Update 17
sabhi bujurg guruma ke saath aaj issht dev ke mandir mein upasthit the kyunki wo jante the ki waqt aa gaya hai ki nayi rani ko chhuna jaaye...
guruma kamini aur damini ki maa ki umar ki thi...asal mein guruma ka daitwa unka vansh hi kayi peedhiyon se sambhalta aa raha tha...
hota ye tha ki nayi rani ke chhune jaane ke baad guruma ka daitwa unhi ke vansh ki sabse badi beti ko sounp diya jaata tha...
jiski prakriya bhi dwandwa ke baad honi thi...yahi wajah thi ki muhurat ke hisaab se kamini aur damini ke saath agli guruma ko bhi wahan laaya gaya...
ab wahan issht dev ke mandir mein sirf yahi teen kunwari ladkiyan thi...kuch socch rahe honge ki shaadi ke baad bhi kunwari to bata doon abhi tak unki suhaagraat nahi huyi thi...
warna kissi bhi kunwari ladki ka pravesh wahan nishedh tha...kuch dair baad gurumaa ne bolna shuru kiya...
gurumaa- aaj tak ke iss kabile ke ithihaas mein kabhi aisa nahi huva tha ki kissi rani ki pehli santaan judwa ho...
wo bhi judwa betiyaan jiske chalte kissi raj gharane ke sadasya ne apne kissi ridhtedaar ka khoon nahi bahaya...
theek waise hi aaj bhi tum dono behno mein khooni dwandwa nahi hoga...
rani ke faisle ka dwandwa issht dev ke samne unke iss mandir mein hoga...
jiske liye dwandwa se pehle tum dono ko apna tan-mann sab issht dev ko samarpit karna hoga...
hum sab tumhari shamtayein jaante hai isiliye ho sakta hai ki dwandwa se koyi faisla na ho paaye...
tab agli rani ka faisla issht dev ki iccha se hoga aur wahi teh karenge ki dusri bahen ka kya hoga...
issht dev ka mandir ek bahut badi gufa mein tha...
mandir ke dwar se ander jaane ke baad wahan ek bahut bada gol ghera bana huwa tha jisme aaj dwandwa hona tha...
uske aage ek manch banaya gaya tha jiske dono taraf pathar ki seedhiyan thi...
manch ke theek samne unke issht dev ki bahut badi murti thi...
issht dev ki murti ke pairon mein ek veddee banayi gayi thi jahan kurbani di jaati thi...
magar isse pehle ki dwandwa ka aarambh kiya jaaye issht dev ko prasann karna jaruri tha...
jiske liye dono taraf ke 250 sabse kushal yodha ek kaam lipt mukable mein bhaag lene waale the...
500 kushal yodhayon ke dwara uttpann ki gayi kaam oorjaa se hi wo agni prajvalit ho sakti thi...
jiska seedha sanket hoga ki ab kamini aur damini dwandwa kar sakti hai...