• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
Badhiya update hai bhai nimi ki baten majedaar hain wakai me aapko uske liye likhne me thodi jada mehnat karni padti hogi waise ek baat samjh se bahar hai wo ye ki ye story ek middle class tipe lagti hai wahi rona dhona sabke pass sabke liye time hi time hai isme upar se jo bhi gadi kharidwate ho to rahul ke luna lene me saram nahi aayi aapko uske baad punnu jo ki raja hai samjho uski ma ki car safari hai hahahaha are swift dila dete kya burai thi laal laal wali ahahahaha kahne ka matlab hai unko bhi top class gadi dilaya karo :)
 

rgcrazyboy

:dazed:
Prime
1,962
3,395
159
update aagaya :eek:
ye priya ka phone aaya to priya ki baate ham ko kyu pata nhi chali ki usne kya kaha.
pahle to fone ki baate ham ko bhi sunai dete the ab yaha bhi bato ko gol karna chalu kar diya hai. :bat:
:congrats: naye leptop ke liye ab naya.
ab ye bhi bata do ki kirti ne kis kushi main computer toda diya.:blush1:
 
Last edited:

aka3829

Prime
3,369
12,318
159
Update to humesha ki tarah fullnon mast tha. Lekin us update me aapne itane sare suspense daal diye he ki is update ko 2 baar padhne ke baad bhi mera sar chakra raha he. Pehle kam suspense the ki aapne isake jariye ek nayi rail gadi tayaar kar di suspenso ki. Raham prabhu raham karo apne bhakto par.
1 Priya aur vaani ki baato me suspense
2 Vaani aise achanak mumbai kyu ja rahi he ye suspense
3 dipti aur usaki behen ka suspense
4 dipti ki bahaen ki wajah se kyu kirti ka naam katne wala he ye suspense.
6 kya chanda mausi maan jayegi mumbai jaane ke liye ye suspense.
Sabse bada suspense ki ye sare suspense aur pehle wale suspense kab khatam honge.
Waiting 4 next update
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,638
35,012
219
pritam dada.... mujhe lagta hai is kahani ko guinese book of world records mein bhejoge .....itne characters kya kam the.... jo ab ye dipti aur uski badi bahan...TRIPTI.... :D apne nam nahi bataya... lekin hai to wohi..... tripti ko tripti ki kavita padhni thi isliye akhbar mangaya hai
apke kisi suspense par ab kuchh nahi bolunga.... jab bhi bolo to 10-5 naye suspense aur jod dete ho....

ab itne din bad update dete ho to 2-3 ek sath de diya karo ......
 

Anubhavp14

न कंचित् शाश्वतम्
247
900
108
Ko To Rok Lo {Update - 232}
____________________________

Lekin mai unki baat sunkar, bike se utar gaya. Mere bike se utarte hi vaani didi bike par baith gayi aur mujhe pichhe baithne ko kahne lagi. Ye dekh kar mehul ne fauran hi vaani didi ko tokte huye kaha.

Mehul bola “didi, aap iski khatara bike kyo chala rahi hai. Ise chalane me aapko jara bhi maja nahi aayega. Yadi aapko bike chalana hi hai to, aap meri pulsar chala lijiye. Aapko bahut maja aayega.”

Mehul ki ye baat sunkar, mai use ghoor kar dekhne laga. Wahi vaani didi ne uski is baat ka jabab dete huye kaha.

Vaani didi boli “nahi, aaj nahi. Abhi tumko bhi ghar jaane ke liye der ho rahi hai. Abhi tum ghar jao. Mai fir kabhi tumhari bike chala lugi.”

Vaani didi ki baat sunkar, mehul ne apni bike utha li aur mai vaani didi ke pichhe baith gaya. Fir mehul apne ghar ke liye nikal gaya aur mai vaani didi ke sath apne ghar aa gaya.

Hum ghar pahuche to, ghar me bilkul hi sannata tha. Na to ami nimi kahi najar aa rahi thi aur na hi chhoti maa kahi najar aa rahi thi. Keerti aur neha hall me baithi baten kar rahi thi.

Lekin mere liye ghar ka ye najara bilkul hi naya tha. Kyoki chhoti maa aur ami nimi roj hi mujhe mere school se aane ka intejar karti milti thi. Ghar aate hi sabse pahle mujhe ami nimi ka shor gul sunayi diya karta tha.

Wo bhale hi mere pahle school se wapas aa jati thi. Lekin khana wo mere sath hi khaya karti thi. Lekin aaj mujhe school se aane me kuch jyada hi der ho gayi thi aur wo dono aaj ghar me hi thi.

