• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

rocket league

I predicted your prediction
4,019
17,851
144
•°UPDATE 69•°


Recap -



"Apni help khud karo! Be yourself and be Honest! "



Saanvi ne is message ka reply nahi kiya..;
shayad wo gussa ho gayi thi.



Khair..
Manav bhi uske saath bahas nahi karna chaahta tha, woh mobile haath me liye khidki se baahar dekhne laga;
Baahar, baarish ho rahi thi.



Manav (man me) : "2 exams aur... matlab.. uska school lagbhag 2 baje over ho jayega. Aaj meri aur classes bhi nahi hai to.., mai use pick karne ke liye uske school chala jaunga.. "
🌨👀




AB AAGE :-




Jab Rupam ne Manav ko lagataar texting karte dekha to utsuktavash usse poocha,





Rupam : "Kya baat hai.. humari bhabhi ji mood me lag rahi aaj to? :akshay:



Manav : "sighs* ab tu shuru mat ho..! ek friend hai bas. " :sigh:

Kehte hue Manav ne mobile apne bag me daal diya.



Doosri or, Adarsh ne Aahna ki or dekha, jo sabse aage baithi hui thi. Usne dekha ki Aahna poori lagan se notes bana rahi thi aur desk par rakhe uske phone ki screen bhi band thi.
Isliye.. Adarsh sure tha ki jise Manav message kar raha tha wo Aahna nahi thi.


Adarsh (man me) : "Agar Aahna nahi hai to.. Manav gandu shayad.. kisi aur ladki se baat kar raha hai? ! matlab.. usne Aahna ke saath raat nahi bitayi ..? ! Bc.. hum chaaron to saath hi rehte hai, aur hume pata rehta ki Manav kya karta hai.. kisse baat karta hai ... to.. sale ne ladki kab pata li??" :think:



Jab Manav messages padh raha tha to Adarsh ne uska secretly muskurana notice kar liya tha. Uski muskan dekh kar Adarsh dawe se keh sakta tha ki messages, ek ladki hi bhej rahi thi.




Adarsh (man me) : "ya.. fir..... abeE.. bhenchoood..! " 😲



Adarsh ye nahi soch paaya ki Manav, har raat tution padhane bhi to jata tha. Iske bajaay, uski soch, alag hi direction me chali gaye :- 'Shalini' :heart:



Adarsh (man me) : "Ye lodu Manav.. kya itna bold hoga? ? log uske aur madam ke baare me tarah tarah ki bakchodi karte rahe hai, lekin wo sab.. bas bakchodi thi. . koi nassu bhi believe nahi karega ki is chutiye ne madam ko pata liya hai..." :hmm2:




Ding, Ding, Ding…



Ghanti ki awaaj ne aakhirkaar Adarsh ki soch ko viraam de diya.



Sameer : "Jaldi chalo re! bhookh se mar raha tha mai to " :dscream:



Baahar baarish ho rahi thi, aur .. unmen se koi bhi umbrella nahi laya tha.
Lekin,


"Londo ko chhate ki jarurat nahi hoti"


University me famous ye ek aisa jumla tha jiska paalan ladke aksar kiya karte the. Isliye.., ve chaaron classroom se baahar nikle aur tezi se cafeteria ki or bhaage.



Break Zone Cafeteria, jo Academic Building E and Administrative Building F ke beech padta tha, apne kam rates aur tasty khane ke liye bahut famous tha. Isliye, lunch time me ye humesha housefull rehta tha. 5-10 minutes late aane walo ko lambi lambi lines ka saamna karna padta tha.



Jab ve chaaron cafeteria me ghuse, to wahan pehle se hi lambi lines lagi hui thi.



Sameer : "udhar dekh! " :cool2:

Sameer ne Manav ko kohni maari aur apni aankhon se cafeteria ke gate ki or ishara kiya. 👀



Cafeteria ke andar aate hue Aahna, baarish ke paani me bheege apne kapdo ko adjust kar rahi thi. Uska aadha shareer bheeg chuka tha. Bheegne ke kaaran uski safed shirt thodi transparent ho gayi thi aur.. ab shirt ke andar ki uski smooth skin ko thoda thoda dekha ja sakta tha.



Manav : "Class President! " :itsme:




Aahna ne Manav ki or dekha aur haan me sar hilaaya. Apne baalon se paani ko nichodte hue weh Manav ki taraf chali gayi.



