• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Lucifer- The fallen angel(completed)

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
WRITER’s NOTE

School times se likhne ka bahut shauk tha mujhe mostly poems hi likhta tha. School me hi ek ladki mili bahut pyaari thi. College ke 3rd year tak relationship chala fir vo chali gaye door. Uske baad kabhi socha nahi tha dobara kuch likunga. Bilkul man hi nahi karta tha. Nashe to jaise jindagi ban gaye the. Pehle bhi nashe karta tha lekin uske baad jada ho gaye. Akela rahna acha lagne lagega aur dheere dheere sab door hote chale gaye. Main akela hi bacha tha. Tab kahi se xf ka pata chala aur pata nahi kyu aise hi ek raat pehli story ka first update post kar diya. Ek medium mil gaya tha mujhe kuch share karne ka aur acha bhi lagne laga tha. Dheere dheere vapas likhna start kiya aur es baar stories. Xf par kuch stories likhi fir vo band hua to yaha aa gaya. Aur vohi silsila yaha bhi kamyaab raha. Aap sabko sayad idea nahi hoga ki jo thoda bahut interact hota hai humara yaha vo kitna important ho sakta hai kisi ki life me. Es waqt mere pass almost sab kuch hai lekin agar kisi ko kuch share karna chahu to aisa person nahi hai esliye beech beech me kuch updates me apni situation likh deta hu to acha lagta hai. I hope ki humara sath aise hi aage bana rahe.

Ek mew story ka dimag me kuch idea hai lekin kab start hogi eske liye abhi sure nahi hu

May be main kuch dino ke liye rehab chala jau ya fir kuch aur mil jaye sath chalne ke. Lets see

In the end i want to thank each and everyone of you guys who has supported me and gave me so much love. Means a lot

Thank you so much guys. Jaldi hi milte hai ek new story ke sath tab tak ke liye 👋
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219

Ye kaisi Mohabbat​

yeh story ki bhi update dy do bro still waiting​

Bhai complete ho chuki hai vo story es forum par padh lo
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
Nice update to ab malum ho gaya ki ashmita n inaya ka past kya tha dosti n usme darar bhi ab to mujhe bhi raichand se bahot nafrat hone lagi h wo itna ghatiya insaan jo nikla
Vo humesha se hi aisa tha
Aane wala waqt ab bahot kuch badal kar rakh dega ya kai log isme preshan honge dekhte hain isme lucifer ka isme kya role hoga
Mujhe lagta hai aane wale waqt me kae log nahi sare log pareshan honge
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
Aaj ashmita gusse me sab sach keh diya or ye b thik tha wo bache thi wo e sab bare me kya janti thi uske bap ke liye wo bahut sarminda hona pad raha tha usko ab kese bo anisa ko accept krti hai wo dkhna hai ......
Thank you bhai
Keep supporting
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
Nice word play:budhabudhi:

Yeh story mein bombs hi bombs hey..........Maam, Ashmita, Innaya,Tara(?), anisha ...so on; but unfortunately dusra type ka bomb fut raha hey......💣, yeh keisa aadat bana liya Lone survivor?
Achi aadat bana li bhai
Dekho kitne ache ache bomb fat rahe hai
Is Raichand dushman no 1? May be Lucifer himself also......
Ye to nahi pata bhai
Wonderful writing bro.
Thank you bhai
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
Finally wo time bhi aa gaya jab Raichand ki pol khul gai aur past saamne aaya .
Baki lagta nahi Raichand ne itna sab hone ke bad kuchh sikha hoga.
Kya raichand ne etna sab hi kiya hai?
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
UPDATE-147
Lucifer- ashu abhi inaaya ki baat jaruri nahi hai
Jaruri hai anisha
Ashmita- kya anisha?
Ha?
Kya karu main?
Batao tum
Ek aisi ladki jo etni mahnat se apna kaam karti rahi aur main bina kisi galti se usse rude behave karti rahi
Kya bolu main usko jakar?

Lucifer- i don't know
But baat to tumhe hi karni padegi us se
Ashmita- meri life par ek full stop sa laga dikh raha hai mujhe

Lucifer- tum apna ek faisla bana lo
Main sath me khada hu tumhre har ek fasle par
Ashmita- tum sath khade ho lucifer?
Tumhra jab man karta hai tum chale jate hai
Kabhi bhi kuch bhi kar dete ho
Tum to etne dino tak mujhe dikhe bhi nahi the, mujhse baat bhi nahi karte the
Tum khade ho mere sath?

