Akki ❸❸❸
ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
- 26,799
- 31,026
- 304
Chapter 2 - The Journey
Update 25
Mega Update
Word Count: 6501
Estimated Reading Time: 00:35:00
Subah 9 baje ke kareeb Aksh ki aakh khul jati he, is waqt Mansi Aksh se lipte chain ki nind so rahi thi. Aksh pyaar se Mansi ke gaal puskar kar uske mathe par kiss kar deta he. Aksh uthkar pehle Mansi ke upar chadar daal deta he, or khud t-shirt pehen kar apna mobile dekhta he, or tabhi use yaad aya ke kal raat kisi ka call aya tha, tabb usne call list check kari to paya call Sakshi ka tha. Lekin use yaad tha ke Mansi ne to call kaat diya tha, lekin waha to kuch or hi masla tha, Aksh dekhta he ke call pick hua tha.
Aksh (mann me): Sakshi ka call, wo bhi itni raat ko? Or Mansi ne to call cut kar diya tha, shayad galati se call pick ho gaya hoga... Ahhh... Shit, agar Sakshi ne kuch suna hoga to.... To wo kya soch rahi hogi.... Yaar, ye kya ho gaya.... Chalo pehle use hi call kar deta hu...
Fir Aksh Sakshi ke mobile par call kar deta he, lekin uska phone switch off tha, tabb usne Radha ko call kar diya.
Radha: ha Aksh beta bol.....
Aksh: Aai Sakshi jagi he kya?
Radha: nahi wo to so rahi he... Kyu kya hua?
Aksh: darasal raat ko uska call aya tha, lekin me utha nahi paya, abhi call kiya use to uska phone band he...
Radha: pata nahi, koi zaruri kaam he to jaga du use?
Aksh: nahi nahi Aai.... Use sone do, bass use bata dena call karne ke liye....
Radha: thik he beta, bata dungi....
Aksh: okay....
Fir Aksh call kaat kar fresh hone chala jata, jab wo naha kar bahar aya to Mansi ab bhi so rahi thi, usne Mansi ko jagana thik nahi samjha or kitchen me ja kar Breakfast ki tayari me lagg gaya. Jabtak Aksh kitchen me tha, tabb Mansi ki bhi aakh khul jati he, wo bahar akar Aksh ke paas chali jati he.
Mansi: Good Aksh....
Wo Aksh ko piche se Hug karte hue kehti he.
Aksh: Good Morning meri jaan..... Kyu uth gayi? Thodi der so leti....
Wo piche mud kar Mansi ka matha chumte hue kehta he.
Mansi: nahi ab mujhe meri sari adate badalni padegi na....
Aksh: or wo kyu?
Mansi: are pagal, warna tumhari Aai kahengi ke kitni Aalsi bahu ghar le kar agaya mera beta....
Aksh: aisi koi bhi baat nahi he.... Koi adate badalne ki zarurat nahi he tumhe.... Tum jesi ho, mujhe waise hi pasand ho.....
Wo Mansi ka chehra apne haatho me thamkar kehta he, Mansi bass muskurate hue uski baat me hami bharti he, or apne pero se thoda upar uth kar Aksh ko kiss kar deti he.
Aksh: ab kya Subah Subah shuru hona he tumhe? Jao, jakar fresh ho jao, me bass Breakfast le kar aya....
Mansi: Okay....
Fit Mansi ja kar fresh ho jati he.
Kuch der baad Aksh or Mansi apne Backyard me bethkar Breakfast kar rahe the.
Aksh: waise Mansi tumhe pata he kal raat kiska call aya tha mere phone par?
Mansi: nahi to.... Kyu kiska tha?
Aksh: pagal wo Sakshi ka call tha... Or tumne call disconnect karne ke bajaye call pick kar liya tha....
Mansi: ohh... Wo mene jaldi jaldi me galati kar di....
Aksh: ab humari awaze to usne zarur sunn li hogi, pata nahi wo kya soch rahi hogi mere bare me....
Mansi: c'mon Aksh.... Just Relax, Sakshi bacchi nahi he jo wo ye sab nahi samajh paye....
Aksh: i know but still.....
Mansi: bass ab chup chap Breakfast kar lo, fir hume ghar bhi to jana he, Mom ne bulaya he tumhe...
Aksh: Okay....
Waha Radha Sakshi ko jagane ke liye uske kamre me chali jati he.
Radha: Sakshi.... Beta uth ja, kitna soyegi? Time dekh, suraj sar pe ane laga he....
Uski awaz sunkar Sakshi ki kacchi nind tut jati he, lekin uska sar to mano dard ke mare fate ja raha tha, wo bed par uthkar beth jati he or apna sar pakad leti he.
Radha: kya hua Sakshi?
Sakshi: Aai..... Me.... Mera, Mera Sar bahot dard kar raha he.....
Wo Radha ki god me apna sar rakh kar kehti he or zoro se rone lagti he, use is tarah se rota dekh kar Radha kafi ghabra gayi thi.
Radha: Sakshi tu ro kyu rahi he...
Sakshi: mera Sar bahot dard kar raha he Aai, bahot hi zyada.....
Ab wo Radha ko kese bataye ke jitna dard uske sar me he, us se anginat dard uske dil me he.
Radha: Ruk me abhi Doctor ko call kar ke bula leti hu....
Sakshi: Aai please Tum to matt jao mujhe akela chhod kar.....
Wo Radha ka haath kas kar pakadte hue kehti he.
