• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mʏ Vᴀᴍᴘɪʀᴇ Sʏsᴛᴇᴍ ~ Tʜᴇ Hɪɴᴅɪ Eᴅɪᴛɪᴏɴ

What are your first impressions?

  • Naah! I will pass 😮‍💨

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    31

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Guys! listen once again, likes ka target pura hone se pehle update nahi dene wala mai, bilkul bhi nahi. So agar next update chahiye to target pura kro.
One update per week ka schedule fix krne ka socha tha but past 3 days me back to back 3 update de chuka hu. So itna to kar hi sakte ho tum log.
Isliye target pura kro aur update le jao. Yahi deal hai apni.

Aur guys jo bhi naye bande thread par aa rahe hain wo upar poll me apna keemti vote jarur dalte jaye.

Ek aur baat tumhe story achhi lagti hai, batao.
Tumaye story achhi nahi lagti hai, wo bhi batao.
Tumhe kya achha lga, batao.
Tumhe kya achha nahi lga, wo bhi batao.
Agar thread par aaye ho, story read ki hai, to please kuchh na kuchh bol kar jao. Tum log bc aate ho aur aise gayab ho jate ho jaise gadhe ke sarr se kabhi seengh gayab ho gaye the. Bc 2 sabd naa bole jate tumse.

Jyada kuchh nahi mang raha, bss agar thread par aate ho to ek like kar diya kro aur ek chhota sa revo de diya kro. Kam se kam tumhari presence ka pta chalte rehta hai, ki bc tum log exist bhi karte ho.

Bss jo hai itna hi hai, itni baaton ka dhyan tum rakh lena baki tumhara dhyan mai rakh lunga. Tum khush, Mai khush, Dono log khush. To deal done samjhu Mai?? :hinthint:


And once again, keep supporting!!!
 
Last edited:

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Update - 3
[ Daily Quest ]


Ab tak...

Finally jab book ka aakhri panna bhi palat gaya to book uski najaron ke samne se dhool bankar aise gayab ho gai jaise endgame me Thanos gayab hua tha. But at the same time, Vikram ki aankhon ke samne dhundhlapan chhane laga. Uski body kaphi weak lag rahi thi aur dheere dheere uski aankhein band ho gai.

Lekin, behosh hone se thik pehle usne kuchh suna, shayad koi message tha.

<Congratulations you have been granted the Va....>

Lekin, isse pehle ki wo pura message sun pata, wo behosh ho gaya.


Ab aage...

Dheere dheere Vikram ki palke upar uthne lagi aur uska vision clear hone laga. Uska sarr kaphi bhari lag raha tha aur use apne sareer me halka dard bhi mehsoos ho raha tha. Wo dheere se jameen par se utha aur apne hath se apne sarr ko check karne lga ki kahi use koi injury to nahi aai hai.

"Bc mere sarr me itna dard kyu ho raha hai?" Usne khudse kaha.

Apni khopdi check karne ke baad Vikram ne floor se apna chasma uthaya. Halanki abhi us chasme ka ek lense gayab tha lekin phir bhi out of habit Vikram ne wo chasma pehn liya. Chasma pehnte hi Vikram ko kaphi uncomfortable feel hua aur uska vision thoda blurry ho gaya.

Vikram ne turant hi un glasses ko nikal diya aur ab usne notice kiya ki uska vision tab hi blurry hota hai jab wo un glasses ko pehnta hai. Vikram bhag kar apne desk ke paas gaya aur waha se ek pencil utha kar laya phir usne wall par "A" letter ko likha aur dheere dheere pichhe ki taraf hatne laga. Wo tab tak pichhe ki taraf chalta raha jab tak ki uska pichhwada room ki pichhe wali wall se nahi takaraa gaya.

"Wtf, lekin kaise!" Usne surprised hote huye kaha.

Vikram ne apni puri zindagi chudi hui aankhon ke sath bitaayi thi, lekin pata nahi kaise par achanak hi Vikram ka vision ekdum perfect ho chuka tha. Behosh hone se pehle uske sath us room me jo jo hua tha, ek ek karke sari images uski aankhon ke samne flash hone lagi aur abhi is wakt jis chiz ke liye wo sabse jyada curious tha wo thi ~ The Book.

