• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Love

Ritima14

New Member
12
1
1
Awesome story sab kuch h is mai pyar takrar gussa gum dard. Mind blowing. Plz story end jarur Karna. Aise story aati nhi h jismai sex ke alava kuch or ho or story itni sundar ho. Masterpiece
 
306
657
93
Update 49

Prisha:acha aunty hum log jate hai subah honewali hai ghar mai sabko tension hoga

Sabrina:haan beta jao,apna khyal rakhna,jabhi jarurat pade yaad karna mai aa jaungi

Prisha:ji aunty

sabki ankhen nam thi koi kuch nhi bolta wahan se chale jate hai

thodi der mai sab ghar aa jate hai

prisha bhagkar ankit ke kamre mai jati hai udhar ankit udhar soya tha
prisha fresh hokar ankit ke bahon mai letkar usi ko dekhti hai uske sar par hath ferkar
bas roti rehti hai

prisha in mind:
ab toh kuch shabd reh hi nhi gye tujhe bolne ko,
jitna bolungi woh bhi kam hai teri qurbani ke aage
tune woh kaam kiya hai,shayad mai zindagi bhar nhi kar paati
gudiya meri thi lekin dosti ka asli farz toh tune nibhaya hai
na jane tune kitni sonal ko apni jaan par khelkar bachaya hai
mere pyare bondu mujhe tuzpar bahut garv hai
tu kaise reh liya itna saal mere bina
mai toh tere bina ek pal bhi nhi reh sakti
I LOVE YOU,I LOVE YOU SO MUCH
use kiss karti rehti hai
yeahi toh mauka hai tujhe jee bharke pyar kar sakti hun
humesha bhag jata hai aisa karta hai tujhe kha jaungi
pagal kahin ka.

prisha ko nind nhi aa rahi thi bas ankit ko pyar se dekh rahi thi

dusri taraf

punit:hum bahut khushnaseeb hai natasha hume ankit jaisa dost mila

natasha:yeah janam bhi kam pad jayenge uske ehsaano ka karz chukate chukate

radhe:maine toh suna tha doston ke liye ek dost kuch bhi kar sakta hai
aj dekh bhi liya

aishwariya:lakhon mai milta hai aisa dost

prisha nisha ke kamre mai ate hue

Nisha:arey bhabhi aj jaldi uth gye

Prisha:haan,maine socha aj mai apni pyari princess ko school chorungi,
princess ka school bhi dekhna hai mujhe,kyu princess dikhaogi na apna school

Kiran:mami ke sath school jaungi,apko apna school dikhaungi khil gyi thi
bas teacher se nhi milaungi.

Prisha:kyun

kiran:bahut gande hai,humesha datte rehte hai

yeah baat sunkar nisha prisha has dete hai

Prisha:acha princess tum taiyaar ho jao mai tumhare liye tiffin taiyar karti hun
aj khaogi na apni mami ke hath se bana hua

Kiran:haan khaungi,kisiko nhi dungi

itni masoomiyat se boli sabko hasi aa gyi thi

prisha kiran ke liye tiffin banane chali jati hai

nisha kiran ko taiyaar karke lati hai

Prisha kiran ko apne god mai utha leti hai use school chorne jati hai

Punit:arey gudiya aj humare sath nhi jaogi

Kiran:aj mai apni pyari mami ke sath jaungi,

Punit:hum pyare nhi hai

Kiran:nhi meri pyare mama aur mami jaisa koi nhi

Radhe:jhuthi kahi ki kal bol rahi thi hum pyare hai

Kiran:nhi bolti toh mujhe school kaun chorta isliye maska laga rahi thi

Punit:thik hai beta,dopahar ko tujhe toh hum log hi layenge phir batate hai

Kiran:dekho mami,kaise chote bache ko dhamki de rahe hai

Punit:habadate hue,kuch nhi kuch nhi bhabhi sorry

sab has dete hai

kiran ki masoomiyat ne sabko khush kar diya tha

prisha kiran ko school chorne chali jati hai

Nisha:tum log kya karoge chalo meri madat karo
tumhe itni jaldi chutti nhi milegi

Natasha:aj hum log apki madat karenge,inhe awaron ki tarah ghumne do

Aishwariya:Aj humari pyari bhabhi ki madat karenge

Nisha:arey meri pyari gudiyon thik hai chalo mujhe bhi tumhare
sath time spend karne ka mauka mil jayega par inhe aise nhi
chor sakti us din bahut has rahe the na

