Agar Hum Ne Apas Mein Sahyog Karne Ka Iraada Kar Liya Hai To Hume Ek-Dusre Ke Programmon Se Waaqif Hona Chahiye....Singhi Ne Bade Khaloos Se Kaha
Haa....Laazmi Baat Hai....!
Acha To Fir Yahan Se Rawaangi Ke Baad Tum Kahan Jaogi....!
In Dino Mera Khiyaam Peru Ki Bandargah Iquitos Mein Tha....
Aur
Mera Khayal Hai Ke Fir Wahin Wapas Jaungi....!
Iquitos Mein To Meri Bhi Thodi Jaidaad Hai....Singhi Ne Kaha
Tab To Badi Achi Baat Hai....
Lekin
Mr.Singhi....Yahan Se Rawaangi Isi Surat Mein Ho Sakhti Hai Jab Main Iska Saboot Pesh Kar Sakhu Ke Imran Ke Paas Waqai Bebe De Sof Ka Negative Nahi Hai....Kya Tum Uski Aur Foriegn-Ministry Ke Secretary Ki Guftgu Ka Tape Mere Liye Frahaam (Pradaan) Kar Sakhoge....!
Kyun Nahi....Zaroor....Zaroor....Singhi Ne Kaha
Bas To Fir Madamme Ko Rawaangi Par Aamada Kiya Jaa Sakhta Hai....!
Main Bohath Jald Wo Tape Frahaam Kar Dunga....
Lekin
Ab Tum Se Kaise Aur Kahan Mulakhaat Ho Sakhegi....?
Kal....10 Baje....Subaah....Yahin....!
Thik Hai....Main Pahunch Jaunga....!
Aur Fir Singhi Apne Saathiyon Samet Us Imaarath Se Nikal Gaya....!
_____________________________________________________________________________
Imran Puri Ro Daar Sun Lene Ke Baad Muskuraya....
Aur
Sar Hila Kar Bola....Jhoot Bolne Ke Maaher Ho....Khair....Main Tumhare Liye Aisa Tape Tayyaar Kar Dunga....Jiss Mein Meri Aur Sir Sultan Ki Guftgu Record Ki Gayi Ho....
Lekin
Kya Yeh Madeline Kaabil-E-Aitemaad (Bharosemand) Ho Sakhti Hai....!
Agar Kabhi Mujhe Double Cross Karne Ki Koshish Karegi To Gardan Marodh Dunga....!
Haa....Tum Aise Hi Ho....Imran Use Ghaur Se Dekhta Hua Bola....
Aur
Wo Sonch Raha Tha Ke Kya Singhi Thressia Ko Nahi Pehchaan Sakha....Kuch Bhi Ho....Khud Use Is Silsile Mein Zubaan Bandh Rakhni Chahiye....
Lekin
Joseph....Wo Bhi Jaanta Hai Ke Madeline Haqeeqatan Kaun Hai.....Kahin Baaton-Baaton Mein Singhi Par Yeh Raaz Zaaher Na Kar De....!
Tum Kya Sonchne Lage Ho....Achanak Singhi Ne Sawaal Kiya
Kuch Bhi Nahi....Darasal Yeh Maamla Mere Liye Goya Saanp Ke Muh Ki Chichondar Ban Gaya Hai....Main Sonchta Hu Ke Aakhar Main Isme Padh Kar Apni Maati Kyun Paleed Karu....!
Yeh Bhi To Soncho Ke Agar Isme Na Padhte To Tumhara Kya Banega....Kya In Halaath Mein Khud Ko Zaaher Kar Sakhte Ho....
Aur
Zaaher Kar Dene Ke Baad Kya Tumhari Hukumat Apne Doston Se Muh Modh Sakhegi....Dono Badi Taaqaton Se Uske Talookhaat Ache Hi Hai....!
To Iska Matlab Yeh Hua Ke Main Is Waqt Khala (Space) Mein Saans Le Raha Hu....!
