• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Badiya update dada shaandar. Ye keerti ki bachchi bohot pareshaan kar rhi hai punnu ko raat me bhi or din me bhi pr ab school bhi chhod kar aana hai maharani ko sala nakhre khatam nhi ho rhe inke or bahana bhi project kaa hai mtlb puri tarike se lagaana hai use bechaare punnu ki. Jiddi ladki hai:girlcry:
Khair ..... Intezaar
Thanks rohan bhai, lekin keerti akeli jiddi nahi hai. Jyadatar ladkiyan jiddi hoti hi hai. Aisa hi kuch jid ka najara aapko aane wale update me dekhne ko mil jayega. Fir aap hi faisla lena ki sabse bada jiddi kaun hai. :blush1:
Nice part
Thanks ajam bhai, update pasand karne aur sath bane rahne ke liye bahut bahut dhanyawad. :blush1:
 
  • Like
Reactions: Jonty

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Aage ka intjaar
Thanks rishabh bhai, update pasand karne aur sath bane rahne ke liye bahut bahut dhnayawad. :blush1:
Rg bhai, 25000 reps dekar bhag nikle. Mujhe to laga tha ki ab 225 update ke bad hi aapke darshan hona hai. Isliye aapne 225 ke hisab se 25000 reps ek sath de diye hai. :blush1:
 
Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Nice update
Thanks rage bhai, update pasand karne aur sath bane rahne ke liye bahut bahut dhanyawad. :blush1:

बहुत ही खूबसूरत नोक झोंक वाला अपडेट है आज का

बहुत मजा आयाा पढ़कर ऐसे ही लिखते रहें धन्यवाद

अगले अपडेट का इंतिजार रहेगा

धन्यवाद
Thanks naik bhai, update pasand karne aur sath bane rahne ke liye bahut bahut dhanyawad. Rahi baat nok jhok ki to ye nok jhok agle update se or bhi jyada badne wali hai. :blush1:
 
  • Like
Reactions: Jonty

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Super update sir
Thanks raaz bhai, update pasand karne aur sath bane rahne ke liye bahut bahut dhanyawad. :blush1:
Ye keerti nam ka virus bohot mehenga padne wala hai punnu ko. Par is virus ko kamal ka jhel raha hai.
Great update dada.
:yourock:
Thanks bindas bhai, lekin mere hisab se keerti ko virus kahna sahi nahi hoga. Keerti to ek symbol hai. Jise har koi apni jindgi me dekhna chahega. Wo kisliye, ye aapko aage aane wale update me khud hi najar aa jayega aur aapke dil se bhi ek kash nikal jayega. :blush1:
 
  • Like
Reactions: Jonty

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 018}
____________________________

Mai bola “yadi aisi koi baat hai to, wo bhool jaye. Mujhe pareshan kar pana, uske bas ki baat nahi hai.”

Kamal bola “dekhte hai kya hota hai. Wo to kal se tumhe pareshan karna suru kar chuki hai. Ho sakta hai ki, aaj tujhe apne sath school le jaane me bhi uski kahi koi chaal ho. Ab ye to tujhe uske sath jaane ke bad hi pata chalega.”

Mai bola “tu mujhe dara raha hai.”

Kamal bola “dara nahi raha hu, balki bata raha hu. Yadi kisi baat par keerti naraj hai to use mana lo. Warna bahut mahga padne wala hai. Kyoki wo bahut jiddi hai aur usne ek baar jo than liya, wo karke dam lei hai.”

Mai bola “thik hai, dekhta hu ki, wo kitni jiddi hai aur apni jid ko pura karne ko kya-kya karti hai.”

Kamal bola “thik hai, dekh lena. Lekin abhi utho aur jaldi se taiyar ho jao. Wo abhi school jaane ke liye aati hi hogi.”

Itna kah kar kamal kamre se bahar nikal gaya aur mai keerti ki kal se lekar aaj tak ki harkaton ke baare me sochta rah gaya. Lekin jab mujhe uski harkaton ka koi hal samajh me nahi aaya to, mai uth kar fresh hone chala gaya.

Fresh hone ke bad mai taiyar hua aur fir 7:30 baje kmre se bahar aa gaya. Mai kamre se bahar aaya to, mausi mujhse nashta karne ko kahne lagi. Lekin tabhi keerti apna project hath me lekar aa gayi aur usne mausi se kaha.

