Chapter 2 - The Journey
Update 20
Mega Update
Word Count: 3520
Estimated Reading Time: 00:17:00
Ye tha 80s ka dashak, Bhopal me ek janleva hadsa hua tha, darasal sheher ki ek Factory me Gas leak ho chuki thi, jiske chalte hazaro logo ne apni jaan gava di thi. Is waqt 3 log ek sunsan ilake me khade the, unme se 2 log umar se bade the, or ek 6 saal ka baccha tha.
"Bahot badi kimat chukani hogi is galati ki, koi nahi bachega, koi bhi nahi....."
Ek Aadmi apni num aakho se apne samne khade aadmi ko keh raha tha.
"Hahaha..... Kyu bakwas kar rahe ho? Aaj 2 saal se zyada ho gaye, lekin abtak me sahi salamat hu...."
Samne khada aadmi uska mazak udate hue uspar hass raha tha.
"Hahaha..... Aise kese? Is galati ki saza yu kuch salo me nahi milegi, 42 saal...... 42 saal baad dekhna, jinke liye ye sab tum kar rahe ho na, sabki saase tham kar rahegi...... Tum to shayad wo sab dekhne ke liye is duniya me nahi rahoge, lekin ye ladka.... Ye ladka wo sab apni aakho ke samne dekhega......"
Wo aadmi samne khade aadmi ke bacche ki taraf ishara karte hue kehta he, wo baccha is se kafi darr sa gaya tha, or wo apne baap ki piche chupne lagta he.
"Me tumhari in khokli dhamkiyo se darne wala nahi hu, or jo kuch mene tumhare saath kiya tha, shayad wo bilkul sahi tha... kyu ke Tum jese darinde ke saath... Ahhhhhhhh"
suddenly Aman apni nind se jaag jata he, lekin uska to chehra pasine se tarr batar ho raha tha, uski saase kafi tez ho chuki thi. Jo kuch abhi dikh raha tha wo Aman ke sapne me tha, ab ye sapna akhir kehna kya chahta tha, wo to shayad khud bhagwaan janta ho. Khair... Aman uthkar pani ko apne sukhe pade gale ke niche utarne lagta he. Aman kafi der takk sone ki koshish kar chuka tha, lekin jo kuch abhi usne dekha, us se Aman ki nind udd chuki thi.
•
•
•
•
•
•
•
•
•
Waqt kafi tezi se beet raha tha, din par din nikalte ja rahe the, or baat kare Sakshi ki to uske dil me Aksh ke liye pyaar hadd se zyada badhte ja raha tha. Wo ab kafi hadd takk Aksh se khul chuki thi, uski baate, uska behavior Aksh ke liye ek behen se alag ho gaya tha. Wahi baat kare Aksh ki to wo bhi kisi alag hi disha me chal pada tha. Uski feelings Mansi ke liye kafi possessive hote ja rahi thi. Wahi Mansi to Aksh ke saath bilkul ghul mil chuki thi. Use bhi Aksh ke saath rehna, baat karna accha lagta tha, Aksh ne ab soch liya tha ke wo jald hi Mansi ko apne dil ki baat bata dega. Wahi Sakshi ne bhi soch liya tha ke wo bhi apne pyaar ka izhar Aksh se jald se jald kar hi degi.
Dusri taraf Aman apni taraf se ji jaan laga raha tha us Raaz ko nist nabud karne ki. Lekin jitna wo situation ko thik karne jata, utna hi Situation or bhi zyada bigadne lagi thi. Waise to ab Aman ke mann me Aksh ke liye koi gussa ya nafrat nahi thi, saath saath ab Aksh or Aman ki baatchit hote rehti thi, Sakshi or Aksh jese Virani Family ka ek hissa bante ja rahe the. Humesha unka ghar ana jana lag rehta tha. Aman Mansi or Aksh ke bich arahi nazdekiya dekh chuka tha, lekin wo janta tha ke Mansi to in sab chakkaro me nahi padegi, lekin Aksh se uski dosti Aman ki chinta badhaye ja rahi thi.
