parkas
Well-Known Member
- 28,280
- 62,511
- 303
Nice and superb update...Chapter 4 - Frozen Romance
Update 1
Mega Update
Word Count: 3420
Estimated Reading Time: 00:17:00
Raat ke kareeb 3 baje suddenly Sakshi kafi zor zor se saase lene lagi, waha is waqt Sana bhi mojud thi, usne sabse pehle Doctor ko waha bula liya. Doctor ne akar use ek injection de diya, jis se Sakshi bilkul shant ho gayi.
Sana: Doctor.... Is everything Alright?
Doctor: Don't worry.... Ghabrane wali koi baat nahi he.... Sakshi is recovering i think Dopeher takk hum use behoshi se bahar le ayenge.
Sana: okay, thanks.....
Fir Doctor waha se chala gaya. Sana bhi kafi der ae yaha bethi thi, isliye uski bhi wahi par aakh lagg gayi.
Dusri taraf Anant ne to jese Aksh ko fasi dilwane ki thaan thi, wo Court me pesh karne ke liye chote se chota saboot bhi nahi chhod raha tha. Sare saboot usne ikhatta kar ke Aksh ka bachna jese namumkin sa kar diya tha.
Lekin yaha Mosam kafi thanda ho chuka tha or is wajah se Aksh dard me karhate hue apni karvate badal raha tha. Jailer ne use kuch dawai de di jis se Aksh kuch der baad gehri nind me chala gaya.
Dopeher ka waqt ho chala tha, Anant khane ki ek plate lekar Aksh ke Cell me ajata he. Lekin is waqt Aksh so raha tha, Anant ne plate ko ek taraf rakh diya or aage akar zor se Aksh ki kamar me laat maar di, jis se Aksh ek jhatke me jagg gaya or apni kamar pakad kar karhane laga.
Anant: maaf karna.... Zyada zor se laga kya?
Wo niche jhuka kar dhimi awaz me Aksh se kehta he. Aksh use bahot hi gusse me ghur raha tha.
Anant: kya dekh rahe ho? Marna chahte ho mujhe? Jis tarah se tumne Abhinav Sir ko mara tha?
Wo gusse me Aksh ki collar pakad kar kehta he. Ispar Aksh ne Anant ke muh par thuk diya or hasne laga. Lekin ab Anant ka gussa satve asman par chala gaya tha, usne Aksh ko collar se hi pakad kar utha liya or zor se samne ki diwar par de Mara. Pehle se hi itni chot lagne ki wajah se ab Aksh se utha nahi ja raha tha. Anant ne aage akar use pakad kar utha liya or uska sir piche se pakad kar diwar se daba diya.
Anant: bata do Aksh.... Kyu mara Abhinav sir ko tumne? Pehle jab jail me the to kisi police walo ko nahi bataya tumne, isliye is baar me khud puch raha hu.... Bata domm..
Wo Aksh ka sir piche se pakad kar uska chehra diwar se ragadte hue kehta he. Lekin in sabke bawajud muh se ek shabd nahi nikal raha tha. Ab Anant ne Aksh ka chehra apni taraf kiya or use mukka marne ke liye badha hi tha ke tabhi Aksh ne uski mutthi apne haath se rok li.
Aksh: wo... Wo to nahi bache..... ab Tum bhi nahi bachoge..... Jo karna he kar lo....
Uski baat sunkar Anant ne Aksh ko zor se pakad kar niche zameen par patak diya, or Aksh ki chot par jo patti bandhi thi use nikal kar garam Daal ki katori uspar daal thi. Jis se Aksh dard se tadapte hue chillane lagg gaya. Anant niche jhuk kar Aksh ke baal pakad kar uska chehra upar utha deta he.
Anant: acche sapne dekh lete ho.... Lekin Court me agli 2 peshi me hi tumhara khel khatam hone wala he.... Fasi ke liye tayar rehna.....
Itna kehkar wo Cell se bahar agaya.
Anant: acche se marham patti karo iski, itni asani se marne matt dena use.....
Wo bahar akar Jailer se kehta he or waha se chala jata he.
Dusri taraf Sakshi ab hosh me agayi thi, lekin uska dard ab bhi kam nahi hua tha. Kyu ke goli uske chest or pet ke bich ke hisse me lagi thi, goli ek inch bhi yaha waha ho jati to aaj Sakshi zinda na hoti. Sana wahi par sambhal rahi thi, Sakshi hosh me ate hi apne aap ko Hospital bed par pakar heran reh jati he.