Keerti boli “mummy, punnu ne taiyar hone me pahle hi bahut der kar di hai. Ab yadi ye nashta karne laga to mujhe or bhi jyada der ho jayegi.”

Mausi boli “are ise nashta kar lene de. Thodi der ho jaane me tera kuch nahi ho jayega.”

Mausi ki baat sunkar keerti ne apni safayi dete huye kaha.

Keerti boli “aise kaise kuch nahi ho jayega. Ye yadi ek din nashta nahi karega to, chal jayega. Lekin aaj mai yadi samay par nahi pahuchi to, mera project shamil nahi kiya jayega. Meri saari mehnat bekar chali jayegi. Isliye abhi iska nashta karna rahne do. Waise bhi hume waha jyada der nahi lagna hai. Hum jaldi ghar wapas aa jayege.”

Keerti ki baat sunkar, mausi bhi chup ho gayi. Unke pas kahne ko kuch nahi bacha tha aur mai gaur se keerti ka chehra dekhne laga. Wo sach me mujhe jaan bujh kar pareshan kar rahi thi. Keerti ne mujhe is tarah gaur se dekhte dekha to, badi hi akad ke sath mujhse kaha.

Keerti boli “ab tum yaha khade-khade mujhe hi dekhoge ya fir mere sath school bhi chaloge. Chalo, chal kar jaldi se meri scooty nikalo. Mujhe school ke liye der ho rahi hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine us se kcuh kahna thik nahi samjha aur chup chap bahar aakar uski scooty nikalne laga. Mere scooty nikalte hi keerti apna project lekar bahar aa gayi.

Maine scooty chalu ki aur use scooty me baithne ko kaha. Keerti ne scooty me baithte huye kaha.

Keerti boli “gaadi jara araam se chalana. Warna tej hawa lagne se mera ye project toot jayega.”

Mai bola “thik hai.”

Itna bol kar maine scooty aage bada di. Keerti ki harkaten dekh kar, ab mujhe bhi kamal ki baat sahi lag rahi thi. Ab ye saaf lag raha tha ki, keerti mujhe jaan bujh kar pareshan kar rahi hai. Isi baat ko sochte huye maine keerti se kaha.

Mai bola “yadi tujhe mere sath hi school jana tha to, tu mujhse raat ko hi bol deti. Mai subah jaldi uth jata.”

Meri baat sunkar keerti ne masoom bante huye kaha.

Keerti boli “mujhe tere sath aane ka koi shauk nahi tha. Wo to kamal aaj apna school miss karna nahi chahta tha. Isliye mujhe tere sath aana pad gaya. Lekin tujhe yadi mere sath aane me pareshani thi to, ghar par hi bol deta. Mai tujhe bekar me pareshan nahi karti aur texi se school chali jati.”

Keerti ka ye safed jhuth sunkar, mujhe hansi aa rahi thi. Lekin maine apni hansi dabate huye us se kaha.

Mai bola “mujhe tere sath aane me koi pareshani nahi hai. Mai to sirf isliye bol raha tha, taki tujhe samay par school pahuch sakta.”

Keerti boli “koi baat nahi hai. Abhi bhi hum samay par hi school pahuch jayege. Ab faltu ki baat karna band karo aur chup chap gaadi chalao.”

Achanak se uska bigada hua mood dekh kar maine is baare me fir kuch kahna thik nahi samjha aur chup chap gaadi chalaane laga. School pahuch kar maine keerti ko scooty se utara aur us se puchha.

Mai bola “kya, ab mai wapas jau.”

Keerti boli “nahi, scooty park kar ke mere sath chalo.”

Maine scooty park ki aur fir keerti ke sath chal pada. Hum log ek hall me pahuche. Waha bahut se ladke ladkiya apne-apne project table par rakh kar, uske samne khade huye the.

Ek ladki ne keerti ko dekha to, usne keerti ko apne pas ki table par aane ka ishara kiya. Keerti ne uska ishara dekha to, mere sath apni saheli ki taraf bad gayi aur uske pas pahuch kar use hello kiya.

Fir usne apna project table par rakh diya aur us par apne naam ki parchi chipka di. Iske bad keerti apni saheli se baat karne lagi aur mai uske pas khada chup chap unki baten sunne laga.

