UPDATE-36
Inaaya- hogya tumhra kaam?
Ab khush to ho
Naag- thank you so much
Inaaya- ladki ko koe dukh nahi hona chahiye
Naag- kabhi nahi hona
Uski aankhon me sirf khushi ke ashu hi aayege aur kuch nahi
Inaaya- main dua karti hu ki aisa hi ho
Naag- aisa hi hoga
Inaaya- agar koe aur help chahiye es matter par to call karna lekin sirf essi chhij ke liye karna aur kisi ke liye nahi
Naag- okay
Thanks one again
Inaaya- lucifer tumhe jana chahiye
Lucifer- kaha?
Inaaya- ashmita sayad tumhra intezaar Kar rahi hai
Lucifer- mera kyu intezaar karegi?
Main bol ke aaya hu
Inaaya- jao to pata chal jayega
Lucifer- chala jaunga
Aur agar usse kaam hoga to vo khud bhi aa sakti hai
Inaaya- tumhe humari deal to yaad hai na?
Lucifer- yaddast achi hai meri
Baar baar same chhij repeat karne ka koe matlab nahi hai
Inaaya- OK nahi karti
Main ja rahi hu aur sayad tumhe bhi jana chahiye
Inaaya ne etni baar jane ke liye bol diya ki lucifer chhid kar gaya hi nahi
Vo naag ke sath farmhouse par aagya aur dono party karne lage
Aaj pura gunda group nashe me jhum raha tha aur ho bhi kyu na humare naag ki shadi pakki hue hai
Vaise naag dikhta bhi acha tha aur jab inaaya ne khud bol diya ki uska business partner hai to koe mana karega bhi kaise?
Inaaya naam hi etna bada tha bc
Lucifer aur baki sab puri raat party karte rahe aur jab tak karte rahe jab tak vo vahi dher nahi ho gaye
Lucifer abhi zinda tha lekin nashe me vo bhi khub hi tha esliye bechara rengte rengte apne flat pahucha aur vahi hall me hi gir gaya aur so gaya
Thodi bahut der shanti se soya hoga fir vohi bakchodi hue aur uth gaya
Nashe aur nind na aane ke karan usse gussa to bahut aa raha tha lekin vo kuch kar nahi sakta tha
Uth ke sabse pehle to shower liya kyuki sareer me se bas daru ki hi smell aa rahi thi aur fir chhilam leke bath gaya balcony me shanti se
Dusri jagah
Malik- kya pata chala?
Aadmi- boss vaha ki sabse badi gang ka to maine bataya hi tha naag naam ka banda chalata hai
Malik- ha aage bole
Aadmi- vo to bas ek puppet hai
Asli raaj to koe aur kar raha hai
Malik- koe aur?
Kon hai vo?
Aadmi- lucifer naam hai
Bilkul janwar jaisa dikhta hai
Meri to dekh ke hi fat gaye thi
Malik- aur?
Aadmi- vo din me ashmita ke sath rahta hai pure time aur raat me underworld dekhta hai
Malik- guard hai uska?
Aadmi- lagta to nahi hai
Kafi close hai dono
Malik- to Don se pyaar kiya hai ashmita ne?
Fir to usse ne mara hoga apne aadmiyo ko
Aadmi- uske alava koe nahi kar sakta
Malik- kitna powerful hai vo?
Aadmi- vo hi pure sehar ko chalata hai
Ek bahut badi gang hai
Weapons bhi bahut hai
Simple sa matlab ye hai ki uske marji ke bina vaha ek patta bhi nahi hilta
Malik- uski kamjori kya hai?
Aadmi- kuch bhi nahi pata chali
Yaha tak ye bhi nahi pata chala ki vo kon hai aur kaha se aaya hai?
Na hi uske family background ke bare me kuch pata hai
Malik- pata karo fir
Ussi ne humare aadmiyo ko mara hoga
Aadmi- mujhe bhi aisa hi lag raha hai
Malik- aur pata karo uske bare me
Es baar tayari puri karke jayenge
Aadmi- jee boss
Aise hi subah hogaye aur lucifer tayar hokar ashmita ke ghar chala gaya lekin vaha to alag hi bomb futa uske upar kyuki ashmita office ja chuki thi usse chhod kar
Lucifer fir man me galliya dete hue ki bc sach me esko dore hi padte hai sochte sochte khud bhi office chala gaya
Lekin vaha bhi ashmita nahi thi vo kisi meeting me chali gaye thi
To lucifer siya se baat karne lag gaya
Lucifer- ma'am kaha gaye tumhri?
Siya- unki kuch meetings hai aaj ki
Vahi gaye hai
Lucifer- mujhe kyu nahi pata meetings ke bare me?
Siya- ye main kaise bata sakti hu?
