Carry Minati
Tushar
- 1,128
- 2,178
- 159
Behad hi shanadar or jabardast update bhai.Chapter 2 - The Journey
Update 19
Mega Update
Word Count: 4190
Estimated Reading Time: 00:20:00
Sakshi ko dekh kar Aman ke hosh ud gaye the, use ab kuch samajh nahi araha tha.
Kiran: Sakshi..... Kafi accha naam he,
Wo Sakshi ke samne khadi ho kar uske sar se haath ferte hue kehti he.
Kiran: waise ek baat bolu.... Tum na hu ba hu meri choti behen Ritu ki tarah dikhti, kyu Aman.....
Aman: ha..... Ha thik..... Thik kaha tumne....
Kiran: Mansi tum to keh Rahi thi Sakshi apne Bhai ke saath arahi he, kaha he wo?
Sakshi: wo darasal baat ye he ke use suddenly ek important kaam agaya, to wo nahi apaya... uski taraf se I'm sorry....
Kiran: isme sorry bolne ki koi baat nahi he.... Ab to ana jana laga hi rahega....
Pata nahi kyu lekin Kiran ke dil me Sakshi ne pehle hi nazar me ek acchi chabi bana li thi. Kuch der takk sab log milkar baate karne lagte he, lekin Aman ka darr ab hakikat me tabdil ho raha tha. Use pata tha ke Mansi or Aksh ki mulaqat to zarur hui he. Or ab Aman ko aage ka darr lagne laga tha.
Waha Aksh Sakshi ko drop kar ke 10-15 minutes baad Abhinav ki batayi jagah par pahoch gaya.
Aksh: Good Evening Sir.....
Abhinav: ohh... Aksh..... Good Evening, aao betho....
Wo Aksh se haath milate hue kehta he. Kuch der dono yaha waha ki baate karne lagte he.
Abhinav: to Aksh mujhe tumse ek zaruri baat karni thi...
Aksh: ji sir kahiye na...
Abhinav: Aksh me chahta hu ke jo system hum Transport Vehicles me lagane wale he, usme ek GPS tracking bhi lagg jaye.... jis se hum un gadiyo ki location jaan sakte he, ke wo akhir kaha se ati he or jati kaha he....
Aksh: umm..... Okay sir.... Ye bhi ho jayega...
Wo kuch soch kar kehta he.
Abhinav: okay then.... Mujhe tum iska Estimated Cost bata dena, me cheque tumhare paas pahocha dunga....
Aksh: sir GPS tracking Technology zyada mehengi nahi he, aap uski chinta matt kijiye.... Me is GPS tracking ka No Profit Base par budget aapko bata dunga...
Abhinav: nahi Aksh.... Aisa matt karna, tum business kar rahe ho, to bass business ke hisab se chalo, or iska budget, apne profit ke saath batana....
Aksh: okay sir.... Jesa aap kahe....
Abhinav: waise Aksh mujhe tumse ek baat puchni thi....
Aksh: ji sir puchiye na...
Abhinav: Sakshi abhi Computer Science kar rahi he na?
Aksh: ha thik kaha..
Abhinav: to kya Sakshi CBI join karna chahegi?
Uski baat sunkar Aksh heran sa reh jata he.
Aksh: CBI..... me.... Me kuch.....
Abhinav: darasal kya he na Aksh, jab me Sakshi se mila tha tabb mene use dekhte hi samajh liya ke wo technical field me bahot hoshiyar he..... Itne salo me insaan ko pehchan ne me kabhi galti nahi ki he mene or Sakshi ke andar mujhe wo baat dikhi he.....
Aksh: lekin mujhe nahi lagta wo in sab ke liye..... I mean wo in sabse kafi darr jati he to...
Abhinav: darna to lazmi hota he Aksh..... Khair.... Ab me chalta hu, baki tum us kaam par lagg jana...
Aksh: chaliye sir me aapki Airport takk chhod deta hu...
Abhinav: thik he.....
Fir Aksh Abhinav ke saath Airport chala jata he.