Keerti ki saheli dekhne me na to keerti ki tarah sundar thi aur na hi itni jyada aadhunik thi. Dekhne me wo bahut sidhi saadi thi. Shayad isi sadgi ki vajah se uski keerti se dosti huyi huyi thi.

Mujhe bhi keerti ki saheli ke baat karne ka tarika acha laga tha. Kuch der bad, us haal me ek madam aa gayi. Jinke pas sab ladke ladkiyan apne project note karwane lage.

Keerti aur uski saheli ne bhi un madam ke pas apna naam aur project note karwaya. Iske bad keerti mujhe chalne ka ishara kiya aur apni saheli ke sath bahar jaane ke liye chal padi.

Mai bhi unke sath sath chalne laga. Bahar aakar keerti ne apni saheli se, mera parichay karwate huye kaha.

Keerti boli “nitika, ye mera cousin punit hai aur punit ye meri sabse pyari saheli nitika hai.”

Maine nitika se aur nitika ne mujhe hath mila kar hello kiya. Iske bad keerti aur nitika apne-apne project ki baten karne lagi. Kuch der bad, keerti ne mujhe scooty nikalne ko kaha to, mai scooty nikalne laga.

Maine jab tak parking se scooty nikali. Tab tak keerti bhi nitika ko bye kah kar mere pas aa gayi thi. Maine scooty chalu ki aur keerti ke baithte hi, maine scooty aage bada di.

Abhi hum log kuch door hi pahuche the ki, keerti kisi mobile shop par gaadi rokne ki baat kahne lagi. Uski baat sunkar, maine ek mobile shop ke samne gaadi rok di.

Hum logon ne us mobile shop se keerti ke liye ek acha sa mobile aur ek sim card kharida. Mobile kharidne ke bad hum log ghar ke liye nikal pade. Kuch hi der me hum log ghar pahuch gaye.

Ghar aakar keerti sabko apna naya mobile dikhane lagi. Isi bich mausi ne sabke liye khana laga diya aur sab khana khane lage. Khana khane ke bad sab aapas me baten karne lage.

Lekin mere sar me bahut dard ho raha tha aur mai ab aaram karna chahta tha. Isliye mai waha sab ke pas se uth kar kamal ke kamre me aa gaya aur bed par let kar aaram karne laga.

Mai kamal ke kamre me leta raha. Kamal school se ghar wapas aaya to, wo apne kamre me nahi ruka aur bahar sabke sath baton me lag gaya. Sab ki baten chalti rahi aur isi me 3 baj gaya.

Fir 3 baje ke bad hum log mausi ke ghar se apne ghar ke liye nikal pade. Ghar pahuch kar chhoti maa ne keerti ko, upar mere kamre ke pas wale kamre me thahra diya. Keerti ne upar aakar apne kamre me saman rakha aur fir ami nimi ke kamre me chali gayi.

(Yaha mai ye bata dena jaruri samajhta hu ki, mera ghar 2 manjila hai. Ground Floor par 3 Bedroom, Drawing room, Dining room aur Kitchen hai. Jabki First Floor par 5 kamre hai. Jinme se 4 Bedroom,1Store room aur upar jaane ki sidiyon ke pas 1 Bathroom hai. Jo kabhi jarurat padne ke hisab se banaya gaya tha. Jab mai 9th Class me aaya to First Floor par bane 5 kamro me se ek kamra mujhe de diya gaya aur ek kamra ami nimi ko de diya gaya. Taki wo meri najro ke samne hi rahe. Ek kamre me store room bana diya gaya aur baki ke do kamre mehmano ke liye rakhe gaye. Jinme se ek kamra abhi keerti ko diya gaya tha. Mera karma niche jati huyi sidiyon ke samne hai. Ami nimi ka kamra sidiyon ke baju se hai. Is tarah ami nimi ka kamra bilkul mere samne na hokar bhi mere samne hi padta hai.)

Mere sar me bahut jyada dard ho raha tha to, mai apne kamre me aakar aaram kar raha tha. Mai ab sona chahta tha. Lekin sar dard ki vajah se mujhe nind bhi nahi aa rahi thi.

Jab bahut der tak na to mujhe nind aayi aur na hi mere sar ka dard kam hua to, fir mai uth kar chhoti maa ke pas niche chala aaya. Mai chhoti maa ke kamre me pahucha to, wo leti huyi thi aur ami nimi ke sath keerti bhi wahi par thi.