"kya idea hai bc... " :drool:
Sameer ne dheere se kaha.


Sameer ne socha ki Manav ne Aahna ko yahan bulaya taaki weh geeli transparent shirt ke neeche uski beautiful body ko kareeb se taad sake...,



Parantu jaise hi Aahna un logon ke paas aayi, Manav ne turant apni gehre rang ki jacket utaari aur use, Aahna par daal diya.



Apne upar Jacket dekh kar Aahna dang reh gayi. Achanak, weh ek baar phir.. Manav se impress ho gayi. :smile2:



Ye sab dekhne ke baad,


Adarsh (man me) : "Chomu ke paas ladkiyon ko impress karne ki badhiya tricks hai!" 😳



Khair.. jacket daalkar Manav ne Aahna se kaha,


Manav : "Tumhari shirt, geeli hokar transparent ho gayi hai to.. you know.."



Aahna ne prashansa me apna sar hilaaya.


Usne socha tha ki ab chunki wo bheeg chuki hai isliye, lunch ke baad kapde badalne aur chhata lene hostel chali jayegi. Use andaja nahi tha ki shirt se uska shareer kitna dikh raha tha.



Jacket utaarne ke baad, ab Manav ke upper body par kewal ek patli safed T-shirt bachi thi. T-shirt geeli hone ke kaaran woh, kareeb kareeb topless hi ho chuka tha.
Aur isliye.. bheed me Manav, ab alag aur ajeeb lag raha tha.



Waise achchi baat ye rahi ki mausam jyada thanda nahi tha. Halaanki baarish ho rahi thi lekin, temperature kam nahi hua tha. Bhale hi Manav patli aur geeli T-shirt me khada tha, phir bhi use thand nahi baithegi.




Manav ki ladkiyon ko impress karne wali tricks ki man hi man tareef kar Adarsh Manav ke nakshe kadam par chalne ki koshish karte hue, Aahna se bade pyaar se kehta hai,



Adarsh : "Class President, line lambi hai.. tum mere aage lag sakti ho, " ☺



Aahna : "It's ok. Mujhe aise.. line ke beech me nahi lagna chahiye. Mai yahan Nimra ke saath aayi hoon, to mai wahin par.. uske saath line me lag jaungi," 👉


Kehte hue weh Nimra ki or badh gayi jo unse jyada door nahi thi.



Lekin kuch kadam chalne ke baad wo achaanak peeche mudi,


Aahna : "Thank you ~ Manav! mai tumhari jacket Monday ko wapas kar paungi!" 😅



Manav : "No problem; bas ye thodi gandi hai.. maine ise wash nahi kar paya..," 😅



Jacket ki sleeves ko jhaadte hue Aahna has padi. Phir, weh Nimra ke paas chali gayi.




Aahna ke door jaate hi Sameer ne Manav ke kadhne par mukka maarte hue kaha,


Sameer : "Waah bete! khiladi nikla be tu to! ache moves the impress karne ke!" 😆



Manav : "Kya moves..? wo bheegi hui thi to.. kya mujhe use apni jacket nahi deni chahiye thi?” 🤨



Sameer : "Jaa be! actually tu na
. Aahna ko pasand karta hai..! bol, bol !" :hinthint:

Sameer bada excited tha.



"Ab apni bakwas band karega? tu kal se lekar ab tak bahut bakbak kar chuka hai," 🤨
Manav ne use ghoorte hue kaha.



Magar, achanak se Adarsh bhi unki baatcheet me shamil ho gaya,


Adarsh : "Mere experience ki maano to, Aahna tereko pasand karti hai Manav! " :budhau:



Manav : "Kya khaak experience! tu bhi ab tak single hi hai, bhool mat! " :sigh:



Adarsh ko Manav ki baat achi nahi lagi. Usne apni seena thokte hue kaha,


Adarsh : "Kisne kaha ki meri kabhi koi gf nahi bani.. jab me middle school me tha na to..."



Rupam, Manav aur Sameer; teeno ne turant apne kaan dhak liye.

Adarsh ki life ki "shaandaar" history se boring shayad duniya me kuch bhi nahi tha.




Baharhaal lunch karne ke Manav kapde change karne hostel chala gaya.
Iske baad ve chaaron Mechanical Drawing Class ke liye chale gaye.



