Update-15
Next day canteen me
Daksh aur uske dost canteen me gusse aur ek table pakad ke bath gaye
Daksh- koe handicapped ko samose khila do
Hritik- koe es devdas ke bare me bhi soch lo
Arjun- koe es innocent bache ki bhi bukh mita do
Pawan- sale tujhe sirf hawas ki bhukh Hai bc
Karan- kya sahi bolta hai ye bc
Daksh abhi kuch bolne hi wala tha ki usse samne wali table par kiran akele bathe dikh gaye
Daksh- kirrrrraaaannnn
Vahi se chhilaya
Arjun- bc usse kyu bula raha hai
Daksh- ab tum nahi khila rahe to vo sahi
Arjun- lavde main le aunga sabke liye par please usee mat bula
Daksh- ab to bula liya
Yaha aaja akele kyu bathi hai firse chhilate hue bola
Hritik- eski sakal dekh kaisi ho gaye hai
Dar mat Bhai khaegi nahi
Kiran- hie
Daksh- hello
Bath jao kabhi humare sath bhi
Kiran pehle to thodi jhunjulae kyuki sab bakchod hi the yaha lekin fir kuch soch ke bath gaye
Karan- vote dalte hai
Pawan- aur vo kis liye
Karan- ki samose kon khilaega
Pawan- khila main dunga tu leke aaja bas
Karan- matlab kon leke aaega
Pawan- ye bhi karke dekh le
To batao sab
Daksh, karan,pawan,hritik sab kiran ka naam lete hai lekin Arjun kuch nahi bolta
Kiran- to esliye bulaya tha mujhe
Hritik- are nahi
Tum akele bathi thi to hume acha nahi laga
Vaise bhi ab hum classmates hai to..... You know na
Kiran- ha I know
Kitne lau
Pawan- sabke liye jitna tumhra man kare
Daksh- paise de usko pehle
Jada ambani ban raha hai na tu
Kiran- it's okay
Main le aaungi
Pawan- are nahi ruko
Aur Pawan jabardasti usse paise deta hai jo kiran ko bilkul bhi acha nahi laga
Kiran- agar paise deke hi mangvana tha to classmate wala drama kyu kiya
Hritik- mere liye ek colddrink bhi
Daksh- mere liye bhi
Karan- mere liye do ladkiya
I mean do kachoriya extra
Pawan- pehle paise vapas de aur cold drink kachoriya aur bread pakode mere liye
Samose se alava
Kiran ye sab dekh ke soch me pad gae ki ye hua kya ekdam se
Daksh- le aa yaar bhukha maregi kya
Kiran ek baar Arjun ki taraf dekhti hai jiske chehre par 12 baj rahe the
Kiran- Arjun tumhare liye
Arjun- no thank you
Thoda rudely bola
To kiran vaha se chali gae aur ye bakchodi karne lage
Pawan- Monday se college aajana
Daksh- kuch bc mujhe to ek week ka medical mila hai
Hritik- kyuki beta jo classes aur Lab miss karega to fir weekend me karni padegi
Daksh- baap ko nahi sikhate
Samjha
Arjun- Daksh computer lab kaha hai college me
Arjun ki baat sunke sab apne sir par hath marne lage
Daksh- mujhe kya pata bc
Aur college me computer lab bhi hoti hai?
Arjun- hoti hi hogi yaar
Daksh- sahi hai bc
Kal jake paint karenge
Pawan- chhup ho jao madarchodo nahi to tumhre muh me loda gused dunga
Daksh- esko apne se problem kya hai?
Arjun- jalta hai sala
Aur esse jada marks bhi to aagaye
Daksh- sahi Kah raha hai
Hritik- vo ladki mil gae?
Karan- konsi ladki?
Hritik- apni manusiyat wali sakal door rakhna usse
Arjun- hume to bata bc konsi?
Hritik- jo park me mili thi
Pawan- kab?
Hritik- bosidke jisse baat karne ke bahut ache ache idea de rahe the
Daksh- acha acha kya hua fir?
Hritik- mana kar diya
Aur jaise hi ye suna sab jor jor se hasne lage aur puri Canteen unko gurne lagi
Hritik- kya dekh rahe ho
Apna kaam karo nahi to gand faad dunga
Hritik batha batha chhilaya
Daksh- Arjun Bhai ko thoda dilasa de nahi to ro dega ye
Kiran- ye lo
Aur etna jor se kyu has rahe ho
Kiran bathi aur arjun uth ke chala gaya
Daksh- eska dil judne se pehle hi toot gaya
Kiran- that's so rude daksh
Aur tum log has rahe ho
Pawan- koe nahi bhai
Rote nahi hai
Vo hostel ke bahar ek kuttiya rahti hai usse leaaenge aaj tere liye
Kar lena apne sapne pure
Kiran- hah kitne gande ho tum log
Hritik tum mujhe batao kon ladki thi
Main karavati hu kuch
Hritik- nahi mujhe nahi karni
Tab tak Arjun bhi aagaya tha apne liye samose leke
Daksh- jab ye puchi to kyu gand mara raha tha
Arjun- mujhe kisi ka ahsaan nahi chahiye
Daksh- ajeeb lund hai tu
Pawan- Abe usse chhod
Tu bata kyu nahi karni
Hritik- endono madarchodo ki vajah se
Arjun aur Daksh ek sath
Humne kya kiya hai bc
Hritik- vo to bc tum jano
Nashe me kya kya bhasad karte ho
Arjun- sidhe sidhe bol kya hua
Hritik- usse tum dono pasand nahi ho
Pawan- pakka achi ladki hai
Ha karde bhai
Hritik- jaise mere hath baat hai
Daksh- hum kyu pasand nahi hai usse
Bc hum to jante tak nahi usse
Hritik- kabhi nashe me bhasad ki hogi uske sath
Pawan- main fir kah raha hu aisi ladki fir nahi milengi
Enko pasand nahi karti matlab achi ladki hai
Arjun- thodi der apni bakwas band karega
Kya boli vo?
