Update 52
Natasha:yaar sota hai aisa lagta hai koi chota bacha so raha hai
kitna pyara lag raha hai
Prisha:mere bondu ko nazar lagane aye ho tumlog jao dekh
liya na
Nisha:arey bhabhi apke bondu ko koi nazar nhi laga raha sab
pyar de rahe unko
Aishwariya:bhabhi aap apni institute ki baat batao na
bahut man kar raha hai jane ka
Punit:haan bhabhi
Prisha:Us time mai use bahut nafrat karthi thi
woh institute ke bahar smoking karta tha,alcohol pita tha
street fight kiya karta tha tab mujhe awara hi lagta tha
Training ke time jab hum sab practice karte woh mujhse
har jata tha mujhe acha lagta tha koi bhi institute mai bondu ko hara nhi sakta tha
mai use hara deti thi mai bahut khush hoti thi
ek din humare institute se National ke liye naam chune gye the
Usme Bondu Aur Mera Naam tha hume delhi gye the
//FLASHBACK//
match ka day
Prisha;tumhe kyu select kiya pata nhi pure befikr ho
Ankit:tension kyu lun harna hai toh harunga
jeetna hoga toh jeet jaunga
Prisha:tumhari wajih se humare state ka naam kharab hoga
intitute ka hoga woh alag pata nhi kaunse nashedi ko select
kar diya
Ankit:ae madam baar baar nashedi mat bola karo bura lagta hai
Prisha:bolungi baar baar bolungi kya kar loge merese toh har jate ho
pata nhi idhar kaise jeetoge
Sabse pahila match ankit ka tha
prisha hairan ho gyi thi ankit ko dekhkar
ankit ki furti,leg movement sabse jyada tez thi
prisha bhi uske samne kuch nhi thi
ankit opponent ko hara deta hai
Ankit:mai toh jeet gya apki bari hai
Prisha kuch nhi bolti bas fight karne jati hai
final fight ke time dono point equal thi
Prisha ko sirf 6 point chahiye tha jeetne ko
time kam the ankit piche se akar bolta hai
Ankit:daro mat shant raho thanda rakho
Prisha:dekh nhi raha chudail ko kaise dekh rahi hai
tu bol raha shant rahun
Ankit:meri baat sunogi kuch nhi hoga
Prisha ke pass kuch option nhi tha kyuki use gold medal jeetna tha
Ankit:kuch mat karo use tumhare pass ane do phir ek flying kick
muh par dena
prisha dari thi phir bhi baat maan rahi thi woh shant thi koi action
nhi kar rahi thi opponent se yehi galti ho gyi woh uspar attack karne
ayi thi jaise hi nazdik ati hai
Ankit:abhi
prisha ek flying kick opponent ke muh par marti hai opponent har jati hai
Prisha ko bhi gold medal milta hai
Prisha:thank you
Ankit:thodi der pahile kuch bol rahi thi aap
Prisha:tumhari harkate aisi hai toh kya bolti
Ankit:tension toh mujhe bhi tha lekin samne wale ko kabhi dikhana nhi chahiye
uska fayda woh utha lenge yeah baat ek nashedi ki yaad rakhna
Phir jab ghar aa rahe the
Prisha:tum nhi aa rahe ghar
Ankit:ji nhi aa raha mujhe kahi jana hai mai udhar ja raha hun
ankit wahan se chala gya
//Flashback end//
Prisha:jab ja raha tha us din ehsaas hua tha koi apna chor ja raha hai
lekin us ehssas ko pehchan nhi payi samaj na saki agar samaj jati
nhi mai apni choti ko khoti nhi mere bondu ka yeah hal hota rote hue
Nisha:bhabhi roye nhi jo hua use bul jaiye dekho aj bhai apke pass hai
aur kya chahiye
Natasha:haan bhabhi uparwale ne apko itni badi khushi di hai use
ankit ke sath khulkar jiyo
Punit:khud karta tha street fight mujhe rokta tha
sab use ghur kar dekhte hai gusse mai
Prisha:woh mujhe coaching de sake isliye karta tha jeeta tha
teri tarah hath pair nhi todwaya usne
Punit:arey yaar mazak kar raha tha sorry