Un chaaron ne iss course ko chuna tha, lekin Aahna is course me enroll nahi hui. Isliye, cafeteria ke baad weh in logon se nahi mil paayegi aur jacket nahi lauta sakegi.



2 ghante ki class khatam hote hi unka ye college week bhi khatam ho gaya tha.



Friday ki dopaher tak sabhi classes khatam karne ke baad, internet cafe jana ladkon ka sabse pehla kaam hota tha.


Halaanki, unke saath jaane ki bajaay, Manav ne kaha ki woh ghar ke liye nikal raha hai.


Sameer aur baaki doston ko uski dadi ke incident ke baare me pata tha. Aur.. un sabne socha ki wo apni dadi ko miss kar raha hai aur unse jald se jald milna chahta hai. Isliye ladkon ne Manav se rukne ke liye jidd nahi kahi.




Manav ne sabko bye kaha aur apne bag me 2 chhate ☂️ rakh liye. Phir, usne Saanvi ke school, Vaels International Middle School (VIMS) ke liye bus pakad li.




Abhi lagbhag 2 baj rahe the, aur shayad.. mid term exam ka last paper khatam hui bhi kareeb 10 minute beet chuke honge..



School ke baahar ki sadak Audi, BMW, Mercedes, aur Bentley… jaisi mehengi cars se bhari hui thi... najara kuch aisa tha jaisi ki waha 'mini automobile exhibition' chal raha ho.



Vaels International Middle School, Chennai ka best middle school tha. Is school me middle school aur high school, donon department the. Mid-schoolers pass out hone ke baad direct high school department me admission le sakte the. Is school me na kewal Chennai City ke sabse hoshiyaar students the, balki city ke sabse ameer aur influential logon ke bachche bhi yahin padha karte the.



Yahan akela Manav hi tha jo apne haath me mahaj ek chhata ☂️ lekar kisi VIMS student ko lene ke liye aaya tha.



School se sukoon bhare music ki awaaj aane lagi.



Phir, apni blue uniforms me sabhi bacche baahar nikalne lage. Intjaar kar rahe parents apni cars se baahar nikle aur tamaam bacchon ke beech apne bachchon ko dhoondhne lage.


Vaastav me bhale hi aaj, mid term exam ke last day ki bajaay kewal ek normal school day hota, phir bhi yeh jagah cars se bhari hui hoti.
Chunki ye ek semi-boarding school tha, isliye hostel me rukne wale adhikaansh students sirf weekends me hi ghar ja sakte the.



Samudra ki lehron ki tarah baahar nikal rahe students ko dekh, parents apne bacchon ke naam pukarne lage aur.. parents ke mil jaane ke baad bachche unn mehengi cars me sawaar hone lage.
Apna Manav bhi Saanvi ko dhoondhne ke liye aage badha.



Manav un 'lehron' me Saanvi ko dhoondh nahi paaya.
Lekin.. pichli baar ki tarah **(update 6 )** Saanvi achanak se uske peeche prakat hote hue boli,



Saanvi : "Tum yahan kya kar rahe ho uncle?!!"



Manav : "Um... mai tumhe lene aaya hun,"

Kehte hue usne chhata ☂️, haule se Saanvi ke haath me thama diya. Aur.. bag se doosra chhata nikalne laga.




"Tum kabse Sani ko lene ke liye aane lage?! "


Unke bagal me se ek kroorta bhari awaaj aayi.


Manav ne mudkar dekha to paaya ki.. chhote chacha ek black Mercedes ke paas khade the aur use ghoor rahe the.

Chacha ki badi badi ankhein aur ghani eyebrows unhe, baaki parents ki bheed se alag kar rahi thi.




Apne comments me 'Chote Chachu' ka naam mention kar dena :wave:
Dekhte hai kis kis ko yaad hai :D







Iske saath update ka hota hai end.

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄


To be continued.....
Dekho bhai last ka part bahot acha tha per baki mujhe boring sa laga aisa lag raha hai ki aap zabardasti kich rahe ho story ko jo tittle mai hai uska dur dur tak koi bhi connection nahi dikh raha thodi se fast forward ki zaroorat hai story ko bura mat manna as reader bata raha hu bhai
 
Status
Not open for further replies.
Top