UPDATE 4
naina bahut pyari ladki thi wo bhi mujhe achhi lagti thi lekin main apni pareshaniyo ke chakkar me us se jyada ghul mil nahi pata tha bas kabhi wo kuchh bate karti to main hu haan me jawab dekar nikal jata tha waise uska pura pariwar hi mujhse hamdardi rakhta tha lekin mere maa baap ke darr se wo log mujhse jyada matlab nahi rakhte the.
School shuru hue koi 15 - 20 din ho gaye the lekin mera school to band ho gaya tha jabki meri bahut ichha thi aage padhne ki lekin main kuchh bhi nahi kar sakta tha.
aise hi din bit-te gaye aur phir rakshabandhan ka tyohaar aane wala tha jiske do din pahle meri bua hamare ghar aai sath me unke 3 bachhe jisme ek ladka aur 2 ladkiya thi wo bhi aaye the waise yahan main aapko bata du ki dadaji ki tarah hi bua bhi mujhe manhoos nahi manti thi aur jab unhe pata chala ki mera school band karwa diya gaya hai to unhone papa se rakhi ke gift ke roop me meri padhai maang li aur majburan papa ko mujhe school bhejna hi pada lekin bua ab samajh gai thi ki unhe mujh par dyan dena hoga warna pata nahi mere maa baap mere sath aur kya kya karenge