Waha Mansi ke ghar pe Dinner ke baad sablog milkar baate kar rahe the, Kiran ko Sakshi ka mijaz bahot hi pasand aya tha, wo to jese Sakshi ko jane hi nahi dena chahti thi. Kafi der baad Sakshi Kiran se ijazat le hi leti he.
Kiran: waise tum ghar kese jaogi?
Sakshi: me Aksh ko call kar ke bula lungi....
Kiran: use pareshan matt karo, me Driver se keh deti hu tumhe ghar drop karne ke liye...
Sakshi: uski zarurat nahi he... Me chali jaungi....
Kiran: beta time kafi ho gaya he, or Aksh ko aise bich kaam me kyu disturb karna....
Mansi: Ha Sakshi..... Ab maan jao...
Sakshi: thik he.....
Uske baad Sakshi apne ghar nikal padti he, or usne call kar ke Aksh ko bata diya tha ke yaha ane ki zarurat nahi he.
Kiran: Mansi.... Mujhe sach me Sakshi se milkar bahot accha laga.....
Mansi: or wo kyu?
Kiran: wo ladki sachme bahot decent he.... Aaj kal ki ladkiyo ki tarah bilkul bhi nahi.... Or to or dikhne me bhi kitni pyari he...
Mansi: wo to sahi kaha aapne... Lekin aapko pata he, Sakshi to Western dress nahi pehenti thi, wo to meri zidd ki wajah se usne aaj waisa dress pehna....
Kiran: accha? Lekin sachme, wo kese bhi kapde pehne, uspar sabkuch accha lagega.... Or Mansi tum us se koi aisa waisa mazak matt karna, me tumhari shararto se waqif hu...
Mansi: Mom... Mazak to me uske saath bhi karungi hi, lekin mujhe pata he kiske saath kesa mazak kare, aap na mujhe bacchi hi samajhti ho....
Kiran: ha bahot badi jo gayi na tum.....
Wo Mansi ka kaan khinch te hue kehti he. Tabhi Mansi ki nazar chup chup bethe Aman par padti he.
Mansi: Dad.... Aap kyu itne chup ho? Kya baat he?
Wo Aman ki godd me jakar beth te hue kehti he. Bhale hi Mansi badi ho gayi ho, lekin uska bachpana apne parents ke samne khulkar bahar ata tha.
Aman: kuch nahi beta.... Accha Mansi, yaha Samne betho, mujhe tumse ek bahot zaruri baat karni he....
Fir Mansi Aman ke samne sofe par beth jati he. Kiran bhi uske saath beth gayi.
Mansi: kahiye....
Aman: Mansi ab tumhare test ki bari he...
Mansi: test.... Kesa test?
Aman: test tumhare Business Knowledge ko azmane ka....
Mansi: me kuch samjhi nahi....
Aman: dekho tum aage ja kar Virani Industries ko sambhalna chahti ho na, to tumhe uski tayari abhi se karni hogi... Me tumhe ek project de raha hu, agle 3 saal takk tumhe use sambhalna he, or agar tum usme pass hui to fir Virani Industries ki sari zimmedari usi waqt se tumhari ho jayegi....
Uski baat sunkar Mansi ki khushi ka thikana nahi raha.
Mansi: what..... Okay Dad I'm Ready....
Aman: lekin tumhe us project ko USA me rehkar sambhalna hoga.....
Ab Aman ne apna daav to fek diya tha, jise sunkar Mansi ke chehre se sari khushi ek pal me hawa ho jati he.
Kiran: wait.... Kya kaha Aman tumne? USA me rehkar? That Means Mansi waha akeli rahegi?
Aman: ha tabhi to Mansi ki Ability samne ayegi....
Kiran: lekin.....
Mansi: No Dad..... Mana ke mujhe business karne me kafi interest he, lekin uske liye me Parents or is sheher se dur nahi reh sakti....
Aman: lekin ye sab to me sirf tumhari ability dekhne ke liye kar raha hu, me dekhna chahta hu ke tum akeli sabkuch kese sambhal pati ho.....
Mansi: Dad.... Aap mujhe Virani Industries ki zimmedari do ya na do..... Lekin me yaha se or kahi nahi jane wali....
Wo narazgi se kehti he or uthkar apne kamre me chali jati he.