Fir bhi mujhe ummid thi ki, abhi tak un dono ne khana nahi khaya hoga. Apne ghar aate hi, unhe apne samne na pakar mujhe unki kami akharne lagi aur chhoti maa ko na dekh kar mujhe unke gusse ka dar bhi satane laga tha.

Vaani didi aate hi, muh hath dhone ki baat kah kar apne kamre me jaane lagi. Tabhi keerti ki najar bhi humare upar pad gayi. Usne meri halat dekhi to, ghabrate huye mujhse puchha.

Keerti boli “tumhari ye halat kaise huyi. Kya kisi ke sath jhagda hua hai.”

Keerti ki baat sunkar, vaani didi ne dhire se use chup karate huye kaha.

Vaani didi boli “tu abhi apna muh band rakh. Yadi mausi ne iski aisi halat dekh li to, abhi hungama suru ho jayega. Pahle ise apni halat sudhar lene de. Fir mai tujhe saari baat bata dugi.”

Abhi vaani didi itni hi baat bol payi thi ki, tabhi chhoti maa apne kamre se bahar nikal aayi. Un ne shayad andar se keerti ki aawaj sun li thi. Isliye wo is baat ko pata karne ke liye bahar aayi thi.

Lekin jab un ne bahar aakar meri ast vyast halat ko dekha aur mere kapdo par daag dhabbe lage dekhe to, unhe samajhte der nahi lagi ki, mera kisi ke sath jhagda hua hai. Un ne mere pas aakar gusse me puchha.

Chhoti maa boli “ye tune apni kya halat bana rakhi hai. Tu kiske sath jhagda karke aa raha hai.”

Chhoti maa ki is baat ke jabab me mujhse to apni safayi me kuch kahte nahi bana. Lekin vaani didi ne chhoti maa ki is baat ka jabab dete huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, kuch ladko ne ise bahut buri tarah se peeta hai. Wo to acha hua ki, usi samay mai pritam ke sath waha se gujar rahi thi aur maine inka jhagda dekh liya. Maine un ladko ko aisa sabak sikhaya hai ki, ab wo iski taraf aankh uthane ki bhi galti nahi karege.”

Lekin chhoti maa ke upar vaani didi ki is baat ka kuch asar nahi pada aur un ne vaani didi se ulte sawal karte huye kaha.

Chhoti maa boli “lekin ise kisi se maar peet karne ki kya jarurat pad gayi. Kahi kisi ladki ka chakkar to nahi tha.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai hadbada gaya. Mujhe laga kahi wo meri girlfriend ki vajah se mera jhagda hone ki baat to nahi soch rahi hai. Lekin vaani didi ne is baat ko saaf kate huye kaha.

Vaani didi boli “mausi jaisa aap soch rahi hai. Waisa hi kuch hua hai.Yash vardhan ka beta aur uske dost nitika ki saheli shilpa ko chhed rahe the. Ye unhe aisa na karne ke liye samjhane laga to, un ne ise maa ki gaali de di.”

“Ab aap to janti hai ki, is se apni maa bahno ke khilaf kuch sahan nahi hota hai. Bas isi vajah se ye un se bhid gaya. Lekin wo 5 log the. Isliye is par bhari pad gaye aur sabne mil kar iski pitayi kar di.”

“Lekin ab unki ye pitayi, un par hi bhari padne wali hai. Maine un sabko hawalat ki hawa khane ke liye bhej diya hai. Ab yash vardhan bhi unhe aasani se bahar nahi nikal payega.”

Vaani didi ki puri baat sunkar, chhoti maa kuch pareshan si ho gayi aur un ne apni chinta jahir karte huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, tum logon ko yash vardhan ke bête se nahi ulajhna chahiye tha. Yash vardhan acha aadmi nahi hai aur wo mujhe bhi…”

Lekin achanak hi chhoti maa mujhe dekh kar, apni puri baat kahte kahte ruk gayi. Magar shayad vaani didi unki aage ki baat janti thi. Isliye un ne chhoti maa ko dilasa dete huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, yadi yash vardhan acha aadmi nahi hai to, mujhse bhi bura koi dusra nahi hai. Mere samne yash vardhan ki aukat itni bhi nahi hai ki, wo meri aasten ka ek button bhi nahi tod sake.”