Jab Vikram ne charo taraf apni najaren daudayi aur use book dikhayi nahi di tab wo panic karne laga.

"The book! Where the hell are you, book?" Vikram panic karte hue chillaya.

Vikram ne us chhote se room ka kona kona chhan mara lekin wo book kahi par bhi nahi mili. Ek aisa apartment jisme keval single bed aur ek desk rakhne bss ki jagah ho aisi jagah se book ka yu gayab ho jana kaphi surprising tha. Itne chhote se room se book ka gayab ho jana Vikram ko pagal kar raha tha.

"Shayad ye book mere socks ki tarah hai, wo bhi aksar isi tarah gayab ho jate hain. Ahh fuck man! Lagta hai mai bawla ho gaya hu, Bc yaha tu dedh kilo ki ek book dhund raha hai, 10 gram ke socks nahi." Vikram khudse hi bate karne laga.

Thakk haar kar Vikram apne bed par Jake baith gaya aur uske behosh hone se pehle us room me kya kya hua tha is bare me gehrai se sochne laga. Dimaag par jyada zor dene par achanak hi use yaad aane lga ki kaise wo book shake hote huye hawa me lift ho gayi thi. Use ye bhi yaad aaya ki uske behosh hone se thik pehle usne kuchh sabd sune the.

"Bc wo kya tha? Kya wo kisi tarah ka system message tha?" Usne socha.

Aur jaise hi Vikram ne wo words kahe, ek status screen uski aankhon ke thik samne dikhayi dene lagi.


[User: Vikram Acharya]

[Race: Human]

[Level 1]

[0/100 exp]

[HP 10/10]

[Strength: 10]

[Agility: 10]

[Stamina: 10]


"Bhens ki aankh! Ye kya bakchodi hai?" Vikram ne surprised hote huye kaha.

Vikram thodi der tak usi screen ko ghoorta raha aur apni aankhon ke samne chal rahe scene ko samjhne ki koshish karne laga.

Bahut der tak sochte rehne ke baad jab use thoda thoda samjh aaya ki uske sath kya scene chal raha hai tab wo excitement me zor se chilla pada.

"No no no... ye nahi ho sakta! Bhenchod ye ho hi nahi sakta!" Vikram surprise aur excitement dono ki mixed feelings ke sath chillaya.

Vikram ko ab ye samjh aa raha tha ki uske samne jo screen hai wo ek tarah ki status window hai aur usme jo numbers aur information likhi hui hai wo uske khudke bare me hai. Ye bilkul un old times ke games jaisa tha jisme ek system kisi individual ko grow krne aur powerful banne me help karta hai.

"Nice bc nice! Ye to purane jamane ke kisi video games ki tarah hai jinhe bachche pura din khelte rehte the." Vikram ne khudko saant karte huye kaha.

Vikram ne notice kiya ki status screen ke top par aur bhi tabs hain. Aur bina kuchh kiye hi keval apne mind me un tabs ko read karne bss se wo status screen automatically [Skills] tab par switch ho gai.


[Skills]

[0 skill points available]

[Skill locked????]

[Skill locked????]

....


So basically [Skills] tab par dekhne ke liye kuchh khas tha nahi kyuki waha par mostly chize locked thi aur unke upar slightly grey colour ki overlay dikh rahi thi jaisa ki aksar video games me hota hai jab koi gun ya phir koi equipment locked hota hai tab uske upar ek halki grey colour ki overlay hoti hai then uske upar ek lock (🔒) ka mark bana hota hai, thik usi tarah se yaha par bhi tha.

Khair skills tab par dekhne layak kuchh tha nahi isliye usne apne mind me hi bolke next tab open kiya jo tha, [Shop].


[Shop]

[Unlocks at level 10]


"Ye bhi lock bhenchod! Bc mai kuchh kar bhi sakta hu ya nahi?" Usne irritate hote huye khudse hi sawal kiya.

[Shop] tab par bhi kuchh khas dekhne ko nahi mila aur ab bari thi aakhiri tab ki aur wo tha, [Quest] tab. Aur finally use kuchh aisa mila jo locked nahi tha.