Aksh ki AI Manufacturing Facility bann kar tayar ho chuki thi, Aksh ne is system me thode badlav kar ke waha ek GPS tracking bhi add karva di thi. Ab in System ka manufacture shuru ho chuka tha. First batch sirf 2 dino me bann kar tayar hone wali thi. Aksh ab wahi zyada tar waqt guzarne laga tha. Uske saath Mansi ko jab bhi moka milta wo bhi Aksh ke saath ajati thi. Lekin Aksh ki feelings se bekhabar Sakshi to thann kar bethi thi ke wo ab kuch hi dino baad Aksh se apne pyaar ka izhar kar ke rahegi.
Wahi college me ab Mansi me Kavita se baat karna kafi kam kar diya tha, or wo Zyadatar Sakshi ke saath hi rehna pasand karti thi, jis wajah se Kavita ko Sakshi par bahot zyada gussa araha tha, usne or Shahid ne milkar tay kar liya tha ke pehle is Sakshi ko raste se hatana hoga.
Ab Aksh or Sakshi Surat me rehte 1 mahine se ho gaya tha. Wo dono Mumbai Radha or Santosh se milne jane wale the, lekin Santosh or Radha ne un dono ko mana kar diya ye kehkar ke wahi log Surat ana chahte he. Fir yahi tay ho jata he, Santosh ne dono ko surprise dena tha, isliye unhone Sakshi or Aksh ko galat tarikh bata di ane ki. Or wo uske 2 din pehle hi ane wale the.
Aaj tha Sunday, har koi aram se bina kisi kaam ki tension liye apne bistar me soya hua tha. Is waqt Sakshi or Aksh ek dusre ki baho me jakde so rahe the. Sabse pehle Sakshi ki aakh khul jati he, aakhe khulte hi usne apne aap ko har roz ki tarah Aksh ki baho me jakda paya.
Sakshi(mann me): hmm..... Aksh, ab dekhna.... Kuch hi dino me mera tujhpar pura haqq hoga.... Tabb me bina kisi darr ke tujhpar apna pyaar nisar karungi.... Me janti hu tu maan jayega.... Tujhe maan na hi padega... Uske baad hum fir se Mumbai chale jayenge.... or dekhna.... Me Khud Aai Baba se humare is rishte ke bare me bata dungi.... Wo hum par gussa karenge, shayad ye gussa kafi aage bhi badh jaye... Lekin me nahi reh sakti tere bina.... Mene kabhi nahi socha tha ke me tujhse Aai Baba se badhkar pyaar karne lagg jaungi.... Me janti hu ke me bahot zyada galat kar rahi hu, lekin kayi baar kisi insan ki jaan is Galat se kayi zyada upar ho jati he... Kyu ke agar mujhe tu hasil nahi hua, to meri jaan hi chali jayegi... Or kya tu mujhe aise marte hue dekh payega? Nahi na? To Hum dono ki bhalayi isi me he ke hum ek dusre ko isi rishte me accept kar le.... Kyu ke me janti hu jese me tere bina nahi ji paungi, thik usi tarah tu bhi mere bagair nahi reh pata.... Hum dono ki khushi bass ek dusre se hi judi hui he.... Please Aksh, please tu ye sab baate samajh jana....
Sakshi Aksh ko kas kar apne aap se hi baate kare ja rahi thi, or is apsi bato me Sakshi apne asuo ko rok nahi pati or bass Aksh se lipte hue rone lagti he. Jabb use Aksh ki halchal mehsus hoti he to wo jhatt se Aksh se alag ho kar dusri taraf chehra kar ke chadar apne upar odh leti he. Aksh piche se hi Sakshi ko kass kar apni baho bhar leta he, is se Sakshi ki sari taklife ek pal me hawa ho gayi, or wo bass is lamhe ko apni yado me sametne lagti he.
Subah ke kareeb 10 baje hue the, Aksh or Sakshi ne breakfast kar liya tha or dono is waqt apne backyard me bethe hue the.