“Aap bilkul bhi fikar mat kijiye. Yash vardhan ke bête ki ye galti, yash vardhan ko bahut bhari padne wali hai. Yadi maine yash vardhan ko aapke samne naak ragadne par majbur na kar diya to, mera naam bhi vaani nahi hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunne ke bad chhoti maa ke chehre par chinta ki rekhayen saaf dekhi ja sakti thi. Wo kuch pareshan si lag rahi thi aur kisi gahri soch me dubi huyi thi.

Lekin jaise hi unki najar mere hath par lagi kharoch par padi. Wo apni saari pareshaniyon ko jhatak kar mere hath ko dekhne lagi. Unhe aisa karte dekh kar, maine un se kaha.

Mai bola “mujhe kuch nahi hua chhoti maa. Bas hath me jara si kharoch aa gayi hai.”

Lekin chhoti maa ne mujhe chup karate huye kaha.

Chhoti maa boli “tu chup kar, keerti tu jakar jara mere kamre se dawa ka box lekar aa.”

Chhoti maa ki baat sunkar, keerti chhoti maa ke kamre me chali gayi aur chhoti maa mere hath dekhne lagi. Mere hath jamin par ghisatne ki vajah se thoda chhil gaye the. Jinse ab khoon aane laga tha.

Keerti dawa ka box lekar aayi to, chhoti maa ne mujhe wahi baitha diya aur mere jakhm saaf karke un me dawa lagane lagi. Unhe meri aisi halat dekh kar, un ladko par gussa aa raha tha aur un ne isi gusse me badbadate huye kaha.

Chhoti maa boli “kamino ne mere bete ki kya halat kar di hai. Wo mere samne aa jaye to, mai unka khoon hi pi jaugi.”

Chhoti maa ko un ladko par aise gussa karte dekh kar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, abhi to aap jhagda karne ki vajah se is par kitna jyada gussa kar rahi thi aur ab is par itna pyar luta rahi hai ki, un ladko ka hi khoon peene ko taiyar hai. Aapke is gusse aur pyar se to bhagwan hi bachaye.”

Vaani didi ki is baat par chhoti maa ne unhe jhidakte huye kaha.

Chhoti maa boli “tu chup kar vaani, tune dekha nahi ki, un jalimo ne ise kitni berahmi se maara hai. Un ne mere bete ki kya halat bana kar rakh di hai.”

Chhoti maa ki is baat par vaani didi ne thoda sanjida hote huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, mujhse bhi iski ye halat nahi dekhi ja rahi thi. Isliye to mai khud hi bike chala kar ise ghar lekar aayi hu.”

Vaani didi ki is baat se mujhe samajh me aaya ki, wo mere sath bike chala kar kyo aayi hai. Warna mujhe to lag raha tha ki, aaj unka bike chalane ka man kar raha hoga. Isliye wo mere sath bike chalate huye aayi hai.

Abhi mai vaani didi ki is baat ke baare me soch raha tha ki, tabhi nimi sidiyon tak aayi aur fir mujhe dekh kar sidiyon se hi wapas chali gayi. Uski is harkat se mai samajh gaya ki, wo jasusi karne aayi hai.

Ab wo ye baat jakar ami ko batayegi. Asal me nimi ami ki jasus thi aur har khabar ami ko jakar deti thi. Aise hi ami nimi ki dhal thi aur nimi ko har pareshani se bachaya karti thi.

Nimi ke upar jaane ke thodi hi der bad, mujhe ami nimi dono sidiyon se niche utarti najar aayi. Lekin shayad dono ko meri is halat ka pata nahi tha. Isliye meri ye halat dekhte hi, ami bhagti huyi mere pas aayi aur mujhse puchha.

Ami boli “bhaiya, aapko kya hua. Aapki ye halat kisne ki hai.”

Ami ki is baat par vaani didi ne uska majak udate huye kaha.

Vaani didi boli “ye lo, ye aa gayi dadi amma. Ab koi inhe batao ki, inke bhaiya ko kya ho gaya hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, ami ka chehra utar gaya aur uska muh chhota sa ho gaya. Ami ka utra hua chehra dekh kar vaani didi ne apni baat ko sambhalte huye kaha.

Vaani didi boli “ammo, aise apna chehra mat utar. Tere bhaiya ko kuch bhi nahi hua hai. Kuch ladke shilpa ko pareshan kar rahe the. Isliye iska unse jhagda ho gaya tha. Ab ladai jhagda karne me aisi halat to hoti hi hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, ami ne mujhse shikayat karte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, shilpa didi ke liye aapko kisi se ladne ki kya jarurat thi. Uske liye mehul bhaiya to hai na.”

