• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest LAAL ISHQ - SAFAR BHAI BEHEN KA [INCEST, ROMANCE, ACTION, THRILLER](Completed)

Werewolf

ᴋɪʀᴀ
Supreme
14,504
102,257
259
Chapter 1 - The Early Life


Update 3


Word Count: 2501
Estimated Reading Time: 00:12:00


Ek chehekti subah me is matlabi duniya se bekhabar Aksh Or Sakshi besud se apni sapno ki duniya me gum the, lekin unki nind todne ke liye waha Radha ajati he. Kafi mashakkat karne ke baad akhir kaar Radha dono ko nind se jaga hi deti he. Dono jaldi se ready ho jate he, aaj Santosh ko dono ke teacher se milna tha, to wo tino ghar se nikal jate he.


School pahoch kar Santosh teacher se milta he, Staff Room me is waqt Teacher, Santosh, Aksh or Sakshi the.

Teacher: dekhiye mujhe in dono se padhai ke mamle me koi pareshani nahi he, kyu ke dono padhai me acche he, lekin ye mar pitai acchi baat nahi he, baki dono bahot hi samjhdar he.
Santosh: ji me firse aapse maafi chahta hu, bacche he galtiya to karte hi he.
Teacher: hmm.... Aksh Sakshi..... Is baar maaf kar rahi hu, agli baar aisa kuch nahi hona chahiye, Okay?
Wo dono ko warn karte hue kehti he.
Aksh/Sakshi: okay ma'am....

Fir tino staff room se bahar ajate he. Aksh to kal se bas kahi gum sa tha.

Santosh: chalo me chalta hu, shaam ko milenge
Wo dono ke sar pe haath ferte hue kehta he.
Sakshi: Aise kese jaoge? Paise kon dega?
Santosh: are haa... Ye lo.... Tumhare paise...
Wo dono ko kuch paise de deta he or waha se apne kaam par jane ke liye nikla hi tha ke piche se Aksh use rok deta he.

Santosh: kya baat he Aksh?
Aksh: Wo....wo Baba mujhe cycle nahi chahiye.....
Santosh: kya? Lekin kyu?
Aksh: bas... Mujhe nahi chahiye.... Aap mere liye cycle mat lana.
Santosh: beta mene kaha na me tumhare liye cycle jald se jald le aunga....
Wo niche jhuk kar Aksh ka chehra apne hatho me thamkar kehta he.
Aksh: nahi Baba... Mujhe sachme cycle nahi chahiye...
Santosh: lekin.....
Aksh: please Baba..... Jab mujhe chahiye hogi tab me aapse maang lunga.....
Santosh: accha thik he.... To ab me jau?
Aksh ha me sar hila deta he, fir Santosh waha se apne kaam par chala jata he. Aksh or Sakshi bhi apni class attend karne ke liye chal padte he.

Sakshi: Aksh Tune kyu mana kar diya cycle lene se?
Aksh: bas mujhe nahi chahiye thi cycle....
Sakshi: jhute kahi ke... Sach kyu nahi bata rahe ho?
Aksh: or kya sach batau? Mujhe nahi chahiye cycle bas.. Or ab tu chup chap chal class me..
Or fir dono apni class Tak pahoch jate he. Aksh aaj pure waqt bas kuch khayalo me duba hua tha. Kuch period khatam ho gaye the, lekin Aksh ab bhi Radha or Santosh ki kal raat ki baate yaad kar raha tha, or Teacher ne Aksh ko dekh liya.

Teacher: Aksh.... Aksh.....
Wo thodi unchi awaaz me kehta he tab ja kar Aksh apni khayalo ki duniya se bahar ajata he or uth kar khada ho jata he.
Teacher: chalo batao mene abhi kya padhaya?
Uske sawal par Aksh hadbada jata he or koi jawab nahi de pata.
Teacher: kaha dhyan tha tumhara? Ha?
Aksh: S.. sorry sir....
Wo apna sar niche jhuka kar kehta he.
Teacher: koi sorry nahi... Chalo class ke bahar jao or murga ban kar khade ho jao...
Wo kafi sakht lehze me kehta he. Jis se Aksh turant bahar ajata he lekin wo murga nahi bana tha bas aise hi apni sapno ki duniya me duba khada tha. Kuch der baad teacher sabko kuch likhne ko kehta he or ek baar Aksh ko dekhne ke liye bahar ajata he to waha Aksh khade khade kuch soch raha tha.

Teacher: are..... Tumhe murga ban ne ke liye kaha tha na mene?
Wo Aksh ke samne ate hue kehta he.
Aksh: Sorry Sir...
Wo apni soch se bahar akar Ghabrate hue kehta he.
Teacher: aaj kya ho gaya he Aksh tumhe?
Aksh: sir wo...... wo Ambani kon he?
Uska sawal sunkar teacher kuch samajh nahi pata.
Teacher: kyu? tumhe kyu jaan na he?
Aksh: nahi sir mene to bas aise hi pucha..
Teacher: hmmm.... to Ambani India ke sabse paise wale insaan he...
Aksh: kya? Sabse paise wale? To itne paise unke paas kese kya aye?
Wo kafi heran sa rehkar teacher se puchta he.
Teacher: kyu ke wo ek kabil business man he, unka bahot hi bada karobaar he.
Aksh: kya? To fir me bhi Ambani jese hi banunga.... or ek kabil business man banunga...
Wo teacher ka jawab sunkar kafi khush ho jata he.
Teacher: thik he bann jana, lekin abhi murga bano, thik he.....
Wo Aksh ke sar se haath ferte hue kehta he. Fir Aksh murga bann jata he, or Teacher firse class ke andar chala jata he, kuch der me Class khatam hone ke baad Teacher bahar Aksh ke paas ajata he.


Teacher: Aksh ab bas, jao andar class me..
Aksh: okay sir...
Wo sidha khada hote hue kehta he. Or class me jane lagta he lekin tabhi Teacher use rok deta he, Aksh uski taraf mudkar ruk jata he.
Teacher: waise Aksh ek baat yaad rakhna, Ambani bann na katayi asaan nahi hota, uske liye tumhe bahot mehnat karni hogi.. paisa kamane ke liye kafi mehnat lagti he or sirf mehnat hi nahi tumhe bahot hoshiyaari se kaam bhi lena padega, tab kahi jaa kar tum Ambani ki tarah ban paoge...
Wo thoda niche jhuk kar Aksh ke kandhe par haath rakhte hue kehta he.
Aksh: ha sir me bahot mehnat karunga... Or ek din Ambani ki tarah ban kar dikhaunga....
Wo kafi josh ke saath jawab deta he, Teacher uski baat par muskurate hue waha se chala jata he.

Recess ke waqt sablog milkar khana kha rahe the. Lekin Aksh to ab bhi apne sapne ki duniya me khoya tha.

Sakshi: Aye bandar.... subah se Kya soch raha he?
Wo Aksh ko ek gehri soch me duba dekh kar puchti he.
Aksh: chup chap khana kha.... Chipkali....
Wo gusse me Sakshi se kehta he, lekin is se Sakshi ka chehra hi utar jata he.
Sakshi: to itna kyu gussa kar rahe ho? Bas aise hi puch liya na mene...
Wo muh fula kar apna sar jhuka ke Aksh se kehti he. Aksh ko kafi hurt hota he ke uski wajah se Sakshi udas ho gayi.
Aksh: Sorry.... Sorry.... Sakshi...
Wo apne kaan pakad kar Sakshi ke gaal par kiss karte hue kehta he, jis se Sakshi ke Chehre par ek pyari si muskurahat wapis ajati he.
Sakshi: to bata, kya soch rahe the?
Aksh: thik he, lekin pehle mujhe promise kar ke tu meri ye baat kisi ko nahi batayegi, Aai Baba ko bhi nahi...
Sakshi: are promise kisi ko nahi bataungi...
Aksh: to sunn... Me na bada ho kar Ambani ki tarah banunga or....
Sakshi: Ambani.... Ye kon he?
Wo Aksh ki baat adhe me hi kaat te hue puchti he.
Aksh: are Ambani humari country ke sabse paise wale insaan he, me bhi unki tarah banunga or fir humare paas bhi bahot sara paisa hoga jis se hum jo chahe wo kharid sakte he na....
Sakshi: sacchi? Hum Jo chahe wo kharid sakte he?
Wo kafi utsukta ke saath puchti he.
Aksh: ha.... Lekin ye baat kisi se mat kehna thik he?
Sakshi: nahi Dada..... Me kisi ko bhi nahi bataungi...
Aksh: hmm, to ab khana kha...
Or fir dono hi khushi khushi khana kha lete he.

Dopehar ko School ki chutti hote hi Aksh or Sakshi apne raste jane lagte he. Ghar akar Aksh sabse pehle apne kamre me rakha ek gullak nikal leta he jispar kafi dhul padi thi, kyu ke Aksh humesha apni jeb me hi kuch paise bacha kar rakhta tha. lekin pata nahi kyu aaj se usne apne sare paise gullak me jama karne ka faisla liya. Jab wo gullak me paise daal raha tha to Sakshi ne use dekh liya.

Sakshi: kya hua Aksh? Tu apne paise gullak me kyu daal raha he?
Piche se Sakshi ki awaz sunn kar Aksh hadbada jata he.
Aksh: ha... ha wo... me wo... ab se me apne sare paise is gullak me jama karunga... or ek din in paiso se hi apne liye cycle kharid lunga....
Uski baat Sakshi bilkul nahi samajh pati, Aksh to gullak rakh kar washroom chala jata he, lekin Sakshi wahi khade ho kar us gullak ko dekh rahi thi, or aise hi dekhte hue wo aage badhti he or apne paise nikal kar us gullak me daal deti he or aisa karne se Sakshi ke chehre par ek pyaari si muskurahat ajati he. Fir wo bhi fresh ho jate he or Radha ke saath milkar lunch kar lete he, uske baad Tino saath milkar gola kha lete he, Aksh or Sakshi kuch der TV dekh rahe the. Kuch der TV dekhne ke baad wo dono apna homework Complete karne me lag jate he. Homework Complete karne ke baad Sakshi turant So jati he, lekin Aksh ki aakho se nind koso dur thi, wo to bas Sakshi ke bagal me leta tha, achanak Uski nazar soti hui Sakshi par padti he, uska masum sa chehra or uspar bikhre baal use Kisi pari jesi Khubsurati de rahe the, use dekh kar Aksh ke chehre par bhi ek muskurahat ajati he, or wo apne haatho se Sakshi ke Chehre se baalo ko hata deta he.

Aksh(man me): chipkali..... Jab jagi hoti he to kitna satati he mujhe.... Or ab itni bholi lag rahi he......

Wo Sakshi ko dekhte hue apne man me soche ja raha tha or aise hi sochte hue uski bhi aakh lag gayi. Shaam ke waqt Radha ne dono ko badi hi mushkil se jagaya, Santosh kuch der baad ghar agaya tha, Sakshi or Aksh baramde me khel rahe the, Santosh or Radha Andar hall me bethe hue the.

Santosh: waise Radha tum keh rahi thi na Aksh kafi ziddi he, aaj usne School me mujhse kaha ke use cycle nahi chahiye...
Radha: kya? Aisa kyu kaha usne?
Wo badi herani se puchti he.
Santosh: pata nahi.... lekin me fir bhi use Cycle le kar dunga...
Radha: dekhiye me use cycle le kar dene se mana nahi kar rahi hu, lekin ab wo cycle nahi lene ke liye bhi maan gaya he to aap thode thode paise bacha kar uske liye cycle le ayiye... Apne saving se kyu paise nikal rahe ho? Ye sab saving to hum un dono ke ane wale kal ke liye hi bacha rahe he na?
Wo Santosh ke haath pe apna haath rakhte hue kehti he.
Santosh: thik kaha tumne... Hum to zyada padh nahi paye... Bas me chahta hu ke ye dono acche se padh likh kar samaj me apna naam kamaye.....
Radha: sahi kaha aapne.... Me Bas chahti hu ke jo mushkilo se hum guzre he, waisi mushkile in dono ki zindagi me kabhi na aye..
Is baat ko kehte hue Radha ki aakhe num ho jati he, Santosh Mahol ko bhari hota dekh uska dhyan bhatkane ki sochta he or uthkar Radha ka haath pakad kar use Room me le jane lagta he.