Radha: Bavlat, me kaha ja rahi hu tujhe chhod kar? Me bass Doctor ko call kar ke bula rahi hu....
Fir Radha bahar akar Doctor ko call kar deti he. Or ja kr Sakshi ka sar dabane lagti he. Kuch der baad waha Doctor bhi ajata he. Doctor Sakshi ko check kar raha tha, or use dekhte hi Doctor samajh jata he ke Sakshi kitni kamzor ho gayi he.
Doctor: tumne kal se khana khaya bhi he ya nahi? Agar aise khana skip karogi to tabiyat bigad hi jayegi na?
Fir Doctor Sakshi ko Clinic le jane ke liye kehta he, kyu ke Sakshi me zyada takat nahi thi, to use waha ja kar saline chadhani thi. Fir Radha or Sakshi Doctor ki hi gadi me Hospital nikal jate he.
Waha Aksh sirf Sakshi ke call ka intezar kar raha tha, usme firse Sakshi ke phone par call kiya to wo ab bhi band hi tha, to wo Radha ko call kar deta he. Is waqt Radha hospital bed par Sakshi ke paas bethi hui thi.
Radha: ha Aksh.....
Aksh: Aai Sakshi abtak jagi nahi?
Radha: beta darasal me abhi Sakshi ko le kar hospital ayi hu....
Uske muh se Hospital ka naam sunkar Aksh ki to dhadkane hi tez ho jati he.
Aksh: Hospital? Kyu, k..... Kya hua Sakshi ko?
Radha: darasal uska sar bahot zyada dard kar raha tha, to mene doctor ko bula liya... To unhone kaha ke ise kamzori dur karne ke liye saline lagani padegi....
Aksh: aise kese tabiyat kharab ho gayi uski.... Me... Me thodi der me araha hu waha.....
Radha: Aksh tu kyu pareshan ho raha, yaha ane ki zarurat nahi he.... Sakshi ko ab kuch hadd takk thik lagg raha he.... Or....
Wo is se aage kuch bolti ke Sakshi Radha ke haath se phone le leti he.
Sakshi: Aksh meri baat sunn.... Me ab thik mehsus kar rahi hu....
Aksh: lekin Sakshi ye kya? Tu aise suddenly.....
Sakshi: are wo kal me apni Dosto ke saath gayi thi, or kal mujhe kafi thakan lagg rahi thi, shayad usi wajah se ye sab hua he... Lekin tu chinta matt kar.... Me ab kafi accha feel kar rahi hu....
Aksh: lekin tujhe mere waha ane se koi dikkat he kya?
Sakshi: aisi baat nahi he.... Lekin tu kyu apna sab kaam chhod kar yaha ana chahta he?
Aksh: yaar kaam zaruri nahi he.... Or....
Sakshi: Aksh tujhe meri kasam he, tu chup chap wahi ruk ja.... Yaha ane ki zarurat nahi he... Aai he na yaha par, or waise bhi me ab kafi hadd takk thik ho gayi hu....
Aksh: yaar Sakshi tu..... Or tune kal raat call kyu kiya tha?
Ab kal raat ki baat yaad ate hi Sakshi ke samne bass kuch manzar ane lagte he.
Aksh: hello.... Sakshi...
Sakshi: ha.... Ha.... Wo to mene bass aise hi call kiya tha, lekin jese hi mene tujhe call lagayi to mera phone niche gir kar tut hi gaya....
Aksh: accha thik he.... Or apna khayal rakhna.... Me firse call karta hu tujhe....
Sakshi: Okay.....
Or uske baad Aksh call kaat deta he. Lekin ab usma mood bilkul off ho chuka tha.
Mansi: kya hua Aksh? Sakshi thik he na?
Aksh: ha wo bass uska sar dard kar raha tha, or weakness ayi hui thi....
Mansi: okay.... Lekin tumhe kya ho gaya? Chehra kyu latka liya tumne?
Aksh: kuch nahi.... Bass Sakshi ki fikar ho rahi thi....
Mansi: don't worry..... Wo jald hi thik ho jayegi.... And i think Sakshi jabtak puri tarah se thik nahi ho jati, use Uncle Aunty ke paas hi rehne dena chahiye.... What you think?
Aksh: thik kaha tumne.... Me badme Aai se baat kar lunga...
Mansi: to ab chale?
Aksh: chalo....
Fir wo dono milkar Mansi ke ghar chale jate he. Waha ja kar Kiran, Mansi or Aksh saath Beth kar baate kar rahe the. Or tabhi Kiran ko Aksh ke haath par Nakhun ke nishan dikhayi dete he.
Kiran: Aksh ye tumhare haath par Nakhun ke nishan.....
Uski baat sunkar Aksh or Mansi, dono ke tote udd jate he, kyu ke kal raat josh josh me Mansi ne Aksh ke pure sharir par Nakhun dhasa diye the.
Aksh: na..... Nahi.... Wo to.... Wo to... Ahh... Wo macchar ne kaat liya he.....
Kiran: kya? Matlab 3-4 Macchar aise bilkul shape me aye the kaatne?
Aksh: actually....
Wo is se aage kuch kehta ke tabhi Aksh ko ek zaruri call ajata he.
Aksh: Aunty ab mujhe jana hoga... Actually aaj ek important kaam he mujhe....
Kiran: okay Aksh, or ha.... Jabtak Sakshi nahi ati, tum Breakfast, Lunch, Dinner... Sab yahi karoge....
Aksh: iski kya....
Kiran: mene kaha na...