Mera utra hua chehra dekh kar, chhoti maa samajh gayi ki, mujhe kuch taklif hai. Un ne fauran uthte huye mujhse kaha.

Chhoti maa boli “kya hua beta, tera chehra itna utra hua kyo hai. Teri tabiyat to thik hai na.”

Mai bola “chhoti maa, meri tabiyat to thik hai. Lekin mere sar me bahut jyada dard ho raha hai aur sone ki koshish kar raha hu to, nind bhi nahi aa rahi hai. Kya mai aapke pas let jau.”

Mere sar dard hone ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.

Chhoti maa boli “aa, mere pas aa, mai tera sar daba deti hu.”

Chhoti maa ki baat sunkar, mai unke pas aakar, unki god me sar rakh kar let gaya aur chhoti maa mera sar dabane lagi. Sar dabate-dabate un ne keerti se kaha.

Chhoti maa boli “keerti beta, us box me sar dard ki goli hai, jara utha kar de.”

Chhoti maa ki baat sunkar keerti ne dawa ke box se sar dard ki goli nikal kar unhe di. Chhoti maa ne wo goli mujhe khila di. Iske bad mai fir unki god me sar rakh kar let gaya.

Lekin ab chhoti maa jaise hi mera sar dabane ko huyi. Waise hi ami nimi mere agal bagal me aa kar baith gayi aur un ne chhoti maa se kaha.

Ami nimi boli “mummy, bhaiya ka sar hum dabayege.”

Chhoti maa boli “nahi, tum log ise pareshan mat karo. Ab tum apne kamre me jakar khelo aur ise aaram karne do.”

Lekin ami nimi dono me se koi bhi mere pas se jaane ko taiyar nahi huyi. Un dono ne chhoti maa se jid karte huye kaha.

Dono boli “nahi, bhaiya humara hai to, sar bhi hum hi dabayege.”

Itna bol kar, ami nimi ne mere sar se chhoti maa ka hath alag kiya aur un ne mera sar dabana suru kar diya. Chhoti maa janti thi ki, ab ami nimi se bahas karna bekar hai. Isliye un ne un dono par se apna dhyan hata kar, mujhse kaha.

Chhoti maa boli “lagta hai aaj tune subah se bilkul chay nahi pi hai. Jiski vajah se tera sar dard karne laga hai. Mai abhi tere liye chay bana kar lati hu.”

Itna bol kar chhoti maa chay banane jaane ke liye uthne lagi to, mai unhe chay banane se mana karne laga. Lekin chhoti maa ne meri baat nahi maani aur wo chay banane chali gayi.

Ami nimi dono apne komal hathon se mera sar daba rahi thi. Jisse mujhe bahut sukoon mil raha tha. Keerti chup chap khadi-khadi ye sab dekh rahi thi. Kuch der tak wo chup chap khadi rahi. Lekin jab us se nahi raha gaya to, usne mujhse kaha.

Keerti boli “agar chay peena tere liye itni hi jaruri tha to, kya tu ghar par hi nahi bol sakta tha. Hum log kya tujhe ek cup chay bhi nahi de sakte the.”

Mai abhi keerti ki is baat ka koi jabab de pata ki, us se pahle hi ami ne keerti ko fatkar lagate huye kaha.

Ami boli “didi, ab bekar me jhagra mat karo. Aap itni badi ho gayi ho. Lekin aapko itni si baat bhi samajh me nahi aati hai ki, abhi bhaiya ke sar me dard ho raha hai aur wo abhi kisi baat ka jabab nahi de sakte hai.”

Ab jab ami boli thi to, fir bhala nimi kaha piche rahne wali thi. Usne ami se bhi do kadam aage badte huye, keerti se kaha.

Nimi boli “didi, aap se ye to hua nahi hai ki, lao mai sar daba deti hu ya chay hi bana deti hu. Ulta ladne lagi ho. Ladanku kahi ki.”

Ami nimi ki baten sunkar, mujhe to hansi aa rahi thi. Lekin mai apni hansi dabaye chup chap leta keerti ko dekhne laga. Keerti to ami nimi ki baten sunkar sann rah gayi aur hairani se unhe dekhne lagi.