Kiran: dekha.... Naraz kar diya na use? Lekin ye kya naya drama he ke Mansi ko yaha se kahi or bhejna....
Aman: Kiran me kaha use humesha ke liye bhejna chah raha hu..... Or...
Kiran: wo me kuch nahi janti, Mansi hume chhod kar kahi nahi jane wali bass.....
Wo Aman ki baat kaat te hue kehti he or apne kamre me chali jati he. Fir Aman Mansi ke kamre me chala jata he uski narazgi dur karne ke liye.
Kafi mashakkat ke baad akhir kaar Aman ne Mansi ki narazgi dur kar hi di. Lekin ab bhi Aman dara hua tha aage ki soch kar.
Bairehaal.... Sakshi Aksh se pehle hi ghar pahoch gayi thi, wo sabse pehle naha leti he, wo bahar akar closet se apne liye kapde nikal rahi thi. Ab shayad Sakshi ko ye sab kapde pehen ne me koi zyada badi baat nahi lagg rahi thi, usne ek T-shirt or Night pant nikal kar pehen li, or apne baal sukhane lagi.
Raat ke kareeb 10 baj gaye the, lekin Aksh abtak ghar nahi lauta tha, Sakshi ne use call kiya to usne kaha ke use or kuch waqt lagg jayega ghar ane me. Ab Sakshi ko uske siwa nind nahi arahi thi. Kafi der takk karvate badal badal kar Sakshi thakk chuki thi, is waqt wo Aksh ke hi kamre me leti thi, lekin jab use nind nahi ati to wo uthkar beth jati he, Or bass Aksh ki yaado me gum ho kar gaana gun gunane lagti he, or sirf gana gun guna ti nahi, balki ayne ke samne khade ho kar uspar jhumne bhi lagti he.
"Baksha gunaho ko, sunke duao ko,
rabba pyaar he.. Tune sabko hi de diya....
Meri bhi aaho ko sun le duao ko,
Mujhko wo dila, mene jisko he dil diya.....
Wo jo mujhe dekh ke hase
Pana chahu raat din jise..
Rabba mere naam kar use...
Tennu dil da wasta......
Manga jo mera he, jata kya tera he
Mene konsi tujhse jannat mang li....
Kesa khuda he tu bass naam ka he tu...
Rabba jo teri itni si bhi na chali....
Chahiye jo mujhe kar de tu mujhko wo ata...."
Ab Sakshi ka waqt shayad thik nahi tha, kyu ke jese hi wo gana gun guna na shuru karti he to Aksh ghar agaya, use laga ke Sakshi so rahi hogi, isliye usne dusri chabi se darwaza khol liya, lekin jese hi wo ghar ke andar aya, to use Sakshi ke gane ki awaz ajati he, wo apne kamre me dekhta he to samne Sakshi madhoshi me gana gaa rahi he, use dekh kar Aksh ki hasi chutt jati he. Lekin wo chupke se Sakshi ko apna gana gane deta he, or khud use niharne lagta he. Jabb Sakshi apna gana khatam karti he to uski nazar room ke door par jati he, jaha Aksh adha darwaza khole use jhank raha tha, Suddenly waha kisi ko khada dekh Sakshi darr ke mare chilla padti he. Uske chillane se Aksh jaldi se andar akar use Sambhal leta he.
Aksh: oye... Chilla kyu rahi he? Koi chor nahi hu me...
Wo andar akar Sakshi ke muh par haath rakhte hue kehta he.
Sakshi: tu..... Tu pagal he.... Ghar aya to.... To bata to dena tha.... Aise choro ki tarah jhank kyu raha tha... Meri to dhadkane hi tez ho gayi he....
Wo hadbadate hue apne dil par haath rakh kar kehti he.
Aksh: accha? Dekhu to.....
Sakshi ki baat par Aksh uska ka haath hata kar khud apna haath uske dil par rakh kar Sakshi ki dhadkane sunn ne lagta ne. Lekin Aksh ki is harkat se Sakshi to sharm se pani pani ho jati he. Wo jaldi se Aksh se alag ho kar khadi ho gayi.