Prisha:aisa kaunsa mazak tha mazak bhi limit mai hoti hai
Punit:sorry bhabhi gussa mat kariye nandan bacha samajkar maaf kariye
Prisha:thik hai kar deti hun agli baar soch samajkar mazak kiya karo
kisi ko bura bhi lag sakta hai
Punit:sorry bhabhi
Natasha:dekha teri wajih se bhabhi gusse mai aa gyi
Punit:ab soch samajkar karunga masti
Nisha:arey yaar gussa thuk do chalo bhabhi ko sone do unhe bhi kuch baat karni hogi bhai se muskurate hue
Prisha:sharmate hue di
Aishwariya:all the best bhabhi bolkar bhag jati hai
sab wahan se chale jate hai prisha bas ankit ko dekhne lagti hai
Natasha:darwaja ache se band kar do phir jee bharke ankit ko dekhna koi disturb nhi karega
Prisha:jati hai ki nhi yahan se
Natasha:haan jaa rahi hun
sab chale gye the prisha darwaja band karke
prisha in mind:
arey pagal kyu apne sapne ko dosh deta hai
kyu use nafrat karta hai
sonal ko bhi bura lagta hoga uski wajih se
apne dekhe hue sapne se nafrat karne laga hai
tera yeah sapna toh jarur pura hoga
mai pura karungi
teri har khwayish pura karne ki zimmedari meri
mere pyare bondu kyu itna acha hai tu
bahut pyar aa raha hai tuzpar
use kiss deti hai uske bahon mai so jati hai
prisha subhah uth gyi thi maa ki madat karni jati hai
Prisha:good morning meri pyari maa
Maa:good morning meri pyari bacha,waise kaise laga sketch ankit ka
Prisha:kya bolun maa itni yaadein sajayi hai usne uske har ek sketch
mai khushiyan dard sab chupa hai
Maa:haan beta usne hum sab ko ek sketch book mai sajaa diya hai
Prisha:maa ek sawal puchna tha
Maa:mujhe malum hai beta ankit mata pita ka sketch ka puchnewali ho na
Prisha:haan maa,ankit toh unhe bhi bahut pyar karta hai unki sketch nhi
banayi usne
Maa:beta,aisa kabhi hua hai koi beta apni mata pita ka sketch nhi banayega
sabse pahila sketch unhi ka banaya tha usne uske chacha chachi ko yeah baat pasand
nhi ayi thi usne ankit ka sketchbook do tukdo mai phadkar phek diya tha
ankit woh sab tukdo ko sametkar bahut ro raha tha tab bacha toh tha hi
woh uske masoom dil ko bahut chot lagi thi
na jane kitna din raat mehnat karke woh sketch banaya tha usne
woh 2-3 din se hum log se milne bhi nhi aa raha tha
aisa hua nhi tha aakash ghar par ho milne nhi aya ho
sameer use ek park ke pass baithe rothe hue dekha tha
sameer bhagkar humare aakar sari baat bata di
aakash aur mai bhagkar uske paas aye
//FLASHBACK//
Aakasha:beta kidhar hai ankit
Sameer:woh udhar baitha hai apne sketchbook ko hath mai liye ro raha hai
Aakash:kya hua
Sameer:pata nhi bas apne sketchbook ke tukde ko hath mai lekar
ro raha hai
Aakash ankit ke kandhe par hath rakhe the ankit aakash ko dekhta hai
phut phutkar rone lagta hai
Aakash:kya hua beta,mat ro apne uncle aunty ko bhi rulaoge
ankit kuch nhi bolta bas apne sketchbook ke tukde aakash sushma ko dikhata hai
aakash sushma dono ke ankhon mai bhi anshu aa gye the us masoom se bache ka
dard dekha nhi ja raha tha un log se
sushma uske pass baithi hai uske ankhon mai anshu pochte hue
Sushma:idhar dekho meri taraf hum bhi toh maa baap jaise hi
hai na mat ro beta tum un log ko humare andar dekh lo
dekho tumhe kabhi dukh nhi hoga
Aakash:beta,tum bhi toh hamare hi bache ho hume apni
yaadon mai samet lo
ankit unlog ke gale lag jata hai
Aakash:ab thoda has bhi de kabse roya ja raha hai
tere liye toh ata hun tu milne bhi nhi ata
