update 58
Natasha,Radhe,Sabrina,Punit,Aishwariya yeah log raat mai aa jate hai Nisha ke ghar
sameer us samaya hospital mai tha ghar nhi pahucha tha
Maa:arey sabrina bahut dinon baad ayi tumbhi inke sath london gyi thi
Sabrina:Haan bhabhi kuch kaam se jana pada tha inlog ke sath
Maa:in bachon ka muh kyu latka hua hai kya hua,ankit prisha kahan hai
Sabrina:Prisha ka koi frind hai wahi london mai rehti hai woh ankit ko
lekar unke pass gyi hai 5 din mai aa jayenge
Nisha:tum log unhe wahan akela chorkar wapas aa gye kya dosti nibhayi hai tum log
ne tum logon ko unki fikar nhi thi aur aunty aap woh apka beta jaisa hai apko toh
wahan rehna chahiya tha na
Sabrina:mazboori thi isliye ana pada mujhe inlog ko lekar humlog nhi anewale the
bina unke
Maa:aisi kya mazboori thi tum log 5 din bhi nhi ruk paye unhe wahan akela chorkar yahan
aa gye
Koi kuch nhi bolta sab chup hi rehte hai
Maa:batao sabrina kya baat hai waise hi subah se mera aur nisha ka dil bahut ghabra raha hai
kuch gadbad toh nhi hui na mera ankit aur prisha kahi khatre mai nhi phas gye hai
Natasha,Radhe,Punit,Aishwariya,Sabrina ke bhi ankhon mai anshu aa gye the unse kuch bolne nhi ho
raha tha
Nisha:tum logon ke ankhon mai anshu saaf bata raha hai kuch baat zarur hai tum log chupa rahe ho
batao kya baat hai
Maa:Haan koi toh kuch bolo aise ro kyu rahe ho tumlog
Sabrina:bhabhi baat yeah hai ki
Sabrina sab kuch sach bata deti hai jo jo baat ankit ne inlog se chupaye the woh
sab bata deti hai
sari baat sunkar Nisha aur Maa ko jhatka laga tha
Nisha wahi baith jati hai kuch nhi bolti bas ankhon mai anshu aa rahe the bilkul prisha ki
tarah Nisha ki halat bhi same ho gyi thi
Radhe nisha ke pass ate hue
Radhe:di dekho ro mat dekho usne kya kar diya
mujhe meri behen dilwa diya Hum sab ko pehchan diya usne
Apne mummy-papa ka sapna pura kiya hai usne
Natasha:di kuch bolo mat roiye mat aap tut jayegi hum sabko kaun
sambhalega please mat roiye
Udhar maa ki bhi ankhon mai anshu aa gye the
Nisha:karan uncle,shraddha aunty hum sab bachon ki jaan bachane ke liye
apni jaan de di mera ankit apni jaan dao par lagata raha hamare liye
mujhe ek bhi baar nhi bataya yeah bhi kabhi nhi bola mai karan uncle aur shraddha aunty
ka beta hun
Sabrina:use khud ko yeah baat baad mai pata chali bachpan mai jis didi ke sath
khelta tha woh didi tum ho Nisha use yeah baat nhi malum thi woh kismat ka khel tha ki
Jo tumse sabkuch china gya tha Ankit ko usi samay tumhare pass bhej diya sahi samay par
Us samay Ankit bilkul anjan tha jis company ko woh bacha raha us company ko bachane ke liye
uski mummy-papa ne apni jaan gawahi thi
Radhe:di himmat rakho aj ankit ko hum sab ki bahut jarurat hai woh
tut chuka hai kal humne uski halat dekhi thi bichara kuch bol nhi
pa raha tha bas roye ja raha tha
Nisha:aunty mai itne saal iske pass thi usne mujhe kabhi pehchana nhi
mujhe bilkul hi bhul gya tha woh
Sabrina:pehchan nhi paya tha lekin use yaad tha bachpan mai ek
uski didi hua karti thi unke sath khelta tha lekin chehra yaad nhi tha
use jab usne tumhe dekha wahi didi ko yaad karke apne behen bana
liya tumhe
Nisha:mai bhi toh nhi pehchaan payi thi jiski ungli pakadkar khelta rehta
tha woh bacha mera ankit hai
jab mummy aur radhe ko khoyi thi mai tut chuki thi phir shraddha aunty ne maa ka pyar diya
aur ankit mai humesha apna chota bhai dikhta tha jab mujhe indono ki maut ki khabar ayi
mai bilkul tut chuki thi lekin aunty se wada kiya tha mai aage padhungi himmat karke aage padhai ki
Maa;yeah sab ke bare mai use kab aur kaise pata chala
Sabrina:use is baat ka andaza lag gya tha sonal sirf mohra thi
wajah kuch aur hi hai jab usne sehgal group ki puri history nikali
partners mai uski maa ka bhi naam tha shraddha saxena
//Flashback//
Sabrina:ankit kyu pareshan ho
Ankit:meri mummy bhi ek partner thi sehgal group ki
Sabrina:yeah bhi toh ho sakta hai jo naam hai woh tumhari mummy ka nhi
ek naam ke kai insaan hote hai
Ankit:aap toh kai salon se police department mai the na apko kuch
karan saxena naam ke kisi insaan janti ho
Sabrina:haan ek the tum kyu puch rahe ho
Ankit:mere papa bhi police mai the lekin ek hadse mai unki
maut ho gyi thi mujhe yaad hai meri maa unki wardi lekar
roti thi unka bhi naam karan saxena tha
Sabrina:ek minute mai abhi ayi,kya yehi tumhare papa hai
Ankit:haan aap kaise janti ho mere papa ko
Sabrina:mai jab training le rahi thi tab mai inse mili thi
sunne mai aya tha woh paris gye the wahi ek hadse mai
off ho gye.
