• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Larazti Lakeerein (Completed)

syed arshad

Well-Known Member
2,922
7,255
143
Imran Baithne Bhi Nahi Paya Tha Ke Darwaaze Par Kisi Ne Dastak Di....Aa Jao....Usne Unchi Awaaz Mein Kaha
Aur
Joseph Darwaaza Khol Kar Andar Daakhil Hua....!


Kya Baat Hai....?

Kuch Zaroori Baatein Karni Hai Boss....!

Imran Ne Kursi Ki Taraf Ishaara Kiya....
Aur
Khud Bistar Par Baith Kar Sawaaliya Nazron Se Dekhne Laga....!


Main Uljhan Mein Hu Boss....!

Kiss Uljhan Mein....?

Aakhar Hum Yahan Singhi Ke Saath Kyun Hai....!

Kyun....Tu Yahan Maaze Nahi Kar Raha....!

Wo To Thik Hai Boss....
Lekin
Us Aadmi Ka Koi Aitebaar Nahi....Wo Sach-Mooch Tumhe Kisi Ke Haath Bech Dega....!


Kya Kisi Khaas Baat Par Teri Nazar Padhi Hai....!

Kuch Der Pahle Maine Ek Safed Faam Aadmi Ko Yahan Se Nikalte Dekha Hai....!

Yeh Koi Aisi Khaas Baat Nahi....Ho Sakhta Hai Wo Bhi Uske Saathiyon Mein Se Ho....!

To Fir Meri Khopdhi Ki Wo Rag Kyun Phadak Rahi Hai Jiss Ka Talookh Khatraat Ki Aghaahi Se Hai....!

Isliye Ke Tu Use Acha Aadmi Nahi Samajhta....!

Dekho Boss....Is Maamle Mein Mujh Se Bahes Na Karo....Main Jungle Ka Aadmi Hu....!

Is Waqt Jaa Kar So Jao....Subaah Is Masle Par Ghaur Karenge....!

Aur Agar Sote Mein Kuch Ho Gaya To....!

Tera Mukhaddar....Imran Haath Hila Kar Bola....Chal Bhaag....Mujhe Neend Aa Rahi Hai....!

Tum Jano Boss....Main To Tumhare Hi Liye Pareshaan Ho Raha Hu....Joseph Uthta Hua Bola

Uske Chale Jane Ke Baad Imran Ne Darwaaza Bolt Kar Diya....Joseph Ko Usne Bhaga To Diya Tha....
Lekin
Khud Bhi Uljhan Mein Tha Ke Ab Kiss Qism Ka Khel Shuru Hone Wala Hai....Kya Usne Singhi Ke Liye Apni Aur Sir Sultan Ki Guftgu Ka Tape Frahaam (Pradaan) Kar Ke Ghalthi Ki Hai....Is Tarah To Goya Usne Tasdeeq (Pushti) Kar Di Thi Ke Uski Hukumat Use Murda Tasavoor Nahi Karti....Uska Sir Sultan Se Contact Hai....!


Ab Agar Singhi Chahe To Use Blackmail Bhi Kar Sakhta Hai....
Lekin
Kiss Silsile Mein Blackmail Karega....Ooohhh....Jahannum Mein Jaye....Dekha Jayega....Imran Ne Aankhein Bandh Kar Li
Aur
Zara Hi Der Mein So Gaya....!


Dusri Subaah Singhi Ghayab Tha....Naashte Ki Mez Par Uske Cheeni Mulaazim Ne Bataya Ke Wo Subaah-Subaah Hi Kahin Chala Gaya Tha....!

Nashte Ki Mez Par Joseph Bhi Imran Ke Saath Tha....Usne Maane Khaiz Nazron Se Imran Ki Taraf Dekha....!

Imran Kuch Na Bola....!

Nashta Khatm Ho Jane Par Cheeni Mulaazim Wahan Se Chala Gaya....!

Tum Ne Dekha Boss....!

Nateeja Aghaaz Karne Mein Jaldi Mat Karo....!

Mujhe Kya....Joseph Ne Laparwaahi Ke Andaaz Mein Shaano Ko Jumbish De Kar Kaha....Jahan Tum Wahan Main....!

Tu Bohath Zyada Dur Andesh Ho Gaya Hai....!

Sirf Tumhare Liye Boss....Mujhe Apni Parwaah Nahi Hai....!

Meri Bhi Bohath Zyada Fikr Na Kiya Kar....!

Boss....Isse Khauff Khata Hu Ke Kahin Tanha Na Rahe Jau....!

Iske Baad Tujhe Yeh Pahaadh Si Zindagi Tanha Kaatni Padhegi....!

Yahi Samajh Lo Boss....!

Abay Chup....Imran Ne Kaha

Singhi Gerudo Ki Khiyaamgah (Nivas) Par Pahunch Kar Call Bell Ka Button Dabaya Hi Tha Ke Darwaaza Khul Gaya....
Aur
Madeline Ki Awaaz Ayi....Come In Please....Mr.Singhi....!



Continue....................................................................................................................................!

 

Nkmahakal

Active Member
1,005
1,610
158
Superb update dear

Lagta hai ki Singhi kisi aur hi chakkar me hai
 
  • Like
Reactions: syed arshad

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,523
3,976
159
Waiting
 
  • Like
Reactions: Boss

raj007

New Member
27
29
3
bahut khoob bhai

syed arshad bhai aapne xossip par jo novel post kiye the kya mijhe mil sakte hain . word me ho to bahut achha nahi to pdf men chalega
bhai main aapka our ibne safi sahaab ka bahut bada fan hun plz plz plz
 
Last edited:

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,523
3,976
159
Waiting
 
  • Like
Reactions: Boss

Night Warrior

Don Corleone
Staff member
Administrator
1,998
2,002
189
:claps:
 
  • Like
Reactions: syed arshad

Aarif

Active Member
1,473
1,502
143
Nice update Bhai or ap Imran series ki stories write karty ho or main bhi bohat Imran series ki digest padhi huye hai or ap ki stories bhi padhi thi kafi Imran series ki...
 
Top