waha khade sabhi logon ko ho raha tha. Khaskar jis vajah se uska jana hua tha, wo vajah aur bhi jyada dukh pahuchane wali thi. Fir bhi mohini aunty ke waha rahne ki, vajah se sabko nikki ka waha se jana hi thik lag raha tha.

Padmini aunty ne priya ko chup karaya aur fir hum sab log ghar ke andar aa gaye. Sab hall me aakar gum sum se baith gaye. Mujhe waha baithna acha nahi lag raha tha. Isliye mai uth kar, apne kamre me aa gaya.

Mai apne kamre me wapas aaya to, aate hi meri najar un gift par padi, jnhe thodi der pahle hum sab mil kar dekh rahe the. Abhi thodi der pahle waha kitna hansi khushi ka mahaul tha aur ab ek udasi bhara sannata fail gaya tha.

Wo saare gift mujhe nikki ne hi lakar diye the. Ye baat yaad aate hi, nikki ki kami ke aehsas se, meri aankhon me nami chha gayi. Mai na chahte huye bhi nikki ke baare me sochne par majbur ho gaya tha.

Mai jab pahli baar is ghar me aaya tha to, nikki hi wo ladki thi, jise mai sabse jyada napasand karta tha. Lekin nikki ne khud se aage aakar, meri madad ki aur fir aur agle hi din wo meri sabse achi dost ban gayi thi.

Yaha tak ki use mere aur keerti ke rishte ka pata hone ke bad bhi, usne is baat ko sabse raz banaye huye hi rakha tha. Jabki aaj meri vajah se hi use is beijjati ka samna karna pad gaya tha.

Meri vajah se isliye kyoki, wo to boarding wapas ja rahi thi. Lekin meri vajah se use apna boarding wapas jana rokna pada tha aur aaj keerti ki ek jara si nadani ki vajah se uski itni jyada beijjati ho gayi thi.

Magar mai is sabke liye keerti ko bhi doshi nahi maan sakta tha. Kyoki keerti ki har soch mujhse hi suru hoti thi aur mujh par hi jakar khatam ho jati thi. Usne ye sab kyo kiya, ye to mai nahi janta tha.

Magar itna jarur janta tha ki, usne ye kisi na kisi vajah se mere liye hi kiya tha. Mujhe ab bahut jyada akelapan sata raha tha aur mera man keerti se baat karne ka kar raha tha.

Lekin abhi wo school me thi aur mai us se baat nahi kar sakta tha. Isliye maine apna dil halka karne ke liye chhoti maa ko call laga diya. Lekin hamesha ki tarah abhi bhi unka call uthne ka naam nahi le raha tha.

Mujhe unki is baat par bahut gussa aata tha ki, wo kabhi bhi apna mobile apne pas nahi rakhti thi. Abhi bhi shayad unka mobile unke kamre me tha aur wo kisi kaam me busy thi.

Fir bhi unse baat karne ki becheni ki vajah se mai unko call lagata hi ja raha tha. Mai abhi chhoti maa ko call laga hi raha tha ki, tabhi mujhe priya aati huyi dikhayi di. Wo apne kapde badal chuki thi.

Abhi usne pink skirt aur white top pahna hua tha. Aise lag raha tha, jaise ki wo kahi jaane ki tiayari me hai. Use dekhte hi mai apne chehre par hath fer kar, apni aankhon me chhayi nami ko pochhne laga.

Lekin use mere chehre ko dekh kar, meri haalat ka aehsas ho chuka tha. Usne mere pas aakar baithte huye, badi hi masumiyat se kaha.

Priya boli “nikki ki yaad aa rahi hai na.”

Maine priya ki is baat par muskurane ki nakam koshish karte huye kaha.

Mai bola “haan, uske bina bahut soona soona sa lag raha hai.”

Meri baat sunkar, priya ne meri baat ka majak uda kar, muskurate huye kaha.

Priya boli “to are isme itna gam manane ki jarurat kya hai. Tumhara khalipan bhagane ke liye mai jo yaha hu.”

Priya ki ye baat sunkar, mai gaur se priya ke chehre ko dekhne laga. Priya ke is pal pal badalte roop ko samajh pana mere bas ki baat nahi thi. Mai uske chehre ko dekh kar, ye janne ki koshish karne laga ki, uski ye muskurahat asli hai ya fir ye muskurahat sirf mera dil bahlane ke liye hai.

Ye baat sochte sochte achanak mujhe nikki ki, ek baat yaad aa gayi. Jo nikki ne mujhe priya ki bimari ke pata chalne par kahi thi ki, “priya sab kuch apne dil ke andar chhupa kar rakhti hai. Wo apna dard kisi ko dikhana pasand nahi karti. Use shayad kisi ka dil dukhana ya kisi ko udas dekhna acha hi nahi lagta.”

Mujhe nikki ki ye baat yaad aayi to, aaj mujhe is baat ki gahrayi ka bhi aehsas ho gaya. Nikki ne priya ke baare me jo kuch bhi kaha tha, wo sach hi kaha tha. Maine hi kabhi priya ko samjhne ki koshish nahi ki thi.

Mai priya ko hamesha se ek nasamajh aur nadan ladki hi samajhta aa raha tha. Magar aaj jab maine priya ko samjha to, mujhe uske dil ki gahrayi ke samne, samundar ki gahrayi bhi kam najar aane lagi thi.

Priya ne kitni asani se is baat ko kabul kar liya tha ki, mera pyar wo nahi, balki koi dusri ladki hai. Is baat ko lekar usne fir kabhi mujhe koi bahas ya koi sawal nahi kiya tha.

Mai priya ki baat sunkar, uske baare me sochne laga tha. Udhar priya ko mere chehre ke pal pal badalte bhav dekh kar, shayad aisa laga ki, mujhe uski baat ka bura lag gaya hai. Isliye usne apni is baat ki safai dete huye kaha.

Priya boli “are tum meri baat ko galat mat samjho. Mai to bas majak kar rahi hu.”

Priya ki ye baat sunte hi, mai apne khayalon se bahar aa gaya aur maine baat ko badalte huye kaha.

Mai bola “mujhe tumhari kisi baat ka bura nahi laga. Mai janta hu ki, tum majak kar rahi ho.”

Meri baat ko sunkar, priya ko rahat mehsus huyi. Lekin abhi wo kuch bol pati ki, uske pahle hi mera mobile bajne laga. Maine mobile dekha to, chhoti maa ka call aa raha tha. Maine priya ko bataya ki, meri mummy ka call aa raha hai. Meri baat sunkar wo chup ho gayi.

Maine call uthaya to, mujhe call uthate hi, chhoti maa ke hanfne ki aawaj aayi. Aisa lag raha tha ki, jaise wo badi door se bhagti huyi aayi hai. Maine un se iski vajah janne ke liye kaha.

Mai bola “kya hua chhoti maa. Aap itna hanf kyo rahi hai.”

Chhoti maa boli “mai upar thi. Mobile baj raha tha, isliye upar se bhagti huyi aayi hu.”

Chhoti maa ki baat sunkar, mujhe hansi aa gayi aur maine unka majak udate huye kaha.

Mai bola “lekin isme bhagne ki kya jarurat thi. Mobile baj hi to raha tha. Koi bhag thodi raha tha. Jo aap use pakadne ke liye bhag rahi thi.”

Lekin meri is baat ke badle me chhoti maa ne mujhe daantte huye kaha.

Chhoti maa boli “chal ab jyada mat itra. Teri vajah se hi mujhe bhagna pada. Warna tu kahta ki, mujhe teri fikar hi nahi rahti.”

Mai chhoti maa ki is baat ka matlab ache se samajh gaya tha. Wo meri pahle kahi baat ki vajah se aisa bol rahi thi. Lekin fir bhi maine is baat se anajan bante huye kaha.

Mai bola “aap to aise bol rahi hai. Jaise ki aapka mobile chikh chikh kar bol raha ho ki, mera call aa raha hai.”

Chhoti maa boli “chal ab mujhe hi sikhane ki koshish mat kar. Richa didi mujhe pahle hi teri saari baat bata chuki hai aur un ne ye bhi kaha tha ki, tu mujhe call karega.”

Mai bola “lekin aapne ye kyo socha ki, ye aane wala call mera hi hai. Kisi aur ka call bhi to ho sakta tha.”

Chhoti maa boli “kyoki, tere jaisa besabra koi aur nahi hai. Tu ek baar call lagana suru karta hai to, fir call lagata hi jata hai. Jaise ki samne wala mobile ke pas hi baitha ho aur jaan bujh kar tera call na utha raha ho.”

Chhoti maa ki is baat par maine bhadakte huye kaha.

Mai bola “ek to aapka call kabhi bhi ek baar me uthta nahi hai. Us par bhi aap mujhe hi dosh de rahi ho. Aapka to mobile rakhna hi bekar hai. Is se acha to aap apna mobile ami nimi ko de do. Kam se kam unke khelne ke kaam to aayega.”

Chhoti maa ne meri baat suni to mujh par jhutha gussa dikhate huye kaha.

Chhoti maa boli “bada aaya mera mobile kisi ko dene wala. Waha jakar tera muh bahut chalne laga hai. Lagta hai ki ab teri pitayi karna padegi. Tabhi teri akal thikane aayegi.”

Chhoti maa ki baat sunkar, mujhe hansi aa gayi aur maine unko chhedte huye kaha.

Mai bola “aap aur meri pitayi karogi, hahahaha. Meri pitayi karna aapke bas ki baat nahi hai. Pahle aap ye to yaad kar lo ki, iske pahle kabhi aapne meri pitayi ki bhi hai ya nahi.”

Ye baat kahte kahte na jaane kyo, meri aankh se aansu chhalak aaye. Priya jo abhi tak hum maa bete ki is takrar ka maja le rahi thi. Meri aankhon me aansu dekh kar uski muskurahat gayab ho gayi.

Mai mobile pakde pakde, dusre hath se apne aansu pochhne laga. Lekin shayad meri is baat ka chhoti maa par bhi, wo hi asar pada tha. Jo ki mujh par pada tha. Meri is baat ke bad, unki taraf se bhi, jaldi se koi jabab nahi aaya.

Kyoki un ne meri badi se badi galti par bhi, kabhi mujh par hath nahi uthaya tha. Meri is baat ke badle me jab mujhe chhoti maa ka koi jabab nahi mila to, maine baat ko halka banane ke liye, fir se unko chhedte huye kaha.

Mai bola “kya hua chhoti maa. Kya aapko abhi tak yaad nahi aaya ki, aapne kabhi meri pitayi ki bhi hai ya nahi.”

Chhoti maa boli “ja mujhe tujhse koi baat nahi karni. Tu aaj kal mera bahut majak udane laga hai.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mujhe laga ki, wo sach me mujhse naraj ho gayi hai. Isliye maine unhe manate huye kaha.

Mai bola “sorry, chhoti maa. Mai to bas aapse majak kar raha tha. Lekin aap to sach me naraj ho gayi.”

Chhoti maa boli “mai dekh rahi hu ki, jab se tu mumbai gaya hai. Tab se tu mujhe bahut satane laga hai. Tu wapas aa, fir mai teri ache se khabar leti hu. Tujhe bhaga bhaga kar na mara to, mera naam badal dena.”

Maine dekha ki chhoti maa ka mood ab thik hai to, maine fir se shararat karte huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, ab yadi maine fir kuch bola to aap fir naraj ho jaogi. Isliye ab hum is baat ko yahi khatam kar dete hai.”

Chhoti maa meri is shararat ko samajh nahi pa rahi thi. Isliye un ne mujhe dilasa dete huye kaha.

Chhoti maa boli “are nahi, mai to majak kar rahi thi. Mai tujhse jara bhi naraj nahi hu. Bol na, tu kya bolna chahta hai.”

Maine dekha chhoti maa meri chaal me aa gayi hai. Maine unhe pareshan karte huye fir kaha.

Mai bola “to suno chhoti maa. Ab aap budhi ho gayi ho. Aap sidiyan utar kar yaha tak aane me hi itna hanf rahi thi to, fir bhala aap mujhse bhaga bhaga kar kaise marogi.”

Ye kah kar mai jor jor se hasne laga. Mujhe hansta dekh kar, chhoti maa ne bhi hanste huye kaha.

Chhoti maa boli “acha bachchu, to ab mai tujhe budhi lagne lagi hu. Itni jaldi bhool gaya ki, tere yaha se jati samay keerti ne khud kaha tha ki, mai uski mausi nahi, balki uski badi bahan lagti hu aur tu khud bhi ye hi bola tha.”

Mai bola “wo to humne aapka dil rakhne ke liye jhuth kaha tha. Warna lagti to aap meri maa hi ho aur maa to budhi hi hoti hai.”

Ye kah kar mai fir se hasne laga. Lekin chhoti maa ne meri is baat ka jabab ab mujhe chunoti dene wale andaz me dete huye kaha.

Chhoti maa boli “acha punit ji, ab aap bhi dekhiyega. Ab yadi maine sabke samne aapki badi bahan ban kar na dikhaya to, mera naam bhi sonu nahi.”

Chhoti maa ke muh se ye baat sunte hi, ek baar fir meri aankh se khushi ke aansu chhalak uthe. Sonu chhoti maa ke pyar ka naam tha. Jise mai bachpan me aksar anuradha mausi aur richa aunty ke muh se suna karta tha.

Lekin na jaane kyo ye naam wakt ki dhundh me kahi kho sa gaya tha aur chhoti maa sabke liye sonu se sirf sunita ban kar rah gayi thi. Magar aaj jab maine ye naam ek baar fir suna to, aisa laga ki, jaise mai ek baar fir apne bachpan ki god me wapas pahuch gaya hu.

Chhoti maa ke muh se unka naam sunkar meri aankhon me khushi ke aansu aur chehre par muskurahat aa gayi thi. Udhar chhoti maa ne mujhe khamosh dekha to, un ne muskura kar, mujhe chhedte huye kaha.

Chhoti maa boli “kya hua punit ji, ab aapko sanp kyo sungh gaya. Aap kuch bolte kyo nahi.”

Chhoti maa ki baat sunkar, mai samajh gaya ki, ab wo mujhe pareshan karne ke mood me aa gayi hai. Maine unse shikayat karte huye kaha.

Mai bola “ye kya chhoti maa. Aap mujhe fir se pareshan kar rahi ho.”

Chhoti maa boli “acha bachchu, maine jara sa pareshan kiya to, itni jaldi sidhe raste par aa gaya aur itni der se mujhe kaun pareshan kar raha tha.”

Chhoti maa ki baat ke jabab me maine haste huye kaha.

Mai bola “wo to mai bas aise hi majak kar raha tha.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne majak karna band kiya aur mujhse kaha.

Chhoti maa boli “acha chal chhor aur ye bata aaj tu itna khush kyo hai.”

Mai bola “khush kaha hu chhoti maa. Mai to bahut pareshan tha. Lekin aapse baat karte hi meri saari pareshani na jaane kaha bhag jati hai.”

Chhoti maa boli “kyo, kya hua. Tu kis baat ko lekar pareshan tha. Waha sab thik to hai na.”

Mai bola “haan, chhoti maa, yaha sab thik hai. Bas ek baat ki vajah se thoda sa pareshan ho gaya tha.”

Ye kahte huye maine chhoti maa ko mohini aunty aur nikki ke ghar se jaane wali baat bata di. Jise sunne ke bad, chhoti maa ne mujhe samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “maine bhi mohini ke baare me suna hai. Uske muh par jara bhi lagam nahi hai. Lekin aise logon ki baton ko ek kaan se sunkar, dusre kaan se nikal dena chahiye. Inki baton ko lekar pareshan hona achi baat nahi hai.”

Mai bola “lekin chhoti maa, mohini aunty ko kuch sabak to milna chahiye na. Jise se unke is muh par lagam lagayi ja sake.”

Chhoti maa boli “jarur milna chahiye. Lekin meri ek baat hamesha yaad rakho ki, burayi ko burayi se kabhi nahi mitaya ja sakta. Burayi se burayi sirf badti hi hai. Burayi ko sirf achchhai se hi mitaya ja sakta hai.”

“Isliye bure ke sath bhi acha hi karo, ek na ek din uski burayi, tumhari achchhai ke samne haar jayegi. Achchhai ko jeetne me samay jarur lagta hai. Lekin ant me jeet hamesha achchhai ki hi hoti hai.”

Chhoti maa ki ye baat mere gale se nahi utar rahi thi. Lekin mera man abhi is baare me koi bahas karne ka nahi tha. Isliye maine chhoti maa ki is baat me haan me haan mila di.

Fir meri chhoti maa se sikha didi ki shadi me gift dene ko lekar baat huyi to, un ne kaha ki, wo soch kar batayegi ki, hume kya gift dena chahiye. Iske bad unse thodi der yaha waha ki baten karke, maine call rakh diya.

Abhi tak priya bade gaur se meri aur chhoti maa ki baten sun kar muskura rahi thi. Mere call rakhte hi usne mujhse kaha.

Priya boli “tum apni mom ko bahut jyada pareshan karte ho.”

Mai bola “nahi, mai apni mom ko bahut pyar karta hu. Wo duniya ki sabse achi mom hai.”

Meri is baat ko sunkar, priya ne mujhe bich me hi tokte huye kaha.

Priya boli “hey suno, tumhari mom bahut achi hai. Lekin duniya ki sabse achi mom to sirf meri hai.”

Priya ki is baat ko sunkar, mujhe hansi aa gayi. Mujhe us se is baat ko lekar bahas karna thik nahi laga aur maine us se kaha.

Mai bola “har bachche ko uski maa hi duniya ki sabse achi maa lagegi. Isliye hum is baat me bahas na hi kare to, acha rahega.”

Meri baat ke jabab me priya ne bhi muskurate huye haan mila di. Jiske bad maine us us kaha.

Mai bola “tum kahi ja rahi ho kya.”

Priya boli “nahi, mai tumhare sath shikha didi ke ghar chal rahi hu. Maine mom se bhi puchh liya hai.”

Mai bola “lekin tum waha jakar pareshan ho jaogi. Shadi wala ghar hai aur waha abhi bahut bhid bhad hogi.”

Priya boli “waise to mujhe is sab se koi pareshani nahi hogi. Lekin yadi tum mujhe le jana nahi chahte ho to, mai tumhare sath koi jabardasti nahi karugi.”

Priya ki baat sunkar, maine muskurate huye uski taraf dekha. Mai uska dil todna nahi chahta tha. Isliye maine shikha didi ko call laga kar, priya ko bhi sath lane ke baare me puchh liya.

Wo priya ki tabiyat ke baare me janti thi. Isliye un ne kaha ki, mai priya ko le aau. Wo priya ko waha koi pareshani nahi hone degi. Shikha didi se baat hone ke bad maine priya ko sath chalne ke liye haan kar diya.

Iske bad hum log bahar hall me aakar, thodi der sabke sath baithe. Fir padmini aunty ko jata kar, shikha didi ke ghar aa gaye. Hum log jab shikha didi ke ghar pahuche to, nikki log waha pahle se hi thi.

Wo log jewellers se Necklace Set lekar yaha dene aayi thi. Nikki ne priya ko dekhte hi, uske pas aakar, use aise gale se laga liya, jaise dono bahut din bad mil rahi ho. Dono ko aise milte dekh kar, mujhe bhi bahut khushi ho rahi thi.

Thodi der bad, shikha didi ne hum sabko khana khane ke liye kaha aur fir hum sab log khana khane baith gaye. Khana khate samay hum sab aapas me baten karne me magan the aur aru mujhe bade gaur se dekh rahi thi.

Pahle mera dhyan is baat par nahi tha. Mai priya aur nikki se baat karne me laga tha. Lekin jab maine dekha ki priya ka dhyan humari baton me nahi hai to, maine uski najron ka pichha kiya to, paya ki wo aru ko dekh rahi hai.

Magar aru priya ki is baat se anjan mujhe dekh rahi thi. Mere aru ki taraf dekhte hi, meri aur aru ki najar aapas me takra gayi. Mujhse najar milte hi aru ne mujhe dekh kar muskura diya. Jiske badle mai bhi use dekh kar muskura diya.

Iske bad aru ne meri taraf se chehra ghuma kar seeru ki taraf kar liya aur seeru se baten karne lagi. Mai bhi wapas palat kar priya aur nikki se baten karne laga. Magar ab priya ka chehra kuch utra hua sa lag raha tha.

Shayad aru ka mujhe is tarah se dekhna, priya ko pasand nahi aaya tha. Lekin maine is baat ko jyada gambhirta se nahi liya tha. Kyoki mai priya ke mujhse judaw ko achi tarah se janta tha.

Aise me aru ki jagah yadi koi aur ladki bhi mujhe dekh rahi hoti to, wo bhi priya ko pasand nahi aata. Isliye maine is baat ko andekha kar dena hi thik samjha. Magar shayad priya is baat ko andekha nahi kar saki thi.

Wo khana khane ke bad, nikki ko bula kar, bahar le gayi aur us se kuch baten karne lagi. Jiske thodi hi der bad, nikki ne aru ko bhi bahar bula liya. Jab aru bahar pahuchi to, nikki ne us se kuch kaha aur fir uske bad wo teeno upar chhat par chali gayi.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 152}
____________________________

Magar aru priya ki is baat se anjan mujhe dekh rahi thi. Mere aru ki taraf dekhte hi, meri aur aru ki najar aapas me takra gayi. Mujhse najar milte hi aru ne mujhe dekh kar muskura diya. Jiske badle mai bhi use dekh kar muskura diya.

Iske bad aru ne meri taraf se chehra ghuma kar seeru ki taraf kar liya aur seeru se baten karne lagi. Mai bhi wapas palat kar priya aur nikki se baten karne laga. Magar ab priya ka chehra kuch utra hua sa lag raha tha.

Shayad aru ka mujhe is tarah se dekhna, priya ko pasand nahi aaya tha. Lekin maine is baat ko jyada gambhirta se nahi liya tha. Kyoki mai priya ke mujhse judaw ko achi tarah se janta tha.

