• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

Mahesh007

Well-Known Member
3,874
6,399
158
Pretam bhai safalta ko pachana har kisi ke bas ki bat nahi
Har lekhak ka kahana he hame likhne ke pese nahi milte jo kisi ke kahane par likhe
Bhai aaj me har us lekhak se puchana chahta hu ki kisi dr ne kaha kya likhne ko jo bar bar akar logo ko bahkate ho
Bese sahi bat to ye bhi he ki apni kahaniyo ko aap jese lekhak bajar me utare to sayad koi kabadi bhi na kharide
Bese jin lekhako ne safalta pai he bo is manch par hi he bajar me uska koi mulya nahi
 

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
158
Ko To Rok Lo {Update - 250}

____________________________

Magar aaj jab sach me hi wo kisi ke sath shadi karne ke liye ja rahi thi to, un ne mujhe hi is baat ki khabar dene ke layak nahi samjha tha. Mujhe to ab bhi yakin nahi aa raha tha ki, juhi didi mere sath aisa kar sakti hai.

Juhi didi ne mujhe itna jyada pyar diya tha ki, aaj unka ye parayapan mujhse sahan nahi ho raha tha aur mujhe bahut dard ho raha tha. Unki is baat ko soch soch kar mera dil rone ke liye kar raha tha.

Abhi mai juhi didi ki in baton me khoya hua tha ki, tabhi kamre ka darwaja khulne ki aawaj sunkar mai chaukte huye, apni aankh khol kar dekhne laga. Mere samne keerti aur neha khadi thi.

Mujhe is tarah se chaukte dekh kar, neha khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti ne mujhe kisi gahri soch me gum sa dekha to, usne na jaane kya soch kar ek shayari bolte huye kaha.

Keerti boli “Wo Raat Bhi Bade Dard Sitam Ki Raat Hogi. Jis Din Rukhsat Teri Barat Hogi. Ye Soch Kar Nind Se Jaag Jate Hai Hum. Kisi Gair Ki Bahon Me Meri Saari Kaynat Hogi.”

Keerti ki shayari sunkar, mai use gaur se dekhne laga. Wahi neha ne hanste huye keerti se puchha.

Neha boli “ye shayari kiske liye bol rahi ho. Yaha aisa kaun hai, jiski kaynat lutne wali hai.”

Apni shayari kahte huye keerti mujhe hi dekh rahi thi. Shayad wo samajh gayi thi ki, is samay mera mood sahi nahi hai. Isliye neha ki is baat par usne thoda sanjida hote huye kaha.

Keerti boli “wo kal hum log jin juhi didi ki shadi me ja rahe hai na. Wo aur ye hamesha kahte rahte the ki, ye bade hokar aapas me shadi karege. Lekin aaj unki shadi kisi aur ke sath hote dekh kar shayad ise bahut jhatka laga hai.”

Keerti ki ye baat sahi thi. Lekin puri tarah sahi nahi thi. Isliye maine keerti ki baat ko bich me hi kaatte huye neha se kaha.

Mai bola “jaisa ye kah rahi hai. Aisi koi baat nahi hai. Juhi didi meri bachpan ki dost hai aur pichhle saal tak mere school me mere sath hi padti thi. Isliye unse meri bahut achi patti thi.”

“Jo baat ye tumhe bata rahi hai. Wo sach jarur hai aur hum sabse kahte bhi the. Lekin ye sirf bachpan ka ek khel tha aur isme koi bhi sachchai nahi hai. Sabke sath sath hum bhi is baat ka maja lete the.”

“Iske alawa is baat ka koi dusra matlab nahi hai aur na hi humne iske baare me kabhi gambhirta se socha hai. Tum iski bekar ki baton me bilkul bhi mat aana. Bekar ki baten karne ki iski to aadat si ban gayi hai.”

Lekin keerti ko meri ye baat buri lag gayi aur meri ye baat sunkar usne bhadakte huye kaha.