Aksh: waise bade hi madhoshi me gane gaa rahi thi tu to....
Sakshi: na..... Nahi... Wo to me..... Me bass... Aise hi....
Wo bina Aksh se nazre milaye sharmate hue kehti he.
Aksh: sachme bahot accha gati he yaar tu to.....
Sakshi: ab chup.... Chup... Kar....
Aksh: are yaar aise kese chup kar..... Dekh me nahi janta tu ye gana kiske liye ga rahi thi lekin me tere liye ek gana bolna chahta hu, jo ke sachme meri Zindagi ki reality se mel khata he....
Sakshi: konsa?
Fir Aksh Sakshi ke haath thamkar muskurate hue uski aakho me dekhne lagta he.
"Me to yu khada kis, soch me pada tha....
Kese ji raha tha me diwana...
Chupke se ake tune, dil me sama ke tune...
Chedd diya kesa ye fasana....
Muskurana bhi tujhi se sikha he....
Dill lagane ka tu hi tarika he...
Aitbar bhi tujhi se hota he...
Aau na hosh me, me kabhi...
Baho me he Teri zindagi...
He nahi tha pata, ke tujhe maan lunga khuda....
Ki teri galiyo me is kadar aaunga har peher....
Sunn mere husafar, kya tujhe itni si bhi khabar....
Ki teri saase chalti jidhar,
Rahunga bass wahi umr bharr....
Rahunga bass wahi umr bharr...."
Waise to Aksh kafi besura tha, lekin aaj Aksh ke sur Sakshi ke kano me shehed se ghul rahe the. Wo bass ek takk Aksh ko dekhe ja rahi thi.
Aksh: dekha kitna mel khata he gana.... pehle me to jese ek andhere me ji raha tha, jaha se mujhe tune hi bahar laya.... muskurana, wo to me bhul sa gaya tha, fir se muskurana bhi tune hi sikhaya.... Or ab meri to jese zindagi hi tujhme basti he....
Wo Sakshi ka chehra apne haatho me thamkar kehta he, or uske mathe ko chumkar bed par beth jata he. Sakshi ko to in sab se itna sukoon mil raha tha ke jiska koi thikana na tha. Lekin jo Aksh aage bolne wala tha us se Sakshi ke to tote hi udd jane the.
Aksh: waise Sakshi, tune mujhse usdin ek sawal pucha tha, ke agar hum dono Bhai Behen na hote to? To fir me na abtak tere pyaar me majnu bann gaya hota....
Aksh ki baat sunkar Sakshi ki sharm ka koi thikana nahi rehta, or ab us se yaha khada bhi nahi hue ja raha tha.
Sakshi: me...... Me sone ja rahi hu....
Wo aage badhte hue kehti he.
Aksh: kya? Tujhe to akele sone se darr lagg raha tha na, to ab?
Uski baat sunkar Sakshi ko yaad ata he ke use pyaar ke saath saath akele sone ka darr bhi tha, tabb wo jate hue ruk jati he or piche mudkar apni gardan jhukaye bed par akar let jati he. Sakshi ke aise behavior par Aksh apni hasi nahi rok pata or Sakshi ke upar akar use kas kar apni baho me jakad leta he.
Aksh: yaar Sakshi tuna sachme bahot sharmati he.....
Fir Aksh jakar fresh ho jata he kr change kar ke Sakshi ke bagal me akar let jata he, dono kafi der takk baate karte rehte he, or akhir inki is pyaar bhari dastan me sukoon se bhari nind bich me ajati he.
Subah subah Sakshi jaldi uthkar apna roz ka kaam karne lagti he, or kuch der baad college jane ke liye tayar ho jati he. Aaj usne ek Jeans or jacket pehna hua tha, jisme wo bijliya barsa rahi thi. Aksh ne bhi uski kafi tarif ki, or waise bhi in deep down Sakshi ko bhi aise kapde aache lagg rahe the. Bass farak yahi tha ke Mumbai me rehkar usne kabhi ye sab try nahi kiya. Or aaj use Mansi jesi ladki mili jisne Sakshi ko majbur kar diya tha ye sab pehen ne ko.