Radhe:purani baton ko bhul jaiye,humara jaan baksh dijiye

Nisha:ji nhi,mai list de rahi hun jakar saman lao

Punit in mind:hitler kahi ki jab dekho rob jhadti hai

Nisha:sun liya maine

Punit:kuch nhi aap list dijiye ja rahe hai
ankit ko bhi bola karo use toh koi kuch bolta nhi

Nisha:woh is ghar ka pyara beta hai mera pyara bhai hai

Radhe:hum log kuch nhi hai

Nisha:ho na,mere do pyare shaitaan bhai unhe punishment de rahi hun
has deti hai

phir sab apne kaam par lag jate hai

prisha kiran ko school chorkar aa jati hai phir apne kamre mai ja hi rahi thi

Nisha:bhabhi sara pyar bhai ko hi de dogi hum log se bhi mil lijiye
hum bhi apko bahut pyar karte hai

Prisha:woh ankit ko uthane ke liye

Sameer:chota sa bacha hai kya khud uth jayega tum hum log se baat karo

Maa:beta idhar aao,bad mai chali jana upar mujhe bhi toh apni beti se baat karna hai
ache se baat nhi ho pati

Prisha:ji maa ati hun

prisha phir un log ke pass baith jati hai

Maa:hum sab tumhe,natasha,punit,radhe,aishwariya ko ek chiz dena chahte hai

Prisha:aap sab ne mujhe itna pyar diya itna kuch diya hai
aur kuch nhi chahiye sachi maa

Natasha:ji aunty,aaplog ka pyar mil raha uthna kafi hai

Nisha:arey woh chiz ankit ki hai,humne sambhalkar rakha hai
dekh toh lo,woh chabhi deti hai

Sameer:yeah woh store room ki chabhi hai jisme ankit ne apni sari
yaadein rakhi hai bahut sambhalkar jab samay mile toh dekh lena

Prisha:thik hai bhaiya,jab raat ko ankit so jayega hum sab dekh lenge

Nisha:bilkul

prisha:kya mai ab ja sakti hun

Sameer:tujhe idhar rehne mai kuch problem hai
use alsi bana rahi ho tum idhar raho kahin nhi jana

prisha thoda udas ho jati hai

Maa;beta malum hai hume tum use bahut pyar karti ho
fikar hai uski,lekin apna bhi dhyan diya karo
puri pagal hote ja rahi ho uske piche

Nisha:haan bhabhi maa sahi keh rahi hai
aap kahin nhi jayengi ane do khud

prisha ko message ata hai

Ankit:abhi bhi naraz ho kal ke liye sorry baat toh kar lo
kal se tumne thik se baat nhi ki

Prisha:Naraz nhi hun,idhar niche baithi hun ane hi nhi de
rahe baat kahan se karu

Ankit:acha,koi nhi mujhe acha laga tum naraz hi ho
mai taiyaar hokar ata hun,par mujhe kapde toh bata do
kaunsa pehnu,tum hi nikalkar de deti thi mera choice tumhe pata hi hai

Prisha:hey bhagwan,kab sudhroge ek kaam karo cupboard pahile se third mai jo
rakha hai woh pehen lo jaldi aao

aise prisha message karke ankit ko sab bata dete hai

sab prisha ki aur dekhkar sab has rahe the

thodi der mai ankit taiyaar hokar ata hai

Sameer:aiye aiye shahabzaade ab aa rahe hai
uthkar

Ankit:arey tu hi toh mujhe woh goli deta hai
usme meri kya galti

Nisha:jaise pahile bahut uth jaya karta tha

Ankit:haan toh,maa se pucho engineering ke time
par jaldi subah uth jata tha padhne ko tabhi toh
mujhe scholarship mili thi aisi thodi na mil jata hai