Sakshi: me..... Me yaha.... Me to.... Aksh.... Aksh kaha he? Me... Me Aksh se mili thi.... Kaha he Aksh?
Wo Sana ko apne samne dekh kar puche ja rahi thi.
Sana: Sakshi.... Relax, Aksh thik he.... Or tumhe kal Goli lagi thi, isliye tum yaha.....
Sakshi: mujhe meri parwah nahi he..... Aksh kaha he mujhe bass ye jaan na he....
Wo Sana ki baat bich me kaat kar chillate hue kehti he.
Sana: Sakshi wo.... Aksh.... Aksh Jail me he.....
Uski baat sunkar Sakshi ke to hosh hi udd jate he.
Sakshi: ye... Ye aap kya.... Kya keh rahi ho? Aksh... Aksh Jail me kyu?
Sana: don't worry Sakshi, Aksh ko bass kuch Legal Formalities ke chalte Jail me rakha gaya he....
Sakshi: nahi..... Use Jail me nahi rakha ja sakta..... Me.... Mujhe Anant sir se baat karni he.....
Wo utne ki koshish karte hue apni Saline nikalte hue kehti he, ye dekh kar Sana ne use rokna chaha, lekin ab Sakshi kafi Voilent hone lagi. Sana ne Sakshi ko kass kar pakad liya lekin Sakshi ne ek zor ka dhakka dekar Sana ko piche gira diya. Sakshi ne apne haath se Saline ki tip ek hi jhatke me nikal fek di, lekin tabhi Doctors or Nurse daud te hue waha agaye or unhone milkar Sakshi ko pakad liya or use nind ka injection de diya, jis se wo kabu me agayi. Sana ne turant Anant ko call laga kar ye sab bata diya or use yaha bula liya.
Kuch der baad Anant waha achuka tha, or sham ke waqt Sakshi ki aakhe khulne lagi, usne apne samne Anant ko dekh kar uspar sawalo ki bochar kar di.
Anant: Sakshi.... Please tum shant ho jao.....
Sakshi: kese shant ho jau sir? Ye sab.... Ye sab akhir ho kya raha he? Jise me apne pariwar or Aksh ka Qaatil samajh rahi thi wo to khud Aksh hi he..... Or ab Aksh ko Jail me..... Ye sab kyu?
Anant: Sakshi meri bhi samajh me kuch nahi araha, jise hum Qaatil samajh rahe the, wo khud Aksh he..... Agar ye mujhe pehle se pata hota to.....
Sakshi: to fir Aksh ko Jail me kyu daal diya aapne?
Wo Anant ki baat bich me kaat te hue kehti he.
Anant: Sakshi hume Aksh ko uski bhalayi ke liye hi Jail me dala he.... Kya tum bhul gayi jab Aksh Jail se bhag nikla tha tabb Court me Aksh ke khilaf Shoot At Sight ke order jari kar diye the? Agar is baar bhi hum Aksh ko hirasat me na lete to Court firse uske khilaf ye Shoot At Sight ke order jari kar deti, or is baar me bhi Court ke khilaf nahi ja pata.....
Ab Anant ki baat sunkar Sakshi bilkul shant ho gayi.
Sakshi: lekin.... Lekin Aksh Gunehgar nahi he....
Anant: me janta hu Sakshi, Aksh ne mujhe bataya Rana ke bare me.....
Sakshi: to fir aap ye sabit kar ke Aksh ko begunah ghoshit kyu nahi karte?
Anant: hum wahi kar rahe he Sakshi..... agli 2 hearings me hum Aksh ko begunah sabit kar denge.... Uske baad tum Aksh ke saath pehle ki tarah hi apni zindagi guzar sakogi.....
Wo Sakshi ke kandhe par Haath rakh kar use jhuti tasalli dete hue kehta he. Lekin ab Sakshi kese jaan leti ke Anant ki tasalli bilkul jhuti he. Fir bhi Sakshi uski tasalli se khush ho gayi, or ye sunkar uske chehre par duniya bhar ki khushi cha gayi. Or wo bass mann hi mann Aksh ke saath apni aage ki zindagi guzarne ke sapne bunn ne lagg gayi. Sakshi ne Aksh se milne ki zidd to ki thi, lekin Doctor ne use is waqt kahi bhi jane se saaf saaf mana kar diya tha.
Khair, ye din to jese tese nikal chuka tha. Lekin gazab ki baat ye thi ke yaha har kisi ki kahani kisi na kisi tarah ek dusre se judi hui thi. Or har koi is kahani ko apne apne tarike se likhna chah raha tha, lekin Shayad ye sab bhul rahe the ke in sabse upar bhi puri duniya par nazar rakhe koi he, jisne is kahani ka antt bhi tay kar rakha tha.