Aksh: accha thik he.... Me chalta hu....
Fir Aksh waha se apne Facility par chala jata he.
Kiran: Btw Mansi, mujhe laga nahi tha tum aise sahi salamat chalti ghar aaogi....
Wo shararati lehze me Mansi ko aakh marte hue kehti he, lekin uski baat se Mansi ka muh khula ka khula reh gaya tha.
Mansi: Mom.... Ye kya....
Kiran: kuch galat keh diya kya mene? Ab tumne Aksh ko chott di to mujhe laga......
Mansi: me ja rahi hu.... aap kuch bhi bolti rehti ho.... Bye...
Or wo ye kehte hue upar apne kamre me bhagne lagti he.
Kiran: are Mansi..... ruko to....
Aise hi hasi mazak ka mahol yaha bana hua tha.
Waha Aksh apni Facility par pahoch gaya tha, aaj is System ka naya batch bann kar tayar ho gaya tha. Aksh un sabko Trucks me Load karwa kar rawana kar deta he, or khud agli flight pakad kar Surat pahoch jata he.
Abhinav: waqayi Aksh.... Tumhara ye idea behadd kamal kar raha he.... Bass kuch hi dino me hume kafi sara Data mil gaya he... Bass is week jab sari Transport Vehicles me ye system fit ho jayega, to next month hum in sab Smugglers par Raid kar denge....
Aksh: sir mujhe ek baat nahi samajh rahi he.... Data ke hisab se kuch Transport Vehicles aise logo ke he, jo ke kafi izzat daar Business man bhi he....
Abhinav: actually baat ye he Aksh ke ye jo Smugglers hote he, wo directly kabhi kaam nahi karte.... Wo bass aise bade bade logo ke through apna kaam nipta lete he, or isi liye mene tumse is System me GPS lagane ke liye kaha tha, kyu ke wo maal akhir kaha utar raha he wo bhi to pata chale....
Aksh: Matlab in Smugglers ko dhund na mushkil kaam he... Kyu ke ye log maal utar kar kaha jate he iska pata hume nahi he...
Abhinav: sahi kaha... Or uske aage Maal le jane ke liye zaruri nahi he wo log koi Transport Vehicles hi istimal kare... Wo to apni Private gadiyo me ise le jate honge....
Aksh: koi baat nahi sir.... Mujhe yakeen he ke ye sab log jald hi aapki pakad me ajayenge....
Abhinav: wo to ek na ek din zarur ayenge....
Fir wo dono apas me bass yaha waha ki baate karte he. Abhinav ke saath free hone ke baaf Aksh sabse pehle Radha ko call kar deta he. Lekin is waqt Radha Sakshi ke liye khana banane ke liye ghar agayi thi, or uska mobile Sakshi ke paas hi tha.
Sakshi (mann me): Aksh.... Ab is se kese baat karu? Pata nahi baat baat me kya bol du me.... Lekin call ka jawab nahi diya to wo pareshan ho jayega.... Deva....
Kuch soch vichar karne ke baad Sakshi call pick kar hi leti he.
Sakshi: H.... Ha... Aksh bol.....
Aksh: ab thik he na Sakshi tu?
Sakshi: ha... Me... Me to ab bilkul thik mehsus kar rahi hu... tu... Tu chinta matt kar....
Aksh: kya chinta matt kar? Agar mere saath hi wapis ajati to aisi Hospital bed par nahi sone deta tujhe....
Sakshi: to kaha sulata?
Aksh: are meri Sakshi ko apni baho me chupa kar uspar ane wali har musibat ko jhel jau me... Or tere hawale bass mithi nind de du....
Uski baat sunkar ek pal ko to Sakshi ke mann me bahar ajati he. Lekin agle hi pal Mansi ka khayal use fir se udas kar deta he.
Sakshi: lekin ab wo jagah meri nahi rahi.....
Wo kafi nirasha se kehti he.
Aksh: kya kaha?
Sakshi ki awaz kafi kam thi, jis wajah se Aksh uski baat sunn nahi paya.
Sakshi: n.... Nahi... Nahi... Kuch nahi....
Aksh: Sakshi, ye jhuta natak band kar de yaar..... Tujhe koi samajh paye ya na paye... Lekin me tujhe acchi tarah se samajhta hu.... Teri awaz se saaf samajh pa raha hu me tera haal....
Sakshi: Aksh aisi baat nahi he.... Wo to....
Aksh: Sakshi me Mansi ko bol de raha hu ke hum dono ke bich koi rishte ki gunjaish nahi he.... Mansi ka pyaar paa kar me teri narazgi ko apne saath le kar kabhi nahi jee paunga....
Sakshi: nahi nahi Aksh.... Please aisa matt karna... Agar tune Mansi se ye sab kaha to wo... To wo puri tarah se tut jayegi....
Sakshi ab apna andha pyaar ek side rakh kar, Mansi ki best friend bann kar keh rahi thi.
Aksh: to or kya karu Sakshi? Jabse mene tujhe Mansi ke bare me bataya he, tabse tera ravayya bilkul badal chuka he... Sakshi tujhe yaad he? Ek baar mene tujhse kya kaha tha ke agar bhagwaan mujhe 2 choice de, ek taraf is duniya ki sari khushiya, naam shohrat.... Or dusri taraf meri Sakshi... To me bina soche sirf or sirf meri Sakshi ko choose karunga.... Sakshi mujhe tere siwaye or kuch nahi chahiye.... kyu ke bhagwaan ne behen ke roop me zindagi ka sabse nayab tofa mujhe diya he.... me kese tujhe ehsas dilau? Me sachme adhura hu tere bina....