[Main Quest]

[Reach level 10]

[Daily Quest: Drink two litres of water]

[Reward: 5 exp]


System ke paas dikhane ke liye jo jo chize thi unhe dekhne ke baad Vikram ne bss apne mind me system ko close karne ke bare me socha aur uske aisa sochte hi uske samne se wo screen gayab ho gai, aur theek iska ulta jab usne apne mind me system ko phirse open krne ke bare me socha to uski aankhon ke thik samne phirse wo screen dikhai dene lagi.

Ant me Vikram ne system ko close kar diya. Abhi wo apne bed par baitha hua tha, usne ek angdai li aur apni body ko pichhe ki taraf le jate huye bed par hi dher ho gaya.

Vikram abhi sirf ek chiz ke bare me soch sakta tha aur wo ye ki jo book uske mom dad ne marne se pehle uske liye chhodi thi wo ek tarah ki 'Ability Book' thi. Ye us tarah ki books hoti thi jinhe bahut hi high price par ya to military ya phir kisi company se buy kiya ja sakta tha, yaha tak ki ye books black market me bhi sell ki jati thi.

Lekin jo chiz Vikram ko sabse jyada pareshan kar rahi thi wo ye thi ki usne kabhi bhi kisi aisi book ke bare me nahi suna tha jo aapki aankhon ke samne se gayab ho jaay aur aapko is tarah ka ek system de de. Aamtaur par ability books is tarah ki books hoti thi jinhe master karne ke liye time aur prectice ki jarurat hoti thi, ye koi aisi books nahi thi jinhe uthakar ek baar me hi sab kuchh sikha ja sake.

Dheere dheere Vikram ke chehre par ek smile appear hone lagi. Ye uske liye kisi great news se kam nahi thi. Wo humesha se hi ek 'Level 1' ka ability user raha tha kyuki higher level ki ability books ko buy karna uski aukaat ke bahar ki baat thi. Lekin finally aaj uske paas kuchh tha, aur abhi uske dimag me yahi chal raha tha ki use kis tarah ki ability mili hai.

Vikram excited hote huye apne bed se utha, ab use next phase ki taraf badhna tha aur wo tha apni ability ko test karna aur ye check karna ki usne kis type ki ability obtain ki hai.

"Fire, fire, come on bc!" Vikram ne apni hatheliyo ko aage ki taraf phekte hue kaha.

"Ok next... Water, water, out!" Usne dubara wahi kiya lekin is baar bhi same result tha.

Vikram ne different different chizon ko try krke dekha yaha tak ki usne har us ability ko bhi try kiya jiske bare me wo jaanta tha, itna sab karne ke baad ek cheez thi jo uske mind me clear ho chuki thi aur wo ye ki, wo kisi bhi ability ko perform nahi kar sakta.

"Bhenchod ye kya majak hai! Kya ye bss ek system ability hai?" Vikram ne confuse hote huye apne man me socha.

Vikram ne khudko saant kiya aur apne bed par jakar baith gaya. Ye situation kaphi complicated thi aise me wo jaldbazi me sochne ki galti nahi kar sakta tha. Vikram kuchh der tak gehrai se sochta raha. Agar ye sach me kisi game ki tarah hai to shayad quests ko complete karne par wo apne aap hi strong hota jayega aur new skills unlock hoti jayengi. Wo use ek ordinary ability book ki tarah treat kar raha tha lekin use ye nahi bhoolna chahiye ki jo use mila hai wo kisi bhi angle se ordinary nahi hai.

Usually jo ability books hoti hain wo ek hi ability par based hoti hain. Kisi bhi person ke liye apni first ability book ko select karna bahut hi important hota tha kyuki ek regular human body ek hi ability attribute ko perform karne me saksham thi. Example ke liye agar aapko 'transformability' aapki first ability ke roop me milti hai to iske baad se aapko jitni bhi skills ya abilities milengi wo isi attribute se related hogi, isi tarah agar aapka attribute 'fire' hai to uske baad aapko jitni bhi abilities milengi wo fire se hi related hogi, aur yahi same chiz water, wind aur baki sabke sath bhi hai.

Readers ko kaphi important information dene ke baad Vikram apne mini-fridge ke paas gaya aur use khol kar usme rakhi water bottles nikalne laga.

Vikram ne un water bottles ko desk par rakha aur ek ke baad ek sabhi bottles ko gatakne laga.