Ankit:unke doston ke bare mai kuch pata hai apko
Sabrina:nhi mujhe nhi malum
Ankit:kya aap mere papa ki file lakar dengi mujhe dekhna hai
Sabrina:haan beta lekin tumhe udhar chalna padega
ankit sabrina ke sath jata hai
usme unka batch college ka naam tha pearl college
Ankit:hume pearl college jana hoga
Sabrina ankit college chale jate hai
udhar koi principle iyer thi
Ankit:mam mujhe apse kuch baat karni hai
Iyer:haan bolo
Ankit:apke college mai karan saxena naam ka ladka padta tha
mujhe unke bare mai jana hai
Iyer:mai kisi ke bare mai aisa nhi bata sakti
Ankit:mai unka beta hun mujhe jana bahut jaruri hai
yeah mam police se hi hai
Sabrina apna card dikhati hai
Iyer:sorry beta mujhe nhi malum tha
Iyer:yeah dekho unka profile bahut brilliant student the aur unki wife shraddha
woh bhi bahut brilliant thi
Ankit:kya aap shraddha ka profile dikha sakti hai
Iyer:aap unke bete ho toh apko pata hona chahiye yeah sab
Ankit rote hue:please dikhaiye unki profile unke doston ki bhi
please mam
Iyer:thik hai group photo dikhati hai yeah sab unke dost the
Amar Sehgal,Prashant Sinha,Vikas Batra,Pali mehra , Shriya chateerjee and
Tumhare papa mummy karan and shraddha
Ankit apne mom dad ki photo dekhta hai rone lagta hai
Sabrina:Amar Sehgal sehgal group of companies ke malik hai na
Iyer:haan,ab unki beti Nisha Sehgal and jaise hum sab ko pata hai jaise sab The Future Of India Industrialist ke
naam se jante hai Ankit Saxena sambhalte hai
Ankit thank you mam mai chalta hun
Iyer:beta,tumne apna profile nhi diya sirf itna bataya
karan and shraddha ke bete ho
Ankit kuch nhi bolta chala jata hai
Sabrina:apne abhi uska profile bataya
Iyer shock mam please mujhe unka autograph dilwaiye
itne bade industrialist mere yahan aye the
Sabrina:mai jarur dilwaungi abhi hume jane dijiye lekin
yeah wada raha woh apko apna autograph jarur dega
Ankit bahar akar rone laga tha
Sabrina:beta shant ho jao
Ankit:hume abhi paris chalna hai flight ki tickets book karwaiye
Sabrina:thik hai
//Flashback Ends//
Sabrina:paris mai pata chala uske papa,prashant,pali,shriya,vikas ke bare mai
wahan se woh shimla pahucha un bachon ka pata lagane yahan ek baar pahile
aya tha use malum pad gya Natasha,Radhe,Aishwariya ke bare mai
Mittal aur Agrawal ke bare mai,
uske baad usne apni maa ki maut ka pata lagaya jidhar unhe rakha gya tha
unhe mara tha udhar ek admi bhi tha jo yeah dekha tha use humne pakda
sab sach bataya jab usne bola ek aur admi tha ankit ne photo dikhayi sabki
usko jhatka laga apne chacha ke bare mai sunkar.
Sonal ke bare mai pata chala usme ankit ka bhai bhi tha
woh usi din hi tut chuka tha.
Nisha:isliye us din sonal ke bare mai sochkar lo raha tha hum log
use sambhal nhi pa rahe the
Sabrina:haan jis din use malum pada uski mummy apne bete ke liye
tadap tadap ke jaan de di woh usi din hi maar gya
Nisha ka dil bhi dahel utha tha apne bhai ke dard ke bare mai sunkar
maa bhi apne apko nhi sambhal pa rahi thi
Sabrina maa ko sabhalne jati hai
Radhe:didi please sambhaliye apne apko is samay ankit
ho humari bahut jarurat hai ankit ke parents ko bahut
torture kiya hai unlogon ne
Nisha:mujhe abhi london jana hai flights ki ticket book karao
Natasha:didi samjho abhi jana safe nhi hai
Nisha:maine bola na mujhe kuch nhi sunna
prisha ki bhi nhi sunungi mujhe bas unse
milna hai
Maa bhi nisha ke sath zidd karne lag gyi
Sabrina:thik hai subah nikal chalenge abhi shant rahiye aap log
koi kuch nhi bol raha tha subah hone ka wait kar rahe the....