Ab Aksh apne dil me Sakshi ki narazgi ke bojh ko ro kar halka karne lagta he, lekin Aksh ko rulana ye to Sakshi ke liye kisi paap se kam nahi tha. Pichle kuch salo me Aksh ki aakho me Sakshi ki wajah se sirf khushiyo ke aasu the, lekin aaj kisi arse baad Aksh dukh ke aasu ro raha tha, jis se Sakshi ke mann ko kafi thes pahochti he. Or fir use bhi rona ajata he.
Sakshi: Aksh me janti hu tu mere liye kuch bhi kar sakta he, please mujhe maaf kar de... Lekin Aksh me kya karti? Meri bhi life me tere siwaye koi nahi he jise me apna sabkuch manti hu, me bass isi darr me thi ke kahi tu Mansi ke ane se mujhe kam importance na dene lagg jaye..... I'm sorry Aksh..... I'm Really Sorry.....
Aksh: aisa kabhi nahi ho sakta Sakshi, mene to Mansi ko pehle hi keh diya tha ke mere liye Sakshi se important koi bhi nahi he, khud Mansi bhi nahi... Fir tu kese ye soch rahi he ke me tujhe kam importance dunga?
Sakshi: I'm Sorry Aksh, lekin please tu.... Tu Mansi se aisi koi baat nahi karega jis se uske dil ko thes pahoche.....
Aksh: nahi Sakshi me.....
Sakshi: Aksh mene keh diya na ke tu Mansi ko dukh nahi pahochayega.... Mujhse Promise kar....
Aksh: okay.....
Ab kahi ja kat Aksh ke dil se ye bojh halka ho gaya tha, lekin Sakshi ke dil k bojh or bhi zyada badh gaya, kyu ke ek taraf Aksh ka uske liye Unconditional Love dekh kar Sakshi ko darr lagne laga tha, ke agar Sacchayi samne ayi to Aksh ko is baat se kitni thes pahoch sakti he. Or dusri taraf apni aakho ke samne apne pyaar ko kisi or ke saath dekhna, ye bhi to Sakshi ke liye kisi saza se kam nahi tha.
Aksh: waise Sakshi tu kuch din or Aai Baba ke saath hi reh le.... Puri tarah se thik hone ke baad hi yaha ajana....
Sakshi: thik he.....
Aksh: accha me badme firse call karunga tujhe.... Thik he?
Sakshi: Okay....
Fir Aksh call kaat deta he, call cut hote hi Sakshi apna muh daba kar rone lagti he.
Sakshi (mann me): kyu? Kyu meri aisi pariksha le rahe ho bhagwaan? Is se accha to mera marr jana thik he.... Aise pal pal tadap kar marne se accha ek hi baar me meri jaan nikal jaye... Or meri itni himmat bhi nahi he ke me khud suicide kar lu... Agar mene aisa kiya to Aksh.... Aksh to puri tarah se bikhar jayega.... Or me kese Aksh ke bikharne ki wajah bann sakti hu? Please bhagwaan, please meri jaan le lo, lekin aise mujhe matt tadpao..... Please.....
Kafi der takk rone ke baad Sakshi dawai ke asar so gehri nind me chali jati he. Waha Aksh pura din kafi busy rehta he. Or sidha Raat ko Mansi ke ghar Dinner ke liye chala jata he.
Aise hi 2 din nikal gaye the, Sakshi ko same day par hi Discharge mil chuka tha, lekin Aksh ne use 3-4 din takk wahi rukne ke liye keh diya. Or ab Sakshi Aksh ko bahot miss kar rahi thi. Use bass bechaini si hone lagti jab bhi wo Aksh ke bare me sochti. Wo bass chahti thi ke is waqt wo Aksh ki baho me ho, lekin uski baho me jane me liye Sakshi ko 2 din or intezar karna tha.
Subah ke 10 baje hue the, Aman kal late night ghar aya hue tha, or is waqt sab Breakfast kar rahe the, Aksh aaj yaha nahi apaya tha, kyu ke ab uske system ko fit karne ke akhri Charam the. To use zyada se zyada waqt apne kaam par bitana pad raha tha.
Kiran: waise Aman, Mansi tumhe kuch batana chahti he....
Aman: kya batana he Mansi?
Mansi: me.... Me kaha.... Kuch.... Batane wali thi?
Use Aman ko sari baat batane me kafi sharm arahi thi jis wajah se uski awaz ladkhane lagg gayi.
Aman: tumhari shakal dekh kar samajh raha he ke koi baat zarur he.... Chalo jaldi se bata do....
Ispar Mansi bass Naa me apni gardan hila deti he.
Kiran: ye to Sharmate hi rahegi... Me hi batati hu. Darasal tumhari beti ko pyaar ho gaya he....
Aman: subah se koi mila nahi tumhe? Pagal samajhti ho mujhe?
Kiran ki baat ka yakeen Aman ko bilkul bhi nahi ho raha tha. Lekin Mansi ko aise sharmate hue dekh kar use bhi ye baat sach lagne lagti he.
Kiran: dekh lo kese sharma rahi he ye..... Pehle to mujhe bhi yakeen nahi ho raha tha... Lekin ye sach he Aman...
Aman: kya? Mansi tum sachme kisi se pyaar karne lagi? Bhai ye kon ladka nikala, jisne Mansi ki soch hi badal di?
Wo Mansi ki halat par maze lete hue kehta he.