Keerti boli “mai nahi, tum bekar ki baat kar rahe ho. Warna sach to yahi hai ki, juhi didi se shadi karne ke naam par tum ek taang par khade rahte the. Iske liye tumhare muh se kabhi majak me bhi na nahi nikla hai.”

“Aaj bhi juhi didi ki shadi ki baat sunkar, tumhe jara bhi khushi nahi huyi hai. Tumhe jab se juhi didi ki shadi ki baat pata chali hai. Tab se hi tumhara chehra utra hua hai.”

“Mujhe to ye samajh me nahi aa raha hai ki, jab tumhe juhi didi ke shadi karne se itni hi pareshani ho rahi hai to, fir tum mausi se kah kar unki shadi rukwa kyo nahi dete ho.”

Us samay keerti ke muh me jo kuch bhi aa raha tha. Wo mujhe bake ja rahi thi. Keerti ka ye kahna jhuth nahi tha ki, mujhe juhi didi ki shadi ki baat sunkar jara bhi khushi nahi huyi hai.

Lekin uski ye soch sahi nahi thi ki, mujhe juhi didi ki shadi karne se pareshani ho rahi hai. Mujhe to bas is baat ka dukh ho raha tha ki, juhi didi ne mujhe apni shadi ki baat batane tak ke layak nahi samjha tha.

Magar ab keerti ka bigda hua mood dekh kar, mujhe uske samne apni ye safayi dene se bhi dar lag raha tha. Wahi neha ne jab keerti ko mere upar is tarah se bharaste dekha to, usne hanste huye kaha.

Neha boli “are tum is baat ko lekar is par itna gussa kyo kar rahi ho. Yadi ise sach me juhi didi ke shadi karne se koi pareshani ho rahi hai to, tumhe to iska sath dena chahiye. Taki unki shadi ruk sake aur ye dono ek ho sake.”

Kahne ko to neha ne bilkul sahi baat ki thi. Lekin abhi wo ye nahi janti thi ki, wo galat aadmi se ye baat kah rahi hai. Uski ye baat keerti ke gusse ki aag me ghee dalne ka kaam bhi kar sakti hai.

Is se pahle ki keerti ke upar neha ki is baat ka koi asar pad pata. Us se pahle hi maine neha ki is baat ke bich me kudte huye kaha.

Mai bola “are tum ye bekar me kya kya soche ja rahi ho. Jaisa tum soch rahi ho. Waisi koi baat nahi hai. Maine tumhe bataya na ki, mai aur juhi didi sirf ache dost bas hai. Iske siwa humare bich me kuch bhi nahi hai.”

“Mujhe to unki shadi ki baat sunkar sirf isliye bura laga hai. Kyoki un ne mujhe iske baare me pahle se kuch bhi nahi bataya hai. Ab tum hi socho, achanak is tarah se unki shadi ki baat sunkar, kya mujhe bura nahi lagna chahiye tha.”

Mai neha ke samne apni ye safayi dene me laga hua tha. Usi samay ami bhi apne kamre se nikal kar neha aur keerti ke pichhe aakar khadi ho gayi. Lekin keerti aur neha ka pura dhyan meri hi taraf tha.

Isliye un logon ko ami ke waha aane ka aehsas nahi hua. Lekin mai ami ko dekh chuka. Isliye meri baat sunkar, jaise hi keerti mujhe kuch bolne ko huyi. Maine ishare se uska dhyan uske pichhe ki taraf karaya.

Mere ishare ko samajh kar keerti ne pichhe ki taraf palat kar dekha to, apne pichhe ami ko khada paya. Ami ko dekh kar uska dhyan meri baat par se hat gaya aur usne ami se puchha.

Keerti boli “kya hua. Tum yaha par khadi khadi kya kar rahi ho. Kya tumko abhi bhi sona nahi hai.”

Ami boli “didi, wo nimi kab se neha didi ke aane ka rasta dekh rahi hai. Isliye mai inhe bulane ke liye aayi thi.”