Aise me aru ki jagah yadi koi aur ladki bhi mujhe dekh rahi hoti to, wo bhi priya ko pasand nahi aata. Isliye maine is baat ko andekha kar dena hi thik samjha. Magar shayad priya is baat ko andekha nahi kar saki thi.

Wo khana khane ke bad, nikki ko bula kar, bahar le gayi aur us se kuch baten karne lagi. Jiske thodi hi der bad, nikki ne aru ko bhi bahar bula liya. Jab aru bahar pahuchi to, nikki ne us se kuch kaha aur fir uske bad wo teeno upar chhat par chali gayi.

Ek to mujhe khana khane ke bad, chay na milne se, mera sar bhari ho raha tha. Us par nikki logon ki is baat ne mujhe aur bhi jyada uljha kar rakh diya tha. Mai samajh nahi pa raha tha ki, aakhir un teeno ke bich kya khichdi pak rahi hai.

Mai abhi inhi baton se pareshan tha ki, tabhi shikha didi ne aawaj dekar barkha didi ko bulaya aur un se mere liye chay banane ko bolne lagi. Chay ki talab to mujhe bhi bahut jyada lagi thi.

Lekin itne saare mehmano ke bich me mere liye chay banwana mujhe acha nahi lag raha tha. Maine shikha didi ko aisa karne se rokte huye kaha.

Mai bola “didi, aap bekar me pareshan mat hoiye. Mujhe koi chay vay nahi peena.”

Lekin shikha didi ne fauran hi meri is baat ko katte huye kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, isme pareshan hone wali koi baat nahi hai. Mujhe nikki ne pahle hi bata diya tha ki, aapko khane ke bad chay peene ki aadat hai. Warna aapka sar bhari ho jata hai. Isliye aap chup kar ke baithiye, barkha abhi chay lekar aati hai.”

Shikha didi ki is baat ko sunkar, mai chup rahne ke siwa kuch na kar saka. Barkha didi chay banane chali gayi. Uske bad meri shikha didi aur seeru didi se yaha waha ki baten hoti rahi. Thodi der bad barkha didi chay lekar aa gayi. Un ne hum logon ko chay di aur fir shikha didi se kaha.

Barkha didi boli “didi, wo neha mujhe bula rahi hai. Use bajar se kuch kharidi karna hai. Mai uske sath ja rahi hu.”

Itna bol kar barkha didi chali gayi aur hum log chay peene lage. Chay peena ho jaane ke bad seeru didi ne bhi shikha didi se kaha.

Seerat boli “bhabhi, ab hum bhi chalte hai. Ghar me bhi bahut kaam hai. Aapko yadi koi kaam ho to, hum me se kisi ko bhi call kar dena.”

Itna bol seeru didi aur selu didi uth kar khadi ho gayi. Shikha didi ne bhi unko jaane se nahi roka aur wo bhi unke sath uth kar khadi ho gayi. Wo log bahar jaane lagi to, mai bhi uth kar unke sath bahar aa gaya.

Bahar aakar seeru didi ne nikki aur aru ko aawaj lagayi. Kuch hi der me nikki aur aru niche aa gayi. Niche aakar dono shikha didi se mili aur thodi bahut mujhse baat karne ke bad, wo charo ghar chali gayi.

Unke jaane ke bad, hum andar jaane ko huye. Tabhi mera mobile bajne laga. Maine mobile nikal kar dekha to, mausi ka call aa raha tha. Isliye mai andar jate jate ruk gaya aur wahi aangan me rakhi chair par baith gaya.

Shikha didi bhi na jaane kya soch kar aangan me hi baith gayi. Maine shikha didi ko apne pas baithte dekha to, unhe bataya ki, meri mausi ka call aa raha hai. Iske bad maine call uthate huye mausi se kaha.

Mai bola “ji mausi, aaj itne din bad meri yaad kaise aa gayi.”

Mausi boli “bada aaya mausi wala, tujhe waha ka ek kaam karne ko diya tha. Mere us kaam ka kya hua. Kahi tu mera kaam karna bhool to nahi gaya.”

Mausi ki ye baat sunte hi, mujhe un ka bataya kaam yaad aa gaya. Mai sach me hi unka bataya kaam karna bhool gaya tha. Maine is baat ke liye unse maafi mangte huye kaha.

Mai bola “sorry mausi, mai sach me hi hospital ke chakkar me, aapka kaam karna bhool gaya tha. Lekin ab mai baki bache 2-3 din me aapka kaam karne ki puri koshish karuga.”

Mausi boli “thik hai, jab tujhe samay mile, tab tu is kaam ko kar lena. Lekin bhulna mat ye bahut jaruri kaam hai.”

Mai bola “aap fikar mat kijiye mausi. Mai jaldi hi aapka kaam karke aapko call karta hu.”

Meri itni baat sunne ke bad mausi ne call rakh diya. Magar unke is call ne mujhe gahri soch me daal diya tha. Mujhe is tarah soch me pada dekh kar, shikha didi se raha nahi gaya aur unne mujhe tokte huye kaha.

Shikha didi boli “kya hua bhaiya. Kis baat ko lekar itna soch me pad gaye.”

Mai bola “kuch nahi didi. Wo meri mausi ne mujhe ek kaam karne ka bola tha. Lekin mere dimag se hi wo kaam nikal gaya tha. Abhi un ne mujhe wo hi kaam yaad dilane ke liye call kiya tha.”

Shikha didi boli “to isme pareshan hone ki kya baat hai. Abhi to aapko 3-4 din yaha rahna hi hai. Is samay me aap apna kaam kar sakte ho.”

Mai bola “ye hi to pareshani wali baat hai didi. Itne din ajji jab puri tarah se khali tha. Tab mujhe kaam yaad nahi tha aur ab jab mujhe kaam yaad aaya to, ajji ke pas jara bhi samay nahi hai. Mujhe samajh me nahi aa raha ki, apne is kaam ke liye, ab mai kisko pakdu.”

Shikha didi boli “kya mai jaan sakti hu ki, aapko kya kaam hai.”

Mai bola “mausi ne ek aadmi ka pata diya hai aur uske baare me malum karne ko kaha hai. Lekin ye bhi kaha hai ki, is baare me kisi ko kuch malum nahi padna chahiye.”

Meri ye baat sunkar, shikha didi chauke bina na rah saki. Un ne badi becheni ke sath mujhse kaha.

Shikha didi boli “mausi ne mumbai me kaha ka pata diya hai.”

Shikha didi ki is baat ke jabab me maine apna mobile nikala aur usme msg me save kiya hua, us aadmi ka naam aur pata nikal kar, mobile shikha didi ke hath me thama diya. Mobile me naam aur pata dekhte hi, shikha didi ne mujhe hairani se dekhte huye kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, kya aap jante ho ye mumbai ke kis ilake ka pata hai.”

Mai bola “nahi, mai to yaha kahi ghuma hi nahi hu. Mai to bas priya ke ghar, hospital, ajji ke bangle aur aapke ghar ke siwa kahi gaya bhi nahi hu.”

Shikha didi boli “fir bhi aapko ye pata mil gaya hai.”

Shikha didi ki is baat se ab meri bhi hairani ka koi thikana nahi tha. Shikha didi ne mujhe hairan hote dekha to, meri hairani ko door karte huye kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, abhi aap isi ilake me ho jaha ka pata aap dood rahe ho.”

Shikha didi ki is baat se meri hairani aur bhi jyada bad gayi. Kyoki mere pas jo pata likha tha wo kuch aur tha. Jabki shikha didi ka ghar jis ilake me tha, us ilake ka naam kuch aur hi tha. Isliye maine shikha didi se kaha.

Mai bola “lekin didi, is jagah ka naam to AAAAAA.. hai. Jabki mere pas jo pata hai. Usme to BBBBBB.. naam likha hai. Meri samajh me nahi aa raha ki, aap kahna kya chahti ho.”

Shikha didi boli “bhaiya, jaise pahle mumbai ka naam bombay tha. Bas usi tarah pahle is ilake ko usi naam se jana jata tha, jo aapke pas likha hai. Lekin 10 saal pahle is ilake ka naya naam rakh diya gaya tha. Ab naam badal jaane se jagah to nahi badal jayegi na.”

Shikha didi ki baat sunkar, maine khush hote huye kaha.

Mai bola “didi, yadi ye isi ilake ka pata hai to, fir aap is aadmi ko bhi janti hi hogi.”

Shikha didi boli “nahi, is mai is naam ke kisi aadmi ko nahi janti. Maine apni saari jindgi yahi par gujari hai. Yaha is naam ka koi bhi aadmi nahi rahta. Mujhe lagta hai ki, aapki mausi ko kisi ne galat pata de diya hai.”

Shikha didi ki baat sunkar, maine rahat ki saans lete huye un se kaha.

Mai bola “thanks didi. Aapne meri bahut badi pareshani hal kar di. Warna mai bekar me hi is pate ko lekar yaha waha bhatakta rahta.”

Shikha didi boli “lekin aapka kaam to hua nahi.”

Shikha didi ki is baat ke jabab me maine muskurate huye kaha.

Mai bola “nahi didi, mera kaam to ho gaya. Mausi ne mujhe jo malum karne ko kaha tha. Wo to maine malum kar liya hai. Ab yadi wo aadmi yaha rahta hi nahi hai to, isme hum bhala kya kar sakte hai. Mai abhi mausi ko call karke ye baat bata deta hu.”

Ye kah kar, maine shikha didi se mobile liya aur jaise hi mausi ko call lagane laga to, shikha didi ne mujhe rokte huye kaha.

Shikha didi boli “ek min bhaiya, yaha bahut shor-gul ho raha hai. Hum upar chal kar mausi se baat karte hai. Ho sakta hai ki, unhe bhi ye baat samjhana pad jaye.”

Mujhe bhi shikha didi ki ye baat sahi lagi aur fir mai shikha didi ke sath upar chhat par aa gaya. Hum upar pahuche to, priya bahar chhat par hi, ek chair par baithi akhbar pad rahi thi.

Usne hume upar aate dekha to, akhbar ek kinare rakh diya aur muskurane lagi. Hum log bhi use dekh kar muskura diye aur uske pas khali padi chair par jakar baith gaye. Shikha didi ne priya ko is tarah waha akele baithe dekha to, us se kaha.

Shikha didi boli “nikki log to kab ki ja chuki hai. Fir tum yaha akeli kyo baithi ho.”

Priya boli “didi, mai bhi niche hi aa rahi thi. Lekin tabhi meri ek saheli ka call aa gaya aur mai us se baat karne lagi. Magar baat karte karte usne kaha ki, wo abhi thodi der se call karti hai. Isliye mai yahi baith kar, uske dobara call aane ka intejar karne lagi.”

Priya ke call wali baat sunte hi, shikha didi ko bhi apne upar aane ki vajah yaad aa gayi. Un ne fauran mujhe mausi ko call lagane ko kaha aur shikha didi ka ishara milte hi maine mausi ko call laga kar saari baat bata di.

Lekin itni jaldi apna kaam ho jaane ki baat mausi ke gale se nahi utar rahi thi. Maine mausi ki is shanka ka samadhan karne ke liye, un ko shikha didi se baat karne ko kah kar, mobile shikha didi ko thama diya.

Jiske bad shikha didi mausi se baat karne lagi. Shikha didi mausi se baat karte karte, humare pas se uth kar, chhat ki dusri taraf chali gayi. Jis vajah se mujhe unki baten sunayi dena band ho gaya.

Thodi der tak mausi se baat karne ke bad, shikha didi ne mere pas aakar mobile wapas mujhe de diya. Maine mausi se ek do baten ki aur uske bad un ne call rakh diya. Meri aur mausi ki baat ho jaane ke bad, shikha didi ne mujhse kaha.

Shikha didi boli “maine mausi ko sab kuch samajha diya hai aur ab unko bhi is baat ka yakin ho gaya hai.”

Shikha didi ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “ab unko yakin ho ya na ho, ye unki pareshani hai. Maine to apna kaam pura karke, apna pichha is kaam se chhuda liya hai.”

Meri baat sunkar shikha didi bhi hasne lagi. Fir na jaane kya sochkar, shikha didi ne mujhse sawal karte huye kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, kya aapke ghar se shadi me koi nahi aayega.”

Mai bola “didi, maine aaj subah hi, priya ke samne apni mummy se baat ki thi. Unse maine yaha aane ke baare me puchha tha. Lekin unka kahna tha ki, abhi mehul ki mummy humare ghar me hai. Jis vajah se wo chahte huye bhi is shadi me shamil nahi ho payegi.”

Meri is baat ki haami priya ne bhi bhar di. Lekin shikha didi ne is sawal ke badle me, mujhse dusra sawal karte huye kaha.

Shikha didi boli “aunty ji nahi aa sakti to kya hua. Uncle ji to aa hi sakte hai. Aap unko hi bula lijiye.”

Shikha didi ke muh se apne bap ka naam sunkar, ek pal ke liye mera chehra kathor ho gaya aur mera man apne bap ko gaali dene ka karne laga. Lekin maine apne aap par kabu karte huye kaha.

Mai bola “didi, abhi wo 2 din pahle yahi par the. Unki achanak tabiyat kharab ho gayi aur unko wapas jana pada. Abhi bhi unki tabiyat safar karne layak nahi hai. Aise me unka bhi yaha aa pana nahi ho sakta hai. Lekin aap fikar mat kijiye. Mai aapse vada karta hu ki, shadi ke bad, mai mom ko aapse milane jarur lekar aauga.”

Meri bast sunne ke bad, shikha didi ne mujhse is baare me, aage kuch nahi kaha aur hum logon se ek do baten karke niche chali gayi. Lekin unka utra hua chehra is baat ki gawahi de raha tha ki, wo meri is baat se khush nahi thi.

Priya ko bhi ye baat samajh me aa chuki thi aur wo ye achi tarah se janti thi ki, maine papa ki tabiyat kharab hone wali baat shikha didi se jhuth kahi hai. Isliye shikha didi ke jate hi usne mujhe tokte huye kaha.

Priya boli “tumhare is jhuth ne, didi ka dil dukha diya. Tumhe ek baar koshish karke to dekhna tha. Ho sakta tha ki, uncle shadi me aane ke liye taiyar ho jate.”

Priya ki baat sunkar mera mood fir kharab ho gaya aur mai bhavnao me bah kar, wo sab kah gaya. Jiski priya kalpna bhi nahi kar sakti thi. Priya ki is baat ke jabab me maine, us par bhadakte huye kaha.

Mai bola “haan tum bilkul thik kahti ho. Yadi mai chahta to, mera kamina bap jarur is shadi me aa sakta tha. Lekin mai us kamine ka ganda saya apni is mausm aur bholi bhali bahan par kisi bhi kimat par nahi padne dena chahta hu. Kyoki mai sirf juban se hi nahi, dil se bhi shikha didi ko apni bahan manta hu.”

Mai is samay sach me hi bahut gusse me tha aur mera man mere bap ko galiyan dene ka kar raha tha. Yadi is samay mere samne priya ki jagah keerti hoti to, shayad ab tak mai apne bap ko gaali de bhi chuka hota.

Lekin priya ke hone ki vajah se, mai kuch had tak apne gusse ko daba kar rah gaya tha. Priya mere is gusse ki vajah ko puri nahi to, kuch had tak jarur samajh chuki thi. Isliye usne mera dhyan is baat par se hatane ke liye mujhse kaha.

Priya boli “are is khushi ke mauke par bekar me apna mood kharab mat karo. Ye dekho aaj ke akhbar me tumhare liye kitni pyari chij chapi hai.”

Ye kah kar priya muskurate huye, mujhe ek shayari pad kar sunane lagi.

Priya ki shayari “Aaj Mausam Me Ajib Si Baat Hai.
Bekabu Se Mere Khayalat Hai.
Dil Chahta Hai Tumko Chura Lu Tumse,
Par Mummy Kahti Hai Ki Chori Karna Paap Hai.”​

Lekin priya ki ye shayari sunkar bhi mera mood sahi nahi hua tha. Usne abhi bhi mera mood ukhda hua dekha to, fir se ek shayari padne lagi.

Priya ki shayari “Umar Kya Kahu Kaafi Nadan Hai Meri.
Has Ke Milna Pehchan Hai Meri.
Aapka Dil Zakhmo Se Bhara Ho To Mujhe Yaad Kijiye,
DILO Ko Repair Karne Ki Dukaan Hai Meri.”​

Priya ki ye shayari sunkar, mai priya ki taraf dekhne par majbur ho gaya. Is shayari ko sunkar, mujhe aisa laga. Jaise priya ye khud se hi ye shayari boli ja rahi ho. Apne is shaq ko door karne ke liye maine priya ke hath se akhbar chhin liya aur usme priya ki kahi shayari dekhne laga.

Mera sochna sahi hi nikla. Priya apne man se hi shayari bol kar, mujhe sunaye ja rahi thi. Priya ki sunayi dono shayari akhbar me nahi thi. Ye dekh kar maine priya se kaha.

Mai bola “ye kya hai. Isme to tumhari sunayi ek bhi shayari nahi hai.”

Meri baat sunkar, priya ne muskurate huye kaha.

Priya boli “usme tumhe sunane layak koi shayari thi hi nahi. Isliye apne man se hi suna di.”

Priya ki baat sunkar, maine ek baar fir akhbar par najar dali. Mujhe usme Tripti ki ek rachna dikhayi de gayi. Usko dekh kar maine priya se kaha.

Mai bola “lekin isme to ek achi rachna chhapi hai.”

Meri baat sunkar, priya ne mujhse akhbar le liya aur dekhne lagi ki, mai kis rachna ki baat kar raha hu. Use dekhne ke bad, priya ne mujhse kaha.

Priya boli “ye to kisi khadus shayara ki khadus si rachna hai.”

Mai bola “magar mujhe iska likha hua pasand aata hai.”

Meri baat sunkar, priya ne hairani se mujhe dekhte huye kaha.

Priya boli “kya tum Tripti ki rachna padte ho.”

Mai bola “nahi, lekin maine Monday ko yahi par Tripti ki ek rachna Pratiksha padi thi. Mujhe wo bahut pasand aayi thi. Isliye mujhe iska naam yaad ho gaya. Sach me dil ko chhune wali rachna likhti hai.”

Meri is baat ko sunkar, priya ne muskurate huye akhbar ko dekha aur mujhse kaha.

Priya boli “ok, mai iski ye rachna sunati ho. Dekhti hu iski is rachna me tumko kya samajh me aata hai. Rachna ka naam hai, Ajnabi se nafrat.”

Rachna ka shirshak bata kar priya ne Tripti ki is rachna ko padna suru kar diya.

“Ajnabi Se Nafrat”​

“Wo Bandhe Hai Kisi Aur Ki, Chahto Ki Janjir Me.
Phir Bhi Unhe Chahne Ki, Chahat Si Kyon Hoti Hai.

Dil Ko Samjhaya Bahut Ki, Hai Wo Mere Nahi Kisi Aur Ke.
Phir Bhi Unko Dekhte Hi, Dil Me Dhak Dhak Si Kyon Hoti Hai.

Pata Hai Wo Aaye Hai, Par Kisi Aur Ke Bulane Pe.
Phir Bhi Unke Aane Se, Kahi Koi Dastak Si Kyon Hoti Hai.

Najare Mili Thi Meri Unse, Aise Hi Anjane Me.
Phir Bhi Unki Najaro Ki Hi, Inayat Si Kyon Hoti Hai,

Ki Nahi Maine Kabhi, Waqt Ki Barbadi Fijul Me.
Phir Bhi Unki Baton Ko Sunne Ki, Fursat Si Kyon Hoti Hai.

Haq Nahi Hai Mujhe Ki, Mai Dub Jaun Unki Yadon Me.
Phir Bhi Unko Chumne Ki, Sararat Si Kyon Hoti Hai.

Honge Na Wo Mere Kabhi, Agar Mar Bhi Jaun Unke Intezar Me.
Phir Bhi Unki Bahon Me Aane Ki, Hasrat Si Kyon Hoti Hai.

Nahi Janti Wo Chahte Hai Kise, Itna Dil O Jaan Se.
Phir Bhi Us “Ajnabi Se Nafrat” Si Kyon Hoti Hai.”​

Priya mujhe Tripti ki ye rachna suna rahi thi aur mai isme kho sa gaya tha. Sher-shayari ya kisi kavita ko samajh pana mere liye hamesha se hi ek mushkil sa kaam tha.

Lekin na jaane Tripti ki rachna me aisi kya baat thi ki, mai uski rachna ko sirf samajh hi nahi gaya tha, balki usme chhupe dard aur bebasi ko bhi mehsus kar pa raha tha.

Jabki priya is rachna ko padne ke bad, mujhe dekh kar muskura rahi thi. Uski is muskan se samajh me aa raha tha ki, use is rachna me kuch bhi mehsus nahi hua hai. Is baat ko soch kar maine us se kaha.

Mai bola “kya hua. Kya tumhe Tripti ki ye rachna jara bhi samajh me nahi aayi, jo tum is tarah muskura rahi ho.”

Meri is baat ko sunkar, priya ne muskura kar, shayari me jabab dete huye kaha.

Priya boli “Mai Beti Nahi, Ghalib Ya Faraz Ki.
Jo Baat Samajh Saku, Ghazal Me Raz Ki.”​

Priya ki ye shayari sunkar, mai apni hansi na rok saka. Lekin mai us se iske badle me kuch bol pata, uske pahle hi uska mobile bajne laga aur priya call utha kar baat karne lagi.

Shayad uski saheli, use kahi aane ke liye bol rahi thi. Lekin priya use mana kar rahi thi. Priya shayad meri vajah se apni saheli ke pas jana nahi chahti thi. Magar bad me priya ne us se kah diya ki, wo aane ki koshish karti hai. Iske bad priya ne call rakh diya aur meri taraf dekhte huye kaha.

Priya boli “kya tum mere sath, meri saheli se milne chaloge.”

Mai bola “haan, kyo nahi. Chalo kaha chalna hai.”