Aksh: chal Sakshi kahi ghum kar ate he.....
Sakshi: ghum kar? Lekin kaha?
Aksh: yaar bass aise hi bahar nikal jayenge.... Rasta chalte chalte mil hi jayega....
Sakshi: accha? Thik he.... Ab tu keh raha he to... Chalte he...
Aksh: okay... Me Mansi ko bhi call kar deta hu....
Sakshi: thik he...
Fir Sakshi uthkar apne kamre me jane lagti he or Aksh apna phone nikal kar Mansi ko call karne ko hota he ke tabhi Sakshi wahi ruk jati he.
Sakshi: waise ek baat to bata Aksh.....
Aksh: konsi baat?
Wo apni nazre mobile par gadhaye kehta he.
Sakshi: aaj kal Mansi ke saath kuch zyada milna julna ho raha he tera? Kya chakkar he ye?
Wo apne mann ki uljhan ko Aksh se puchti he. Jispar Aksh hadbada jata he.
Aksh: n.... Nahi.... To.... Wo to... Wo to bass... Tum dono.. itni acchi dost ho to.....
Sakshi: thik he... tu kehta he to maan leti hu...
Wo kuch rukhe swar me kehti he.
Fir Aksh ne Mansi ko call kar diya.
Mansi: Good Morning Aksh.....
Uski utsukta bhari mithi awaz sunkar Aksh ka chehra muskurahat se khil jata he.
Mansi: Hello.... Aksh are you there?
Aksh: ha.... Ha... Mansi kaho....
Mansi: what..... Tumne call kiya na? To fir tum kaho...
Aksh: ohh... Ha... Darasal wo... Me or Sakshi kahi ghumne jane ka soch rahe the, to mene yahi puchne ke liye call kiya tha ke kya tum free ho?
Mansi: ahh.... Aksh I'm sorry, lekin me aaj nahi asakti, darasal me apni friend ke saath bahar ayi hui thi....
Aksh: ohh... It's okay... Koi baat nahi...
Mansi: again Sorry Aksh, or Sakshi ko bhi meri taraf se sorry keh dena...
Aksh: are isme sorry kehne wali konsi baat he? Enjoy your day.... Bye..
Mansi: Bye....
Ab Mansi ke na ane se Aksh ka mood thoda sa off ho gaya tha.
Aksh: kya yaar? Mansi bhi saath hoti to or bhi zyada maza aya hota... Khair.... Sakshi he na.... Half Girlf.....
Wo muskurate hue apne aap se kehta he, lekin jese hi use ehsas hota he ke wo kya keh raha he to uski bolti band ho jati he.
Aksh: Ahhh.... Fuck.... Ye kya gandi soch ho rahi he meri?
Wo apne sar pe marte hue kehta he or ghar ke andar ajata he.
Waha Mansi Diksha ke saath thi, jab wo call kaat kar rakh deti he, to Diksha use muskurate hue ghure ja rahi thi.
Mansi: kya hua? Aise ghur kyu rahi ho?
Diksha: ek baat to batao Mansi.... Akhir te chakkar kya he?
Mansi: chakkar? Kesa chakkar?
Diksha: aaj kal tum Sakshi ke Bhai ke saath bahot nazar arahi ho, baat kya he?
Mansi: bass aise hi.... Me Aksh ke saath uski company me jati rehti hu, tum janti ho na mujhe Business karna kitna pasand he....
Diksha: sirf Business hi pasand he na? Ya fir uske saath saath Aksh bhi pasand ane laga he tumhe?
Wo Mansi ko tease karne ke liye kehti he, lekin is se Mansi ke chehre par sharm ke bhav ajate he.
Mansi: ye..... Ye... Tum kya.... Kya keh rahi ho Diksha?
Wo apni nazre Diksha se churate hue kehti he.
Diksha: OMG dekho to kese sharma rahi ho tum.... Matlab meri baat sach nikli, he na?
Mansi: nahi... Aisi... Aisi koi bhi baat nahi he...
Diksha: ab mujhse kyu baat chupane lagi Mansi tum? Bata bhi dona Sach kya he....