Ami ki baat sunkar, keerti ne hanste huye neha se kaha.

Keerti boli “chal neha, jaldi se nimi ke pas chalte. Wo bechari kab se tumhare liye jagah bacha kar rakhi hai. Kahin aisa na ho ki, koi aur tumhari jagah par aakar so jaye.”

Keerti ki baat sunkar, neha bhi khilkhila kar hasne lagi. Iske bad wo dono ami nimi ke kamre ki taraf jaane lagi. Lekin ami bhi mere pas hi khadi thi. Ye dekh kar keerti ne us se puchha.

Keerti boli “ab tum yaha kyo khadi ho. Hum tumhare kamre me chal to rahe hai na.”

Keerti ki baat sunkar ami ne apni safayi dete huye kaha.

Ami boli “didi, mujhe bhaiya se kuch jaruri baat karni hai. Aap nimi ke pas chaliye, mai abhi apni baat karke aati hu.”

Ami ki ye baat sunkar, neha ne fir hanste huye kaha.

Neha boli “abhi tumne niche jo dhamal machaya, wo kam tha kya. Jo fir se koi naya bomb fodne ki taiyari kar rahi ho.”

Neha ki baat sunkar, ami hairani se neha ko dekhne lagi. Lekin keerti ne fauran ami ka bachav karte huye kaha.

Keerti boli “are aisi koi baat nahi hai. Ye ami nimi ki roj ki aadat hai. Ye sone se pahle kuch der punnu se baten karti hai. Ab tum jaldi se nimi ke pas chalo. Warna wo bhi yahi chali aayegi.”

Keerti ki baat sunkar, ek baar fir neha ki hansi goonj gayi aur fir wo keerti ke sath nimi ke pas chali gayi. Unke jaane ke bad, ami mere pas aakar baith gayi aur kuch sochne lagi.

Wo shayad mujhse koi baat bolna chah rahi thi. Lekin chah kar bhi kuch bol nahi pa rahi thi. Aaj meri vajah se usne vaani didi se maar bhi khayi thi aur mai chahte huye bhi use bacha nahi paya tha.

Lekin is samay use apne pas pakar mujhe us par bahut jyada pyar aa raha tha. Maine use is tarah se chup chap baithe dekha to, pyar se uske sar par hath ferte huye puchha.

Mai bola “kya hua betu, tujhe mujhse kya baat karna hai.”

Meri baat sunkar ami ne ek najar apne kamre ki taraf dekha aur fir dhire se kaha.

Ami boli “bhaiya, aap juhi didi se bekar me hi naraj hai. Apni shadi ki khabar na dene me juhi didi ki bilkul bhi galti nahi hai.”

Ami ki ye baat sunkar, mere chehre par muskurahat aa gayi. Wo shayad mujhe keerti aur neha ke samne safayi dete dekh kar samajh gayi thi ki, mai kis baat ko lekar juhi didi se naraj hu.

Isliye ab keerti logon ke jaane ke bad, juhi didi ki taraf se unki safayi pesh kar rahi thi. Asal me keerti ki tarah hi ami nimi juhi didi ki bhi bahut ladli thi. Juhi didi ami nimi ko bahut pyar karti thi.

Lekin keerti aur juhi didi ke pyar me sirf itna farak tha ki, keerti ami nimi ke sath khud bhi bachchi ban jaya karti thi. Jabki juhi didi unke sath kisi badi bahan ki tarah pesh aaya karti thi.

Iske alawa keerti aur juhi didi ke pyar me koi jyada farak nahi tha. Yahi vajah thi ki, ami nimi juhi didi ko bahut pyar karti thi. Aise me mere juhi didi se naraj hone par ami ka unki tarafdari karna to banta hi tha.

Magar ami is samay mere dil ki halat nahi samajh sakti thi aur na hi abhi uski umar itni thi ki, wo in sab baton ko samajh sake. Isliye uski is baat ko sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “betu, abhi tu is baat ko samajhne ke liye bahut chhoti hai. Tu nahi samajh sakti ki, juhi didi ki is baat se mujhe kitni takleef huyi hai. Lekin tu kahti hai to, ab mai is baat ko lekar unse naraj nahi rahuga.”

