Agle din ka safar shuru ho chuka tha. Chalte-chalte ab dopahar ka samay bhi aa chuka tha. Maa Kadambari ab bhi subah ke hui us chhoti ghatna ko baar-baar yaad kar rahi thi aur apne mangalsutra ki taraf chhoo rahi thi.
Yuvaraj apne aap mein khoye hue the. Unhe apni maa Kadambari, Maharani Kadambari aur apne bhai ke varnan ki woh sundarta yaad aa rahi thi, jo kabhi bhi unhe apni maa nahi lagti thi. Ek taraf Maharani Kadambari, jo akeli hain, udaas hain, sab kuch hote hue bhi unhe apna kehne wala koi nahi hai. Dusri maa Kadambari, jinhein woh bahut prem karte the. Aur teesri woh sundarta, jinhein ab tak yakeen nahi hota tha ki wahi Kadambari hain. Woh nahi manana chahte the ki sirf varnan se hi insaan ki pehchaan hoti hai. Agar woh sundarta aur Kadambari ek hi hain, to unhe apne bhai par vishwas bhi tha ki woh aisa kadam kabhi nahi lenge. Par un sab mein shayad unhe maa Kadambari se ek alag sneh tha.
Ab Yuvaraj ki palki ek gaon se guzarne lagi. Pehle to bahut chhote-chhote gharon ke saamne se nikalte hue unki palki ja rahi thi. Ab woh kuch hi samay mein us gaon ke bhavya bazaar ke kareeb aa gaye. Yuvaraj ne apne chehre ko ek kapde se baandh liya tha, kyunki dhoop bhi utni hi thi.
Sab log us palki ki taraf dekhne lage. Sainikon ke haath mein Surya Dhwaj (us dhwaj par Surya aur sher ka chinha hai, jo Vikramapur rajya ko pradarshit karta hai) dekh kar log apne aap rasta chhodne lage. Unhe yeh samajhne mein der nahi lagi ki yeh sainik sidha rajya se hote hue aaye hain. Unhe laga ki palki mein koi bahut bade rajgharane se koi baithe honge. Us gaon ke saare bachche-bujurg us palki ki taraf hi dekh rahe the.
Yuvaraj ne apne sainikon se kaha- "Mujhe lagta hai agar hum kuch phal ishi bazaar se le lein to accha rahega. Kuch aur dinon ki rations bhi ho jayegi aur taqat bhi bani rahegi."
Unke sainik pramukh Vishwajeet ne apni haami dikhayi.
Vishwajeet - "Aapne sahi kaha Yuvaraj. Main yahaan par kuch acchi dukaanon ko jaanta hoon, hum wahi se kuch phal lenge."
Yuvaraj - "Lekin tum yahaan ke dukaanon ke baare mein kaise jaante ho?"
Vishwajeet - "Yuvaraj, main is gaon se hoon. Mera poora bachpan is gaon mein bitaa hai."
Yuvaraj - "Phir to yeh bahut acchi baat hai. Waise kya main kuch pooch sakta hoon?"
Vishwajeet - "Avashya, Yuvaraj."
Yuvaraj - "Waise agar koi samasya ho to tum mana kar sakte ho."
Vishwajeet - "Aisa kya hai Yuvaraj?"
Yuvaraj - "Main yeh soch raha hoon ki agar tumhara ghar paas mein hi hai to kyon na hum kuch phal tumhare ghar ki taraf hi lekar jaayein aur wahin baithkar khaayein. Kyon bhaaiyon?"
Yuvaraj ne sainikon ki taraf dekhkar kaha.
Sabko yeh sujhav bahut accha laga. Par Vishwajeet sankoch mein pad gaya.
Yuvaraj - "Kya hua, Vishwajeet, aisa kya sochne pad gaya?"
Vishwajeet - "Nahi nahi kuch nahi Yuvaraj, woh bas hamare ghar mein. Aap to ek rajgharane se aur... aur hamare ghar mein..."
Yuvaraj - "Are to kya hua? Mere ghar mein aur aapke ghar mein insaan hi to rehte hain na."
Vishwajeet - "Nahi Maharaj, aapko yeh shobha nahi dega."
Yuvaraj has pade...