Tabhi chhoti maa bhi chay lekar aa gayi. Shayad un ne bhi ami nimi ki kuch beten sun li thi. Isliye un ne mujhe chay dete huye keerti se puchha.

Chhoti maa boli “kya hua keerti. Ye dono tujhse kya bol rahi hai.”

Keerti boli “mausi, ye do chhipkaliyan to girgit ki tarah rang badalti hai. Ghar par thi to, saare samay didi-didi kah kar mere pichhe padi rahti thi aur idhar aate hi badi bhaiya wali ho gayi.”

Ye kahte huye, keerti ne chhoti maa ko saari baat bata di. Jise sunkar chhoti maa ne hanste huye, keerti se kaha.

Chhoti maa boli “kya tune ghar par kabhi paunnu ko inke samne is tarah kuch kaha hai.”

Keerti boli “nahi, kabhi nahi.”

Chhoti maa boli “tabhi tujko inka ye roop udhar dekhne ko nahi mila tha. Warna tu inka ye roop udhar hi dekh leti.”

Keerti boli “lekin mausi, ye to galat baat hai. Mai bhi to inki bahan hu na.”

Chhoti maa boli “tu kyo inki baton me aati hai. Tu to meri sabse ladli beti hai.”

Ye kahte huye, chhoti maa ne keerti ko apne gale se laga liya. Lekin jab ami nimi ne ye najara dekha to, wo keerti ko chidane ke liye mere gale se lag gayi. Magar ab keerti bhi kaha haar manne wali thi. Wo bhi ami nimi ke sath bachchi ban gayi aur ami nimi ko dikhate huye, chhoti maa se lipat kar kaha.

Keerti boli “mai to apni pyari mausi ki, sabse pyari beti hu.”

Keerti ko is tarah chidate dekh kar, ami to chup rah gayi. Lekin nimi se ye sahan nahi hua aur usne gusse me, bina kuch soche samjhe keerti ko ulta sidha bakte huye kaha.

Nimi boli “badi aayi mausi ki sabse pyari beti. Ab aap apni pyari mausi ke sath hi rahna. Mujhse, ami didi se aur bhaiya se door hi rahna. Humare ya bhaiya ke kamre me bhi mat aana. Apni mausi ke kamre me hi rahna.”

Nimi ko jo jo samajh me aaya, wo keerti se bolti chali gayi. Ab use kaun samjhata ki, abhi hum keerti ki mausi ke kamre me hi hai. Mai bas ye soch raha tha ki kahi keerti bhi is baat ko na pakad le aur bilkul aisa hi hua. Keerti ne nimi ki isi baat ka fayda uthaya aur usko chidate huye kaha.

Keerti boli “haan mai tumhare aur tumhare bhaiya ke kamre me bilkul nahi aaugi. Lekin tum log to abhi meri mausi ke kamre me ho. Yadi tum log meri mausi ke kamre me rah sakte ho to, fir mai bhi tumhare aur tumhare bhaiya ke kamre me ja sakti hu. Hisab barabar rahna chahiye.”

Keerti ki baat sunkar, nimi ka dhyan jab is baat ki taraf aaya to, wo fauran uth kar khadi ho gayi aur usne ami ko bhi waha se utha diya. Iske bad wo mujhse bhi uthne ke liye bolne lagi. Mai uske aisa karne ka matlab samajh to gaya tha. Lekin fir bhi maine anjan bante huye us se puchha.

Mai bola “kya hua.”

Nimi boli “ab hum is kamre me bilkul nahi aayege. Ye didi ki mausi ka kamra hai. Hum apne kamre me chalege.”

Mai bola “lekin ye tumhari mummy ka kamra bhi to hai aur keerti tumhari didi hai. Uski baat ka bura nahi mante.”

Nimi boli “nahi, ab ye didi ki mausi ka kamra hai Kyoki mummy ne khud hi kaha hai ki, didi unki sabse pyari beti hai. Isliye jab tak didi yaha hai. Hum me se koi bhi is kamre me nahi aayega aur yadi koi aaya to mai us se katti kar lugi.”

Nimi ki is baat par maine usko samjhate huye kaha.

Mai bola “keerti tumhari didi hai. Uski baat ka bura mat maano aur use maaf kar do.”

Meri baat sunne ke bad nimi is baare me sochne lagi aur fir kuch der sochne ke bad usne kaha.

