DesiPathan87
इश्क ओदा पौणा ही आ मैनू किंवे वी
dear Rahularya ji...
Shaandaar kahani, shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan....har shabd ek alag kahani bayaan kar raha tha.. update padhte waqt aisa lage ki jaise likha gaya har shabd jeevit ho utha aur mujhe ye update mein ghatit drishya ko dikha rahe hai.... .
Kayi mamlo mein ye kahani aur isse update ummda aur dilkash hai....mujhe koi wajah najar nahin aayi ki main is kahani ya isse jude update se koi kami nikalu.... ye update mann ko tarotaaja hone ka ahasaas deta hai aur sath hi ek sikh bhi de jaaye....
Ahmiyat, feelings, emotions, tadap aur vidambana... in sabhi ka level high raha kahani mein....
ek paathak ke liye sab se badi khushi ki baat yahin hoti hai ki aise update padhne ko mile .. bahut bahut dhanyavaad aapko jo itna achha sundar kahani aur usse Jude update ham sab pathakon ke madhya rakh rahe hai ..
.. The narration and the dialogues were perfect fit for the atmosphere of the story.
Realistic feelings which is a very difficult subject - whether in writing or acting in a film - but you are a master at this.. by taking every aspect into consideration, you are moving the story forward. Along with romance, there is a unique confluence of drama and a little suspense in the story. Which is completely amazing .
Epic
Waise agar babita mauka dekh priya ko jaan se hi maar de to uske liye saari problem hi solved
na rahega baans aur na bajegi baansuri Ek baar mein kissa khatam
Parul shaant par tez dimag wali
Ek story ko sarvashreshth banane ke liye positive kirdaaro ke sath sath negative kirdaaro ki bhumika bhi bahot aham hai... effect, impact, influence, impression, efficacy, force, proper activities..... ye dono kirdaaro samuh ke taraf se hona chahiye story pe....
I think... ye babita ek aham bhumika nibha sakti as a vamp... bas jarutart hai to is kirdaar ko kuch aur nikharne ki...
Khair....
Kuch baatein bhale bahut jyada naya na ho... Lekin update suruwat se ant tak pesh karne ka tarika aur likhane ke tarike se ek freshness bani rahi.. Shabdo ke khubsoorat jaal bune hain aapne, jiski wajah se padhane ka maja badh jata hai.. Aapke is update ko do part mein divide ki jaa sakti hai, first happy wala part jaha priya aur yash ke bich jo baatacheet huyi hai... aapne halke fulke mahol mein thodi bahot fikar jatana, ruthna manana.. ...
aur dusra part ya pehlu.. jisme babita ka gussa aur parul jis tarah se ushe thande dimag se samjha rahi thi, uspar adharit... ... Btw ye part favorite hai..
Well meri nazar mein babita aur parul ki bhumika best rahi ma adi se ant tak.. lekin haalhi ke update padh ke lage ki
Overall the best part of update jab jab update ki suruwati daud mein babita jis tarah se gaaliya de rahi... just imagine, sach mein bahot funny way mein aapne darshaya hai us situation ko .. specially the way you have written it...
Brilliant story line with awesome writing skills Rahularya ji
Aap chaho to hum bhi milkar apni kahani bana sakte hain