Yuvaraj - "Agar mujhe tumhare ghar aana shobha nahi deta, to mujhe tumhare saath baith kar khana khana bhi shobha nahi dena chahiye..."
Vishwajeet ko apni hi baat par bura laga - "Nahi Yuvaraj, hamara ghar bahut hi chhota hai, woh bhi lakdiyon se bana hua. Aise ghar mein..."
Yuvaraj - "Thik hai, aap nahi chahte to... koi baat nahi."
Vishwajeet ko apni baaton par bahut bura lagne laga. Woh kuch der chupchaap raha. Use apni baaton par pashchataap hone laga.
Kuch der baad.
Vishwajeet - "Yahaan par us dukaan se hum phal lenge. Aur saamne ke raaste se jayenge to mera ghar wahin milega. Raste par bahut dhool rahti hai to sab apna chehra baandh lein."
2-4 sainik hasne lage. Yuvaraj bhi halka-halka hasne lage.
Yuvaraj - "Chalo hum aapke aabhari hain ki aapne hume aapke ghar aane ki vinati ko swikar kiya."
Vishwajeet - "Nahi nahi Yuvaraj, aap aur vinati. Aisa mat kahiye."
Ab saamne ki ek dukaan se phal lete hue woh Vishwajeet ke ghar ki taraf nikal pade. Raste mein sach mein bahut dhool thi. Yuvaraj ne apne chehre ko kapde se baandh liya.
Maa Kadambari andar se yeh sab sun rahi thi. Yuvaraj ka yeh dayalu aur sahajata waale swabhav dekhkar unke mann mein Yuvaraj ke prati ek atyant aadar badhne laga. Lekin jab woh unke baare mein sochne lagi, unke haathon ki ungliyaan ab apne aap mangalsutra par ghoomne lagi. Ek ajeeb sa judav ho gaya tha unhe us mangalsutra se. Aaj woh mangalsutra bojh nahi, balki unhe apne sharir ka avayav ya ek hissa lagne laga tha.
Ab unki paalkhi Vishwajeet ke ghar ke paas jaati hai. Vishwajeet dekhta hai wahapar pahle sehi kuch logo ki bheed hai. Wo us bheed ko chirte hue aage nikalane ki koshish karta hai.
Tabhi sabko ek aurat ke chillane ki aawaz sunayi deti hai.
Aurat- nahi... kamse kam mera mangalsutra mat chino, main sabkuch lauta dungi. Aisa mat kijiye maalik, main aapse bhik maangti hoon.
Ye aawaz Vishwajeet ki patni Vandana ki thi.
Vishwajeet tezi se ab us bheed ko hatata hai.
Vishwajeet - Vandana... Vandana...
Wo dekhta hai uski biwi niche zameen par padi hue hai. Usne apne gale ka mangalsutra kaske pane mutti mein pakda hai. 2 log uske is mangalsutra ko chinane ki koshish karte hai.
Vishwajeet jaise hi paas me jaata hai un 2 logon ko dhakka marte hue zameen par gira deta hai. Ab baaki sainik aur yuvaraj bhi udhar jaate hai. Sabke chehre chupe hote hai isliye unhe koi pahchaan nahi pata lekin dhwaj se unhe samjh aata hai ki wo rajmahal se aaye hai. Ab sab log chupchap hat jaate hai.
Yuvaraj - Ye sab kya ho raha hai..
Zamindaar- Dekho sainik, ye hamari gaon ki niji baatein hai. Isme tum mat pado.
Yuvaraj samjh jaate hai ki Zamindaar unhe pahchaan nahi paya.
Vishwajeet apni patni Vandana ko utha leta hai. Aur apne gale lagata hai. Ye drishya sab kuch Maa Kadmabari apni paalkhi se dekh rahi thi.
Yuvaraj - Hum phirse se puchte hai, kya hua hai aur kyun aap is aurat ka mangalsutra chinane ki koshish kar rahe ho.
Zamindaar kuch batane ko raazi nahi tha.
