Veer samundar ke kinare betha huya tha udas mann se.Dhur samundar ko dekh raha tha aur aapni zindaghi ka tulna kar raha tha.Uska zindaghi bhi iss samundar ki lehron ki tarah hai.Kabh kahan le jaye kisi ko nahi malum.Woh mobile mein sabh ka photo dekhne lagah.Tabhi usko Divya bua ki yaad aya aur usne Divya bua ko phone kar diya.
Divya Bua- Hello kaun hai.
Veer dhime awaaz mein bola.
Veer- Bua main hoon.
Veer ki awaaz sunkar Divya bua bhadak gayi.Kyu na badakti usne jo kaam kiya tha woh sharmindigi kaam tha.
Divya Bua- Main koi Veer ko nahi janti.Ainda phone maat karna.
Divya bua phatak se phone cut deti hai.Veer roune laghta hai.Logon ki zindaghi bhi kitna ajeeb hai na.Kabh kya modh leta hai kisi ko malum nahi padhta.Woh dhur samundar ko dekh kar asu bahata rehta hai.
Jabh Komal aur Pari gaon pohonche tabh raat ke 10 baj chuke the.Woh logh ghar ke bahar akar darwaza khatkhataya.Par ghar mein toh koi tha hi nahi.Kamla aab yaha nahi rehti hai.Woh sirf aab din mein ati hai aur sabh dekh kar chali jati hai.Jabh Veer tha tabh khana banakar chali jati thi kyu ki uska shaadi ho gaya tha.Aab woh aapni pati ke sath rehti hai.
Komal- Are Kamla toh aab yaha par nahi rehti.Aab kya karen.
Pari- Kamla ko phone karti hoon.
Pari Kamla ko phone karke bhula leti hai.Tabh tak bachche garden mein ghum fir rahe the.Aaj bahot dino ke baad woh aapni ghar aye the.Unka mood off tha isliye woh sirf tehel rahe the agar acha hotah toh shayed hungama macha dete.Pari aapni maa papa ko phone karke batah deti hai ki woh logh pohonch gaye hai.Kuch der baad Kamla ati hai aapni pati ke sath.Kamla ka Pati ka naam hai Sourav.Woh Veer ki factory mein kaam karta hai.Kamla akar darwaza khol deti hai.
Komal light jala deti hai.Sara ghar mein roshni ho jatah hai.
Kamla- Malkin main khana bana doon.
Pari- Nahi nahi tum abhi jao hum bana lenge.Kaal ajana.
Kamla thik hai bolkar key rakh kar chali jati hai.Bachche hall mein jakar beth jateh hai.Unko mayus dekh kar Komal aur Pari ko bahot bhura lagh raha tha lekin unka bhi haal unke jaisa tha.Komal aur Pari unke samne jakar kahin.
Pari- Bhukh lagah hoga na.
Komal- Bolo kya khaoge.
Aditya- Kuch khane ka mann nahi hai.
Ananya aur Payal bhi sar haan mein hila deti hai.Komal aur Pari janti hai ki unko bhukh lagah hai.Isliye dono kitchen mein chali gayi khana banane ke liye.Khana banakar jor jabardasti unko khana khila diya.Phir unko sula diya.Komal aur Pari bhi halki phulki khana kha li.
Phir dono aapni aapni kamre mein chali gayi.Komal aapni kamre mein aaj 1 saal baad enter kar rahi thi.Aapne kamre mein enter hokar Veer ki yaad ane laghi.Uski ankh se asu behne laghi thi.Sara kamre mein sirf Veer ko khoj rahi thi.Phir woh Bed ki upar laghi huyi Veer aur uski photo ke upar nazar dali.Veer usko piche se pakad kar rakha tha.Veer ke muskaan bhari chehre dekh kar Komal ki ankh namm ho gayi.
Pari ka bhi ek hil haal tha.Veer aur uski photo ko dekh rahi thi aur asu bahatu rahi.
Pari- Kyu chhodh kar chale gaye.Main toh sirf naraj hi huyi thi.Uske liye itna badah saja kyu diya.Maine tumhe maaf kar diya.Pls laut ayo.Payal ka rou rou kar bhura haal hai.Aditya aur Ananya ka bhi haal kharab ho gayi.Patah nahi unko kaise sambhal paungi.Tum kahan gaye Veer.
Yeh sabh keh keh kar roune laghi.Dono asu bahate bahate kabh nind ki aggosh mein chali gayi unko patah bhi nahi chali.