First of all
mana ki it's too late... par first revo hai is liye congratulations
Kahani - kul milake chaar pariwar leke ye kahani adharit hai....
jahan present time mein bhi kahani chal rahi to flashback bhi chal rahi hai...
waise kayi baar bina flashback kahani hi adhuri reh jaati hai... kyunki flashback ya atit ek aham kadi har us kahani ke liye jisme kayi sare raaz chupe hote hai....
well present mein teen aham samne udhar ke aaye... inme se ek rakesh jiske chalte na chahte huye bhi avi ne flashback kahna suru kiya....
waise kahani ki suruwati daud mein kahani ke Nayak Avi ke chalte jo khaufnaak manjar dekhne ko mili present mein sach unbelievable thi... par thi dilchasp ... par itni saririk shakti, furti aur fighting skills kaha se sikh ke aaya ye bhi gaur talab baat hai....
Khair..... pehle I thought ki ye rakesh kyun in dono chacha Bhatije ki jindagi mein ghuse jaa rahe hai anchahe mehmaan ki tarah... par gaur karne wali baat ye bhi hai ki agar wo kirdaar nahi hota to shayad hum readers flashback bhi padhne ko itni jald nahi milta.... kyunki puri flashback padhne ke baad yahi lage ki asal kahani to yahi chupi hai....
flashback....... kul chaar family ko leke hai...
jinme se shivraj ji ke pariwar positive characters ke roop mein bhumika nibha rahe...
wohi dusri taraf baaki teen pariwar negative kirdaar ke role mein hai waise in pariwaro mein se se do pariwar shivraj ji ke pariwar ke samandhi bhi ban gaye hai... haalaki in pariwaro mein kuch ek positive kirdaar hai...
Jaise naina, avni ratna etc....
Kahani padh ke yahin lage ki kaise log power paise ke liye bhukhe hote hai... kaise apne ahankar ke chalte kisi bhi jaan lene se piche nahi hatte, kaise fake ego ko bachane ke liye pith piche bhi waar karte hai.... ye bhi nahi sochte ki khud ke bhi kayi nuksan ho sakte hai... Kaise khaukhli zidd aur shaan aur ego ke chalte ek bhai apni hi bahan ke ghar ko ujarne pe tule hai... wo bhi nihayati nich kisam ke log ke sath deke.... yeh bhi nahi sochte ki jinko barbad karne jaa rahe hai ya karte aa rahe hai wo bhi apne hi hai....
so...... kahani mein kaafi mod hai, kaafi pehlu hai, aur kirdaaro ki bharmaar wo to puchiye hi mat
isliye kuch aham kadi aur kirdaaro ke leke vichar kar lete hai...
Guru ji - guru hi to hai jo hum sabhi sathik raah dikhaye... gyan ki aur le jaaye agyanata dur kare.... uchit soch vichar ke liye, apne pero par kadhe hone ke liye taiyar kare... jitni bhi baatein balu utni kam hai guru ke liye... thik waise hi hai avi ke guru ji bhi... ek turning point leke aaye wo avi ki life mein... sahi maarg dikhake gaye wo ushe,.... aaj agar avi ki jindagi mein wo na aate to shayad ye kahani itni dilchasp hi na hoti shayad
Hero yani ki Avi/Aravind - kahani ka Nayak... bachpan se hi kuch kamjor sa par guru ji ke kripa se wo pehle jaisa nahi raha... shakti, bal, budhi mein kayio se aage nikal chuka hai...
apno ke liye jaan bhi de de, sabka khayal bhi rakhe har dam .. Jo nyaay ke anusar jo dand diya jaana chahiye usse adhik hi deta hai ...hamesha ek aisi soch kayam rakhne wala Avi jo daya karta hai ..aur shastra bhi uthana jaanta hai ...dharm ki paribhasa ke anusaar galat aur sahi ka faisla karna jaise use achi tarah se aata hai... ..Nayak ke baare mein jitni baatein karu wo kam hi pare par itna jarur hai ki as a reader meri nazar mein wo sach mein is kahani ka Nayak kehlane ke layak hai... har taraf se har gun se paripurn..
Priya - chulbuli natkhat par hai samajhdaar aur sath hi masoomiyat se bharpur... Rohit aur Naina ki eklauti beti....
shayad kisi kaaran vash apne chacha sang kisi door aake aise bas gayi hai.. Maybe pariwar kuch hua ho.. koi ghatana.... I think present time mein Rohit aur Naina jinda nahi hai shayad...
un gundo ne jo utha le gaya to priya ko to dar hi gayi thi... par jab Avi jaisa Nayak ho kahani mein to kahe ki fikar.. even priya uski Bhatiji kam beti ho to kisiki mazal jo nazar uthake bhi dekhe... btw priya meri favorite kirdaaro ki list mein aa chuki hai
Shivraj - ghar ka mukhiya... bahot kuch dekha hai sukh dukh ki ghadi apne jivan kaal mein aur tajurba bhi inko bahot...