Radha: kya hua? Aise andar kyu le jane lage?
Santosh: are chalo bhi, bacche bahar khel rahe he, hum apna kaam kar lete he na...
Wo Radha ke ekdum nazdeek akar aakh marte hue kehta he.
Radha: besharam... Hato.... Na waqt na kuch.... kahi bhi kuch bhi bolte rehte ho...
Wo apna haath Santosh se chuddate hue kehti he.
Santosh: yaar kisne kaha ke pyaar karne ka waqt hota he? Chalo bhi ab...
Wo Radha ki kamar ko pakad kar kehta he.
Radha: hato..... Mujhe bahot se kaam pade he...
Wo Santosh ke changul se azad ho kar kitchen ki taraf jate hue kehti he.
Santosh: ek kaam karta hu na, Sadhu hi ban jata hu me....
Radha: jo bann na he bano, mujhe kaam karne do chup chaap....
Aise hi hasi mazak karte hue raat ho jati he, Sab milkar khana kha lete he or TV dekhne lagte he.

Raat ke kareeb 9 baje hue the, Kal Sunday tha isliye Aksh or Sakshi ko School me chutti thi.

Radha: Baccho ab jao sone.. kafi der ho gayi he...
Sakshi: Aai dekhne do na TV thodi der, kal to chutti he na hume....
Wo roti hui shakal bana kar kehti he.
Radha: chutti he to kya puri raat TV dekhte rahoge? Chalo jao jaldi....

Or wo uthkar TV band kar deti he, ab Sakshi or Aksh majburan apne kamre me ajate he. Dono apne bed par lete hue the lekin dono ko nind nahi arahi thi.

Sakshi: waise Aksh, Baba to tujhe cycle le kar de rahe the na... To tune mana kyu kar diya?
Wo Aksh ku taraf mudkar puchti he.
Aksh: are Paise kamane ke liye bahot mehnat karni padti he or mene kal raat Aai Baba ko is bare me baat karte hue bhi suna tha, to mene aaj isi liye baba se cycle lane se mana kar diya.... Or jo paise Baba mujhe roz dete he me usi se cycle kharidunga, Baba ko meri cycle lane ke liye zyada mehnat nahi karni padegi
Sakshi: accha.... Ye baat he...
Aksh: ha... Or ab tu bhi meri baat sun.... Ab se tu bhi Baba ke paas koi bhi chiz lene ki zidd nahi karegi siwaye baba jo hume school jate hue paise dete he uske.. samjhi?
Sakshi: are ye kya baat hui? To Fir mujhe khilone or baki sab kon laa kar dega?
Wo apna muh fula kar Aksh se puchti he.
Aksh: are pagal me bada hokar bahot sare paise kamaunga.... Fir tujhe jo chahiye me tujhe la kar dunga... Lekin baba ko pareshan nahi karna....
Sakshi: sachme jo me kahungi wo laa kar doge na mujhe?
Wo Aksh ko ungli dikhate hue puchti he.
Aksh: are ha tu jo kahegi wo la kar dunga me tujhe....
Sakshi: to thik he... Abse me Kisi bhi chiz ke liye Baba se zidd nahi karungi....
Aksh: ye hui na baat...

Or aise hi dono kuch der tak baate karne lagte he or fir gehri nind ke agosh me chale jate he.

Is tarah inka ye din nikal jata he, humne dekha ke Aksh ko apne sawal ka jawab to mil gaya, or ab usne mann hi mann than liya tha ke use aage jakar kuch bahot bada karna he, wahi humne Sakshi ka ek bahot hi Kindness se bhara Act dekha jab usne apne paise bhi Aksh ke Gullak me daal diye the, jis se pata nahi kyu lekin use kafi khushi hui, jaha Aksh ke dil or dimag me ye Paisa naam ki chiz enter kar chuki thi, Ab ye aage ja kar Aksh or baki logo ki zindagi me kya baldav lane wali thi ye to waqt ane par pata chal hi jayega.

Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊😊
Aksh aur sakshi ke beech bada hi natkhat par saath hi saath ek pyaara rishta bhi hai. Aage dekhte hai kya hota hai.

Reviews thoda late ho sakte bro kyuki mene khud ki ek new story shuru kii hai. But jab jab samay milega tab tab pratikriya zaroor dunga. 👀 :hi:
 
15,608
32,143
259
romanchak update ..anant ki warning de di askh ne neel ko maarke ..
rana ke drugs ka nuksan kar diya aksh ne aur rana se bhi mulakat ki aur usme dono ghayal ho gaye the ..
aman ki baat ka kya matlab ho sakta hai ki ruksar ke pati ke kaatil ko sab pata hai 🤔..
rana badlaa le raha hai par lagta hai wo bhi kisi dhokhe ka shikar hai aur aksh ke family ko gunahgaar samajh raha hai ..
 

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,685
29,069
218
Chapter 3 - The Qaatil

Update 1

Mega Update


Word Count: 2425
Estimated Reading Time: 00:13:00











1 Year Later.......



Jail ki salakho ke piche, ek kone me koi ladka apne upar chadar odhe leta tha. Tabhi waha ek Hawaldar ajata he, or gate kholne lagta he.

Hawaldar: chal be oye..... sale pata nahi kese connection he tere, jaha itne bade afsar ke Qaatil ko fasi honi chahiye lekin tu to bahar nikal raha he....
Us Hawaldar ki baat sunkar us Qaatil ke chehre par ek shaitani hasi ajati he. Uska haal kafi bhayanak tha, lambe baal, badhi hui dadhi, or dhul gandagi se lipta sharir. Qaatil uthkar dhire dhire salakho ke bahar ajata he, waha uski rihayi ki sari formalities puri hone ke baad Qaatil ko waha se jane ki ijazat mil gayi. Qaatil apne dhime kadmo se jail ke bahar agaya, bahar akar wo chalte chalte ek jagah par chala jata he, jaha par kareeb 5-6 log gaadi me kuch saman load kar rahe the.

Aadmi: abe bhikari kahi ke.... Tu andar kese agaya be? Chal nikal yaha se.....
Wo aadmi uske paas ate hue kehta he, or apne haath se use dhakka de deta he. Lekin tabhi Qaatil ne piche se us aadmi ki gardan pakad kar ek hi jhatke me mod di, jis se wo aadmi dard se karhate hue wahi par gir gaya. Apne aadmi ko aise girta dekh kar waha khade baki aadmi Qaatil ki taraf ane lagte he, Qaatil niche jhuk kar zameen par padi mitti utha kar sabki aakho me fek deta he, jese hi sab logo ne apni aakhe band kar li, us bich Qaatil ne ek aadmi ke paas se khanjar chinn liya, or sabse pehle usi aadmi ke sar me wo khanjar dhasa diya. Khun ku bunde Qaatil ke chehre par udd chuki thi, jis se Qaatil ka chehra shaitani hasi se khil utha tha. Tabtak dusra Aadmi haath me khanjar liye aage akar Qaatil par vaar kar raha hota he ke Qaatil uska haath pakad kar apne Khanjar sidha us aadmi ke pet me maar deta he. Piche se 2 aadmi Qaatil par humla bolne wale the, isliye Qaatil us admi ko tadapta chhod kar piche mud jata he. Ab uske samne 2 log the, isliye wo dono Qaatil par bhari padd gaye or usme se ek aadmi ne Qaatil ki gardan ke piche Khanjar se vaar kar diya. Lekin jo dukh or dard Qaatil ke dil me the, uske samne to ye khanjar ka dard uske liye kuch bhi nahi tha, Qaatil ki aakhe gusse me aag babula ho gayi thi, usne apne aap ko dusre aadmi ke vaar se bachate hue, piche ja kar uska gala Khanjar se alag kar diya. Ye dekh kar waha bacha aakhri aadmi darr ke mare kaanp gaya. Usne apna hatiyar niche daal diya or Qaatil ke samne ghutno par haath jod ke beth gaya. Qaatil muskurate hue aage ajata he, or tezi se apna khanjar us aadmi ki aakho me dhasa deta he. Wo aadmi tadapta hua wahi gir gaya, lekin Qaatil ko uspar rehem nahi aya, usne us aadmi ke saath saath baki sabhi admiyo ki aakhe nikal li thi.


"Boss...... Boss..... Humare aadmi, humare aadmi mare gaye......"

Ek aadmi chillate hue Rana ke samne akar kehta he. Uski baat sunkar Rana gusse me uthkar khada ho gaya.
Rana: kis Madarchod me itni himmat agayi?
Aadmi: pata nahi Boss.... Me abhi waha gaya to waha humare sare Admiyo ki lashe thi, or to or un saki aakhe nikali hui he.....
Ye sab sunkar Rana Gusse me us jagah par chal padta he, uske piche Abdul bhi tha, lekin shayad Abdul janta tha ke ye sab kiska kaam ke, or isi wajah se Abdul ke chehre par ek muskurahat thi.

Rana jab waha pahocha to us jagah ji halat dekh kar dang reh gaya, jab Rana aage akar gadi me load ho raha maal dekhta he, to waha ek khun se latt patt parchi thi, Rana us parchi ko khol kar padhne lagta he, lekin us parchi ko padhne ke baad pehli baar Rana ke chehre par khauf chaya hua tha.


"Aksh...... Naam bhula nahi hoga tu? Kese bhulega? Khair, darinda samjhta he na tu khud ko? Lekin ye baat samajh le, ke ab tujhse bhi bade darinde ne is dharti par janm le liya he "Qaatil"..... Jitna Guda he, wo ab apni jaan bachane me laga de.... kyu ke behtarin shikari hu me, apne halato ka shikar nahi, Bass ghayal hu me, abhi takk mara nahi..."

Abdul: Boss..... Boss.....
Wo Rana ke paas akar use awaz de raha tha, lekin Rana ke hosh to is parchi ko padhkar kabke udd chuke the. Abdul aage akar Rana ke kandhe par haath rakh kar use hosh me lata he.
Abdul: kya hua Boss? Aap itne pareshan kyu lagg rahe ho?
Rana: A..... Aksh... Aksh wapis agaya he....
Wo apni dari hui awaz me kehta he. Abdul ko to yakeen hi nahi ho raha tha ke Rana Aksh ke itne chote karname se darr gaya.
Abdul: aap chinta kyu kar rahe ho? Wo aap takk tabhi pahoch payega, jab uska samna mujhse hoga.... Or jabtak wo mujhtak ayega, wo zinda nahi hoga....
Rana: Ghayal Sher....... Ghayal Sher he wo is waqt.... dhundo use.... Mere samne zinda hi chahiye wo.....
Abdul: ho jayega Boss.... Wo aapke samne hoga.... Zinda.....


Rukha hua chehra, aakho ke niche gehre kaale daag, sukha hua sharir.... Dopeher ke 2 baje hue the, apne Office me Sakshi bethkar kaam kar rahi thi. Uski halat kafi buri thi, is waqt sablog Lunch Break par gaye the, lekin Sakshi akele bethkar apna kaam kar rahi thi. Tabhi waha Suhas ajata he.

Suhas: Sakshi, chalo khana khane.....
Sakshi: na.... Nahi... Me badme kha lungi.....
Wo apne kaam par concentrate karte hue kehti he, uski baat sunkar Suhas akar uske bagal me beth jata he.
Suhas: Sakshi tumhe yaad bhi he ke tumne kabhi thik waqt par khana khaya ho?
Wo narazgi se Sakshi ki chair apni taraf karte hue kehta he. Uski baat par Sakshi bass apni nazre jhuka leti he.
Suhas: Sakshi halat dekho apni..... Thoda to khayal rakho apna....
Sakshi: kya karu apna khayal rakh kar? Meri wajah se hi Aai Baba aaj is duniya me nahi he..... Meri galati ki saza mene apne pariwar ko di or sabko kho diya.... Sabko......
Itna kehkar Sakshi fut fut kar rone lagti he. Suhas ko to ab adat si hi ho gayi thi Sakshi ko har roz rota dekh dekh kar. Wo kisi tarah Sakshi ko sambhal leta he or uska rona band kara deta he.
Suhas: kise kho diya Sakshi tumne? Ha? Hum log he na? Or tum Aksh ko kese bhul gayi? Use dhund na baki he na?
Sakshi: nahi..... Ab apne aap ko kho chuki hu me, kisi or ko dhund na namumkin he mere liye....
Wo hatash hokar nirasha bhare swaro me kehti he.
Suhas: koi or? Sakshi wo bhai he tumhara..... Agar sab tumhari wajah se hua he, to ise tumhe hi suljhana hoga....
Fir Suhas kisi tarah se Sakshi ko apne saath le jata he lunch karne ke liye. Lunch ke baad Sakshi fir se apne kaam me lagg jati he.

Waha CBI Headquarter me Anant apne ek Officer ke saath bethkar baate kar raha tha.
Officer: Sir..... Aksh riha karwa diya he....
Anant: thik he..... Bass ab khel jese aage ja raha he, jane do....
Officer: Lekin sir, Aksh ko saza dilane ki bajaye ye sab....
Anant: saza to milegi hi Aksh ko... Lekin wo saza DGP sir ke Qaatil Aksh ko milegi....
Officer: me kuch samjha nahi....
Anant: is waqt Aksh apna badla pura karna chahta he, mujhe bass Rana or uska khas Abdul chahiye.... Or untak pahochne ka rasta sirf or sirf Aksh ke zariye hi mil sakta he... Uske baad Aksh ko bhi uske kiye ki saza zarur milegi.....
Officer: lekin Rana koi chota mota gunda to nahi he.... Aksh ko marna to uske liye chutkiyo ko kaam he.....
Anant: sahi kaha.... Aksh ko marna Rana ke liye chutkiyo ka kaam he... Lekin is waqt Aksh ek Haiwan he.... Or Haiwan ko harane ki takat har kisi me nahi hoti.....
Officer: lekin sir iske chalte Aksh ne kuch galat kaam kiye to.... Kyu ke Medical Reports ke hawale se dekhe, to uski dimagi halat thik nahi he....
Anant: uske bare me mene soch liya he.... Tum bass mera ek kaam karo.....
Aadmi: ji sir bataye.....

Fir Anant use koi kaam sop deta he, or wo Aadmi chala jata he apne kaam par.

Anant (mann me): Aksh.... Tumne Gunah to kiya he, or Gunehgar ko saza milni hi chahiye.... Saza tumhe bhi milegi.... Zarur milegi.....


Waha ghani jhadiyo ke bich Aksh betha hua tha, or tabhi piche se ek car akar waha ruk jati he, or usme se Abdul bahar ajata he.

Abdul: tayar ho apna badla pura karne ke liye?
Wo Aksh ke piche khada ho kar kehta he. Uski awaz sunkar Aksh piche mudkar dekhta he to waha Abdul tha, use dekh kar Aksh khada ho gaya.
Abdul: chalo betho andar....
Fir Abdul Aksh ko gadi me bitha kar ghane jungle ke bich chal padta he, kuch der baad dono ek tute fute ghar ke paas pahoch jate he, wo ghar Jungle ke bicho bich bana hua tha, or yaha dur dur takk kisi insan ka namo nishan nahi tha. Dono gadi se utar kar Ghar ke andar ajate he.
Abdul: jabtak tumhara badla pura nahi ho jata, tum yahi par rehna.....
Aksh bass Sari baate sunn raha tha, kyu ke Aksh ki dimagi halat kafi kharab ho gayi thi. Wo jabse Jail me tha, tabse usne ek shabd bhi apne zuban par nahi ane diya.

Khair, Abdul Car me se Aksh ke liye kuch zaruri saman le ata he, jisme kapde, shoes, uske roz marra ki chize thi, or saath me kuch Guns, Bullets, Khanjar or talwar.
Abdul: agar kisi chiz ki zarurat ho to mujhe bata dena, ye lo.... Ye phone, is phone se tum bina kisi darr ke kisi ko bhi call kar sakte ho.....
Wo Mobile phone Aksh ke haath me dete hue kehta he. Aksh bhi us se mobile le kar rakh deta he. Abdul kuch der waha bethkar or Aksh ko khana khila kar waha se nikal gaya.

Aksh ne saman ko kholkar dekha to usme Aksh ka bhi kafi sara saman tha, lekin usme sabse upar Radha, Santosh or Mansi ki saath me khinchi hui photo frame thi. Use dekh kar Aksh ki aakho se asu behne lagta he.

Aksh (mann me): A..... Aai..... Baba...... M.... Mansi..... Chinta matt karna..... B.... Bahot jald milunga me aap sab se.... Kyu ke me sirf... Me sirf apna badla pura karne takk is duniya me hu, uske baad.... Me bhi... Me bhi aap sabke paas chala aaunga.....

Aksh apne Aai Baba or Mansi ko yaad karte hue ro raha tha, lekin jese hi uske haath me bag se ek dusri photo nikli, to use dekh kar Aksh apne aap ko rok nahi pata or fut fut kar rone laga. Kyu ke ye photo Sakshi or Aksh ka tha, or wo bass Sakshi ki tasveer dekh kar ghanto takk rone lagta he.


Raat ke 8 baje hue the, Sakshi ne waha ab ek ghar Rent par le liya tha. Or is waqt wo bed par leti hui thi, ghar ka kitchen humesha ki tarah khali tha, ghar ke hall ki lights off thi, sirf Sakshi ke kamre me ek light jal rahi thi. Har roz ki tarah Sakshi bass yahi soch rahi thi ke wo Aksh ko kese dhunde. Sach kahe to usne Aksh ke zinda rehne ki ummid bilkul chhod di thi. Lekin uska dil kahi na kahi ye baat maan ne ko tayar nahi tha ke Aksh marr chuka he. Jabtak Sakshi apne dil se baate kare ja rahi thi, tabhi Doorbell bajti he, Sakshi akar door open karti he to samne Suhas ki Maa khadi thi.

Sakshi: Aunty.... Aap... Aap is waqt?
S. Maa: kyu nahi asakti?
Sakshi: aisi baat nahi he.... Aap... Aap ayiye na andar....
Fir S. Ki Maa andar ajati he. Sakshi pehle lights on kar deti he or dono sofe par akar beth jati he.
S. Maa: Khana abtak nahi banaya tumne Sakshi?
Sakshi: ahh... Nahi wo... Wo mera pet dard kar raha he to... Me...
Wo Suhas ki Maa se nazre churate hue kehti he.
S. Maa: Sakshi, tum jhut nahi bol pati beta.... Matt koshish kiya karo....
Wo Sakshi ka chehra apni taraf karte hue kehti he.
S. Maa: kesi halat bana rakhi he Sakshi tumne? Din ba din or bhi zyada bigad rahi he tumhari halat.... Kyu kar rahi ho aisa? Kyu apne aap ko nuksan pahocha rahi ho?
Sakshi: or me kya karu Aunty? Mera pura pariwar mujhe chhod kar chala gaya... Me kya karu fir?
Wo Suhas ki Maa ki Godd me sar rakh kar rote hue kehti he.
S. Maa: tumhe kitni baar kaha he Sakshi.... Hum sab he na tumhara pariwar..... Or to or Aksh bhi he na?
Sakshi: kaha he wo? Kaha he? Kitni koshish kar li use dhund ne ki.... Kaha he Aksh.....
Aksh ka naam sunkar Sakshi or bhi zyada rone lagi, Suhas ki Maa ne kisi tarah use shant kara diya.
S. Maa: ab Rona band karo..... Or mujhe batao tum Doctor se milkar ayi ya nahi?
Uski baat par Sakshi naa me gardan hila deti he.
S. Maa: me janti hi thi... Chalo pehle Doctor se milkar ate he....
Fir Suhas ki Maa Sakshi ko Doctor ke paas le jati he. Darasal Sakshi ki galat ki wajah se use har Hafte checkup ke liye jana padta tha, lekin Sakshi khud kabhi nahi jati thi, isliye Suhas Ki Maa use yaha le kar ati.

Khair, jese tese Sakshi kuch niwale apne gale se utar kar dawai le leti he fir Suhas ki Maa bhi use Sula kar ghar chali jati he.


Or kuch is tarah sabki zindagi guzar rahi thi. Aksh, Sakshi dono hi takleef me the. Kya Sakshi Aksh se mil payegi? Akhri DGP Abhinav ka Qaatil Aksh ko kyu kaha ja raha tha? Or sabse badi baat, Abhinav ki maut..... Sabka parda waqt ane par uth jayega.

Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
बड़े दिनों के बाद आया हूँ इस कहानी पर....
क्षमा प्रार्थी हूँ मैं 🙏🙏

पूरा कथानक ही परिवर्तित हो गया है बन्धु 😳😳
बड़े ही दिलचस्प मोड़ पर....
 

Alok

Well-Known Member
11,338
27,988
258
Waiting for next update bhai...
 

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,116
158
Chapter 3 - Qaatil

Update 7

Mega Update



Word Count: 4420
Estimated Reading Time: 00:25:00



Aaj mosam kafi kharab hua pada tha, tez barasti barish ki bunde, har jagah kadakti bijliya or ghana chaya andhera. Raat ke kareeb 10 baje hue the, Sakshi ghar ke darwaze par khadi Aksh ka intezar kar rahi thi.

Sakshi: pata nahi kab ayega ye ladka...... Yaha meri jaan nikli ja rahi he, or wo laat sahab ek call kar ke bata bhi nahi sakte..... huhhh....

Yaha Sakshi gusse me aag babula hue ja rahi thi, ke tabhi gate se Aksh apni gadi me agaya. Use dekh kar Sakshi ka gussa or zyada badh gaya. Aksh gadi se utar kar daud te hue ghar ke darwaze par ajata he, lekin Sakshi ke chehre ke hav bhav dekh kar wo samajh gaya ke aaj uski khair nahi he.

Aksh: k..... Kya hua Sakshi.... Tu... Tu aise kyu khadi he?
Sakshi: accha? Jese tu kuch janta hi nahi na? Subah se gayab he tu, mosam itna kharab ho rakha he, lekin ye nahi ke ghar par apni behen ko ek baar bata du.... Parwah hi nahi he koi tujhe, yaha teri chinta kar kar ke me marr hi jau, tujhe us se kya?
Wo bahot hi gusse me apne dono haath kamar par rakhte hue kehti he. Aksh bechara chup chap uska bhashan sunne lagta he.
Sakshi: ab batayega bhi ke call kar ke mujhe khabar karne ka kasht kyu nahi kiya tune?
Aksh: yaar aaj pure din network ka issue tha, or me to kab ka ghar ajata, lekin kuch zaruri kaam tha to....
Sakshi: zaruri kaam..... Ye Har baar ka bahana he Aksh tera....
Aksh: baba ab maaf bhi kar de.... Or ghar me ane de mujhe....
Wo apne kaan pakadkar Sakshi se maafi mangte hue kehta he.
Sakshi: kya kar lega agar nahi ane diya tujhe ghar me to?
Wo bade ho gusse me Aksh ke bilkul samne akar aakh dikhate hue kehti he. Uski baat par Aksh muskurate hue use barish me khich leta he.
Sakshi: aye Bavlat.... Ye kya.... Kya kar raha he tu?
Aksh: Sakshi tera dimag bahot garam ho chuka he, shayad kuch der barish me khade hokar thoda thanda ho jayega....
Uski baat par Sakshi ki bhi hasi chutt jati he.
Sakshi: Bavlat Kuthla (Pagal Kahi ka)..... Aksh mosam kitna bura tha aaj, tu ek baar mujhe bata deta ke tu thik he.... Me kab se yaha teri chinta ke mare mari ja rahi thi or tu.....
Aksh: Sakshi please itni fikar matt kiya kar meri.... Mujhe is baat ka humesha darr laga rehta he ke kal ko mere saath pata nahi kuch bura ho jaye to, kyu ke me janta hu mujhe kuch hua to sabse zyada dard to tujhe hi hoga... Or me kese tujhe kisi tarah ka dard de du?
Wo Sakshi ki baat bich me kaat te hue uska chehra apne haatho me thamkar kehta he.
Sakshi to bass Aksh ki aakho me is duniya se koso dur ja kar kho si gayi thi. Use apne aas paas ka jese koi ehsas hi nahi raha tha.

"Sakshi...... Sakshi.... Apni Aakhe kholo.... Sakshi"
Dhire dhire Sakshi apni aakhe khol rahi thi, or jese bi sune apni aakhe kholi, to usne apne aap ko Hospital bed par paya.
Sakshi: me.... Me yaha... Kese......
Sana: Sakshi tum us Factory me behosh padi thi.....
Uski baat sunkar Sakshi ko wo sara nazara samne ane lagta he, khas kar Qaatil ki aakhe. Jo sab yaad karte hue wo chup si ho jati he.
Anant: Sakshi.... Kya soch rahi ho?
Sakshi ko itni gehri soch me duba dekh kar Anant use puchta he.
Sakshi: n.... Nahi.... Kuch nahi.....
Anant: Sakshi mana ke tum is mission ko lead kar rahi ho, lekin koi bhi kadam uthane se pehle tumhe ek baar apni Team se bhi raay leni chahiye thi....
Sakshi: I'm Sorry sir.... Darasal mujhe kisi ko inform karne ka koi moka nahi mila, or mene socha ke me kese apne haath aya moka jane du....
Anant: thik he... Lekin agli baar is baat ka dhyan rakhna....
Sakshi: yes sir....

Uske baad Sakshi ko ek hi soch daraye ja rahi thi, or wo tha ke kahi uske uthaye is kadam se Qaatil Aksh ko nuksan na pahocha de. Ab Sakshi nahi janti thi, ke uske is kadam ki bharpayi kese hogi, wo to bass bhagwaan se gid gida kar Aksh ki Salamati maang rahi thi.

Wahi dusri taraf Aksh or Shahid dono hi is waqt behosh the, lekin Shahid ki halat bahot hi zyada critical thi, lekin sahi waqt par use ilaj milne se wo Abtak saase le pa raha tha, ek taraf Aksh ko hosh agaya or tabb use pata chala ke Sakshi ne uska chehra nahi dekha, lekin Shahid ki halat ke bare me jankar use kafi chinta ho rahi thi, is waqt Abdul bhi wahi mojud tha.

Abdul: ab samjhe Aksh Sakshi ko Anant ne CBI me kyu joda? Wo janta he ke tum kabhi Sakshi ko nuksan nahi pohcha paoge.... Or isi me uska jo bhi kaam hoga, usko wo aram se nikal sakta he.....
Aksh: lekin isme hum kya kar sakte he? Kis tarah roke un logo ko?
Jack: hum ek kaam kar sakte he, kyu na hum ek lawaris lash ko Aksh ki lash bata kar, uske bure se bure haal kar ke Sakshi takk pahocha de.....
Aksh: nahi, Sakshi CBI me kaam kar rahi he, wo log foran Forensic Results se pata karwa lenge ke ye meri laash nahi he.....
Abdul: sahi kaha..... Mujhe lagta he Aksh tumhe apne tarike se Anant ko samjhane ki zarurat he....
Wo Aksh ki aakho me dekhte hue kehta he.
Aksh: samajh gaya..... use ab mere tarike se hi samjhana hoga.....


Yaha Aksh ne mann hi mann Anant ko samjhane ka plan bana liya tha, or waha Sakshi bass pal pal bhagwaan se minnate kare ja rahi thi, ke Aksh sahi salamat ho.

Khair, kuch din yu hi bina kisi halchal ke nikal gaye, sabkuch bilkul shant tha, maan sakte the ke ye kisi andhi ke ane se pehle ki shanti he. Lekin waha Rana ki zindagi me bhi alag hi badlav achuka tha, Aksh ko dhund ne ki laakh koshish karne ke bawajud wo haar raha tha, or kahi na kahi ye baat uske ehenkar ko thes pahocha rahi thi. Wahi Aksh to jese din ba din or bhi zyada takatvar hota ja raha tha.

Ab Shahid ki tabiyat bhi thik ho chuki thi, aaj sab log milkar Rana ko sabse badi chot pahochane ke plan par kaam kar rahe the. Unka he plan kuch din baad ka tha. lekin us se pehle Aksh ko ek or kaam karna tha, or wo kaam tha Anant ke hosh thikane lana.

Waha Anant dopehar ke waqt apne ghar kuch kaam se laut raha tha, lekin raste me hi ek gadi tezi se uske dayi taraf se akar use takkar maar deti he. Anant ne car ka santulan kho kar use raste ke kinare par mojud ped se thok diya, or ye takkar kafi zor se hui thi. Anant jabtak apne aap ko sambhalta, Tabtak kisi ne car ka door open kar ke Anant ke gale me rassi ko dalkar use zor se daboch diya, or use ghasit kar gadi ke bahar khich kar niche gira diya. Anant ki nazar jese hi us insaan par gayi to uske hosh hi udd gaye.

Anant: Aksh.......
Aksh: Aksh nahi..... Qaatil
Uski baat sunkar Anant apni Gun nikalne laga, lekin tabhi Aksh ne chaku se ek gehra ghav Anant ke haath par kar diya jis se Anant dard ke mare karhane laga. Aksh ne niche jhuk kar chaku Anant ke gale par daba diya, or bade gusse se use dekhne laga.

Aksh: Aksh ko mare hue to bahot waqt ho gaya.... Jo tumhare samne khada he, wo Qaatil he.... jise na hi kisi par taras ata he, or na hi koi rehem.... To behtar yahi hoga ke mere raste me tum log taang na adao....
Anant: m..... Me... Me nahi, S.... Sakshi kar rahi he ye sab...... kya use bhi....
Wo Aksh ki aakho me aakhe dalkar muskurate hue kehta he.
Aksh: firse yaad diladu ke me Aksh nahi hu, Qaatil hu.... Mere liye sirf mera maksad mayne rakhta he, or us maksad ko pura karne ke liye me kisi bhi hadd takk gir sakta hu..... Dekhna chahoge?
Wo gusse me apne daat piste hue Anant ke gale par chaku ka dabav badhate hue kehta he. Or use chhod kar apni gadi ka door open kar ke ek laash ko Anant ke samne fek deta he. Us laash ke chehre par kapda bandha hua tha, Anant ko kuch samajh nahi raha tha, tabhi Aksh use kapda hatane ke liye kehta he, jese hi Anant ne us laash ke chehre par se kapda hataya, to uske hosh hi udd gaye, Kyu ke ye laash Neel ki thi.

Aksh: agar mera maksad pure hone ke bich koi aya to use zinda nahi chhodunga.... Or ek baar apne pariwar ke bare me bhi sochna.... Kahi aisa na ho, ke apna farz nibhate nibhate tum apne pariwar ko hi kho do.....

Wo aage badhkar apni gadi me beth te hue kehta he, of apni gadi ko ghuma kar waha se chala jata he. Yaha Anant ke hosh Neel ki laash dekh kar udd gaye the, lekin jate jate Aksh ne use pariwar ki dhamki de kar charo khane chitt kar diya tha.


Waha Sakshi or baki Team ko bhi Neel ke marne ki khabar mil chuki thi, jis se sabse zyada jhatka Sakshi ko laga. Wo in sabka zimmedar khudko maan rahi thi. Lekin is sab se uske mann me Qaatil ke liye nafrat or bhi zyada badh rahi thi. Anant ne Sakshi or Team ko Qaatil ke khilaf pakke plan ke siwa koi bhi action lene se mana kar diya.

Kuch din beet chuke the, aaj tha Aksh ki zindagi ka ek bahot hi ehem din. Kyu ke aaj Aksh Rana ki reed ki haddi todne ki firak me tha.

Abdul: Aksh, pehle jis jagah ko Virani Industries ke naam se jana jata tha, aaj waha India ki sabse badi Drug Smuggling ko anjam Rana ke dwara diya ja raha he..... Waha aaj hazaro kilo ka Drugs araha he, jiski kimat 900 crores ke aas paas he, or uska sara paisa Rana ne chukaya he, saath saath Factory me 100 crores ka cash bhi he.... Us cash ko apne paas rakh lena or.....
Aksh: janta hu, sab janta hu mujhe kya karna he.... Rana ko uske kiye ki saza deni he....
Wo Abdul ki baat bich me kaat te hue kehta he. Fir Abdul kuch der baad waha se chala gaya, yaha sab log raat ki tayari me lagg gaye.


Waha Sakshi ki aaj chutti thi, wo ghar ke sare kaam khatam kar ke Backyard me bethe kuch soch rahi thi.

Sakshi (mann me): me kya karu? Kabtak Aksh se dur rahungi? Mujhe Aksh ko kisi bhi kimat par us Qaatil ke changul se chhudana he.... Lekin Anant sir ne us incident ke baad koi bhi action lene se pehle unki raay lene ke liye kaha he..... Lagta he ab ye kaam mujhe akele hi karna hoga, lekin me akele kese kuch kar paungi? Uske saath to kuch log bhi he, me akele kese..... Nahi, mujhe ladna hoga... Apne liye nahi, Aksh ke liye..... Aksh, dekhna ab bass kuch hi waqt me tu mere paas hoga... Tu bass mujhe mil ja, me apna pyaar bhi bhul jaungi, me sabkuch bhul jaungi.... hum firse pehle ki tarah hi rahenge.... Me ab apni zidd chhod dungi.... Kyu ke mujhe ab sirf mera pyaar nahi, mera bhai chahiye..... Please bhagwaan mujhe Aksh se milwa do please......

Yaha Sakshi Aksh ko yaad kar roye ja rahi thi, or waha Aksh or baki sab bilkul tayar the aaj raat ke liye.

Raat ke kareeb 12 baje hue the, Aksh or uske sathi ek khali Raste par Trucks ka intezar kar rahe the. Or kuch hi der me unhe samne se 3 trucks ate dikhayi diye. Jankari ke mutabik ye wahi truck the jinme kareeb 900 crores ke Drugs mojud the. Shahid ne apni gadi on kar di, or Trucks ke piche piche le jane laga, sabse pehle Aksh chalti gadi ki window se bahar nikal kar roof par agaya, Shahid ne gadi Truck ke back door ke bilkul paas le aya. Aksh roof se hatkar gadi ke bonnet par agaya or waha se chalang markar Truck ke darwaze se ja latka. Usne ek haath se apne aap ko girne se roka hu tha, or dusre haath se door open karne me laga tha, Door open hote hi Aksh Truck ke andar ja betha, or door ko band kar diya, jis se door automatically lock ho gaya. Yahi chiz Steph or Jack bhi dohra dete he, ab tino truck me Aksh, Steph or Jack mojud the. Shahid or Karl apni gadi ko Trucks se thoda dur hatakar chalane lagte he. Kuch der baad ye sab Factory ke paas agaye the, Shahid ne apni gadi kuch dur hi rok di, lekin wo sab Bluetooth se connected the. Tino truck Factory ke andar dakhil ho chuke the. Waha par sirf 15-20 log hi the, wo sab alag alag truck ke piche akar khade ho gaye or har truck ka darwaza lagbhag saath me hi khul chuka tha, lekin jese hi Truck ka darwaza khula, andar se andha dhund goliya barasne lagi, waha khada koi bhi shaks is is situation ke liye bilkul tayar nahi tha, isliye truck ke paas khade sare log ek saath maut ke ghat utar gaye. Lekin goliya chalne ki awaz se Gate par khade kuch log andar ja kar Trucks par Goliya chalane lage. Ab Aksh, Steph or Jack truck ke andar hi apne aap ko Goliyo se bachaye chupe the, or yahi moke ke intezar me Shahid or Karl the. Shahid ne tezi se gadi factory ke andar bhaga di, or baki Goliya chalane ka kaam Karl ne kar diya. Ab waha sirf 5 log zinda the or wo the Aksh or uske sathi.

Shahid: very Good boys... Aksh, chalo hum dono jakar is factory me Bomb laga dete he... Or tum tino andar se sara cash apni gadi me bhar lo.
All: thik he....
Fir sab plan ke mutabik hone lagta he, waha tino sara cash apni gadi me bharne lage, or yaha Shahid or Aksh Factory me jagah jagah Bomb fit karne lage.

Shahid: Aksh, chalo.... We are done.....
Aksh: ha... Tum jao or gadi tayar rakho, me ye 2 bomb laga kar ata hu.....
Shahid: thik he.....
Fir Shahid niche jakar gadi ko gate ke bahar le ata he. Aksh ne bhi sare bomb plant kar diye the. Wo factory ke bahar akar gate par bhi ek akhri bomb laga deta he. Lekin jese hi Aksh gadi me bethne laga, tabhi Bomb ka remote niche gir gaya. Ab kisi bhi pal yaha dhamaka ho sakta tha.
Aksh: Shahid gadi bhaga do.......
Wo zor se chillakar kar kehta he. Uski baat par Shahid full speed par gadi bhaga deta he. Kuch hi Seconds me waha ek bada sa dhamaka ho gaya. Aksh or baki sab waha se dur to agaye the, lekin us dhamake ki shockwaves ne unki gadi palta di. Gadi 2 gulati kha kar ruk gayi. Aksh or baki sab kisi tarah gadi se bahar nikal aye, sabko bass halki fulki chott lagi hui thi. Unhone jaldi se gadi ko sidha kiya, or use dhakelte hue aage le aye. Ek khali raste par unhone gadi ko chalu hone ke layak thik kar diya or apne adde par akar sara paisa nikal kar andar rakh diya.

Waha Rana ko is hadse ki khabar mil gayi thi. Wo yaha akar apne nuksan ko apni aakho ke samne aag ki lapto me jalta hua dekh raha tha. Zindagi me pehli baar Rana ko itna bada nuksan hua tha. Kuch hi der me ye factory jal kar khak ho gayi thi. Rana akela hi apni gadi lekar kahi nikal gaya. Abdul janta tha ke wo kaha gaya he, or usne is baat ki khabar Aksh ko bhi de di.

Rana apne usi ghar me agaya, jaga uska baap apni jaan gava chuka tha. Andar akar Rana sidha diwar par lage us calendar par ek or cross kar deta he. Waha par usne Aksh ke Maa Baap ko marne ke baad uske pariwar ki puri tasveer lagayi thi, or usme Radha or Santosh ke chehre par cross bana tha.

Rana: or kuch waqt..... Uske baad.... Uske baad is photo ke sab logo par cross bana hoga.... Tabb jakar mera badla pura hoga....
Wo bahot hi gusse me apni num aakho ke saath kehta he.

"Or agar wo waqt ane se pehle hi me tujhe maut ke ghat utar du to?"

Piche se ayi awaz sunkar Rana piche mudkar dekhta he, lekin wah Aksh ko betha hua dekh kar uski aakho me to jese khun behne laga. Usne tezi se Aksh ki taraf badhkar use collar se pakad kar use samne ki diwar par de mara, Aksh ne apne bachav ke liye Rana ke haath pakad liye, lekin Rana ki takat Aksh par bhar padd rahi thi, Rana ne Aksh ka sar apne daye taraf rakhe shishe me de mara, jis se Aksh ke sar se khun nikalne laga. Rana ne Aksh ka gala zor se daba rakha tha.

Rana: chuhe ki tarah chup chup kar mera nuksan karta raha tu..... Or ye soch liya ke tu zinda bachega......
Aksh: A..... Aksh.... Aksh ko to tune kabka... Kabka maar diya.... Me to Qaatil hu, jiska..... Jiska ek hi maksad he..... Rana ki maut......
Wo Rana ki aakho me aakhe dalkar kehta he. Jis se Rana or zyada gussa ho gaya. Usne ek haath se tuta kaach ka tukda utha kar Aksh ki taraf badha diya, lekin Aksh ne uska wo haath pakad kar use zor se piche dhakel diya. Rana firse Aksh par dhava bolne laga, lekin is baar Aksh ne zordar mukka Rana ke chehre par maar diya, jis se Rana ke naak se khun nikal aya. Rana apne naak se aye khun ko haatho me laga kar dekhne lagta he.

Aksh: kyu..... Abtak kisi ki himmat nahi hui thi na tujhe chott pahochane ki?
Uski baat par Rana ne tezi se Aksh ko pakad kar niche gira diya, or uske chehre par kuch mukke maar diye. Or niche pada lakdi ka tukda utha kar Aksh ke sar me de mara, wo firse Aksh ke sar me us lakdi ke tukde ko marne lagta he ke tabhi Aksh us lakdi ko pakad kar Rana ko apne upar se hata deta he. Rana jabtak apne aap ko sambhalta, tabtak Aksh ne wahi lakdi ke tukde se Rana ke sar par vaar kar diya. Jis se Rana muh ke bal niche gir gaya. Aksh uski pith par akar piche se us lakdi ke tukde ke bich Rana ka gala daboch leta he.

Aksh: bahot maza araha tha na tujhe mere Aai Baba, Mansi or uske parents ka marne me? Ha..... Bahot maza araha tha na tujhe..... Bata..... bol.....

Ab Aksh ka gussa apni Charam sima paar kar chuka tha, wo chillate hue Rana ka gala jitni ho sake utni takat se daba raha tha, uski aakho me gussa, badla, or apne pariwar ko khone ka dukh saaf saaf dikhayi de raha tha. Rana tadapte hue apne gale se wo lakdi ka tukda hatane ki koshish me tha, lekin tabhi Aksh hi use azad kar deta he. Rana diwar se tek laga kar lambi lambi saase lene laga. Aksh uske samne jhuk kar uske baal pakad leta he.

Aksh: bol..... Kya kiya tha mere Aai Baba ne.... Mansi ki kya galati thi? Bol.....

Lekin is se aage Aksh kuch karta, ke tabhi Rana ne kanch ke tute tukde se Aksh ke kamar me dhasa diya, Aksh is se piche ja kar gira, Rana uthkar firse uspar vaar karne wala hota he ke tabhi Aksh ne apne dono pero se uska haath jakad liya, or apne haath me mojud lakdi se Rana ke sar me zor se maar diya, Rana ki position is waqt bahot buri thi, Aksh ne uska haath itni zor se jakda hua tha ke Rana dard ke mare chillane laga, Aksh ne use ghutno par ane ke liye majbur kar diya tha, or wo Rana ka haath or zor se jakde ja raha tha, Aksh ne jaldi se uska wahi haath apne haatho me pakad liya, or ek hi jhatke me use mod diya. Is se Rana ki bahot dard bhari chikh nikal gayi, lekin Aksh ab bhi nahi mana, usne Rana ko pakad kar diwar ke kone me uska sar 2-3 baar patak diya. Ab Rana ki bhi halat kharab ho rahi thi. Lekin wo bhi haar maan ne walo me se nahi tha, usne Aksh ki kamar par lagi chot me ungli dhasa di, jis se Aksh ka Rana par se pura control chala gaya. Ab Rana ne ek haath se Aksh ke baal pakad kar uska sar diwar par maar diya. Rana ka ek hi haath kaam kar pa raha tha, jis wajah se wo Aksh par zyada der control nahi kar paya. Aksh ne is baar Rana ke per ko nishana banaya, or uske per ko bhi buri tarah se chot pahocha di. Ab Rana ne to jese haar maan ni shuru kar di thi. Lekin Aksh ne tabhi waha lage TV ko sidhe Rana ke chehre par de mara, Rana ka pura chehra khun se sann chuka tha, or ab to usme takat bhi nahi bachi thi. Uski Gun bhi bahar gadi me thi, Rana ghar ke ek kone me ghayal pada tha tabhi Aksh ne Gun nikal kar Rana par point kar di. Ye dekh kar Rana muskurane laga or sidha hokar kone me tek laga kar apni aakhe band kar di. Lekin jab Aksh ne uspar goli nahi chalayi to Rana ne apni aakhe khol li, tabb Aksh diwar par lage us calendar or tasveero ke paas khada tha.

Aksh: itni asan maut thodi na dunga tujhe..... Ab ye calendar mere paas hoga, jis din tujhe apna badla pura karna he, usi din tujhe itni battar maut dunga ke tu soch bhi nahi payega.....

Wo Calendar or tasveero ko lekar Rana ke paas ake uske chehre ke bilkul nazdeek jakar kehta he. Rana bhi bass use gusse se dekh raha tha, tabhi Aksh ne Gun ko Rana ke kandhe par rakh kar fire kar diya. Rana dard me karhate hue zameen par gir gaya.

Aksh: jitna mujhe tadpaya he, us se kayi zyada tadpaunga tujhe..... Or waqt ayega..... Teri maut ka....
Itna kehkar Aksh waha se nikal jata he. Lekin waha Rana ki aakho me se aasu ane lage the.

Rana (mann me): a.... asli tadap..... Asli Tadap mene.... Mene dekhi he Aksh..... Or mujhe.... Mujhe zinda chhodkar.... Tu.... Tu galati kar raha he....


Waha Rana kafi der takk apna atit yaad kar ke asu baha raha tha, or kafi der baad usne Abdul ko phone kar waha bula liya tha. Abdul use le ja kar uska ilaj karwa deta he.

Or wahi Aksh apne adde par akar us calendar or apne Aai Baba ki tasveer ko diwar par laga deta he. Lekin uske saath ek or photo thi, jisme bahot se logo ki tasveere thi, lekin Aksh ko jhatka tabb laga jab usne apne Dadaji ki tasveer bhi usme dekhi. Tabhi use Aman ki kahi kuch aakhri baate yaad ane lagi.


Flashback:

Surat me jis din Aksh ke Aai Baba Mansi ke parents se mile the, us raat waha sabki lashe mojud thi, Aksh ghar ke bicho bich apne ghutno ke bal bethe ye sab nazara dekh kar roye ja raha tha ke tabhi use Aman ki awaz sunayi di. Wo jaldi se uthkar ghayal pade Aman ke paas chala gaya.

Aksh: uncle.... Uncle aap.....
Aman: A..... Aksh..... Aksh.... Meri baat..... Meri baat suno..... Ye sab.... Ye sab..... Ahhhhhh..... Joshi Kaka..... Matlab.... Matlab tumhare dadaji se.... Unse... Unse shuru hua tha..... Aksh, tumhe..... Tumhe Rishi ki asli maa... Rukh.... Rukhsar ke pati.... Pati ke Qaatil ko dhund na hoga..... sari sacchayi.... Sari sacchayi tabhi samne ayegi...... or Rana..... Rana...... Ahhhhhhhh....
Wo aage kuch bolta ke bhagwaan ne use is duniya se wapis apne paas bula liya. Pehle hi apne pure pariwar ko marta dekh Aksh kuch bhi sochne samajhne ki takat kho chuka tha, usme Aman ki Adhi adhuri baat Aksh ke palle nahi padi.

Present:

Aksh (mann me): to kya Dadaji ko Rana ke Baap ne mara hoga? Or ye silsila ab bhi jari he.... Lekin Abdul se baat kar chuka hu me, na hi wo Rukhsar naam ki aurat ko janta he, na hi Kriti ko.... Lekin Abdul ne to mujhe Rana ke atit ke bare me bhi nahi bataya.... Agar Abdul Rana ka itna khas admi he, to use in sabki jankari honi chahiye thi.....

Ab yaha Aksh sari baato ko kahi na kahi jodne ki koshish me tha, lekin ye baat or bhi zyada ulajh rahi thi. Aksh ne ye to maan liya tha ke Abdul ko Rana ke atit ke bare me kuch pata nahi he. Darasal jab Aksh ne Abdul se uska saath dene ki wajah puchi to Abdul ne ye kaha tha ke Rana ne uske pariwar ko bhi mara tha. Or usi ka badla lene ke liye wo Rana se juda he.

Khair, aage ki baate sochne ke liye Aksh me takat nahi thi, uski chot ka ilaj karwane ke baad wo gehri nind me chala jata he.

Wahi dusri taraf Rana bhi apne kamre me Haatho me saline lagaye tha.

To ye tha aaj ka Update, kafi sare sawal ek baar fir se uth chuke he. Ke akhir aisi konsi baat thi jo Abdul ne Aksh ko ye nahi bataya ke Rukhsar uski hi behen he. Or Aman ki wo baat, ke sacchayi tabhi samne ayegi, jab Aksh Rukhsar ke Pati ke Qaatil ko dhundega. Akhir kon he wo asli Qaatil? Akhir is khel me kon jeet raha he, or kon haar raha he? Kayi sari baate waqt ane takk aise hi raaz bani rahegi. Tabtak ke liye bane rehna.


agar update accha laga ho to like zarur karna or comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. agla update jald hi ayega till then stay tuned and keep smiling 😊 😊
shandaar superbbb jbrdst update bro
 

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,685
29,069
218

Chapter 3 - The Qaatil

Update 2

Mega Update

Word Count: 5100
Estimated Reading Time: 00:25:00



Gujrat Ki sham ke waqt suhani behti hawaye, dubta hue suraj ka khushnuma nazara or ek dusre ki baho me lipat kar bethe hue Aksh or Mansi, is waqt Mansi Aksh ki Godd me sukoon se bethi hui thi, Aksh ka ek haath Mansi ke pet par tha, or dusra haath uske baalo me tha.

Mansi: Aksh..... Mene kabhi socha nahi tha me apni zindagi me kisi ko apni jaan se bhi zyada chahne lagungi....
Aksh: isi ko to zindagi kehte he na..... Jo hum sochte he, zindagi har bar us se dus kadam aage ki sochkar bethi hoti he.
Mansi: lekin zindagi ki meri tumse milane ki soch sabse Khubsurat soch thi.... or me uski humesha shukar guzar rahungi....
Aksh: accha? Itna pyaar ho gaya mujhse?
Mansi: karna to nahi chahti thi.... Humesha sochti thi ke me is pyaar se dur hi rahungi lekin kismat ko shayad ye manzur nahi tha.....
Aksh: kehte he na, jo hota he acche ke liye hota he...
Mansi: lekin kabhi mere saath kuch bura hua to?
Aksh: tum par koi aach nahi ane dunga me Mansi.... Ye mera wada he....
Wo piche se Mansi ko or zor se apni baho me kaste hue kehta he. Mansi ki saase kafi bhari hone lagi thi, wo bass apni aakhe band kar deti he, or is lamhe ko jine lagti he. Aksh ne apne hont Mansi ke gale par chuye hi the ki uski garam chalti saaso se Mansi sihar uth ti he.

"Aksh...... Aksh......"

Aksh ke dimag me Mansi or uski sari suhani yaade arahi thi lekin tabhi use Mansi ke chillane ki, dard se karhate hue use pukarte waqt ki awaze ane lagti he. Jis se Aksh apna sar pakad kar uth jata he, Aksh ne chillate hue apne kamre ka shisha ek hi mukke me chakna chur kar diya, or niche bethkar zor zor se hafne laga. Aksh jab apne haath par nazar dalta he, jaha se khun risne laga tha, to Aksh ko wo sara nazara apne samne dikhayi dene laga.

Aksh: Ma.... Mansi, me...... Me apna... Wada nahi nibha paya..... Meri aakho ke samne tum.... tum roti rahi, chillati rahi lekin.... Lekin me kuch nahi kar paya..... me kuch nahi kar paya..... Aai, Baba.... Sab... Sab mere samne tadap rahe the, lekin me.... Me lachar tha....

Or ye sab kehte hue Aksh zor zor se rone lagta he. Kuch der yuhi rone ke baad Aksh uthkar drawer se ek tasveer nikal leta he. Lekin us tasveer ko dekh kar Aksh ke chehre par koi bhav nahi dikhayi de rahe the. darasal wo tasveer Sakshi ki thi, Aksh firse us tasveer ko drawer me rakh deta he. Or ja kar kadi exercise karne lagta he. Pichle kuch dino me Aksh ne itni sari lashe gira di thi ke koi bhi ek aise ladke ke bare me jankar darr jata, jiska background ek decent family se tha or aaj wo ek darinda bann chuka he. Pure Gujarat me is Qaatil naam ke Darinde ka khuaf cha chuka tha, har roz News Channel me Qaatil dwara hui Darindagi bhari ghatnaye dikhayi ja rahi thi. Koi soch nahi sakta tha ke is Darindagi bhare kaam ke piche ek sadharan pariwar ka ladka tha. Qaatil ki ek nishani thi, wo jaha par bhi apne kaam ko anjam deta waha lasho ki aakhe gayab hoti thi, or yahi Qaatil ki Pehchan bann chuki thi, Waha Rana ye sab dekh kar gusse me aag babula ho raha tha, kyu ke Qaatil ka nishana to sirf Rana ke aadmi hi ho rahe the.

Rana: Abdul.... Ye kya ho raha he? Is Aksh ka pata abtak kyu nahi laga?
Abdul: Boss, Aksh akela he..... Uske piche na koi 100 logo ki gang he, na uska koi thikana he.... Isliye usko dhund na mushkil ho raha he.... Wo akela ata he, or apna kaam kar ke chala jata he.
Rana: mujhe har kimat par Aksh mere samne chahiye, or wo bhi zinda halat me.....
Abdul: aisa hi hoga Boss.... Wo aapke samne khada hoga, or wo bhi Zinda.....
Wo Rana ki aakho me aakhe dalkar kehta he.


Dusri taraf wo jagah, jo pehle Virani Industries ke Business ko handle karti thi, aaj us jagah par ek factory thi, jaha Shakkar banane ka kaam ho raha tha, lekin asliyat to kuch or thi, Shakkar ki aad me yaha par beshumar tadaat me Drugs ki Smuggling ho rahi thi, CBI ne Smuggling kabu karne ke liye sare hatkande apna liye the, lekin jab se Aksh ki Company band padi thi, tabse CBI ki Drugs ko track karne ki shamta kho gayi thi, unhone lakh koshish kar li thi Aksh ke banaye System ka replica banane ki, lekin har bar usme koi issue ajata tha, koi company is tarike ka system banane me puri tarah kamyab nahi ho pa rahi thi. Or yahi wajah thi ke kuch waqt tak kabu me aya wo Drug Smuggling ka daur ab khatam ho chuka tha.


Anant: sana, kya hua? Sakshi ke bare me kuch....
Is wanqt Anant CBI ki secret agent or is mission ke dusre Officer ke saath apne cabin me betha hua tha. Darasal Anant ne apne Officer ko bolker Sakshi ki details nikalne ko kaha tha. Or ye kaam Sana ki zimmedari thi, jo ki CBI or Abhinav ki sabse kabil Secret Agent thi.
Sana: sir, Sakshi is waqt Banglore me ek Software company me job kar rahi he... But sir use dekh kar aisa lagta he jese... Jese she is Dying.... Aap ko sachme lagta he ke is mission me Sakshi kaam ayegi?
Anant: is waqt Sakshi ke paas jine ka koi maksad nahi he, hume bass use wo maksad dena he, fir is mission ko hum asani se complete kar sakte he....
Officer: to sir aap Sakshi ko.....
Anant: thik kaha.... Sakshi ko ab CBI join karna hoga.....

Anant kafi gehri soch me kehta he, is waqt mission ko lead karne wala Anant hi tha, usne Abhinav ke saath milkar kayi sare case solve kiye the, usne humesha ek chiz notice ki thi ke Abhinav sirf Force ke balbute hi nahi, balki apne dimag ke balbute sare case solve karta tha, or Anant bhi is mission ko Abhinav ki soch ke hisab se solve karna chahta tha. Ab Anant ke dimag me akhir kya tha ye to khud wahi jane.

Agar Sakshi ki baat ho hi rahi he to ek nazar Sakshi par bhi daal li jaye.

Is waqt Sakshi Surat me thi, wo kafi der se Surat ki High Security Jail ke bahar khadi thi, Lekin use koi andar jane nahi de raha tha. Tabhi ek Inspector ki nazar mannate mangti hui Sakshi par padti he. Wo akar Sakshi ke paas khada ho jata he, use dekh kar baki police Salute karte he.

Inspector: kya baat he? Ye kya ho raha he yaha?
Wo kafi sakht lehze me puchta he.
Sakshi: Sir..... Please, mujhe..... Mujhe mere bhai se milna he, me har baar yaha ati hu, lekin... Lekin koi mujhe us se milne nahi deta.... Please....
Wo apne haath jodkar Inspector ke samne gid gida kar keh rahi thi.
Inspector: naam kya he tumhare bhai ka?
Sakshi: ji.... Aksh... Aksh Joshi.....
Inspector: ohh.... Aksh, tumhe us se milna he? Fir to mujhe maaf karna... Tum us se nahi mil sakti....
Or ye kehkar wo aage jane laga, lekin tabhi Sakshi uske samne akar uska rasta rok deti he.
Sakshi: me janti hu aap sab mujhe kyu us se milne nahi dete, kyu ke wo Jail me he hi nahi....
Inspector: Aksh ko Gujrat ki kisi bhi Jail me rakh sakte the, Lekin pata he use yaha kyu rakha he? Kyu ke tumhara bhai ek bahot bada criminal he..... Wo Qaatil he ek CBI Head ka, Wo ek Qaatil he apne hi Maa Baap ka......
Sakshi: Aksh ne kisi ko nahi mara...... Kisi ko nahi..... Ye sab... Ye sab use fasane ke liye kiya gaya tha....
Wo Inspector ki baat bich me katkar gusse me chillate hue kehti he.
Inspector: accha? He koi saboot? He koi saboot jo use begunah sabit kar sake? He to do.....
Uski baat par Sakshi rote hue waha se nikal kar kahi chali gayi, Inspector ne is baat ki khabar Anant ko dena sahi samjha.

Inspector: Hello, Sir wo Aksh ko behen.... Wo yaha ayi thi....
Anant: kya wo pehli baar yaha ayi thi?
Inspector: no sir... Usne kaha ke wo kayi baar yaha akar gayi he... Lekin Aksh ko high Security Cell me rakha gaya tha, or Court ke adesho ke mutabik kisi ko Aksh se milne ki permission nahi thi, to uski behen us se nahi mil payi.... Mene aapko isliye batana zaruri samjha kyu ke abhi abhi aapne Aksh ko bahar nikalwaya he, upar se uski behen ko yakeen he ke Aksh Jail me nahi he....
Anant: thik he.... Ab aage me janta hu kya karna he...
Inspector: okay sir....
Fir Anant ne call kaat kar Court ke Judge ko call kar diya. Or use kuch baate bata di.
Anant: Sana.... Jaldi se jao, Sakshi Is waqt Surat me hi he, use lekar ajao.....
Sana: okay sir....
Fit Sana waha se rawana ho gayi.

Waha Sakshi bass apne asu bahate hue aage badh rahi thi.

Sakshi (mann me): me janti hu Aksh ke khilaf ye sab sazish ho rahi he..... Wo Jail me he hi nahi, agar hota to mujhe us se ek baar milne ka moka zarur milta.... Aksh.... Kaha he tu? Dar dar ki thokre kha rahi hu tujhe dhundh ne ke liye....

Jabtak Sakshi apne dil se baate kare ja rahi thi, tabhi uske samne ek car akar ruk jati he, or usme se Sana nikalti he.

Sana: Sakshi?
Sakshi: ji.... Kahiye?
Sana: please aapko mere saath ana hoga....
Sakshi: kaha? Or aap... Aap he kon?
Fir Sana ne apni ID Sakshi ke samne kar di, CBI ki ID dekh kar Sakshi darr gayi thi.
Sana: please cooperate karke mere saath chaliye....
Sakshi ko kuch samajh nahi rah tha, wo bass Sana ke saath chali jati he. Sakshi kafi nervous thi, lekin Sana use bass kuch zaruri kaam se le ja rahe he aisa keh deti he. Thodi der me Sana Sakshi ko lekar pahoch gayi thi, is waqt cabin me Sakshi ke alawa Anant, is mission ka ek or Officer Neel or Sana mojud the. Kyu ke Sakshi Anant ko janti nahi thi, usne ek baar Aksh ke saath Anant ko dekha tha, lekin is baat ko kafi waqt ho chuka tha.

Sakshi: mujhe yaha kyu...... Or aap sab....
Anant: Sakshi me Anant..... Abhinav Sir, Aksh or mene saath kaam kiya he.
Sakshi: Matlab aap Aksh ko jante ho?
Aksh: acche se janta hu.....
Sakshi: to fir..... Aap... Aap jante hoge ke jo ilzam Aksh par lage he wo sab jhut he...... Aksh kabhi aisa kaam nahi kar sakta or.....
Anant: is waqt sare saboot Aksh ke khilaf he..... Or use saza isi sabooto ko madhya nazar rakhte hue milegi.
Wo Sakshi ki baat bich me kaat te hue sakht lehze me kehta he.
Sakshi: kese saboot? Sare saboot jhute he..... Jhut he ye sab.... Aksh ko fasaya ja raha he.....
Wo apni chair se uthkar kafi gusse me kehti he.
Anant: sahi kaha tumne..... Aksh ko fasaya ja raha he....
Uski baat sunkar Sakshi shock ho gayi.
Sakshi: to fir kyu Aksh ko begunah sabit nahi karwate aap?
Anant: humare paas koi pakka saboot nahi he, or Court ke adesho ke khilaf hum nahi ja sakte....
Sakshi: konse aadesh? Koi adesh sacchayi se bada nahi hota.... Or sacchayi ye he ke Aksh ne kuch nahi kiya...
Anant: lekin court in sab bato me nahi manta, jo kuch saboot court ke paas he, wo sab Aksh ko Gunehgar dikha rahe he, or koi bhi sacchayi Court ke adesho ke upar nahi ho sakti.....
Sakshi: lekin....
Anant: Sakshi mene tumhe yaha kisi or maksad se laya he.....
Wo Sakshi ke bolne se pehle hi uski baat kaat deta he. Jis se Sakshi chup ho jati he.
Anant: Sakshi.... Me chahta hu ke..... Ke tum CBI Join karo.....
Uski baat sunkar Sakshi ke honto par hasi agyi.
Sakshi: Agar aap mere begunah Aksh ko nahi bacha pa rahe, to aapko kya lagta he? Me aise logo ka saath kabhi dungi? To aapko galat fehmi ho rahi he....
Wo kursi se uthkar khade hote hue kehti he, or piche mudkar bahar jane lagti he.
Anant: ruko Sakshi.....
Uski awaz ne Sakshi ko rok liya, Sakshi piche mudkar Anant ki taraf dekh rahi thi, tabhi Anant ne TV on kar ke News Channel chala diya.

TV: agli khabar Surat sheher se.... Surat ki sabse kadi Jail me se ek khunkar apradhi jiska naam Aksh Joshi he, khabhar mili he ke aaj hi ye apradhi Jail se bhagne me kamyab ho gaya he, kuch dino baad Aksh ki Court me akhri peshi honi thi, or us se pehle hi apradhi ka Jail se bhag jana kayi sare sawal khade karta he. Abhi abhi mili jankari ke anusar Court ne Aksh ke khilaf Shoot At Sight ke order jari kar diye he......

Ab ye sab sunkar to Sakshi ke hosh ud gaye, or Aksh ko Shoot At Sight ke order sunkar to Sakshi ki aakho se asu ane lage the, wo to chakkar kha kar girne hi wali thi ke Anant or Sana use sambhal kar chair par bitha kar pani pila dete he.

Sakshi: ye sab..... Ye sab kya ho raha he? Aksh..... Mujhe Aksh se.....
Wo rote hue kuch bole ja rahi thi ke tabhi Anant bich me bol padta he.
Anant: Aksh se milne ka tumhare paas ek hi rasta he.....
Sakshi: konsa rasta?
Anant: tumne Qaatil ka naam suna he?
Sakshi: Qaatil......
Anant: ha kuch dino se pure sheher me is Qaatil naam ke criminal ne khauf ka mahol bana diya he....
Sakshi: lekin iska Aksh se kya......
Anant: lena dena he.....
Wo Sakshi ki baat kaat te hue kehta he.
Anant: lena dena he Sakshi..... Yahi tumhare Maa Baap ka Qaatil he..... Yahi Mansi or uske Maa Baap ka Qaatil he.....
Uski baat Sakshi ke samajh nahi arahi thi, akhir ye sab chal kya raha tha Sakshi kuch samajh nahi pati.
Anant: dekho Sakshi hume pura yakeen he, ke us raat jo kuch hua, uska asli Qaatil Aksh nahi balki yahi he.... Humare paas saboot na hone se hum Aksh ko begunah sabit nahi kar paye.... Or ab ye.... Tum batao akhir ye Court ke akhri sunwahi ke pehle hi Aksh ka Jail se bhaag jana, jabki Aksh ko to in sabki khabar takk nahi thi.... In sabke piche Qaatil ka hi haath he.... Lekin ye akhri moka he Sakshi..... Or ye kaam sirf tum hi kar sakti ho.... Or ho sakta he is Qaatil ko pakad kar tum Aksh ko bhi paa lo.....
Anant ki ye sari baate sunkar Sakshi bhi ab soch me padd gayi, lekin Aksh se wapis milne ki baat sunkar Sakshi gehri soch me chali jati he, or kuch hi der me Sakshi ki aakho me Badle ki aag dikhayi dene lagi, jo dekh kar Anant samajh gaya ke ab uska kaam ho jayega.
Sakshi: m...... Me.... Me tayar hu, me kuch bhi kar ke mere.... Mere Aai Baba or A..... Aksh ke Qaatil ko saza dilwaungi....
Uski baat sunkar Anant chain ki saas leta he.
Anant: very good Sakshi.... Mujhe tumse yahi ummid thi.....
Wo Sakshi ke kandhe par haath rakhte hue kehta he. Kuch der Sakshi se baat karne ke baad Anant use Driver se kehkar Airport chhod deta he. Lekin Sakshi ke jane ke baad Sana or Neel sawalo bhari nazro se Anant ko dekh rahe the.

Anant: me janta hu tum dono ke mann me kayi sare sawal uth rahe honge....
Sana: obviously sir.... Ye jante hue bhi ke ye sheher me Qaatil naam se jo khauf macha raha he wo or koi nahi balki Aksh hi he, fir bhi aap Sakshi ko uske Khilaf.....
Anant: mene bahot soch samajh kar ye faisla kiya he.... Dekho hum jante he ke us raat jo kuch hua, wo Rana ne kiya he.... Lekin usko pakadna humare bass ka nahi raha... Hum Rana ko pakadne ke liye bade se bada plan bana sakte he, lekin usme ek kami hogi... Or wo kami he badla.... Or ye kami sirf Aksh dur kar sakta he, uska maksad sirf or sirf badla he.... Lekin iske chalte wo kisi ki bhi jaan le sakta he, Agar use hum roke to wo hume bhi zinda nahi chhodega.... isliye mene Sakshi ko mohra banaya, jis se Aksh par humesha dabaw bana rahega.
Neel: aap bilkul sahi keh rahe he.... Lekin sir Sakshi ye zimmedari utha payegi? I mean Physically She is not well.....
Anant: Neel agar kisi ke dimag par junoon sawar ho jaye to uske liye ye Physical Health or kuch mayne nahi rakhta.... Sakshi ko apne bhai ko pana he, uske liye wo kuch bhi kar guzar jayegi.... Or baat rahi uski Physical Health ke bare me to jese hi Sakshi yaha ayegi, uski training shuru karwa dena....
Neel: okay sir....
Anant: or ha, Sakshi ka fir se yaha ane ka, or rehne ka intezam kar dena....
Neel: okay sir...
Fir Neel or Sana apne apne kamo me lagg gaye.

Waha Sakshi pure raste ek positive soch ke saath thi, ke wo ab Aksh ko bacha payegi. Saal bhar se zyada ho chuka tha, lekin Sakshi ne Aksh ko dekha nahi tha, or use firse pane ki Aas ne Sakshi ke andar ek ummid ki kiran jala di thi. Kuch der baad Sakshi Banglore agayi or apne sare kaam nipta kar Suhas ke ghar ja kar unhe sari baat bata di. Jis se unhone bhi Sakshi ko jane diya.

Waha Rana apne kamre me bethkar Hookah ke maze le raha tha ke tabhi uske Mobile par call agaya lekin uspar koi number show nahi ho raha tha, tabb Rana call pick kar deta he.

Rana: kon he Matharchod.......
Dusri taraf: 20 minute.....
Uski awaz Rana ko kuch jani pehchani lagg rahi thi.
Rana: tu he kon Matharchod.....
Wo gusse me gurrate hue kehta he.
Dusri taraf: itni jaldi bhul gaya? Tera dost..... Aksh...
Aksh ka naam sunkar Rana ke kaan khade ho gaye.
Rana: bhosdike tu......
Aksh: chup chap meri baat sunn..... 20 minute he tere paas.....
Rana: kese 20 minute Matharchod..... Jaan gawani he kya tujhe.....
Wo gusse me Hookah zameen par fekte hue kehta he.
Aksh: gussa matt kar..... 20 minute isliye kaha mene kyu ke tujhe waha se yaha tere Baap ke paas ane me 20 minutes lagte he na?
Ab apne Baap ka naam sunkar Rana ke pasine chutt gaye.
Rana: kya laga rakha he tune? Tujhe andaza bhi he ke agar tu mere haath agaya to tera kya haal karunga me?
Aksh: wo to baad ki baat he na? Is waqt to tera baap mere haath me he.... Kya karu uske saath?
Rana: chutiya samjha he mujhe? Tu kahega or me.....
Aksh: saboot dekhna he to aja jaldi tere baap ke paas.... 20 minutes me....
Rana: sunn....
Wo aage kuch bolne wala hota he ke tabhi Aksh ne call cut kar diya. Lekin ab Rana gusse me tilmilane laga tha. Wo jaldi se kamre ke bahar ajata he or Abdul ko awaz laga deta he.

Abdul: kya hua Boss.... Aap...
Rana: us Matharchod Aksh ka call tha....
Uski baat sunkar Abdul samajh gaya aage kya hone wala he.
Rana: wo is waqt ba..... Bauji ke paas he aisa keh raha tha....
Abdul: kya? Ye kese..... Me abhi dekhta hu ja kar....
Rana: nahi, sab admiyo ko saath lo.... Aaj us Aksh ko pakadna hi he.... Chalo....
Wo kafi gusse me kehkar aage badh gaya. Uske piche sablog chal padte he. Bahar ek ke baad ek gadiya aage badhne lagi thi.


