• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Maharaja- Ek Ankahi Dastaan

Prince Charles

Well-Known Member
2,525
3,486
159
Update 01

Ye wo samay tha jab rajayon ka nahi aadhe se jyada ilaakon par kabilon ka raaj hota tha...

raja bhi huva karte the par tab unki sankhya bahut kum thi ya kahin-kahin to bilkul hi nahi...

chhote-chhote kabilon me ye duniya bati huyi thi...unn kabilon me raja nahi sardaar raj karte the...

aisa hi ek chota kabila tha singh kabila jiski aaj uske padosi kabile se jung hone wali thi...

dono kabilon ke sainik aamne-samne taiyaar khade the jung kabhi bhi ho sakti thi...

wahin ek gufa me ek sadhvi varshon se tapasya kar rahi thi...

uske paas bahut gyaan tha isiliye sab use gyaani maa keh kar bulate the...

uski baat talne ki himmat kissi me bhi nahi thi...abhi bhi wo tapasya me leen thi...

tabhi achanak uski aankhon ke samne kissi ka aksh aa gaya...jise dekhte hi uski aankhen khul gayi...

ye uske liye ek sanket tha ki kuch bahut galat ho raha hai jise use rokna hoga...

wo turant gufa se bahar aayi aur chal padi uss disha me jahan ke sanket use mile the...

wo abhi ja hi rahi thi ki raste me use bhagdad dikhayi di...

jise dekh wo aur bhi jyada baichen ho gayi aur ek aurat ko rok kar poochne lagi...

gyaani maa- kya huva tum sab bhaag kyun rahe ho...

wo aurat gyaani maa ko janti thi to usne aadar se bola...

aurat- gyaani maa singh kabile aur garud kabile ke beech bahut bhayanak yudh hone wala hai...

surya ki pehli kiran ke saath dono kabeele aapas me bhid jayenge...

yahi karan hai ki sab log apni jaan bachakar bhaag rahe hai...

gyaani maa- ye tum kya bol rahi ho mujhe unhe rokna hoga...rokna hi hoga...

ye bolte-bolte wo aage badh gayi aur wo aurat bhi wahan se bhaag gayi...

nahi main aisa nahi hone de sakti...agar aisa huva to chahe jeete koyi bhi haaregi poori duniya...

uske aane me main koyi badha nahi aane doongi...mujhe jaldi wahan pahunchna hoga...

ye bol kar wo jaldi-jaldi aage badhne lagi...wahin dusri taraf dono taraf ke log surya ki pehli kiran ka intzaar kar rahe the...

surya ki pehli kiran jaise hi nikli dono taraf se humla bol diya gaya...

abhi hathiyaar takrane hi wale the ki ek awaaz goongi..."ruk jao ye ladaayi band karo"...

ye awaaz sunte hi dono taraf ke logon ke haath wahin ke wahin ruk gaye aur sab awaaz ki disha me dekhne lage...
 

Prince Charles

Well-Known Member
2,525
3,486
159
bhai me ap ki story intazar kar raha tha please update jaldi dete jao bhai jhan xossip pe chora wahan tak ponhao
:thanks: bhai aapki iccha jald hi poori hogi. :welcome1:
 
  • Like
Reactions: Hell Strom

Prince Charles

Well-Known Member
2,525
3,486
159
Update 02

gyaani maa ko dekh kar sabke sab ruk jaate hai aur aadar se unke samne jhuk jaate hai...

gyaani maa- ye sab kya ho raha hai...

tabhi garud kabile ka sardaar jiska naam shaka tha bolta hai...

shaka- gyaani maa aap to antaryaami hai aap to sab janti hai...

gyaani maa- haan janti hoon phir bhi tumse janna chahti hoon...

shaka- gyaani maa aap to janti hai ki hum apne hi kabile me ladkiyon ko bhyate hai...

magar simha ke muh bole bete ne humari beti ko bhagakar wo rasam tod di aur ye log use bacha rahe hai...

shaka ki ye baat sunkar singh kabile ke sardaar simha ne baat aage badhayi...

simha- nahi gyaani maa aisa bilkul bhi nahi hai mere bete ne inki beti ko nahi bhagaya...

balki inke kabile ke ladke ne humari beti ko bhagaya hai...

shaka (gusse se)- ye jhuth bol raha hai gyaani maa...

simha- nahi tum jhuth bol rahe ho...

aise hi dono me phir se jhagda hone laga par iss baar hathiyaar jubaan thi...

unke teer dono ke muh se nikalne wale shabd...jo kissi tarkash ki tarah the...

gyaani maa- band karo ye sab bilkul chhup ho jao...tum dono me se ab koyi kuch nahi bolega...

uske baad gyaani maa do logon ko bula kar unhe un ladka-ladki ko laane ko kehte hai jinki baatein chal rahi thi...

saath hi unke pariwaar walon ko bhi...kuch dair baad sabhi ko wahan laaya jaata hai...

itne waqt me gyaani maa ke baithne ka bhi intzaam kar diya gaya tha...

aaye huve logon ko dekh gyaani maa bolti hai...

gyaani maa- maine dono jodon ko kaha tha laane ko ye to ek hi hai...

ye baat sunte hi wahan ek sannata sa chha jaata hai...koyi bhi kuch nahi bol raha tha...

ye dekh kar iss baar gyaani maa gusse se poochti hai...

gyaani maa- main kuch pooch rahi hoon kahan hai dusra joda...

tab bhi koyi kuch nahi bolta...par ek awaaz se sab chonk jaate hai...

awaaz- gyaani maa wo kahan hai ye hum aapko batate hai...

ab ye awaaz kiski thi aur ye kya batane wale the...
 
Top