Lucifer- vo meri galti thi
Ashmita- humesha tumhri hi rahti hai lucifer

Lucifer- ye bhi sach hai lekin aur sach ye bhi hai ki maine kabhi tumhra sath nahi chhoda
Ashmita- tujh se to main naraj bhi nahi ho sakti
Pata nahi kya ho gaya hai mujhe aur kya hoga aage chal kar

Lucifer- kyu soch rahi hai etna?
Ashmita- na sochu to aur kya karu?
Mujhe to nahi pata mujhe kya karna chahiye
Agar tujhe pata hai to bata

Lucifer- anisha se baat kar ek baar lekin us se pehle tara se
Ashmita- aur kya bolu didi aur anisha ko?

Lucifer- jo tera dil bol raha hai bolne ko
Ashmita- mera dil to mere baap se baat karne ko kar raha hai

Lucifer- to fir vohi kar
Ashmita- vo to main karungi hi
Unhe har ek chhij ka jawab dena padega
Har ek chhij ka

Lucifer- anisha don't want the wealth
Usse justice chahiye
Ashmita- tu justice ki baat kar raha hai Lucifer?

Lucifer- mujhe pata hai tu hurt hai
Bahut jada hurt hai
Lekin ek baar soch ke to dekh yaar
Ashmita- maine sab soch liya hai
Aur main vohi karungi

Lucifer- karna bhi vohi chahiye
Ashmita- aur mujhe Anisha ki maa se bhi baat karni hai

Lucifer- us se mujhe baat karni hai
Ashmita- tujhe abhi bhi bahut kuch pata hai na jo tu nahi bata raha?

Lucifer- waqt sab ujagar kar deta hai
Ashmita- kya fayda aise waqt ka?
Mujhe nahi chahiye apne aas pass aisa waqt

Lucifer- just talk to them
Ashmita- i will
After all she is my lil one

Lucifer- tara se bhi baat kar le
Ashmita- get me a drink

Lucifer vaha se khada hokar bar counter par chala gaya aur ek bottle teen glass leke vapas aagya

Usne bahut light light peg banaye aaj
Sayad waqt ne aaj pehle hi nashe me kar diya tha sab ko esliye

Ashmita to ek jhatke me pura khatam kar gaye aur baki dono ne abhi tak ek sip bhi nahi liya tha
Lucifer to vaise nashe me hi tha jaise vo humesha rahta hai

Inaaya- ashu...
Inaaya ne fir himmat karke kuch bolna chaha aur es baar ashmita ne usse roka bhi nahi

Inaaya- saraab rishte kharab karne ke alava aur kuch nahi karti
Tu ye sab chhod kar apne aane wale kal ke bare me soch
Ab teri bhi ek chhoti behan hogi
Tu us par hak jama sakegi aur vo tujh se jid kar sakegi
Aane wala kal bahut acha hoga ashu
Meri baat maan aur bright side dekh

Ashmita- aane wala kal bahut kharab hone wala hai
I can feel it
I can feel lucifer absence already
Mujhe pata hai vo bahut jaldi yaha se chala jayega
Mujhe bahut time se ye feel ho raha hai aur yehi sachae bhi hai
Ye(lucifer) janta hai es baat ko
Aur esliye hi ab ye mujhse door bhagta hai
Esliye hi ye sab ki life jaldi se jaldi normal karna chahta hai
Esse pata hai eska waqt najdeek aa raha hai
Main juth bol rahi hu kya lucifer?

Ashmita ne inaaya par jitna jor ka damaka kiya utna lucifer par nahi hua kyuki ye sab to usse pata tha

Vo bahut ache se janta tha ki ab vo khush rahne laga hai matlab uska ant najdeek hai

Ain't nobody can stop that

Esliye vo ashmita ki baat par kuch nahi bola aur na hi inaaya ke aise ghurne par vo kuch bol paya

Ashmita- uski taraf mat dekh aise
Usne bahut sah liya apni life me ab usse aaram karne de
Aaj vo pehle mere pass aaya batane ko aur vo bhi tujhe leke aur mere baap ke pass nahi gaya usse marne ye es baat ka saboot hai ki vo badal raha hai
He deserves the best

Lucifer- ashu baat meri nahi ho rahi teri ho rahi hai, anisha ki ho rahi hai
Ashmita- tu aur main alag alag hai?