Hritik- chhod be
Jane de
Daksh- dekh bhai tujhe pasand hai to hum bich me nahi aaenge
Arjun- ha tu bolega to sorry bhi bol denge vaise hume pata nahi hai ki humari galti kya hai lekin fir bhi
Hritik- maine mana kar diya
Karan- abhi to bol raha tha usne mana kiya hai
Hritik- usne bola ya to ye ya vo
To fir maine mana kar diya
Arjun- kasam se ashon hi aagaye
Agar tu ladki hoti to abhi kiss kar deta
Daksh- mana kyu kiya
Din me uske sath rah lena
Raat me to hum hai hi
Hritik- complications nahi chahiye be
Dost pehle hai
Arjun- photo dikhana
Hritik insta khol ke uski photo dikhata hai
Arjun dekhte hi muskurane lagta hai fir phone Daksh ko de deta hai
Daksh bhi dekh ke ek smile marta hai fir
Daksh- ja ha karde
Achi ladki hai
Pawan- main to pehle hi bola tha
Hritik- aur tujhe kaise pata achi hai
Hua kya tha tumhre bich
Arjun- to Bhai baat ye hai ki hum dono nashe me kahi se aa rahe the aur bike uski scooter ke bidh gae
Fir kya tha vo rone lag gaye aur hum nashe me the to hum hasne lag gaye
Jisse usse gussa aa gaya aur kuch kuch bolne lag gaye aur fir kuch kuch hum bolne lag gaye
Pawan- aur bosdiwalo tumhre kuch kuch ka kya matlab hai
Daksh- vo nahi bata sakte
Hritik- esse ye kaise pata chala ki vo achi ladki hai
Daksh- experience bhai
Pawan- tu experience ki baat mat kar
Humne dekh liya tera experience
Karan- bas etni si baat thi
Arjun- important important bataya hai
Pawan- matlab jaha tune randapa kiya hai vo skip kar diya
Hai na?
Arjun- sahi samjhe ho
Kiran- mujhe lagta hai tumhe ek baar aur baat karni chahiye
Explain her like your friendship and what are the misunderstanding
Hritik- baad me dekhenge
Coach- Daksh maine tumhe kal bulaya tha?
Ek door se aawaz aae jisse sabka dhayan uski taraf chala gaya
Vaha unke football team ka coach khada hua tha
Jisse dekh ke sab khade ho gaye
Daksh- sorry sir
Coach- come outside
Aur bolke coach Canteen ke bahar chala gaya
Daksh- ab eski kya gand me dard hogya
Kiran- Daksh at least teacher ke bare me to thodi respect show kardo
Daksh- Arjun esko respect sikhana
Main aaya
Aur Daksh bhi bahar nikal gaya
Daksh- sorry sir kal ke liye
Vo sayad medicines ki vajah se jaldi nind aagae thi
Coach- it's okay
Next time mera call attend kar lena
Daksh- Jee sir
Coach- tumse important baat karni thi
Daksh- boliye sir
Coach- maine college ki taraf se state team ke liye tumhre naam nominate kiya hai
Daksh- sorry what?
Coach- sahi suna tumne
Daksh- but Sir team me to mujhse ache aur senior player hai fir main kyu
Coach- kyuki tum sabse stable ho
Sabse kam faul, no red card no yellow card, can play at any position
I think you deserve this
Daksh- sorry sir
Main nahi ja sakta?
Coach- what the hell does that mean
Players eske liye kya kya sacrifices kar dete hai aur tumhe opportunity mil rahi hai to gavana chahte ho
Daksh- Sir I really appreciate what you did for me but I can't
I really can't
Coach- but why?
Daksh- Sir I have my personal reasons
Aap Hritik ko lele
Mujhse acha khelta hai vo
Coach- lekin uska gusse par control nahi hai
Har match me red card ya yellow card leleta hai
Daksh ek baar aur soch lo
Ye once in a lifetime opportunity hai
Daksh- Sir soch rakha hai
Main nahi jaunga
I'm really sorry
Coach- kal mujhe final list deni hai
Tum aur soch lo
Kya pata tumhra mind change ho jaye
Daksh- nahi hoga sir
Aap kisi aur ko lelo
Main nahi ja sakta
I'm really really soory
Coach- kal evening 4 o'clock tak ka time hai
Soch lena
Aur coach vaha se chala jata hai aur Daksh vahi khada khada soch me pad jata hai ki ye vo sab tha jo usne expect kiya tha but now situations have changed
And so is priorities.....