Mansi: dekho Diksha.... Ab sach kahu to.... to mujhe Aksh ke saath rehna accha lagta he... uske saath baate karna, apna waqt bitana mujhe accha lagta he... Lekin.....
Diksha: lekin kya Mansi? Iska matlab tumhe Aksh se pyaar ho gaya he...
Mansi: Nahi Diksha, ye nahi ho sakta....
Diksha: kyu nahi ho sakta?
Mansi: Diksha mujhe bass business par dhyan dena he, na ki is pyaar vyaar ke chakkar me pad kar sabkuch bigad dena he....
Diksha: c'mon yaar Mansi.... Ye na tumne apne mann me baat bana li he ke pyaar vyaar sab dhoka he... Aisa nahi he yaar....
Mansi: aisa hi he Diksha.... Tum dekhti nahi in couples ko, inki harkate dekh kar mujhe to bilkul mann nahi pyaar ke chakkar me padne ka....
Diksha: lekin Mansi tumhare or Aksh me aisa kuch nahi hoga.... Kyu ke wo bhi to khud business karta he na.... Ulta tum dono ki soch bilkul milti he... Ab batao...
Ab Mansi ki bolti band ho gayi thi, use ab kuch samajh nahi raha tha.
Diksha: dekho Mansi zyada socho matt.... Yahi sacchayi he, or tumhe ise maan na hi hoga....
Mansi: lekin Aksh...... Kya Aksh ke bhi dil me mere liye koi feeling hogi?
Diksha: ab ye to tumhe khud hi pata karna hoga....
Fir Mansi kuch soch me padd jati he. Use ab bhi samajh nahi raha tha ke use kya karna chahiye. Kyu ke wo bhi janti thi ke is pyaar ne kayi sari zindagiya barbad ki he, to kayi sari zindagiya sawar bhi di he.
Yaha Sakshi tayar ho kar agayi thi, dono bass ghar se nikalne hi wale the ke tabhi Doorbell bajti he. Sakshi ja kar darwaza kholti he to samne Santosh or Radha khade the. Dono ko dekha kar Sakshi ke hosh ud jate he, wo fatt se dono ke gale milti he. Fir waha Aksh bhi ajata he. Wo bhi Santosh or Radha ko dekh kar bahot khush tha.
Sakshi: Aai Baba..... Aap to 2 din baad ane wale the na?
Radha: wo to humne jhut kaha tha, surprise jo dena tha dono ko....
Wo Aksh or Sakshi ke sar pe haath ferte hue kehti he. Lekin tabb Radha gaur se Sakshi ka dress dekhti he, jo ke uske ghuto takk araha tha.
Radha: kya baat he Sakshi? Yaha akar to tune apne kapde pehen ne tarika hi badal diya.....
Uski baat pat Sakshi apna nazre nichi kar leti he.
Santosh: are koi baat nahi.... Acchi to lagg rahi he ye...
Radha: to me konsa mana kar rahi hu? Sach me Sakshi Bahot hi zyada acchi lagg rahi he tu....
Wo Sakshi ka matha chumte hue kehti he.
Aksh: aap dono andar to ayiye..... Badme dekh lena aapki Khubsurat beti ko....
Fir wo charo andar akar baate karne lagte he, Aksh or Sakshi to itne waqt baad Santosh or Radha se milkar bahot khush the.
Yaha Rana akela ek kamre me dakhil ho jata he, us kamre me sirf or sirf calendar lage hue the, jo ke pichle 40 saalo se yaha the. Un sab calendar par har din pe red Marker se cross kiya hua tha. Waha ab 2 calendar aise the jo pure bhare nahi the, jo ek calendar tha wo kareeb kareeb bhar hi gaya tha un crosses se. Or jo ek akhri calendar tha uspar abhi tak koi cross nahi tha. Rana akar us aadhe bhare hue calendar par aaj ke din par cross maar deta he.
Rana is waqt waqt bahot hi gusse tha, uski aakhe mano gusse se laal ho gayi thi.