Lucifer- what you gonna do now?
Ashmita- maine socha hai kuch

Lucifer- vo tu bol chuki hai lekin kya?
Ashmita- jab karungi tab pata lag jayega

Inaaya- i wish sab theek ho jaye
Ashmita- sab to kabhi theek nahi hota inaaya

Lucifer- chal tujhe khana khila kar lata hu
Ashmita- mujhe kahi jana hai

Lucifer- khane ke baad chali jana
Chal ab
Aur lucifer ashmita ko gaud me uthata hai aur bahar ki taraf chal deta hai

Uske piche piche inaaya bhi aa jati hai aur vaha se vo kahi khane ko nikal jate hai***

Anisha- mom khana khila do na
Bhukh lag rahi hai
Priyanka- ha bas do minute

Anisha- tabeyat to theek hai na aapki?
Priyanka- ha kyu?

Anisha- are aaj aap dinner banane me late ho gaye esliye pucha
Aaj se pehle to aisa kabhi nahi hua
Priyanka- vo aankh lag gaye thi

Anisha- sab theek hai na?
Priyanka- ha sab theek hai
Tera office kaisa chal raha hai?

Anisha- as usual
Priyanka- ache se kaam kar
Aur kuch ulta sidha nahi karna hai

Anisha- main kab hi kuch ulta sidha karti hu?
Priyanka- dhayan rakh apna
Meri ab umar hone lagi hai

Anisha- kaisi baat kar rahi ho aap?
Priyanka- soch rahi hu teri shadi kara ke free ho jau

Anisha- main nahi hone dungi free aapko
Aur meri shadi ki tension aap chhod do
Priyanka- kyu
Lucifer ne ha kar di?

Anisha- dekho ab aap vapas leke aaye ho usko
Main nahi laye
Priyanka- main to bas puch rahi thi

Anisha- sirf puch nahi rahi thi aap
Aur jab main lucifer ki baat nahi kar rahi to aap kyu kar rahi ho?
Priyanka- mujhe dar lagta hai us se

Anisha- aapne kuch galat kiya hi nahi to fir kyu dar rahi ho?
Priyanka- ye to samne wale par depend karta hai ki vo kya galat aur kya sahi manta hai

Anisha- lucifer kuch nahi karega
Uski life me pehle hi bahut kuch chal raha hai
Khud ko to dund le vo
Priyanka- tujhe bhi to kuch mila tha na?

Anisha- mila tha lekin kaam nahi aaya
Priyanka- kyu?

Anisha- fayda hi nahi tha uska kuch
Kosis karungi vapas lucifer ko badle me kuch to dungi hi
Priyanka- hum vapas chalte hai na yaha se

Anisha- ab to life track par aane lagi hai aur abhi aap jane ki bol rahe ho
Aisa kaise chalega?
Priyanka- hum kahi aur bhi to apne life track par la sakte hai na
Yahi kyu?
Jab etne sare dusman bathe hai humare yaha to

Anisha- ab nahi jana kahi
Ab hum yahi rahenge
Priyanka- ha ab bache bade ho gaye hai to apne man ki chalane lag gaye hai

Anisha- kuch innovative tarika dundo
Ye wala purana ho gaya hai
Priyanka- aaj ke jamane ki yehi sachae hai

Anisha- hume bhi to jamane ke sath chalna hai to usme dalna bhi to padega na
Priyanka- dhal le
Baad me mat bolna mujhe kuch bhi

Anisha- hum safe hai
Kuch nahi hoga
I promise hum humesha aise hi rahenge
Priyanka- aise hi rahenge?

Anisha- i promise aise hi rahenge
Priyanka- bhul mat jana apni promise ko

Anisha- bhuli hu kya aaj tak?
Priyanka- chal aaja fir ban gaya khana

Anisha- dekha maine kaise jaldi khana banva diya
Nahi to lagi rahti aap ek ghante
Priyanka- thank you so much meri bachi
Tune etni help ki meri

Anisha- welcome mom welcome
Chalo aao jaldi se mujhe bahut bukh lag rahi hai
Priyanka- lucifer ke sath kar aati dinner date fir

Anisha- mom...
Priyanka- acha sorry
Chal kha le
Aur dono maa betiya khana khane lagte hai...
 
Top