Lucifer- are tum sab kuch bata sakti ho
Bas mujhe batati nahi ho
Siya- kya matlab?
Lucifer- etni sunder ladki ho tum
Tumhe to sab bahut aasani se pata chal jata hoga to fir mujhe kyu nahi batati?
Siya- kyuki aap puchte nahi ho
Lucifer- ab puch raha hu
Batao
Siya- kya batau?
Lucifer- us din tumhe exercise nahi sikha paya
Aaj sikhogi?
Siya- nahi
Lucifer- kyu?
Siya- mujhe jarurat nahi hai aur Ma'am ne bhi mana kiya hai
Lucifer- konsi ma'am ne?
Siya- ashmita ma'am ne
Lucifer- usse kya matlab tumhri personal life se?
Siya- ma'am ne bola tha ki lucifer ke sath akele nahi jaogi kahi bhi
Lucifer- eski to gusse me apne man me bola
Lucifer- es office ke bahar bhi tumhri ek life hai aur us life par sirf tumhra hak hai
Uske bare me tumhe koe order nahi de sakta samjhi?
Siya- mujhe pata hai
Lekin yaha to ma'am hai na
Agar unhone mujhe nikal diya to main kya karungi?
Lucifer- job ki kami hai kya?
Siya- nahi lekin raichand group ek hi hai
Lucifer- aur rathore group bhi ek hi hai
Siya- kya matlab?
Lucifer- main vaha lagva dunga tumhe
Siya- I'm sorry mujhe kahi nahi jana
Aur aap bhi mujhse door raha karo
Ma'am fir mujh par gussa karti hai
Lucifer- tumhri ma'am ki hi class leta hu aaj main
Siya- mera naam mat lena please
Lucifer- tumhra hi naam lunga aur ye bhi bolunga ki siya mujhe dinner ke liye puch rahi thi aur ye bhi ki siya ko main kal se exercise sikhaunga
Siya- nahi nahi please aisa mat karna
Main ma'am ki bahut respect karti hu
Please mere career aur respect ke sath mat khelna
Lucifer- main to khelunga
Aur lucifer vaha se cabin me aajata hai
" bc esko kya hogya hai, pehle to ye bol rahi thi ki office ke baad kuch bhi karo mujhe fark nahi padta aur ab siya ko dhamki dene lag gaye?
Kuch to locha hai lucifer, kuch to locha hai
Karna padega ashmita ka ilaaz tab jake hi manegi ye
Aise to sala sukha pad jayega meri zindagi me aur fir kya main lucifer the great apne hath se kaam chalayega?
Nahi nahi nahi ye nahi hone dunga main
Etne bure din nahi aane dunga"
Lucifer vaha batha batha yehi soch raha tha aur time bit raha tha lekin ashmita nahi aaye
Lucifer ne call bhi ki lekin sayad meeting me hone ki vajah se call attend nahi ki
Subah se shayam hogaye aur ashmita ne na phone attend kiya aur na office aaye
Aur lucifer uske office me bakchodi kar raha tha
Fir kuch dimag me aaya aur socha ki kyu na eske cabin ko check kiya jaye aur dekhe kya milta hai
Vo sab kuch check karne laga aur jo chhij vaha rakhi hue thi usse exect same jagah par bhi rakh raha tha taki ashmita ko koe doubt na ho
Jada kuch nahi tha vaha par bas kaam ki files thi aur kuch nahi tabhi usse ek photo dikhi
Bahut purani photo thi ki bache ki lag rahi thi aur uske sath ek ladki bhi thi jo bahut khush lag rahi thi
Lucifer ne ye to pahchan liya tha ki ladki ashmita hai lekin ladke ka nahi pata chal raha tha
Usne photo apne phone me click ki aur vapas vahi rakh di
Aur kuch nahi mila usse vaha par
Fir time ho gaya tha vapas Jane ka to last me ek baar aur call ki ashmita ko lekin usne nahi attend ki
Kuch soch kar vo uske ghar ki taraf chal diya
Vo bilkul shant dimag se ja raha tha ki tabhi uske dimag me ek wild thought aaya ki kahi ashmita kisi musibaat me to nahi hai?
Usne shield to sirf ma'am ke liye banae thi aur agar human threat ma'am se door ashmita ke liye aaya to usse pata hi nahi chalega
Ye jaise hi uske dimag me aaya uski raftaar ek dam se tej hogaye aur vo lagbhag bhagte hue ashmita ke ghar ki taraf pahuchne laga
Raste bhar vo ashmita ko call kar raha tha uske pass baki kisi ke number to the nahi ki Tara se ya kisi aur se puch le
Ashmita ke ghar pahucha jaldi se gate khola aur samne dekha to ashmita khadi thi
Lucifer gusse me uske pass gaya aur
Ye sab kya hai?