Aksh Sakshi ko college drop kar ke Construction Site par chala gaya tha. Kaam bilkul sahi chal raha tha, or tabhi Aksh ko kisi ka call ajata he. Aksh call pick kar leta he.
Aksh: Hello.......
Aman: Mr. Aksh Joshi..... Me Aman.... Aman Virani baat kar raha hu.....
Uski awaz sunkar Aksh dang reh jata he.
Aksh: ji.... Ji Uncle, kahiye... Kese call kiya?
Aman: kuch nahi bass mujhe pata chala tha ke tumne Surat me bhi business shuru kar diya he....
Aksh: ji... Thik suna aapne....
Aman: great, to bass tumhe badhayi dena chahta tha... Kya mujhse abhi mil sakte ho...
Aksh: ahh.... Ji me ajata hu, aap bataye kaha ana he....
Aman: thik he.... Virani Industries me ajao, mere Office me beth kar kuch baate karte he...
Aksh: thik he.... Me ajata hu.....
Fir wo call kaat deta he.
Aksh(mann me): yaar inhone mujhe milne ke liye kyu bula liya? Kahi firse mere saath koi Deal ki to nahi soch rahe? Chalo, dekhta hu wahi jakar....
Fir Aksh chala jata he Aman se milne. Waha jakar ek peon use Aman ke cabin takk le ata he. Aksh ko dekh kar Aman uske paas ajata he.
Aman: Aao Aksh.... Please have a seat...
Wo Aksh ko chair par bithate hue kehta ne. Or khud uske samne beth jata he.
Aman: sabse pehle to tum kuch loge?
Aksh: nahi me....
Aman: please mana matt karo, ek kaam karte he, shubh kaam ki Shuruwat mithe se hoti he na, to mitha ho jaye.... Or badhayi tumhe mere sheher me akar mujhe defeat karne ki tayari ke liye...
Aksh: uncle aap galat samajh rahe he.... Me yaha na to aapko harane aya hu, na hi aap se competition karne.... Business ko kese run karte he, ye to aap mujhse behtar jante ho... Or mujhe pura yakeen he ke aap kabhi bhi is field me haroge nahi.... Mera maksad sirf apne dil ki sunna he, jo mera dil kehta jayega, wo me karta jaunga....
Aman: hmm.... Chalo koi baat nahi, humari Nakam deal ko side me rakh kar, me tum jese ek Emerging Businessman ko congrats karna chahta hu...
Aksh: thanks Uncle.... Lekin me apne aap ko Businessman nahi manta me apne aapko Entrepreneur manta hu.... Kyu ke Businessman kabhi extra risk nahi leta, wo bass calculated risk par kaam karta he... wahi Entrepreneur ke liye calculetad risk naam ki koi chiz nahi hoti.... Jaha businessman ek ya kayi sare businesses ko or behtar karta jata he, wahi Entrepreneur apne khud ke dreams ko reality me badalne ki koshish me rehta he....
Aksh ki baate sunkar Aman bhi ek pal ke liye soch me pad gaya tha.
Aksh: Or Uncle, please meri baat ka bura matt maniyega... Lekin aap na to Businessman baniye, or na to Entrepreneur baniye.... Rather than aap ek Leader baniye.... Or Leader kabhi bhi criticize nahi karta, balki wo to apna haath deta he... Unko, jisko uski zarurat hoti he, or saath me aage badhta he... Or ho sakta he, ke samay ke chalte, aapki awaz ko duniya mitane me kamyab ho jaye, lekin wo har dil jinme sapno ki chingari thi, jinki aapne madat ki thi, unme aap humesha zinda rahoge....
Wo ek badi si muskurahat ke saath Aman ki aakho me dekhte hue ye sab kehta he. Aman ko aaj aisa lagg raha tha ke usne bhale itna bada business khada kar diya tha, lekin Aksh ne dusri baar Aman ko apne vision se maat de thi.
Aman: dekho Aksh.... Har insan me koi na koi kamiya hoti he.... Me bhi manta hu ke mujhme bhi kami he... Lekin me ye baat pakke taur par keh sakta hu ke jo tum apni zindagi me achieve karne wals ho, wo sab shayad hi kisi ne achieve kiya hoga.... Or me pure dil se tumhare liye accha chahta hu....