Meri baat sunkar, priya ko shayad ab bhi is baat ka yakin nahi aa pa raha tha ki, mai bina kuch jaane, bina kuch puchhe, itni asami se, uske sath jaane ko taiyar ho gaya hu. Isliye usne fir se mujhse kaha.

Priya boli “kya tum sach me mere sath chalne ko taiyar ho.”

Mai bola “haan, mai sach me tumhare sath chal raha hu aur yadi tum mujhe apni saheli se, apna boy friend banakar, milana chahti ho to, mujhe is me bhi koi pareshani nahi hai.”

Meri baat sunte hi priya ka chehra khushi se khil utha. Wo fauran uth kar chalne ke liye taiyar ho gayi. Mai bhi uth kar khada ho gaya. Maine us se kaha ki mai shikha didi se jata deta hu ki, hum thodi der me ghoom kar aate hai.

Itni baat kar ke hum niche aa gaye. Niche aakar maine shikha didi ko jataya aur fir mai apni car me priya ke sath uski saheli se milne nikal gaya. Kuch hi der me hum priya ke bataye park me pahuch gaye.

Gaadi se utarte hi priya ne mera hath pakad liya aur fir hum aise hi park ke andar aa gaye. Andar aane ke bad, hum apne aas pas dekhte huye aage badne lage. Priya apni saheli ko charo taraf dekh rahi thi.

Mai priya ki saheli ko nahi janta tha. Isliye mai waha par aaye premi yugal ko dekh kar, waha ke rangin najaro ka maja lene laga. Achanak hi meri najar waha ek kinare ped ke pas khade ek jode par jakar thahar gayi.

Ladki mujhe kuch jani pahchani si lagi to, mai use gaur se dekhne laga. Magar ladki ka chehra meri taraf nahi tha. Isliye maine uska chehra dekhne ke liye, priya se apna hath chhudaya aur us ladki ki taraf bad gaya.

Mai jaise hi us ladki ke pas pahucha, priya bhi mere pichhe pichhe waha aa gayi thi. Abhi priya mujhse kuch puchh pati ki, mujhe laga ki, wo ladki koi aur nahi balki barkha hai.

Ye baat samajh me aate hi, maine bina kuch soche samjhe us ladki ke kandhe par hath rakh diya. Wo ladki sach me hi barkha thi aur achanak mujhe apne samne dekh kar, kuch ghabra si gayi thi.

Wahi us ladke ne jab mujhe barkha ke kandhe par hath rakhta dekha to, usne aage bad kar, mera collar pakad liya. Us ladke ki is harkat se mera dhyan meri collar ki taraf chala gaya aur tabhi Chatak…chatak…ki goonj se, mai buri tarah se hadbada gaya.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 153}
____________________________

Mai priya ki saheli ko nahi janta tha. Isliye mai waha par aaye premi yugal ko dekh kar, waha ke rangin najaro ka maja lene laga. Achanak hi meri najar waha ek kinare ped ke pas khade ek jode par jakar thahar gayi.

Ladki mujhe kuch jani pahchani si lagi to, mai use gaur se dekhne laga. Magar ladki ka chehra meri taraf nahi tha. Isliye maine uska chehra dekhne ke liye, priya se apna hath chhudaya aur us ladki ki taraf bad gaya.

Mai jaise hi us ladki ke pas pahucha, priya bhi mere pichhe pichhe waha aa gayi thi. Abhi priya mujhse kuch puchh pati ki, mujhe laga ki, wo ladki koi aur nahi balki barkha hai.

Ye baat samajh me aate hi, maine bina kuch soche samjhe us ladki ke kandhe par hath rakh diya. Wo ladki sach me hi barkha thi aur achanak mujhe apne samne dekh kar, kuch ghabra si gayi thi.

Wahi us ladke ne jab mujhe barkha ke kandhe par hath rakhta dekha to, usne aage bad kar, mera collar pakad liya. Us ladke ki is harkat se mera dhyan meri collar ki taraf chala gaya aur tabhi Chatak…chatak…ki goonj se, mai buri tarah se hadbada gaya.

Lekin mujhse bhi jyada is goonj se wo ladka hadbada gaya tha. Is goonj ke sath hi, uske hath meri collar se hat kar, apne gaalon par chale gaye. Wo hairani se kabhi barkha to, kabhi priya ki taraf dekhne laga.

Tabhi kahi se neha waha bhagti huyi aa gayi. Wo shayad door se ye sab najara dekh chuki thi. Isliye usne aate hi, us ladke ke kandhe par hath rakh kar, barkha aur priya par bhadakte huye kaha.

Neha boli “ye kya badtamiji hai. Tum logon ne hitu ko kis baat ke liye maara hai”

Neha ki is baat ke jabab me, barkha ne uske gusse ki parwah kiye bina, ulte usko hi chetawani dete huye kaha.

Barkha boli “badtamiji to tere is hitu ne ki hai. Jisne bina kuch soche samjhe mere bhai ke gireban par hath daal diya. Samjha isko ki punit mera bhai hai aur mai iske sath, kisi ki koi badtamiji sahan nahi karugi. Fir chahe wo badtamiji karne wala tera hitu hi kyo na ho.”

Barkha ke is tamache aur is baat ne mere dil par bahut gahra asar kiya. Mai abhi tak barkha ko shikha didi ke rishte se hi didi kahta tha. Magar mujhe ye kabhi mehsus nahi hua tha ki, wo bhi shikha didi ki tarah mujhe apna bhai manti hai.

Lekin aaj uske is gusse ne mujhe, uske liye meri ahmiyat aur uske pyar ka ahsas kara diya tha. Mai bade gaur se barkha ke is roop ko dekh raha tha. Wahi wo neha aur hitu ko mere gireban par hath dalne ke liye fatkarte ja rahi thi.

Barkha ke sath neha ko dekh kar, ab tak meri samahjh me saara mamla aa chuka tha. Kyoki priya mujhe neha aur uske boyfriend se milane ki baat pahle bhi ek baar bata chuki thi.

Bas mai ye nahi janta tha ki, priya abhi mujhe neha se hi milane le ja rahi hai aur shayad barkha bhi is baat se anjan thi ki, waha priya aane wali hai.Warna usne pahle hi neha ko bata diya hota ki, priya uske ghar me hai.

Aisa hi kuch mere sath bhi hua tha. Maine ghar me barkha ki ye baat to suni thi ki, wo neha ke sath bajar ja rahi hai. Magar yaha achanak se barkha ko kisi ladke ke sath dekh kar, mai khud ko rok na saka aur uske pas chala gaya.

Jiska khamiyaja mujhe to nahi, magar us bechare hitu ko apne gaal par tamacha kha kar bhugatna pad gaya tha. Neha mujhe barkha ke ghar me dekh chuki thi aur wo ye bhi janti thi ki, shikha mujhe apna bhai manti hai.

Isliye barkha ki baat ke bad usne barkha se to kuch nahi kaha. Lekin apna saara gussa priya par utarte huye kaha.

Neha boli “barkha ka hitu par hath uthana to mai samajh sakti hu aur mai ise galat bhi nahi manti. Lekin tune kyo hitu par hath uthaya. Kya punit tera bhi bhai lagta hai.”

Neha ki is baat ko sunkar, priya ne muskura kar, uski taraf dekha aur fir mera hath pakad kar, neha ki baat ka jabab dete huye kaha.

Priya boli “bhai ye tera lagta hoga. Meri to ye jaan hai. Aaj mai ise hi tujhse milane layi thi.”

Priya ki baat sunkar, neha ek baar meri taraf dekha. Fir thahake maarkar hasne lagi aur priya ka majak udate huye kaha.

Neha boli “hahahaha, punit ko to mai ache se janti hu. Iske baare me shikha didi mujhe, parso hi bata chuki thi. Ye ajji bhaiya ka dost hai aur yaha apne uncle ka ilaj karwane aaya hai. Tujhe apna jhutha boyfriend banane ke liye kya koi aur ladka nahi mila tha. Jo mujhe jalane ke liye ise apna jhuta boyfriend banakar yaha le aayi.”

Neha ke muh se, mere baare me itni sab baten sunkar, priya ke chehre ki hansi gayab ho gayi aur wo hairani se meri taraf dekhne lagi. Shayad wo mujhse ye janna chahti thi ki, neha ye sab kya bol rahi hai.

Magar mujhe to khud hi nahi pata tha ki, shikha didi aur neha ke bich mujhe lekar kya baten huyi hai. Isliye mujhse priya se kuch bhi kahte nahi ban raha tha. Udhar neha ne fir se priya ka majak udate huye kaha.

Neha boli “waise teri pasand ki dad dena padegi. Tune mujhe nicha dikhane ke liye acha ladka chuna tha. Magar afsos ki tera ye jhuth pakda gaya.”

Neha ki baten sunkar, priya sharminda hone ke siwa kuch na kar saki. Uska jhuth pakda gaya tha. Jis vajah se uska chehra sharam se jhuk gaya tha. Mai chah kar bhi priya ke liye kuch nahi kar pa raha tha. Aise me barkha ne in sab ka dhyan apni taraf khichte huye kaha.

Barkha boli “priya ye sab kya hai. Kya neha sach kah rahi hai. Kya tumne abhi jo kuch bhi kaha, wo jhuth hai.”

Barkha ke is sawal ko sunkar, priya aur bhi jyada pareshan ho gayi. Wo sar jhukaye rakhne ke siwa kuch nahi kar pa rahi thi. Mujhe priya ki is haalat par taras aa raha tha.

Isliye maine barkha ko chup karane ke liye uski taraf dekha. Magar barkha ne apne sawal ka rukh priya ki taraf se mod kar, meri taraf karte huye kaha.

Barkha boli “punit tum hi kuch bolo. Kya priya ne abhi jo kuch kaha hai, wo sab jhuth hai.”

Barkha ke baar baar ek hi sawal karne se ab mujhe us par gussa aa raha tha. Mai abhi isi gusse me barkha ko kuch bolne hi ja raha tha ki, tabhi barkha ne fir se mujhse sawal karte huye kaha.

Barkha boli “dekho punit, yadi priya tumhari girlfriend hai to, tumko uski tarafdari lena chahiye. Tum yadi sach me uske boyfirend ho to, fir kuch bolte kyo nahi. Aakhir ye uski ijjat ka sawal hai.”

Barkha ki ye baat sunkar, mere dimag me ek bijli si chamak gayi. Mujhe ab samajh me aa gaya ki, barkha ek hi baat par baar baar jor kyo de rahi hai. Asal me wo chahti thi ki, mai priya ki tarafdari karu aur neha ko galat sabit kar du.

Ye baat meri samajh me aate hi, mera dimag teji se chalne laga aur ek pal me hi mere dimag ne neha ki har baat ka jabab bhi dud liya. Maine barkha ki baat ka jabab dete huye us se kaha.

Mai bola “didi, jab mujhe aur priya ko kuch pata ho, tabhi to hum neha ki is baat ka koi jabab de na. Hume to pata hi nahi hai ki, shikha didi se neha ki kya baat huyi hai.”

“Ab yadi shikha didi ne neha se ye kaha ki, mai ajji ka dost hu to, isme ye baat kaha se aa gayi ki, mai priya ka boyfrined nahi hu. Bas isi baat ko soch kar hum dono chup hai.”

“Kyoki shikha didi aur ajji dono hi, priya ke baare me sab kuch jante hai. Tabhi to shikha didi ne uncle ke pas se apni duty priya ke pas karwayi thi. Mai shikha didi ka bhai hu, isi vajah se to, priya apni saheli nikki ke bhai ki shadi ko chhor kar, aapke ghar me hai.”

“Is sab ke bad bhi yadi neha ko lagta hai ki, mai priya ka jhutha boyfriend hu to, ab neha hi priya ke hath ko dekh kar bataye ki, priya ke hath me is “P” ke likhe hone ka wo kya matlab nikalegi.”

Ye kahte huye, maine priya ka wo hath pakad kar neha ke samne kar diya, jisme usne hatheli par blade se bada sa “P” banaya hua tha. Wo “P” dekh kar to neha ke sath sath barkha aur hitu ki aankhen bhi fati ki fati rah gayi.

Wahi priya bhi hairani se meri taraf dekhne lagi. Kyoki abhi tak usko bhi pata nahi tha ki, mujhe uski hatheli par likhe is “P” ke baare me pata hai. Mai gaur se sabka chehra dekh raha tha aur ab mujhe lagne laga tha ki, neha ko bhi is baat par yakin aane laga hai. Isliye maine apni baat ko aage chalu rakhte huye kaha.

Mai bola “yadi ab bhi neha ko is baat par shaq hai ki, mai priya ka boyfriend nahi hu to, mai neha ka dhyan is baat ki taraf dilana chahta hu ki, barkha didi ne to, hitu ko isliye tamacha maara tha, kyoki usne unke bhai ka gireban pakda tha. Lekin mai yadi priya ka jhutha boyfirned tha to, fir priya ko hitu ko tamacha marne ki kya jarurat thi.”

Meri in baton se jaha priya ke chehre ki chamak wapas laut aayi thi. Wahi is baat ne neha ko bhi sochne par majbur kar diya tha. Priya ke chehre ki chamak ko dekh kar, barkha ne ab neha ko latadte huye kaha.

Barkha boli “ab tera muh kyo band hai. Tera sahq door hua ya tujhe ab bhi in dono se kuch puchhna hai. Are apna pahad jaisa muh kholne ke pahle, ek baar mujhse to puchh leti ki, priya punit ki girlfriend hai ya nahi. Wo mera bhai hai, kya mujhe uske baare me itna bhi pata nahi hoga.”

Barkha ki ye baat sunkar, neha ki bolti hi band ho gayi thi aur ab priya ki jagah, uska sar sharam se jhuk gaya tha. Wahi hitu ne muskura kar, apne gaal ko sahlate huye barkha se kaha.

Hitu bola “neha ko yakin ho ya na ho. Mujhe to priya ki is harkat se pura yakin ho gaya hai ki, punit hi priya ka boyfriend hai. Mai apni galti ke liye tum sab se maafi mangta hu. Acha hua ki, punit ke do hi chahne wali yaha thi. Yadi ek do aur hoti to pata nahi aaj mera kya haal hota.”

Hitu ki ye baat sunkar, hum sabko hansi aa gayi. Iske bad hitu ne mujhe apna parichay diya. Hitu uske pyar ka naam tha. Uska asli naam hitesh tha. Uske sath thodi der ki baat chit se hi samajh me aa gaya tha ki, wo bahut milan-sar, hasmukh aur dil ka saaf ladka hai.

Usne kisi bhi baat ko apne dil se nahi lagaya tha aur mere sath bhi bade pyar se baat kar raha tha. Aapas me parichay hone ke bad, hum sab wahi ek coffee house me coffee peene chale gaye.

Coffee pine ke bad, maine barkha ko jataya ki, hum priya ke ghar ja rahe hai. Mai priya ke ghar se sham ko shikha didi ke pas aauga. Iske bad mai priya ke sath uske ghar wapas aa gaya.

Ghar aakar priya sidhe padmini aunty se jakar lipat gayi. Padmini aunty priya ko itna khush dekh kar hairan rah gayi. Lekin mai priya ki is khushi ko samajh sakta tha. Priya ko khush dekh kar mujhe bhi bahut shukun mil raha tha.

Thodi der aunty se baat karne ke bad mai apne kamre me aa gaya. Kyoki ab dopahar ke 2 baj chuke the aur ab kisi bhi samay keerti ka call aa sakta tha. Mujhe apne kamre me aaye abhi thodi hi der huyi thi ki, keerti ka call aane laga.

Keerti ka call dekhte hi mere chehre par muskurahat aa gayi. Maine khushi khushi uska call uthate huye kaha.

Mai bola “to madam ko mujhse baat karne ka samay mil hi gaya.”

Meri baat sunkar, keerti khilkhilane lagi. Wo samajh gayi thi ki, mai subah mujhse baat na karne ki vajah se aisa bol raha hu. Isliye usne apni safai dete huye kaha.

Keerti boli “sorry jaan, tum kal bahut thak gaye the aur hum raat ko der tak baat bhi karte rahe the. Isliye maine socha ki aaj tumko aaram kar lene diya jaye. Kyoki aaj tumko hospital bhi nahi jana tha.”

Mai bola “badi aayi mujhe aaram karne dene wali. Tujhe pata bhi hai ki, tere nitika ko priya ki tabiyat ke baare me batane se yaha kitna bada hangama mach gaya tha.”

Mai to ye baat keerti ko batana chahta tha. Lekin use ye baat pahle se hi pata thi. Isliye usne is baat ke liye bhi mujhse maafi mangte huye kaha.

Keerti boli “jaan is baat ke liye bhi sorry. Mujhe abhi abhi nitika se pata chala ki, waha kya kuch ho gaya. Ye to mai bhi nahi janti thi ki, aunty waha pahuch kar itna bada hangama khada kar degi. Lekin tumko itna jyada gussa nahi dikhana chahiye tha.”

Mai bola “tu bilkul sahi bol rahi hai. Maine sach me bahut badi galti kar di. Meri jagah yadi tu hoti aur aunty ne mujhe ye sab bola hota to, tu bade pyar se sab sun leti.”

Meri is baat ka matlab samajh me aate hi keerti khilkhila kar hasne lagi aur jaldi se is baat ko badalte huye kaha.

Keerti boli “jaan ye sab baten chhoro aur ye batao, mausi se shadi ke baare me kya baat huyi.”

Mai bola “chhoti maa ko maine sab kuch bata diya hai. Ab wo shadi me dene wala gift soch kar mujhe bata degi.”

Keerti boli “jaan, maine gift soch liya hai aur mausi ko bata bhi diya hai. Ab dekho mausi wo gift dene ke liye taiyar bhi hai ya nahi.”

Mai bola “tune kya gift socha hai.”

Keerti boli “mai abhi nahi bataugi. Pahle mausi ko gift dene ke liye taiyar ho jaane do. Uske bad bataugi.”

Maine keerti se gift ka puchhne ki bahut koshish ki, magar wo chhoti maa ke taiyar hone ke pahle kuch bhi batane ko taiyar nahi thi. Maine bhi is baat par jyada bahas karna thik nahi samjha aur us se kaha.

Mai bola “thik hai, tujhe jab ye baat batana ho, tu bata dena. Magar abhi itna to bata de ki, tu is shadi me aana chahti ya nahi. Kyoki humare yaha se kisi ke shadi me shamil na hone ki baat, shikha didi ko achi nahi lag rahi hai.”

Keerti boli “shikha didi ka aisa sochna bhi sahi hai. Lekin mausi ka kahna bhi galat nahi hai. Wo chah kar bhi is shadi me shamil nahi ho sakti. Rahi mere aane ki baat to, abhi meri tabiyat kuch thik si nahi hai. Isliye mai safar nahi kar sakti hu.”

Keerti ki tabiyat sahi na hone ki baat sunkar, maine chinta jahir karte huye kaha.

Mai bola “teri tabiyat ko kya hua. Tune doctor ko dikhaya ya nahi.”

Meri baat sunkar, keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “are buddhu, meri tabiyat ko kuch nahi hua. Bas wo ladkiyon wali pareshani hai. Jo ladkiyon ko har mahine hoti hai.”

Mai keerti ki baat ka matlab samajh gaya tha ki, abhi uske periods chal rahe hai. Mujhe is vajah se uske aane me koi pareshani najar nahi aayi. Isliye maine us se, aane par jor dete huye kaha.

Mai bola “to isme kaun si badi baat ho gayi. Kya ladkiyan aise me kahi aati jati nahi hai. Tujhe nahi aana hai to, saaf mana kar de. Isme bahane banane ki kya jarurat hai.”

Keerti boli “tumko to har baat khul kar batana padti hai. Tumko malum hai ki, mere pet me pahle se hi pareshani hai aur aise samay me mere pet ka dard kuch jyada hi bad jata hai. Jis vajah se mujhse sahi se chala bhi nahi jata. Ab yadi iske bad bhi tum chahte ho ki, mai waha aa jau, to chalo mai waha aa jati hu. Ab khush na.”

Keerti ki is baat ne mujhe soch me daal diya tha. Kyoki uska liver kamjor tha. Aise me usko sach me is samay pareshani ka samna kar pad raha hoga. Bas yahi baat sochte huye maine us se kaha.

Mai bola “chal rahne de. Yadi teri tabiyat thik nahi hai to, tujhe yaha aane ki koi jarurat nahi hai. Mai to sirf isliye bol raha tha, kyoki isi bahane mai tujhe dekh bhi leta.”

Meri baat sunkar, keerti ne muskura kar mujhe samjhate huye kaha.

Keerti boli “are to isme itna dil chhota karne wali kya baat hai. Ab tumhare wapas aane ke bas 3 din hi to bache hai aur ye 3 din to aise hi chutki me nikal jayege. Uske bad tumhara, jitna dil kare, mujhe dekhte rahna.”

Keerti ki is baat ke bad, mujhe us se is baare me koi bahas karna sahi nahi laga. Kyoki ye to mai bhi janta tha ki, jitna mushkil mere liye uske bina rah pana ho raha tha. Utna hi mushkil uske liye bhi mere bina rah pana ho raha hoga.

Lekin is samay mujhe in sab baton se jyada, uski tabiyat ki fikar satane lagi thi. Na jaane kyo uski baat sunkar, mera dil ghabra sa raha tha. Isliye maine is baat ko yahi khatam karte huye us se kaha.

Mai bola “chal thik hai, ye 3 din bhi gujar hi jayege. Lekin tujhe aise me abhi school jaane ki bilkul jarurat nahi hai. Tu abhi ghar par rah kar hi aaram karna aur apni tabiyat ka pura khayal rakhna.”

“Yadi koi bhi taklif ho to, fauran chhoti maa ko batana aur kuch bhi chhupane ki koshish mat karna. Yadi tune isme jara si bhi laparwahi ki to, mujhse bura koi nahi hoga.”

Keerti bade gaur se meri ye sab baten sun rahi thi. Mai jab apni baten kah kar chup hua to, usne mujhe chhedte huye kaha.