Aman: ab kon he wo bata bhi do Mansi.....
Mansi: Dad... Wo.... Wo Aksh he.....
Ab Aksh ka naam sunte hu Aman ke chehre ka sara rang hi udd gaya tha, jis baat ka darr Aman ko tha, akhir wahi hua. Use dekh kar Kiran samajh gayi ke shayad Aman ko ye pasand nahi aya. Wo bass Aman ko ishara karte hue normal rehne ko bolti he.
Aman: ohh..... Accha.... Aksh....
Wo kafi ladkhadati awaz me kehta he. Ab Mansi Aman ka chehra dekhti he to Aman ke chehre ki sari hasi kahi gayab ho chuki thi.
Mansi: kya hua Dad?
Aman: ha.... Nahi... Kuch nahi... Kuch bhi to nahi....
Mansi: Dad aap khush nahi ho kya?
Aman: are nahi to... Mene aisa kab kaha? Wo to... Wo to me bass soch raha tha ke kese tum....
Mansi: aap baat ko taal rahe ho Dad.... Please agar aisa he to aap keh dijiye.... Me aapke faisle ke khilaf nahi jaungi....
Aman: Mansi.... Ye kya keh rahi ho tum? Me kabhi tumhare decision ke khilaf ho sakta hu?
Wo uthkar Mansi ke paas ja kar uske sar pe haath ferte hue kehta he.
Mansi: No Dad.... Wo to aapka pyaar he, jiski wajah se aap meri har baat mante ho, lekin iska Matlab ye nahi ke me humesha apni mann maani karungi... Or aapke chehre se saaf nazar araha he ke aap is baat se khush nahi ho....
Aman: Mansi tum galat samajh rahi ho, mujhe sach me yakeen nahi ho raha ke....
Mansi: Don't Lie to me Dad.... Me apni khushi ki khatir aapke dil ko kese thes pahocha sakti hu? Me abhi Aksh se ye sab clear kar deti hu....
Wo nirasha bhare swaro me kehti he, or bina kisi ki baat sune upar apne kamre me chalu jati he.
Kiran: What's Wrong with you Aman? Kya tumhe Aksh bura ladka lagta he?
Aman: Kiran aisi baat nahi he.... Tum to samajho.... me bass soch raha hu ke... Ke Aksh ka or humara culture bilkul different he... Kya Mansi usme dhal bhi payegi?
Wo asli baat ko taalte hue Kiran se kehta he.
Kiran: oh c'mon Aman.... Mansi Samajhdar he, wo janti he kis mahol me kese dhalna chahiye.... Tum ye kya faltu ki baate sochne lage?
Aman: thik he Kiran....
Kiran: ab jaldi Mansi ko manaye, kahi wo Aksh ko call kar ke kuch bol na de...
Aman: ha me abhi jata hu....
Or fir Aman tezi se Mansi ke kamre ki taraf chala jata he, or waha Mansi balcony me nirash si khadi thi. Aman andar akar Mansi ka haath pakad kar use bed par bitha deta he.
Aman: beta mene kabhi tumhare liye bura socha he? Nahi na? Jaha tum khush ho, me bhi wahi khush hu.... Beta me to bass yahi soch raha tha ke wo ladki jo humesha in sab kaamo ko waste of time samajhti thi, aaj wahi is pyaar me padd gayi? Lekin tum mujhe bina samjhe upar chali ayi.... Mansi i have no problem with your and Aksh's Relationship....
Wo Pyaar se muskurate hue Mansi se kehta he, jis se Mansi ko bhi yakeen ho jata he ke Aman ko is se koi problem nahi he.
Mansi: Really Dad?
Aman: kabhi jhut kaha he mene?
Ispar Mansi apni gardan Naa me hila deti he.
Aman: naraz to nahi ho na mujhse?
Mansi: me kyu Naraz houngi aapse? I Love You So Much.....
Wo uthkar Aman ko kas kar Hug karte hue kehti he. Kuch der takk Aman Mansi ke saath wahi bethkar mazak bhari baate karne lagta he.
Ab yaha Aman ne to manzuri de di thi, lekin uske mann me darr tha ke aage kya hoga. Use sirf Mansi ki hi nahi, balki Aksh or Sakshi ki bhi chinta thi.
Aise hi chinta, or darr me Aman ke din nikal rahe the, lekin Aksh or Mansi ki zindagi to mano puri tarah se badal gayi thi. Har din dono ka pyaar ek dusre ke liye badhta ja raha tha. Or is pyaar ki khas baat he ke isme waqt kab nikal jata he ye baat samajh hi nahi ati. Agle 3 din Aksh or Mansi ke liye bass kuch seconds ki tarah nikal gaye the. Lekin inki pyaar ka aakhri anjam kya he? Ye to khud Aksh or Mansi bhi nahi jante the.
Sach kahe to Aman ko bhi Aksh or Mansi ke pyaar se koi problem nahi thi, bass use future ka darr tha. Lekin Mansi ki khushi ke khatir wo sab bhul kar is rishte ko accept kar leta he.
Ab Sakshi ki halat bilkul thik ho chuki thi, or wo aaj Surat wapis arahi thi, Sakshi ne in dino Aksh ko beinteha miss kiya tha. Wo pure safar me Aksh se milne ko behadd hi utsuk thi. Kuch der ke baad plane Surat Airport land ho gaya. Sakshi tezi se bahar ajati he, uski nazre Aksh ko dhund rahi thi, or tabhi uski nigaho ko chain mil jata he, kyu ke samne Sakshi ki duniya, Sakshi ka pyaar khada tha. Sakshi chehre par badi si muskurahat le kar Aksh ki taraf daud padti he. Aksh bhi Sakshi ko itne dino baad dekh kar bahot khush tha. Wo bhi aage akar apni bahe khol deta he, Sakshi bhi bina der kiya kas kar Aksh ki baho me simat jati he.