Berehaal, subah ki thand ne Aksh ke chotil badan ka ek ek hissa dard se chakna chur kar rakha tha. Aksh apni kismat ko samajh hi nahi pa raha tha ke ye sab akhir kyu ho raha he. Lekin jabtak Aksh ye sab sochta, waha par Anant garam chay ki pyali lekar agaya.
Anant: are wahh.... Tum to jaage hue ho. Mujhe laga firse kal ki tarah jagana hoga tumhe....
Wo Aksh ke samne akar uski taraf chay badhate hue kehta he. Lekin Aksh bass use gusse me dekh raha tha.
Anant: are bhai le bhi lo..... Thand me bada sukoon deti he ye chay....
Uski baat par Aksh apna muh fer leta he. Lekin tabhi Anant me wo garam chay Aksh ke chehre par fek di. Aksh chillate hue waha se uthkar samne rakhe pani ke utensil se apne chehre par pani marne laga.
Anant: ohh.... Mujhe maaf kar dena, wo thand bahot hena, to haah kanp rahe the mere us chakkar me chay gir gayi.....
Uski baat sunkar Aksh bahot gussa ho gaya, usne palat kar Anant ka collar pakad kar use diwar se daba diya.
Aksh: kya chahte ho? Ha, bolo akhir chahte kya ho?
Wo gusse me Anant ka gala dabate hue kehta he. Lekin Anant apne haath se Aksh ka haath pakad kar use apne gale hatane lagta he.
Anant: jaan na chahta hu..... Abhinav Sir ko kyu mara?
Wo apni collar thik karte hue Aksh se puchta he.
Aksh: mann kiya isliye maar diya.....
Wo Anant ke chehre ke bilkul nazdeek jakar kafi dhimi awaz me kehta he.
Anant: aise kese Aksh? Jis raat tumne apna sabkuch kho diya tha, tabb Abhinav Sir hi the jinhone tumhe apne saath apne ghar me rakha, or jab tum me apne pariwar ke sadasyo ki chita ko aag lagane ki himmat nahi thi, tabb unhone hi us kaam ko apna farz samjha.... Beta kaha tha na unhone tumhe? Tumhare badle ko pura karne ka wada kiya tha na unhone? Fir? Bhul gaye sabkuch? Bhul gaye sabkuch?
Wo bahot hi gusse me Aksh ka gala pakad kar chillate hue kehta he.
Aksh: paristhitiya humesha ek jesi nahi rehti.....
Anant: thik kaha...... Paristhitiya humesha ek jesi nahi rehti.... Ab tayar rehna apne kiye ki saza pane ke liye....
Wo Aksh ko dhakka dete hue kehta he, or waha se bahar chala jata he.
Wahi dusri taraf Sakshi ko ab kuch rahat mehsus ho rahi thi, lekin ab bhi use bed se utarne ki ijazat nahi thi. Isi tarah kuch din nikal jate he, waha Anant har roz Aksh se ye jaan ne ki koshish karta ke usne akhir ye sab kyu kiya, lekin Aksh apna muh kholne ke liye katayi tayar nahi tha.
Kuch dino baad Sakshi ab chal fir sakti thi, usne sabse pehle Anant se Aksh se milne ki request ki. Kafi sari minnate karne baad Anant ne kuch soch kar Sakshi ko Aksh se milne ki permission de di. Sham ke waqt Sakshi Jail me dhakhil ho chuki thi. Wo jese hi Aksh ke Cell ke paas pahochi, to darwaze ke chote se hisse se usne andar dekha ke Aksh ek taraf muh kar ke soya hua he. Jailer ne darwaza khol diya, or Sakshi andar agayi, jab wo Aksh ke nazdeek ayi to usne Aksh ka badan sirf chot se bhara hua paya. Jo dekh kar Sakshi ka dil tut raha tha, or ab uski aakho se aasu behne lage. Sakshi akar Aksh ke sar ke paas beth gayi, usne apne kanpte hue haath aage badha kar Aksh ke sar me fer diya Jis se ki Aksh ki saase Fulne lagi, Sakshi ne dhire se Aksh ka sar apni godd me rakh diya, or tabhi Aksh ki dhadkane tez chalne lagi, uski aakho se apne aap asu behne lage, jese itne waqt se sukoon ki talash me bhatakte insan ko wo sukoon mil hi gaya ho. Sakshi ab bhi Aksh ke sar me haath fer rahi thi, or tabhi Aksh ne uska haath pakad liya or use apne Haatho me kasne laga. Lekin tabhi uski aakh khul gayi, or jab use ehsas hua ke Sakshi waha sach me mojud he, wo jhat se uthkar khada ho gaya. Sakshi bhi uthkar uske paas jane lagi, lekin Aksh apne kadam piche ki or badhane laga.