Keerti boli “haye mai mar jawa. Tum mera kitna khayal rakhte ho. Yadi ye baat mausi sunegi ki, unka lalla, unse jyada mera khayal rakhta hai to, wo mujhse jalne lagegi.”

Keerti ki is baat par maine chid-chidate huye use gusse me bakna suru kar diya. Magar keerti ka mujhe pareshan karna nahi ruka. Wo bahut der tak mujhe in sab baton me uljahye rahi.

Iske bad hum thodi der yaha waha ki baat karte rahe. Fir 3:30 baje ke bad, usne raat me baat karne ki baat kah kar call rakh diya. Mai keerti ki tabiyat ke baare me chhoti maa se baat karna chahta tha.

Lekin keerti ne ye kah kar rok diya tha ki, uski tabiyat ki chinta karne ki jarurat nahi hai aur yadi maine is baare me chhoti maa se baat ki to, wo humare baare me kya sochegi.

Keerti ki is baat ki vajah se, mai chhoti maa se, uski tabiyat ki baat nahi kar sakta tha. Lekin ab mujhe uski tabiyat ki chinta sata rahi thi aur mai isi soch me khoya hua tha ki, tabhi kisi ne mere kamre ka darwaja khatkhata diya.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 154}
____________________________

Keerti bade gaur se meri ye sab baten sun rahi thi. Mai jab apni baten kah kar chup hua to, usne mujhe chhedte huye kaha.

Keerti boli “haye mai mar jawa. Tum mera kitna khayal rakhte ho. Yadi ye baat mausi sunegi ki, unka lalla, unse jyada mera khayal rakhta hai to, wo mujhse jalne lagegi.”

Keerti ki is baat par maine chid-chidate huye use gusse me bakna suru kar diya. Magar keerti ka mujhe pareshan karna nahi ruka. Wo bahut der tak mujhe in sab baton me uljahye rahi.

Iske bad hum thodi der yaha waha ki baat karte rahe. Fir 3:30 baje ke bad, usne raat me baat karne ki baat kah kar call rakh diya. Mai keerti ki tabiyat ke baare me chhoti maa se baat karna chahta tha.

Lekin keerti ne ye kah kar rok diya tha ki, uski tabiyat ki chinta karne ki jarurat nahi hai aur yadi maine is baare me chhoti maa se baat ki to, wo humare baare me kya sochegi.

Keerti ki is baat ki vajah se, mai chhoti maa se, uski tabiyat ki baat nahi kar sakta tha. Lekin ab mujhe uski tabiyat ki chinta sata rahi thi aur mai isi soch me khoya hua tha ki, tabhi kisi ne mere kamre ka darwaja khatkhata diya.

Ab nikki to ghar par thi nahi aur riya pichhle kuch dino se mere kamre me akele me aayi nahi thi. Aise me mai priya ke siwa kisi ke aane ki baat mai soch bhi nahi sakta tha. Maine priya ke aane ki ummid ke sath darwaja khol diya.

Lekin darwaja kholte hi meri najar aane wale par padi to, mai hairan huye bina na rah saka. Mere samne roj ki tarah, sham ki chay lekar nikki hi khadi thi. Mujhe abhi bhi apni aankhon par viswas nahi ho raha tha.

Mai hairani se use dekh raha tha. Unse is tarah se mujhe hairan hote dekha to, muskura kar mujhe tokte huye kaha.

Nikki boli “kya hua, kya itni si der me hi aap mujhe bhool gaye hai.”

Nikki ki baat sunte hi, mere chehre par bhi muskurahat aa gayi. Maine uske andar aane ke liye rasta chhora aur use andar aane ko kaha. Jab wo andar aa gayi to, usne mujhe chay di aur fir khud hi meri hairani ko door karte huye kaha.

Nikki boli “aapko jyada hairan hone ki jarurat nahi hai. Ye ghar mera hai aur mohini aunty ki kisi baat ki vajah se, ye ghar mere liye paraya nahi ho jayega. Us samay seeru didi aur priya ki baat maan kar mujhe yaha se jana pada tha. Warna mai mohini aunty ki baat ki vajah se hargij yaha se jaane wali nahi thi.”

Nikki ko ghar me fir se wapas dekh kar, mujhe bhi bahut khushi ho rahi thi. Abhi meri nikki se baat chal hi rahi thi ki, tabhi padmini aunty bhi aa gayi. Un ne nikki ke sar par pyar se hath ferte huye kaha.

Padmini aunty boli “tune acha kiya, jo wapas aa gayi. Tere jaane se sara ghar suna ho gaya tha.”

Nikki boli “aunty mai to jana hi nahi chahti thi. Lekin us kamini ki vajah se mujhe us samay yaha se jana bhi pada aur fir usi ki vajah se abhi yaha wapas aana bhi pada. Kyoki mai uski adat ko achi tarah se janti hu. Usne mujhe haste haste yaha se bhej to diya tha. Lekin mere yaha se jaane ke bad khud aansu baha rahi hogi.”

Nikki ki is baat ko sunkar jaha aunty ke chehre par muskurahat aa gayi. Wahi mai priya aur nikki ke bich ke is apnepan ko lekar soch me pad gaya. Ek taraf priya ne na chahte huye bhi nikki ki khushi ke liye usko apne ghar se jaane diya tha to, dusri taraf nikki priya ki khushi ka khayal karke fir se wapas laut aayi thi.

Un dono ke bich ka ye pyar dekh kar mere chehre par bhi muskurahat aa gayi. Aunty aur nikki ke bich priya ko lekar abhi baten chal hi rahi thi ki, tabhi nitika apne hath me ek gift liye andar aa gayi. Wo shayad priya ko dud rahi thi. Isliye usne andar aate hi aunty se kaha.

Nitika boli “aunty priya kaha hai. Mai kabse use dekh rahi hu. Wo kahi nahi dikh rahi hai.”

Nitika ki baat sun aur uske hath me thama gift dekh kar aunty ne us se kaha.

Aunty boli “wo to riya ke sath bajar tak gayi hai. Lekin tumhare hath me ye kya hai.”

Aunty ki baat ke jabab me nitika ne muskurate huye kaha.

Nitika boli “aunty, ye priya ke B’day ka gift hai. Mai isi ko dene ke liye priya ko dekh rahi thi.”

Nitika ki is baat ne mujhe hairan karke rakh diya. Mujhe itne dino me kisi se bhi, ye sunne ko nahi mila tha ki, abhi kabhi me priya ka B’day aane wala hai. Ye baat sunte hi, mai apne aap ko rok na saka aur maine aunty se kaha.

Mai bola “aunty mujhe kisi ne bataya nahi ki, priya ka janam din aane wala hai. Kab hai priya ka janamdin.”

Meri baat sunkar, aunty aur nikki dono hi ek dusre ko dekhne lage. Wahi nitika ne meri baat sunte hi, tapak se jabab dete huye kaha.

Nitika boli “are priya ka janamdin aane wala nahi hai. Wo to Thursday ko nikal chuka hai.”

Nitika ki is baat se meri hairani aur bhi jyada bad gayi thi. Kyoki Thursday ko to mai priya ke ghar me hi tha. Fir priya ke janam din ke baare me mujhe pata kaise nahi chala. Maine isi baat ko sochte huye aunty se kaha.

Mai bola “lekin aunty us din to mai yahi par tha. Fir mujhe priya ke janam din ka kaise pata nahi chala.”

Meri is baat ke jabab me, aunty ke kuch kahne ke pahle hi nikki ne kaha.

Nikki boli “us din aap yaha nahi the. Thursday ko aap aman bhaiya ke kaam se, apne shahar gaye huye the.”

Nikki ke ye baat bolte hi saari baat mujhe samajh me aa gayi aur us din ki saari baten mere dimag me ghumne lagi. Tabhi mujhe yaad aaya ki, us din maine raat ko sabke sath khana khaya tha. Ye baat yaad aate hi maine nikki se kaha.

Mai bola “lekin us din raat ko to, mai aapke sath hi hospital se ghar aaya tha aur fir yaha aakar maine sabke sath khana bhi khaya tha. Mujhe ache se yaad hai ki, tab bhi kisi ne priya ke janam din hone ka koi jikr nahi kiya tha.”

Nikki boli “wo isliye kyoki priya us din aapke bina bataye chale jaane se bahut naraj thi aur usne sabse aapko ye baat batane se mana kar diya tha. Yaha tak ki usne mehul se bhi saaf kah diya tha ki, wo bhi aapse is baare me koi baat nahi karega.”

Nikki ke ye baat bolte hi, ek pal me hi saara majra meri samajh me aa gaya aur mai iske aage kisi se kuch na bol saka. Magar mere man me is baat ko lekar afsos jarur tha ki, priya ne mere janam din par mujhe itna keemti gift diya tha aur mai uske janam din me use wish bhi na kar saka.

Mai apne man me ye sab baten soch raha tha. Lekin shayad aunty ko laga ki, un sabka is tarah mujhse priya ke janam chhupne ki baat ka, mujhe bura lag gaya hai. Isliye un ne mujhe samjhate huye kaha.

Aunty boli “dekho beta, hum sab tumse ye baat chhupana nahi chahte the. Lekin us din priya tumhare bina bataye jaane ki baat se bahut naraj thi. Fir uska janam din bhi tha, aise me humare pas usko khush rakhne ke liye, is baat ko tumhe na batane ke siwa koi rasta nahi tha. Jiski vajah se kisi ne bhi us din tumhare samne priya ke janam din ka koi jikar nahi kiya tha.”

Aunty ki is baat ke jabab me maine muskurate huye un se kaha.

Mai bola “aunty, mere man me is baat ko lekar koi narajgi nahi hai. Mai janta hu ki priya kitni jiddi hai. Mai to bas is baat ko soch raha tha ki, mai yaha hote huye bhi usko janam din wish na kar saka.”

Meri baat sunkar aunty ko bhi tasalli ho gayi. Un ne meri is baat ke jabab me mujhse kaha.

Aunty boli “koi baat nahi. Ab jab nitika priya ko uske janam din ka gift de. Tab tum usko janam din wish kar dena aur us se apna janam din ki baat chhupane ko lekar jhagra bhi kar lena.”

Aunty ki baat sunkar, hum sab hansne lage. Fir aunty ne nitika ko apna gift abhi wapas le jaane ko aur mere samne priya ko dene ko kaha. Nitika bhi saari baat sun chuki thi. Isliye wo apna gift wapas le gayi.

Uske jaane ke bad aunty bhi waha se chali gayi aur mai nikki se baat karne laga. Kuch hi der me priya bhi ghar wapas aa gayi. Use jaise hi pata chala ki, nikki aayi hai aur abhi mere kamre me hai.

Wo sidhe bhagte huye mere kamre me aa gayi aur nikki se lipat gayi. Dono pyar se ek dusre se jhagarne lagi aur mai unke is jhagre ka maja lene laga. Isi bich aunty ne nitika ko uska gift lekar mere kamre me bhej diya.

Fir sab waisa hi hua, jaisa aunty ne kaha tha. Priya ki janam din ki baat mujhe pata chalte hi mai us se is baat ko chhupane ke liye jhagra karne laga. Tabhi aunty bhi waha aa gayi.

Un ne bhi aisa hi jahir kiya, jaise ye raz abhi abhi mere samne khula hai. Wo thodi der iska maja leti rahi aur fir hum dono me sulah kara di. Jiske bad priya ne is baat ke liye mujhe sorry kaha aur maine use janam din wish kiya.

Kuch der sabka isi tarah hansi majak chalta raha. Fir ek ek karke sab mere kamre se chale gaye. Ab sham ke 6 baj chuke the aur mai apne kamre me akela tha. Aise me ek baar fir mujhe keerti ki chinta satane lagi.

Maine keerti ka haal chal pata karne ke liye use call laga diya aur us se uski tabiyat puchhne laga. Wo apni tabiyat thik hone ki baat kah rahi thi aur mere is tarah se uski tabiyat ko lekar pareshan hone ki baat ka majak uda rahi thi.

Thodi der keerti se baat karne ke bad maine call rakh diya. Lekin abhi bhi mujhe uski tabiyat ki chinta sata rahi thi. Na jaane kyo mera dil uski is baat par yakin nahi kar pa raha tha ki, uski tabiyat thik hai.

Jab is baat ko lekar meri uljhan bahut jyada bad gayi. Tab maine keerti ki baat ko katte huye, chhoti maa se hi is baare me baat karne ka faisla kiya aur unko call laga diya.

Magar meri kismat ne, mujhe yaha bhi dhokha de diya aur chhoti maa ki jagah, call keerti ne utha liya. Use ye baat samajhte jara bhi der nahi lagi ki, us se baat karne ke bad, maine chhoti maa ko kyo call lagaya hai.

Usne meri is baat ko lekar, mujhse jhagra karna suru kar diya aur kahne lagi ki, mujhe us par viswas nahi hai. Isliye mai uski baat ki sachchai ka pata karne ke liye chhoti maa ko call laga raha hu.

Mai keerti ko apni baat samajhane ki koshish karta raha. Lekin ab wo meri koi bhi baat sunne ke liye taiyar hi nahi thi aur ab mujhse koi bhi baat na karne ki dhamki de rahi thi.

Jis vajah se use manane ke liye mujhe uski kasam kha kar, ye baat kahna pad gayi ki, mai ab aisa dobara nahi karuga. Mere kasam khane ke bad, keerti ka gussa shant ho gaya.

Ab wo mujhe is baat ka yakin dilane lagi ki, uski tabiyat puri tarah se thik hai. Fir usne chhoti maa ke kabhi bhi aa jaane ki baat kahte huye, raat ko baat karne ki, baat kah kar call rakh diya.

Magar uske call rakhne ke bad, mai ek baar fir uski soch me pad gaya. Maine use naraj na karne ke liye uski tabiyat thik hone wali baat maan to li thi. Lekin abhi bhi mujhe uski tabiyat ko lekar ek anjana sa dar sata raha tha.

Mai bas apne usi dar ko door karne ke liye chhoti maa ko call laga raha tha. Lekin keerti ne apni kasam dekar, mere is dar ko door karne ka ye rasta bhi band kar diya tha.

Mera keerti ki tabiyat ko lekar pareshan hona bevajah nahi tha. Subah se lekar, abhi tak ke haalat kuch aise the. Jo mujhe keerti ki tabiyat ko lekar pareshan hone ke liye majbur kar rahe the.

Magar keerti ki jid ke aage mai bilkul bebas tha. Inhi sab baton ko sochte sochte bahut samay beet gaya. Meri bebasi to door nahi huyi thi. Lekin mere shikha didi ke ghar jaane ka samay jarur ho gaya tha.

Isliye mai uth kar taiyar hua aur fir padmini aunty ko jata kar 7 baje shikha didi ke ghar aa gaya. Shikha didi ke ghar aane ke bad, mai jyadatar samay shikha didi ke hi sath raha.

Wo apne ghar me chal rahi shadi ki taiyari se judi chhoti chhoti baten bhi mujhe bata rahi thi. Unka ye apnapan dekh kar, mera tanav kuch had tak door ho gaya aur mai bhi unki baton me khul kar shamil ho gaya.

Neha bhi wahi par thi aur barkha ke sath ghar ke chhote mote kaam kar thi. Usne ek do baar meri taraf dekha. Lekin meri us se koi baat nahi huyi. Isi sab me 10 baj gaye aur fir sab khana khane lage.

Khana peena khane ke bad, 10:30 baje mai upar chhat par aa gaya. Aaj shikha didi ke ghar me shadi ki kuch rasme chal rahi thi. Jis vajah se mujhe priya ke ghar wapas lautne me kuch jyada samay lagne wala tha.

Aise me mai keerti se baat karne ka samay bhi nikal pata hu ya nahi. Iska bhi mujhe pakka pata nahi tha. Chhat par aane ke bad, akelapan pate hi, ek baar fir mujhe keerti ki tabiyat ki fikar gher liya.

Is khushi ke mahaul me mujhe mujhe uski kami ka aehsas kuch jyada hi satane laga tha. Mujhe keerti se baat karne ki itni bechaini pahle kabhi nahi thi, jitni ki aaj ho rahi thi.

Lekin mai ye bhi achi tarah se janta tha ki, abhi 10:30 baje ka samay keerti ka ami nimi ke pas rahne ka tha aur aise meri keerti se baat ho pane ki ummid bahut hi kam thi.

Fir bhi maine apne dil se majbur hokar keerti ko call laga diya aur bechaini ke sath is baat ka intejar karne laga ki, mere is samay keerti ko call karne ka anjam kya hone wala hai.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 155}
____________________________

Khana peena khane ke bad, 10:30 baje mai upar chhat par aa gaya. Aaj shikha didi ke ghar me shadi ki kuch rasme chal rahi thi. Jis vajah se mujhe priya ke ghar wapas lautne me kuch jyada samay lagne wala tha.

Aise me mai keerti se baat karne ka samay bhi nikal pata hu ya nahi. Iska bhi mujhe pakka pata nahi tha. Chhat par aane ke bad, akelapan pate hi, ek baar fir mujhe keerti ki tabiyat ki fikar gher liya.

Is khushi ke mahaul me mujhe mujhe uski kami ka aehsas kuch jyada hi satane laga tha. Mujhe keerti se baat karne ki itni bechaini pahle kabhi nahi thi, jitni ki aaj ho rahi thi.

Lekin mai ye bhi achi tarah se janta tha ki, abhi 10:30 baje ka samay keerti ka ami nimi ke pas rahne ka tha aur aise meri keerti se baat ho pane ki ummid bahut hi kam thi.

Fir bhi maine apne dil se majbur hokar keerti ko call laga diya aur bechaini ke sath is baat ka intejar karne laga ki, mere is samay keerti ko call karne ka anjam kya hone wala hai.

Magar mere call lagate hi mera call kat gaya aur wapas keerti ka call aane laga. Jise dekhte hi mujhe itni khushi huyi ki, meri aankhon me nami chha gayi. Is samay mujhe keerti par bahut jyada pyar aa raha tha. Isliye maine uska call uthate hi bade pyar se kaha.

Mai bola “i love u jaan, i miss u so much. Muuuhhhhh Muuuhhhhh Muuuhhhhh.”

Ye kah kar mai behatasha mobile ko chumne laga. Us samay mujhe wo mobile nahi, balki keerti ka chehra najar aa raha tha. Mai bahut jyada bhavuk ho gaya tha aur meri isi bhavukta ne keerti ki kami ke aehsas ko or bhi jyada bada diya tha.

Mere liye keerti ki is kami ko sah pana bahut hi mushkil ho gaya aur meri aankhon ki name, aansu bankar aankhon se bahane lagi. Mai ise bahne se rokne koshish karne laga. Lekin isko rokna ab mere bas me nahi tha.

Jab maine khud ko ise rokne me bebas paya to, maine call kaat diya aur ghutno ke bal wahi jamin par baith kar apne pairon me, apna chehra chupa kar, fir se apne bahte huye aansuon ko rokne ki koshish karne laga.

Magar mai jitna apne aansuon rokne ki koshish kar raha tha. Mere aansu utni hi teji se nikalte aa rahe the. Mai khud hi samajh nahi pa raha tha ki, achanak mere sath ye sab kya ho gaya.

Udhar keerti ko bhi kuch samajh me nahi aaya ki, ye achanak mujhe kya ho gaya hai aur maine call kyo kaat diya hai. Wo mere call kaat dene ke bad se, lagataar mujhe call lagaye ja rahi thi.

Lekin jab maine uska call nahi uthaya to, uska call aana band ho gaya aur fir kuch pal bad, dusre mobile par uska msg aa gaya.

Keerti ka msg “Tum Khafa Kyon Ho Mujhse.?
Tumhe Mujhse Gila Kya Hai.?

Achanak Berukhi Itni.
Batao To Hua Kya Hai.?

Manau Kis Tarah Tum Ko.?
Mujhe Itna To Batla Do.

Tumhare Muskurane Se.
Mera Dil Muskurata Hai.

Tumhare Rooth Jaane Se.
Mera Dil Toot Jata Hai.

Tumhare Narm Hothon Pe.
Gile Ache Nahi Lagte.

Tumhari Aankh Me Aansu.
Mujhe Ache Nahi Lagte.

Tumhari Aankh Me Aansu.
Mujhe Ache Nahi Lagte.”​

Maine keerti ka msg pada to, maine majbur hokar usko call laga diya. Keerti ne fauran hi mera call utha liya aur bahut jyada bechain hote huye kaha.

Keerti boli “jaan, kya hua tumhe, tum ro kyo rahe ho.”

Lekin is samay mai khud apne aap me nahi tha. Mai to bas apni aankhon ki us bemausam barsat ko rokne ki koshish kar raha tha, jo meri laakh koshishon ke bad bhi, thamne ka naam nahi le rahi thi.

Mere aansuon ke aehsas se udhar keerti ka dil bhi bhar aaya aur uski aankhen bhi barasne lagi thi. Usne unhi barasti aankhon ke sath mujhse puchha.

Keerti boli “plz jaan, aisa mat karo, mujhe batao na, tumhe kya hua hai. Tumhe kis baat ne itna dard diya hai jaan. Plz bolo jaan.”

Magar mai chah kar bhi uski kisi baat ka jabab nahi de pa raha tha. Jab usne dekha ki, mere upar uski kisi baat ka koi asar nahi pad raha hai to, fir usne mujhe chup karane ka aakhiri rasta apnate huye kaha.

Keerti boli “plz jaan, tumko meri kasam, rona band karo. Ab yadi tumhari aankh se ek aansu bhi gira to, tumhari kasam, mai abhi apni jaan de dugi.”

Keerti ki is baat ne kisi teer ki tarah mere dil par asar kiya aur mere aansu khud-ba-khud thamna suru ho gaye. Kuch pal bad jab keerti ko aehsas hua ki, ab mere aansu tham gaye hai to, usne mujhse kaha.

Keerti boli “jaan, tumhe kya hua. Plz kuch bolo, mera dil bahut ghabra raha hai.”