Ankit:nhi uncle ab se kabhi aisa nhi hoga mai humesha
milne aunga
//Flashback End//
prisha ke ankh mai anshu aa gye the
Maa:uske baad usne hum sab ki sketch banane lag gya
hum sab ko apni sketchbook mai utar diya
Prisha:kitne nirdayi hai un log thoda bhi raham nhi
aya us masoom bache par maar dalna chahiye aise
logon ko
Maa:yeahi baat ankit ko jakar bolo kuch nhi bolega unhe
unke sab jurm sahega lekin bolega kuch nhi
Prisha:yeah toh galat hai maa
Maa:beta apna ankit hai hi aisa kisi ke liye bhi uske dil mai
nafrat nhi hai ankit ke chacha ankit ke pita ka chota bhai hai
ankit ke mata-pita unhe apne bacha jaisa samajte the
unka chota bhai unke bache ko apna na sake
unlog ne ankit ko sirf dard ke siwa kuch nhi diya
prisha yeah itna acha kyu hai sab ise taklif dete hai
par yeah kuch bolta nhi
Maa:beta use yeah sanskaar apne mata-pita se mila hai
socho jab apna ankit itna acha hai uske mata-pita kitne ache honge
Prisha:pata hai maa aj mai bahut khush hun mujhe ankit jaisa
sacha,pyara,masoom sathi mila hai
Maa:bas uski zindagi mai ab koi problem na aye woh ek
achi zindagi jiye jiska woh hakdar hai
bahut dard jhele aur taklif dekhi hai usne
mere mai himmat nhi hai ankit ko aur dard mai dekhne ki
Prisha:maa apki yeah beti hai na ab ankit ke zindagi mai
khushiyan khushiyan layegi.
Maa:prisha ke mathe par kiss karte hue mere pyari bachi
maa-prisha phir nasta taiyaar karne lagte hai
Ankit uth gya tha
Ankit in mind yaar yeah phir chali gyi
yeah log aisa kyu karte hai meri miss blackbelt ko mere pass rehne nhi dete
phir message karna padega lekin phir bichari ka mazak udayenge woh mai nhi chahta
prisha ka message ate hue
Prisha:kya soch rahe ho jara cupboard toh kholo tumhara sab usme rakha hai
taiyaar ho ke aa jao.
ankit smile karte hue in mind sach mai pagal hai ab toh mujhe uski adat ho gyi hai
bas woh 2 dushmanon ka pata chal jaye
Unhe khatam karke mai aur prisha aram se apni zindagi jiyenge
ankit taiyaar hokar ata hai ankit prisha ko dekhkar smile karta hai
prisha bhi muskurane lag jati hai
Nisha:kya baat hai aj bina uthaye,bina message kiya aa gya
Ankit:kyu nhi aa sakta di
Nisha:daal mai kuch kala hai
Ankit:aapko humesha shak kyu rehta mai akela kuch nhi
kar sakta
Nisha:chalo abhi pata chal jayega
Ankit:matlab
Nisha:bhabhi aap kya bol rahi thi ankit mere bina kuch kaam nhi karta
matlab aap galt ho gyi
Ankit:nhi nhi sach hai mai prisha ke bina kuch kaam nhi kar paunga
prisha mathe par hath rakhte hune yeah sudharne se raha
Nisha:sabit ho gya bhai
Ankit:kaun se gunahon ka saja de rahe ho tum log
Nisha:waqt waqt ki baat hai kal tum has rahe the aj hum
Ankit:chalo thik hai,Tum log ready ho gye apne pahile
din office ke liye
Natasha:hum sab ready hai
Ankit:tum log jao mai prisha aa rahe hai office
thodi der mai aa jayenge,punit taiyaar ho ja
tujhe kahi le chalna hai
Punit:mai taiyaar hun
sab chale jate hai
Punit:kahan le ja rahe ho
Prisha:arey ruko ankh mai patti bandhne do
ankit prisha use le jate hai
Ankit:sambhalkar sidhi hai use pakad leta hai
Punit:kahan le ja rahe ho ab toh batao
Ankit:tu chup nhi reh sakta kab se bak bak kar raha hai
ankit punit ko stage par chor deta hai
Ankit:jab bolun tab kholna
Ankit wahan se chala jata hai
Ankit:ankh khol mere dost
punit charon taraf dekhta hai stage tha lights thi jiska sapna woh dekha tha