Tumhe batana chahiye na ki kaha ho...
Chataaaak chaataaakkkkk chaataaak
Teen jor jor se thapad bade Lucifer ke gallo par
Lucifer ko to jaise tare dikhne lage aur dimag satakne laga
Vo gusse me kuch bolne hi wala tha ki
Ashmita- and I thought we were friends
Maine kya kuch nahi kiya tumhre liye?
Har time yehi sochti rahi ki kaise bhi karke tumhe tumhri yaadein vapas mil jaye, tumhe tumhre jawab mil jaye lekin badle me tumne kya kiya mere sath?
Kyu lucifer kyu?
Maine kya bigada tha tumhra?
Lucifer- what the fuck you are talking about?
Aur dobara mujhe galti se bhi marne ki kosis mat karna nahi to anjaam bahut bura hoga
Ashmita- kya anjaam?
Ha kya anjaam?
Mere jism aur rooh ko tabhah kar doge tum?
Lucifer- ashmita mujhe sidhe saaf sabdo me baat kiya karo
Kya kiya hai maine?
Ashmita- tumne mujhe dhokha diya hai
Aakhir nikle to tum bhi na baki sab ke tarah hi na
Lucifer- esse pehle ki main apna control khou mujhe es thapaad ka reason bata do
Ashmita ne gusse me ek recording chala di
Vohi recording to inaaya ne chhupke se ki thi Lucifer ke sath deal karte time jisme lucifer ashmita ko use karne ke liye ha kar raha tha
Jaise hi usne ye sab suna uske muh se sirf etna hi nikla " that bitch played me"
Ashmita- meri jindagi se chale jao lucifer aur vapas mujhe kabhi apni sakal tak mat dikhana
Lucifer- I'm sorry for this
I really didn't mean that
Ashmita- mujhe kuch nahi sunana
Main apni kasam tood rahi hu aur aaj se tum aazad ho
Lucifer- tumhe pata hai main aisa nahi kar sakta
Ashmita- tumhe aisa karna hi padega
Ab main ek second ke liye bhi tumhe apne aas pass nahi dekhna chahti
Lucifer- I'm sorry I can't do that
Ashmita- tumne hi kaha tha ki agar tum yaha chhod ke gaye to tumhe bahut kuch sahna padega
Congratulations maine tumhra kaam aasan kar diya
Ab tum nahi main tumhe chhod rahi hu aur jo bhi consequences honge usse main face karne ko tayar hu
Lucifer- aise nahi hota ashmita
Ek baar kasam kha li to fir vo etni aasani se nahi todi ja sakti
Aur main tumhe aisa karne nahi dunga
Ashmita- tum yaha se ja sakte ho ab
Lucifer- main nahi ja sakta
Meri majburi hai
Ashmita- ha tumhri majburi hi hai jiski vajah se tum kisi ki bhi life barbaad kar sakte ho
Hai na?
Lucifer- tumhe jo samjhna hai samjh lo lekin main nahi ja sakta
Ashmita- get the hell out of here lucifer
Please chale jao yaha se
Main tumhe aur barbadast nahi kar sakti ab
Lucifer- main tumhre sath kuch galat nahi karne wala tha
Inaaya ko maine sirf ha esliye boli thi ki vo mujhe sachae bata de Agar usse pata hai to
Tum mujhe galat samjh sakti hu
Aur koe bhi saja de sakti ho lekin mujhe jane ke liye mat bolo
Maine dekha hai kya hota hai jab koe apni kasme todta hai
Main tumhre sath vo sab nahi hone dunga
Chhod ke jaunga to main jaunga
Dard milega to mujhe milega aur narak bhi mera hi hai
Esliye main abhi ja raha hu apne flat lekin subah vapas aaunga
Ye story aise khatam nahi ho sakti
Main esse hone nahi dunga
Aur lucifer ek najar ashmita par dalta hai jo buri tarah se ro rahi thi, ro ro kar uski aankhen laal ho chuki thi lekin abhi es waqt lucifer kuch nahi kar sakta tha esliye usse vaha se jana hi theek laga
Aur vo chhup chhap vaha se nikal gaya uske jate hi ashmita aur jor jor se rone lag gaye
Vo to ye sab sun ke puri tarah toot hi chuki thi
Aisa nahi tha ki usse lucifer se pyaar hogya tha vo to bas uski help karna chahti thi as a friend aur etne sab me thoda bahut attraction hone normal tha
Esliye hi usse jada bura lag raha tha ki jiske liye usne etna sab kiya vo hi uske rooh ke sath khelna chahta hai
Ashmita hall se uthi aur apne room me chali gaye aur band karke vapas rone lagi.....