Meri ye baat sunkar, ami ne is baat par apni safayi dete huye kaha.

Ami boli “haan bhaiya, mai manti hu ki, mai abhi bahut chhoti hu aur abhi mujh me ye sab baten samajhne ki akal nahi hai. Lekin mujhe sach me pata hai ki, is baat me juhi didi ki koi galti nahi hai. Balki is baat me khud aapki hi galti hai.”

Ami ki ye baat sunkar, maine thoda chaukte huye kaha.

Mai bola “tu kahna kya chahti hai. Is baat me meri galti kaise hai.”

Ami boli “bhaiya, aap bhool gaye hai. Aapne apna mobile number badal liya tha aur juhi didi ko apna naya mobile number diye bina hi mumbai chale gaye the. Fir bhala wo kaise aapko apni shadi ki khabar de pati.”

Ami ki ye baat puri tarah se sahi thi. Lekin iske bad bhi mujhe is baat me juhi didi ki hi galti najar aa rahi thi. Maine apni yahi baat ami ko samjhate huye kaha.

Mai bola “betu, mai manta hu ki, maine apna mobile number badal liya tha aur unko apna naya number diye bina hi mai mumbai chala gaya tha. Lekin ye itni badi baat nahi thi.”

“Wo yaha ghar me kisi se bhi mera naya mobile number le sakti thi ya fir mehul se bhi mera mobile number hasil kar sakti thi. Lekin un ne aisa kuch karne ki jarurat hi nahi samjhi.”

Meri baat sunkar, ami ne ek baar fir apne kamre ki taraf dekha aur apni pareshani mere samne rakhte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, mai yahi baat to aapko samjha rahi hu ki, yaha par aapke aur vaani didi ke siwa baki sabko juhi didi ki shadi ki baat bahut pahle se pata thi. Lekin kisi ne bhi aap dono ko ye baat pata nahi chalne di hai.”

Ami ki si baat me thoda nahi balki bahut jyada dam tha. Abhi tak mai is baat ko sirf ek hi taraf se soch raha tha aur is baat ka saara dosh sirf juhi didi ko hi diye ja raha tha.

Lekin ab ami ki ye baat sunne ke bad, ye asliyat bahar nikal kar aa rahi thi ki, sirf juhi didi ne hi nahi, balki baki sabne bhi mujhe juhi didi ki shadi ke baare me kuch nahi bataya tha.

Ye maana ja sakta tha ki, chhoti maa kisi vajah se mujhe ye baat batana bhool gayi ho. Lekin us samay to richa aunty bhi yahi par thi aur meri unse bhi roj hi baten hua karti thi.

Lekin un ne bhi kabhi mujhse is baare me kuch nahi bataya tha. Khaskar keerti to, mere sath pure samay phone par bani rahti thi. Lekin usne bhi kabhi mujhse is baat ka koi jikar nahi kiya tha.

Abhi tak mera dhyan keerti ki is baat ki taraf nahi gaya tha. Lekin ami ki is baat ne mera dhyan keerti ki taraf bhi mod diya tha. Ami ki ye baat sunne ke bad maine ami se kaha.

Mai bola “tu kahna kya chahti hai. Kahin tu ye to kahna nahi chahti hai ki, yaha sabne jaan bujh kar mujhse ye baat chhupayi hai.”

Ami boli “haan bhaiya, mai yahi kahna chahti hu.”

Ami ki ye baat sunkar maine chaukte huye kaha.

Mai bola “lekin kyo.? Sabko aisa karne ki kya jarurat thi.”

Ami boli “bhaiya, keerti didi abhi mere kamre me hi hai aur wo kabhi bhi mujhe bulane ke liye yaha aa sakti hai. Yadi unne mujhe aapse is baare me baat karte dekh liya to, wo samjhegi ki, mai aapse unki chugli kar rahi hu aur wo mujhse naraj ho jayegi.”

