• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Maa-beta ek sacche pyaar ki kahani part-3

Incest--boy

Active Member
1,484
3,036
144
Jaisa ki maine kaha tha, main aap logo se gifs chahta hoon jo aapke pasand ke hai.. agar koi update aapne padha aur aap sab ko laga ki kaash ye gif ya pic udhar rahata mujhe wo section detail dm Karo aur gif or pic bhejo, even after update main edit karunga..so baki log bhi pasand karne lgenge...so please aap apne taraf se ye karte jaao.
 
Last edited:

Incest--boy

Active Member
1,484
3,036
144
Prabhat ka samay ho chuka tha. Maa Kadambari jaag uthii. Unhone paaya ki wah Rajkumar ki baahon mein lipti soyi thi. Apni is sthiti ko dekhkar unhein kuch laajja ka anubhav hua. Sharm se unke chahre par ek muskan aagayi.


efc6793b67b8e58aa6240949b994db9e

Unhone dekha ki unke sainikon ki chita poori tarah se jal chuki thi.

Ve dekh rahi thi ki Rajkumar apni peeth ke tambu par lage hue hi so rahe the. Ve uth khadi hui aur dekha ki Nirjala aur uski bachchi abhi so rahi thi.

Snaan ke liye koi vishesh sthan wahaan na tha. Ve uthii aur aas paas dundhakar kalash liya. Jo kabhi paani pine ke liye istemaal hua tha. Us kalash mein unhone apne sainikon ki asthiyaan ikatthi ki, taaki kam se kam un sainikon ke parivaar wale ise nadi mein pravaahit kar sakein. Tabhi Rajkumar uthe aur dekha ki unki maa asthiyaan kalash mein bhar chuki thi.


Ve Maa Kadambari ke paas gaye.

Rajkumar Vikramaditya ne apni maa ke paas khade hokar gehri saans li. Unhone apne haathon se apne sainikon ki asthiyaan kalash mein bhari thi. Aaj woh khud ko itni badi zimmedari ke tale mehsoos kar rahe the. Apne sainikon ko aakhri baar unhone naman kiya.

Rajkumar ne apne ghode ko tayaar kiya, aur asthiyaan uske saath baandh di. Ek kathor aur sookhe chehre ke saath, unhone apne ghode ko us disha mein mod diya, jahan unhein apne senapati Jaydeep tak ka safar karna tha.

Unhone ek patra nikaala aur apne senapati Jaydeep ko likhna aarambh kiya. Patra ki bhasha kaafi dukhbhari thi.

"Priya senapati Jaydeep,

Yeh samay mere liye atyant kathin hai, parantu humein apne kartavya ko poora karna hoga. Humare sainikon ne hamare liye bahut bada balidaan diya hai. Unki aatma ko shaanti pradaan karna hamara kartavya hai. Aaj main unki asthiyaan apne ghode ke saath aapko bhej raha hoon. Yeh safar mere liye ek kathin daur hai, lekin mujhe poora vishwas hai ki hum apne rajya ko inke balidaan se mahaan banaenge.

Yeh asthiyaan unke parivaar ko saup dijiye. Mujhe ummid hai ki Ishwar unke pariwar ko is dukh ko sahne ki taqat de.

Vikramaditya, Rajkumar Vikrampur"

Rajkumar ne patra likhkar use apne ghode ki gardan ke saath baandh diya, aur ghode ko apne rajya ke liye bhej diya. Ghoda dheere dheere apne raaste par chal pada.

Maa Kadambari yeh drishya dekh rahi thi. Unhone peeche mudkar dekha. Nirjala aur uski bachchi jaag chuki thi.

Ab unhein safar shuru karna tha. Rajkumar ne dekha ki ghode ki gaadi ke paiye toot chuke the. Shayad kal ki ladhai mein lutero ne jaanbujhkar yeh sab kuch kiya tha. Lekin saubhagya se unke paas teen ghode the.

Unhein laga ki shaayad Nirjala ghoda nahi chala paayengi. Ve soch hi rahe the ki Maa Kadambari boli-

"Kya hua Rajkumar, kis soch mein pad gaye ho?"

Rajkumar ne uttar diya, -"Hum samajh nahi pa rahe hain ki hum Nirjala ji aur unki bachchi ko kaise lekar jaayein. Unhein to ghoda chalana bhi nahi aata."