Aksh: kesi he ab Sakshi tu?
Sakshi: me..... Me... Thik... Thik hu.....
Wo rote hue Aksh ko jawab deti he.
Aksh: oye... Tu ro rahi he?
Sakshi: Aksh.... Me.... Mene tujhe bahot miss kiya....
Wo Aksh ko or zor se kaste hue kehti he.
Aksh: yaar mene bhi to kitna miss kiya tujhe.... Bilkul mann nahi lagg raha tha mera to....
Wo Sakshi ke mathe ko chumte hue kehta he.
Aksh: kya yaar Sakshi? Ye kesi halat bana li tune apni... Chehra dekh tera... bilkul murjha sa gaya he...
Wo Sakshi ka chehra apne haatho me thamkar kehta he.
Sakshi: ab firse khil jayega....
Wo muskurate hue Aksh se kehti he. Uski muskurahat dekh kar to Aksh ka mann kar raha tha wo bass puri zindagi aise hi Sakshi ki khushi, uski muskurahat dekhta rahe.
Khair, dono ek dusre ka haath thamkar Airport se bahar ajate he, or gadi me bethkar ghar chale jate he. Waha bhi Sakshi kafi khush thi, kyu ke Aksh ko itne dino baad dekh kar uska dukh kuch palo ke liye gayab ho chuka tha. Or kuch palo ke liye is wajah se ke tabhi waha Mansi ajati he. Use dekh kar firse Sakshi pehle ke rup me ajati he. Mansi akar sidha Sakshi ko hug kar leti he.
Mansi: How are you Hottie......
Sakshi: me..... Me thik hu....
Wo jhuti muskurahat ke saath Mansi se kehti he.
Mansi: yaar waha ja kar to tum mere calls hi pick karna bhul gayi....
Sakshi: nahi... Aisi baat nahi he... Wo to me apna Zyadatar waqt Aai baba, or mere friends ke saath spend kar rahi thi to..... Anyway tum batao kesi ho?
Mansi: sach kahu to jabse Aksh ki Girlfriend bani hu, tabse kuch zyada hi khush hu me....
Wo Sakshi ke kaano me kafi dhimi awaz me kehti he. Lekin ye sunkar Sakshi ko bahot dukh pahochta he.
Khair.... kafi der takk tino baate karte beth jate he, waise to Sakshi Mansi se kafi acchi tarah se pesh arahi thi, lekin andar se use lagg raha tha ke yaha bass Aksh or wo khud hi ho. Kuch der baat karne ke baad Sakshi aram karne ke liye kehkar apne kamre me chali jati he, fir Mansi bhi apne ghar chali gayi. Aksh akar Sakshi ke saath wahi let jata he.
2 din beet chuke the, Aksh apne cabin ne beth kar apne computer me sare drugs supply karne wali Vehicles ko track kar raha tha. Lekin tabhi Aksh ko bahot hi bada jhatka lagta he, jo kuch uske samne tha, wi dekh kar Aksh ispar yakeen nahi kar pa raha tha. Darasal uske samne jo data tha, usme ye show ho raha tha ke in sab me Aman ka bhi haath he, uski bhi Tr. vehicles se Drugs supply ho raha tha.
Aksh: nahi.... Ye nahi ho sakta, uncle in sabme..... Nahi ye zarur kisi ki sazish hogi unhe fasani ki.... Me abhi ja kar uncle se baat karta hu...
Fir Aksh turant Aman se milne chala jata he, Aman or Aksh is waqt uske cabin me bethe hue the.
Aman: kya hua Aksh.... Tum itne pareshan kyu ho?
Aksh: darasal baat hi kuch waise he....
Aman: kya baat he?
Aksh: aapko pata hi he ke Gujrat me sari Transport Vehicles me ek System lagaya gaya he....
Aman: ha pata he, wahi na jo company tracking me kaam ata he?
Aksh: actually wo System meri company hi banati he, or wo system ka ek hi maksad he, ke Transportation se jo Drugs supply hota he, unhe pakadna...
Aman to Aksh ki baat sunkar bilkul heran reh gaya tha. Wo bhi samajh gaya ke uska bhanda samne agaya he.
Aksh: or sabse badi problem ye he ke, mujhe pata chala he ke aapke Transportation se bhi Drugs Supply hota he....
Ab Aman ke paas koi jawab nahi tha, wo bass khamoshi se betha raha, uski khamoshi Aksh ki pareshani or badha rahi thi.
Aksh: uncle me janta hu aap ye sab nahi kar sakte... Aap please mujhe bataye ke asli baat kya he? Ho sakta he ke me aapki help kar pau....
Aman: Aksh.... Darasal baat ye he ke......
Fir Aman Aksh ko sari sacchayi bata deta he, ke kis tarah wo mantri Aman par zabardasti zor dalta tha. Ye sab sunkar Aksh ke bhi hosh udd gaye the.
Aman: lekin me janta tha ke ek na ek din ye sab samne aa hi jayega, or uske liye Mene us Mantri ki batchit ki recording apne paas rakhi he....