Rana: bass dedh saal..... dedh Saal bache he.... Tabb ja kar wo badla pura hoga.... Kisi ko zinda nahi rakhunga me.... Kisi ko nahi....
Fir Rana waha bane ek kamre me chala jata he, jaha ek 80 saal ke Buzurg bed par soye hue the. Rana unke paas bethkar unke sar pe haath ferta he.
Rana: Bauji..... Bauji....
To jo Buzurg yaha soye the wo the Rana ke pita "Mahendra Pratap Rana"
Apne bete ki awaz sunkar Mahendra Rana ki aakhe khul jati he, or wo uthkar bethne lagta he, Rana use uthkar bethne ke liye madat karta he.
Rana: Bauji.... Khana kha lijiye....
Wo paas me padi plate ko apne haath le kar niwala M. Rana ke aage karte hue kehta he. Kyu ke Mahendra Pratap Rana ki ab kafi umar ho gayi thi, to Rana use khana khila deta he. Khane ke baad Rana ne use firse bed par lita diya. Or jab wo waha se jane laga to M.P. Rana ne uska haath pakad liya. Rana piche mudkar use dekhne lagta he.
M. Rana: a...... Apn.... apne andar... Ki... Aag... Aag ko... Bhujne matt.. dena....
Wo apni ladkhati awaz me kehta he.
Rana: bilkul nahi... Ye aag to tabhi bujhegi jab wo Badla pura hoga....
Wo M.P. Rana ka haath pakad kar kehta he, or waha se chala jata he.
Waha ghar pe sablog khush the, Sakshi ne Mansi ko bhi Santosh or Radha se milne bula liya tha. Mansi bhi Diksha se kehkar Sakshi ke ghar ane ke liye nikal jati he. Kuch der baad Mansi waha agayi thi.
Mansi: Namaste Uncle Aunty.....
Wo andar akar Radha or Santosh ke pair chute hue kehti he.
Sakshi: Aai.. baba... Ye meri sabse acchi dost he, Mansi.....
Mansi: hmm... Sakshi apne parents ke samne yahi kapde pehen liye?
Wo Sakshi ka dress dekh kar kehti he. Darasal Sakshi ne apna dress change kar liya tha or waise hi kapde pehen liye jo wo Mumbai me rehkar pehen rahi thi, kyu ke use Radha or Santosh ke samne aise kapdo me accha nahi lagg raha tha.
Mansi: Uncle... Aunty, you know aapki beti itni acchi lagti he modern kapdo me ke me kya hi batau? Shayad aap dono ki wajah se isne firse aise kapde pehen liye...
Wo Radha ke paas bethkar kehti he.
Radha: are beta humne subah hi dekha Sakshi ko un kapdo me... Sach me acchi lagti he wo....or tum bhi bahot Khubsurat ho.....
Wo Mansi ke sar pe haath ferte hue kehti he.
Kafi der takk sablog apas me baat kar rahe the. Aaj Mansi ne Aksh se zyada baat hi nahi ki thi.
Khair... Waha Kavita or Shahid uske ghar pe the.
Kavita: Shahid, humara kaam bigadta ja raha he... Us Sakshi ki wajah se Mansi to ab mujhse bhi zyada baat nahi kar rahi he...
Shahid: is Sakshi ne bich me akar sara khel hi bigad diya....
Kavita: mujhe lagta he sabse pehle is ladki ko hi sabak sikhana hoga....
Shahid: or wo kese....
Kavita: me janti hu uske saath kya karna he....
Wo kafi gehrayi se sochte hue kehti he.
Shahid: mujhe bhi batao kya karna he?
Fir Kavita Shahid ko apna plan samjha deti he. Jo sunkar Shahid ke chehre par shaitani hasi ajati he.
Shahid: bahot badhiya plan he ye to...
Kavita: sahi kaha.... Kayi baar badnami hi insan ki jaan le sakti he.... Ab bass dekhna Sakshi, tumhare saath kya karti hu me....