Khair.... lekin jo jo dukhad ghatanaye ghati inki life mein phir bhi khud ko sambhaale Kade hai kisi majbut deewar ki tarah sachme kabile tarif hai.. sachme us hawali ke mul niv ke taur pe khade utre har waqt, har lamha, har haalat mein...
Raghubiri devi- inke baare mein bas yahi kahu ki agar ye na hoti shayad Shivraj ji ka samast pariwar kab ka bhikhar jata... ek dori mein bhand ke rakhne mein jo yogdaan kabhi patni ban ke to kabhi maa banke to kabhi devrani banke to kabhi saas banke ya kabhi mukhya ke roop mein, sach mein apne apme bemisaal hai..
Nayika /rajni yaani - khatarnak par shenhmayi....
mana ki shayad kayi heroines ho is story pe par meri nazar mein yahi one & only lead heroine hai...
yahan pe ek important baat... jo positive kirdaar na rahe ab, unke baare mein ullekh nahi hogi....
Haan kyunki jo maare gaye apni hi galtiyo, asavdhani aur beparwahi ki wajah...
Raju - dost ke liye jaan l bhi sakta hai aur de bhi sakta hai.... true friend... waise kaafi dilchasp aur hanshmukh bacha hai
Padma - mamtamay jo apne bete avi ke liye kya kuch nahi kiya... jo balidaan di hai usne sach mein apne apme bemisaal hai..
Ye wo kirdaar hai hai jo saamaj ko ek sikh de jaaye.... Agar Padma jaisi maa ho to aur beta ho avi jaisa to ye sautela jaisa apshabd hi gayab ho jaaye saamaj se...
The great Naina
- bas itni si baat hai ki Naina mahan hai.. iske samne baaki ke kirdaar sab chai kam paani hai..
Omkar - my favorite kirdaar... bhale hi sidha sidha bol deta hai par jo bolta hai wo sach ke sath sath aane wale kal ki baatein bhi include hoti hai un baaton mein... ek tarah se inki baat maani jaaye to shayad pariwar mein koi afat hi na aaye I think....
Shubham - ye bhi kaafi interesting kirdaar hai... baaki bhaiyo se agal.. hanshmukh....
Khair ye wo kuch ek kirdaar jo meri nazar sabse zyada dilachasp hai....
( negative characters ke baare mein vichar vimarsh karne se pehle mujhe aapse permission chahiye The Thinker sahab )
1) shivraj ji rajao ki tarah rasuk that baat tha us pure ilake mein apne bete aur bete saman Bhatije ke marne ke baad is kadar kamjor ho gaye ki ab bas sadharan se thakur hi reh gaye... upor se omkar jo taane maarte hai so alag... par shayad avi purana daud wapas lauta de apne dada ji ko...
2) pariwar mein pehle jaisi khushi ka mahol nahi raha lekin shayad ab laut aaya hai avi ke roop mein.... par kab tak
3) raghubiri ji jis baat ko leke dar rahi hai... aane walo dino mein jo hone wala hai usko leke chintit hai wo koi jhuth nahi hai balki ek tarah se sach hai... phir se ladayi hogi... khoon bahega shayad inme se kuch ek apne bhi ho..
4) avi jo bachpan se tarasta aa raha tha dada dadi ke liye akhir ka mil hi gaya sath hi bhara pura Pariwar bhi... Par ab bhi is baat se anjan ki uski asli maa koun hai... aur dusri baat ab bhi puri tarike se apne family ko accept nahi kar paya hai... Ye bhi gaur karne wali baat hai..
5) avi anjane apne hi bhayio se lad baitha yahan tak ki apne baldev se bhi... jo uske bade dada ji hai...
6) sabse aham kadi to guru ji rahe avi ke jindagi mein, utni hi aham bhumika padma bhi nibha rahi hai uski life mein...
6) apne bhai aur bhabhi naina ki shaadi karane ke chakkar mein apni jaan tak dene mein piche nahi hata....
waise dekha jaye to ravindar se is mamle bilkul hatke dono bhai mein bharti prem atut hai...
7) villain logis....
Ab inke baare mein kya hi kahu...
Bas itni si baat hai ki...is kahani ke sab ke sab villain logis gatar ki paidaiyash hai
fakir jhole mein jane kounsa dana kiska... yeh hai in villain logis ke parichay
.. aur nahi
jab tak
The Thinker sahab permission nahi dete tab tak koi baat nahi in villain logis ko leke
........... Well shayad isliye abhi ke liye ye review adhuri hai..
8) insects ka tadka do teen jagah pe dikhne ko mili par...
yaar ye megha to sach mein tharki nikli... jab jaan gayi hai ki avi uska bhatija hai hai phir bhi aage physical relationship rakhna chahti hai.. Kamal hai.. kya gajab ki insects lober aurat hai
9) aur wo Radha ko shayad insects ka badha aaya ho isliye wo bhi dore daalne lagi apne hi bhai avi pe
aur seema to ushi line mein kadi hai
Khair..........