Sameer:abhi tu hume nicha dikhayega

Ankit:nhi woh nisha di ne bola toh mai bata diya

Nisha:toh meri baaton ka aap ulta jawab doge

Ankit:maa aap kuch bolo na

Maa;mai kya bolun tu bigad gya hai usme teri hi galti hai
sunega toh jarur

Ankit:mai kahan bigada hun dekho aj khud se aya hun

aishwariya:apne apko bahut smart samajta hai

Ankit:woh toh mai hun hi

Natasha:bhabhi jara phone dena

Prisha:tujhe meri phone ki kya jarurat hai

Nisha:bhabhi jo aap kar rahi thi na phone par sab dekha humne

Ankit:hadbadate hue,aap log ko sharam nhi ati personal message padte hue

Sameer:abey yeah tu bol raha hai,apna din bhul gya,kitna sataya hai mujhe
nisha ka message ata tha padkar hasta rehta tha

Natasha:mere mobile se punit ko darata tha uska kya

Nisha:bolo bhai tab sharam nhi ayi apko,ab apki bari hai

punit,radhe bhi saman lekar aa gye the puri baat sun liye the

punit:sahi bol rahe ho aap,bahut sataya hai isne

sab usko susse se dekhne lag jate hai

punit kuch nhi bolta udhar nasta karne ke liye baith jata hai

punit ki halat dekhkar sab hansne lag jate hai
 
Last edited:

Avinashraj

Well-Known Member
2,000
5,643
159

Nyc update bhai
 
306
657
93
update 50
sabka nasta ho jata hai sab apne kaam par chale jate hai

maa:natasha,aishwariya beta,jara mere pass ana tumse kaam hai

Natasha,aishawariya:ji aunty

natasha,aishwariya maa ke sath unke kamre mai chali jati hai

maa:natasha,aishwariya,aao beta baitho mere pass tum bhi
prisha nisha jaise meri bachiyan ho

natasha:hum apke hi bache hai,apke hote hue maa ki kabhi
kami mehsus nhi hoti

aishwariya:ji aunty,idhar apna sa lagta hai

Maa ek box kholti hai usme sone ka chain,bracelet,ek necklace tha

Natasha:yeah kya kar rahi hai,hume nhi chahiye

Maa;beta maa jo de use pyar se rakh lena chahiye mana
nhi karna chahiye

aishwariya:aunty par

Maa:par war kuch nhi tum log mujhe naraz karoge

natasha:nhi aunty

aishwariya,natasha dono unke gale lag jate hai

Maa:beta,mai toh salon se ankit aur prisha,sameer aur nisha ke liye kuch na
kuch jama karti thi,lekin tum log ke liye kuch kar nhi
payi ankh mai anshu ate hue

Natasha:kya aunty aisa royengi kaise chalega,hume
apka pyar mil raha hai aur kuch nhi chahiye

Aishwariya:haan aunty roiye nhi aap hume apna bacha
samajti ho na unhe rulayengi

Maa:tum log apne bare mai kuch batao

Natasha:aishwariya,mai,radhe shimla ke orphanage mai
pale bade hai

Maa:tum loag ka padhai,kharcha

Aishwariya:aunty,jo orphanage ke owner the
Gaurav and Preeti wahi hum sab ka khyal rakhti thi
hume apna bache jaisa samajti thi,
aunty raat ko meethi meethi lori sunati thi
Subah Uncle hum sab ko school bhej dete the
Unhone kabhi hume paraya nhi samjha
Yahan tak humari engineering ki padai ka
sara kharcha unhone uthaya hai

Maa:woh log itne log ko kaise padate hai

Natasha:unke pass bahut sari jameenein hai,ghar hai
foreign mai bhi unke kuch properties hai,unhe
hum sab ka kharcha uthane mai koi dikkat nhi hai
unke koi ladke bache nhi hai isliye uncle aunty
orphange chalate hai

Maa:arey waah ek baar jarur milna chahungi unse

Aishwariya:ji mil lijiyega,ankit mil chuka hai unlog se
as usual unka chahita ban gya hai

Maa;yeah ladka ek jagah chora bhi hai,jahan jata hai
udhar apna jadu ki chadi ghumane lag jata hai

Natasha:apna ankit hai hi aisa,apne pyar se dusron
ka dil jeet leta hai

Aishwariya:kabhi kabhi sochkar darr lagta hai ankit jaisa
haal humlog ka hota toh shayad hum jee nhi pate bahut
himmati hai apna pyara ankit

Maa:woh toh hai,lekin mai pyar nhi karti use
yahan bhi uska pariwar hai lekin woh humesha
apne manhoos chacha chachi ke pass rehta tha
kabhi bhi usne humse madat mangi nhi khud mehnat kiya
yahan tak pahuch gya