Ab tak mai khud ko kuch had tak sambhal chuka tha. Mai keerti ko kisi baat ke liye pareshan nahi karna chahta tha. Isliye maine baat ko badalte huye kaha.

Mai bola “mujhe kuch bhi nahi hua. Ab is baat ko chhod aur ye bata ki, itni samay tune kaise wapas call laga diya. Tu to itni samay ami nimi ke pas rahti hai na.”

Lekin keerti itni jaldi bahal jaane walo me nahi thi. Usne apne sawal ko fir se dohrate huye kaha.

Keerti boli “mujhe bahlane ki koshish mat karo jaan. Jo puchh rahi hu, pahle uska jabab do ki, tumhe kya hua. Tumhe kis baat ne itna dard diya hai.”

Mai bola “sach me mujhe kuch nahi hua. Bas tujhse baat karte hi, pata nahi kyo, ye bemausam ki barsat suru ho gayi.”

Magar keerti ko abhi bhi meri baat par viswas nahi ho raha tha. Mujhe hone wale kisi anjane se dard ke aehsas ne use hila kar rakh diya tha. Usne mujhe apni kasam dete huye kaha.

Keerti boli “jaan, tumhe meri kasam hai. Sach sach batao, tumhe kya hua hai.”

Mai keerti ko pareshan karna nahi chahta tha. Lekin meri samajh me hi nahi aa raha tha ki, mai us se kya bolu aur kya na bolu. Magar jab usne fir se apni kasam dete huye, apni baat ko dohraya to, maine use samjhate huye kaha.

Mai bola “ye teri, har baat par kasam dene ki aadat achi nahi hai. Mujhe sach me kuch nahi hua hai. Bas teri kami ke aehsas aur teri tabiyat ki fikar me, ye be-mausam ki barsat suru ho gayi thi.”

Meri is baat ko sunte hi keerti ne bilakhte huye mujhse kaha.

Keerti boli “jaan, mujhe maaf kar do. Mujhse bahut badi galti ho gayi. Mujhe apni tabiyat ki baat tumse nahi chhupana chahiye thi. Magar mujhe laga tha ki, meri tabiyat ki baat sunkar tum pareshan ho jaoge. Isliye mujhe ye baat tumse chhupana pad gayi thi. Lekin mai ye nahi janti thi ki, mera ye baat chhupana tumhe aur bhi jyada pareshan karke rakh dega.”

Keerti ki ye baat sunte hi, maine badi bechaini ke sath kaha.

Mai bola “in sab baton ko jaane de. Mujhe ye bata ki tujhe kya hua aur doctor ne kya kaha hai.”

Keerti boli “jaan, isme jyada fikar karne wali koi baat nahi hai. Tumhe to pata hai ki, mera liver kamjor hai aur aise me khane peene ka sahi se khyal na rakhne ki vajah se mujhe piliya (jaundice) ki sikayat ho gayi hai. Doctor ne kaha hai ki, ek hafte me mai puri tarah se thik ho jaugi.”

Mai bola “teri tabiyat kab se kharab hai.”

Keerti boli “meri tabiyat Sunday se kharab hai. Us din mai aunty ka saman upar rakhwa rahi thi. Tabhi mujhe chakkar aa gaya. Mausi ne doctor ko bulaya to, usne mujhe piliya hona bataya. Maine hi mausi aur aunty ko, ye baat tumhe batane se mana ki thi. Isliye kisi ne meri tabiyat ke baare me kuch nahi bataya.”

Keerti ki is baat ko sunne ke bad, mere dimag me Sunday se lekar abhi tak ki saari baten ghumne lagi aur maine us se puchha.

Mai bola “to kya tune Sunday ko mujhse jhagra karna bhi isi baat ko chhupane ke liye kiya tha.”

Meri baat sunkar, keerti khamosh hi rahi. Usne jab haan ya na me bhi koi jabab nahi diya to, maine us se fir puchha.

Mai bola “bolti kyo nahi. Kya tune Sunday ko jhagra bhi isi baat ki vajah se kiya tha.”

Keerti boli “nahi, us jhagre ki vajah dusri thi. Lekin wo mai tumhe yaha aane par hi bataugi. Plz uske baare me abhi kuch mat puchhna.”

Mai bola “thik hai, mai uske baare me abhi kuch nahi puchhta. Lekin kya ab mai teri tabiyat ke baare me chhoti maa se baat kar sakta hu.”

Keerti boli “iski kya jarurat hai. Mai tumhe sab kuch sach sach bata to rahi hu. Yadi iske bad bhi tum kisi se meri tabiyat ka puchhoge to, wo ye hi sochege ki, maine khud hi sabko tumhe ye baat batane se roka tha aur fir khud hi tumko ye baat bata di. Ab tum hi socho aise me wo mere baare me kya sochege.”

Keerti ki is baat ne mujhe soch me daal diya. Uska ye kahna bhi sahi tha. Lekin meri samajh me ye nahi aa raha tha ki, usne sabse aisa kya kaha ki, sab mujhse ye baat chhupane ko taiyar ho gaye. Isliye maine baat ko badalte huye kaha.

Mai bola “chal, mai kisi se kuch nahi puchhta. Lekin ek baat bata ki, tune sabko aisa kya bol diya ki, kisi ne mujhe is baat ki bhanak bhi nahi padne di.”

Keerti boli “maine kisi se kuch khas nahi kaha. Maine sirf itna kaha tha ki, abhi tum waha uncle ko lekar pareshan ho. Aise me yaha ki kisi baat se tumko pareshan karna ya fir kisi soch me daalna acha nahi hoga. Isliye meri tabiyat ke baare me tumhe kuch na batana hi behtar hoga.”

“Meri ye baat mausi aur aunty ko bhi sahi lagi aur un ne aisa karne ki haami bhar di. Lekin unko ami nimi ki chinta thi ki, ami nimi me se koi bhi, ye baat tumko bata sakti hai. Magar mere pas iska bhi rasta tha.”

“Maine ami nimi se kaha ki, yadi wo meri tabiyat ki baat tumko batayegi to, tum ilaj ke liye mujhe bhi waha bula loge aur fir un dono ko yaha akele rahna padega. Meri is baat ko un dono ne sach samajh liya. Isliye un dono me se kisi ne bhi tumko ye baat nahi batayi.”

Keerti ki ami nimi wali baat sunkar, pahli baar mere chehre par muskurahat aayi. Lekin abhi bhi mere man me kuch sawal uth rahe the. Isliye maine apni baat ko aage badate huye keerti se kaha.

Mai bola “lekin jab teri tabiyat kharab hai to, jahir si baat hai ki, tu abhi school nahi ja rahi hogi, to fir kal raat ko aunty ne tujhse ye kyo kaha tha ki, tu itni raat tak phone par kyo lagi huyi hai. Kya kal tujhe school nahi jana hai.”

Meri baat sunkar keerti ko bhi hansi aa gayi. Usne hanste huye kaha.

Keerti boli “tum phone par sirf sun sakte ho, dekh thodi hi sakte ho. Aunty ne kal jab mujhse ye baat kahi thi, tab meri dawaiyon ki taraf ishara karke ye baat boli thi. Jiska matlab tha ki, teri tabiyat kharab hai, fir tu itni raat tak phone par baat kyo kar rahi hai.”

Mai bola “tum sabne milkar, acha jhuth bola tha.”

Meri baat ke jabab me keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “haan bola to tha, lekin iska koi fayda kaha hua. Tumne humara jhuth pakad to liya na. Lekin meri samajh me ye baat nahi aa rahi ki, maine apni tabiyat thik na hone ki baat to, khud tumhe batayi thi. Fir tumko ye kyo lag raha tha ki, meri tabiyat ko kuch or hua hai aur mai tumse kuch chhupa rahi hu.”

Mai bola “jab tune mujhe apni tabiyat thik na hone ki baat boli aur fir mujhe chhoti maa se is baare me baat karne se rok diya. Tab mera dhyan pichhli kuch baton par gaya.”

“Jaise aunty ka der raat ko tere kamre me aana, jabki aunty raat ko jaldi so jati hai. Fir chhoti maa ka us samay upar se aakar call uthana, jis samay sab school gaye hote hai. Fir chhoti maa ke mobile par tera call uthana.”

“Jo ye batane ke liye kafi tha ki, chhoti maa apna mobile tere pas bhool gayi hai. Bas inhi baton ki vajah se mujhe lag raha tha ki, teri tabiyat ko jarur kuch or hi hua hai, jo tu mujhse chhupa rahi.”

Meri baat sunkar, keerti ne chaukte huye kaha.

Keerti boli “bap re, tum kaha kaha apna dimag dauda rahe the. Maine to in sab baton ko socha bhi nahi tha.”

Abhi keerti is se aage kuch bol pati ki, tabhi mujhe sidiyon se kisi ke aane ki aahat sunayi di. Maine ye baat keerti ko batayi aur apna mobile jeb me rakh kar, wahi rakha akhbar dekhne laga.

Kuch hi der me mujhe, barkha chay lekar upar aati huyi najar aayi. Use dekhte hi mai uth kar khada ho gaya aur uske hath me chay dekh kar us se kaha.

Mai bola “didi, iski kya jarurat thi. Kya mai koi bahar wala hu. Jo aap mere liye itni takleef utha rahi hai.”

Meri baat ke jabab me barkha ne muskurate huye mujhe chay di aur fir kaha.

Barkha boli “mere bhai, tum koi bahar wale nahi ho aur yadi tumko ye sab takleef uthana lagta hai to, meri ek baat kaan khol kar sun lo. Apne bhai ke liye mai ye takleef baar baar uthane ko taiyar hu. Ab dekh kya rahe ho, jaldi se chay pi lo. Warna chay thandi ho jayegi aur mujhe fir se chay garam karne ki taklif uthana padegi”

Ye kah kar wo hasne lagi aur uske sath sath mai bhi hanste huye chay peene laga. Barkha bhi mere pas aakar baith gayi. Fir meri us se niche chal rahi rasmo ke baare me baat hone lagi.

Abhi humari baat chal hi rahi thi ki, tabhi mera mobile bajne laga. Maine mobile nikal kar dekha to, priya ka call aa raha tha. Maine ye baat barkha ko batayi aur priya ka call uthate huye us se kaha.

Mai bola “haan, bolo priya.”

Priya boli “jara samay dekho 11 baj gaya hai. Tum abhi tak ghar kyo nahi aaye. Mai kab se tumhare aane ka intejar kar raha hu.”

Mai bola “sorry priya, mai tumko ye baat batana bhool gaya. Aaj yaha par shadi ki kuch rasme chal rahi hai. Isliye mujhe aane me der me ho jayegi. Tum mere aane ka intejar mat karo aur so jao.”

Priya boli “koi baat nahi, tumhe jab aana ho, tum tab aa jana. Mai jaag rahi hu.”

Mai bola “priya, tum kyo pareshan hoti ho. Mai jab aauga to mehul ya nikki ko jaga luga. Tum bekar me pareshan mat ho aur aaram karo.”

Meri baat sunkar, priya ne hanste huye kaha.

Priya boli “un sabko jagaane ka koi fayda nahi hai. Kyoki raj bhaiya, mehul, aur nitika sab log nikki ke sath doctor aman ke ghar gaye hai. Aaj wo log raat bhar wahi par rahege. Ghar me mai aur riya didi bas hai. Riya didi bhi sirf meri vajah se ruki hai, warna wo bhi chali gayi hoti.”

Mujhe priya ki ye baat sunkar, kuch hairani jarur huyi. Kyoki na to mehul ne mujhe is baare me kuch bataya tha aur na hi nikki ne kuch bataya tha. Fir bhi maine priya ko samjhate huye kaha.

Mai bola “priya yadi aisi baat hai to, mai yahi didi ke ghar me ruk jauga. Tumhe meri fikar karne ki jarurat nahi hai.”

Lekin priya ne meri is baat par narajgi jatate huye kaha.

Priya boli “mai ghar me sirf tumhare wapas aane ki vajah se ruki hu. Warna mai bhi nikki ke sath hi chali gayi hoti aur tum wapas aane ko mana kar rahe ho. Yadi aisa hai to, tum abhi ghar wapas aao aur mujhe bhi apne sath lekar chalo. Ab mai bhi shikha didi ke ghar hi rahugi.”

Mai bola “dekho priya, aisi jid nahi karte. Tumhe abhi aaram karne ki jarurat hai. Yadi tumne meri baat nahi maani to, mai abhi nisha bhabhi ko call karke tumhari shikayat kar duga.”

Meri baat sunkar, priya ne ulta mujhe dhamkate huye kaha.

Priya boli “tum kya nisha bhabhi ko call karoge. Mai khud hi unko call karke kah deti hu ki, tum mera jara bhi khayal nahi rakh rahe ho aur yadi ab meri tabiyat kharab hoti hai to, wo tumko sidha jail karwa de.”

Priya ki ye baat sunkar, mai hanse bina rah saka. Mai janta tha ki, wo jiddi hai. Isliye maine uski jid ke samne apne hathiyar dalte huye kaha.

Mai bola “thik hai priya. Mai aane ke pahle tumko call laga kar dekhuga. Yadi tum jaagti rahi to, mai ghar wapas aa jauga. Lekin tum bhi vada karo ki, yadi tumhe nind aayegi to, tum jabardasti jaagne ki koshish nahi karogi aur so jaogi.”

Priya boli “ok, mai vada karti hu ki, yadi mujhe nind aati hai to, mai jabardasti jaagne ki koshish nahi karugi aur so jaugi. Fir tum kaha par ruke ho, is baat ki bhi tumse koi shikayat nahi karugi.”

Iske bad meri priya se thodi bahut baten huyi aur fir usne call rakh diya. Priya ke call rakhne ke bad maine saari baten barkha ko batayi to usne muskurate huye kaha.

Barkha boli “ye ladki khud to pagal hai aur tumko bhi pagal bana kar hi chhodegi.”

Barkha ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “kyo didi, aapko priya ki kis baat me uska pagalpan najar aa raha tha.”

Barkha boli “kyo kya tumne uska hath nahi dekha tha. Apne hath me kitna bada “P” bana kar rakhi hai. Ab ise pagalpan nahi to aur kya kahege. Kya koi ladki apne jhuthe boyfriend ke liye bhi aisi harkat karti hai.”

Ye kah kar barkha gaur se mera chehra dekhne lagi. Jaise ki janna chahti ho ki kahi ye sab sach to nahi hai. Na jaane kyo, magar mai sach baat batane se apne aapko na rok saka aur maine barkha se kaha.

Mai bola “didi, mai uska jhutha boyfriend jarur hu. Lekin uske dil mere liye jo pyar hai, wo jhutha nahi hai.”

Meri baat sunkar, barkha kuch der ke liye soch me pad gayi. Fir kuch sochte huye usne kaha.

Barkha boli “iska matlab to ye hua ki, didi kal jo tumhare aur priya ke ek dusre ko pasand karne wali baat bol rahi thi, wo sach hai.”

Mai bola “haan, unki wo baat aadhi sach hai. Priya mujhe pyar karti hai. Lekin mai kisi or ladki ko pyar karta hu.”

Meri baat sunte hi barkha ke chehre ka rang ek dam se udh gaya aur usne pareshan hote huye mujhse puchha.

Barkha boli “kya priya is baat ko janti hai.”

Mai bola “haan didi, priya is baat ko achi tarah se janti hai. Use jis din se ye baat pata chali ki, meri koi girlfriend hai. Us din ke bad, usne kabhi mere samne apne pyar ki baat nahi rakhi. Wo sirf mujhse hamseha dosti banaye rakhna chahti hai aur aaj bhi wo isi dosti ke rishte se mujhe apna boyfriend bana kar neha se milane le gayi thi.”

Meri baat sunkar barkha ne hairan hote huye kaha.

Barkha boli “jab wo tumhare baare me sab janti hai to, fir usne apna hath kyo kata.”

Mai bola “ye to mai bhi nahi janta ki, usne ye harkat kab ki hai. Balki uske hath ka “P” bhi maine aaj aapke samne hi dekha hai.”

Meri is baat ne barkha ko or bhi jyada hairan kar diya. Usne chaukte huye mujhse kaha.

Barkha boli “aaj hi dekha se tumhara kya matlab hai. Yadi tumne uske hath ka “P” pahle kabhi nahi dekha tha to, fir tumhe is baare me kaise pata ki, usne apne hath me “P” bana kar rakha hai.”

Mai bola “mujhe to ye baat nisha bhabhi ne batayi thi. Magar ye to maine bhi nahi socha tha ki, usne itni buri tarah se apna hath kaata hai.”

Barkha boli “kya tumhari girlfriend priya ke baare me janti hai.”

Mai bola “haan didi, use priya ke baare me sab kuch pata hai. Maine to priya ka jhutha boyfriend banne se pahle saaf mana kar diya tha. Lekin meri girlfriend ne kaha ki, priya dosti ke rishte se ye baat mujhse bol rahi hai. Aise me mujhe uski baat maan lena chahiye. Isliye aaj maine priya ke bina puchhe hi uske boyfriend banne ki baat ki haan kar di thi.”

Meri baat sunkar, barkha ek baar fir soch me pad gayi. Uska chehra dekh kar aisa lag raha tha ki, jaise wo kisi baat ko lekar uljhan me ho. Lekin fir achanak hi uske chehre par muskurahat aa gayi aur unse mujhse kaha.

Barkha boli “tum sach me bahut kismat wale ho. Jise do itna pyar karne wali ladkiyan mili hai. Ek priya, jo ye jante huye bhi ki, tum uske nahi ho sakte, tumhe hamesha apna dost banaye rakhna chahti hai to, dusri wo ladki jo priya ke baare me sab kuch jante huye bhi, tumhe uske pas jaane se nahi rokti hai.”

“Aaj ke samay me aisa bahut kam dekhne ko milta hai. Sabse badi baat ye hai ki, un dono ke andar ek dusre ke liye koi bhi jalan ki bhavna nahi hai. Jo ki ek hi ladke ko pyar karne wali do ladkiyon ke bich me aksar dekhne ko milti hai.”

Barkha ki ye baat sunkar, mujhe na jaane kya sujha ki, maine barkha ki baat ko bich me hi katte huye kaha.

Mai bola “didi ye bhi to ho sakta hai ki, un dono ka pyar hi sachcha na ho.”

Meri baat sunkar, barkha ne mujh par bhadakte huye kaha.

Barkha boli “chup kar badtamij. Ek to wo dono tujhe pyar karti hai aur tu hai ki unke pyar ka majak udha raha hai.”

Mai bola “didi, aap hi to boli ki, un dono ke andar ek dusre ke liye koi jalan ki bhavna nahi hai. Jo ki ek hi ladke ko pyar karne wali do ladkiyon ke bich me aksar dekhne ko milti hai. Ab iska matlab to ye hi hua ki, unka pyar sachcha nahi hai. Tabhi to dono me jara bhi jalan nahi hai.”

Meri is baat ko sunkar, barkha ne muskurate huye meri taraf dekha aur fir mujhe samjhate huye kaha.

Barkha boli “aisa nahi mere bhai. Pyar me jalan hona, ek swabhavik si baat hai. Lekin pyar ki kasoti jalan nahi, balki viswas aur samarpan hoti hai. Mujhe in dono ladkiyon me ye hi najar aa raha hai. Isliye un dono ke andar ek dusre ko lekar jara bhi jalan nahi hai.”

Barkha ki ye baat mujhe samajh me to aa gayi. Lekin mujhe ye samajh me nahi aaya ki use kisme kya najar aaya aur kyo najar aaya. Isliye maine barkha se puchha.

Mai bola “didi mujhe samajh me nahi aaya ki, aapne kisme kya dekh liya aur kasie dekh liya.”

Barkha ne meri is baat par muskurate huye kaha.

Barkha boli “mere pyare bhai, isme maine na samajh me aane wali kaun si baat kah di hai. Sidhi si baat to hai ki, ek taraf tumhari girlfriend ne priya ke baare me sab kuch jante huye bhi, tumhe us se door rakhne ki baat nahi sochi, jiska matlab hai ki, use tum par pura viswas hai.”

“Wahi dusri taraf priya tumhare baare me sab kuch jante huye bhi, tumse hamesha dosti banaye rakhna chahti hai, jiska matlab hai ki, tum uske sath jis roop me bhi raho, wo usi roop me tumhare sath rahna chahti hai. Ye uska tumhare liye samrpan hai. Sache pyar ki viswas aur samrpan se bad kar koi kasoti nahi hai.”

Barkha ki ye baat sunkar mai sann sa rah gaya. Ajay, aman aur nisha bhabhi ne sirf priya ke pyar ko hi samajhne ke liye ek ghante se bhi jyada ka samay laga diya tha.

Fir bhi wo log kisi bhi natije par nahi pahuch paye the. Wahi barkha ne keerti aur priya dono ke hi pyar ko kuch hi der me, badi saralta se paribhashit karke rakh diya tha.

Mai abhi hairani se barkha ko dekh hi raha tha ki, tabhi hume sidiyon se kisi ke aane ki halchal sunayi di. Jise sunkar humara dhyan baton par se hat gaya aur hum dono sidiyon ki taraf dekhne lage.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 156}
____________________________

Barkha boli “mere pyare bhai, isme maine na samajh me aane wali kaun si baat kah di hai. Sidhi si baat to hai ki, ek taraf tumhari girlfriend ne priya ke baare me sab kuch jante huye bhi, tumhe us se door rakhne ki baat nahi sochi, jiska matlab hai ki, use tum par pura viswas hai.”

“Wahi dusri taraf priya tumhare baare me sab kuch jante huye bhi, tumse hamesha dosti banaye rakhna chahti hai, jiska matlab hai ki, tum uske sath jis roop me bhi raho, wo usi roop me tumhare sath rahna chahti hai. Ye uska tumhare liye samrpan hai. Sache pyar ki viswas aur samrpan se bad kar koi kasoti nahi hai.”

Barkha ki ye baat sunkar mai sann sa rah gaya. Ajay, aman aur nisha bhabhi ne sirf priya ke pyar ko hi samajhne ke liye ek ghante se bhi jyada ka samay laga diya tha.