Sabse zyada pasandida kirdaar?
RAJU...
dosti kaise nibhana hai koi is kirdaar se sikhe aur comedy... uff... hansh hansh pet mein dard ho jaye..
Btw priya, padma aur omkar bhi hai favorite ki list mein par is kirdaar Raju ki baat alag hai..... Kamal ki sense of humor hai.....
Kahani ka koi sabse zyada Pasandida bhag aur kyun?
well.... pasandida bhag bahot sare hai par sabse zyada pasandida bhag jab Avi aur uske pariwar wale ek ho gaye.. actually puri story mein ishi baat to intezaar thi mujhe ki kab avi apne dada dadi se milne wala hai.... warna to us rohit ne kabhi milne hi nahi deta avi ko apne hi pariwar se..
Kuch vishesh prakar ke drishya likhe gaye the... udaharan ke liye koi dukhad ya tanavpurn drishya?
sukh dukh do pehlu hote hai... Story ke kirdaaro ke liye bhi aur humari jindagi mein bhi...
well is kahani mein ab sabse tanavpurn drishya jab priya kidnapped ho gayi thi aur jab ushe wo log maarne wale the...
sabse zyada dukhad jab jab bina wajah padma ji ko maarte the ravindra...
Kya kahani ne ab tak hanshaya ya rulaya?
mujhe rula de aisi to situation paida nahi huyi hai ab tak is kahani mein...
Haan kuch ek situation jarur hai jaha dil kholke hanshne ko jee kare....
Jaise ki first time jab Raju avi ke sath guru ji se milne gaya tha tab uska wo dialogue...
"Acharya & yog guru ..baba shri jamyang Sheri ....
Bhutan ke matth me 2 saal ,china me 4 saal ,japan me 1 saal , aur nepal me 6 saal ....baba hai yaa aatanki ....kahi tik hi nahi raha """ padhke main hansh hansh ke lot pot
sach mein writer sahab Kamal hi kar diya aapne to...
Koi guess kahani ko leke?
well abhi nahi....
STORY COMPLETE HONE KE BAAD
Kya kirdaar vastavik lage? ya nahi lage...... kyun?
Yep..
saamaj aisi ghatanaye ghatti rahti hai... lalach, hinsa, jalan, paise power ke liye kisi bhi had tak jana.. shayad writer sahab inhi baaton pe gaur karte huye ye kahani likhne ki koshish ki hai apne jaaduyi shabdo ki jariye jo sach mein kabile tarif hai..
Kya kahani ne ant tak jure rahne ke liye majboor kiya...?
Ji bilkul.... kahani jis dilchasp tarike se likh ke prastut ki hai wo sach mein adbhut aur nirala hai....
suruwat se leke ab tak har ek mod ke sath...
readers se yahin request hai is kahani ek baar jarur padhe aur apne sameekshaye aur mat lekhak sahab ke samne rakhe ki kaisi lagi kahani.. Sachme bahot hi meaningful kahani hai...
Kuch mann ki baatein - - maana ki anyaay aur julm ke khilaaf awaaz uthani chahiye lekin badle ki aag bahot buri fitarat hoti hai... kabhi kabhi ye aag pehle insaaniyat ko khatam kare aur phir insaan ko... isliye kuch bhi karne pehle ek sathik roop se hosh-o-hawas mein jarur mann mein hi vichar kar le... ya apne ghar ke bado se Salah mashwara kar le... waise un pariwar ke un bade log salah leni chahiye jo uchit vichar aur salah de sake.. jaise raghubiri ji ... I think baakiyo se zyada wo uchit aur sathik salah de sakti hai .
ant mein kuch shabd writer sahab ke liye - -meri nazar mein jis udasya se aapne yeh kahani likhke hum readers ke samaks pesh ki hai suruwat se ab tak usme aap kamyab rahe... chaahe sakaratmak ho ya nakaratmak sabhi kirdaaro ke karya ko, julm ko, dusmani ko, maa na hoke bhi apni mamta ki saaya tale ek bachhe ko is kabil bana dena ki is saamaj mein khud ke pero khada ho sake.. , ek guru aur sishya ko lekar jikar, , unki bhavnao ko , unke dukh dard ko, unke jivan sangharsh aur jo muheem uthayi un kirdaaro ne anyaay ke khilaaf.. in sabhi ko aapne sathik mod, sathik roop se darsane ki kosish ki hai.. jisme aap sampurn roop se sarthak rahe ab tak... hope aage bhi rahenge...
aise hi aage bhi likhte rahiye aur readers ka manoranjan karte rahiye...
Shayad is revo pe story related bahot si baatein ullekh nahi hai... hope ki aane wale reviews pe ullekh kar du...
Brilliant story line with awesome writing skills
The Thinker sahab...