Aksh: ye bahot hi acchi baat he.... Me abhi Abhinav Sir ko call karta hu....
Aman: Abhinav..... Aksh kahi tum DGP Abhinav ke bare me to baat nahi kar rahe ho?
Aksh: thik kaha aapne.... Darasal meri Company CBI ke saath milkar hi ye kaam kar rahi he...
Fir Aksh Abhinav ko call kar ke sari baat bata deta he, Abhinav turant Aksh or Aman ko milne ke liye bula leta he. Kuch ghanto baad Abhinav, Aman or Aksh CBI Headquarter me Abhinav ke cabin me bethe hue the.
Abhinav: to Mr. Aman, aap bhi shamil he is kaand me...
Aman: aisi baat nahi he... Mene apni zindagi megalat tarike se paisa nahi kamaya he...
Abhinav: ek gunehgar ki madat karna bhi gunah hi hota he....
Aman: me janta hu.... Lekin me in sab logo ka khel samne lana chahta tha, isliye mene inka saath diya... Burayi ko harane ke liye burayi apnani padi mujhe...
Abhinav: me kuch samjha nahi....
Aman: actually mene us mantri ki sari baate record kar rakhi he... Uske saath saath wo jab bhi ata, uski bhi sari footage mere paas he..
Abhinav: to fir ye sab aapne pehle police ko kyu nahi inform kiya? Ya fir ise bass aise hi kisi moment ke liye rakha tha ke jab aap faso to iske sahare bach jao....
Aman: bilkul bhi nahi.... Me ye baat acche se janta hu, ke us Mantri ke piche bhi kisi bade gang ka haath shamil he, or un logo ki pehchan kafi badi he, agar me ye sab kisi police ko de deta to wo log sirf sabut hi nahi, mujhe bhi khatam kar dete.... Isliye me bass ek moka dhund raha tha ke mujhe koi aisa insan mile jo ke in logo se bina dare inpar karwahi kare....
Ab Abhinav ka itne salo ka anubhav use yahi keh raha tha ke Aman bilkul sach keh raha he.
Aksh: Sir.... Please try to understand, uncle sach keh rahe he.... Wo aisa galat kaam nahi kar sakte....
Abhinav: me samajh gaya hu ke Aap sach keh rahe ho, lekin karwahi aap par bhi karni padegi...
Aksh: lekin sir....
Abhinav: listen Aksh.... Ye sab me inke protection ke liye hi Kar raha hu, agar humne aap par koi karwahi nahi ki, to un logo ko pata lagg jayega ke aap pehle se unke khilaf sajish kar rahe the, or tabb aapke, or aapki family ko kafi khatra ho sakta he...
Ab Abhinav ki baat bhi bilkul thik thi, Aksh or Aman ko bhi yahi thik lagg raha tha, Aman ne sari recordings or video Footage Abhinav ke hawale kar di thi. Ab CBI kafi mazbut ban chuki thi is drugs supply ko rokne me. Bass kuch waqt me ye sab samne ane wala tha. Or ye baat Aman ne Kiran or Mansi ko bhi bata di thi.
Din par din hafte par hafte nikal rahe the, jaha Aksh or Mansi ek dusre ke nazdeek ate ja rahe the, wahi Sakshi to khud apne aap se hi dur hoti ja rahi thi. Anjane me hi Sakshi ne apne aap ko Mansi or Aksh se thoda dur kar liya tha. Or use lagg raha tha ke Aksh hi use kam ehmiyat de raha he, halaki Aksh to din ba din Sakshi ko pichle waqt se zyada pyaar karta raha tha.
Ek din Sakshi, Aksh or Mansi apne ghar pe bethe hue the, Mansi Sakshi se baate kare ja rahi thi, lekin Sakshi ab kafi chid chidi ho gayi thi, use andar hi andar kafi gussa araha tha. Or akhir kaar uske sabr ka baan tut hi gaya.
Sakshi: Now enough Mansi..... Kabse bass bole hi ja rahi ho tum.... Me nahi baat karna chahti tumse.... Or kyu karu me tumse baat? Khush ho gayi na Aksh ko chinn kar? Aksh ne kabhi mujhe aisa nahi lagne diya ke...... Lekin jabse tumne Aksh ko fasaya he tabse Aksh badal gaya.... Sab tumhari wajah se hua he Mansi, me kabhi maaf nahi karungi tumhe.... Kabhi bhi nahi....
Sakshi kafi gusse me chillakar kar Mansi ko khari khoti suna rahi thi, lekin ye sab sunkar Mansi ki aakho me asu ajate he. Lekin tabhi Sakshi ghar se bahar nikal jati he, Aksh use rokne ki koshish kar raha tha, lekin Sakshi bina kuch sune ghar se nikal jati he. Aksh Sakshi ke piche araha tha, lekin tabhi Sakshi ek auto me beth kar nikal jati he. Aksh tezi se ghar ki taraf ajata he, jaha Mansi rote hue bethi thi.
Aksh: Mansi.... Mansi please tum ro matt, tum bhi to Sakshi ko janti ho na, wo aisi nahi he... Shayad usne frustration me akar ye sab keh diya... Galati meri he, shayad me hi Sakshi par kam dhyan de raha tha, jis se use akela sa lagne laga he... I'm Really Sorry Mansi....
Wo Mansi ke samne bethkar uske aasu pochte hue kehta he. Mansi bhi janti thi ke Sakshi dil se bilkul saaf he, lekin kayi baar situation hi aisi ho jati he ke jaha hum apne aap par control nahi kar pate.