Nirjala ne kaha, "Aap chinta mat kijiye, Rajkumar. Humein ghoda chalana aata hai."

Rajkumar ko yeh sun kar khushi hui.

Rajkumar ne kaha,- "Chaliye, accha hai. Lekin aap bachchi ko kaise sambhalenge?"

Nirjala ne uttar diya- "Iski chinta aap mat kijiye. Hum sambhal lenge."

Rajkumar ne Maa Kadambari se kaha- "Maa, aapko hamare ghode par chadhna hoga. Bacha hua ghode par kuch zaroori samaan par rakh denge. Jo hamare kaam aayega."

Maa Kadambari ko yeh sun kar ek ajeeb si khushi hui.

Ab Rajkumar ne kuch zaroori samaan aur khane peene ki cheezein teesre ghode par rakh di aur apne safar ki shuruat ki.

Safar shuru ho chuka tha.

Maa Kadambari ne kaha, "Beti Nirjala, aakhir tum kahaan se ho, aur tumhe in logon ne bandi kyun banaya tha? Yeh lutere aakhir tumse kya chahte the? Aur khaas kar is bechari se unhein kya milne wala tha?"

Unhone dukh jatate hue yeh baatein kahi.

Nirjala ne uttar diya- "Hum bhi Shauryagadh rajya ke ek chhote se gaon se hain. Humara gaon rajya ki seema par aata hai. Yeh lutere hamesha chupchaap aakar aam logon ke ghar ka dhan ya dhanya loot lete the. Jo log unki baat nahi maante, unhein ya to maar daalte ya bandi bana lete hai."

Maa Kadambari ko yeh baat sach nahi lagi. Aur lagti bhi kyun? Woh khud Shauryagadh ki Maharani ki beti thi. Unhein bhi pata tha ki rajya ki seema par bahut sainik khade hote hain.


**Maa Kadambari** - "Rajya ki seema par yadi tum log ka gaon hai, to tumne seema par tainaat sainikon ko yeh baat kyon nahi batayi?"

**Nirjala** (thodi hadbadaate hue) - "Woh ab hum kaise aapko batayein? Humein samajh nahi aa raha."

**Maa Kadambari** - "Tum bata sakti ho, Nirjala. Aakhir aisa kya hai usmein ki tum nahi bata sakti?"

**Nirjala** - "Aap to Maharani ji ki beti hain, kahin humein kuch aur kathinai na ho jaye."

**Maa Kadambari** - "Nahi, aisa kuch nahi hoga, hum tumhe aashwasan dete hain."



tumblr-dbda9af5c325ac8fcfa3dfff7bef7a2f-9be3819b-540

**Nirjala** (thodi mand muskaan dikhate hue) - "Darasal baat yeh hai ki, seema par khade sainik un luteeron se apna hissa lete hain."

Maa Kadambari ko shayad yeh baat sahi lagi. Ho sakta hai aisa ho bhi raha ho.


**Maa Kadambari** - "Humne bahut pehle suna tha ki yahan par dono rajyon ke beech kuch aise hi log rehte hain."

**Yuvraj** - "Nahi, woh log alag hain Maa."

Nirjala ko thoda aashcharya hua.

**Nirjala** - "Kin logon ki baat kar rahe hain aap Yuvraj?"

**Yuvraj** - "'Kaalpuri' samudaay. Humne kuch samay tak bas suna tha ki woh log bahut jangli aur raakshasi kism ke hote the."

**Nirjala** ko yeh sunkar thodi man hi man gussa aaya.

**Nirjala** - "Achha, to aap 'Kaalpuri' samudaay ke logon ki baat kar rahe hain. Humne bhi kuch aisa hi suna tha. Lekin aapko kyon lagta hai ki ve alag hain?"

**Yuvraj** - "Kyonki humare bade bhai Yuvraj Harshvardhan ji ne yeh baat kahi thi."

**Nirjala ke chehre par achanak se bhaav badal gaye. Woh badlaav Maa Kadambari saaf-saaf dekh pa rahi thi.

**Nirjala** - "Aapke bhai ke baare mein humein pata chala ki woh ab is duniya mein nahi rahe. Aapke bhai ki mrityu par humein dukh hai. Lekin unhone aapko yeh kaise bataya? Kyonki hum to jaante hain ki Kaalpuri samudaay ke logon se Vikrampur rajya ki sadiyon purani dushmanee rahi hai."