Mujhe Dekho Apni Sar Zameen Chhod Dene Ke Baad Se Khud Ko Saari Dunia Ka Baadshah Samajhne Laga Hu....!
Agar Khud Ko Chupaye Rakhne Ki Salaahiyath Bhi Tum Mein Na Hoti To Fir Dekhta Kitne Ko Dino Baadshahat Hoti....!
Tum Bhi Kisi Se Kam Ho Bhateeje....Mar Jane Ke Baad Bhi Tum Ne Itni Sheedath Se Apni Zindagi Ka Saboot Diya Hai Ke Badi Taaqaton Ke Agents Bhi Naach Kar Rahe Gaye Hai....!
To Tum Mujhe Apna Humsafar Zaroor Banaoge....!
Haa Bhateeje....Tumhe Bhi Is Silsile Mein Mera Saath Dena Padhega....Uske Baad Tumhare Bhi Aish Honge....!
Lekin Madeline Mujhe Pehchaanti Hai....
Aur
Tum Khud Bata Chuke Ho Ke Wo Mere Khoon Ki Pyaasi Hai....!
Make-Up Ke Maaher Ho Tum....
Agar
Thode Se Savdhaan Bhi Rahe To Uske Farishte Bhi Na Pehchaan Sakhenge....!
Haa....Yeh To Thik Hai....Imran Uthta Hua Bola....Achi Baat Hai....To Fir Main Apni Aur Sir Sultan Ki Guftgu Ka Tape Tayyaar Karta Hu....!
Tum Yahin Thahero....Iska Intezaam Kar Lene Ke Baad Main Tumhe Phone Wale Kamre Mein Bula Lunga....Singhi Ne Kaha
Aur
Use Wahin Chhod Kar Chala Gaya....!
Thodi Der Baad Joseph Kamre Mein Daakhil Hua....Behadh Chaaq-O-Chaubandh Nazar Aa Raha Tha....
Kyun Ke
Singhi Ki Inayath Se Use Dobara Zindagi Mil Gayi Thi....!
Imran Ne Ishaare Se Use Khareeb Bulaya....!
Kya Baat Hai Boss....!
Bohath Khaas....
Aur
Ise Har Waqt Yaad Rakhna....!
Batao Boss....!
Imran Ne Use Singhi Aur Madeline Ki Mulakhaat Ke Baare Mein Batate Hue Kaha....Tum Is Silsile Mein Apni Zubaan Bandh Rakhna....!
Main Nahi Samjha Boss....!
Agar Kabhi Singhi Kabhi Madeline Ka Zikr Kare To Use Yeh Batane Na Baith Jana Ke Wo Kaun Hai....!
Main Ghair Zaroori Baatein Karta Hi Nahi Boss....Waise Tum Ne Acha Hi Kiya Ke Mujhe Bata Diya....!
Ab Shayad Hum Ek Baar Fir Usi Ke Saath Safar Kare....!
Kya Wo Mujhe Aur Tumhe Na Pehchaan Legi....!
Yeh Baad Ki Baatein Hai Iska Intezaam Bhi Kar Liya Jayega....Bas Madeline Ke Silsile Mein Savdhaan Rehna....Bas Ab Jao....!
Joseph Chala Gaya....
Aur
Imran Fir Sonchne Laga Ke Ab Use Kya Karna Hoga....Kayi Dino Se Sir Sultan Se Contact Nahi Raha Tha....
Aur
Isi Khaadshe Ki Bina Par Raha Tha Ke Kahin Wo Fir Koi Tajveez (Prastav) Na Pesh Kare....Iska Bhi Imkaan (Sambhavana) Bhi Tha Ke Is Dauraan Mein Koi Badi Taaqat Hukumat Par Asar Andaaz Ho Gayi Ho....!
Thodi Der Baad Singhi Ke Ek Mulaazim Ne Aa Kar Ittela Di Ke Wo Telephone Wale Kamre Mein Bula Raha Hai....!