Fir bhi wo log kisi bhi natije par nahi pahuch paye the. Wahi barkha ne keerti aur priya dono ke hi pyar ko kuch hi der me, badi saralta se paribhashit karke rakh diya tha.

Mai abhi hairani se barkha ko dekh hi raha tha ki, tabhi hume sidiyon se kisi ke aane ki halchal sunayi di. Jise sunkar humara dhyan baton par se hat gaya aur hum dono sidiyon ki taraf dekhne lage.

Kuch hi der me shikha didi bhagti huyi upar aayi. Didi ko dekhte hi hum dono uth kar khade ho gaye. Shikha didi ke pichhe pichhe neha aur uski kuch shaheliyan bhi kahkahe lagati upar aa gayi.

Shayad shikha didi unse hi bhag kar upar aayi thi. Lekin jab un ne unko bhi apne pichhe upar aate dekha to, wo jaldi se aakar barkha ke pichhe kahdi ho gayi. Unhe is tarah se chhupte dekh kar, barkha ne shikha didi se puchha.

Barkha boli “kya hua didi, aap is tarah se bhag kyo rahi hai.”

Barkha ki baat sunkar, shikha didi ne badi hi masumiyat se uski baat ka jabab dete huye kaha.

Shikha didi boli “dekh na, ye sab mil kar mujhe pareshan kar rahi hai.”

Shikha didi ki is baat par barkha ne apni najre tirchi karte huye neha se puchha.

Barkha boli “kya baat hai. Tum sab milkar meri didi ko kyo pareshan kar rahi ho.”

Neha boli “hum pareshan thodi kar rahe hai. Hum to bas didi se unki aur jiju ki love story ke baare me puchh rahe the. Lekin ye hum logon ko chakma dekar yaha upar bhag aa gayi.”

Barkha boli “chalo, kisi ko kuch nahi puchhna. Sab jakar apna kaam karo aur ab didi se koi kuch nahi puchhega.”

Lekin neha ne barkha ki is baat ko katte huye kaha.

Neha boli “badi aayi didi ki chamchi. Hum to aaj sab kuch puchh kar hi rahege. Hum bhi dekhte hai, tu hume kuch puchhne se kaise rokti hai.”

Neha ki is baat par ek baar fir sabhi ladkiyan kahkahe lagane lagi. Lekin unki is baat se barkha ki bhauhen tan gayi. Usne un sabko ghoor kar dekhte huye kaha.

Barkha boli “lagta hai, tum log aise nahi manogi. Ruko, ab mai tum logon ko batati hu ki, mai tum logon ko kuch puchhne se kaise rokti hu.”

Ye kah kar wo, neha aur uski saheliyon ki taraf badne lagi. Lekin barkha ko gusse me apni tarf aate dekh kar, sabhi ladkiyon ne kahkahe lagate huye, niche ki taraf daud laga di.

Barkha ka sharir athlete tha aur ye sach tha ki, yadi wo un me se kisi ka hath bhi pakad leti to, sab milkar bhi barkha se uska hath nahi chhuda pati. Isliye sab ne waha se bhag jaane me hi apni bhalai samjhi thi.

Un sabke niche chale jaane ke bad, barkha ne humare pas wapas aate huye, shikha didi se kaha.

Barkha boli “didi, jab tak aapka niche se bulawa nahi aa jata. Tab tak aap yahi baitho, warna wo neha kamini fir aapko pareshan karegi. Use aaj kal bahut masti sujh rahi hai. Jara shadi ho jaane do, fir mai uski saari masti ache se nikalti hu.”

Barkha ko is tarah neha ki harkat par chidchidate dekh kar, mai apni hansi na rok saka aur maine apni jagah par baithte huye dhire se budbudya.

Mai bola “hitler didi.”

Ye baat maine bahut dhire se kahi thi. Fir bhi ye baat shikha didi aur barkha ko sunayi de gayi. Jaha meri ye baat sunkar shikha didi muskurane lagi. Wahi meri is baat ko sunkar, barkha ne mere upar jhutha gussa dikhate huye kaha.

Barkha boli “tumse un logon ko didi ko pareshan karne se rokte to bana nahi aur maine roka to, ab mera majak bana rahe ho. Bade ache bhai ho tum aur tumhe apni bahno ka kitna jyada khayal hai.”

Lekin mai kuch majak ke mood me tha aur maine barkha ki is baat ka jabab bhi majakiya andaz me dete huye kaha.

Mai bola “jab aap jhasi ki rani ban kar, didi ke samne khadi thi to, kiski majal thi ki, wo didi ko kuch kah sake. Fir bhala aise me mai bich me kood kar kya karta.”

Hume laga tha ki, wo mere is majak ke jabab me, fir se kuch bolegi. Lekin wo sar jhukaye chup chap baithi rahi. Jab usne koi baat nahi ki aur aise hi muh fula kar baithi rahi to, shikha didi ne use samjhate huye kaha.

Shikha didi boli “are tum bhaiya ki itni si baat ka bura kyo manti ho. Wo tumse sirf thoda sa majak hi to kar rahe the. Yadi tum aise hi muh fula kar bathi rahi to, bhaiya ko bura lagega.”

Shikha didi ki is baat par na jaane kyo, barkha ki aankhe chhalak aayi aur usne bhadakte huye kaha.

Barkha boli “mai kyu iski kisi baat ka bura manne lagi aur mai kaun sa iski sagi bahan hu, jo ise mere muh fulane ka bura lagega.”

Barkha ki is baat ko sunte hi shikha didi ko ek jhatka sa laga. Unhe samajh me nahi aaya ki, ye achanak barkha ko kya ho gaya. Un ne fauran meri taraf dekha ki, kahi mujhe barkha ki ye baat buri to nahi lag gayi.

Lekin mai barkha ki ye baat sunkar bhi muskurata hi raha. Maine shikha didi ko bhi chup rahne ka ishara kar diya tha. Mujhe barkha ki is baat ka jara bhi bura nahi laga tha.

Kyoki ab mai uski in besar pair ki baton ka matlab achi tarah se samajh chuka tha. Mai bhi kuch din pahle aise hi ek daur se gujra tha. Jab mujhe chhoti maa ki kami ka aehsas ho raha tha aur mai unse bina baat ke hi jhagra karne laga tha.

Aisa hi kuch aaj shayad barkha ke sath bhi ho raha tha. Is khushi ke mauke par use shayad apne bhaiya ki kami bahut akhar rahi thi. Magar chahte huye bhi wo apni is baat ko kisi ke samne jahir nahi kar pa rahi thi.

Shayad isi vajah se usne meri ek jara si baat ko itna jyada bada bana diya tha aur mere andar apne us bhai ko talash karne ki koshish kar rahi thi, jo ab is duniya me hi nahi tha.

Ye shayad duniya ki har bahan ki khubi hoti hai ki, wo chahe kitni hi badi aur samjhdar kyo na ho jaye. Lekin uske andar ek bachpana aur ek masumiyat hamesha chhupi huyi hoti hai.

Jise wo tabhi bahar lati hai, jab use apne hisse ka pyar hasil karna hota hai. Aisa hi kuch abhi barkha bhi kar rahi thi. Jo abhi kuch der pahle itni samajhdari ki baten kar rahi thi.

Wo hi ab kisi masum bachche ki tarah muh fula kar, aankhon me nami liye baithi thi aur bematlab ki baten kar rahi thi. Uske is dard ko mehsus karke, mai bhi apni aankhen bhigne se na rok paya.

Mai uth kar barkha ke pairo ke pas jakar, jamin par ghutno ke bal baith gaya. Maine uske hathon ko apne hathon me pakadte huye kaha.

Mai bola “sorry didi, mujhe nahi pata tha ki, meri ye baat aapko itni jyada buri lag jayegi. Yadi mujhe aisa jara bhi pata hota to, mai apni didi ko naraj karne ki galti kabhi nahi karta. Plz didi, apne is chhote bhai ko maaf kar do.”

Meri baat sunkar, bhi barkha ka gussa kam nahi hua. Usne mere hath se apne hathon ko chhudate huye, gusse me meri taraf dekha. Lekin mere chehre par najar padte hi, meri aankhon me aansu dekh kar, ek pal me hi barkha ka dil pighal gaya. Usne fauran apne hathon se mere aansu pochhte huye kaha.

Barkha boli “sorry bhai, maine bevajah ki baton ko lekar tum par gussa kiya aur apne sath sath tumko bhi rula diya.”

Mai bola “didi, aapke aansu bevajah nahi the. Mai inka matlab achi tarah se samajhta hu. Wo bhai hi kya, jo apni bahan ke bahte huye aansuon ka matlab bhi na samajh sake.”

Meri ye baat sunkar, barkha ke sath sath shikha didi bhi mujhe gaur se dekhne lagi. Maine apni baat ko aage badate huye kaha.

Mai bola “magar didi, meri mom kahti hai ki, us upar wale ne, hume apne dil ka dard kam karne ke liye beshumar aansu diye hai. Jab ye aansu bahte hai to, humare dil ka dard kam ho jata hai aur jab humara koi apna in aansuon ko ponchhta hai to, hume ek shukun milta hai.”

“Lekin yadi koi humara apna, humare ye aansu bahte dekh kar bhi, inhe na ponchh paye to, uske dil ko itna dard hota hai ki, wo fir kitne bhi aansu baha le, magar uska dard kam nahi hota. Kya ye sab janne ke bad bhi, aapko ye lagta hai ki, aapko is tarah aansu bahana chahiye.”

Apni itni baat kah kar, mai chup ho gaya. Meri is baat ko sunte hi barkha samajh gayi ki, mera ishara uske bhai ki taraf hi hai aur ye baat samajh me aate hi, usne fauran apne aansu pochhte huye mujhse kaha.

Barkha boli “sorry bhai, aaj ke bad meri aankhon me, us vajah se kabhi aansu nahi aayege, jis vajah se aaj aaye the.”

Meri baat barkha ke samajh me to aa gayi thi. Lekin shikha didi ko kuch samajh me nahi aaya to, un ne chidchidate huye kaha.

Shikha didi boli “are aap log, ye kya vajah bevajah lagaye huye hai. Mujhe to kuch samajh me nahi aa raha hai.”

Maine shikha didi ki baat suni to, muskurate huye kaha.

Mai bola “didi, seedhi si baat to hai. Barkha didi mere muh se apne liye hitler didi sunkar naraj ho gayi thi aur aansu bahane lagi thi. Kya koi itni si baat par bhi is tarah se naraj hota hai. Bas isi baat ko mai bevajah ki baat kah raha hu.”

Meri is baat ko shikha didi ne sach mante huye, barkha se kaha.

Shikha boli “aapne bilkul sahi kaha. Kya bhala koi itni si baat par bhi apne bhai se naraj hota hai.”

Shikha didi ki is baat ke jabab me barkha ne apni galti mante huye kaha.

Barkha boli “sorry didi, ab mai aage se aisi galti kabhi nahi karugi.”

Barkha ki baat sun kar, shikha didi ne rahat ki saans li aur fir use isi baare me samjhati rahi. Thodi der bad ek ladki aayi aur shikha didi ko bula kar niche le gayi. Unke jaane ke bad maine barkha se kaha.

Mai bola “didi, aapki tarah shikha didi ko bhi shekhar bhaiya ki kami sata rahi hai. Isi vajah se wo mujhe hamesha apne pas hi rakhti hai aur mera itna jyada khayal rakhti hai.”

“Wo na jaane kis tarah shekhar bhaiya ki kami ke aehsas ko apne dil ke andar dabaye huye hai aur badi muskil se is shadi ke liye taiyar huyi hai. Yadi unka ye aehsas fir se jaag gaya to, mujhe dar hai ki, ye shadi kabhi bhi nahi ho payegi.”

Meri baat ko sunkar, barkha ne gambir hote huye kaha.

Barkha boli “tum thik kahte ho. Lekin ye bhi to namumkin hai ki, is puri shadi me didi ko bhaiya ki kami ka jara bhi aehsas na ho. Bhaiya ne didi ki shadi ko lekar bahut se sapne sajaye the aur isliye un ne didi se pahle apni shadi karne se bhi inkar kar diya tha.”

Ye kahte kahte ek baar fir barkha ki aankhon me nami chha gayi. Lekin usne fauran hi apni aankhon ki is nami ko ponchh kar hata diya. Mai man hi man uski is himmat ki daad diye bina na rah saka aur maine us se kaha.

Mai bola “didi, aap sach me bahut achi ho. Bahar se dekhne me aap jitni sakht najar aati ho. Andar se aapka man utna hi komal hai. Aapka kahna bilkul sahi hai ki, hum bhaiya ki kami ko didi ke dil se kabhi nahi mita sakte. Kyoki didi unhe abhi bhi bahut pyar karti hai.”

“Lekin didi, ek bhai ka bhala is se bad kya sapna ho sakta hai ki, uski bahan ki shadi ek bade ghar me, ek bahut ache ladke se ho. Jo uski bahan ko hamesha khush rakhe aur aaj bhaiya ka yahi sapna pura hone ja raha hai. Fir bhi bhaiya ki is shadi ko lekar jo khawahishe thi. Hum unhe pura karne ki koshish karege.”

Barkha ne jab meri ye baat suni to, wo gaur se mera chehra dekhne lagi. Shayad use samajh me nahi aaya ki, mai kya kahna chahta hu. Usne mujhse sawal karte huye kaha.

Barkha boli “tum kya kahna chahte ho.”

Mai bola “didi, mai bas itna kahna chahta hu ki, hum didi ki shadi usi tarah se karege, jis tarah se bhaiya ne socha tha.”

Meri baat sunkar, barkha ke dil me ek dard sa fir jaag gaya. Wo chah kar bhi apni aankhen chhalakne se nahi rok payi. Lekin usne apne aapko sambhalte huye kaha.

Barkha boli “mere bhai, tu ye sab mat soch. Tu jaisa soch raha hai, waisa kuch bhi nahi ho sakta. Isliye jaisa ho raha hai, waisa hone de. Ye hi hum sab ke liye acha hai.”

Mai bola “lekin kyo didi, bhaiya ki soch ko hum pura kyo nahi kar sakte.”

Barkha boli “ab mai tujhe kaise samjhau. Bas itna samajh le ki, ab aisa kuch bhi nahi ho sakta.”

Lekin maine fir se jid karte huye apni baat ko dohra kar kaha.

Mai bola “didi aap mujhe is baat ko samajhaiye ki, aisa kyo nahi sakta. Aap mujhe samjhati ho to, sach me mujhe sab kuch bahut aasani se samajh me aa jata hai.”

Meri is baat par barkha ne muskurate huye kaha.

Barkha boli “dekh, bhaiya ka sapna tha ki, wo didi ki shadi bahut dhoom dham se karege aur baratiyon ka swagat aise karege ki, wo bhi apna swagat dekh kar dang rah jayege. Didi ko dahej me har chhoti se chhoti aur badi se badi chij dege. Taki didi ko apni sasural me kabhi kisi ke samne kisi baat ke liye, sar na jhukana pade.”

Ye kahte huye barkha mujhe shekhar bhaiya ki, shikha didi ki shadi se judi har chhoti badi soch ke baare me batane lagi. Jise sunne ke bad, mai bhi soch me pad gaya.

Abhi mai barkha se kuch bol pata ki, tabhi uska niche se bulawa aa gaya aur wo mujhse thodi der bad wapas aane ki bol kar niche chali gayi. Barkha ke jaane ke bad, maine keerti wala mobile nikal kar, jaise hi hello kaha. Keerti ne mujh par jhutha gussa dikhate huye kaha.

Keerti boli “acha natak hai tumhara. Mujhe call me rakh kar, sab se aaram se baten karte rahte ho. Is se samajh me aata hai ki, tumhe meri aur meri tabiyat ki kitni fikar hai.”

Mai uski is nautanki ko samajh raha tha. Isliye maine usko usi ke andaj me jabab dete huye kaha.

Mai bola “sorry, mai to bhool hi gaya tha ki, teri tabiyat kharab hai. Aisi haalat me tujhe aaram karna chahiye. Thik hai, mai abhi call rakhta hu. Tu abhi aaram kar, hum log kal baat karte hai.”

Meri baat sunte hi keerti ko jhatka sa laga. Use laga ki mai call rakhne wala hu. Usne fauran mujhe rokte huye kaha.

Keerti boli “are, are, mai to majak kar rahi hu. Meri tabiyat bilkul thik hai. Plz abhi call mat rakhna. Mujhe tumse baat karni hai.”

Mai bola “ab aayi na seedhe raste par, kya tujhko mujhe pareshan kiye bina chain nahi milta hai. Jo roj ek naya natak lekar aa jati hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne khilkhila kar haste huye kaha.

Keerti boli “kya karu, mai jab tak tumko pareshan na kar lu. Mera khana hi hazam nahi hota hai.”

Mai bola “are mai to bhool hi gaya. Tu ye bata ki, tune khane me kya khaya hai.”

Keerti boli “kuch mat puchho. Mujhe to khane ke naam se ulti aa rahi hai.”

Mai bola “kya hua. Kya tune abhi tak khana nahi khya.”

Keerti boli “khana to kha liya hai. Lekin khana aisa tha ki, badi mushkil se halak ke niche utara hai.”

Mai bola “aisa kya khana tha, jo tere halak se hi nahi utra.”

Keerti boli “ubli huyi palak, chapati, muli ka ras aur iske bad ek glass doodh me shahad milakar piya hai.”

Mai bola “chal thik hai. Is sab se tere liver ki kamjori door hogi aur tu jaldi thik ho jayegi.”

Keerti boli “mujhe koi thik vik nahi hona hai. Tumhare aate hi mai seedhe ghar ki daud lagaugi.”

Mai bola “kyo kya hua. Kya chhoti maa tera ache se khyal nahi rakhti.”

Keerti boli “unhi ke khayal rakhne ki vajah se to mai yaha se bhagna chahti hu. Pata nahi nani ne unko kya kya banana sikhaya hai. Itna sab to mummy ko bhi banana nahi aata hai.”

“Subah uthte hi mausi sabse pahle mujhe garam pani me nimmbu nichod kar deti hai. Uske bad nashte me angoor, papita aur genhu ka daliya. Dopahar ko khane me palak, methi, gajar aur ek glass chhachh.”

“Raat ko khane me ubli huyi sabziyon ka soup, chapati, ubale aaloo aur hari sabziyan jaise palak, bathua, methi ye sab khana padta hai. Mai to ye sab kha kha kar pahle hi pagal ho gayi hu.”

“Upar se aaj mausi kah rahi thi ki, mooli ke patte piliya me fayda karte hai aur is se bhookh bhi badti hai. Mai kal se tujhe iska bhi ras nikal kar dugi. Itna hi nahi, wo dono chhipkaliyan bhi mujh par najar rakhi rahti hai ki, mai ye sab kha rahi hu ya nahi kha rahi hu.”

“Dono mera khayal rakhne ke bahane mujhse gin gin kar badla le rahi hai. Mai to is sab se bahut tang aa gayi hu aur ab ghar jana chahti hu. Waha kam se kam itna sakhti to nahi jhelna padegi.”

Keerti ki is baat ko sunkar, mujhe hansi aa gayi aur wo mere is tarah se uski haalat par hasne ki vajah se naraj hone lagi. Maine use samjhate huye kaha.

Mai bola “dekh, gussa mat kar, chhoti maa jo bhi kar rahi hai. Teri bhalayi ke liye hi kar rahi hai. Tu meri khatir unki baat manti ja. Tu nahi janti ki, teri tabiyat ki mujhe kitni fikar hai. Mai yadi waha hota to, tujhe apne hath se ye sab bana kar khilata.”

Meri baat sunkar, keerti ne hairan hote huye kaha.

Keerti boli “kya tumhe bhi ye sab banana aata hai.”

Mai bola “haan, kyo nahi aata. Chhoti maa se maine har tarah ka khana banana seekha hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne apna sar peette huye kaha.

Keerti boli “mar gaye, ab to jindagi bhar hi ye sab khana padega.”

Mai bola “aisa kyo sochti hai. Tu jaldi thik ho jayegi aur abki baar jab mai mumbai aauga to, tujhe bhi sath lekar aauga. Tere liver ka ilaj yahi karwa lege.”

Keerti boli “are mere kahne ka matlab ye nahi hai. Mai to bas ye kahna chahti thi ki, mausi ko ye sab tumko sikhane ki kya jarurat thi. Ye sab to ami nimi ko sikhana chahiye tha.”

Mai bola “mujhe apni kisi baat ka matlab mat samjha. Mai teri baat ka matlab achi tarah se samajh gaya hu ki, tu kya kahna chahti hai. Tu yahi kahna chahti hai na ki, tujhe mere sath jindagi bhar rahna hai aur ab tujhe ye sab jindagi bhar jhelna padega.”

Meri baat sunte hi keerti fir se khil khila kar hasne lagi aur fir usne baat ko badalte huye kaha.

Keerti boli “mausi thik kahti ki, tum mumbai jakar bahut samajhdar ho gaye ho. Bahut badi baten karne lage ho.”

Mai bola “kya chhoti maa ne tujhe aisa kaha.”

Keerti boli “mujhse nahi, aunty se bol rahi thi ki, didi punnu mumbai jakar bahut samajhdar ho gaya aur bahut badi badi baten karne laga hai. Lekin abhi bhi jab pareshan hota hai to, apni maa ki god dudta hai.”

“Mujhe lagta hai ki, ab use ek maa ki god ki nahi, balki ek sachche dost ki jarurat hai. Jo use jeevan ke is safar me chalne ka sahi rasta bata sake. Kya mai apne bete ki dost nahi ban sakti.”

Mai bola “fir aunty ne kya kaha.”

Keerti boli “aunty ne unse kaha ki, punnu ko tujhse acha dost mil hi nahi sakta. Lekin ye jaruri nahi ki, punnu bhi tujhe apna dost banaye. Yadi tu sach me aisa chahti hai ki, tera beta tera dost bane to, tujhe bhi sunita nahi sonu bankar rahna hoga. Tab shayad use bhi tera dost banne me koi pareshani na ho.”

“Unki ye baat chal hi rahi thi ki, tabhi mai unhe ghar wapas aate dikh gayi aur unki baat wahi par ruk gayi. Isliye mai seedhe apne kamre me aa gayi. Fir pata nahi mausi ne unki baat ka kya jabab diya tha.”

Keerti ki is baat se mujhe chhoti maa ke andar aa rahe badlaw ka kuch kuch pata chal gaya tha. Lekin unko aisa karna kyo jaruri lag raha tha. Ye baat mujhe samajh me nahi aa rahi thi. Isliye maine keerti se puchha.

Mai bola “tu ye kab ki baat bata rahi hai.”

Keerti boli “ye tumhare b’day ke din ki baat hai. Us din jab mai sham ko yaha wapas aayi thi. Tab ye baat chal rahi thi.”

Keerti ke itna bolte hi mujhe saari baat samajh me aa gayi. Un ne us din mujhe kisi ladki ke liye itna pareshan aur toota hua dekha tha. Jiski vajah se shayad unhe ye lag raha tha ki, mai kahi rasta na bhatak jau.

Isliye ab wo mujhse ek dost ki tarah bartav karne lagi thi. Taki mai apni pareshaniyan unhe bejijhak bata saku. Ye baat samajh me aate hi pahle to mujhe chhoti maa ki is harkat par hansi aa gayi.

Lekin agle hi pal, mai soch me pad gaya ki, kya duniya ki har maa ke dil me apne bachchon ke liye itna hi pyar hota hai. Kya koi maa apne bete se itna pyar bhi kar sakti hai ki, uske liye apne aapko hi badal de.

Ye sab soch kar aur apne liye chhoti maa ka pyar mehsus kar, meri aankhen chhal chhala gayi. Aaj pahli baar mera dil us upar wale se ladne ko kar raha tha aur aaj pahli baar mujhe us upar wale se koi shikayat ho rahi thi.

Mai chikh chikh kar, us upar wale se puchhna chahta tha ki, jab tujhko mere nashib me chhoti maa ka itna jyada pyar likhna hi tha to, mujhe unka sautela beta bana kar kyo paida kiya. Mai puchhna chahta tha ki, jab mujhe chhoti maa ka beta kahlana hi tha to, tune mujhe unki kokh se hi janam kyo nahi diya.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 157}
____________________________

Keerti ke itna bolte hi mujhe saari baat samajh me aa gayi. Un ne us din mujhe kisi ladki ke liye itna pareshan aur toota hua dekha tha. Jiski vajah se shayad unhe ye lag raha tha ki, mai kahi rasta na bhatak jau.

Isliye ab wo mujhse ek dost ki tarah bartav karne lagi thi. Taki mai apni pareshaniyan unhe bejijhak bata saku. Ye baat samajh me aate hi pahle to mujhe chhoti maa ki is harkat par hansi aa gayi.

Lekin agle hi pal, mai soch me pad gaya ki, kya duniya ki har maa ke dil me apne bachchon ke liye itna hi pyar hota hai. Kya koi maa apne bete se itna pyar bhi kar sakti hai ki, uske liye apne aapko hi badal de.

Ye sab soch kar aur apne liye chhoti maa ka pyar mehsus kar, meri aankhen chhal chhala gayi. Aaj pahli baar mera dil us upar wale se ladne ko kar raha tha aur aaj pahli baar mujhe us upar wale se koi shikayat ho rahi thi.

Mai chikh chikh kar, us upar wale se puchhna chahta tha ki, jab tujhko mere nashib me chhoti maa ka itna jyada pyar likhna hi tha to, mujhe unka sautela beta bana kar kyo paida kiya. Mai puchhna chahta tha ki, jab mujhe chhoti maa ka beta kahlana hi tha to, tune mujhe unki kokh se hi janam kyo nahi diya.

Is samay mere man me aise hi bahut se sawal uth rahe the. Jinka jabab mai us upar wale se mangna chahta tha. Magar wo upar wala is samay mere kisi bhi sawal ka jabab dene ke mood me nahi tha.

Isliye usne kuch aisa kiya, jis se ki, mai ye sab sawal karna hi bhool jau. Mai apne inhi sawalon me khoya hua tha ki, tabhi mere kaano me dono mobile bajne ki aawaj sunayi di.

Asal me hua ye tha ki, mai to keerti ki baat sunkar, apne khayalon me kho gaya tha aur tabhi ek ghanta pura hone ki vajah se keerti ka call kat gaya tha. Lekin mujhe is baat ka aehsas hi nahi tha.

Call katne ke bad, shayad mere call na uthane ki vajah se, wo mere dono mobile par call lagane lagi hogi. Ye baat samajh me aate hi maine fauran keerti ka call utha liya. Mere call uthate hi usne gussa hote huye kaha.

Keerti boli “baat karte karte kaha kho jate ho. Mai kitna call laga rahi hu aur tum ho ki call utha hi nahi rahe.”

Mai bola “sorry, lekin ab to maine call utha liya hai na, to fir tu kyo abhi bhi dusre mobile par call lagaye ja rahi hai.”

Keerti boli “are mai kaha dusre mobile par call laga rahi hu. Tum us mobile me dekho ki kiska call aa raha hai.”

Keerti ki baat sunte hi mai apna dusra mobile nikal kar dekhne laga. Keerti ka kahna sach hi tha ki, wo call nahi laga rahi hai. Kyoki ye chhoti maa ka call aa raha tha aur unka call aate dekh kar, mere chehre par muskurahat aa gayi.

Shayad isi ko maa ka dil kahte hai ki, pal bhar pahle mai badi bechaini se unhe yaad kar raha tha aur kuch hi pal bad unka mere pas call aane laga. Keerti ko maine chhoti maa ka call aane ki batayi aur chhoti maa ka call uthate huye kaha.

Mai bola “ji chhoti maa, kya hua, aap itni raat ko call kyo laga rahi hai. Waha sab thik to hai na.”

Maine ek hi saans me chhoti maa se itne saare sawal kar daale. Lekin un ne mere in saare sawalon ko ansuna karke, mujhse meri hi shikayat karte huye kaha.

Chhoti maa boli “bada aaya meri fikar karne wala, mai kab se call laga rahi hu aur tu hai ki, mera call utha hi nahi raha hai. Yadi maine tera call uthane me, itni der lagayi hoti to, abhi tak tune apna muh fula liya hota.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar mujhe hansi aa gayi aur maine unhe apni safayi dete huye kaha.

Mai bola “sorry chhoti maa, lekin mere der se call uthane me bhi aapki hi galti hai. Mai aapko yaad karne me itna kho gaya tha ki, mujhe aapke call aane ka kuch pata hi nahi chala.”

Meri is baat par chhoti maa ne muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “chal jhuthe, ab apni galti chhupane ke liye mujhe maska laga raha hai.”

Mai bola “haan, aapko to meri yaad aati nahi hai. Isliye aapko meri baat maska lagana hi lagegi.”

Chhoti maa boli “acha to tujhe lagta hai ki, mujhe teri yaad nahi aati. Yadi ye baat sach hai to, fir tu hi bata de ki, mai itni raat ko tujhe call kyo laga rahi hu.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai sach me soch me pad gaya ki, un ne itni raat ko kis liye call lagaya hoga. Lekin mujhe shikha didi ki shadi ke alawa koi aisi baat samajh me nahi aa rahi thi. Jiske liye abhi chhoti maa call laga sakti ho. Isliye maine yahi baat chhoti maa se bolte huye kaha.

Mai bola “isme kaun si badi baat hai. Aapne bas shikha didi ki shadi me dene wale gift ke baare me batane ke liye call kiya hoga.”

Apna andaza chhoti maa ko batane ke bad, mai besabri se unke jabab ka intejar karne laga. Udhar chhoti maa ne meri ye baat sunte hi, mujhse kaha.

Chhoti maa boli “haan, maine yahi baat batane ke liye tujhe itne samay call kiya tha. Lekin tujhe to lagta hai ki, mai tujhe yaad hi nahi karti. Isliye ab soch rahi hu ki, tujhe ye sab batane ka koi fayda nahi hai. Jab gift waha pahuchega, tab tu use khud hi dekh lena.”

Mai ye baat achi tarah se samajh raha tha ki, chhoti maa mujhe tang karne ke liye aisi baten kar rahi hai. Lekin jab un ne gift yaha pahuchne ke bad, dekhne ki baat ki to, mai apne aapko na rok saka aur maine unhe manate huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, mai to sirf majak kar raha tha. Ab aap bhi mujhe tang karna band kijiye aur jaldi se bataiye ki, aapne kya gift dene ka socha hai.”

Lekin ab chhoti maa itni jaldi maan jaane ke mood me nahi lag rahi thi. Un ne fir se mujhe tang karte huye kaha.

Chhoti maa boli “ab to tu bahut samajhdar ho gaya hai. Jab tune ye pata laga liya hai ki, maine tujhe call kis liye kiya tha to, ab ye bhi khud pata laga le ki, maine kya gift dene ke baare me socha hai.”

Ye kah kar chhoti maa hasne lagi. Magar ab mujhe sabar nahi ho raha tha aur gift ke baare me janne ki bahut jyada utsukta thi. Isliye maine unke samne minnat karte huye kaha.

Mai bola “plz chhoti maa, ab or pareshan mat kijiye. Plz bataiye na, aapne kya gift socha hai.”

Mujhe is tarah apni minnat karte dekh kar, chhoti maa ko bhi ab mujhe or jyada pareshan karna thik nahi laga aur un ne mujhe gift ke baare me batate huye kaha.

Chhoti maa boli “ye gift maine nahi, keerti ne socha hai. Mujhe uski baat sahi lagi. Isliye maine bhi iske liye haan kar di.”

Mai bola “lekin kya socha hai, ye to bataiye.”

Chhoti maa boli “are thoda sabar to rakh, bata to rahi hu. Humne teri bahan ko uski shadi me, ek car gift me dene ki baat sochi hai. Ab tu bata ki, tujhe ye gift pasand aaya ya nahi.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mera chehra khushi se khil gaya aur maine apni khushi jahir karte huye unse kaha.

Mai bola “mujhe ye gift sirf pasand hi nahi, bahut jyada pasand aaya hai. I love u mom.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne chaukte huye kaha.

Chhoti maa boli “ye aakhiri me kya bola tu.”

Mai bola “hahahahaha…sorry chhoti maa.”

Chhoti maa boli “chal koi baat nahi. Tu apna khayal rakhna aur kisi baat ki chinta mat karna. Maine tere khate me kuch paise or daal diye hai. Tujhe shadi me jitna bhi kharch karna ho, kar lena. Yadi ye bhi kam lage to, mujhe bata dena. Apni bahan ki shadi me kisi baat ki kami nahi hone dena.”

Chhoti maa ki is baat ne, mere man me shikha didi ki shadi ko lekar jo utsah tha, usko duguna kar diya tha. Iske bad un ne mujhse yaha shadi se judi baton ke baare me puchha aur fir kal baat karne ki baat kah kar call rakh diya.

Chhoti maa se meri sirf kuch der hi baat huyi thi. Lekin unki is kuch der ki baat ne hi mujhe din bhar ki thakan aur mere tanav se mukti de di thi. Unke call rakhne ke bad, maine keerti ka call uthaya to, usne chahakte huye kaha.

Keerti boli “kaho kaisi rahi.”

Mai bola “bahut achi rahi. Lekin gift me car dene ka khayal tere man me kaise aaya.”

Keerti boli “kyo, jab ajji apni bahan ko car bina kisi baat ke de sakta hai to, kya tum apni bahan ki shadi par use car gift nahi kar sakte.”

Keerti ki ye baat sunte hi mujhe ek pal me hi saara majra samajh me aa gaya aur maine use samjhate huye kaha.

Mai bola “teri ye soch sahi nahi hai. Hume kisi bhi baat me, kisi ki barabari nahi karni chahiye aur ajji ke pas jo kuch bhi hai, wo sab shadi ke bad to didi ka hi hoga.”

Keerti boli “shadi ke bad didi ka hoga na. Shadi ke pahle to didi ka nahi hai. Bas isliye mai chahti thi ki, humari didi ke pas apne mayke ki taraf se ek bada sa gift ho.”

Mai bola “ab bas bhi kar, tere se baton me jeetna mere bas ki baat nahi hai.”

Keerti boli “to fir bekar me jeetne ki koshish hi kyo karte ho. Ab ye sab baten chhodo aur ek jaruri baat suno. Aaj shereen baji, sheza ke sath ghar aayi thi aur tumko puchh rahi thi.”

Mai bola “kyo, kya hua.? Baji kis liye aayi thi.? Unke ghar me sab thik to hai na.?”

Keerti boli “haan sab thik hai. Bas unhe tumhare mumbai jaane ke baare me malum hi nahi tha. Isliye wo ye baat sunkar, chauk gayi thi. Kya tumne apne mumbai jaane ke baare me unko nahi bataya tha.”

Mai bola “haan, maine ye baat kisi ko bhi nahi batayi thi. Kya wo kisi khas kaam se aayi thi.”

Keerti boli “un ne aisa kuch khas nahi bataya. Bas itna hi kaha ki, tum pichhle ek mahine se unke ghar nahi gaye. Isliye wo tumhara haal chal puchhne aa gayi. Lekin baji ke aane ki baat se tum itna pareshan kyo ho rahe ho.”

Mai bola “aisi koi baat nahi hai. Mujhe to bas ye soch kar bura lag raha hai ki, yadi maine apne yaha aane ki baat baji ko bata di hoti to, unhe mera haal janne ke liye is tarah pareshan nahi hona padta aur ye bhi to ho sakta hai ki, unhe mujhse koi jaruri kaam pad gaya ho. Jiski vajah se wo mujhe dekhte huye ghar tak aa gayi.”

Meri is baat ke jabab me keerti ne bade hi pyar se mujhse kaha.

Keerti boli “tum ek kaam kyo nahi karte.”

Mujhe samajh me nahi aaya ki, keerti achanak mujhe kaun sa kaam karne ko bol rahi hai. Isliye maine badi utsukta ke sath puchha.

Mai bola “kya kaam.?”

Keerti boli “abhi tumhe yaha ki, koi na koi flight to mil hi jayegi. Tum aisa karo ki koi flight pakad kar fauran ghar aa jao aur aakar apni pyari baji se hi puchh lo ki, baji aap kis liye humare ghar aayi thi. Aapko mujhse koi jaruri kaam to nahi hai.”

Keerti ki is baat ko sunte hi maine apna sar peet liya aur mujhe apni ki huyi galti ka aehsas bhi ho gaya. Asal me keerti aur shereen baji ke bich saanp aur nevle ki dushmani thi.

Dono ek dusre ka naam tak lena bhi pasand nahi karti thi. Aise me mera baji ke aane ki baat ko lekar, pareshan hona, keerti ko pasand nahi aaya tha. Isliye wo mujhe is tarah ki jali kati baten suna rahi thi.

Usne shayad mujhe baji ke aane ki baat sirf isliye bata di thi, kyoki abhi mai ghar me nahi tha. Warna wo is baat ko gayab hi kar jati. Mujhe apni is galti ka aehsas hote hi, maine fauran apni galti par parda dalte huye kaha.

Mai bola “sorry, ab tu is baat ko lekar, apna mood kharab mat kar lena. Mai to ye sab isliye puchh raha tha, kyoki abhi aslam apne nana ke ghar gaya hua hai. Isliye mujhe laga ki, kahi baji ko mujhse koi jaruri kaam na pad gaya ho. Warna mai ye sab tujhse kabhi nahi puchhta.”

Magar keerti ka mood abhi bhi sahi nahi tha. Usne meri in baton se pareshan hokar, mujhe tana marte huye kaha.

Keerti boli “unhe tumse koi jaruri kaam vaam nahi hoga. Parso se ramzan lagne wala hai. Ab bhala bina chand dekhe bhi, kya ramzan suru hota hai. Isliye wo apne pyare chanda ko dekhne aayi thi.”

Keerti ki is baat ko sunkar, mai sach me hi bahut pareshan ho gaya. Kyoki mai pichhle do saal se, baji ke yaha roze ki aftaari ka saman lekar jata tha. Ye silslia tab suru hua tha.

Jab mai chhoti maa ke na hone par papa se paise lene unke office gaya tha aur fir wahi par mujhe chhoti maa ke mil jaane par, hum dono ne wo dekh liya tha, jiske bad mujhe papa se nafrat ho gayi thi.

Mai tab isi kaam ke liye chhoti maa se paisa lena chahta tha. Lekin us hadse ki vajah se mai itna dukhi tha ki, mai ye sab baten bhool hi gaya tha. Us samay chhoti maa ne mere man se papa ki baton ko bahar nikalne ke liye, mujhse puchha tha ki, mujhe itne paise kis kaam ke liye chahiye the.

Tab maine unhe bataya tha ki, mere dost aslam ke roze suru ho rahe hai aur mai uske ghar aftaari ka saman bejna chahta tha. Magar ab mera kisi baat ke liye man hi nahi kar raha hai.

Lekin chhoti maa ne mujhe samjhaya aur saman ke liye paise diye. Jiske bad mai aftaari ka saman lekar, aslam ke ghar gaya. Aslam aur sheza to ye sab dekh kar bahut khush the.

Lekin shereen baji ye sab dekh kar bahut naraj huyi. Waise to wo mujhe bahut pyar karti thi. Magar ek chhote se bachche se ye sab lene ka unka dil gawara nahi kar raha tha.

Un ne is sab ke upar se mujhe bahut baten sunayi aur mujhse puchha ki, mere pas is saman ke liye itne paise kaha se aaye. Tab maine unhe sab kuch sach sach bata diya. Magar tab bhi unhe meri baat par viswas nahi aa raha tha.

Jis vajah se maine unki baat chhoti maa se karwa di. Chhoti maa ne unhe bataya ki, mai jo bhi bol raha hu, sach bol raha hu. Tab jakar baji ko mere upar viswas aaya. Magar iske bad bhi, un ne chhoti maa se wo sab saman lene se mana kar diya. Tab chhoti maa ne unko samajhate huye kaha tha.

Chhoti maa boli “dekho shereen, tumhari baat sahi hai ki, punnu abhi chhota hai aur us se ye sab lena tumko shobha nahi deta. Magar tum uski sirf umar kyo dekhti ho. Tum uska, tum logon ke liye pyar kyo nahi dekhti.”

“Aaj punnu yadi tumhare liye aftaari lekar aaya hai to, tumko kisne roka hai, tum uske liye diwali me fatakhe lekar aa jana. Meri ek baat yaad rakho ki, tyohar chahe humara ho ya tumhara ho.”

“Har tyohar ka maksad sirf pyar aur bhai chara badana hota hai. Lekin hum bade is baat ko samjhte huye bhi, kabhi samajh nahi pate aur ye bachche nasamajh hote huye bhi har tyohar ko mana lete hai.”

“Aaj ye bachche yadi mera aur tumhara ghar aagan mahkayege to, kal jarur ye bade hokar saare desh ko mahkayege. Isliye in phoolon ko badne se mat roko aur inko inki tarah hi khilne do.”

Chhoti maa ki is baat ne shereen baji ke dil par asar kiya aur un ne mera diya hua saman khushi khushi rakh liya. Tab se mera ramzan me baji ke ghar aftaari bhejne ka silsila suru ho gaya aur wo ab bhi chalu hai.

Magar is saal ramzan ke samay mere mumbai me hone ki vajah se, mujhe apna ye sab kar pana mushkil sa lag raha tha. Lekin mai chahte huye bhi ye baat keerti se nahi kar sakta tha.

Kyoki is samay uske samne ramzan ko lekar apni pareshani jahir karna, aag me ghee dalna hi tha. Abhi uski tabiyat bhi sahi nahi thi. Aise me mai apni kisi bhi baat se usko pareshan karna nahi chahta tha.

Udhar keerti apni baat bolne ke bad, kuch der tak mere jabab ka intejar karti rahi. Lekin jab maine kuch nahi kaha to, use laga ki, shayad mujhe uski baat ka bura lag gaya hai. Isliye usne mujhse kaha.

Keerti boli “ab tumko kya ho gaya. Kya meri baat ka bura lag gaya.”

Mai bola “nahi, mujhe teri kisi baat ka bura nahi laga. Lekin ab tu is baat ko yahi khatam kar de. Abhi teri tabiyat thik nahi hai aur aise me kisi baat par gussa hona teri sehat ke liye acha nahi hai.”

Keerti boli “ok, baba, ab mai kisi baat par gussa nahi hougi. Lekin ab tum meri ek bahut jaruri baat ka jabab do.”

Mai bola “haan, puchh, kya puchna hai.”

Lekin ab keerti ka mood badal chuka tha aur wo ab kuch majak ke mood me thi. Usne mujhse kaha.

Keerti boli “abhi to tum mumbai me ho. Fir tum apni pyari baji ke yaha aftaari lekar kaise jaoge.”

Ye kah kar wo khilkhila kar aise hasne lagi. Jaise ki is baat ke liye mera majak uda rahi ho. Lekin maine uski is baat ko ansuna karte huye us se kaha.

Mai bola “ab tu apni nautanki band karti hai ya mai call rakhu.”

Keerti boli “are nahi nahi, tum call mat katna. Ab mai tumko jara bhi pareshan nahi karogi. Lekin ye to batao ki, ab tumne kya karne ka socha hai.”

Keerti ki baton se lag raha tha ki, ab wo sach me is baare me janna chahti hai. Isliye maine us se saaf saaf kaha.

Mai bola “ab isme sochna kya hai. Mai jab wapas aauga, tabhi baji ke ghar jauga.”

Keerti boli “tum aisa kyo nahi karte ki, kisi ke hath se aftaari pahucha do.”

Mai bola “aisa nahi ho sakta. Tu abhi baji ko ache se janti nahi hai. Wo mere alawa kisi ke hath se aftaari nahi legi.”

Keerti boli “or yadi un ne le li to, kya karoge.”

Mai bola “yadi aisa ho gaya to, tu jo bhi bolegi, mai wo karne ko taiyar hu. Lekin ab is baat ko yahi khatam kar, abhi mujhe tujhse or bhi jaruri baten karna hai.”

Keerti boli “sorry, bolo or kya baat karna hai.”

Mai bola “abhi tune meri aur barkha didi ki saari baten suni hai. Un sab baton ko sun kar tujhe kya lagta hai ki, hume kya karna chahiye.”

Meri baat sunkar, keerti kuch soch me pad gayi aur fir thodi der bad usne meri baat ka jabab dete huye kaha.

Keerti boli “dekho, har koi apni bahan ya beti ki shadi ke liye bahut kuch sapne dekhta hai aur fir usi tarah uski taiyari bhi karta hai. Lekin yaha sab kuch achanak hi ho raha hai. Itni jaldi me shekhar bhaiya ke har sapne ko pura karna mumkin nahi hai.”

“Magar un sapno ko jarur pura kiya ja sakta hai. Jin sapno me shekhar bhaiya ke didi ke liye dili jajbat jhalakte hai. Meri mano to tum sirf unhi sapno ko pura karne ki koshish karo.”

“Yadi tum aisa kar sake to, yakin mano, ye shadi sirf didi ke liye hi nahi, balki har dekhne wale ke liye ek yaadgar ban rah jayegi. Kyoki shekhar bhaiya ke un sapno me beshumar pyar chhupa hai aur jin baton me pyar chhupa ho, unhe aasani se bhulaya nahi ja sakta.”

Itna kah kar keerti chup ho gayi aur mai uski baton ke baare me sochne laga. Tabhi mujhe kisi ke upar aane ki aahat huyi aur maine ye baat keerti ko bata kar mobile jeb me rakh liya.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 158}
____________________________

Meri baat sunkar, keerti kuch soch me pad gayi aur fir thodi der bad usne meri baat ka jabab dete huye kaha.

Keerti boli “dekho, har koi apni bahan ya beti ki shadi ke liye bahut kuch sapne dekhta hai aur fir usi tarah uski taiyari bhi karta hai. Lekin yaha sab kuch achanak hi ho raha hai. Itni jaldi me shekhar bhaiya ke har sapne ko pura karna mumkin nahi hai.”

“Magar un sapno ko jarur pura kiya ja sakta hai. Jin sapno me shekhar bhaiya ke didi ke liye dili jajbat jhalakte hai. Meri mano to tum sirf unhi sapno ko pura karne ki koshish karo.”

“Yadi tum aisa kar sake to, yakin mano, ye shadi sirf didi ke liye hi nahi, balki har dekhne wale ke liye ek yaadgar ban rah jayegi. Kyoki shekhar bhaiya ke un sapno me beshumar pyar chhupa hai aur jin baton me pyar chhupa ho, unhe aasani se bhulaya nahi ja sakta.”

Itna kah kar keerti chup ho gayi aur mai uski baton ke baare me sochne laga. Tabhi mujhe kisi ke upar aane ki aahat huyi aur maine ye baat keerti ko bata kar mobile jeb me rakh liya.

Kuch hi der me barkha upar aayi aur mere pas aakar baith gayi. Wo gaur se mujhe dekh rahi thi aur mai in sab baton ko sochne me laga hua tha. Usne mujhe is tarah kisi soch me khoya dekha to, mujhe tokte huye kaha.

Barkha boli “kya soch rahe ho. Yahi ki jis aadmi ki 5 textile mills aur na jaane kitne textile showrooms ho, use bhala hum log dahej me kya de sakte hai ya fir ye ki, jiski baraat me chief minister aur minister jaisi hastiyan shamil ho rahi ho. Uske baratiyon ka swagat hum kaise kare.”

Maine barkha ki is baat par muskurate huye kaha.

Mai bola “nahi didi, mai janta hu ki, ye sab itni jaldi me kar pana mumkin nahi hai. Yadi hume iske liye thoda samay milta to, hum ye bhi karke dikhane se pichhe nahi hatne wale the.”

Barkha boli “to fir kis baat ki itni gahri soch me pade ho.”


Mai bola “didi, mai to bas ye soch raha tha ki, jab bhaiya ne didi ki shadi bade ghar me karane ka socha hoga to, tab wo khud bhi nahi jante hoge ki, didi ki kismat unko itne bade ghar me lekar jayegi.”

“Bhaiya ne wo dhoom dham aur baratiyon ka swagat wali baat to, didi ke maan samman ko soch kar kahi hogi. Lekin humari didi jis ghar me ja rahi hai. Waha unko kisi chij ki koi kami nahi rahna hai. Waha humari didi ke maan samman ko bhi koi aanch nahi aana hai.”

“Kyoki waha sab humari didi ko bahut pyar karte hai aur humari didi ko kabhi kisi baat ke liye, kisi ke samne nicha nahi dekhna padega. Isliye mai in sab baton ke baare me nahi soch raha.”

“Mai to bhaiya ki un baton ke baare me soch raha hu. Jin baton me bhaiya ke didi ke liye dili jajbat jhalakte hai. Mai un sab baton ko pura karna chahta hu. Taki ye shadi sirf didi ke liye hi nahi, balki hum sab ke liye bhi ek yaadgar pal ban kar rah jaye.”

Meri baat sunkar barkha bhi soch me pad gayi. Kuch der tak is baat ko sochne ke bad usne mujhse kaha.

Barkha boli “baat to tumhari sahi hai. Lekin kya tum akele ye sab kar sakoge.”

Mai bola “didi, aap bas mera sath dijiye, mai sab kuch kar luga. Waise bhi mai akela nahi hu. Mera ek dost yaha mere sath hai aur mujhe ummid hai ki, priya, riya, raj aur nikki bhi mera sath jarur dege.”

Barkha boli “mai tumhare sath hu. Tum jaisa bologe, waisa karwane ki saari jimmedari meri hai.”

Mai bola “to fir thik hai didi. Hum kal se in baton ko pura karna suru karte hai.”

Ye kah kar, maine barkha ko saari baten samjhayi. Uske bad maine nikki ko call lagaya. Lekin nikki bahut jyada shor sharabe ke bich thi. Isliye usne thodi der se call lagane ki baat kah kar call rakh diya. Barkha ne itni jaldi call katte dekha to, mujhse puchha.

Barkha boli “kya hua. Kya nikki se baat nahi huyi.”

Mai bola “abhi ho jayegi. Wo abhi waha par bahut shor sharabe ke bich thi. Isliye usne thodi der bad call karne ko kaha hai.”

Maine itna bola hi tha ki, nikki ka call aane laga. Mai nikki ko apni saari baten batane laga. Usne meri baat sunkar, mera sath dene ki haami bhar di. Us se thodi bahut baten karne ke bad, maine call rakh diya aur fir barkha se kaha.

Mai bola “lo ek kaam to ho gaya.”

Barkha boli “priya se bhi baat karke dekh lo. Wo abhi jaag hi rahi hogi.”

Mai bola “us se baat karne ki koi jarurat nahi hai. Mai usko jaisa boluga, wo waisa karne ke liye khushi khushi taiyar ho jayegi.”

Meri is baat ko sunkar, barkha ne mujhe chhedte huye kaha.

Barkha boli “sab khairiyat to hai na. Priya par bahut jyada bharosa hai. Kahi ye aag dono taraf se to nahi lagi hai.”

Mai bola “kya didi, ab aap bhi suru ho gayi. Aap to sab kuch janti hai. Fir bhi aisa kah rahi hai. Mujhe aapse aisi ummid nahi thi. Lagta hai, ab aapko kuch bhi batana band karna padega.”

Meri baat sunte hi, barkha ne fauran apni galti mante huye kaha.

Barkha boli “sorry mere bhai, mai to sirf thoda majak kar rahi thi. Mai ache se janti hu ki, tumhare dil me priya ke liye aisa kuch nahi hai. Tum ye baat isliye bole ho, kyoki priya tumhari koi baat nahi kaatti hai.”

Mai bola “haan didi, ye baat to sach hai. Lekin priya sach me bahut achi ladki hai. Isliye ab mai bhi uski baat ko rakhne ki koshish karta hu. Magar aaj mujhe aapki ek baat samajh me nahi aayi. Aap to aaj pahli baar priya se mili thi. Fir aapne park me uska sath kyo diya. Kya aapko uske baare me pahle se hi sab kuch pata tha.”

Barkha boli “sab kuch to nahi, magar priya ki tabiyat ka jarur mujhe malum tha. Aaj subah tumne jab didi ko call laga kar, apne sath priya ko lane ki baat puchhi thi. Tab nikki bhi yahi par thi.”

“Use jab pata chala ki, priya yaha aa rahi hai to, usne mujhe priya ki tabiyat ke baare me bataya aur uska khayal rakhne ko kaha tha. Isliye jab maine park me priya ko neha ki baton se pareshan hote dekha to, mujhe laga ki, is samay mujhe priya ki madad karna chahiye.”

“Jiski vajah se maine tumhe priya ki taraf se bolne ke liye uksaya tha. Magar ye meri priya se pahli mulakat nahi thi. Mai priya ko pahle se hi janti thi. Bas ye nahi janti thi ki, nikki ne jis priya ke baare me kaha hai, wo ye hi priya hai.”

Barkha ki is baat ne mujhe kuch hairan sa kar diya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, jab barkha nikki ki saheli ke roop me priya ko nahi janti hai to, fir wo priya ko kaise janti hai.

Kyoki mujhe neha ki baton se bhi aisa nahi laga tha ki, iske pahle usne kabhi bhi barkha ko priya se milaya ho. Apni isi hairani ko door karne ke liye maine barkha se puchha.

Mai bola “didi, yadi aap priya ko nikki ki vajah se nahi janti hai to, kya priya ko neha ki vajah se janti hai.”

Barkha boli “na mai priya ko nikki ki vajah se janti hu aur na hi neha ki vajah se janti hu.”

Mai bola “to fir aap priya ko kaise janti hai.”

Barkha ne meri is baat ke jabab me muskurate huye kaha.

Barkha boli “mai priya ko isliye janti hu. Kyoki hum dono hi kisi na kisi sports se jude huye hai aur pichhle saal tumhare shahar me, jo national games huye the. Usme hum dono mumbai ki team ki taraf se gaye the.”

Barkha ki is baat ne meri is hairani ko kam karne ki jagah or bhi jyada bada kar rakh diya tha. Kyoki barkha ko dekh kar to, aisa lagta tha ki, wo kisi game se judi huyi hai.

Lekin priya ko dekh kar kahi se bhi aisa nahi lagta tha ki, wo kisi game se judi huyi hai aur national games tak khel chuki hai. Maine badi utsukta ke sath barkha se puchha.

Mai bola “didi, aap dono kis game ke liye gaye the.”

Barkha boli “mai boxing aur priya swimming ke liye gayi thi.”

Barkha ki is baat par mai apni hansi na rok saka aur maine hanste huye kaha.

Mai bola “didi, aap to ek boxer lagti ho. Magar priya ko dekh kar to, kahi se bhi aisa nahi lagta ki, wo ek swimmer hai aur national games me bhi bhag le chuki hai.”

Magar priya ke swimmer hone ki baat par, mera is tarah se hasna barkha ko acha nahi laga. Usne mujh par gussa karte huye kaha.

Barkha boli “hanso mat, ye koi hasne ki baat nahi hai. Jise tum sirf ek swimmer samajh kar hans rahe ho, wo sirf ek swimmar nahi, balki swimming champion hai. National games me, top 10 medal winners me uska 1st rank tha. Usne 9 gold medals aur 1 silver medals jeeta tha.”

“Iske alawa nationals aquatic championship me best swimmer award bhi usi ke naam hai. Uske itne medal dekh kar to, us samay mujhe khud bhi us se jalan hone lagi thi ki, mujhe ek silver medal hasil karne ke liye itna khoon pasina bahana pada gaya aur isne to gold medals ki jhadi laga di hai.”

“Magar aaj usko dekh kar is baat ka afsos bhi ho raha hai ki, itni honhaar ladki ko apni tabiyat ki vajah se swimming chhodna pad gayi. Warna ye asian games aur olympics me bhi apne jalwe dikha rahi hoti.”

Barkha ki baat sunkar, meri hansi ko rok lag gayi aur mera chehra utar gaya. Mera utra hua chehra dekh kar, barkha ko laga ki shayad mujhe uski baat ka bura lag gaya hai. Isliye usne mujhse kaha.

Barkha boli “kya hua.? kya tumko meri baat buri lagi.”

Mai bola “nahi didi, mujhe aapki koi baat buri nahi lagi. Mujhe to ye sab sunkar, bas is baat ka dukh ho raha hai ki, priya apni bimari ki vajah se, un bulandiyon ko nahi chhu payi, jinhe wo aasani se chhu sakti thi.”

Abhi meri baat puri bhi nahi ho payi thi ki, tabhi priya ka call aane laga. Barkha ne priya ka call aate dekha to, usne mujhse kaha.

Barkha boli “priya ki badi lambi umar hai. Abhi hum iski hi baat kar rahe hai aur iska call aa gaya. Us se kah do ki, tum aa rahe ho.”

Mai abhi jaane se mana kar raha tha. Lekin barkha ne meri baat manne se mana kar diya. Aakhir me mujhe uski baat maan kar, priya se kahna hi pada ki, mai ghar aa raha hu.

Priya ke call rakhne ke bad, mai barkha ke sath niche aa gaya. Niche aakar mai kuch der shikha didi se baat karta raha. Fir unse jaane ki ijajat lekar mai priya ke ghar ke liye nikal gaya.

Raste me mai keerti se baten karne laga. Thodi bahut baat karne ke bad, maine use aaram karne ko kaha. Magar wo abhi or baat karna chahti thi. Lekin mere samjhane par keerti ne meri baat maan li.

Priya ka ghar aate hi keerti ne call rakh diya. Mai 12:30 baje priya ke ghar pahuch gaya. Waha pahuchne ke bad, maine priya ko call lagaya to, usne fauran niche aakar darwaja khol diya.

Is samay wo Blue short nighty me thi aur bahut jyada sexy lag rahi thi. Us nighty me uska ang ang damak raha tha. Maine use dekha to dekhta hi rah gaya. Iski ek vajah shayad ye bhi thi ki, blue mera man pasand color tha.

Usne mujhe is tarah ghurte dekha to, uske chehre ki muskurahat aur bhi jyada bad gayi. Usne muskarte huye mujhe andar aane ko kaha aur mere andar aane ke bad darwaja band karne lagi.

Wo darwaja band karke palti to, mai abhi bhi usi ko dekh raha tha. Ye dekh kar usne mujhse ishare se puchha ki kya hua to, maine use chhedte huye kaha.

Mai bola “aisi dress me mere samne mat aaya karo. Kisi din kuch ulta sidha ho gaya to, fir mujhe dosh mat dena.”

Meri baat sunkar, priya ne fauran mujhe sawdhan karte huye kaha.

Priya boli “ae abhi meri tabiyat sahi nahi hai. Abhi aisa kuch karne ki baat sochna bhi mat.”

Mai bola “yane ki tumhare kahne ka matlab hai ki, yadi tumhari tabiyat sahi ho to, mai aisa kar sakta hu.”

Meri is baat par priya ne muskura kar mujhe aankh marte huye kaha.

Priya boli “tum karne ka to bolo, meri tabiyat abhi sahi ho jayegi.”

Maine bhi uski ki tarah shararat bhare andaz me kaha.

Mai bola “yadi aisi baat hai to, hum abhi mere kamre me chalte hai.”

Priya boli “shubh kaam me deri karni bhi nahi chahiye. Chalo, jaldi chalo.”

Ye kah kar wo mere kamre ki taraf badne lagi. Lekin maine fauran uska hath pakad kar use rokte huye kaha.

Mai bola “are mai to majak kar raha tha aur tum ise sach maan rahi ho.”

Meri baat sunkar, priya ne jor se hanste huye kaha.

Priya boli “to mai kaun sa sach bol rahi hu. Mai bhi to majak hi kar rahi hu.”

Mai bola “tumhare majak se to bhagwan hi bachaye. Mujhe to pata hi nahi chalta ki, tum kab majak kar rahi ho aur kab sach bol rahi ho. Thik hai, ab bahut raat ho gayi hai. Tum jakar aaram karo.”

Priya boli “are abhi to aaye ho. Kam se kam thodi der to mere sath baat karo.”

Priya ne mere aane ka bahut intejar kiya tha. Isliye mujhe uski baat katna acha nahi laga aur mai wahi sofe par baith kar us se baat karne laga. Baton baton me usne mujhse kaha.

Priya boli “aaj mai tumko kaisi lag rahi hu.”

Mai bola “tum to mujhe hamesha hi sundar lagti ho. Magar aaj is nighty me tum bahut jyada sexy lag rahi ho.”

Meri ye baat sunkar, priya ne thoda sa sharmate huye kaha.

Priya boli “ye nighty maine aaj hi li hai.”

Mai bola “acha to, aaj din me tum iske liye hi bajar gayi thi.”

Priya boli “nahi, wo meri shadi wali dress ki fitting kuch sahi nahi thi. Isliye use badalne gayi thi. Waha mujhe ye nighty dikh gayi aur mujhe bahut pasand aayi to, maine ise bhi le liya.”

Mai bola “ye nighty sach me bahut achi hai aur tumhare baki ke nightwear se bhi bilkul alag hai. Magar maine iske pahle kabhi tumko blue dress me nahi dekha. Lagta hai tumko blue color jyada pasand nahi hai.”

Meri is baat par priya ne muskurate huye kaha.

Priya boli “mujhe to sabhi color pasand hai. Lekin aaj nitika didi ne bataya ki, kisi ko blue color kuch jyada hi pasand hai. Isliye maine socha ki, kyo na aaj kuch blue hi pahan liya jaye.”

Priya ki is baat se mai itna to samajh gaya tha ki, uska ye ishara meri hi taraf hai. Kyoki keerti ne jab apne blue salwar suit wali baat nitika ko batayi thi to, usne saaf kaha tha ki, blue mera man pasand color hai.

Abhi mai is baare me priya se kuch sawal karne hi wala tha ki, tabhi mujhe riya aati huyi dikhayi di. Wo bhi is samay ek black nighty me thi aur uski nighty bhi priya jitni hi short thi.

Lekin usne nighty ke upar se ek pardarshi gown bhi pahna hua tha. Jisse uski sundarta chhan kar bahar aa rahi thi. Wo sidiyan utarti huyi hum logon ke hi pas chali aa rahi thi.

Magar priya ki maujudgi ki vajah se maine us par jyada dhyan dena jaruri nahi samjha. Humare pas aakar riya ne bataya ki, wo priya ko dekhne uske kamre me gayi thi. Lekin priya use waha nahi dikhi to, wo priya ko dekhne niche aa gayi.

Iske bad hum teeno ki shikha didi ki shadi ke baare me baten hone lagi. Maine un dono se bhi bataya ki, mai shikha didi ki shadi me kya karna chahta hu. Jise sunne ke bad, dono ke chehre par muskurahat aa gayi.

Wo dono bhi is sab me mera sath dene ko taiyar ho gayi. Iske bad, hum log thodi der isi baare me baten karte rahe. Fir 1:15 baje riya priya se sone jaane ke liye kahne lagi.

Magar priya abhi sone jaane ke liye taiyar nahi thi. Isliye maine bhi priya ko ab aaram karne ka kaha. Mere samjhane par priya hum dono ko good night bol kar apne kamre me chali gayi.

Uske jane ke bad riya ne mujhse kaha ki, wo mujhse kuch jaruri baat karna chahti hai. Maine usse apni baat bolne ko kaha to, usne kaha ki, yaha nahi, tum apne kamre me chalo, mai thodi der bad, tumhare kamre me aati hu.

Mujhe itni raat ko akele me riya se apne kamre me milna sahi nahi lag raha tha. Lekin uski jid ke aage meri ek nahi chali aur mujhe iske liye haan karna pad gaya. Mai use jaldi aane ka bol kar, apne kamre me aa gaya.

Apne kamre me aane ke bad, maine apne kapde badle aur fir bed par let kar riya ke aane ka intejar karne laga. Thodi hi der bad, riya aa gayi. Use dekhte hi mai uth kar baith gaya.

Riya ne teji se kamre ke andar aate huye, kamre ka darwaja andar se band kiya aur fir apna gown utar kar, bed par fekte huye meri taraf bad gayi. Is se pahle ki mai kuch samajh pata, riya mere samne aakar baith chuki thi.

Ye sab itna achanak hua tha ki, mai thoda sa hadbada gaya aur abhi meri ye hadbadahat door bhi nahi ho payi thi ki, riya ne mere chehre ko pakda aur apne hoth mere hothon par laga diye.

Mai is sabke liye jara bhi taiyar nahi tha. Isliye mai riya se apne aapko chhudane ki koshish karne laga. Lekin riya ki pakad me jitni jyada majbuti thi, uske chumban me utni hi jyada shiddat thi.

Riya mere chehre ko pakde, badi berahmi se mere hothon ko chumne lagi. Riya is prahar ke samne mera virodh karna bekar sabit hua aur kuch hi der me, mai uske samne hathiyar daal kar, uske hothon ka raspan karne majbur ho gaya.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Doston 8 update de diye hai. In update me ajay aur shikha ki shadi ki taiyariyan aur keerti ki tabiyat ke sath priya ke baare me bhi dikhaya gaya hai. Iske alawa shereen, sheza aur hitesh naam ke teen naye kirdar bhi story me shamil huye hai. Dekhte hai ye kirdar story me kya asar chhodte hai. Ummid hai ki ye update aapko pasand aayege. Story se jude rahne aur apna sath banaye rakhne ke liye aap sabka bahut bahut dhanyawad. :blush1:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,282
304
Kyun naa Last wali scene agar keerti dekh le..... hawww:cmouth:
meri ek aur favorite character barkha.. hain boxing champion par dil se naram... care karne wali..
Brilliant update dada great going...... :applause::applause::applause:
 
Top