“Mai kal aapko saari baat bataugi. Abhi to aap bas itna samajh lijiye ki, is baat ko chhupane me juhi didi ki bilkul bhi galti nahi hai. Is baat ko chhupane me sirf mummy, geeta aunty ki galti hai.”

“Juhi didi is shadi se bilkul khush nahi hai aur is samay bahut pareshan bhi hai. Aapke unse milte hi, wo aapko khud hi saari baten bata degi. Isliye aap bekar me unse naraj mat rahiye.”

Ami ki ye baten sunkar, juhi didi se to meri narajgi khatam ho gayi thi. Lekin ab mujhe keerti se shikayat ho rahi thi ki, usne abhi tak ye baat mujhe kyo nahi batayi.

Lekin mai apni kisi baat se apni nanhi bahan ko aur jyada pareshan karna nahi chahta tha. Isliye maine ami ki is baat par muskurate huye kaha.

Mai bola “chal thik hai. Tu fikar mat kar, teri ye baat sunne ke bad, mujhe juhi didi se koi bhi shikayat nahi hai.”

Meri baat sunkar, ami ne khush hote huye kaha.

Ami boli “thik hai bhaiya, mai kal aapko saari baat batati hu. Lekin aap keerti didi se is baare me kuch mat bolna. Warna wo mujhse naraj ho jayegi.”

Mai bola “thik hai. Mai keerti se is baare me kuch nahi boluga.”

Abhi mai ami se ye baat bol hi raha tha ki, tabhi keerti mere kamre me aa gayi. Usne meri ye baat sun li thi. Isliye usne kamre ke andar aate hi mujhse puchha.

Keerti boli “ye tum logon ke bich kis baare me baat chal rahi hai. Tum mujhse kis baare me kuch nahi bologe.”

______________________________
Bhai kutchh samaj main nahi aa raha hain to kya shadi ko lekar Juhi ke sath jabardasti kar rahe hain kya yeh log kuchh samaj main nahi aa raha hain magar sabhi update kamal ke the



Waiting for new update bhai...
 
  • Like
Reactions: kamdev99008

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
158
agar sunita itni achhi thi, swabhimaani thi.. to kya sochke ek dum se raaji ho gayi shaadi ke itne liye..
1) punnu ke liye... Kyunki usko mummy jarurat thi..
Ya phir
2)woh aur uski family ne socha ki nahi ladka pehle se shaadi shuda hai to kya hua, ek beta hai to kya hua... par ladka eklauta hai aur arabpati hai so agal.. paiso ki barshat hogi...
mast plan hai..
paise hi paise honge :D
Btw yeh sunita ke jitne bhi ristedaar logis hai yeh punnu ke ghar pe hi kyun dhera jama lete hai :D
ab example ke liye is vaani ko hi dekh lijiye...
Sabse badi baat.... vaani ne pistol ki nali punnu ke pita ji ke muh mein daal di thi.. right..
par yahan sawal yeh hai ki... vaani jo punnu ke pita ji ke ghar reh kar, punnu ke pita ke kamaye huye paiso se kharide huye saman se bana khana kha rahi thi,
itni badi job aur post pe rehte huye bhi yeh gyaat nahi ki jiske ghar k khate hai, uske thaali pe ched nahi kiya jata.. Kya vaani itna bhi nahe jaanti… itni bhi buddhi Nahi hai.. dhitkaar hai is vaani par:D

aur baat baat par punnu ko mara kisi janwar ki tarah so alag... :D
Waise apaki bat to ekdam sahi hain magar muje aisa lagata hain ki sunita 50 percent business le liye hai punit aur ammi nimmi ke future ke liye aur shayad isiliye shikha didi ki shadi main utama kharcha kiya ho aage writer ji ki Lila hain agar woh chahe to sunita ko hi villain bana sakte hain
 
Top