Nimi boli “thik hai, mai didi ko maaf kar dugi. Lekin pahle didi se bolo ki hume sorry bole.”

Keerti ko shayad ye sab bahut acha lag raha tha. Isliye usne nimi ko tang karte huye kaha.

Keerti boli “mai kyo tum logon ko sorry bolu. Tum aur tumhare bhaiya mujhe sorry bolo to, mai tum logon ko maaf kar dugi.”

Ami jo ab tak chup thi. Use keerti ki is baat se nimi se jyada gussa aa gaya aur us ne keerti ke sath-sath chhoti maa ko bhi apne lapete me lete huye kaha.

Ami boli “mere bhaiya kyo aapse maafi mangege. Maafi mangna hai to, aap aur mummy maafi mangege aur yadi aap log maafi nahi mangege to, ab waisa hi hoga, jaisa nimi ne kaha hai.”

Keerti boli “hum log maafi nahi mangege.”

Keerti ka itna kahna tha ki, ami nimi dono mujhe chhoti maa ke kamre se bahar khich kar le aayi. Maine unhe samjhane ki koshish karta raha. Lekin dono meri koi baat samajhne ko taiyar hi nahi thi.

Aakhir me haar kar, mai ami nimi ke sath apne kamre me aa gaya. Magar ami, nimi aur keerti ka ye yuddh abhi or badna baki tha. Kyoki ami, nimi ab papa aur chanda mausi ko bhi apni taraf karne ki yojna bana rahi thi.

Jiska matlab tha ki, wo dono keerti ko jhukaye bina nahi manegi. Ab teen jiddi aamne samne the. Ek taraf ami nimi, keerti ko harane ki jid pakdi huyi thi to, dusri keerti bhi haar manne ke liye taiyar nahi thi.

Ye ek ajab hi tarah ki ladai chal rahi thi. Jisko jo bhi dekhta, wo hanse bina nahi rah sakta tha. Ami nimi apni baton me mast thi aur keerti chhoti maa ke sath unke kamre me vyast thi.

Lekin mai apne kamre me hote huye bhi kahi or khoya hua tha. Na chahte huye bhi mujhe keerti ke khayalon ne gher liya tha. Aaj dusra din tha, jabki usne mujhse ache se baat nahi ki thi.

Uske is baat na karne ne, mujhe uske baare me sochne par majbur kar diya tha. Mai uski baton ko bahut jyada miss kar raha tha. Na jane kyo, par mai uske pas rahna chahta tha aur us se baat karna chahta tha.

Aaj keerti ke mere samne hote huye bhi, mujhe uski kami ka aehsas ho raha tha. Mai keerti ke khayalo me khoya hua tha ki, tabhi nimi ne mera hath pakad kar hilate huye kaha.

Nimi boli “bhaiya chalo, niche chal kar baithte hai. Hum kuch der niche chal kar, Tv dekhte hai.”

Nimi ki baat sunkar, mai ami nimi ke sath niche hall me aakar baith gaya aur wo dono Tv dekhne lagi. Hum logon ko hall me baitha dekh kar, chhoti maa aur keerti bhi waha aa gaye.

____________________________
 
Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Doston update de diya hai. Is update me keerti aur punnu ke bich me to koi jyada nok jhok nahi hai. Lekin is update se ami nimi ne jarur story me apni upastithi darj karwayi hai aur jo bhi nok jhok hai wo ami nimi aur keerti ke bich me hi hai. Ummid hai ki aapko ye update bhi jarur pasand aayega. Story se jude rahne ke liye aur apna sath banaye rakhne ke liye aap sabka bahut bahut dhanyawad. :blush1:
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,282
304
Thanks naina ji, aapka sochna bahut sahi hai. Lekin aapne galat samay par galat jabab de diya hai. Aane wale update me aap khud hi dekh lijiye ki, nimi punnu ko bachane wali hai ya fir use dubane wali hai. :blush1:

Ok, naina ji, mai aaj se apne update dene ki sankhya bada deta hu. Yakin rakahiye aapko us umar tak nahi pahuchne duga aur update 226 aapke samne hoga. :blush1:
Sorry

226 update ke liye sirf main hi nahi aapke sabhi fan intezaar mein hain.... plz de dijiye :pray:
 
:superb: update Dada.... Awesome :rose:
Kasam se nimi ko reality mein mil paati.... she's so cute
 
Top