Sakshi: k..... K.... Kya hua Aksh.....
Aksh: dur ho mujhse.....
Wo kafi zor se chillakar kar kehta he, jis se Sakshi bhi ek pal ke liye darr gayi.
Aksh: mere..... Mere nazdeek ane ki koshish matt karna.... Jab bhi tu.... Jab bhi tu mere nazdeek ayi he, me harta aya hu..... Is baar.... Is baar apna badla kiye bina me harna nahi chahta.
Wo gusse me Sakshi ki taraf ungli dikhate hue kehta he.
Sakshi: ye.... Ye kya keh raha he Aksh tu? Me.....
Aksh: sahi keh raha hu me..... Behtar yahi hoga ke mujhe mere haal par chhod do..... Me jiyu maru lekin.....
Sakshi: Aksh..... ye Kya bakwas kar raha he tu?
Wo gusse me Aksh ki baat bich me kaat te hue kehti he.
Sakshi: kyu aise kar raha he Aksh tu? Itne waqt se tujhe dhund ne ke liye dar dar bhatak rahi thi me.... Or ab jab tu mujhe mil gaya to.....
Aksh: jise tu dhund rahi he wo kabka marr gaya.... Marr gaya wo us hi din jis din usne apni aakho ke samne apna pariwar ujadta dekha....
Wo gusse me Sakshi ki baat bich me kaat te hue kehta he.
Sakshi: Aksh... Jo tune khoya he wo mene bhi to khoya hena?
Wo rote hue Aksh se kehti he, lekin ye sunkar Aksh uske nazdeek ajata he.
Aksh: jo mene khoya, wo tune nahi khoya..... Mene sirf apne Aai Baba nahi khoye.... Mene us insan ko bhi khoya jise me is duniya me sabse badhkar chahta tha, jiske ek pal bhi dur hone se pagal ho jata tha, jiske liye puri duniya uske kadmo me lakar rakhne ke khwab dekhta tha. Jaan ma chahti ho kon he wo insan? Meri behen ko khoya he mene.....
Wo apni num aakho se Sakshi ke chehre ke nazdeek akar kafi dhimi awaz me kehta he. Ab is baat ka koi jawab Sakshi ke paas nahi tha. Wo kuch kehna chahti thi, lekin tabhi Aksh piche hatt gaya.
Sakshi: Aksh.... A.... Aisi baat nahi he.... Hum firse waise hi......
Wo rote hue Aksh se keh rahi hoti he lekin tabhi Aksh uski baat bich me kaat deta he.
Aksh: nahi reh sakte...... Agar tu firse pehle ki tarah zindagi guzarne ke khwab dekh rahi he to.... To tujhe nind se uthkar asal zindagi me ana hoga.....
Wo Sakshi ki aakho me aakhe dalkar kehta he.
Sakshi: kyu nahi ho sakta Aksh? Tune kitne sare sapne saja kar rakhe the, humesha kehta tha na ke meri success bahot dur he, to chalna.... Us success ko hasil kar le na.....
Aksh: bhad me gayi success..... Bhad me gaya sapno ka wo mukammal jahan..... Ab nahi chahiye kuch bhi, na daulat ki wasna or na hi shohrat ka tamasha.....
Wo gusse me apna haath diwar par marte hue chillakar kehta he.
Sakshi: Aksh teri manzil tera mukam ye nahi he.....
Aksh: mera sharir or rooh.... Koi manzil ya mukam takk pahochne ke liye bane hi nahi he.... me to wo insan hu, jo sangharsh ke safar me jina chahta he....
Uski baat sunkar Sakshi bilkul heran reh gayi, use samajh hi nahi araha tha ke wo akhir kahe to kahe kya. Jese hi wo kuch kehne ke liye aage badhi, tabhi Cell ke bahar se Anant ne Cell ka darwaza knock kar diya. Is waqt Aksh Sakshi ki taraf pith kar ke khada tha. Sakshi tabhi yaad aya ke Aksh ke pith par uske dwara kiye gaye vaar he. Isliye Sakshi ne aage badhkar Aksh ka kamiz thoda niche kar ke uski chot par kiss kar diya.
Sakshi: ab zyada dard nahi hoga.....