Aksh: Thanks.... Thank You So Much Uncle....
Aman: waise tum Mansi ko jante ho?
Ab Mansi ka naam sunte hue Aksh ke tote udd jate he.
Aksh: Mansi.... Ha.... Me wo....aapko kese....
Aman: darasal Mansi meri beti he.....
Ye baat sunkar Aksh ke to hosh hi udd gaye.
Aman: darasal kal tumhari behen Sakshi ghar par ayi thi, tabb mujhe pata chala....
Ab Aksh ko thoda uncomfortable sa feel hone laga tha.
Aman: dekho Aksh... Ab humari purani baate bhul jao, jo bhi baate thi, wo bass atit tha.... Agar tumhe kabhi bhi meri zarurat pade to be jhijak mujhe batana....
Aksh: ji me to wo baat usi din bhul gaya tha.....
Fir kuch der takk dono aise hi business ke baare me baate karne lagte he, kayi sari aisi baate thi, jis dono ko kuch alag sikhne mil raha tha, ek taraf Aman ko Aksh ke extraordinary vision se kuch sikh mil rahi thi, wahi Aksh ko Aman ke itne salo ke business experience se kuch sikh mil rahi thi. Ab Aman ke dil me aage ki kya soch thi ye to bass Aman hi janta tha.
Waha College me break ho gaya tha. Kavita, Diksha or Mansi is waqt Canteen me thi. Lekin Mansi ki nazre kisi ko dhund ne me lagi thi.
Kavita: kya hua Mansi? Kise dhund rahi ho?
Mansi: are yaar me Sakshi ko dekh rahi hu, call bhi nahi lagg raha he uska....
Wo Canteen ke gate par apni nazre gadhaye kehti he.
Kavita: kya baat he Mansi.... Aaj kal Sakshi se kafi close ho rahi ho tum?
Mansi: ha to? Wo bhi meri Best friend he....
Kavita: or hum kya he fir?
Mansi: yaar mene kya kaha? Wo bhi.... Matlab tum dono ke alawa Sakshi bhi meri best friend ki list me shamil he.
Kavita: yaar mujhe na wo ladki bilkul thik nahi lagti.... Wo na tumhare Rutbe ka fayda uthana chahti he....
Mansi: Shut Up Kavita.....
Wo kafi gusse me or unchi awaz me kehti he.
Mansi: ye kya behuda baat kar rahi ho? Kehte he na ke agar insan kisi ke bare me accha na bol sake to bura bhi nahi bolna chahiye.... Or tum kya janti ho Sakshi ke bare me?
Diksha: Mansi Calm Down....
Mansi: yaar Kavita ko samjhao.... Bewajah kisi ko bhi kuch bhi bolne lagti he....
Diksha: Ha Kavita.... Mansi bilkul thik keh rahi he.. or sach kahu to mujhe bhi Sakshi bahot acchi ladki lagti he... She is real, dusre logo ki tarah koi fake Personality nahi he uski.....
Wo indirectly Kavita ko tana marte hue kehti he. Lekin tabhi waha Sakshi ajati he.
Sakshi: hi....
Mansi: yaar Tum kaha thi Sakshi?
Sakshi: sorry... Sorry.... Darasal Class me kuch students ki help kar rahi thi studies me, to time dekha hi nahi...
Wo Mansi ke bagal me beth te hue kehti he.
Break ke dauran Diksha, Mansi or Sakshi kafi frankly baate kar rahi thi, lekin Kavita ko is se kafi jalan ho rahi thi, wo ghar se phone ane ka bahan bana kar waha se chali jati he. Lekin uski jalan or badh jati he jab Diksha or Mansi me se koi bhi use rukne ke liye force nahi karta.
Aksh: okay Uncle... Mujhe ab nikalna chahiye... Sakshi ka college bass chuttne hi wala hoga....
Aman: okay then.... Or ghar bhi ana...
Aksh: ji zarur....
Fir Aksh Aman se ijazat le kar nikal jata he Sakshi ko lene.