uski ankhon mai anshu the
Prisha
h hero jara apni bhabhi aur ankit ko bhi apna dance dikhao Tumhare pahile
audience jo hai
Punit:ji bhabhi
punit dance karne lag jata hai bahut badiya dance kiya tha usne
ankit aur prisha dono ke ankh mai anshu aa gye the
Punit jakar dono ke gale lagta hai
Punit:thank you ankit and bhabhi
Prisha:sara credit isko do ankit ne hi tumhare bare mai yeah sapna dekha hai
punit:mere bhai yeah kya kar diya re tune jameen se uthkar aasman mai pahuchana chahta hai tu
Ankit:mera dost aasman ki bulandiyon ko chuyega aur kya chahiye mujhe sitara banne ke baad
mujhe aur prisha ko mat bhul jana
Punit:pagal hai tujhe toh ab apne se dur hone nhi dunga mere sabse pyare dost
punit prisha ke gale lagte hue bhabhi kal ke liye sorry
Prisha:koi baat nhi bhul jao use
Ankit:phir hum jaye apne office
apna dhyan rakh shaam ko milte hai
Punit:haan
ankit prisha wahan se office chale jate hai
Prisha:kaisa laga tum log ko office
Aishwariya:bahut acha nisha bhabhi humari kafi madat kar rahi hai
Ankit:tum log lag jao apne kaam par mai prisha london ke tender ka
kaam khatam kar dete hai aj last date submit karne ka
Natasha:thik hai aap kaam kar lo hum apko disturb nhi karenge
Ankit prisha kaam karne lag jate hai
Natasha,radhe,aishwariya unhe kaam karne dekhte hai
Aishwariya:kitne cute lag rahe hai dono kaam karte hue
Radhe:royal king and queen
Natasha:ek hai sher ek hai sherni mast jodi hai
Nisha:tum teeno inko nazar lagane aye ho chalo kaam par
Radhe:khadus hi hai aap
Nisha:kya bola
Radhe:kuch nhi ja rahe hai
Nisha unhe dekhti hai
Nisha:haye mere pyare bhai aur bhabhi nazar na lage inki jodiyon ko
Radhe:kaam nhi karna kya
Nisha:tu ab maar khayega
sab unhe akela chorkar chale jate hai.........
Thode time baad
Ankit:ho gya submit,thanks miss blackbelt tum nhi hoti
sach mai kaam nhi ho pata
Prisha:mere bina tum kuch kar nhi sakte
Ankit:sach baat hai
Ankit:phir london jane ki taiyari suru karte hai
Prisha:mai soch rahi thi in log ko bhi le chale
Ankit:kyun
Prisha:yeah log bhi dekh lenge tumhe kaise kaam karte ho
aur ghum bhi lenge kafi time se idhar hai
Ankit:thik hai jaisa tum kaho
Ankit 6 tickets book karta hai
Natasha:disturb nhi kiya tum log ko
Ankit:nhi tumhari batein chal rahi thi
Natasha:meri,batao na kya baat kar rahe the
Ankit:tumhari shaadi ki
Natasha:kya ankit tum bhi
Prisha:punit ko bol deti hun koi aur dhund le
natasha tumse shaadi nhi karegi
Natasha:mujhe chorkar jayega nhi
Ankit:star ban gya toh
Natasha:bhul bhi jayega toh kya uski kamyabi ki dua mangungi
aur kuch thodi na kar sakti hun uske ankh mai anshu aa gye the
Ankit:arey pagli woh tujhe kabhi nhi chorega mai mazak kar raha tha
chorega toh uske kahin se pakadkar tere samne rakh dunga
waise ayi kyun thi
Natasha:mai thank you bolne ayi thi punit ke liye
Ankit:pagal jaise tu merei sabse pyari dost hai woh bhi toh hai
anshu pocho
Prisha:meri pyari behena aisa roye gi apne behen ke sath london
kaise jayegi
Natasha:mai kyun
Ankit:tum akeli nhi baki 3 log bhi ayenge,kyuki mai chahta hun tum sab bhi ghum lo
itne time se mere sath ho tum log ko bhi enjoy karna chahiye
Natasha:hum sab ayenge sabko manane ki guarantee meri
Prisha:hum sab khub enjoy karenge
aise hi yeah log baat karte rehte hai...........................