Aksh: Mansi please Sakshi ki taraf se me maafi mangta hu tumse... Please wo....
Mansi: nahi, tumhe maafi mangne ki zarurat nahi he..... Me Sakshi ki halat bilkul samajh sakti hu, kyu ke jab Rishi Bhaiya mujhe akela chhod kar Kriti se milne jate to me bhi bahot zyada gussa ho jati thi...
Aksh: nahi Mansi, Sakshi pata nahi kafi waqt se aise kyu behave karne lagi he... meri kuch samajh nahi araha.... Sakshi ko aisa nahi karna chahiye tha... Me us se baat karunga....
Mansi: ab chhod bhi do na Aksh.... Aisi choti moti baate hoti rehti he... Or tum chinta matt karo, me Sakshi ko mana lungi.... Wo meri dost he, or hum dono apas me settlement kar lenge....
Aksh: pata nahi kaha chali gayi ye ladki?
Fir Aksh Sakshi ko call laga deta he, Sakshi ab bhi kafi gusse me thi.
Sakshi: dekh Aksh mera bilkul mood nahi he baat karne ka, or me thodi der baad ghar ajaungi....
Or wo Aksh ki baat sune bina phone kaat deti he.
Aksh: Sakshi... Hello.... Kaat diya isne phone...
Sakshi ko gaye kuch der ho chuki thi Aksh kafi gehri soch me duba hua tha, use Sakshi ka kya kare kuch samajh nahi araha tha. Or ye sab Mansi dekh leti he, tabb wo Aksh ka dhyan in sab se hatane ke liye Aksh ke haath samne se hatakar uski godd me beth jati he.
Aksh: Mansi please......
Wo is se aage kuch kehta ke Mansi apni ungli Aksh ke honto par rakh kar use bolne se rok deti he.
Mansi: Shhhhh......
Fir Mansi dhire dhire Aksh ke honto chumne lagti he, kuch der takk Aksh bass bemann se wahi betha rehta he, lekin ab uska dhyan Sakshi ki baato se hatt gaya tha. Mansi ne Aksh ko dhakka de kar sofe par gira diya or khud uske upar let kar kiss karne lagi, kafi der takk dono ka milaw chal raha tha, or waha Sakshi ka gussa ab bhi kuch kam nahi hua tha, ulta wo to kuch soch kar ghar wapis agayi or darwaze ke taraf badhne lagi, jese hi usne darwaza khola to Samane Aksh or Mansi ka khel dekh kar uska gussa or bhi zyada badh gaya, use dekh kar Aksh bhi hadbada kar Mansi ko apne se alag kar deta he. Sakshi bina kuch kahe apne kamre me chali jati he.
Mansi: Sakshi.... Sakshi ruko.....
Wo Sakshi ko rokte hue uske piche jane lagti he, lekin tabhi Aksh use pakad kar rok deta he.
Aksh: Mansi abhi uska gussa utra nahi he... Tum abhi us se kuch matt kaho....
Mansi: okay... To me chalti hu, kal Sakshi se college me baat kar lungi....
Aksh: Okay....
Fir Mansi apne ghar jane ke liye nikal jati he.
Aksh ko Sakshi se kuch baat karni thi, isliye wo sidha Sakshi ke kamre me chala gaya, lekin waha ja kar uske hosh udd gaye. Kyu ke Sakshi apna sara saman pack kar rahi thi. Aksh tezi se Sakshi ke paas akar use rok deta he.
Aksh: Sakshi.... Ye kya kar rahi he tu?
Uski baat ka Sakshi koi jawab nahi deti, or apne haath Aksh se chudda kar fir se saman pack karne me lagg jati he. Ab Aksh ko kafi gussa ajata he, wo Sakshi ke haath se bag khich kar dur fek deta he.
Aksh: kya ho gaya he Sakshi tujhe? Kyu kar rahi he tu ye sab? Kafi waqt se dekh raha hu tujhe, akhir baat kya he Sakshi?
Wo kafi gusse me unchi awaz me Sakshi se puch raha tha, or tabb Sakshi ka bhi sayyam tut chuka tha.
Sakshi: Aksh me nahi dekh sakti tujhe kisi or ladki ke saath, mujhe jalan hoti he jab bhi tujhe Mansi ke saath dekhti hu to, kyu ke me tujhse pyaar karne lagi hu...
To Be Continued........
To Dosto ye tha aaj ka Update, ab dekhte he aage kya hoga, Aksh ke dil me Sakshi ke liye beinteha, niswarth pyaar, Sakshi ke dil me Aksh ke liye ek bhai se badhkar ubhre jazbat, or ab sacchayi ka samne ana. Ye sab milkar inki zindagi me kya mod late he ab sacchayi jaan ne ke baad Aksh ke kya reaction honge? ye to dekhna interesting hoga.
Guys Next Update is Chapter ka last update hone wala he, uske baad Chapter 3 "Qaatil" shuru hoga. Uske liye bilkul tayar rehna. Next week ke mid me Chapter 3 start hoga.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Are Qaatil bhai kya hi gajab likhte ho yaar, kya hi scene soche h story ke
Aur aap chahte the ye story koi aur likh de
Sakshi ne mansi ke samne akhir sab keh hi diya
Aur fir aksh ko bhi lgta h sab bta hi diya
Bhut hi bdiya update h bhai ji
khani me jab ye scene ate h bichadna, ruthna
Mai to sirf inhi ke liye story padta hu , apan ko action vaction nhi pasand
Last edited: