Akki ❸❸❸
ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
- 26,803
- 31,029
- 304
Bhut hi pyara update bhai jiChapter 3 - Qaatil
Update 8
Mega Update
Word Count: 3160
Estimated Reading Time: 00:15:00
Raat ke kareeb 2 baje hue the, or Aksh ki aakho ke samne sirf or sirf Sakshi ka chehra dikhayi de raha tha, jab bhi wo aakhe band kar ke sone ki koshish karta, bass Sakshi ki yaade use sata rahi thi.
"Dada..... Dada..... Dada uth bhi ja na ab.... Teri wajah se Hume ghumne jane me late ho jayega..... Dada....."
Yaha Sakshi subah subah chain se soye Aksh ki pith par beth kar use jagane ki koshish me lagi thi, lekin Aksh to sabkuch bhulkar ghode beche soya tha. Ab Sakshi ko bahot gussa ane laga tha, wo bhagte hue kamre se bahar agayi, or dusre kamre me rakha danda lekar firse apne kamre me agayi. Usne ek or baar Aksh ko uthne ka moka diya, lekin wo nahi mana. Ab Sakshi ne danda zor se Aksh ki pith me maar diya, jis se Aksh ki nind turant tut gayi. Wo dard me chillate hue bed par uthkar beth gaya, or samne Gusse me khadi Sakshi ko dekh liya.
Aksh: aye Chipkali..... Ye kya kar rahi he tu?
Sakshi: itni der se tujhe utha rahi hu lekin tu to uthne ka naam nahi le raha tha, Baba aaj hume ghumane le jane wale he.... Bhul gaya....
Wo bahot hi gusse me chillakar kehti he.
Aksh: to isme marne ki kya zarurat thi.... Chipkali.....
Uski baat sunkar Sakshi or zyada gussa ho gayi, or dande se Aksh ko marne ke liye aage badh gayi, lekin Aksh jaldi se us kamre se bahar bhaag jata he.
Aksh: Aai.... Baba..... Aai dekho ye ladki pagal ho gayi he.....
Wo bhagte hue bahar kaam kar rahi Radha ke piche chupte hue kehta he. Jese hi Radha ki nazar samne se gusse me arahi Sakshi par padi to wo bhi chok gayi.
Radha: Sakshi.... Kya kar rahi he tu?
Sakshi: Aai, ye bandar mujhe humesha chipkali bulata he.... Aaj is bandar ko dande se maar maar kar chup karwa dungi.....
Radha: accha? Beta wo danda bhi tujhse zyada lamba he.... Thik se pakad to sahi use.....
Wo Sakshi ka mazak banate hue kehti he. Jo sunkar Sakshi ko muh gusse se ful gaya. Wo danda wahi fek kar kamre me bhag gayi.
Radha: beta zyada waqt matt lagana, ghumne jana he na?
Wo Aksh ko apne samne lakar kehti he.
Aksh: Ho Aai.....
Fir Aksh kamre ke paas akar dhire se kamre me jhak kar dekhne lagta he. Jaha Sakshi gusse me bed par leti hui thi. Aksh dara sehma andar agaya.
Aksh: k.... Kya hua Sakshi.....
Sakshi: kuch nahi hua..... Bandar......
Wo kisi sher ki tarah dahadte hue kehti he. Aksh bhi us se kuch na kehne me hi apni bhalayi samajhta he. Radha ne akar use kapde nikal kar de diye. Or apna kaam karne chali gayi. Aksh ne jab apni t-shirt nikali tabb Sakshi ne dekha ke uski pith par nishan bann gaya he. Sakshi bed se uthkar Aksh ke piche akar khadi ho gayi, or uske nishan par apna haath fer diya, jis se Aksh ko thoda dard ho gaya, or wo Sakshi ki taraf mud gaya.
Sakshi: ye kya hua teri pith par Aksh.....
Aksh: huhhhh..... Khud dande se mujhe marti he, or fir puchti he ye kya hua..... Chipkali......
Itna kehkar wo aage bathroom ki taraf badh jata he, lekin ye sunkar Sakshi ki aakhe bhar ayi, Aksh ne jab mudkar use dekha to paya Sakshi rone lagg gayi he.
Aksh: are..... Tu rone kyu lagg gayi Sakshi?
Wo aage akar apne chote chote haatho se Sakshi ke aasu saaf karte hue kehta he.
Sakshi: tujhe meri wajah se chott lagg gayi na.....
Aksh: are me to bilkul thik hu.... Dekh, me kaha ro raha hu?
Sakshi: to fir teri pith par chot ka Nishan kese aya?
Aksh: are wo to.... Ahhh... Wo.... Ab tu ye sab chhod na, hume ghumne bhi jana he na?
Wo baat ko sambhalte hue kehta he, ab Sakshi bhi apna rona band kar ke muskurane lagg gayi. Aksh wapis bathroom me jane laga, lekin tabhi Sakshi ne aage akar use piche se hi rok diya. Or Aksh ki chot par halke se chum liya.
Aksh: kya kar rahi he Sakshi?
Wo Piche mudkar Sakshi se pichta he.
Sakshi: are Bavlat..... Chot par aise karne se dard gayab ho jata he....
Wo muskurate hue Aksh se kehti he.
Pata nahi kyu lekin ye sari yaade Aksh ka chain chine ja rahi thi, Aksh gusse me upar chatt par agaya, or waha akar kafi gusse me apna workout karne lagg gaya. Kuch der baad Shahid aise hi upar chala ata he, or usne Aksh ko dekhte hi samajh liya ke wo kafi frustrated he.
Shahid: Aksh..... Itni raat ko yaha kya kar rahe ho?
Wo Aksh ke piche khada hokar puchta he, lekin Aksh uski baat ka koi jawab nahi deta.
Shahid: waise Aksh..... Tum Sakshi kyu milna nahi chahte?
Uski baat sunkar Aksh ko or bhi zyada gussa agaya, usne gusse me Shahid ko ghura or firse niche jane laga. Lekin tabhi Shahid ne use rok liya.
Shahid: Aksh.... Kya baat he? Jis Sakshi ke liye tum mujhe jaan se marne ke liye tayar the.... Aaj usi Sakshi ka naam sunkar aakho me itna gussa? Kyu Aksh?
Aksh: tumhe ye sab jaan ne ki koi zarurat nahi he.... Mera hamdard bann ne koshish matt karo.... Mene pehli hi kaha tha, mujhe apna badla pura karne me kisi ki zarurat nahi he.... Na tumhari na Abdul ki....
Wo gusse me Shahid ko dhakka marte hue kehta he. Or waha se chala jata he. Shahid bhi uthkar niche chala gaya.
Wahi dusri taraf Sakshi ki aakho se bhi nind koso dur thi, wo bass baar baar karvate badal badal kar sone ki koshish me lagi thi. Lekin jab use nind nahi ati to wo Aksh ki tasveer apne haatho me lekar us se baate karne lagti he.
Sakshi (mann me): Aksh kya tu mujhe maaf karega? Kyu ke aaj jo kuch halaat he, uski zimmedari kahi na kahi me bhi hu.... Please Aksh, teri Sakshi ko maaf kar dena.... Jo kuch tune khoya he, wo mene bhi to khoya he na? Please maaf kar dena apni Sakshi ko please.......
Wo Aksh ki tasveer ko apne sine se lagaye ro ro kar apna mann halka kar rahi thi, or aise hi rote rote der raat uski aaakh lagg jati he.
Agle din sabkuch as it is ho raha tha, waha Shahid akela bethkar sari Guns saaf kar raha tha tabhi Aksh uske paas akar beth jata he, or Guns saaf karne me lagg jata he.
Aksh: Shahid, Mujhe.... Mujhe maaf karna.....
Wo Shahid se nazre milaye bina kehta he.
Shahid: maaf.... Kis baat ke liye maafi mang rahe ho?
Wo herani se Aksh ki taraf dekhte hue puchta he.
Aksh: wo.... Kal raat.... Kal raat mujhe....
Shahid: koi baat nahi Aksh.... Me to bhul bhi gaya us baat ko... Tum bhi bhul jao....
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue uske kandhe par haath rakh kar kehta he.
Shahid: waise tumhe ek free ki salah zarur dena chahunga me...... Aksh kya he na, agar zindagi me apno ka saath na ho to zindagi kisi kaam ki nahi rehti... Tum jante ho me or Mamu jab kisi begunah ladke ladkiyo ko drugs ke nashe me dalkar use Rana ke hawale kar dete he, to hum Guilty feel nahi karte.... Ab to hum Shayad yaha se kabhi bahar bhi nahi apayenge..... Or iski wajah apno ke saath ki kami he.... Me tumhe bass yahi samjhana chahta hu ke tumhari zindagi me koi he, jiski saase tumhare liye hi chal rahi he... Or mano ya na mano, lekin tumhare dil me Sakshi ke liye aaj bhi utna hi pyaar, utni hi chinta he jitni pehle thi.... Bass tumhari aakho me uske liye thoda sa gussa he.... Me nahi janta ye gussa kyu he, lekin aap gussa bhi sirf us se ho sakte ho jis se pyaar karte ho.....
Itna kehkar Shahid saaf hui Guns uthkar dusre kamre me chala jata he. Lekin uski baato ne Aksh ko soch ne me majbur kar diya. Lekin Aksh ke sar par ye badle ki aag is kadar chadi hui thi ke use sirf apna Badla sabse upar lagg raha tha.
Ye to thi Aksh ki kahani, lekin yaha Rana subah subah apni saline wagairah nikal kat kamre ke bahar agaya, tabhi Abdul ne use dekh liya.
Abdul: Boss..... Aapne Saline kyu nikal di? Kuch chahiye tha to mujhe bata dete....
Rana: ha... Gadi ki chabi chahiye.....
Abdul: gadi? Kyu Boss?
Rana: Abdul, kuch waqt ke liye is shor sharabe se dur jana chahta hu.....
Abdul: lekin is halat me.....
Rana: Abdul.....
Wo Abdul ki baat bich me kaat te hue use chup kara deta he.
Rana: bass kuch baad Rana firse apne purane roop ke saath lautega.... Chabi do.....
Uski baat par Abdul gadi ki chabi Rana ko de deta he. Rana bhi turant waha se nikal gaya. Abdul bilkul heran tha, ke Aksh ke karnamo ne Rana ko is kadar tod diya he.
Khair, sabki dopehar bilkul shanti me guzar rahi thi, waha Sakshi bass soch rahi thi, ke Qaatil takk kese pahocha jaye, kyu ke ab use ye kaam akele karna tha, kyu ke Anant ne koi bhi thos kadam uthane se pehle Uski raay lene ke liye kaha tha, or agar Sakshi is waqt Qaatil ke bate me kuch kehti to Anant use kuch bhi karne se mana kar deta.
Raat ko Abdul bhi Aksh se milne agaya tha, is waqt Aksh, Abdul or Shahid chatt par bethe hue the, or baki tino kuch zaruri saman lene ke liye bahar gaye hue the.
Abdul: waise Aksh, tumne bahot buri tarah se tod diya Rana ko.....
Aksh: ye to bass Shuruwat he, itni battar maut dunga use, ki usne kabhi sapne me bhi nahi socha hoga.....
Abdul: lekin ek dikkat he....
Uski baat sunkar Aksh Abdul ko ek takk dekhne lagta he.
Abdul: Rana kahi chala gaya he....
Aksh: chala gaya? Kaha Chala gaya?
Abdul: wo to nahi pata.... Lekin yaad rakhna Aksh, wo jab bhi wapsi karega, to keher Mach sakta he....
Aksh: bahot se keher dekh chuka hu me zindagi me..... Apne pariwar ko aakho ke samne marta dekhne se bada keher koi nahi hota.... To ye Rana kya kar lega ab mera?
Kuch der takk sab bass aise hi bethe rahe, tabhi Aksh Abdul se sawal puchna chahta tha.
Aksh: tumne mujhe Rana ke atit ke bare me kuch kyu nahi bataya.....
Uske sidhe sawal se Abdul ko laga kahi Aksh ko Rana ke atit ke bare me pata chal gaya ho.
Abdul: kesa Atit Aksh.... me Rana ke atit ke bare me kuch nahi janta.....
Aksh: aisa kyu? Agar Rana ki choti se choti baat tum jante ho to fir ye sab........
Abdul: Aksh, Mera or Rana ka koi khun ka rishta nahi he, jo wo apne sare dukh dard mujhse baate.....
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue kafi Sakht lehze me kehta he. Fir kuch der ke liye waha aise hi sannata cha gaya. Waha mojud har insan ke dimag me apne apne plan chal rahe the. Kuch der baad Abdul bhi waha se nikal gaya.
12 ghante ke safar ke baad Rana Bhopal pahoch gaya tha, usne gadi aisi jagah le li, jo ek khadi ki tarah thi. Waha dur dur takk koi insan mojud nahi tha. Thodi der ki drive ke baad Rana ek ped ke samne pahoch gaya. Rana ne jese hi gadi roki, waha zor dar barish shuru ho gayi. Rana door open kar ke gadi ke bahar akar khada ho gaya. Kuch hi Seconds me Rana puri tarah se bhig chuka tha, or tabhi waha zordar bijli kadakti he, jis se wo ilaka kuch Seconds ke liye saaf saaf nazar ane laga tha, or tabhi Rana ko wo ped ke paas ka kissa yaad agaya.
Flashback:
Year 1982 Bhopal, India.
Raat ke ghane andhere me tez barasti barish ke bich, gaon ke log is ped ke samne haatho me lantern liye khade the. Waha 2 logo ko ped se latkaya hua tha, kuch log ye dekh kar khush the, or latkaye gaye logo ke pariwar wale gid gida kar unki jaan Baksh dene ki bhik maang rahe the. Tabhi ek baccha samne khade aadmi ke paas rote hue ajata he.
Baccha: Kaka.... Kaka aap Maa ko utarte kyu nahi? Kaka.... Kuch boliye na..... Kaka Bauji kaha he?
Wo baccha Darasal or koi nahi, Deep, yani ke Rana tha. Wo Joshi Kaka se ped par bandhe apni Maa ko niche utarne ke liye keh raha tha, lekin Joshi bass apna sar jhukaye waha khada raha. Ped par latke log Rana ki Maa, or Gaon ke sabse izzatdar vyaktiyo me se ek Rehmat Ali the. Pure bhopal me Rehmat Ali ko bahot izzat di jati thi, unka swabhav unki baate yaha ke har logo ke dil me jagah banati thi, lekin aaj mahol bilkul ulta tha. Waha Rana ped par latki apni Maa ke per pakad kar ro raha tha. Or Rehmat Ali ki Biwi jo ke pet se thi, use logo ne pakad kar rok rakha tha. Uski halat bhi ro ro kar bilkul tut gayi thi.
In sabke bich waha khade ek aadmi, Shantilal Virani aage akar Rana ki Maa ke paas jane lagta he, lekin sablog unhe chillane lagte he, Shantilal mudkar ek nazar Joshi Kaka par dalte he, lekin Joshi unse apni nazar chura kar nichi kar lete he. Shantilal Rana ko pakad kar piche karne lagte he.
Shantilal: beta.... Beta ruko..... Kya kar rahe ho tum?
Rana: Mama Ji, Mama ji.... Maa ko niche utar dijiye na....
Wo Shantilal ke Haath apne hatho me thamkar kehta he.
Shantilal: beta me kya kar sakta hu? Ye sab to sirf tumhare Joshi Kaka hi kar sakte he.... Mere haath bandhe hue he beta....
Wo Rana ka chehra apne hatho me thamkar kehta he. Uski baat sunkar Rana daud kar jata he, or sidha Joshi Kaka ke pero me gir kar rone lagta he.
Rana: Kaka..... Aap Maa ko utarne ke liye kahiye na.... Meri Maa marr jayegi Kaka, Maa marr jayegi......
Wo Joshi Kaka ke pero me gid gidate hue keh raha tha, Joshi Rana ko apne pero se hata kar khud uske samne ghutno par beth jate he, or Rana ka chehra apne haatho me tham lete he.
Joshi: beta... Beta.... Me kuch nahi kar sakta.... Mujhe maaf kar dijiye....
Ye sab kehte hue unki aakho me dard, Chehre par Sharmindagi ye sab dikh raha tha, lekin Rana abhi ye sare hav bhav samajhne ke liye bahot chota tha.
Rana: kyu kuch nahi kar sakte? Aapki baat sablog mante he.... Fir aap kyu kuch nahi kar sakte.... kahiye na Kaka.....
Uski baat par Joshi ki nazar Rehmat Ali, or uski biwi par chali jati he. Or Joshi apni nazre jhuka lete he. Lekin tabhi waha sab log zor zor se chillane lagte he, kyu ke ped par latke dono logo ne apni jaan chhod di thi. Ek aadmi aage akar Rana ki Maa or Rehmat Ali ko niche utar deta he, jese unhe niche utara gaya, Rana or Rehmat Ali ki biwi waha daud padte he. Ye chotasa baccha Rana apni Maa ko jagane ki koshish kar raha tha, lekin Rehmat Ali ki biwi ko pata tha ke uska pati ab is duniya me nahi raha, isliye wo Rehmat Ali ke sine par sar rakh kar roye ja rahi thi.
Rana: Maa..... Maa utho na.... Maa apni aakhe kholo.... Maa.....
Wo apni Maa ka chehra haatho me thamkar use jagane ki koshish kar raha tha lekin Ab Rana ko bhi ehsas ho gaya ke uski Maa is duniya me nahi rahi. Or wo bhi apni Maa ke sine me sar rakh kar rone laga. Ab waha se sablog dhire dhire jane lage, waha is waqt sirf Rehmat Ali ki Biwi, Shantilal, Rana or Joshi the. Shantilal aage akar Rana ko sambhalne ki koshish kar raha tha, lekin Rana kisi ki sunn ne walo me se nahi tha. Ye dekh kar Joshi Kaka aage agaye, or Rana ko pakad kar piche kar diya, Rana bhi unse lipat kar rone laga.
Present:
Ye sab yaad kar ke Rana rone lagta he, barish ki wajah se uske aasu to chup gaye the, lekin wo dard, wo chot chup nahi sakti thi. Rana aage akar usi jagah beth gaya, jaha akhri baar usne apni Maa ko dekha tha. Rana us zameen par apne haath fer raha tha or roye ja raha tha, ye sochkar ke aaj bhi uske Maa ki aatma wahi par leti hui he.
Khair, puri raat waha guzarne ke baad jab Subah ka ujala dikhne laga, Rana gadi lekar kahi chala jata he. Dopeher ke waqt Rana ne Abdul ko call kar diya. Abdul is waqt Aksh ke saath mojud tha. Kuch zaruri baate karne ke baad Rana call cut karne laga lekin.....
Shahid: kya keh raha tha Rana?
Abdul: ab itna nuksan hua he, to kahi na kahi use bharna he na, to usi ke bare me baat chal rahi thi.....
Aksh: bhar le Rana, jitna ho sake apna nuksan bhar le.... Ek ke baad ek vaar karta jaunga tujhpar, jabtak ke tu khud mujhse apni Maut na maang le.....
Wo bahot hi gusse me apne daat piste hue kehta he.
Lekin waha gadbad ye ho gayi ke Abdul call cut karna bhul gaya, or Rana ne call cut karne ke liye mobile apne kaan se niche hi kiya tha ke use unki baate sunayi deti he. Or ye sab sunkar Rana sadme me chala jata he.
Rana: Abdul.......
•
•
•
•
Jab Abdul Aksh se milkar wapis laut raha tha, tabb use Rana ka call agaya, or usne Abdul ko jald se jald milne ke liye Bhopal ke bahar bula liya.
Der raat Abdul Rana ki batayi jagah par pahoch gaya, Rana ne use kamre me bitha kar ek box kholne ke liye de diya. Or khud uthkar uske piche khada ho gaya. Abdul ne jese hi box open kiya, usme se Rukhsar ki tasveer nikli, jo dekh kar Abdul charo khane chitt ho gaya. Lekin tabhi use ek or jhatka lagta he, jab use apne sir ke piche Gun point hone ka ehsas hua.
To Be Continued.......
To Guys Ye tha aaj ka Update, i know length zyada nahi he, lekin bass kuch bato ko focus karna tha is Update me. And next Update Chapter 3 ka last or dhamake dar Update hoga, then is kahani ke 4th Chapter "Frozen Romance" ki Shuruwat hogi. To saath bane rahe.
agar update accha laga ho to like zarur karna or comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. agla update jald hi ayega till then stay tuned and keep smiling![]()
![]()
![Love :love: :love:](/uploads/smilies/love.gif)
Fir se vhi pyari baatcheet aksh sakshi kiAksh: huhhhh..... Khud dande se mujhe marti he, or fir puchti he ye kya hua..... Chipkali......
Itna kehkar wo aage bathroom ki taraf badh jata he, lekin ye sunkar Sakshi ki aakhe bhar ayi, Aksh ne jab mudkar use dekha to paya Sakshi rone lagg gayi he.
![:love2: :love2: :love2:](/uploads/smilies/xf/hape.gif)
Ye kisse pehle nhi btaye shuru me apne qaatil bhai, kya ye baad ke liye bcha ke rakhe the
![BIg Grin :D :D](/uploads/smilies/icon10.gif)
Mujhe ye khani isiliye bhut pasand h jab aise scene ate h, matlab jabardast bilkul
![:vhappy1: :vhappy1: :vhappy1:](/uploads/smilies/xf/frolic.gif)
Ye kitni awesome h yaar sakshiSakshi ne aage akar use piche se hi rok diya. Or Aksh ki chot par halke se chum liya.
Sakshi: are Bavlat..... Chot par aise karne se dard gayab ho jata he....
![Blush1 :blush1: :blush1:](/uploads/smilies/blush1.gif)
Ab kya mai apni jaan hi de du
![BIg Grin :D :D](/uploads/smilies/icon10.gif)
Idhar abdul fas gya h
![Frown :( :(](/uploads/smilies/frown.gif)
Dekhte h ab kya hota h