"Damn bc! Ye 2 litres kitna hota hai? Gaand phatne ko ho gai lekin bc iske 2 litres na huye abhi tak." Vikram ne pet me ho rahe dard ko sehan karte hue kaha.

Aathvi (8th) water bottle khatam hote hote uske samne screen par ek new notification message dikhai dene laga.


[Daily Quest complete, 5 exp has been granted]

[5/100]


"Well, Kam se kam ye to pata chala ki system sach me work karta hai" Vikram ne satisfaction se bhari hui tone me kaha.

Vikram abhi system ke sath hi busy tha jab use achanak hi darwaze par ek loud knock sunai diya. Vikram jaldi se darwaze ke paas gaya aur usne darwaza open kiya. Darwaza open hote hi uske samne military uniform me 7ft6 ka ek black banda khada hua tha. Vikram ne use upar se niche tak dekha, Saand jaisa dikhne wala wo aadmi military uniform me kisi black monster se kam nahi lag raha tha. Hatte katte, lambe chaude, janwaro jaisi body aur bina balon wale us aadmi ki uniform par dhero medals lage huye the, aur uski right side ki chest pocket se thik 2 inch upar ek name plate lagi hui thi jiske upar uska name likha hua tha - 'Sergeant Griff'.

"Ladke, immediately apna boria bistar bandho. Gadi already 5 minute se bahar wait kar rahi hai." Khadus Sergeant ne Vikram se kaha.

School, book aur system ke chakkar me Vikram ye t
o bhool hi gaya tha ki aaj kya hona hai.

"It's time for you to head to the military school," Sergeant ne Vikram se kaha.


To be continued...



Dekho bhai logo is update ka like target hai 15 likes.
Ab jab tak update pe 15 likes nahi ho jate tab tak next update nahi milega.
So tum logo ko pta hai ki ab kya karna hai.
Update padho, revo do, aur phataphat 15 likes ka target pura kro.


keep supporting!!
 
Last edited:

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Font ,size , colour aur spelling sahi hai bas baar baar font aur colour change mat karna ok

To Vikram ko Aakhiri Itni nirasha ke bad Ek powerful ability Mil Hi gai.....
Dekhte hain book usko kis level per Le jata hai..

Han Yad Aaya ISI concept per Ek Aur Bande ne story Shuru ki thi Aur use per 8 -10 update Bhi Aaye The lekin Uske bad story ruk gayi....

Ummid karte hain aapki story ko antim Swaroop denge...

Nice update

Nice story brother. Keep growing.
And just one suggestion be regular. And jald hi tumhari stories acche views me hogi. Coz abhi trend me hai powers wali story

Update 3 posted !!
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Guys update 3 post kar diya hai, padho, like kro aur revos do.
Baki mai milta hu agle update ke sath.
Keep supporting!!!
 

Smith_15

Well-Known Member
8,991
18,189
173
💖💖💖💖💖💖💖❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️

Update 4
 
  • Like
Reactions: Your Sensei

CFL7897

Be lazy
449
947
93
Vikram ko book se aur system ko Lekar Jo bhej confusion tha vah ek normal Baat tha.....
Ab Vikram ko yah dekhna Hoga Ki vah system ka use kaise kar sakta hai
 

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Vikram ko book se aur system ko Lekar Jo bhej confusion tha vah ek normal Baat tha.....
Ab Vikram ko yah dekhna Hoga Ki vah system ka use kaise kar sakta hai
Bhale hi Vikram ek aisi duniya me rehta ho jaha magic common hai lekin phir bhi usne kabhi kisi aisi book ke bare me nahi suna tha jo aapki aankhon ke samne se dhool bankar gayab ho jaye aur aapke pichhe ek ajeeb si screen chhod jaye jisme aapki aisi aisi information ho jo aapko khud bhi nahi maloom. Swabhavik hai ki ye sab hazam karne me kuchh time to lagega hi aur doubt bhi hoyega.

Abhi Vikram ne system ko samjhna just start hi kiya hai, bahut si aisi chize hain jo abhi shikhna aur janna baki hain.

Lekin philhal uske samne 7ft6 ki ek musibat khadi hui hai aur sath hi uska intezar kar raha hai ek challenge jo hume update 4 me dekhne ko milega.

Baki revo ke liye thanks 🙂

Keep supporting!!
 
Top