Kuch hi din pahle senapati se baatchit hui thi. Ab yuvaraj Vikramaditya aane wale samay ki chinta kar rahe the. Saath hi ve us sundari ke baare me jaanne ke liye atyadhik utsuk the. Yuvaraj ab yuddh ko seekhne ke liye vyakulata se prateeksha kar rahe the. Unhe ab apne pita se is vishay par charcha bhi karni thi.
Ek din yuvaraj Vikramaditya apne pita se milne gaye.
Yuvaraj Vikramaditya - Pranam pitaji.
Raja Ranvijay - Bolo, yaha kaise aana hua?
Yuvaraj - Pitaji, hume lagta hai ki ab hume satark rehna hoga aur hamare sainyabalon ko aur shakti deni hogi. Shatru kisi bhi samay hum par akraman kar sakta hai. Mujhe ab aane wale yuddh ke liye tayar hona hoga, pitaji.
Raja Ranvijay kuch kshanon ke liye stabdh hue.
Raja Ranvijay - Lagta hai, tumhare bhai ke jaane ka dukh abhi bhi tumhare hriday mein hai. Kya tum bhi apne bhai ki bhanti yuddhbhumi mein apne praan gawana chahte ho? Kya tum us ghatna se kuch sikhe nahi?
Yuvaraj Vikramaditya ko yeh sunkar atyant dukh hua, unhe laga maano Raja ko apne putra ki mrityu ka kinchitmatra bhi dukh nahi hai.
Yuvaraj Vikramaditya - Pitaji, yeh aap kya keh rahe hain? Hamare bhai ne is rajya ke liye apne pranon ka balidan diya. Ek rajputra ka yahi to kartavya hota hai, pitaji.
Raja Ranvijay (krodh mein) - Tum bhavon mein bah gaye ho Vikramaditya, kya tum yeh kehna chahte ho ki main is rajya ko chalane ke yogya nahi hoon?
Yuvaraj Vikramaditya - Nahi pitaji, main aapke baare mein aisa kaise keh sakta hoon? Main to bas yeh keh raha tha ki aane wale kai yuddhon ke liye ab mujhe tayar hona padega. Ab bhaiya ke jaane ke baad main yun hi mahal mein din bhar baitha nahi reh sakta. Mujhe ab senapati ji se vidya seekhni hogi. Main bas iske liye anumati maangne aaya hoon.
Raja Ranvijay ne kuch der tak kuch nahi kaha.
Raja Ranvijay - Main tumhe sheeghr hi bataunga, abhi iske liye samay nahi hai. Tum ab yaha se jao, mujhe apne mantriyon se kuch baithak karni hai.
Yuvaraj Vikramaditya bade udaas ho gaye... unhone kuch nahi kaha.
Yuvaraj Vikramaditya - Jo aagya pitaji, main chalta hoon.
Raja Ranvijay - Hm...
Yuvaraj Vikramaditya ab mahal se ja hi rahe the ki unhone mahal ke dusri ore dekha, unki maa Kadambari unki ore hi ek padde ke piche se dekh rahi thi. Wo achanak se mud gayi aur dusri taraf chal padi.
Bahut samay baad Vikramaditya ne apni maa ko dekha tha. Unhe laga ki wo ek baar unse jakar baat kar lein. Ve us kaksh ki taraf badhne lage.
Maa Kadambari shayad apne kaksh mein gayi hui thi. Darwaza andar se bandh tha. Yuvaraj ne darwaze par dastak di. Tabhi ek daasi ne darwaza khola.
Daasi - Pranam yuvaraj.
Yuvaraj - Mujhe apni maa se milna hai... kya wo andar hain?
Daasi - Ji, wo andar hain.
Yuvaraj - Theek hai... aap zara bahar intezaar kariye, main unse milkar aata hoon.
Daasi - Jo aagya yuvaraj.
Yuvaraj ab andar gaye. Unhone dekha ki unki maa ek makhmali bistar par ghunghat mein baithi hui thi. Waise ye rajmahal mein aam baat thi. Saari auratein apna sir ghunghat se dhake rakhti.
Yuvaraj Vikramaditya - Maa.
Kadambari ji ki drishti ab yuvaraj par padi.
Yuvaraj ko dekhte hi unke chehre par ek muskaan si aa jaati hai...
Maa Kadambari - Yuvaraj, hume nahi laga tha aap humse milne aaoge... aao.
Yuvaraj Vikramaditya ab apni maa ke paas jaate hain aur unke pair chhukar unka aashirwad lete hain...
Yuvaraj Vikramaditya - Ab ye kya maa, aap yaha bhi ghunghat mein hi rahogi kya? Mere samne to aap ye ghunghat hata sakti hain. Mere samne kaisi sharm? Waise bhi bahut din hue aapka chehra nahi dekh paaya.
Maa ne kuch nahi kaha. Unhone dheere se apna ghunghat hata diya, jo sir par odha hua tha. Unki aankhen thodi si nam thi. Yuvaraj dekhkar thode bhavuk ho gaye. Yuvaraj ko laga shayad wo abhi tak bhai ke jaane ke gam mein hain.
Yuvaraj Vikramaditya - Aap abhi tak unhi baaton se chintit hain?
Kadambari - Nahi nahi yuvaraj, dekh rahi thi ki aap kitne bade ho chuke hain. Samay kitna sheeghr hi beet gaya hai na?
Yuvaraj ne halka sa muskura diya.
Yuvaraj - Haan, ab hume hi to zimmedari leni hogi. Parantu pitaji shayad hume us yogya nahi samajhte.
Kadambari - Wo samjhen ya na samjhen, mujhe apne putra par poorn vishwas hai. Aap aage jakar ek mahaan yoddha banoge, yuvaraj.
Yuvaraj - Isme aapka pyaar aur aashirwad hi kaam aa sakta hai, maa.
Maa Kadambari - Wo to sadaiv aapke saath hai, yuvaraj.
Yuvaraj - Theek hai, ab hume chalna hoga. Kuch aur bhi kaam hain.
Kadambari - Koi baat nahi, yuvaraj. Parantu aate rehna, hume accha lagega.
Yuvaraj - Ji haan, aashirwad dijiye. Aur haa ye aap apna ghunghat pahan lijiye
Kadambari ji ne halka sa has diya
Kadambari ne apne putra ko aashirwad diya aur ve wahaan se nikal gaye aur apne senapati Jaydeep ki or chale gaye...
Senapati - Yuvaraj, aap yaha?
Senapati yuvaraj ko dekhkar prasann hue...
Yuvaraj - Ji, main aapse milne aaya. Socha aapse milkar thoda accha bhi lagega... ho sake to aane wale samay ke liye saahas milega.
Senapati - Phir to aap sahi sthal par aaye hain, yuvaraj. Parantu aapke pitaji maanenge nahi...
Yuvaraj - Jaanta hoon, senapati ji. Parantu mujhe apne jeevan ki kuch baatein apne tareeke se karni hongi.
Tabhi dono ne dekha ki ek sainik bekaabu ghode ko kaabu mein karne ka prayas kar raha hai, lekin wo ghoda us sainik se maan nahi raha.
Senapati - Mujhe lagta hai ki yadi aap kuch seekhne ke liye aaye hain, to yahi aapki pehli pariksha hogi.
Yuvaraj samajh nahi paaye.
Yuvaraj - Main samajh nahi paaya, aur kaisi pariksha?
To be continued..