Ami to mere liye apni chinta jahir kar rahi thi. Lekin ami kuch kare aur nimi us se pichhe rah jaye, aisa hona namumkin sa tha. Ami ki ye baat sunte hi, nimi ne no ball me chhakka marte huye kaha.

Nimi boli “haan bhaiya, ami didi thik kah rahi hai. Shilpa didi ki shadi to mehul bhaiya ke sath hona hai. Fir wo hi shilpa didi ke jhagda kare na. Aapko unke liye jhagda karne ki kya jarurat hai.”

Nimi ki ye baat sunkar, sab hairani se nimi ko dekhne lage. Wahi chhoti maa ne nimi ko fatkar lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “tu ye kya bakwas kar rahi hai. Kuch sochti samjhti bhi hai ya kuch bhi bakti chali jati hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar, ami ne fauran nimi ki kahi baat ko sambhalte huye kaha.

Ami boli “mummy, nimi ka kahne ke matlab tha ki, shilpa didi mehul bhaiya ke ghar aati jati rahti hai. Yadi aunty ko shilpa didi pasand aa gayi to, unki shadi mehul bhaiya se ho sakti hai. Waise bhi un dono ki jodi bahut achi lagti hai.”

Ami ki baat sunkar, chhoti maa ne use bhi daant lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “kiski jodi kiske sath achi lagti hai. Iska faisla karne ki abhi tumhari umar nahi huyi hai. Ye faisla hum logon ke hathon me rahne do. Ab dobara mujhe tum logon ke muh se aisi baat sunne ko na mile.”

Itni baat kahne ke bad, chhoti maa ne keerti se sabko khana khila dene ki baat kahi aur wapas apne kamre me chali gayi. Chhoti maa ke jaane ke bad vaani didi ne ami nimi se khana khane ke liye muh hath dhokar aane ko kaha.

Jiske bad ami nimi muh hath dhone apne kamre me chali gayi. Un dono ke jaane ke bad vaani didi ne mujhse kaha.

Vaani didi boli “ye ami to jarurat se jyada samajhdar hai. Usne kitni aasani se nimi ki galti par parda daal diya aur saari baat apne upar le li. Mujhe to uski ye hajir jababi dekh kar hairani ho rahi hai.”

Abhi is se pahle ki, mai vaani didi ki is baat ka jabab de pata ki, us se pahle hi keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “didi, aap ami ko chhoti bachchi samajhne ki galti bilkul mat kijiye. Wo iske pahle bhi kayi baar nimi ki harkato par parda daal chuki hai. Uska tej dimag dekh kar to mai bhi kabhi kabhi dang rah jati hu.”

“Ye hi nahi wo padhai aur khel kood me bhi bahut aage hai. Wo apni school ke har khel me hissa leti hai aur inam bhi jeetti hai. Uski dekha seekhi ab nimi bhi har khel me hissa lene lagi hai.”

Keerti ki is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “ye to bahut achi baat hai. School ke har khel me hissa lena hi chahiye. Pata nahi aage chal kar kab kis khel me bhavishya ban jaye. Waise dono ko sabse jyada kaun sa khel pasand hai.”

Keerti boli “waise to dono sabhi khel pasand hai. Lekin unhe sabse jyada swimming ka shauk hai. Lekin unke chhote hone ki vajah se mausi abhi unhe swimming sikhne nahi de rahi hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, neha ne baat ke bich me bolte huye kaha.

Neha boli “aunty galat sochti hai. Swimming sikhne ke liye ami ki umar bilkul bhi chhoti nahi hai. Priya ne bhi isi umar se swimming sikhna suru kiya tha aur isliye wo itni si umar me swimming champion ban payi thi.”

Neha ki baat sunkar vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “neha thik kahti hai. Ami nimi ko swimming karne se nahi rokna chaiye. Kya pata kal ko ami nimi me se hi koi priya ki tarah swimming champion ban jaye. Mai mausi se is baare me jarur baat karugi.”

Itni baat bolne ke bad, vaani didi ne mujhse muh hath dhone ko kaha aur fir apne kamre me chali gayi. Unke jaane ke bad mai bhi muh hath dhone apne kamre me aa gaya.

Kamre me aakar mai fresh hone chala gaya. Mai fresh hokar jab bathroom se bahar nikla to, ami nimi mere kamre me hi baithi huyi thi. Unhe dekh kar mai muskurate huye taiyar hone laga.