Yaha Aksh Rana ke Baap M.P. Rana ke samne haath me dhardar khanjar lekar betha hua tha.

Aksh: tu or tera beta Rana..... Tum logo ko tumhare kiye ki bahot buri maut milne wali he....
Wo MP Rana ke paas akar bahot hi gusse me kehta he, lekin use dekh kar MP Rana muskurane lagta he.
MP Rana: haha..... S.... Suna he... Suna he tere Maa Baap ko bahot buri tarah mara mere bete ne....
Wo bina Aksh se dare muskurate hue kehta he. Jis se Aksh ko or bhi zyada gussa agaya.
Aksh: has le.... Akhri baar hass le, kyu ke ab tujhe tere kiye ki saza milne ja rahi he....
Wo puri takat se MP Rana ka gala dabate hue kehta he. Or fir uska gala chhod khada ho jata he. MP Rana apna gala pakad kar khaas raha tha ke tabhi Aksh ne uska per pakad kar use bed se niche gira diya. MP Rana dard me karhane laga, lekin Aksh ko uspar tinka bhar bhi taras nahi araha tha. Aksh ne aage akar apna ek Per MP Rana ke chaati par rakh diya, MP Rana Aksh ka per pakad kar apni chaati se hatane ki nakam koshish kar raha tha, lekin tabhi Aksh zor se uski chati par laat maar deta he, uski laat se to jese MP Rana ne apni aadhi jaan hi chhod di thi. Lekin Aksh use aise ek jhatke me thodi marne deta, Aksh ne niche jhuk kar MP Rana ke baal pakad liye or uska sar thoda upar utha diya. Aksh ki aakho me is waqt itna gussa mojud tha ke kisi ki himmat nahi hoti uske samne khade hone ki, Aksh ne apne Khanjar se ek gehra vaar MP Rana ke chehre par kar diya. Us kamre me sirf MP Rana ki chike sunayi de rahi thi, Aksh ne use tadapta hua zameen par chhod diya or apne saath layi rassi nikalkar MP Rana ke haath, per or badan ke kuch hisse bandh diye. Or fir sabse pehle Aksh ne uske haath katna shuru kar diya, MP Rana dard me karha raha tha lekin Aksh ke sar pe to jese shaitan hawi ho gaya tha, use bilkul ehsas nahi tha ke akhir wo kar kya raha he. Jese hi Aksh ne MP Rana ka haath kaat kar alag kar diya, usne uthkar wo rassi se bandha, kata hua haath ghar ki chatt se bandh di, tabtak MP Rana ro raha tha, chilla raha tha, Aksh se apni jaan baksh dene ki bhik mang raha tha, lekin Aksh uski bina sune apne kaam ko anjam dene lagta he, or ek ek kar ke Aksh ne MP Rana ke haath, per or uska gala kaat kar alag kar diya, or jagah jagah chatt par use bandh diya. Ye sab hone ke baad Aksh pagalo ki tarah hasne laga or apne khun se sane haath saaf kar ke waha se nikal gaya.

Dusri taraf Rana yaha pahoch chuka tha, wo gadi se utar kar ghar ki taraf jane laga, lekin tabhi use darwaze ki chokhath me se khun behta dikhayi diya, jo dekh kar Rana ka darr yakeen me badal gaya. Rana ne jese hi darwaza khola to usko apni aakho par yakeen kar pana mushkil ho chuka tha, kyu ke darwaze ke samne hi MP Rana ka kata hua sir bina aakho ke chatt se latka hua tha, Rana ki nazar apne Baap ke sharir ke alag alag hisso par pad rahi thi, or aaj ye sab dekh kar Rana ke aakho me asu agaye the. Abdul ko bhi Aksh se ye ummid nahi thi. Lekin ab sar par badle ka junoon sawar tha, or wo junoon Aksh se har wo namumkin chiz karwane wala tha.

Khair, Sham ke waqt Sakshi firse Surat achuki thi, us waqt wo Anant ke saath cabin me bethi hui thi.

Anant: Sakshi, abse tumhe apni sehat par dhyan dena hoga.... Kyu ke is particular mission ko tum lead karogi. Kuch dino takk tumhari training hogi uske baad tum apne mission par jane ke liye tayar ho jaogi.
Sakshi: lekin sir aaj News me jo kuch aya tha, or Police Aksh ko.....
Wo apni chinta zahir karte hue Kehti he.
Anant: koi kuch nahi kar payega.... Me Court se special permission le lunga ke Aksh ke khilaf Shoot at Sight ke order wapis le le...
Uski baat sunkar Sakshi ko thodi rahat mil gayi.
Anant: sabse badi baat ye he ke Aksh us Qaatil ke hawale me hi hoga....
Ab ye baat sunkar Sakshi heran reh gayi.
Sakshi: kya? Lekin....
Anant: me sure nahi hu, lekin iski puri sambhavna he.... Kyu ke Aksh ki halat aisi nahi thi ke wo chal kar yaha se waha bhi ja paye....
Aksh ke bare me ye sunkar Sakshi ki aakhe num ho gayi thi.
Sakshi (mann me): Aksh..... Me... Me tujhe kuch nahi hone dungi, in sabke asli Qaatil ko pakadne ke baad, hum dono kahi chale jayenge... Jaha humare bitee kal ki parchayi bhi hum par na pade.....
Anant: Sakshi..... Sakshi....
Wo Sakshi ko kandhe se hila kar apne khayalo se bahar lata he.
Sakshi: ji.... Ji....
Anant: tum chinta matt karo.... Aksh ko kuch nahi hoga, tum ja kar aram karo, mene tumhare rehne ka intezam kar liya he or....
Sakshi: sir meri aapse ek request he....
Anant: kesi request?
Sakshi: mujhe humare ghar hi rehna he....
Anant: lekin wo ghar to.....
Sakshi: sir please.....
Fir Anant kuch soch kar maan gaya, or usne kuch der me Aksh ke ghar ki chabiya, jo ki Police station me jama thi unhe Sakshi ko de diya. Sakshi itne waqt baad us ghar me lauti thi, lekin jab usne ghar ka darwaza khola to manzar kafi khaufnaak tha. Pure ghar me jagah jagah khun ke thode thode nishan dikhayi de rahe the, ghar puri tarah se ujad sa gaya tha, diwaro par Goliya lagne ke nishan, ye sab dekh kar Sakshi ro padti he. Kuch der baad usne khudko sambhal kar ghar ki halat thodi thik kar di thi, uske baad Sakshi Aksh ke kamre me chali gayi, wo kamra dekh kar Sakshi ke zakhm firse hare ho gaye. Usne andar akar Aksh ka closet open kiya jisme Aksh ke sare kapde the. Usne Aksh ka ek shirt nikal kar apne sine se laga liya or fut fut kar rone lagi.

Sakshi: kaash..... Kaash me us raat yaha hoti.... Ye sab... Ye Sab meri zidd ki wajah se hua he, mere pyaar ki wajah se hua he.... Aai Baba..... Meri wajah se hi......

Yaha Sakshi baar baar in sab situation ke liye apne aap ko kose ja rahi thi, kafi der takk asu bahane ke baad wo sambhal gayi, kyu ke ab uska ek hi maksad tha, Aksh ko dhund na.

Suraj kabka dhal chuka tha, Rana apne Baap ka antim Sanskar kar ke wapis laut aya, aaj uski aakho me asu dekh kar pata chal gaya tha ke Aksh ne use kitni badi chot pahocha di he, Lekin iska anjam kya hona tha ye koi nahi janta.

Khair, wapis akar Rana apne kamre me beth gaya or sharab ki bottle le kar beth gaya, lekin tabhi uska phone bajne lagta he, phone ki awaz sunkar Rana bahot gussa ho gaya, usne phone uthakar patakna chaha, lekin uspar koi number nahi tha, isliye wo samajh gaya ke call Aksh ka he, usne jaldi se Call pick kar liya.

Aksh:
"mere dushman tu meri dosti ko tarase,
Mujhe Gum dene wale tu khushi ko tarse....
Tu ful bane patjhad ka, tujhpe bahar na aye kabhi,
Meri hi tarah tu tadpe, tujhe karar na aye kabhi,
Jiye tu is tarah ke Zindagi ko tarase......

Rana ke call pick karte hi Aksh ye gana gane laga, jise sunkar Rana ka khun khaul utha.

Aksh: agaya apne Baap ka antim Sanskar kar ke? Mushkil hui hogi na? Mera Matlab ke sharir ke itne hisso ka antim Sanskar karna asan nahi raha hoga tere liye.....
Rana: itne chote chote tukde karunga na tere, ke antim Sanskar bhi nahi ho payega tera.....
Wo gusse me apne daat piste hue kehta he.
Aksh: kya hua Rana? Itna gussa kyu he tu? Accha kisi apne ko kho diya? Jis tarah mene khoya tha?
Rana: galati kar raha he tu.... Us raat to bach gaya tu, lekin ab.... Ab kese bachega? Or teri behen.... Wo bhi to zinda he na abtak?
Aksh: galati? Galati tune kar di Rana..... Or is galati ki choti si saza aaj tujhe mil gayi, baki saza dhire dhire mil jayegi.....
Rana: milegi..... Maut milegi tujhe apne kiye ki....
Aksh: maut se darr hota to tere khilaf khada hi na hota... Lekin maza to bahot ayega is khel me....
Rana: khel samajh raha he tu ise? Thik he.... Khel hi samajh le, kyu ke maut ka khel Rana se behtar koi nahi khel sakta.....
Aksh: maut ko bahot nazdeek se dekh chuka hu me Rana.... Itne nazdeek se dekha he ke is khel ko kab palat du tu soch nahi payega.... Har din tujhe ehsas dilaunga, ke ye khel asani se nahi khatm hone wala....
Rana: Matharchod......
Wo gusse me chillakar apna Mobile fek kar tod deta he. Or sharab ki bottle ko apne muh se laga kar sharab apne gale se niche utarne lagta he.


Waha Aksh call kaat kar apne Workout me lagg gaya, wo janta tha ke Rana se bidhna katayi asan nahi he, isliye wo apne aap ko tayar kar raha tha.

Wahi Sakshi in sabse bekhabar Aksh ke khilaf ladne ke liye tayar ho rahi thi, wo nahi janti thi ke jisko wo apni tabahi ka kasurwar samjh rahi thi, wo or koi nahi, Aksh hi he.

Khair ye dekhna interesting hoga ke dono samne akar kya karte he, ye jante hue bhi ke Rana ka agla shikar Sakshi hone wali he, Aksh ne Sakshi ke liye abtak koi khas chinta nahi jatayi thi. Kyu usne Sakshi ko dhundh na bhi sahi nahi samjha? Kyu Sakshi se mulakat karne ka khayal Aksh ke dil me bhi nahi aya? Aise hi kayi sawalo se parda waqt ane par uth jayega, tabtak ke liye padhte rahiye.

Dosto, firse maafi chahta hu lekin jo kuch hua us se mene to jine ki aas hi chhod di thi, lekin waqt ke saath sambhal gaya hu, or aaj itne waqt baad kuch likha he, pata nahi accha he bura he, jo bhi hoga comments me apni raay zarur dena.


Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
अद्भुत....अद्भुत....अद्भुत

एक अलग ही प्रकार का भाग रहा ये बन्धु.
अक्ष ने जितनी नृशंसता से राणा के पिता को मारा वो सराहनीय है.
साक्षी का भी उपयोग करने में लगे हुए हैं.
बहुत ही बेहतरीन व शानदार भाग बन्धु.
 

Alok

Well-Known Member
11,338
27,988
258
Waiting for next update bhai.....
 
  • Like
Reactions: Aakash.
Top