Natasha:isliye hume apne ankit par garv hota hai

Maa;chadao mat use badmash hai,woh store room
mai dekhoge na sab pata chal jayega

Natasha:sham ko prisha bhabhi ke sath dekh lenge

Maa:Punit ke bare mai kuch batao

Natasha:punit bhi ankit ki tarah hi hai
uska bhi koi nhi hai unhe punit ke bare
mai sab bata deti hai
punit 10 vi pass tha use padhne ka shok
nhi tha ankit ne use street fight,baki galat adatein
chodwa diya tha.punit ko kuch apni zindagi mai
karna chahta tha ankit ne use dance ke video dikhata tha
har din dikhata raha jab tak punit usme interest nhi aya
jab bhi mauka milta ankit use videos dikhata rehta tha
punit ko interest ane laga tha,ankit ne uske dil dimag
mai is tarah dance ka bhoot chadwa diya Punit dance
ke bina reh nhi sakta tha.ankit ne uska admission
Dance school mai karwaya uska sara kharcha as usual
ankit ne kiya

Maa:ankit pass paise ate kahan se the

Natasha:tab ankit job karne lag gya tha nisha di ke yahan

Maa:mere bache ne itne ache kaam kiye hai sirf apni nhi
doston ki zindagi ke bare mai bhi socha usne

Aishwariya:apna ankit acha insaan toh hai hi
apne bare mai na sochkar dusron ke bare mai
sochta hai sabse masoom pyara dost hai apna

Maa:woh toh hai hi mera beta hai hi lakhon mai ek

Natasha:abhi thodi der pahile kuch keh rahi thi

Maa:maar khana hai tujhe

Natasha:aunty ka maar hai bura nhi lagega

Maa:acha soch lo

Aishwariya:soch liya

Maa:tumlog sach mai shaitaan ho

Natasha:woh toh hum hai hi,thank you aunty
aj humne dekh liya apna ankit kyu itna apki tarif karta hai
respect deta hai

Maa apne shat nye kapde radhe aur punit ko dene ke liye jati hai
usme sone ki ghadi bhi the

Maa:punit,radhe jara idhar aao

Punit:ji boliye aunty

Maa unhe sab deti hai

Punit:par

Maa:kuch nhi suna mujhe natasha aishwariya lecture sun chuki hai
tumhe suna hai

punit radhe ki ankh mai anshu aa gye the

Punit:mai toh kabhi apni maa ko nhi dekha kya mai ankit
ki taraha apko maa bula sakta hun

Maa:tum log ki maa hi hun pagle tum log bhi mere jigar ke tukde ho

Natasha:aj se hum bhi apko maa karke bulayenge

sab maa ke gale lag jate hai

dusri taraf
ankit prisha office mai the sath mai kaam kar rahe the

Ankit:miss blackbelt thank you maaf karne ke liye

Prisha:aur kar bhi kya sakti thi tumpar chila toh nhi sakti

Ankit:aisa kyun bol rahi ho

Prisha:kal jo tumne kiya ek baar bhi mere bare mai nhi
socha tumne mai kitna ro rahi thi tumhe dard hota hai
taklif mujhe hoti hai kabhi iske bare mai socha tumne

Ankit:sorry pakka agli baar se nhi karunga

Prisha:mere samne nhi karoge chupkar ro gey
kya fayda woh toh mujhe aur jyada taklif deti hai

Ankit:wada karta hun ab se kabhi aisa nhi karunga
jise tumhe taklif ho please ek last chance de do

Prisha:chalo yeah bhi dekar dekhti hun

Ankit:thank you miss blackbelt

Prisha:maaf nhi kiya tumhe abhi tak
sirf chance diya hai

Ankit:aisa kya karun tum man jao

Prisha:pati tum ho tum hi socho
mujhse kya puch rahe ho
patni ko manane ke liye patni se puchoge waah kya pati hai

Ankit:shayri sunaun man jaogi

Prisha:sochungi kitni achi hai uspar

Ankit:
sab mil gya apko pakar
hamara har gham mit gya apko pakar
sawar gyi hai zindagi hamari har lamhe ke sath
Apko apne zindagi ka hissa banakar

Prisha:haye kitni pyari shayri bola hai tumne
mera bondu itna romantic hai socha nhi tha