Kuch der tak dono khamoshi se mujhe taiyar hote dekhti rahi. Fir ami ne is khamoshi ko todte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, kya aapka mummy ke upar gussa khatam ho gaya.”

Ami ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “tujhse kisne kaha ki mai chhoti maa se gussa hu.”

Ami boli “wo subah mummy ne aapko maara tha na. Isliye mujhe laga ki, aap mummy se naraj hoge.”

Mai bola “nahi, mai chhoti maa se jara bhi naraj nahi hu. Wo meri maa hai aur unhe kisi bhi baat par mujhe marne ka pura haq hai.”

Meri baat sunkar ami ne thandi si saans lete huye kaha.

Ami boli “mai to dar hi gayi thi. Mujhe laga ki kahi aap mummy se naraj hokar kuch ulta sidha na kar lo.”

Ami ki is baat par maine hairani se use dekhte huye kaha.

Mai bola “tera mere kuch ulta sidha kar lene se kya matlab tha.”

Meri is baat par ami ne hanste huye kaha.

Ami boli “mujhe dar lag raha tha ki, kahi aap mummy se naraj hokar ghar chhod kar na chale jao.”

Mai bola “tu puri pagal hai. Maine chhoti maa ki kisi baat ka kab bura maana hai, jo ab bura manuga. Fir tere dimag me aisi baat aayi bhi kaise.”

Ami boli “lekin bhaiya, mummy ne iske pahle kabhi aapko is tarah se maara bhi to nahi tha. Isliye hum log bahut jyada dar gaye the.”

Ami ki is baat ko sunkar maine un dono ko samjhate huye kaha.

Mai bola “tum dono apne is dar ko hamesha ke liye apne dil se nikal do. Mai kabhi kisi bhi baat par naraj hokar chhoti maa aur tum dono ko chhod kar kahi nahi jauga. Mai chhoti maa aur tum dono ko bahut pyar karta hu.”

Ami boli “bhaiya, hum dono bhi aapse bahut pyar karte hai. Lekin hum dono se bhi jyada pyar aapko mummy karti hai. Wo humse jyada aapse pyar karti hai.”

Abhi mai ami ko is baare me kuch samjhane hi wala tha ki, tabhi nimi ne ami se do kadam aage badte huye kaha.

Ami boli “haan bhaiya, ami didi thik kahti hai. Mummy humse bhi jyada aapse pyar karti hai. Wo hamesha aapki pasand ki hi dishes banati hai. Meri pasand ke cutlets aur Manchurian kabhi nahi banati.”

Nimi ki baat sunkar, mujhe hansi aa gayi aur maine use pyar se daant lagate huye kaha.

Mai bola “nimmo tu bahut badi petu hai. Tujhe khane ke siwa kuch nahi sujhta hai. Are chhoti maa cutlets aur Manchurian isliye nahi banati hai. Kyoki ye ghar me itne ache nahi bante hai.”

“Chhoti maa tum dono ko mujhse bhi jyada pyar karti hai. Tum dono to is ghar ki jaan ho. Fir bhala hum tumhe pyar kyo nahi karege. Lekin tum dono bahut shararat karit ho. Isliye chhoti maa ko tum par gussa karne padta hai.”

Abhi mai ami nimi ko samjha raha tha ki, tabhi keerti khan eke liye bulane aa gayi. Fir mai aur ami nimi keerti ke sath khane ke liye niche aa gaye. Vaani didi pahle se hi niche chuki thi aur neha ke sath dining table par baithi huyi thi.

Lekin chhoti maa waha nahi thi. Ye dekh kar maine ami se chhoti maa ko bula kar lane ki baat boli to, usne chhoti maa ko bulane jaane se saaf mana karte huye kaha.

Ami boli “nahi bhaiya, aaj mummy bahut gusse me hai. Aaj mai unko bulane nahi jaugi.”

Ami ki baat sunkar, maine keerti se chhoti maa ko bula kar lane ko kaha to, usne bhi is baat se saaf mana karte huye kaha.

Keerti boli “na baba, ye mujhse nahi hoga. Mai ami nimi ke school na jaane aur inke nashta na karne ki baat ko lekar subah se do baar mausi ki daant kha chuki hu. Ab mujhe unki aur daant khane ka koi shauk nahi hai.”

“Yadi mausi ko khana khata hota to, wo mujhse sabko khana khila dene ki baat kyo kahti. Waise bhi mausi tumhari hi vajah se naraj hai. Tum hi jakar unhe mana kar le lao.”