Wo apni num aakho se kehkar waha se chali jati he. Uske jate hi Aksh Zameen par bethe bikhar kar rone lagta he.
Waha Sakshi khud akeli ghar jane ke liye nikal gayi thi.
Sakshi (mann me): koi baat nahi Aksh.... Dekhna, jald hi me tujhe firse wahi purana Aksh bana dungi.... Teri nass nass se waqif hu me.... Itna bada ho gaya he, lekin Tujhe ab bhi tere dil or dimag ke bich faisla karna nahi ata.... Koi baat nahi, me hu na. Jese pehle tujhe sahi rasta dikhati thi, waise hi ab bhi dikhaungi....
Sakshi gadi chalate hue apne dil se baate kiye ja rahi thi, ke tabhi uski nazar kone me andhere ke bich bethi hui ek ladki par padd gayi. Sakshi ne turant gadi rok li, or us ladki ke piche akar khadi ho gayi.
Sakshi: excuse me.... Are you okay?
Wo piche se us ladki ke kandhe par haath rakhte hue kehti he. Jese hi wo ladki ne apna chehra piche fera, to Sakshi ne ne paya ke uska pura chehra asuo se bhara hua he. Jo dekh kar Sakshi bahot darr gayi, wo akar us ladki ke bagal me beth gayi.
Sakshi: agar tumhe koi pareshani he to..... You can share with me.....
Wo us ladki ka haath apne hatho me thamkar kehti he, lekin tabhi wo ladki rone lagti he. Sakshi use sahara dekar chup karane lagti he. Kuch der baad wo ladki chup ho gayi thi.
Sakshi: please tum be jhijak mujhe batao kya baat he? Shayad me tumhari help kar saku.....
Ladki: nahi kar paogi.... Koi madat nahi kar paogi....
Sakshi: tum aisa kyu keh rahi ho? At least mujhe apne rone ki wajah to bata sakti ho?
Ladki: me.... Mene... Mene apne Maa Baap kho diye.....
Wo Sakshi ke gale lagte hue kehti he or rona shuru kar deti he. Lekin ye sunkar Sakshi bilkul heran reh jati he.
Sakshi: please tum rona band karo, or mujhe puri baat batao.....
Wo us ladki ko shant kara kar puchti he.
Ladki: kuch din pehle.... Mere... Mere Maa Baap ek car accident me marr gaye.... Or ab... Ab mera is duniya me koi nahi he... Kiske sahare jiyu me?
Uski baat sunkar Sakshi ko kafi dhuk hota he, kyu ke apne Maa Baap ko khone ka dard Sakshi bhi samajh sakti thi.
Sakshi: tum janti ho, mene bhi apne Aai Baba, Matlab mere Maa Baap ko khoya he.... Tumne to shayad akhri baar unko dekha hoga, unki Arthi dekhi hogi.... Mene to.... Mene to itne waqt se unhe dekha bhi nahi tha, or na hi me unka antim Sanskar kar payi.... Me janti hu Maa Baap khone la dard, lekin zindagi me jine ke liye koi na koi wajah zarur mil jati he... Aaj bhale hi me andar se tut chuki hu, lekin ek wajah he jo mujhe abtak zinda rakhe hue he.....
Wo kafi bhavuk hokar apni num aakho se kehti he. Ab dono ki paristhitiya ek jesi hone se wo ek dusre ka dukh samajh pa rahe the, kuch der baad us ladki ne bhi rona band lar diya.
Sakshi: waise tumhara naam kya he?
Ladki: mera naam Ashna he....
Sakshi: nice name... Me Sakshi....
Wo apna haath aage badhate hue kehti he. Ashna bhi muskurate hue us se haath mila leti he.
Fir Sakshi use apni gadi me bithakar uske ghar chhod deti he. Raste me dono ne apne numbers bhi exchange kar liye. Jese hi Ashna car se utri, or Sakshi aage chali gayi, usne muskurate hue kisi ko call laga diya.
Rana: bolo Kriti.... Kaam ho gaya?
To Be Continued......
To Dosto ye tha Chapter 4 ka pehla Update, Hope aapko pasand ayega. Or me janta hu itna late Update dene se bahot se logo ka interest is story me nahi raha, lekin asal zindagi ko bhi to chalana he na? Khair, agla Update 2-3 din ke andar hi ajayega, kyu ke itne dino se bhag daud kar ke thakk chuka hu or ab kuch dino ki chutti li he. To jald hi Update post kar dunga.
agar update accha laga ho to like zarur karna or comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. agla update jald hi ayega till then stay tuned and keep smiling![]()
![]()