Ankit:biwi ko manane ke liye romantic banna
padta hai

Prisha:itni pyari shayri bologe roz aise naraz hona padega

Ankit:aisa sitam mat karna muzpar,tumhe naraz hota
dekhkar meri jaan nikal jayegi

Prisha:jane dungi tab jayegi na

Ankit:maaf kar diya na mujhe

Prisha:haan kar diya mere pyara bondu itni mehnat kar raha hai
ek mafi toh banti hai

Ankit:thank you

Prisha:my pleasure

Ankit prisha kaam kar rahe the

thode time baad

Ankit:miss blackbelt ek baat batani thi

Prisha:haan bolo

Ankit:maine decision liya hai Natasha,Radhe,Aishwariya
humara company join kare

Prisha:yeah toh khushi ki baat hai,yeah company mai kaam
karenge chand chand lag jayega

Ankit:yeah toh maine pahile se socha tha bol nhi paya
aj hum dono sath mai bolenge nisha di se baat kar lete hai ispar

Prisha:haan jarur karenge baat,aj unlog ko unki pyari bhabhi acha
gift dengi

Prisha:punit bichara akela ho jayega

Ankit:uske bare mai bhi socha hai shaam ko jab office se niklenge
tumhe kuch dikhana chahta hun uske bare maine kya socha hai

Prisha:sabke bare mai socho lekin apne patni ke bare mai mat
socho

Ankit:tum hi batao kya dun apko

Prisha:waqt ane par mang lungi
yaad rakhna ek udhar hai tumpar

Ankit:okay meri pyari miss blackbelt

Ankit:chale nisha di ke pass

Prisha:haan chalo

Ankit prisha nisha ke pass jate hai

Nisha:aao aao aj bhai bhabhi ko humari yaad aa gyi

Ankit:humesha ati hai

Nisha:jhuth mat bola karo 4 ghanto se ek sath kaam kar rahe ho
ek bhi baar milne nhi aye merese mai hun hi nhi

Prisha:sorry di agli baar se nhi hoga

Ankit:aap toh aa sakti thi na apko kisne roka hai

Nisha:tumhari tarah besharam nhi hun,faltu mai pareshan karun

Ankit:arey yaar,phir chalu ho gye ache mujhe ek kaam tha

Nisha:bina kaam ke toh aap aoge nhi bolo

Prisha Ankit sari baat nisha ko bata deti hai

Nisha:arey waah mujhe bahut khushi hogi
mai unka appointment letter taiyaar karti hun

Prisha:thank you di

Nisha:arey thank you kis baat ka meri teen behnein mere ankhon ke samne rahegi
mujhe khushi hogi................................
 
Last edited:
306
657
93
Update 51

Ankit:Miss Blackbelt idhar aa gya woh jagah idhar park kar do

Prisha;thik hai

ankit prisha woh auditorium mai jate hai

Prisha:wow mast hai

Ankit:yahan apna punit dance karke logon ko entertain karega
uska sapna jo tha

Prisha:Apna punit dancer hai mujhe pata nhi tha

Ankit:Haan trained dancer hai uski skills bhi lajawab hai

Prisha:Mai jarur dekhna chahungi Usko is stage par
puri duniya apni punit ki dancing skills ki deewani ho
jayegi

Ankit:haan woh toh hai

Prisha:agar use pasand nhi aya toh

Ankit:nhi aya toh koi baat nhi hum kisi ko force thodi na kar sakte hai
jaisa yeah band hai waisa band rahega aur kya

Prisha:mujhe yakeen hai use pasand jarur ayega

Ankit:ab chale ghar pe

Prisha:hmm chalo

Ankit:Miss blackbelt kya aj mai car chalaun
janta hun meri tabiyat kharab hai lekin
itni nhi car na chala paun please chalane
do na

Prisha:itna request kar rahe ho thik hai
lekin aram se chalana

Ankit:thank you Thankyou tum sachme bahut achi ho

Prisha:isliye tum muzpar marte ho haste hue

Ankit:haan woh toh hai

ankit driving seat par,prisha bagal mai baith jati hai

Prisha:ek baat puchni thi

Ankit:haan pucho

Prisha:tumne abhi tak nashe ko hath nhi lagaya
jab se mili hun tab se dekh rahi hun tumne
koi bhi nasha nhi kiya