Keerti ki is baat me vaani didi ne bhi uski baat ka samrthan kiya aur mujhse chhoti maa ko bula kar lane ki baat kahne lagi. Jiske bad mai chhoti maa ko bulane ke liye chala gaya.

Abhi mai chhoti maa ko bulane unke kamre ke andar jaane hi wala tha ki, unhe almari ke samne khade dekh kar mujhe laga ki, wo kapde badal rahi hai. Ye dekh kar maine bahar se aawaj lagate huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, kya mai andar aa sakta hu.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne kaha.

Chhoti maa boli “haan, tu andar aa sakta hai. Tujhe mere kamre me aane ke liye ijajat lene ki jarurat kab se padne lagi hai.”

Mai bola “nahi chhoti maa, wo maine aapko almari ke samne khada dekha to, mujhe laga ki, aap kapde badal rahi hai.”

Chhoti maa boli “nahi, mai kapde nahi badal rahi thi. Mai bas almari me kapde sahi se rakh rahi thi.”

Ye kahte huye chhoti maa mere pas aa gayi aur un ne mere sar par hath ferte huye kaha.

Chhoti maa boli “maine tujhe subah maara tha. Kya tu mujhse naraj hai.”

Mai bola “nahi chhoti maa, mai bhala aapse kyo naraj rahne laga. Mai to ulta is baat se bahut khush hu. Mujhe aapka dher saara pyar mila hai. Bas mere jeevan me aapse maar khane ki kami rah gayi thi. Lekin aaj aapne meri us kami ko bhi pura kar diya hai.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne mujhe apne gale se lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “tu ab bahut badi badi baten karne laga. Tu baith, mai tujhe ek pyari si chij dikhati hu.”

Ye kah kar chhoti maa apni almari se kuch nikalne chali gayi. Mai unke bed par aakar baith gaya aur unke wo chij dikhane ka intejar karne laga. Unki baton se mujhe samajh me aa gaya tha ki, ab wo mujhse bilkul najaj nahi hai.

Unka acha mood dekh kar mujhe bhi bahut khushi ho rahi thi. Waise to ye kamra papa aur chhoti maa dono ka tha. Lekin mere liye ye kamra sirf meri chhoti maa ka tha.

Mujhe apne kamre se jyada shukun ami nimi aur chhoti maa ke kamre me mila karta tha. Isliye kisi pareshani ya tanav ke samay par mai in dono me se hi kisi ek ke kamre ki sharan me chala jata tha.

Jaha ami nimi ke kamre me unki pyari pyari baten mere tanav ko kam kar deti thi. Wahi chhoti maa ke kamre me unka pyar aur dular mere tanav ko khatam kar diya karta tha.

Abhi mai is kamre se jude shukun ke baare me soch hi raha tha ki, tabhi chhoti maa mere pas aakar baith gayi. Un ne bade pyar se mere sar par hath fera aur fir mere hath me ek tasveer thama di.

Mai gaur se us tasveer ko dekhne laga. Mere sath sath chhoti maa khud bhi us tasveer ko dekh rahi thi. Us tasveer ko dekhte hi, mere chehre par khud-ba-khud muskurahat aa gayi.

______________________________

Haaye bhot hi acha update
Isme bhot ache se maa ke pyaar dikhaya Pritam bhaiya ....subha choti maa ne mara aur ab jab punnu ki halat dekhi to unko dukh bhi hua aur wo ladko ko kosna ...sahi me bhot hi ache update
Aur isse pehle wale update me vaani didi ne Mehul ke rishte ke liye haa kar di thi aur ab nimi ne bhi kaam asaan kar diya:lotpot: ab to yakeen ho gaya punnu ki ho na ho Mehul aur shilpa ki to pkki hai ....aur ami ki chaturai sahi me kitne ache se nimi no bachaya hats off Pritam bhaiya:thank_you::wave:
Ami aur nimi ke likhne ke liye apko kitna sochna padta hoga ....kyu ki dono ek se badkar ek hai .....
Aur ye keerti wese to humesha acha kaam karegi humesha punnu har problem solve kar deti hai lekin kayi jagha khud use Marwa bhi deti hai ...had hai ye ladki.....
Lagta hai punnu ki maa ki tasveer hai ....
Again bhot hi acha update ese hi likhte rahiye aur apna khayal bhi rakhiye ...ab aap isse mujhe selfish samjh sakte hai kyu ki aap apna khayal rakhoge to hume update bhi milte rahenge :blush1:...
 
Top