Aurat- Humne inse 170 Tapi (Tapi Vikramapur ki rajya mudra hai, iska naam 2 dhatu ke mishran par rakha. Tambe aur pita. Vaise har rajya ki rajya mudra alag hoti thi. Lekin ant mein agar pure desh mein us mudra ko GAN kaha jata tha. Har rajya ke raja apne rajya aur apni mahanta ki prasiddhi us mudra par karte. Jo ki us mudra (sikke) ki dusri baju (prisht bhaag) me thi, lekin pahli ya saamne waale baaju par desh ke ANTAR RAJYA SAMPATTI SANGH ka ek khaas chinha mudrankit raha tha) byaj par udhar liye the. Humne unki sari kisht bhari ek aakhri bacha hai. Kisht ki mudat ko sirf 3 din hi ho chuke hai lekin ye abhi aakar mujhe dhamka aur dara rahe hai. Aur upar se kah rahe hai ki Mera mangalsutra bhi chinana chahte hai. Hume bas thoda aur waqt chahiye tha. To ye dugna byaaj laga rahe hai. Utne Tapi hum kahaanse laayenge.
Yuvaraj ko ye baat sunkar gussa aaya.
Zamindaar - Accha sirf 3 din ho gaye. Main niyam ka pakka hoon tum jaise logo ko kabhi kuch dena hi nahi chahiye. Mujhe dugne Tapi chahiye, yahi tum logo ki saja hai.
Vishwajeet - Par ye to sarasar anyay hai. Humne pahle hi aapko saare kisht bharke di hai. Ab dugna byaaj hum nahi de sakte.
Zamindaar - Pata hai isliye to ye mangalsutra chin kar le rahe the. Tum garibon ki aukaat kaha. Bhikari kahi ke.
Yuvaraj ne apna ek haath talwaar par pakad liya.
Maharani- Ruko.
Sabne dusri taraf dekha. Aur achanak se sab log hairan hogaye. Zamindaar aur uske do chamcho ka to gala sukhne laga. Unhe dekhte hi wo zameen par ghutno ke bal baith gaye.
Zamindaar - Maharani ji...jii...jji...aaa...aaap yahaan kaise...aap..to..
Maharani- Aap jo byaj le rahe hain wo kaayde se galat to tha, lekin ek aurat ka mangalsutra chinana sirf apradh nahi tatha yah ek paap hai.
Zamindaar - Maharani ji paap, ye agar paap hai to sabse bada paapi to aapka sainik hai. Jis aurat ka mangalsutra wo bachana chahta hai wo uski patni zaroor hai lekin wo uski sagi behen hai.
Zamindaar ke is baat se sabhi hairan hogaye. Sainik, Yuvaraj aur Maa Kadmabari in sab ke andar laga maano Zamindaar jhoot bol raha hai. Koi apne sagi behen se shaadi thodi karega. Lekin ye baat bilkul sach thi.
Vishwajeet ne apni sagi behen Vandana se shaadi kar apna ghar sansaar chalaya tha. Uska ek chota beta bhi hai jo 3 saal ka hai.
Maharani ne socha ki is baat par sabke saamne charcha karne se accha hai wo baad mein kare.
Maa Kadmabari ne apni sabse choti ungli se ek angoothi nikali aur Zamindaar ke saamne fek di. Zamindaar kisi bhikari ki tarah us anguthi ko lene zapat pada. Zamindaar us shaahi anguthi ko paate hi bahut khush hua.
Zamindaar - Accha hua Maharani ji, nahi to naa chahte hue bhi hume inka mangalsutra lena padta.
Maharani Kadmabari (bade garv ke bhaav se) - Accha hua humne aakar aapko anguthi di, warna, Yuvaraj ki talwaar aapke gardan ke aarpaar jaati.
Yuvaraj kaa naam sunte hi, Zamindaar ki haalat kharab hogayi. Uske haath kaanpne lage. Yuvaraj ne apne chehre par pahna kapda hata diya.
Zamindaar - Yuvaraj, maafi chahta hoon. Hume mat maariye hum aapse bhik maangte hain.
Zamindaar kuch dino pahle rajya mein aaya tha, usne Bhushan ki mrityu aur Yuvaraj ka raudra roop apne saamne dekha tha.
Yuvaraj - Turant yahase chale jaao, agar agli baar kisi garib ke saath khilwaad kiya to tumhari mrityu nischint hai.
