• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Love

306
657
93
update 7
nisha prisha ko lekar jati hain woh bas ankit ko dekh rahi thi nazar uska hat nhi raha tha.

nisha:bhabhi kya dekh rahe ho tension mat lo woh thik hai sameer use layenge tab tak aap mere sath chalo apse bahut sari baat bhi karni hai .

sameer:ankit sach batana yeah wahi ladki hai na jise tu bachpan se pyar karte aa raha hai .

ankit:haan yeah wahi hai bichari bahut dari hui hai uska dard mere dard ke samne kuch bhi nhi usko aisa dard mai dekha nhi ja raha.

sameer:jodiyan bhi wahi banata hai kab kidhar kya khel khelein wahi jane.

ankit:hmm baat toh tumhari sahi hai .

sameer:chal ab ghar chalte hai wahi puri baat karenge puri formality maine kardi hai.

ankit:haan chalte hai uske pahile mujhe kahi jana hai .

sameer:phir chalu ho gya ab tjhe kahan jana hai.

ankit:arey kuch nhi tujhe toh malum hai maine ek ghar kharida tha bahut pyar se wahi dekhna chahta hun meri prisha ke liye hi toh hai nisha didi ko chupke se bhula sakta hai usi ko hi malum kya kya change karna hai aur haan prisha ko iske bare mai mat batana.

sameer:itni jaldi hai tujhe haan tera ghar ko hum dekh lenge filhaal tu ghar chal nisha aur mai dekh lenge.

ankit:tu nhi manega chal chalte hai.

prisha in nisha car

prisha thodi pareshan hote hue in mind yeah log kaun hai inhe kabhi dekha nhi mujhe malum nhi tha uski bhi ek behen hain.

nisha:use pareshan hote dekhti hai puchti hai kya hua bhabhi pareshan kyu ho rahe ho mujhe bhi batao main help karungi apni pyari bhabhi ki madat karne mai khushi hogi .

prisha:sochti hai phir bolti hai aap unki behen hai jahan tak mujhe malum hai unki toh koi behen nhi hai maine kabhi dekha nhi apko.

nisha:haste hue khun ka rishta bhi hona chahiye behen hone ke liye aise bhi bhai nhi bana sakte .

prisha:nhi nhi aisa kab bola maine sorry .

nisha:use dekhte hue dekhti hain hasne lagti hai arey bhabhi mujhe bura nhi laga ankit sameer ka dost hai dono ki dosti bhi bahut mast hai dono ek dusre par jaan chidakte hai , sameer mere pyare se husband hai hum dono ko ankit ne hi milaya hai,mera koi bhai nhi hai isliye use hi apna bhai bana liya,ankit ne mujhe apni badi behen.

prisha:acha sorry mujhe nhi malum tha mere pyare ankit ke itne pyare dost bhi hai.

nisha: kya bhabhi mera pyara ankit haste hue.

prisha:sharmate hue nhi woh toh bas.

nisha:muskurate hue mujhe bahut khushi ankit ne shaadi kar liya bas dukhi hun usne mujhe bulaya nhi mujhe apna banaya hi nhi usne .

prisha:nhi nhi di aisi baat nhi haalat hi kuch aise the unki koi galti nhi.

nisha:chalo koi nhi usko toh mai dekh lungi waise apki choice bahut achi hai ankit sach mai bahut acha ladka hai dil kholkar pyar lutata hai meri ek pyari se beti hai ankit toh uspar jaan deta hai bas kabhi apna dukh bayan nhi karta haste haste sab seh leta hai pucha toh haskar hi jawab deta hai.

prisha:woh toh hai sabko khushi deta hai mera ankit bas uska dard koi nhi dekh sakta ankhein nam hote hue .

nisha:arey arey ro mat bhai mujhe mar denge bhabhi ko lekar gyi unhe rula diya chalo ghar aa gya udhar baki ki baat karte hai.

prisha ko ghar le jate hue

kiran(nisha daughter):mummy mummy mama ko le anewala the nhi laye yeah kaun hai .

nisha:yeah tumhari mami .

kiran:mama ne shaadi kar li bahut pyari mami hai .

prisha:bahut pyari ho ab mai samjhi ankit kyun tumpar jaan deta hai jiske itni pyari bhanji ho woh toh apni jaan toh dega hi aj se tum bhi mere liye bahut pyari ho sirf ankit hi nhi mai bhi tumpar jaan dungi .

kiran:sach mai khush hote hue arey waah mere pyare mama mami .

nisha:bahut ho gya baatchit mami ko aram karne do bahut thak gyi hai.

kiran;ji mummy .

nisha:chalo bhabhi aap fresh ho jao .

nisha use apne kamre mai le chalti hai nisha apne kapde dete hue.

prisha:nhi mai nhi le sakti yeah .

nisha:kyun bhabhi ache nhi hai .

prisha:ache hai lekin nhi le sakti .

nisha:acha samjhi dekho bhabhi jo aap soch rahi ho waisa kuch nhi itni pyari bhabhi ho mai itne pyar se de rahi ho dil dhukhaoge mera.

prisha:nhi nhi apni didi ka dil kyu dhukhaogi unhe bura lagega isliye .

nisha:bhai ko bura nhi lagega bhabhi ab nhi liya toh sach mai naraz ho jaungi.

prisha:thik hai meri pyari didi le leti hun .

nisha muskurate hue:fresh ho jao mai ati hun.

after sometimes :

prisha fresh hokar leti thi un palon ko yaad kar rahi thi aur sharma rahi thi ankit ka chehra sochkar muskura rahi thi

nisha:nasta lekar ati hai bhabhi chalo kuch kha lo.

prisha:nhi bhabhi abhi bhukh nhi hai .

nisha:kya bhabhi aap sab mai mana kar rahi ho that's not fair .

prisha:woh bhi bhukhe hai jab tak woh kuch nhi kha lete tab tak ek nivala nhi jayega ankhein nam hote hue.

nisha:arey arey phir se rona bhai se daat khilwaogi aap chalo sameer se mai baat karti hun unhe kuch khila dega.

prisha:nhi mujhe unke muh se suna hai.

nisha:bahut jiddi ho ruko sameer ko call karti hun .

sameer:bolo meri jaan kya baat hai .

nisha:bhabhi kuch kha nhi rahi hain jidd ki hui hai jab tak ankit nhi khayega tab tak nhi khayegi .

sameer:ruko use kuch khilata hun phir use baat karata hun.

ankit:kya hua itna pareshan hai didi kuch boli.

sameer:nhi nhi bhabhi kuch nhi kha rahi isliye pareshan hai .

ankit:ab use kya ho gya .

sameer:jab tere jaisa husband hoga na sabko bhuka rehna hoga bataya kyun nhi kuch khaya nhi hai.

ankit:arey haan do phone do use jhuth bol deta hun .

sameer:ji bilkul nhi chal mere sath restaurant pahile kuch khate hai .

ankit:kya yaar tu bhi jidd kar raha bhukh nhi hai abhi use phone lagata hun.

prisha:bolo.

ankit:kya mrs black belt kuch kha kyu nhi rahi subah se bhukhi ho na kuch kha lo please.

prisha:apne khaya kuch tum bhi toh bhukhe the .

ankit:haan kha liya mai kabhi bhukha reh sakta hun mujhe toh bahut bhuk lagti hai .

prisha:acha thik hai mai khati hun jaldi aa jao.

ankit:rashte mai hai aa rahe hai.

nisha:dekha bhabhi usne bhola na kha liya aap bhi kuch kha lo.

prisha:usne bola maine maan liya jab woh ayega tabhi khaungi.

nisha:par bhabhi .

prisha:par war kuch nhi please jab tak use dekh nhi leti nhi ho payega ankhein nam hote hue

nisha:thik hai bhabhi apki marzi .

nisha phone lagate hue .

sameer:bolo.

nisha:ankit sach mai kuch khaya ki nhi .

sameer:nhi khaya uska mood nhi hai sun bhi nhi raha.

nisha:tab mai samjhu bhabhi kuch kyu nhi kha rahi ajeeb pagal log hai .

sameer:muskurate hue isko kehte hai pyaar jo mai tumse bahut karta hun.

nisha:kya pyaar hai ek dusre ki itni fikar bhagwan inki jodi ko sahi salamat rakhe kisi ki nazar na lage.

sameer:kisi ka toh pata nhi tumhari jarur lag jayegi haste hue.

nisha:kya bola tumne gusse mai.

sameer:kuch nhi kuch nhi ab rakhta hun ghar pahuch hi gya udhar baat karte hai.

nisha:thik hai aa jao ghar.......................
 
Last edited:

Kala Nag

Mr. X
Prime
4,343
17,114
144
update 2
prisha ko realize hota hai woh gusse mai kya bol diya use woh bechara mujhe marne se bachaya mujhe hasa raha tha pura relax karwaya kitna sukoon mil raha tha maine gusse uski biezatti kar di apna gussa us bichare par nikal diya mujhe use mafi mangni hogi galat kiye uske sath apne aapkar gussa aa raha rha kaise maine uska beizatti kiya galti kya thi uski bahut rona aa raha tha apne apse nafrat ho rahi thi
nhi nhi mujhe mafi mangni hogi use dhundkar mai mafi mang lungi yehi kahi hoga dekhti hun woh dhundne jati kahin nhi dikh raha tha adha ghanta ho gya usko jeep dikhi use laga wahi ankit hai lekin nhi tha kisi aur ki jeep thi wahi thakh kar baithkar rone lagi apne apse nafrat ho rahi thi
phir achanaK........

Ankit:samosa khaogi yummy yummy kitna tasty hain prisha ke samne samosa dekhar bolne laga

prisha:gussa hote hue jaan nikli ja rahi thi kahan gye the pata hai meri kya halat ho gyi nafrat ho rahi thi apne aap se tumse mafi mangne ke liye chatpata rahi thi tumhe samosa ki padi hai

Ankit:Haste hue ajib ladki ho pass tha tumhe gussa aa gya pata nhi kya kya lecture de rahi thi thoda dur hua tumhe guilt hone laga screw dhila hai kya waise mai kahi jane nhi wala tha mujhe laga itna gusse mai bol rahi ho bhuk lagi hogi isliye samosa lene gya tha garam garam

prisha:muh banate hue tumhar screw dhila hai ladki gusse mai hai ruk nhi sakte mana nhi sakte the kisne bola samosa lene ko jab se dekho samosa samosa kar rahe ho

ankit:arey itni tezi se bol rahi thi mujhe laga bhuk lagi hogi ab kha lo paise waiste ho jayenge haste hue

prisha:mujhse puchkar liya badi madat karne ka shauk hai ab bhugto

ankit:apki madat karna bhari pad raha hai ab mai itna nhi kha sakta please muh banate hue bola

prisha:bache jaise muh banakar dekhne lagi toh hasne lagi aur samosa lekar khane lagi

ankit thodi smile ki man mai sochne laga ajib pagal hai tujhe kaise batau tu kitni important hai jab dekha tu marne ja rahi hai aisa laga dil par koi chaku chala diya kabhi tumhe bol nhi paya mera image kharab hai isliye aur mera nasha karne ki lat se isliye dur se hi tujhe dekhar khush hote raha humesha tumhare liye dua manga bhagwan tumhe sab khusiyan de aj jab dekha tum koi musibat mai ho raha nhi ja raha tha rone aa raha hai andar andar bhagwan se sawal puchne pad rahe meri pyari se phul kyu taklif de raha hai ankit aise hi soch raha tha.

achanak
prisha: oh mr kaunsi khyalon mai kho gye

ankit:arey nhi aisi hi soch raha tha raat hone lagi ghar kab chalogi

prisha:anknen nam hote hue mujhe nhi jana ghar kya bolungi

ankit:mai janta hun tum pareshan ho wajah toh batao shayad madat kar dun dosti ki hai uthna toh karunga hi

prisha:dosti kab kiya tumse?

ankit;dosti nhi padosi ke naate bata do help jarur karunga pakka wada

prisha:kuch sochti hain anknen nam hote hue phir bolne lagti hai

prisha:wada karo kisiko nhi bataoge tut jaoungi mai rote hue

ankit:thoda serious hote hue wada karta hun nhi bataunga uska bagal baithte hue pakka yeah ek sache padosi ka wada

prisha:bolne lagti hai ......................

prisha:second year bcom kar rahi thi usme ek handsome sa ladka arvind naam tha uska padhne mai hoshiyar humesha first ata tha usko dekhar sabhi ladkiyan deewani thi mai bhi ho gyi par dikhati nhi thi andar hi andar usse chahne lagi thi kitna pyara dikh raha tha woh college ki second topper mai thi
mai apna khud ka kharcha khud uthana pasand hai isliye mai padhati thi usi paison se college padti thi
usme ek ladki rashmi woh mujhse jalti thi woh humessha 3rd ati thi humesha meri biezatti karti thi ek din mai chai pi rahi thi canteen mai usi time rashmi
mujhe beizatti karne ayi mai gusse mai usse chamat mar diya rashmi mai tumhe barbaad kar dungi mai bhi gusse mai dekh lena

jab library se padkar ghar ayi rashmi thi usne pata nhi kya patti padayi

dad: mjhpa bhadakne lage raat ko kaunse ashique se ghum kar ati hai yeah dekh rashmi ko kitni pyari ladki hai adar karti hai sabka ek tu hai second topper hone ghamand chii

prisha mai boli librayese padkar aa rahi thi bhai haan malum kitna padkar ayi hai thu
gusse mai apne kamre mai akar rone lagi raat bhar nind nhi aa rahi thi maa, baap ko mujhpar bharosa nhi ek chota sa bhai tha mera woh jaleel karta hai
aise hi jindagi beeth rahi thi phir ek din

arvind:hey hii mrs topper

prisha:nhi yaar mai kahan tum ho topper mai toh 2nd ayi na

arvind:arey ladkiyon mai tum topper ho ladko mai mai

prisha:acha ji flirting

arvind:aap jaise pyari ladki ke sath flirting nhi karun aise ho nhi sakta

prisha:sharmate hue acha kya hai mujme apke piche mujhse bhi jyada khubsurat ladki padi hai

arvind:sab khubsurti apki khubsurti jameen asmaan ka pharak hai apka massom chehra yeah khubsurat ankhen hayi kahin mai mar na jaun

prisha:hasti arey bas bhi kijiye mujhe sharam lag rahi hai

arvind:acha chalo bas karte hai shaame ko coffee piyogi mere sath

prisha:ji jarur lekin mai tuition padati hun shaam ko hi aa sakti hun

arvind kay jarur ayiga dono apna number exchange karte hai

prisha and arvind dono apne apne rashte chale jate hai

avind piche mudte hue

rashmi: kya bhai kya ghul khila rahe ho uske sath

Arvind:kuch nhi behen teri beizatti ka badla le raha

rashmi arvind ki cousin rehti hai yeah baat apni bechari prisha ko nhi malum tha

rashmi:barbaad kardo sali ko bahut ghamand hai na topper banne ka tabhi toh harshal(prisha ka chota bhai) mera hoga

Arvind:Ji bilkul bhai par bharosa rakh iska game khatam karenge

dono has rahe the prisha gehri chaal mai phas rahi thi

is sab se bekhabar prisha apne sapnon ki duniya mai ji rahi thi kyuki woh bhi kahi kahi arvind ko like karti thi or sochne lagi
mujhe samajne wala aa gya bahut khush thi us din

prisha tuition padane ke baad cafe jati hai jahan arvind anewala tha
prisha udhar table par baithe waith kar rahi thi tabhi

Arvind:hey mrs beautifull tum toh jaan hi le logi mera

prisha:sharmate hue aise batein mat bola kijiye please

arvind:mujhe apse baat karna hain

prisha:boliye

arvind:i love you

prisha:use jhatka laga itni jaldi kaise bola usne subah toh mulaqat hui thi abhi izhaar (in mind)
arey apse subah hi mulaqat hui abhi apne izhaar kiya bahut tez nhi ho rahe

arvind:ji nhi dekho mujhe malum hai tum mujhe pasand karti ho maine dekha hai tumhari ankhon main meri ankhon mai dekhkar kaho meri ankhen bhi tumse bahut pyar karti hai please man jao nhi raha jata tumhare raat din kaise gujar rahe hai mujhe hi pata please

prisha:sochte hue muskurate hue i love you too

bichari apni maa baap bhai se dhikkar ke baad bahut khush thi use samajne wala mil gya usne puri jahan jit liya ho bechari bekhabar thi andhi ho gyi uske pyaar mai

jaise samay bithta gya prisha ka pyaar gehra hota gya arvind use phasata uski kamjoriyan ka fayda uthata raha maa baap bhai se uthni hi dur hoti chali gyi

prisha:arvind

arvind:hmm bolo

prisha:do saal ho gye apne rishte ko mere ghar aoge na rishta lekar

arvind:jarur aunga kyun nhi aunga usee pahile aj graduation complete hua hain kal shaam ko party karte hai aogi mere sath

prisha:ji nhi mai party nhi karti

arvind:aona please mujhe acha lagega tumhara liye surprise bhi hai

prisha:thik hai ati hun muskura kar bola

arvind(in mind phas chuki hai mere jaal mai)

prisha bahut khush thi uske khushi ka thikana nhi tha
dusre din saj sawarkar jati hai us party mai but..........




ह्म्म्म्म मतलब अरविंद पढ़ाई में टॉपर तो है पर कहानी में विलेन है l
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Kala Nag

Mr. X
Prime
4,343
17,114
144
update 3
prisha jab arvind ke ghar jati hai waha koi nhi tha

prisha:yahan koi nhi hai

arvind:apne kuch doston ke sath wahan ata ji aa gye ek devil smile ke sath

prisha:tum ho lekin yeah log kaun hai

arvind:arey mere sath yeah bhi tumhare sath maza karenge

prisha:maza karenge matlab

arvind:matlab hum tumhe samjhate hai meri jaan devil jaise uske freind haste hue

prisha:tumhe mujhe dhokha diya

arvind:haan mujhe tumse koi pyaar nhi rashmi ko janti ho woh meri cousin sister hai tumse bada lene ke liye hi humne plan kiya

prisha ko jhatka laga uske liye puri duniya ujhad gyi ho

arvind:ab hum tumhara woh hal karenge jindagi pachtate rahoge

prisha:aage mat aana

arvind:dhire dhire aage aa rahe the prisha darr rahi thi uske liye puri jindagi khatam hui ho

prisha ko do dost pakad lete hai

arvind:leta sali ko use bistar par patak dete hain lekin unhe nhi malum prisha ek trained martial arts mai black belt hai

prisha:apni izzat bachane ke liye ek laat marti hai ladka dhadham se gir jata hai gusse mai tumhe kya lagta jo phul se dikhti hai use apni hifazat karne nhi ata

arvind:pakdo sali ko

prisha:bahut gusse mai thi woh kisi ke hath nhi aa rahi thi sabko aise mar rahi thi
sabki haddi tuti thi

arvind:ghabrate hue please mujhe nhi marna

prisha:gusse mai tujhe kya laga tujhe chune dungi tum jaise ladko ki wajih se na jane kitni ladkiyan barbaad hui hai saale jaanwar kahi ke
pyar karti thi apna sabkuch man liya tha tujhe isliye tere chal ko pehchaan nhi payi

arvind:maaf kar do jane do

prisha:ek chammat marte hue chammat bhi jor se tha pure ghar mai sunai de raha tha wahan se chali gyi

arvind:tujhe toh harake rahunga is beizatti ka badla jarur lunga(in mind)

prisha rote hue apni jaan dene jaa rahi thi wahi ankit mila use

ankit yeah sab sun raha tha man mai sale ko itna marunga sath janmo tak nhi bhulega usse bahut gussa aa raha tha uski phul jaisi prisha ke sath aisa kiya

anikit:prisha koi baat nhi jo hona tha woh ho gya uske liye tum apni jaan dene jaa rahi thi arey pagal tujhe toh khush hona chahiye sahi waqt uska asliyat pata chal gya marna use chahiye tha tumhe nhi

prisha:haan lekin us samay sab barbaad ho gya tha aisa lag raha tha

ankit:mrs prisha ji galti karte sudharte hai ache insaan bante hai khulkar jeete hai khulkar jeene ko hi toh jindage kehte hai tum ho ki jindagi jeene ke jagah mera samundar gande karne chali thi

prisha:hmm tumse milne ke baad samaj aa gya tere jaisa awara life enjoy kar sakta hai mai bhi kar sakti hun haste hue

ankit:awara log ki life mast hoti hai toh phir chale ghar

prisha:darte hue kya bolun ghar par

ankit:jaise bhi hai tumhare parent tumhari baat jarur manenge tumhe padaya likhaya dikhate nhi tumhari fikar bahut rehti hai unhe

prisha:haan tum sahi keh rahe ho chalo phir chalte hai

ankit khush hote hue apni jeep ke pass ata hai

prisha:arey yeah jeep

ankit:haan kya hua

prisha:kuch nhi yeah jeep dekhkar idhar koi aur tha

ankit:haste hue use thode paise diye the tumhe pareshan karne ke liye

prisha:tum bahut bure ho pata hai jaan ja rahi thi meri

ankit:sorry nhi karunga aisa ab toh dost ban jao friends

prisha:haste hue chalo friends limit meh rahna warna

ankit:haa mrs black belt malum hai institute mai bahut baar haraya hai tune

dono has rahe the

ankit/prisha dono haste hue jeep mai baithe chala rahe the unhe nhi malum tha aage aap in dono ke jindagi mai kaunsa khatra mod lega
अंकित की स्वप्न सुंदरी है प्रीसा
अंकित भी मार्शल आर्ट सीखता है और कई बार प्रीसा से हारा भी है
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Kala Nag

Mr. X
Prime
4,343
17,114
144
update 4
ankit gadi chala raha tha prisha use dekh soch rahi thi

prisha in mind itna bura bhi nhi hai yeah kitna masoom dikhta hain iski pyari si batein se rahat mil jati hai institute mai bhi sabka pyara tha yeah mujhe gussa ata tha isse dekhkar sala nashedi hai phir bhi log use itna pyar karte hai mohalle mai sab isko gali dete hai sach hi kaha hai kisine jo jaise dikhta waisa nhi hota
isko dekhkar aisa lag raha hai iski bholi si batein iska muskaan isko dekhkar lag raha hai kitna masoom hai chahe log ab kuch bhi bole iske sath dosti zindagi bhar nhi todungi iske nashe ki lat ko toh chudwakar hi rahungi mera itna pyara dost bana hai isko aise nhi jane dungi soch hi rahi tha uska hath galti se jeep ki dikki par lag jata hai usme 3 packet cigarette and 2 bottle daru ke nikalte hain
prisha yeah dekhkar gusse se lal pili ho rahi thi

ankit jab dekhta hai ghabra jata hai uski toh himmat hi nhi ho rahi thi prisha ko dekhe woh dikki band kar deta hai usse malum hai prisha ko yeah sab nhi pasand nashedi walon se toh woh nafrat karti hai woh kuch nhi bola bas jeep chala raha tha bilkul bhi prisha ko nhi dekha

prisha ab use ghabrata dekhti hai uske chehre se pasine aate dekhti hai woh apne apko haste hue nhi rok pati haste hi ja rahi thi

ankit:acha tumhe hasna bhi ata hai woh bhi hasne lagta hai

prisha:kyu nhi has sakti insaan nhi hun

ankit:batoh ko ghumane mai expert tha maine kab kaha insaan nhi ho haso
in mind bach gya bhagwan warna aj toh pakka sunnewala tha rahat ki saas li

prisha:thoda gussa hote hue boli naraz hun tumse

ankit:woh toh tum subah se hi thi naya kya hai isme baat ko badalte hue

prisha:haan lekin haan abhi jyada hun

ankit:wajah jan sakta hun

prisha:bhaisaab ko wajah chahiye

ankit:haan naraj hone ka wajah janna toh padega hi

prisha:wajah batati hun dikki kholo wajah mil jayegi

ankit samaj gya tha itne jaldi toh yeah nhi bhulegi phir se baat badalte hue

ankit:kitna pyara mausam hai na jeep chalate hue thandi hawah kitni khubsurat badal haye kitna mast lag raha hai

prisha chidte hue:baat ko badlo mat batao yeah sab kya hai

ankit:kuch nhi jeep hai thandi hawah hai safar ka maza liya ja raha hain

prisha phir chide hue: tum nhi bologe safar ka maza chahiye na abhi batati hun safar ka maza gussi se dikki kholte hue sharab aur cigarette ki bottle uthakar phek di

ankit thoda darte hue man mai itna mehnga ata hai yeah ek pal sab uthakar phek diya isko kya bataun dil kitna ro raha hai subah se ek sip bhi nhi piya tha

ankit:jhuthi muskan liye kisi ko lag jata na police case ho jata mujhe bolti mai sambhal kar rakh deta

prisha:gusse main lagta toh lag jata mujhe kya do teen nashedi tapak jate uska khoon jal raha tha gusse mai tum kya boli abhi

ankit darte hue in mind kahi yeah kali maa ka roop na le le warna mera wadh pakka hai

ankit:darte hue kuch nhi kuch nhi bola mai phekne hi wala tha

prisha:acha jaise mai tumhe janti nhi hun institute ke bahar kya ghul khillate the

ankit:sorry itni mausumiyat se bola

prisha:dil iska pigal gya jutha gussa karte hue agli baar dekha toh tera muh tod dungi

ankit:ji tod lena madam mrs black belt se koi jitha hai aj tak

prisha:ek sawaal puchun

ankit:haan pucho

prisha:kyu karte ho yeah sab pata hai iska nuksaan

ankit:haste hue khatro se khelna hi humari shaan hai

prisha:shaan ke bache agli baar aisa shaan ka pata chala na humari dosti ki kasam muh tod dungi

ankit:tumhe muzpar rahem ata hai ki nhi muh todne ki baat kar rahi ho itna handsome dikh rha hun mera
sakal kharab karna hai tumhe

prisha:bilkul nhi aa raha hai tumhare jaisa dost ho toh bilkul bhi nhi

prisha man mai soch rahi thi itna pyara dikhta hai phir kyun kar raha hai yeah sab isko kya bataun kitna bura lag raha hai woh sab dekhkar
kya apni halat bana raha hai institute main dekha tha usko martial arts ke woh techniques mujhe bhi nhi ate honge sab janta hai iske moves
iska brain power and movement phir kyun
is kyun ka jawaab mai dhundkar hi rahungi meri jaan bachayi hai

ankit:kya ho gya

prisha:hosh mai ate hue kuch nhi lagta hai isliye chacha tumhe 10-15 batein sunate hai gali dete hai maine dekha hai kitna maar khaya hai tumne unka

ankit:haste hue arey unka kaam hi toh hai marna jo jyada maar khata hai unse jyada pyaar hota hai mere chacha chachi mujhse mujhse bahut pyar karte hai unka pyaar gusse mai dikhta hai mai aisa kaam karunga chilayenge hi na

prisha:kyun karte ho phir aisa naraz hote hue

ankit:adat pad gyi thi ab nhi karunga

prisha:nhi nhi promise karo

ankit:pakka promise

prisha:thats a good boy dekha toh pata hai na

ankit:muh tod dungi haste hue

dono hasne lage

ankit in mind kash yeah pal aise hi chalte reh mai jeep chalata rahun yeah aise hi baithti rahe baat karte rahein yeah pal jindagi mai kabhi na jaye

prisha in mind kuch ghanto mai kya kya nhi badla tha kahan mai jindagi se mayunsh hokar jaan denewali thi kahan is pyare se ladke se dosti ho
jisko aj tak galat samajti thi aj kitna acha lagne laga hai

aise yeeah log safar kar rahe the safar ka anand le rahe the musibat je anjaan so ab inki zindagi mai hone wala hai
वाव बहुत हो बढ़िया सफर रहा
एक खास मुलाकात ने
प्रीसा के दिल में लॉ जला दी
पर बंधु एक प्रश्न है मिसेज ब्लैक बेल्ट क्यूँ मिस ब्लैक बेल्ट क्यूँ नहीं
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Kala Nag

Mr. X
Prime
4,343
17,114
144
update 5

ankit and prisha apne manzil par pahuch gye the dono waise padosi the
prisha jeep se utharti hai
ankit:prisha
prisha:haan bolo
ankit:ghabrana mat tumhara dost sath mai humesha rahega
prisha:hmm nhi ghabraungi
ankit prisha sath hi ja rahe the prisha ankit ke ghar mai bheed tha

ankit:kya hua idhar

harshal:prisha ka hath pakadte hue maa ise andar le jao

ankit ko kuch samaja nhi aa raha tha

ankit:chacha kya hua batao
chachi kya hua bolo kuch toh koi bolo

harshal:gusse mai sale nashedi meri behen par dore dalta hai teri himmat kaise hui use ek chammat mara

ankit:maine aisa kuch nhi kiya
chacha aap toh bharosa karo

ravi(ankit ka chota bhai):bharosa aur tuzpar paida hote hi maa baap ko kha gya usne bhi use chammat mara

prisha andar jati hai rashmi ko dekhti hai devil jaisa smile de rahi thi udhar uska bhai tha arvind woh bhi has raha tha

prisha:maa kya baat hai

maa:tu mujhse puch rahi hai sali itna acha ladka chorkar ankit jaise nashedi ke sath ghum rahi hai

prisha:woh nashedi nhi dost hai mera

maa:chup sali pata nhi tera jaisa aulad ko hi janam dena tha

prisha:bas kar maa kitna jalil karogi

maa:ab dekh tera kya haal karti bahut ghumne ka shok hai dekh tere ashique ka kya haal karti hun

prisha:gusse mai use kuch hua toh

rashmi:chamaat marte hue kya kar legi re tu teri jaisi aurton ki wajih se sara puri achi aurton ka naam kharab hua hai

arvind:devil smile dete hue pahile meri jindagi ke sath khela sara barbaad kar diya kya kami thi mere pyaar mai
dekh aj tere ashique ka kya anjaam hota hai

maa:prisha ka hath pakadkar bahar lati hai dekh idhar

arvind : ja maar sale ko

ankit:meri baat suniye maine aisa kuch nhi kiya jo aap samaj rahe ho

ravi:teri sune has raha tha

arvind:aisa nhi manega

arvind ravi harshal mar rahe the woh bas khada hote dekh raha tha kuch nhi kiya usne sirf mar kha raha tha
koi uska chunne wala nhi tha bebas ho gya tha bichara chacha prisha ke dad ravi harshal arvind teeno usko dho rahe the
pura sharir khun khun ho raha tha

prisha se yeah sab dekha nhi gya apni maa ka hath chudakar ja rahi thi use bachane

maa:agar ghar se bahar nikli hath tod dungi

prisha:gusse mai apni maa ka hath pakadte hue dhakka de diya us samay prisha bahut gusse mai thi gusse mai bahar nikli
ankit ke pass jakar khadi hui apne chote bhai harshal ko jor se chammat mara pura mohalla sun liya
harshal bhi shock tha

prisha:gusse mai tum log ko kya lagta hai yeah tum log ko nhi maar sakta usne hathiyar utha liya sabko kat dega gold medalist all over national level champion martial arts black belt hai yeah sunkar sab shock ho gye

prisha:arvind ko chammat marte hue tu meri fikar kar raha hai kal kya kar raha tha rashmi tu toh dost kehlane layak nhi tujhe toh chota bhai mana tha itna gir jayega socha nhi tha chacha chachi aap pahile lagta tha aap iski galti par chilate ho lekin aj malum pada aap kya hai
agar ab kisine hath lagaya mujhse bura nhi hoga

arvind:tujhse bura hai kaun tujhse shaadi kaun karega mere pass hi ana hoga

prisha:shaadi aur tujhse bahut fikar hai na ruko abhi tera ghamand todti hun ghar se sindoor le ati hai ankit ke samne deti hai

ankit:shock hote hue kya bol rahi ho hosh mai ho

prisha:tumne abhi agar mujhse shaadi nhi kiya mar jaungi

ankit:uski mang bhar deta hai

ankit prisha ne kabhi socha nhi hoga yeah mod bhi dekhna padega pahile dosti phir shaadi

ankit chal bhi nhi pa raha tha prisha use sahara dete hue chacha ka pair chute hue

chacha:teri jaise badchalan ka apne ghar mai koi jagha nhi

koi bhi use nhi apnaya nhi ankit ko

chacha:pahile se abhishap tha pahile apne maa ko mar diya phir baap ko aj ek ghar ujhad diya

ankit kuch nhi bola sab sunta raha bechare ka dil buri tarah se tut chuka tha hasta hua ladka apni taklif nhi chupa pa raha tha prisha sab dekh rahi thi use bhi dard ho raha tha

prisha ki mom:jis ladke ko lekar ja rahi hai na dekhna wahi tera nash karega barbaad kar dega tujhe phir nhi ana mere pass ghar ke sare darwaje band

prisha ke dad:tune apne barbaadi khud chuni hai

ankit sab sun raha tha kuch nhi bola wahi khada raha prisha ke ankhon mai anshu aa rahe use apne se jyada ankit ke liye bura lag raha tha

ankit:prisha ka hath pakadte hue chalo ab humara yahan koi nhi ankit lakhadate hue prisha use sahara de rahi thi apne jeep mai akar baith gye

arvind in mind aj nhi toh kal tujhe apna jarur manaunga teri ashique ki band na bajwaya mera naam arvind nhi bahut ghamand hai na prisha tujhe mera target tera woh ashique hoga barbaad kar dunga use .................................................................
कुछ जल्दी हो गया ऐसा लगता है मुझ को
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Kala Nag

Mr. X
Prime
4,343
17,114
144
update 6

prisha ankit ko sahare dete hue jeep mai baith jati hai jeep chalane lagti hai ankit bas baitha tha bichara ghayal tha kuch nhi bol pa raha tha bas uski ankhon se anshu aa raha tha bahut dard ho raha tha use
prisha sirf use dekhe ja rahi kya se kya ho gya use bhi bahut dard ho raha tha ankit ko aise dekhte hue
ankit jab use dekhta hai uske ankhon mai bhi anshu hai apna anshu poch deta hai jor jor se hansne lagta hai.

ankit:haste hue so mrs balck belt kya hal chal hai.

prisha ek tuk use dekhti hai sochne lagti itna sab kuch hua phir bhi hans raha hai.

prisha:haan bolo tum sach mai pagal ho itna sabkuch hua phir bhi hans rahe ho.

ankit:hasi aa rahi hai toh has raha hun ladki thodi na hun rounga.

prisha:hey mai roti nhi hun samjhe.

ankit:haan roti nhi ho thodi der pahile durga maa bani thi uska kya mujhe lag raha aj sabka wadh hone wala hai hansne laga.

prisha:chidte hue tumhari jaan bacha rahi thi warna tumhara wadh ho jata tha aj.

ankit: kiski himmat jo mujhe mare mai mar nhi raha tha bichare nazuk hai mar jate haste hue bola.

prisha:haan woh toh mai dekh hi rahi thi kya se kya hone wala tha.

ankit:ab kahan jana hai?

prisha:pahile doctor ke pass tumhara ilaj karane.

ankit:doctor nhi nhi mai thik hun mujhe nhi jana, bache jaisi harkat karte hue.

prisha:mar khaoge agar nhi chaloge toh.

ankit:nhi mujhe nhi jana mai khud thik ho jaunga doctor ke pass nhi jaunga.

prisha:doctor ke pass jana toh padega hath tuta hai pair todwana chahte ho.

ankit:tumhare family ne kasam khayi hai bichare masoom bache ko chain se jeene nhi doge.

prisha:tumhari family kam hai kya chidte hue boli.

ankit:jaisi bhi hai best hai.

prisha:woh toh maine dekha kitne best hai tum chup chap chalo doctor ke pass warna,

ankit:jhuta sa muh banate hue tumse dosti karke phas gya hun jab dekho dhamki deti ho.

prisha:mai bola dosti karne ko tum hi aye the dosti karne ab dosti ki hai bhugto.

ankit:tab nhi malum tha itna bhari padega haste hue bol raha tha.

prisha:ab bhari pad raha hai na achi baat hai yeah dosti ab zindagi bhar rahega tujhe ab asani se jane nhi dungi.

ankit:matlan zindagi bhar massom bache ki jaan logi

prisha:wahi samaj lo.

ankit:thik hai le lo .

"ankit aur prisha dono hi muskura rahe the kya hi bol sakte hai dono ka chemistry ka jawab hi nhi itna sabkuch saha kya nhi suna dono ne phir bhi has rahe hai muskura rahe hai"

ankit aise hi muskurate muskurate behosh ho jata hai.

prisha:ghabrate hue jeep rokhkar ankit ankit lekin woh behosh ho chuka tha prisha bahut dar rahi thi
ankit ko apne godh par lethakar jeep chalane lag rahi thi.

ankit ko behosh dekhkar use bahut dar lag raha tha

jeep bahut tezi se chala rahi thi aise chalate chalate hospital ke pass pahuchi doctor doctor karke chila rahi thi.

hospital ke kuch log bhag kar aye use stretcher par lethakar lekar ja rahe the emergency ward mai.

prisha ghabra rahi thi emegency ward light on off ko dekhkar uska dil ghabra raha tha

achanak light off ho gya doctor bahar nikle

prisha:doctor kya hua ankit thik hai na boliye na doctor ro rahi thi

doctor:hausla dete hue ro mat kuch nhi hua hai use bilkul thik hai ,behoshi ki wajah yeah thi ki usko kisi chiz ka sadma laga tha woh bardasht nhi kar paya isliye behosh ho gya tha, injection de diya hai soya hai aap jakar mil sakte ho use.

prisha andar jati hai dekhti hai rona aa raha tha use ankit ko is halat mai dekhkar
ankit ka hath pakde thi use dekh rahi thi.

"prisha in mind sote hue kitna pyara lag raha hai kaun bol sakta hai itna masoom sa dikhne wala itna dard seh sakta hai woh soch rahi thi abhi thodi der pahile hasa raha tha mujhe achanak behosh ho gya ek admi kitna seh sakta hai apne dard ko kis tarah samne nhi lata sirf hasta rehta hai soch rahi thi khusnaseeb hun main mujhe itna pyara dost mila"

ankit:ankhen kholte hue so mrs black belt kya hua aise kya dekh rahi ho.

prisha:chidte hue ek din tum meri jaan le loge pata hai kya halat ho gyi thi meri.

ankit:muskurate hue chalo koi toh fikar kar raha hai meri.

prisha:gusse mai kyun nhi karun fikar mera itna pyara dost hai kuch ho jata toh.

ankit:kya hota ek dost kho deti .

prisha:uske muh par hath rakhe hue khabardar aisa kuch bola toh mera dost mujhe bahut pyara hai.

ankit muskura raha tha.

tabhi doctor ata hai,

doctor:aur bakurdar kaisi hai tabiyat ab tumhari .

ankit doctor ko dekhta hai ,

Ankit:shock hote hue abey sameer tu

sameerr: haan mai abey sale kya halat banayi hai tune mai tujhse bahut naraz hun .

ankit:kya yaar kuch nhi mai thik hun abhi .

sameerr:gusse main sale shaadi kar li mujhe bola bhi nhi apne dost ki yaad nhi ayi .

ankit:nhi yaar aisi baat nhi halat hi kuch aise the .

sameer:tu aise nhi sudharega nisha aa rahi hain tujhe barabar karegi .

ankit:shock hote hue kya nisha di aa rahi hai kyu bulaya unhe.

nisha:haan bhai ki aisi halat hogi toh dekhne bhi na aun

ankit:sorry di .

nisha: kya hal bana diya apna shaadi kar li didi ko bulaya bhi nhi kitna arman the mere .

ankit: sorry di halat hi kuch aise the

nisha:woh chod meri bhabi kahan hai dekhna chahti hun use ,ghumkar dekhti hai kitni pyari lag rahi hai, arey arey dekho ankhein kitna nam hai lagta hai bahut royi hai kitna rulayega use.

ankit:uski rone ki adat hai haste hue.

nisha:khabardar use kuch bola toh meri pyari bhabhi hai use rula raha hai ise apne ghar le ja rahi hun.

ankit: par didi,

nisha:par war kuch nhi le ja rahi hun use kab tak discharge hoga yeah.

sameerr:thodi der mai kar dunga discharge tum meri pyari gudiya ko le jao mai isse lekar ata hun.
यह कोई टर्न है या ट्विस्ट
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Kala Nag

Mr. X
Prime
4,343
17,114
144
update 7
nisha prisha ko lekar jati hain woh bas ankit ko dekh rahi thi nazar uska hat nhi raha tha.

nisha:bhabhi kya dekh rahe ho tension mat lo woh thik hai sameer use layenge tab tak aap mere sath chalo apse bahut sari baat bhi karni hai .

sameer:ankit sach batana yeah wahi ladki hai na jise tu bachpan se pyar karte aa raha hai .

ankit:haan yeah wahi hai bichari bahut dari hui hai uska dard mere dard ke samne kuch bhi nhi usko aisa dard mai dekha nhi ja raha.

sameer:jodiyan bhi wahi banata hai kab kidhar kya khel khelein wahi jane.

ankit:hmm baat toh tumhari sahi hai .

sameer:chal ab ghar chalte hai wahi puri baat karenge puri formality maine kardi hai.

ankit:haan chalte hai uske pahile mujhe kahi jana hai .

sameer:phir chalu ho gya ab tjhe kahan jana hai.

ankit:arey kuch nhi tujhe toh malum hai maine ek ghar kharida tha bahut pyar se wahi dekhna chahta hun meri prisha ke liye hi toh hai nisha didi ko chupke se bhula sakta hai usi ko hi malum kya kya change karna hai aur haan prisha ko iske bare mai mat batana.

sameer:itni jaldi hai tujhe haan tera ghar ko hum dekh lenge filhaal tu ghar chal nisha aur mai dekh lenge.

ankit:tu nhi manega chal chalte hai.

prisha in nisha car

prisha thodi pareshan hote hue in mind yeah log kaun hai inhe kabhi dekha nhi mujhe malum nhi tha uski bhi ek behen hain.

nisha:use pareshan hote dekhti hai puchti hai kya hua bhabhi pareshan kyu ho rahe ho mujhe bhi batao main help karungi apni pyari bhabhi ki madat karne mai khushi hogi .

prisha:sochti hai phir bolti hai aap unki behen hai jahan tak mujhe malum hai unki toh koi behen nhi hai maine kabhi dekha nhi apko.

nisha:haste hue khun ka rishta bhi hona chahiye behen hone ke liye aise bhi bhai nhi bana sakte .

prisha:nhi nhi aisa kab bola maine sorry .

nisha:use dekhte hue dekhti hain hasne lagti hai arey bhabhi mujhe bura nhi laga ankit sameer ka dost hai dono ki dosti bhi bahut mast hai dono ek dusre par jaan chidakte hai , sameer mere pyare se husband hai hum dono ko ankit ne hi milaya hai,mera koi bhai nhi hai isliye use hi apna bhai bana liya,ankit ne mujhe apni badi behen.

prisha:acha sorry mujhe nhi malum tha mere pyare ankit ke itne pyare dost bhi hai.

nisha: kya bhabhi mera pyara ankit haste hue.

prisha:sharmate hue nhi woh toh bas.

nisha:muskurate hue mujhe bahut khushi ankit ne shaadi kar liya bas dukhi hun usne mujhe bulaya nhi mujhe apna banaya hi nhi usne .

prisha:nhi nhi di aisi baat nhi haalat hi kuch aise the unki koi galti nhi.

nisha:chalo koi nhi usko toh mai dekh lungi waise apki choice bahut achi hai ankit sach mai bahut acha ladka hai dil kholkar pyar lutata hai meri ek pyari se beti hai ankit toh uspar jaan deta hai bas kabhi apna dukh bayan nhi karta haste haste sab seh leta hai pucha toh haskar hi jawab deta hai.

prisha:woh toh hai sabko khushi deta hai mera ankit bas uska dard koi nhi dekh sakta ankhein nam hote hue .

nisha:arey arey ro mat bhai mujhe mar denge bhabhi ko lekar gyi unhe rula diya chalo ghar aa gya udhar baki ki baat karte hai.

prisha ko ghar le jate hue

kiran(nisha daughter):mummy mummy mama ko le anewala the nhi laye yeah kaun hai .

nisha:yeah tumhari mami .

kiran:mama ne shaadi kar li bahut pyari mami hai .

prisha:bahut pyari ho ab mai samjhi ankit kyun tumpar jaan deta hai jiske itni pyari bhanji ho woh toh apni jaan toh dega hi aj se tum bhi mere liye bahut pyari ho sirf ankit hi nhi mai bhi tumpar jaan dungi .

kiran:sach mai khush hote hue arey waah mere pyare mama mami .

nisha:bahut ho gya baatchit mami ko aram karne do bahut thak gyi hai.

kiran;ji mummy .

nisha:chalo bhabhi aap fresh ho jao .

nisha use apne kamre mai le chalti hai nisha apne kapde dete hue.

prisha:nhi mai nhi le sakti yeah .

nisha:kyun bhabhi ache nhi hai .

prisha:ache hai lekin nhi le sakti .

nisha:acha samjhi dekho bhabhi jo aap soch rahi ho waisa kuch nhi itni pyari bhabhi ho mai itne pyar se de rahi ho dil dhukhaoge mera.

prisha:nhi nhi apni didi ka dil kyu dhukhaogi unhe bura lagega isliye .

nisha:bhai ko bura nhi lagega bhabhi ab nhi liya toh sach mai naraz ho jaungi.

prisha:thik hai meri pyari didi le leti hun .

nisha muskurate hue:fresh ho jao mai ati hun.

after sometimes :

prisha fresh hokar leti thi un palon ko yaad kar rahi thi aur sharma rahi thi ankit ka chehra sochkar muskura rahi thi

nisha:nasta lekar ati hai bhabhi chalo kuch kha lo.

prisha:nhi bhabhi abhi bhukh nhi hai .

nisha:kya bhabhi aap sab mai mana kar rahi ho that's not fair .

prisha:woh bhi bhukhe hai jab tak woh kuch nhi kha lete tab tak ek nivala nhi jayega ankhein nam hote hue.

nisha:arey arey phir se rona bhai se daat khilwaogi aap chalo sameer se mai baat karti hun unhe kuch khila dega.

prisha:nhi mujhe unke muh se suna hai.

nisha:bahut jiddi ho ruko sameer ko call karti hun .

sameer:bolo meri jaan kya baat hai .

nisha:bhabhi kuch kha nhi rahi hain jidd ki hui hai jab tak ankit nhi khayega tab tak nhi khayegi .

sameer:ruko use kuch khilata hun phir use baat karata hun.

ankit:kya hua itna pareshan hai didi kuch boli.

sameer:nhi nhi bhabhi kuch nhi kha rahi isliye pareshan hai .

ankit:ab use kya ho gya .

sameer:jab tere jaisa husband hoga na sabko bhuka rehna hoga bataya kyun nhi kuch khaya nhi hai.

ankit:arey haan do phone do use jhuth bol deta hun .

sameer:ji bilkul nhi chal mere sath restaurant pahile kuch khate hai .

ankit:kya yaar tu bhi jidd kar raha bhukh nhi hai abhi use phone lagata hun.

prisha:bolo.

ankit:kya mrs black belt kuch kha kyu nhi rahi subah se bhukhi ho na kuch kha lo please.

prisha:apne khaya kuch tum bhi toh bhukhe the .

ankit:haan kha liya mai kabhi bhukha reh sakta hun mujhe toh bahut bhuk lagti hai .

prisha:acha thik hai mai khati hun jaldi aa jao.

ankit:rashte mai hai aa rahe hai.

nisha:dekha bhabhi usne bhola na kha liya aap bhi kuch kha lo.

prisha:usne bola maine maan liya jab woh ayega tabhi khaungi.

nisha:par bhabhi .

prisha:par war kuch nhi please jab tak use dekh nhi leti nhi ho payega ankhein nam hote hue

nisha:thik hai bhabhi apki marzi .

nisha phone lagate hue .

sameer:bolo.

nisha:ankit sach mai kuch khaya ki nhi .

sameer:nhi khaya uska mood nhi hai sun bhi nhi raha.

nisha:tab mai samjhu bhabhi kuch kyu nhi kha rahi ajeeb pagal log hai .

sameer:muskurate hue isko kehte hai pyaar jo mai tumse bahut karta hun.

nisha:kya pyaar hai ek dusre ki itni fikar bhagwan inki jodi ko sahi salamat rakhe kisi ki nazar na lage.

sameer:kisi ka toh pata nhi tumhari jarur lag jayegi haste hue.

nisha:kya bola tumne gusse mai.

sameer:kuch nhi kuch nhi ab rakhta hun ghar pahuch hi gya udhar baat karte hai.

nisha:thik hai aa jao ghar.......................
तो कहानी एक सुखद मोड़ पर आ गया है और कुछ नए चरित्र भी आ गए हैं
मतलब कहानी फ्लैशबैक मोड़ पर जा सकती है
 
  • Like
Reactions: Smith_15
306
657
93
यह कोई टर्न है या ट्विस्ट
Turn hi tha actually mai husband wife love
कुछ जल्दी हो गया ऐसा लगता है मुझ को
Nhi nhi actually mai husband wife love story dikhana chahta hun toh maine is tarah lekar aya
 
  • Like
Reactions: Naik and Smith_15
306
657
93
अंकित की स्वप्न सुंदरी है प्रीसा
अंकित भी मार्शल आर्ट सीखता है और कई बार प्रीसा से हारा भी है
Haan
 
  • Like
Reactions: Naik and Smith_15
Top