Maa Kadambari samajh nahi paayi ki aakhir Nirjala yeh sab kaise jaanti thi.

**Yuvraj** - "Aap kaise jaanti hain yeh sab?"

**Nirjala** (hansate hue) - "Yuvraj, humein itihaas ki jaankari rakhne mein bahut accha lagta hai. Ab itna bada itihaas to har bachche ko pata hi hota hai."

**Yuvraj** - "Par lagta hai, hum utna nahi jaante. Hum apne bhai se kabhi-kabhi hi milte the, lekin unhone mujhe Kaalpuri samudaay ke baare mein jikr kiya tha. Unhone yeh tak kaha ki wahan ke log bahut acche hain. Unki mukhya bhi kabhi Vikrampur rajya mein hua karti thi. Lekin kuch aise matbhed ho gaye ki ve ab yahaan se door rehne lage. Ho sakta hai aap inke baare mein zyada jaanti ho... Aapne khud hi kaha ki aap itihaas ki jaankari rakhti hain."

**Nirjala** - "Haan, hum kuch baatein jaante hain. Jitna logon se suna hai, utna hi."

**Yuvraj** - "To bataiye."

**Nirjala** - "Us samudaay ka naam 'Kaalpuri' hai, aur unka devta tha 'Bhishmkaar', ek veer aur shaktimaan devta, jinki pooja janglon ke gehre kshetron mein ki jaati thi. Kaalpuri logon ka jeevan Vikrampur rajya ki seema jaungle aur uske rahasyamay ghatnaon se juda hua tha. Unhone apne jeevan ka uddeshya apne devta Bhishmkaar ki pooja aur apne rajya Vikrampur ki suraksha ko banaye rakhna tha."

"Kaalpuri log pehle Vikrampur ki seema ke jangalon mein rehte the, lekin ek samay aisa aaya. Jab Aaj se chaar shatabdi pehle, jab Vikrampur ke shaasak ne unke dharmik aur jeevan ke tareeke mein dakhal dena shuru kiya. Kaalpuri logon ki apni dharmik parampara thi, ve keval aur keval Bhishmkaar ki pooja karte the. Kaha jaata hai ki hazaaron saal pehle Bhishmkaar ne hi is samudaay ki sthaapna ki thi. Lekin yeh bhi kaha jaata hai ki us sadi ke Vikrampur ke raja bahut hi ahankari aur kapati the. Ve apne alawa kisi aur ko pooja karne par gusse hote the. Saath hi unhe lagta tha ki is samudaay ke saath judav rakhne se unki sabhyata par asar padega."

"Unhone saare Kaalpuri samudaay ke logon ko rajya se nikaal diya. Us samay ek ladai bhi hui thi, lekin Kaalpuri samudaay is yudh ko haar gaya. Unhe na chahte hue bhi apna rajya Vikrampur chhodna pada. Yeh ghatna Kaalpuri logon ke liye ek kathin pal thi. Unhone apne bhavishya ko samajhte hue, apne devta Bhishmkaar ki pooja aur janglon ke gehraiyon mein chhupkar jeene ka nirnay liya. Unka jeevan ab takraav aur janglon ki khamoshi mein samet gaya."

"Unke paas prakritik shakti thi, jo unhe jungle aur prakriti ke saath unke gehre sambandh se milti thi. Aur unka shastron ka gyaan bhi bahut vistaarit tha. Ve sabhi apne jeevan ki raksha karte hue, apni veerta aur apni dharmik parampara ko apne jeevan mein sajaaye rakhte the. Lekin baahari janglon ke jeevan mein unhe bahut kathinaiyaan aane lagi. Har saal aane wali prakritik samasyaon ne unhe kamzor kiya. Un logon ne kai dashkon tak Vikrampur ke rajaon se madad ki guhaar lagayi, lekin sab kuch nirarthak tha. Aakhirkar un logon ne hi us jangal ke saath khud ko dhal kar jeena seekh liya. Samay ke saath unke logon mein badlaav aane lage. Ve log aur taakatwar hote gaye. Aur is tarah ve ek bahut bada samudaay ban gaye."