Zamindaar ab wahase bhaag gaya. Aur saare log apne apne ghar aur kaam mein vyasth ho gaye.
Ab Yuvaraj apne sainiko aur maa ke saath Vishwajeet ke ghar ke paas gaye.
Vishwajeet ka ghar kisi kutiya ki tarah tha. Wo ab andar gaye. Mahol ko halka karne ke liye Yuvaraj ne kuch baatein karna shuru ki.
Yuvaraj - Vishwajeet tum to kah rahe the ki ghar chota hai, lekin dekho to hum sab aaram se baith sakte hain.
Saare sainik hasne lage. Maa Kadmabari ke liye ek chhota sa aasan unki daasiyon ne laakar diya.
Yuvaraj ne Vishwajeet ke is chhote se ghar ko acchese dekha. Unhe Vishwajeet ke liye andar hi andar bura lagne laga. Us waqt sainiko ko koi vetan nahi milta tha. Har sainiko rajya ke liye kaam karna ek gaurav maanta tha. Unke liye wo ek kartavya ki tarah tha. Us waqt Yuvaraj ke dimag mein kuch aisehi sujhaav aane lage. Lekin filhaal ab wo Vishwajeet ke ghar mein the. Yuvaraj ne ab laaye hue phal sainiko ke paas diye. Dhire dhire kar sab phal kaatkar khaane lage.
Vishwajeet aur uski patni Vandana ka raaz un sabko pata chal gaya isliye wo sharm se apna chehra niche kiye hue baithe the. Maa Kadmabari ke man mein bhi bahut saare sawal uchal rahe the, ki aakhir kaise ek bhai aur behen ek dusre se shaadi kar sakte hain. Yuvaraj ke andar bhi bahut utsukata thi.
Maa Kadmabari - Beti Vandana, kya us Zamindaar ne kaha wo sach hai?
Vandana apna muh chupaye chup chaap khadi thi. Usne Vishwajeet ki taraf dekha.
Vishwajeet - Maharani ji, ye baat sach hai.
Yuvaraj - Lekin wo to tumhari ba...
Vishwajeet ne Yuvaraj ki baat katate hue kaha- Haan wo meri sagi behen hai. Hum ek hi maa ke kokh se paida hue hain. Lekin sachai kuch aur hai Yuvaraj.
Ab sab log Vishwajeet ko bade dhyaan se dekhne lage.
Vishwajeet- Hum dono ke maa-baap hamare bachpan mein hi guzar gaye. Hume hamare kisi bhi rishtedaar ne apnaya nahi kyunki hum garib log hain. Main Vandana se 4 saal bada hoon. Main ek bhai ka kartavya nibha raha tha. Jab iske liye ladka dekhne ke liye main ek swamiji ke paas gaya to unhone kaha ki meri Vandana ke kundali mein dosh hai.
Us swamiji ne kaha ki jis bhi purush ke saath uski shaadi ho jayegi, kuch hi saalon mein us purush ki mrityu ho jaayegi. Ye afwah har jagah fail gayi. Koi bhi use shaadi karne ke liye taiyyar nahi tha. Aisa mein main kya karta Yuvaraj?
Yuvaraj - Lekin shaadi wo bhi apni...
Vishwajeet- Kya paap kiya maine Yuvaraj, paap to tab hota. Jab ek jawan behen ko ghar mein aisi hi bitha kar rakhta. Paap tab hota jab raah chalta har insaan use gandhi nazaro se dekhta. Paap tab hota parivaar ke sukh lene ki bajay wo bas ek kone mein baithi rahti. Ab aap baitaiye maine kaunsa paap kiya Yuvaraj.
Vishwajeet ki aankhein ab nam ho chuki thi. Vandana bhi ro rahi thi.
Vishwajeet - Jo maine kiya wo paap nahi hai. Maine apni hi behen ko patni banakar uska ghar basaya. Use ek nayi zindagi di. Aaj hamara 2 saal ka beta hai. Mujhe is baat se fark nahi padta ki duniya hume kya samjhti hai. Kamse kam mujhe is baat ki khushi hai ki hum saath mein paida hue, saath mein jiye aur saath mein hi marenge. Is se jada sukhad baat kya ho sakti hai, Yuvaraj.