Ankit:tum kya chahti ho mai wapas karne lag jaun

Prisha:maar dungi agar wapas hath lagaya toh
bas janna chahti thi par tum toh

Ankit:acha sorry,wajah tum hi ho meri pyari miss blackbelt
tumhe nashe karnewalon se nafrat thi,jab tum nhi thi mai maze kar sakta tha
jabse tum meri zindagi mai ayi aisa kuch nhi karna chahta tha ki tum mujhe chorkar chali jao
dur tha tumhe dekh kar khush ho jata tha,
ja tum mere pass ho tumhe khone se darr lagne lag isliye hath nhi lagaya
mujhe sirf tum chahiye aur kuch nhi

prisha ke ankh mai anshu aa gye

Prisha:itna pyar karte ho mujhse

Ankit:bahut bahut jyada,arey pani puriwala chalo khate hai

prisha:maar khana hai,abhi itni bhi tabiyat thik nhi hui
bahar ka kha lo,thode time avoid karo

Ankit:kya yaar,itne time se rukha sukha khake bore ho
gya hun

Prisha:zimmedar kaun hai apni halat ka

Ankit:sameer ne kya bola kitna time lagega thik hone mai

Prisha:2 mahine bole hai thik hone ko jayega

Ankit:koi nhi,2 mahine ki baat hai aise hi nikal jayega

phir yeah log bhi ghar aa jate hai

Nisha:aa gye,tum log ka hi wait ho raha tha

Ankit:haan kisi kaam par phas gye the isliye late ho gya

Maa:koi baat nhi beta,jao tum log fresh ho jao aram se baat karte hai

thode time baad

Prisha:Natasha,Aishwariya,Radhe tumhari bhabhi kuch dena chahti hai
tumhe meri kasam mana nhi karoge

Aishwariya:ab kasam de di ho mana nhi kar sakte

Ankit:Tumhe hamari company kaisi lagti hai

Natasha:bahut achi hai ankit apna parivaar jaisa environment hai udhar

Prisha:tum log bhi is parivaar ki hissa ban jao

Radhe:matlab

Ankit:tum log bhi company join kar lo

Natasha:hum log kaise

Nisha:kyu nhi itne kabil ho,intelligent ho humari
company mai aisi log chahiye

Prisha:yeah lo tum teeno ki joining letter kal se join
kar lena

Natasha,radhe,aishwariya ke ankh mai anshu aa gye the

Natasha:sach bolna bhabhi,yeah sab ankit ne socha tha na

Ankit:mai kyu sochu tum log ke bare tum log se dur bhagta hun
nisha di ne bola tha

Aishawriya:hum log ko pagal samajta hai bolega maan lenge

Natasha,Radhe,Aishwariya teenon ankit ke gale lagte hai

Natasha:kyu karta hai re itna sabkuch

Ankit:tum logon ne jo mere aur prisha ke liye kiya yeah toh kuch nhi hai

Punit ke ankh mai anshu aa gye the

Punit:mai bahut khush hun tum log ke liye

Ankit:ab tu in sab ka dhyan dega

Punit:isme kuch puchne ki baat yeah sab mere apne hai
tu bolega nhi tabhi bhi karunga

Prisha:Punit mai aur ankit kal tujhe kahi lekar jana chahte hai
chalega hum log ke sath

Punit:haan jarur chalunga

phir sab khana khake sone chale jate hai

Prisha ankit ko sulakar natasha,aishwariya,radhe ke sath store room dekhne aye the
nisha bhi ayi thi

Prisha:di aap

Nisha:mai kyu nhi aa sakti humari yaadein hai taza ho jayegi

sab store room mai jata hai udhar paintings,sketches thi

Prisha:yeah sab ankit ne banaya hai

Nisha:haan bhai ne banaya hai,usko bahut shok hai yeah sab banane ko

Nisha:chalo bhabhi dekhte hai

sabse pahila sketch uncle aur ankit ka tha

Usme unki puri yaadein banayi thi sab kuch banaya tha usne
woh mandir waterfall unke sath khelna hansna us sketch mai
unke sath bitayi puri yaadein hai

prisha ke ankh mai anshu the

uske baad ek aur sketch kholte hai jisme maa ke bare mai tha
usme usne sab kuch banaya tha har ek pal banaya tha usne
sameer ke sath bitaye hue har pal banaya tha usne
jab woh hospital mai tha bachpan mai kaise maa ne uska khyal
rakha woh sab tha usme

prisha,ke sath sabke ankh mai anshu aa gye the uske

Teesara sketch sameer,nisha ke mulaqat ka tha
aise usne sabrina chachi,natasha,radhe,punit,aishwariya
ka bhi banaya tha