Aman(mann me): ab kya hoga? Kaha me soch raha tha ke Mansi ki mulakat Aksh ya uski behen se na ho, lekin yaha to....... Mujhe kuch karna hoga, in sab me sirf Mansi hi nahi, Aksh or Sakshi ko bhi khatra he..... Bhale hi Aksh se meri koi Deal na hui thi, lekin wo or uska pariwar begunah he... Isme unlogo ka koi kasur nahi he.... Ye raaz meri aakhri saas takk sirf mere bhitar hi rahega.... Kyu ke iske samne ane me sirf khun hi khun bahega.... Hey bhagwaan, aapse haath jod kar bhik mangta hu ke in sab baccho ko sahi salamat rakhna..... Bhale meri jaan chali jaye lekin.... Lekin in sabko kuch matt hone dena.....
Aman kafi gehri soch me apni aakho se asu baha raha tha. Ab shayad usne waqt ke hisab se hi chalna behtar samajh liya tha. Kyu ke jitna wo is situation ko thik karne jayega, utna hi mushkile badhti jane wali thi.
Waha College ki chutti ho gayi thi, Mansi or Sakshi parking takk agayi thi.
Mansi: chalo Sakshi me tumhe ghar drop kar deti hu...
Sakshi: are nahi... Tun kyu pareshan ho rahi ho? Aksh ka message aya tha, wo bass kuch hi der me araha he...
Mansi: okay then... Me rukti hu tabtak yaha...
Sakshi: Mansi please tum chali jao....
Mansi: lekin...
Sakshi: Mansi har baar tumhari mann mani nahi chalegi... Meri bhi baate suna karo....
Wo Mansi ko bich me kaat te hu kehti he.
Mansi: Okay My Hottie.... Jesa tum kaho.....
Wo Sakshi ki butt par haath marte hue kehti he.
Sakshi: Mansi tum na sabse pehle ye harkat band karo, or mujhe he Hottie bolna band karo....
Wo gusse me Mansi ko aakhe dikhate hue kehti he.
Mansi: ye to possible nahi he.... Meri harkate koi bhi rok nahi sakta, Samajhi? Kal milte he....
Fir Mansi apni gadi me bethkar nikal jati he, uske jane ke kuch minutes baad hi Aksh waha ajata he. Sakshi uske saath bethkar chali jati he.
Sakshi: accha Aksh.... Market se hokar lena, kuch saman lena he mujhe....
Lekin Aksh ka dhyan uski baat par nahi tha.
Sakshi: Aksh... Kaha kho gaya tu?
Wo Aksh ke khande par haath rakh kar use hilate hue kehti he. Fir Aksh ise Aman se milne wali baat bata deta he, jis se Sakshi bhi heran si reh gayi thi. Lekin use ek baat ka accha laga ke dono me koi anbann nahi he.
Thodi der baad dono market pahoch gaye the, or har bari ki tarah aaj bhi Aksh ne sara saman pakad liya tha. Sakshi use hazar baar kehti ke uske paas bhi kuch saman de de. Lekin Aksh nahi manta.
Khair.... Raat ho chali thi, har roz ki tarah aaj bhi Sakshi Aksh ke saath hi uske kamre me Aksh se lipat kar gehri nind me soyi thi.
To bass yahi tha Aaj ka Update, ek Raaz... Or us se judi ye kahani... Akhir ye kis disha me mod lene wali thi? Akhir kya baat thi jo Aman apni jaan dene ke liye bhi tayar tha, lekin us raaz ko samne nahi lana chahta tha? Ab ye to ane wala waqt hi batayega.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Bhai thoda fast update do na...waiting nahi ho raha...bahat hi interesting story hai bhai
Update kb aayega bro
Behad hi shanadar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.
Raaz to kuchh khula nahi balki or bhi suspense badh gaya.
Khair , bahut hi behtreen or pyara update tha yaara.
Mazaaaa aa gaya bhai waah....
Waiting bro
Ye hum nahi bata sakte.... Or aise sare aam Writer ko badnam karna very bad....Main nahi balki writer sahab support karing kiran urf budhiya ko..
Kuch to hai in dono ke darmiyan
ab kya hai ye to writer sahab hi bata sakte hai