Maa Kadmabari ki aankhein bhi nam hui. Vishwajeet ne apni behen ke liye ek bahut bada tyaag kiya tha.
Yuvaraj ko bhi Vishwajeet aur uske patni ke is atut prem ko dekhkar unke man mein un dono ke liye ek aadar utpann hua lekin saath hi mein unhe is baat ka bhi dar hua ki kahi us swamiji ki kahi baat sach na ho jaaye. Ab unhone apne man mein ek faisla kiya.
Yuvaraj - Chalo Vishwajeet hum sab ne khana khaa liya, ab hum chalte hain. Tum apne patni ka khayal rakho. Hume der ho rahi hai.
Vishwajeet kuch samajh nahi paaya.
Vishwajeet - Yuvaraj, maafi chahta hoon lekin aap aisa kyun kah rahe hain.
Yuvaraj - Tumhe aise samay par apne patni ke saath hona chahiye. Vaise haa hum jab waapas aayenge main chahta hoon ki tum sidha ab hamare rajmahal ke paas hi rahne aaoge. Senapati Jaydeep ke liye hum ek patra likh denge. Wahapar koi na koi ghar khaali rahega jisme pahle sainik rahte the. Unmese tumhe jo accha lage usi ghar mein rahana. Tumhare parivaar ko wahapar koi jaanata nahi hai. To tumhare parivar ke liye accha rahega.
Yuvaraj ki baat sunkar Vishwajeet turant unke paas gaya aur ghutno par baithkar rone laga. Usne apne haath jode.
Vishwajeet - Yuvaraj, itna bada ahsaan. Main kabhi chuka nahi paaunga.
Yuvaraj - Kyun nahi, tum aasani se chuka paaoge. Rajya ke raksha ke liye hamesha ek shur sainik bankar khada raho, jaise tum roj rahte ho. Bas is tarike se tumhe apna ahsaan chukana hai Vishwajeet.
Vishwajeet ne Yuvaraj ke charno mein girakar unka aabhar vyakt kiya. Maa Kadmabari Yuvaraj ki is udarta bhare swabhav se aur mohit ho rahi thi aur na jaane kyun unka haath apne aap unke mangalsutra ko choo raha tha.
Yuvaraj - Utho Vishwajeet, main is samay nahi chahta ki tum hamare saath aao. Tum pahle apne ghar ki chinta mitao. Hum jab waapas aayenge tab tum phir se hamare saath aa jana.
Vishwajeet ne kai baar mana kiya, wo chahta tha ki wo Yuvaraj ke saath jaaye. Unke safar mein unka saath de aur unhe sukharup vaapas rajya mein lekar aaye. Lekin Yuvaraj ke saamne Vishwajeet ki kuch nahi chali.
Vandana ne Yuvaraj aur Maa Kadmabari ka ashirwad liya aur apna aabhar prakat kiya. Jaane se pehle unhone unke 2 saal ke bacche ko bhi aashirwaad diya.
Maa Kadmabari ab wapas apni daasi ke saath paalkhi mein baithi hui thi. Tabhi unhe laga ki shayad wo Vandana ki kuch aur madad kar sakte hain.
Maa Kadmabari - Yuvaraj, aap ishar aajaiye.
Yuvaraj samjh nahi paaye ki unki Maa aakhir unhe kyun bula rahi hai.
Maa Kadmabari - Ye lo, ye hamari ek aur anguthi hai, ye Vandana ke haath mein dena. Unhe ye kaam aayegi.
Yuvaraj ko apne Maa par bahut garv hua. Unhone bahut Khushi se us anguthi ko liya aur Vishwajeet ki patni Vandana ke haath mein diya.
Unhone phir se Yuvaraj aur Kadmabari ji ko dhanyawad kiya. Ab Yuvaraj aur unke sainiko ki 9 logo ki tukdi wapas is pravas par nikale.
Jaate waqt Yuvaraj aur Kadmabari ke dimag mein Vishwajeet aur Vandana ki hi baat ghum rahi thi. Lekin sabse jada agar kisi ka man vichalit tha to wah tha Raani Kadmabari ji ka.
Agla bhaag jald hi