Sab woh sab dekhkar ankh mai anshu aa gye the

Nisha ek aur sketch nikalti hai usme uske shaadi ka tha
pura detail mai usne drawing ki thi
uske shaadi ke functions,mehndi,etc

nisha ka bhi ankh mai anshu aa gye the

ek aur sketch nikalti hai usme prisha ka tha
usko diwali mai pahili baar dekhna se lekar
institute tak ki sare sketches banaya tha usne

prisha ke ankh nam ho gyi thi

Phir ek aur sketch nikalti hai prisha sonal ka tha
jisme usne puri badi behen,choti behen ki yadein
banayi thi

kis tarah prisha sonal ko school chor rahi thi,
use apne pass baithayi thi,felocitatation mai
kis tarah prisa sonal ko pyar kar rahi thi
udhar yeah log kahan kahan gye woh sab banaya tha usne
(ankit us din inlog ka picha kiya tha sab dekh raha tha
chupke se)

prisha us sketch ko apne seene se chipkakar rone lagti hai

phir ek akhri sketch nikalti hai usme usne sonal ke sath
bitaye hue sare pal banaye the
last mai jab woh sonal ko bye bola tha wahan tak tha
last mai likha tha ankit ne i am sorry sonal
uske baad usne sketch nhi banayi thi

prisha yeah sab dekhkar rone lagi thi ise usko
sabkuch malum pad gya tha

Nisha:bhabhi yeah sab hum lock rakhte the
kyuki bhai yeah sketch ko dekhkar phut phutkar rota tha

prisha ke ankh mai bhi anshu aa gye the

Nisha unhe ek underground le jati hai jo uncle ne banaya tha
wahan light on karti hai
Jo prisha ne sonal ko gift diya tha scooty woh udhar rakha tha
ek dum nayi naveli lag rahi thi ek bhi kharoch nhi na kuch

Nisha:yehi scooty tumne sonal ko di thi na

Prisha:haan bhabhi,mai toh iske bare mai bhul gyi thi

Nisha:ankit ne usko apne pass hi rakha tha sonal ki akhri
amanat samajkar jis din samay ayega woh tumhe de dega
yehi samajkar usne rakha tha

prisha us scooty ke pass jati hai use chukar sonal ki yaadein ko
yaad karti hai rone lag jati hai sab yaad ata hai use
Choti Choti Karke roti hai phir uski nazar udhar dustbin mai pade sketch par jati hai
udhar jati hai

Nisha:
isme usne amusement park ke sketch banaye the
sonal ki maut ki wajah woh apne sapne ko manta hai,
bhai ko itni nafrat ho gyi usne phir kabhi bhi iske bare mai nhi socha,
aur phek diya.
woh toh zinda lash ban gya tha,apki wajih se woh mukurane laga hai
hansne laga hai,masti karne laga hai,thank you bhabhi aap bhai ki zindagi mai khushiyan layi

Prisha:di khushiyan to usne di hai muje apni zindagi mai lakar

sab ke ankh mai anshu aa gye the

Prisha woh sketch ko sambhalkar store room mai rakhti hai

Nisha:bhabhi aap kya kar rahi hai

Prisha:di ankit ne sabke yaadein ko sambhalkar rakha hai
mai uske sapne ko sambhalkar rakh rahi hun

Yeah log sab bahar aa jate hai

punit:yeah sach mai pagla hai,itna pyar karta hai
hum log se malum nhi tha puri kahani sketchbook
mai bana di

Natasha:dosti ke liye hath kya diya usne hum sabko
apne dil mai basa liya

Aishwariya:isi ko kehte sacha dost

Nisha:woh rishta nibhana janta hai,pyar bhi karna janta hai
zimmedari bhi uthata hai isliye toh mera sabse pyar bhai

Prisha kuch nhi bolti

Nisha:Chalo aj hum sab bhai ke kamre mai jate hai use ek baar dekhkar aa jayenge

Punit:haan mujhe bhi dekhna apna dost ko sote hue kaisa dikhta hai

Sablog ankit ke kamre mai chale jate hai
 
Last edited:
Top