Radha or Santosh 2 din yahi rehne wale the, Aksh unhe pura Surat ghuma deta he, Mansi bhi har baar unke saath thi, usne bhi Radha or Santosh ko apne ghar walo se milaya tha. In short har kisi ki zindagi bass khushiyo se bhari hui thi. Or in khushiyo ke bich ye din kese nikal gaye pata hi nahi chala. Aaj Santosh or Radha bhi Mumbai wapis chale gaye the. Aksh ki Company me us AI ki First Batch bann kar tayar ho chuki thi. Aaj se har roz ek batch Manufacture honi thi. Waha Gujrat ke CM ke dwara har Transport Vehicles me ye machine lagana Anivarya bann chuka tha, waise Publicly is machine ko bass kuch Data Etc. Ke liye use karne ki baat thi. Lekin asliyat sirf CBI CM or Aksh jante the.
Aaj ka din sabke liye bahot busy tha, Aksh Gandhinagar, CBI Headquarter me Abhinav ke saath hi tha. Aaj hazaro Transport Vehicles me in machine ko fit kiya ja chuka tha. Gujrat ke har Transport Vehicles me is system ke lagne me kareeb hafta 2 hafta lagg jana tha.
Waha college me Shahid ek Teacher se kuch baat kar raha tha, or Shahid ki baat sunkar Teacher ghabra jata he.
Teacher: l.... Lekin in sab me to.. Me khud fass jaunga... Meri bhi to badnami hogi.... Upar se job chali jayegi uska kya?
Shahid: hmm... Yaha salary kitni he Sir ji aapko?
Teacher: 70,000
Shahid: thik he.... aapko is se bhi bade college me nokri dilva dunga... Or salary 90,000 plus dilwa dunga.... Ab kaho....
Ab aisi deal sunkar Teacher soch me padd jata he.
Shahid: soch lijiye.... Izzat se badhkar Paisa bhi he, or waise bhi agar aap ye nahi karte to yaha aapka rehna mushkil ho jayega....
Shahid ki sidhi sidhi dhamki sunkar Teacher kya karta, or waise bhi paiso ka lalach to insan se har chiz karwa sakta he.
Teacher: thik he.... Lekin, in sabme agar Police ayi to.....
Shahid: uski chinta aap na kare.... Bass jesa mene kaha he wahi hona chahiye...
Teacher: thik he.....
Fir Shahid waha se bahar ajata he. Or Kavita ko call kar ke ye sab bata deta he.
Shahid(mann me): ab maza ayega..... aise khel khelne me bahot maza ata he.... Hahahah
To Be Continued......
To aaj ke Update me bass itna hi, aaj humne dekha kese Mansi ke dil me bhi koi na koi feeling thi, jise wo shayad maan na nahi chahti thi. jaha Aksh ne thaan liya tha ke wo Mansi ko kuch hi dino me Propose karega to Wahi Sakshi bhi mann hi mann soch bethi thi ke wo bhi jald hi Aksh se apne pyaar ka izhar kar degi. Lekin sabse badi baat to wo raaz hi he, akhir Aman ke sapne me aya wo pal kya darshana chahta tha? Or Rana ka is raaz me kya haath tha? Uske Baap ne aisi konsi Aag ki baat ki jo bhujni nahi chahiye? Ab in sabka jawab to waqt ane par hi milega.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Dumdar update tha dost
aman aur rana k raaz ki halki hi sahi par todi to jhalakh dekhne ko mile aur scene tho ek dum bole tho terrifying tha
. khair, is raaz per se parada tho uut hi jayega, lekin jo sakshi k dil mein chal rahi halchal us ka samadhan kab aayega ya fir aayega hi nahi kahi mansi aksh ko uuda kar legayi tho sakshi ka kya hoga???soch kar bura lag raha...!!!!
Khair yeh tho aane wale updates mein pata lag hi jayega...
Shahid aur kavita yeh dono ie kahani ko nahi disha mein modne wale hai...ab kya likha hai sakshi ki kismat yeh thi annewale updates mein hi pata chalega. Till then
Waiting.....