"Vikrampur ke logon ke liye yeh Kaalpuri log ek samay ke saath kahani ban gaye. Vikrampur ke raja ne kai baar madad ke bawajood bhi unki koi madad nahi ki, lekin unhone, us samudaay ko yeh aashwasan diya ki woh unke jeevan mein dakhal nahi denge."

"Ab pata nahi, shayad ve log sachmuch rehte bhi hain ya nahi. Lekin hum to bas inke baare mein itna hi jaante hain."

Maa Kadambari aur Yuvraj ek tak is kahani ko sunane mein vyast the.

Maa Kadambari ke mann mein kai sawaal ghoomne lage ki aakhir Nirjala un logon ke baare mein itna sab kaise jaanti hai.

**Yuvraj** - "To yeh kahani hai, shayad un logon ke saath kuch zyada hi bura hua. Lekin humare bhai ne bataya tha ki ve log bahut acche hain. Iska matlab yeh hai ki ve log yahaan kahin rehte honge."

**Nirjala** - "Ho sakta hai aapke bhai kabhi unse mile hon."

**Yuvraj** - "Ho sakta hai, lekin ab humein kaise maaloom padega. Woh to ab nahi rahe."

**Nirjala** - "Maaf kijiye Yuvraj, lekin humein pata chala ki unki hatya kar di gayi thi. Kya yeh sach hai?"

Maa Kadambari ki aankhon mein achanak se chamak uth gayi. Woh Nirjala ne saaf-saaf dekha.



tumblr-oemecop-Vb-R1rz3s6qo3-r2-250-gifv


**Yuvraj** - "Haan, lekin humare bhai sabse acche insaan the aur saath hi saath ek mahaan yoddha bhi the. Aise mahaan shakhs ki koi hatya kaise kar sakta hai? Humein is baat par vishwas nahi hota Nirjala ji."

Nirjala ki aankhon mein kuch alag hi bhaavna jhalk rahi thi. Maano woh udaas ho gayi thi.

**Nirjala** - "Maafi chahti hoon Yuvraj, humare kehne ka aap bura mat maniye."

**Yuvraj** - "Koi baat nahi Nirjala ji. Waise hum jaante hain. Wahaan kahin bhi rahenge, zaroor khush rahenge. Ishwar aise insaan ko marne ke baad bhi dukhi nahi hone dega."

Nirjala chup ho gayi.

**Maa Kadambari** - "Waise Nirjala, tumhare pati kya karte the? Tumne bataya nahi..."

Nirjala ek dum se niraash ho gayi.

**Nirjala** - "Woh ab nahi rahe..."

Maa Kadambari yeh sunkar bahut dukhi hui.

**Nirjala** - "Unki hatya kar di gayi. Kaafi samay pehle. Dukh yeh nahi ki unki hatya ho gayi, lekin woh hatya unke apne logon ne hi ki... Hum khud nahi jaante ki kaun iske peeche tha."

**Yuvraj** - "Humein sunkar afsos hua Nirjala ji. Lekin aakhir apne hi log kisi ki hatya kaise kar sakte hain?"

Nirjala ne Maa Kadambari ki aur dekha, jinki aankhon mein ek dar aur pachhtave ke bhaav the.



f6bb302b2a2a433f03bf58683b08bc0d

**Nirjala** - "Hum khud nahi jaante, Yuvraj. Mere pati to acche insaan the. Hamesha sabki parwah karte the."

**Yuvraj** - "Ishwar aapke pati ki aatma ko shaanti de."

**Nirjala** - "Lagta hai hum ek chhote se taalab ke paas aaye hain. Hum aapke sainikon ka antim sanskaar karke aaye hain, to shayad sabhi ko naha lena chahiye."

**Yuvraj** - "Haan, sahi kaha. Hum yahaan rukte hain. Theek hai Maa."

**Maa Kadambari** kahin aur khoi hui thi.

**Maa Kadambari** - "Haan, haan, shayad yahaan rukna sahi hoga."






Agla bhaag jald hi
 

coollog

Love mom
456
933
94
Update qa chuka hai dost
Lagta hai Kadambari ne hi Harshvardhan ko mara hai, ya FIR yah bhi ho sakta hai ki harsbardhan Ko jisne mara uso kadambari janti thi sayad Raj mehal ja koye......Lekin vah bataa nahin Saki kisi Ko ho sakta hi kadambari ko choup karaya gaya ho
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Gokb
Top